Monday 25 January 2016

Episode 25 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Episode 25
                          Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain



Bhabi Ap kahan chali gai thi?
Bhabi ye dekhein meri beti kitni piyari he bilkul Anaya jesi zain k chehre pe behad khushi thi
wo hathon me nanhi guria ko liye khadra tha
Amaya ne aik nazar aus masoom jan pe dali aus k chehre pe bhi khushi chah gai zain bohat bohat mubarak ho MASHALLAH tumhari beti bohat piyari he wo baby ko hathon me liye piyaar karne lagi
wo fahad bhai mil gae the aun ki bhi beti hoi he tou me mubarak dene Ramsha bhabi ka pas chali gai thi!
i'm shure auno ne ap ko koi na koi baatein tou zaroor sunai hogi or ap ne khamoshi se sun bhi li hongi
zain lazmi tou nahi me bhi aun ko sunao phir aun mein or mujh me kiya farq reh jae ga agar koi
ap ko bura keh de or ap ko ghusa aajae tou samjh lein k ap waqai sab se bure insan hein
or hum sab aun ki adat se waqif he choro hum bad me auneh samjha le ge...
nahi bhabi wo samjhne walon me se nahi hen auneh har baat se problem hoti he ap k or
bhai k rishte se problem,
shams se problem, anaya or apki dosti se problem koi aesi baat he jis se auneh problem na ho!
Amaya ne zain ki baton par koi khas dehan na diya wo baby ko piyar karne me masroof thi or phir Anaya k pas chal di...
Anaya bohat bohat mubarak ho tumhari beti MASHALLAH bohat piyari he bilkul
tumhare jesi so cute!
Anaya ne ause apne hathon mein liya or piyar karne lagi...
Zain tum ne ghar pe sab ko bata diya?
Nahi bhabi sab so rahe hoge subha bata dun ga Baba or ami tou gaon gae hoe he...
Hmm Acha! ab aus ne Aik nigah Anaya pe dali Chalo Anaya ab Mahanoor ko mujhe de do or
tum rest karo zain jo kuch der pehle muskura raha tha ab amaya ki bat pe kuch uljhan ka shikar
howa Mahanoor--? aus ne aun dono ki janib dekhte hoe lafz dohraya ap ne naam rakh bhi diya?
Zain Anaya ne bohat pehle se naam socha howa tha wo zara maskharana andaz me boli
jis pe Anaya ko sharm si aa gai..
Anaya tum tou kuch ziyada hi fast ho wo naak sakodre sar khujate hoe bola...
Ab Amaya ne Mahanoor ko apne hathon me liya chalo zain fahad bhai ko dikha kar ate he
wo khush honge...
mujhe nahi jana mujhe koi shoq nahi Ramsha bhabi ki tanziyaan baatein sun'ne ka
kuch nahi kehti tumhein chalna he tou chalo fahad bhai ki beti bhi dekh lena wo kehte hoe bahar ki janib chal di
Fahad ki beti ka sun kar zain bohat khush tha ause dekhne k liye wo amaya k piche piche chal diya
Ramsha khuda k liye kabhi tou apni zuban ko lagam de liya karo wo chup chap sunti rehti he ais ka matlab ye tou nahi tum kuch bhi kehti jao gi Fahad Aus se guftago me masroof tha jab Amaya or
zain andar dakhil hoe
Aa'h Maf karna ham shayad galat waqt pe aa gae Amaya k chehre ki muskurahat zara madham pard gai,
Nahi koi bat nahi Fahad ne foran jawab diya...
fahad bhai ye dekhein zain ki beti ab amaya k chehre par aik bar phir muskurahat numaya hoi
MASHALLAH zain bohat mubarak ho fahad bhi bohat khush howa bhai jan ap ko bhi beti ki mubarak ho dono bhai aik dosre ki beti ko utha kar piyaar karne lage...
Bhai jan me bohat khush hun hamare ghar ALLAH ki rehmat aai he "Betiyan tou ALLAH ki rehmat hoti he na" zain muskuraya...
han bilkul me bhi bohat khush hun bas ab ALLAH hamari betiyon k naseeb bhi ache kare Amen ...
Aamen Aamen suma'Amen Amaya fahad ki beti ko piyar karte hoe muskurai
zain dekho ye bilkul fahad bhai jesi lag rahi he amaya ki ais baat par Ramsha khafa hone k sath sath aag'bhagola hogai...
Ramsha ye dekho bilkul Anaya jesi lag rahi he Fahad ne Mahanoor ko aus k agey kiya jis pe
Ramsha ne apna mou pheer liya or aik nazar bhi Mahanoor ko na dekha
zain ko bohat bura mehsoos hoa par wo khamosh raha...
Tum dobara yahan aagai itni bezati karne k bawajood tumhare mou pe tou nak hi nahi he
ya shayad tumhein bohat maza aata he apni bezati karwane ka Ramsha ka lehja bohat sakkkt tha
wo aik bar phir aus pe baaarx padri thi
jis pe Amaya khamosh rahi wo khushi k moqa par koi behas nahi chahti thi par agar ye porani
Amaya hoti tou yaqenan ghuse se aag'bhagola ho jati or Ramsha ko mou'tor jawab deti
Amaya ki tarf se koi jawab na aane par wo mazeed bomb k gooleee aus pe barsane lagi
Amaya tumhein shoq he k har koi tumhare agey piche ghome pehle tum ne Aliyan ko mujh se cheen liya or ab fahad k piche lagi hoi ho
ary kam az kam apni dost ka hi khayal kar leti aus k shohar ko tou bakhassh deti teeno bhaiyon ko apne piche pagal kiya howa he apni muthi me kiya hoa he
Wo nak sakodre be'tuka bolti ja rahi thi zain ko tou zara bhi aqal nahi he
har waqt bhabi bhabi kar k tumhare agey piche ghoomta rehta he or zain tum kiya Amaya k nokar ho? Ramsha musal'sal bole ja rahi thi
Amaya kuch kehti ais se pehle zain bol parda Khuda k liye bas kar dein bhabi ham yahan apne bhai ki beti ko dekhne aae the ap ki baatein sunne nahi
ap mujh se rishte me bari hen tabhi me hamesha se ap ka lehaz karta raha ho
par ap ko izzat ras nahi he mein ap ko kuch kehte nahi tou ais ka matlab ye nahi he k ap kisi k bhi bare me kuch bhi bolti jaein gin Amaya bhabi ap se lakh darje achi hen
or jise ap pagal hona'agey piche ghomne keh rahi hein educated log aise izzat dena kehte he or ham apni bhabi ki izzat karte he
or ap ki bhi me bohat izzat karta raha hun bal'kay abhi bhi kar raha hun par izzat kise kehte he ye shayad ap jesi illiterate ko kia pata
Agar ap chahti hein k ham bhai itna sab hone k bawajood bhi ap ki izzat karein tou pehle Amaya bhabi ki tarah ban kar dikhaein or mujhe tou ap ki soch par afsos ho raha he
Aj zain sabar ka ghont nahi pee saka aus k bardasht ki had tou ausi waqt khatam ho chuki thi
jab Ramsha ne aik nazar bhi aus ki beti ko na dekha tha par wo phir bhi khamosh raha par
Amaya k bare me ulta sun kar aus ne ghuse mein ause suna hi di...
i'm sorry fahad bhai me kuch ziyada bol gaya par me or bardasht nahi kar sakta pichle kai salon
se me ain ki baaton ko bardasht karta raha hun
Fahad ne kuch kehne k liye lab khole hi the k.....!
Ramshaaaaaaaa ....
Aik tez roubdar awaz sab k kano se takrai
Awaz kan mein parte hi sab ne foran piche murrd kar dekha
Tumhein ye haq kis ne diya k tum meri bivi k kirdar k bare me bat karo tum hoti kon ho.....?
Chehra ghuse se lal,
Ghuse se uthi hoi naak,
Ankhon me behad ghusa wo chalta hoa Ramsha ki janib bardha
tum character ki baat kar rahi ho tum ne kabhi khud ko dekha he k tum kiya ho or tumhara character kiya he?
Mene bohat bardsht kar li tumhari fazool baatein mein aj tak apne bhai ki wajah se khamosh tha par aj me khamosh nahi rahun ga
Ramsha k chehre ka rang zard pard gaya
Fahad or zain kuch uljhi hoi nigahon se aik dosre ko dekhne lage
Tum ne sab haadein par kar di he jesi tum khud ho wesi hi tumhari soch he tumhare bare me sab fahad ko pata tha infect, tum ne khud ause bataya tha
phir bhi aus ne kabhi tumhein tana nahi diye jab k wo tumhara shohar he or wo tane de sakta tha par tum har bat me, har waqt ause tane deti rahi ho
tum ne hamesha Fahad ki barabari karna chahi he Aik Aqalmand bivi kabhi bhi apne shohar ki barabari nahi karti he
Fahad tou bas Amaya ko pasand hi karta tha or mere liye piche hat gaya or sab bhool gaya tha par tum--- ais se pehle k wo agey kuch bolta amaya ne ause roka
Aliyan bas karein tamasha create na karein Amaya ause chup karwane lagi...!
Aliyan ne aik ghuse wali nigha amaya pe dali
Amaya tum bech me mat bolo chup chap khadri raho bohat sun li Ramsha ki baatein aj mujhe koi chup nahi karwa sakta Aliyan ki ankhon me shaded ghusa tha...
hanw tou Mis.ramsha kahan tha mein?
Ramsha k chehre se tamam rang urd chuke the
tum ne mujhe hasil karne mein koi kasar nahi chori tum shuro se hi bad'dimag or bad'ikhlaq larki thi tumhari shadi ho chuki thi tumhein sudhar jana chahiye tha
par nahi tum ab bhi mujhe pana chahti thi fahad se shadi bahana tha mujh tak phunchne ka
amaya se badla lene ka batao sab ko sach...
sab k chehro pe herani chahi hoi thi Ramsha ki ankhein phati ki phati reh gai wo herani se
Aliyan ko dekh rahi thi
ye wo Aliyan nahi tha jise wo pasand karti thi ye tou koi or Aliyan tha jise kabhi Ramsha ne nahi dekha tha
kuch kaha he mene wo ghuraya or tez awaz me bohat roub se bola Batao sab ko k tum ne mera excident karwaya tha
Sab ki herani bhari nazrein aik dosre se takrai
Kiya Ap ka Excident Ramsha bhabi-- zain k lafz wahin toot gae
Fahad ka chehra ghuse se lal ho gaya par wo soch me pard gaya ais bat pe sab chonke
Amaya kiyun nahi chonki?
Ramsha batao sab ko-- Agar kuch karne ki himat he tou ause sab k samne accept karne ki bhi himat honi chahiye Aik bar phir Aliyan tez bola
tum heran ho k mujhe ye sab kese pata chala?
fahad k chehre ka raang hi urd gaya ause apni zindagi tabah hoti dikhai de rahi thi,
wo jo kuch der pehle apni beti k ache naseeb ki dua mang raha tha
ab ause apni beti ki fikar hone lagi thi,
bolo Ramsha kiya ye sach he ais bar fahad ghuse se ghurraya!
Ramsha k pas koi chaara na tha wo phas chuki thi aus ne apni galtiyan man lena hi munasib samjha
hanw ye sach he sab mene kiya he or jo bhi kiya sahi kiya he jab Aliyan mera nahi hoa tou me Amaya ka kese rehne deti?
mein amaya ko kese jet'ne deti? Ramsha ne kabhi har man'na nahi seekha
Me Aliyan ko har haal me pana chahti thi jab Aliyan ne mujhe apni or amaya ki tasveer send ki
tab mene amaya ko pehli bar dekha tha or tab se hi ais ka chehra mere dimag pe naqsh ho gaya tha
uth'te, beht'te, sote, jagte har waqt ais ka chehra mere dimag mein rehta tha har guzarte lamhe k sath mujhe ais se nafrat ho rahi thi
or jab mujhe pata chala k ain dono ki shadi hogai he
tab mene thaaan liya k me ain dono ko dor kar k raho gi aisi wajah se mene fahad se shadi ki apni shadi me jab amaya ko aliyan k sath khush dekha tou mera khoon kholne laga
mujh se aliyan ko cheen kar Amaya bohat khush dikhai de rahi thi mera dil chah raha tha me wahin ais ki jan lelo Ramsha ne nafrat bhari nigahon se amaya ki janib dekha
jo k khamosh khadri thi...
Amaya kabhi khush nahi reh sakti thi mene aise kabhi khush rehne hi nahi dena tha phir mujhe pata chala fahad amaya ko pasand karta tha par mere liye acha hi tha
mujhe aik or bat mil gai thi fahad ko har waqt tane dene k liye or ghuse me mere mou se nikal gaya k me Aliyan ko pasand karti hun tab fahad ko pata chal gaya
par aus ne kabhi tana nahi diya wo ghar basana chahta tha par mujhe bas amaya ka ghar ujardna tha tabhi mene shams ko sikhana shuru kar diya ta k wo nafrat kare
apne maa bap se or wo Aliyan ko na'pasand bhi karne laga tha par ye amaya har bar ause Aliyan k qareeb kar deti or wo anaya aus ne sab kharab kar diya wo mou banate hoe boli
Fahad par jese kisi ne pahad tor diya ho aus ki ankhon k samne andhera sa chaane laga ause aik tufan apni tarf ata dikhai de raha tha
ye bhi sach he k mene aliyan par attack karwaya agar ye mera nahi tou kisi ka bhi nahi or mujhe koi phashtawa nahi he wo bejhijhak apne jurm ka ehteraf kiye ja rahi thi...
Bhabi ap ko sharam aani chahiye ap ne aik bar bhi nahi socha k agar bhai ko kuch ho jata tou shams ka kiya hota aik bache pe hi reham kar leti aus bache ne ap ka kiya bigara tha
jo ap aus k sar se bap ka saya cheen'ne chali thi
Zain tum bech me mat bolo aus ka ye qasoor tha k wo ain dono ka beta he Ramsha chilai
Chilao mat apni awaz niche rakho Fahad ki ankhon mein tesh tha aus ki halat ajeeb si hogai thi aus k hont'kap'kapane lage the ause samjh nahi aa raha tha
Ramsha jesi orat ko wo kiya kahe ause tou koi zuban samjh hi aati thi..
Amaya ab tum bhi batao sab ko aus raat jab Ramsha ghar aai thi tab Kiya howa tha?
Ramsha tumhare ghar aai thi par kiyun kab? fahad ne sawal kiya
Amaya khamosh thi
Amaya khamosh mat raho batao aus din tum dono k bech kiya hoa tha? or tum Ramsha k ghar kiya karne gai thi? Aliyan ne chila kar sawal kiya
Aus roz jab Aliyan business trip pe gae the or shams Anaya k sath shadi me gaya tha me ghar me akeli thi
Ramsha bhabi aai me khush hoi k wo hamare yahan aai he mujhe nahi pata tha k fahad bhai ne aine ghar se nikal diya tha

Amaya kitchen me khana banane me masroof thi....!
Amaya kahan he? Ramsha ghuse me dikhai de rahi thi
kiya ho gaya bibi jee? Gul'khan ne aus ka ghuse se bhara chehra dekh kar sawal kiya
Apne kam se kam rakho jo pocha he wo batao-- ais se pehle Gul'khan kuch kehta wo Ghuse se sar jhatak kar andar ki tarf lapki
Amaya Spaghetti banane k liye cutting board pe sabziyan kat rahi thi wo tamatar dhone k liye sink ki tarf murdi tou Ramsha ko achanak apne piche khadra dekh wo buri tarah chonki
wo apne kam me itna masroof thi k ause hosh hi na tha k Ramsha kab kitchen me dakhil hoi
phir apne chehre k ta'suraat normal karte hoe boli Bhabi ap achanak yahan kese?
Oh tou ab pata chala tum ne Aliyan ko apna sughad'pan dikha kar apne ye khane bana kar ause phasaya he ghuse me naak chadhae boli
Bhabi Ap ye kiya keh rahi hein? Amaya ki chehre pe jo muskurahat thi zara gayab hoi
me Bilkul thek keh rahi hun tum jesi larkiyon ko ache se janti hun amer larka dekha nahi or phasana shuru kar deti hein
Bhabi ab ap apni limits cross kar rahi hein Aus ki bat pe amaya k chehre pe ghuse k ta'suraat numaya hoe
Ramsha ka ghusa or bardh gaya limits tou tum ne cross ki he teeno bhaiyon ko apni muthi me kar k tumhari wajah se Fahad ne mujhe ghar se nikal diya
ais bar wo ghuse se chilai or pore kitchen me nazrein ghumane lagi cutting'board pe nazar gai tou foran churi utha li or aus ka mou Amaya ki janib kar diya
Bhabi y'ye kiya kar rahi hein hosh me tou he? Amaya ghabrate hoe boli
Tumhein me nahi choro gi aj me tumhein jan se mar dungi tumhari wajah se meri zindagi kharab hoi he tum ne mujh se Aliyan ko cheena apni bat kehte hoe aus ne amaya pe hamla kar diya
Amaya khud ko bachate hoe bahar ki simmt bhagne lagi Ramsha bhi aus k piche bhagi
Bhabi ap pagal ho gai hein mene ap ki zindagi kharab nahi ki wo bhagte hoe keh rahi thi
Ramsha k hath mein ab bhi wo churi thi Bhag lo bhag lo kahan tak bhago gi aj tum mujh se nahi bach sakti aus ka lehja bohat sakkt tha
Gul'khan Gul'khan amaya chilane lagi bhagte bhagte wo table se takra gai or table pe rakha guldan zameen pe ja gira
Ramsha ab aus k bilkul qareeb thi wo aus pe aik bar phir hamla karne wali thi k Gul'khan ne ause Amaya se dor dakha diya
WALLAH bibi kuch tou khuda ka khoof karo ye tum kiya gazab karne wala tha?
wo zameen pe giri pari thi sare baal aus k chehre pe aa gae the wo apne baal kano k piche karte hoe bolne lagi tumhari itni himat k tum ne mujhe dakha diya nokar ho nokar ban kar raho
warna mujhe tumhari oqat yad dilane me aik pal bhi nahi lage ga Ramsha gul'khan pe chilai
Bibi hamara oqat ka tou pata nahi par Ap ka oqat police ap ko batae ga
Police k naam pe Ramsha ghabra si gai or uth kar wahan se bhagne lagi
bibi tum Bhagta kahan he tum ne hamari bibi pe hamla kia he ham tum ko nahi chore ga o bibi tum apna oqat sune bina kahan bhag raha he Gul'khan bolte hoe aus k piche bhaga
Amaya ka dil ab bhi zoron se dharak raha tha ye sab itna achanak hoa k ause kuch samjh hi nahi aa raha tha wo gum'sum behti ye samjhne ki koshish kar rahi thi
kuch'der pehle jo howa kiya wo waqai sach tha ya aus ka koi wahem?
phir ause kuch hi pal lage ye samjhne me k wo sab aus ka wahem nahi tha wo foran uth kar bahar ki janib lapki
Gul'khan lawn me khadra cell'phone pe laga hoa tha aus ne amaya ko apni tarf ate dekha tou khud aus ki tarf bardh kar aus ka hal pochne laga
Bibi ap thek tou he? wo ham bhaga par wo bhaag gaya bohat tez bhagta he Ramsha bibi hamara tou sans hi phool gaya
Me thek hun kiya ap police ko call kar rahe the?
jee ham pehle Aliyan baba ko batae ga phir police ko WALLAH Ramsha bibi kitna shatir'Orat he
wo apne kano ko hath lagae touba kar raha tha
Nahi Gul'khan ap kisi ko kuch nahi batae ge
par bibi wo ap ko marne--ham thek waqt pe na aata tou najane kiya ho gaya hota ham tou batae ga
Gul'khan please agar Ap meri izzat karte he tou ap kisi ko nahi batae ge
par kiyun?
Aliyan ghuse k bohat tez he wo Ramsha bhabi k sath na'jane kesa behave kare ge or agar bat police tak jae gi hamare khandan ki badnami hogi
pehle fahad bhai abrar ki wajah se jail gae the ab aun ki bivi bhi jail jae gin tou hamare khandan ki izzat mati me mil jae gi ap kisi ko kuch nahi batae ge
thek he ham nahi batae ga Amaya bibi ap bohat acha he kitna sab ka khayal rakhta he ap ne kabhi ham ko nokar nahi samjha or na ais khandan k kisi shaks ne kabhi nokar samjha he
hamesha ham ko izzat di he par Ramsha bibi ham ko haveli me har waqt ais bat ka ehsas dilata tha k ham nokar he or ham se bohat bura bartao karta tha
par ham ne kabhi kisi ko nahi bataya ham nahi chahta tha hamari wajah se ghar me koi larai ho
ALLAH PAK ap ko lambi umar de ap andar jaein aram karein...


Amaya tum ne kiya socha tum mujh se chupao gi tou kiya mujhe pata nahi chale ga Aliyan ause dekhte hoe bola
Amaya jawab me kuch na boli khamosh rahi
Me janta hun Amaya tum nahi chahti thi hamare ghar ka sakoon barbad ho par ye bohat bari baat thi tumhein mujhe batana chahiye tha
agar Gul'khan aus roz waqt pe na aata tou amaya aj hamare sath na hoti wo sab ko dekhte hoe bola
ab aik nazar Ramsha pe dali or agar amaya ko kuch ho jata tou Ramsha me tumhein nahi chorta!
choron ga tou me ab bhi nahi Akhri jumla aus ne zara tez lehje me bola aus ka lehja bohat sakkt tha
Ab Agey bhi Batao amaya tum aus roz jab Ramsha k ghar gai thi wahan kiya howa tha?
Amaya kuch sochte hoe bolne lagi
aus roz jab me Ramsha bhabi k ghar gai!
jab mujhe pata chala k Aliyan ka excident suddenly nahi bal'kay kisi planning se howa he tab se mein sochon me ghum thi
Ramsha Ramsha wo chilate hoe Ramsha k ghar me dakhil hoi
Aao Aao Amaya kesa laga mout ka jhatka?
kiya dobara marne chali aai ho wo sedriyan utarti niche aa rahi thi
Amaya ka chehra ghuse se lal tha Ramsha akhri sedri pe thi jab Amaya ne agey bard kar aik zor'dar thapar aus k mou pe de mara
wo aj aik porani ghuse wali amaya lag rahi thi wo amaya jo pehle kabhi Ramsha ne nahi dekhi thi
Tumhari himat bhi kese hoi Aliyan ko nuqsan phunchane ki?
kesa nuqsan?
Anjan ban'ne ki koshish mat karo me janti hun Aliyan ka excident tum ne hi karwaya he par
jis din ye bat sabit hogai aus din me tumhein nahi choro gi
me tumhein kuch kehti nahi tou tumhein lagta he tum jo chaho kar sakti ho
tumhein laga tum meri jan le sakti ho tou Aliyan ko bhi mar sakti ho
Nahi tum kuch bhi nahi kar sakti Ramsha Fahad Alam ye sab tumhari bhool he k tum jo chaho kar sakti ho
wo khamosh khadri amaya ki baatein sun rahi thi aus k chehre pe kuch heerani'bhare ta'suraat the
wo jis amaya ko dekhti aai thi aus amaya me or ais amaya me farq tha
hamara ALLAH hamare sath he or hamare Allah k hote hoe tum hamara kuch bhi nahi bigar sakti samjhi tum Amaya bohat roub se ause baatein suna kar wahan se chali gai
Ramsha heran'pareshan ause jate hoe dekhti rahi ...
     
                   ----****----****----****------

Sab k chehre ghuse se lal ho rahe the
Fahad Ramsha ki janib bardha or zor'dar thapar ause de mara Ramsha me kabhi soch bhi nahi sakta tha k tum itni giri hoi harkat bhi kar sakti ho
sharam ati he mujhe tumhein apni bivi kehte hoe fahad ki awaz me udasi or bebasi thi
Ramsha ause ankhein nikale dekh rahi thi
Apni ankhein niche karo warna dosra thapar lagate mujhe aik second bhi nahi lage ga
jab amaya mujhe chor k chali gai thi tab bhi Ramsha ne mujhe kai messages kiye calls ki k me Ramsha se shadi kar lon agar mujhe pata hota k mere dubai jane k bad ye fahad k sath aesa game khele gi
ya ais ki shadi fahad se hogi me kabhi aesa na hone deta tum jesi oratein kisi bhi achi cheez k layak nahi hoti he tum aik pagal orat ho jo kisi bhi had tak ja sakti he aliyan ghuse me bole ja raha tha
Amaya or zain chup'chap khadre the....
or han yad aaya tum ne apne aus ghatiya cousin se call karwai k ye sab Amaya ne karwaya he kiyun k wo meri dolat lena chahti he
mene aus phone call pe zara bhi yaqeen nahi kiya kiyon k mujhe apni bivi pe pora yaqeen he wo kabhi bhi mere sath kuch bura nahi kar sakti
ause kisi dolat ki bhook nahi he meri bivi k liye paisa koi maine nahi rakhta aus k liye sab kuch mein or meri family hen
Amaya ki mujh se aik ajeeb chahat he aik aesi chahat jo mene pehle kabhi nahi dekhi
Amaya kabhi kisi ko nuqsan nahi phuncha sakti or mujhe tou har'giz nahi
mene aik bar kisi ki baaton mein aa kar amaya ko bura samjh tha aus se nafrat ki thi or beinteha ki thi or wo mene bohat galat kiya tha par wohi galti me dobara kabhi nahi duhra sakta
meri amaya bohat achi he sab se munfrid or mujhe apni bivi par khud se bhi ziyada bharosa he
Aliyan apni bivi ko dekhte howe bol raha tha...
Amaya ko ye sun kar bohat khushi mehsoos hoi ye soch kar k ye wohi Aliyan he jis ne aik bar ause zor ka dakha diya tha
jise ye parwah nahi thi k ause or ziyada lag sakti thi
ye wohi Aliyan he jis ne ye kaha tha k tumhare or mere bech kabhi kuch thek nahi ho sakta na tum mujhe pasand ho na kabhi pasand aao gi,
ye wohi Aliyan he jise me actress lagti thi jise meri baatein jhoot lagti thi or aj wohi Aliyan ye keh raha he k mujhe apni bivi pe khud se ziyada bharosa he
bas aus k liye yehi kafi tha k aus ka shohar aus pe yaqeen karta he aus ki ankhon me khushi k ansu jhalakne lage...

Aliyan bhai ap ko attack k bare mein kese pata chala? ais bar zain ne apni khamoshi tor di
Zain mujhe ais bare me kuch pata na chalta agar me aus roz caffe Area ki tarf se na guzarta
Zain ko ab wo caffe yad aaya---
Aus Roz traffic bohat ziyada tha tou me caffe Area ki tarf se guzra acahanak samne hi caffe me mujhe aik shaks dikhai diya wo mujhe kahin dekha dekha sa lag raha tha
mere bohat sochne par mujhe yad aaya ye wohi shaks tha jo mujh pe pistol'tane khadra tha
me trip khatam hone se pehle hi karachi aa gaya tha
me ghar ja kar amaya or shams ko surprise dena chahta tha hafte k roz jab me karachi aaya tou Dr.Anas mujhe Airport pe recieve karne aae
Aliyan kesa raha Bussiness trip? Dr.Anas driving karte hoe bole
ALLAH ka shukar he bohat acha raha ap kese he?
Me thek hun Dr.Anas ne ghadri ka ruk Hospital ki janib modraa
ye ham Hospital kiyun ja rahe he?
Mujhe hospital phunch'na he emergency he tum aesa karo meri ghadri le jao
Ab Car Hospital k bahar ruki
Thankyou so much but me taxi se chala jaon ga ya Gul'khan ko bula lon ga wo muskurate hoe bola
Ais waqt kahan tum kisi ko bulao ge raat bhi kafi ho gai he or Shayad tum bhool gae agar Gul'khan ghadri nikale ga tou Amaya aus se kai tarah k sawal kare gi
or Gul'khan ka tou tumhein pata hi he wo sab ause bata de ga or tumhara surprise kharab ho jae ga agey tumhari marzi wo muskurate hoe bole..
Dr.Anas ki bat pe Aliyan bhi halka sa muskuraya chalein thek hein...
Ab wo Driving seat pe behta or car start ki wo bohat khush tha ye soch kar k Amaya or shams ause achnak dekh kar bohat khush honge
wo becheen tha Amaya or shams k chehre k ta'suraat dekhne k liye
ause ghar phunchne ki bohat jaldi thi wo khushi or excitment bhare lehje se khud se baatein karne laga Amaya me janta hun tum ne mujhe bohat miss kiya hoga
mene bhi tumhein miss kiya par ye alag bat he k me tumhein bataon ga nahi
tumhein tang karne mein mujhe bohat maza aata he wo jo tum mou bana kar koi tana marti ho tab mujhe bohat achi lagti ho
wo chehre pe muskurahat sajae apne ap se baatein karne mein masroof tha ausi doran aus ki ghadri aik soon'san sark pe chalne lagi  
abhi ghadri ko ais sark pe aae kuch hi pal guzre the jab bike pe sawar kuch larke achanak aus ki ghadri k samne aagae
aus ne foran wahin break laga di
wo teen'log jin k chehre romal se dhake hoe the aun ki sirf ankhein hi nazar aa rahi thi
Ghadri se bahar niklo aik shaks ne zor'dar awaz lagai or zabardasti ause ghadri se bahar nikalne lage
Kon ho tum log or kiya chahte ho? Aliyan chonkte hoe bola
Auno ne Aliyan ki baat ka koi jawab na diya or ause marna shuru kar diya Aliyan ne khud ko bachane ki bharpoor koshish ki par wo nakam raha wo teen log the or wo akela
kuch mar khane k bad Aliyan ne bhi aune mara wo aik ko marta tou piche se dosra aus pe hamla kar deta
Aliyan khoon me lat'pat ho gaya phir bhi aus ne himat na hari or aun se muqabla karta raha hatha'pai k doran Aliyan ne aik lambe qad wale shaks k mou pe bandha romal khench liya or aus ka chehra aus ki ankhon k samne aa gaya
ausi doran aus lambe qad wale shaks ne apni kamar ki tarf se jeans me lagi 9MM pistol nikali
or Aliyan k sar pe rakh di sehda khadra ho ja warna goli mar dunga wo larka chilaya
kon ho tum log or kiya chahte ho aus ne aik bar phir wohi sawal kiya
tumhari mout... piche se aik shaks ne tanda aus k sar pe de mara Aliyan ki halat ab kharab hone lagi wo log bari bari ause mar rahe the wo khoon me lat'pat tha
or bar bar yahi sawal kar raha tha k tum log kon ho?
ausi lambe qad wale shaks ne pistol ka pichla hissa aus k sar pe zor se de mara or wo neend ki wadiyon me khoo gaya...
aun larko ko wahan se bhagne ki bohat jaldi thi har'bardahat me auneh laga
Aliyan mar gaya police se bachne k liye auno ne apni hosheyari dikhai
Car pe auno ne khoob dandein barsae or aus pe dent dal diye windscreen ka shesha bhi tor diya or
Aliyan ko Driving seat pe bitaa kar car ko dhaka de diya or car aik deewar se ja takrai
wo aise excident dikhana chahte the par Na'layaq ye bhool gae k police aun se bhi ziyada shatir he...      

Kuch hafton bad jab Aliyan Caffe Area se guzra aus ki nazar samne behte aik shaks pe gai jo ause kahin dekha howa lag raha tha
ye chehra kahan dekha he? wo yaad karne ki koshish karne laga
Aliyan aik bar jis ka chehra dekh le aus ka chehra wo kabhi nahi bhoolta par aus raat andhera hone ki wajah se wo aus ka chehra thek se nahi dekh paya tha ais liye ause yad karne me kuch waqt laga
jab ause yaad aaya k ye tou wohi Larka he jo pistol'tane khadra tha tab Aliyan kuch uljhan ka shikar howa...
Aus ne apni car parking Area me khadri ki or dor se hi aus pe nazar rakhne laga kuch der bad wo larka wahan se uth kar chala gaya
aus k caffe se nikalte hi Aliyan foran aus caffe me dakhil hoa or wahan k manager se aus k bare me pochne laga
Excause me! ye jo black jacket wala larka abhi bahar gaya he ye roz yahan aata he ya aj pehli bar aaya he?
Aliyan k sawal pe Manager kuch der khamosh raha or ause ghoorne laga
Ap aese ghorr rahe he jese me koi cirminal hun Aliyan ne apni jaib se apna visiting card nikala or ause dikhane laga ye mera card he me aik businessman hun or mujhe ais larke k bare me jan'na he
Sorry sir ham aese apne customers ki information kisi ko nahi dete
Aus k jawab pe Aliyan ne aik lambi sans li thek he jesi ap ki marzi ab police hi ap se poche gi aus ne apni jaib se cell phone niakla
Po'police kiyun? Manager zara ghabraya
Ap ka customer aik gangester he or police ko ais ki talash he or agar ap ne mujhe ais ki info na di tou me police ko keh do ga k
ap log yahan gangester logon ko panah dete he or phir ap ka caffe hamesha k liye band ho jae ga Aliyan ause apni baton me lene laga
Aus ka naam umar hashim he Wo Larka yahan roz sham ko 5:00pm aata he kuch der apne doston k sath beht'ta he or phir chala jata he ais se ziyada mujhe aus k bare me kuch nahi pata
Mujhe Umeed he ap ne jo bhi kaha sach kaha he Aliyan cell phone jaib me rakhte hoe bola
Jee bilkul mene sab kuch sach sach ap ko bataya he Manager foran bola
Thek he ab Me bhi yahan roz aaya karun ga aus pe nazar rakhne or ause pata nahi chalna chahiye k mene ap se aus k bare me pocha tha..
jee jee sir ap fikar na karein ab Manager k chehre pe kuch ronaq aai
ALLAH HAFIZ...
Aliyan wahan se chala gaya or ausi raat Gul'khan ne Ramsha k bare me bataya
Na'jane kiyun par mujhe aesa lag raha he jese Ramsha ka ais me hath ho Par wo kiyun aesa kare gi wo jesi bhi ho par ais had tak wo nahi gir sakti k meri jan hi leli gi wo kuch uljhan ka shikar hoa
agle din phir wo ais caffe me aaya or kafi der umar ka intezar karta raha par wo aj caffe nahi aaya tha
Aliyan jab wahan se nikla tou aus ki mulaqat zain se hoi zain k sawal karne pe wo ause ulte sehde jawab dete hoe wahan se chala gaya
aisi tarah Aliyan roz sham ko ais caffe me aane laga do din bad aj wo shaks caffee me aaya tha or corner table pe behta pizza kha raha tha
Aliyan jeans pe shirt me malboos Aasteene kohniyon tak chardhae ankhon pe glases lagae akhri table pe behta tha Aliyan ki phusst aus ki janib thi
kuch hi der me umar wahan se nikla tou Aliyan bhi foran aus k piche nikla par aik bar phir aus ka samna zain se howa
Aa'h Not again ye zain roz yahan kiya karne aa jata he wo dil me sochne laga
Zain ne aik bar phir apne sawalon ki barish kar di or Aliyan ne ause talne k liye ghuse se ulte jawab diya or foran wahan se nikal gaya jab tak Aliyan road pe phuncha wo larka kahin gayab ho gaya tha
agle roz jab umar caffe aaya tou Aliyan ne sham se raat tak ause follow kiya ause observe kiya k wo kahan kahan jata he or kis se milta he
Aik roz Fajar ki namaz k bad Aliyan daras sun'ne beht gaya Masjid me fajar ki namaz k bad roz bari bari sab daras dete he ALLAH ki baatein karte he
Aliyan Masjid se nikla tou 7:30Am ho rahe the wo walk pe nikal gaya ausi doran Aliyan ko umar dikhai diya
Aliyan ne phir aus ka picha karna shuru kar diya or sara din ause observe karta raha aus ki activities se wo koi gangester ya chor'lutera nahi lag raha tha
umar aik aam sa larka lag raha tha jo subha walk k bad university jata tha or pardhne k bijae yahan wahan ghoomta rehta tha
phir kuch der doston k pas jata or drink karta tha kuch der internet par larkiyon se chating or phir shams ko caffe me doston k sath gappe marna
ause observe karte kai roz guzar chuke the ab Aliyan ne ause pakarne ka irada kiya or roz walk karne laga k kabhi walk k doran koi acha moqa mile tou wo ause ba'asani dabooch le par aesa koi moqa na mila
aik roz walk k doran aus ka cell phone baja wo kisi se kahin milne ki bat kar raha tha Aliyan ne aik darkht(tree) k piche khadre aus ki baatein sun li thi
Aus ne aj raat k andhere me kisi se milna tha Aliyan ne apna aik khabri aus k piche laga diya jo aus pe nazar rakhe hoe tha or ALiyan ko pal pal ki khabar de raha tha
Amaya meri tabiyat kuch thek nahi he me so raha hun please mujhe distrub mat karna wo ankhein band kiye let gaya
wo sone ka natac karne laga Amaya k sone k bad aus ne aus jagah pe phunchna tha jahan umar kisi se milne wala tha wo bas apne khabri ki call ka intezar kar raha tha
Raat ka 1:00Am baj chuka tha par wo shaks abhi tak apne ghar se bahar nahi nikla tha or na koi aus k ghar me aaya tha
Aliyan ankhein band kiye leta tha jab Amaya ka cell phone baja or wo zain se bat karne lagi aus ne amaya ki baatein sun li thi
amaya ko laga wo so raha he or aus ki tabiyat bhi thek nahi tou ause jagana munasib nahi...
wo khud hospital k liye nikal gai aus k jane k 5minute bad hi Aliyan ka cell phone bajne laga or foran uth kar jacket pehna or ghar se nikal gaya
police ko aus ne pehle hi itlaw kar di thi Aliyan k aus jagah phunchte hi police bhi wahan phunch gai thi
umar k sath teen log or bhi the jo hath me aik bag liye khadre kuch discus kar rahe the ausi doran police ne chapa mara or aune pakar liya
aun k chehre ka rang urd gaya jab auno ne apne samne Aliyan ko khadre dekha
Umar tou pehle hi janta tha k wo mara nahi he
Tum--- aun ki ankhein phati reh gai
hanw me tum logon ko kiya laga me mar gaya? jab tak Mera Allah mere sath he mujhe koi nuqsan nahi phunch sakta
Bashir check karo ais bag me kiya he Police officer ne constable ko hukam diya aus ne foran aus k hath se bag cheena or zip kholne laga
Sir ais me tou drugs he
Drugs ais ka matlab ye log drugs ki supply karte he le chalo aine police station
ain ki hoshyari tou me nikalta hun
kuch hi der me sab police station phunche Aliyan bhi aun k sath hi tha
Batao tum log kis k kehne pe Aliyan ko marne aae the?
Aun larko ne koi jawab na diya--- ye aese nahi batae ge Bashir ainki zara khatir'dari karo
kuch der police ne khoob aun ki khatir'khadari ki police ki mar khane k bad charo Nidh'hal pare the Aik bar phir police officer ne sawalon ki barish ki
Ab batao kis ne bheja tha? officer ghuraya
Meri cousion ne--- Umar Hashim atak'te hoe bola
Tumhari cousion? nam kiya he aus ka?
Aliyan ko apna shak ab yaqeen me badalta howa dikhai dene laga
Ramsha! Ramsha k naam pe Aliyan k chehre pe ghusa chaa gaya
me or ramsha shuru se hi bohat ache dost he aus ne mujh se request ki k
Aliyan ko darao damkao ya mar do jo marzi karo par kuch aesa karo jis se Amaya toot jae
wo har hal me amaya ko torna chahti thi wo ause pal pal marte hoe dekhna chahta thi
ais liye mein or mere doston ne mil kar Aliyan ko marna chaha par hamein police ka bhi dar tha
ais liye ham ne aise shoot nahi kiya bas dande or hathon se hi mara
ais ki halat itni kharab ho gai thi hamein laga ye mar gaya
ham ne socha aise excident show karte he ta'kay police ko lage k ye bas aik suddenly excident tha
ais liye ham ne ghadri k sheshe wagera tor kar aise aus me bitha kar ghadri ko dakhaa de diya...
Or tumhein laga police bewaqoof he pagal ban jae gi par shayad tum log bhool gae k police ko har cheez ka tajurba hota he tum se shatir mujram pakre he ham ne aese hi nahi ham officer ban gae
wo ghuraya
Ramsha ko jab pata chala Aliyan zinda he ause dar lagne laga k kahin ye raz khul na jae aus ne
apna rasta saf karne k liye mujhe kaha k me Aliyan ko call karun or sab ilzam Aus ki bivi pe laga
dun k amaya ne dolat ki khatir ye sab kiya he
or aus k kehne pe mene aesa hi kiya umar ne sar jhuki hoi gardan utha kar Aliyan ki tarf dekha
ais se pehle k ye mujhe koi jawab deta mene call kat di or cell phone se sim nikal li...
ye drugs ka kiya mawmla he? Police officer ne agla sawal kiya
sir ham koi chor ya daku nahi he bas mene apni dost k kehne pe Aliyan ko mara tha or ye drugs ka bag hamein road se mila ham nahi janta ais bare me kuch bhi
Nahi sir ye log jhoot bol rahe he me ais shaks pe nazar rakhe hoe tha jab ye teen larke umar se milne aae tou ain k hath me ye bag bhi tha Aliyan ka khabri foran bola
Hmm ye log drugs supply karte he tabhi tou raat k andhere me milne aae ye log aese nahi mane ge Bashir zara aik bar phir khatir'dari karo...!
Ab Aliyan or police officer baatein karte hoe police station se bahar nikle aae
Mr.Aliyan Ab hamein Ramsha ko giraftar karna hoga
ye larke proof he aus k gunah k or ham qanoon nahi tor sakte ab ye ap k ghar ka mawmla nahi he
ab baat police tak phunchi he tou police hi handle kare gi
Aliyan khamosh raha or wahan se chala gaya...!

kuch hi der mein wo hospital phunch gaya Fahad ki beti ka sun kar wo bohat khush tha
wo sab porani batein bhoola kar khushi khushi fahad ko mubarkbad dene aaya tha aus ki nanhi pari dekhne aaya tha
wo hospital k kamre k darwaze pe phuncha hi tha jab Ramsha ki baatein aus k kan se takrai or wo jo ghusa aus k chehre se gayab howa tha
wo aik bar phir aus k chehre pe aa gaya
wo jo tamam baatein hospital ane se pehle bhula kar aaya tha aik bar phir ause wo baatein yad aa gai...        

                             -------****-----*****-----*****-------

sab k chehron se rang urd chuke the sab aik dosre ko herani bhari nigahon se dekh rahe the
Fahad ka sabar ab khatam ho chala tha aus ne aik bar phir Ramsha ko thapar de mara
tum jesi ghatiya orat me ne aj tak nahi dekhi tum kiyun ham sab ki zindagi barbad karne aa gai?
tum hasd or badle ki agg me itna gir jao gi mene kabhi socha bhi nahi tha
Ary Miya bivi ka rishta tou duniya ka wo wahid rishta hota he jis me aik hi insan se kai bar nafrat or bar bar muhabbat hoti he
par mene jab bhi tumhari galtiyan bhula kar tum se muhabbat karne chahi tum ne hamesha mujhe galat sabit kiya he
Fahad ki ankhon me shaded ghusa tha aus ka lehja sakkkt tha or wo ais waqt toot raha tha
aus ki halat kharab hone lagi thi aus ne kabhi socha bhi nahi tha k aus ki bivi aus k bhai ki jan lena chahe gi,
aus ki bivi ki wajah se kabhi ghar me masle'masail bhi honge,
aus ki bivi ki wajah se koi aziat me bhi aae ga,
ause ais waqt apni bivi se shaded nafrat ho rahi thi
Me or Aliyan hamesha aik dosre se har baat share karte he par itefaq dekho Ramsha k bare mein mene kabhi ais se kuch share hi nahi kiya na mujhe ais k bare mein kuch pata tha
agar mujhe pata hota tou aj meri zindagi yuu kharab na hoti me phashta raha hun tum se shadi kar k tumhein tou apni harkaton pe koi afsos koi sharmindagi bhi nahi he
me tumhein kabhi maf nahi karo ga Ramsha ab me aik pal bhi tumhare sath nahi reh sakta me abhi or aisi waqt tumhein talaq----
Fahad bhai---Amaya ne ause rokna chaha
Amaya please aus ne gardan mord kar amaya ki janib dekha ye ham miya bivi ka mawmla he tum bech me mat bolo
tum jis ki himayat me bolna chahti ho wo tumhari himayat k layaq hi nahi he
ab dobara aus ne Ramsha ki janib dekha ainda mujhe apna chehra kabhi mat dikhana
dafa hojao meri zindagi se nafrat he mujhe tum se tumhare wajood se....
par fahad meri bat tou suno.....
ab kiya reh gaya he sun'ne ko? ye dekho tumhare agey hath joodre mene chali jao meri zindagi se ham sab ko akela chor do
fahad bhai ap ais waqt ghuse me he talaq ka zikar karna ais waqt thek nahi Amaya aik bar phir boli
Amaya mene kaha na tum bech me nahi bolo gi agar tum ne pehle hi din se aise jawab diye hote tou ye aj yu tumhare character k bare ulta na bolti ye khud aik characterless orat he
ab wo aus k qareeb aaya or zor se aus k dono bazu pakre tumhein kiya mila ye sab kar k? sirf badnami or ruswai
Ramsha bibi jo dosron k liye bura sochte he aun k khud k sath bhi bura hi hota he or ab tumhare sath bhi aesa hi ho ga
kuch hi der me tumhein police arrest kar k le jae gi or mujh koi farq nahi pare ga mujh se ab koi umed bhi mat rakhna kiyun k ab tumhara or mera koi rishta nahi
tum jail jao ya kahin or ab mujhe ya mere khandan ko koi farq nahi padre ga... wo sakkkt lehje se bola
me apni bachi bhi tumhein nahi dunga tum tarso gi apni olad ko dekhne k liye ab aus ne aus ka bazu piche ki tarf jhatka
Nahi fahad tum mere sath aesa nahi kar sakte tum mujhe jail nahi bhej sakte--- aus k chehre ka rang safeed pardh gaya par chehre pe koi sharmindagi nahi thi
apni bachi ko khoo dene ka ause koi khoof ya koi dukh na tha wo tou bas jail jane se bachna chahti thi ause tou bas apni zaat se muhabbat thi
Me aesa hi karun ga wo sakkt lehje se bola i hate you Ramsha i hate you...
Me tumhein talaq deta hun, talaq deta hun, talaq deta hun...
Amaya ki ankhon se ansu behne lage wo khud ko ain sab ka qasoorwar samjhne lagi
Amaya tum kiyun ro rahi ho tumhein rone ki zaroorat nahi he Ramsha ne jo kiya ause aus ki saza mili he Aliyan ne aus k kandhe pe hath rakha
Aus ne kabhi nahi chaha tha k aus ki wajah se kisi ka ghar kharab ho wo tou bas sab ko khush dekhna chahti thi
zain ne fahad ko dilasa dene k liye aus k kandhe pe hath rakha
ais se pehle zain kuch kehta fahad ne apne kandhe se aus ka hath hatate hoe aik nazar aus pe dali
mere dil k itmenan k liye itna hi kafi he k jo bhi hota he ALLAH ki raza se hota he
bando ki raza se nahi...
mere yaqeen k liye itna kafi he k meri beti ki taqder me ALLAH ne kuch acha hi likha hoga
mere bharose k liye itna kafi he k mene apni beti ki zindagi ALLAH k hawale ki he
meri umeed k liye itna kafi he k mere rab ko haya aati he apne dar se bando ko khali hath lutane me ab aus ne jate hoe zahreli nigahon se
aik nazar Ramsha ki janib dekha or apni beti aus k hathon se cheen kar wahan se chala gaya...
bhabi agar ap sache dil se Allah se mafi mang le tou ALLAH PAK ap ko maf kar dein ge Beshak wo har cheez par qadir he Amaya kehte hoe wahan se chali gai
par Ramsha ki ankhon me na koi ansu tha na koi phashtawa na koi fikar wo tou aese aram se behti thi jese kuch howa hi na ho...
Kuch dino me jab aus ki tabiyat kuch thek hoi foran police ause arrest kar k le gai
aik rishta tha
man ka,
bharose ka,
ehtram ka,
tash k paton k ghar jesa,
hawa ka aik jhonka sab bikher k chala gaya...                
                 ------*****-----*****------*****-------*****-------

Aese hi kuch saal guzar gae Ramsha ko talaq dene k bad fahad England chala gaya or fahad ki beti Hoorain ko Aliyan or Amaya ne apne pas rakh liya
Auno ne Hoorain ki parwarish apne zimme leli,
zain or Anaya bhi apni beti Mahanoor k sath khush hein...
Aliyan Shams k kamre ki tarf se guzar raha tha jab aus ki nazar kamre me khadri amaya pe padri
ause dekh kar wo kamre me chala aaya aus ki nazar sehda table pe padri tou wo bola ye tum kiya kar rahi ho?
Amaya jo black dress pe hijab me malboos aik table pe khadri thi aus ne gardan mord kar aik nigah Aliyan pe dali
Shams keh raha tha k Mama mujhe wallpaper acha nahi lag raha ap wall pe kuch paint kar dein tou mein Bismillah Al'Rehman Al'Raheem likh rahi hun
Ab Aliyan ne aik Nazar dewar pe dekha wo bohat hi Khubsoorat Bismillah Al'Rehman likh chuki thi or ab Al'Raheem likh rahi thi
Amaya ka paon zara lard'khadaya zara table pakriye ga me gir na jaon
Amaya tum nahi giro gi me tumhein kabhi girne nahi dunga wo khoe hoe andaz me bola...!
jis pe Amaya ka hath wahin ruk gaya or wo uljhi hoi nigahon se ause dekhne lagi!

Samaira k hone wale sasur k inteqal hone ki wajah se aus k Nikkah ki date kuch saal agey bardha di thi
Amaya tum abhi tak ready nahi hoi shams kahan he hamein chachu ki haveli phunch'na he Hina chachi pichle adhe ghante me kai bar call kar chuki hein
Aliyan apna coat pehn'te hoe bola
Amaya ne muskurate hoe apna hath aus k agey kiya
ye kiya he? Aliyan ne aik nazar aus ki hatheli pe rakhe box pe dali
khudi dekh lein wo muskurai Aliyan ne foran aus ki hatheli se wo box uthaya or ause kholne laga
Box khulte hi wo madham sa muskuraya Oh Cufflinks wo bhi red pearl!
jee hanw Cufflinks ap k liye me ne kabhi ap ko koi tohfa nahi diya tou mene socha aj de dun kesa laga? aus k chehre pe khushiyon bhare taa'surat the
Bohat acha laga meri kanjoos bivi ne pori zindagi me aj pehli bar mujhe koi tohfa diya he tou pasand kese nahi aae ga aise me museum me saja kar rakhun ga
wo ause tang karne laga jis pe amaya ka mou sa ban gaya
Aus k chehre ki khushi aik pal me gayab hogai Wo mou banae ause dekhne lagi ap mera mazaq bana rahe he?
Ary tum tou bura hi man gai me tou mazaq kar raha tha Ab itne piyar se lai ho tou mere cuffs mein laga bhi do aus ne apna bazu aus ki tarf bardhaya
bas ausi pal aus k chehre ki khushi wapas lout aai or wo muskurate hoe aus ki shirt pe cufflink lagane lagi...
Amaya tum ne mujhe hamari pori zindagi me kai tohfe diye he tum ne mujhe badal kar mere baba ko sab se haseen tohfa diya he
or mere liye kiya kuch nahi kiya tum ne university se le kar ab tak har mord pe mujhe tohfe hi diye he...
Mama Baba dekhein shams kesa lag raha he? jeans pe blue shirt mein malboos wo darwaze pe khadra tha abhi wo aik dosre ko bohat piyar se dekh hi rahe the jab shams ne aune apni tarf mutwajah kiya
Shams ab ap dus'saal k ho gae ho ab tou har bat me apna naam lena chor do Aliyan muskurate hoe bola
MASHALLAH mera beta bohat piyara lag raha he wo muskurai
Ap ka nahi Hamara beta Aliyan foran bola---
Thankyou Mama wo bhag kar apni maa k pas aaya or aus ka hath chomne laga
Ye kiya Kar rahe ho? wo uljhi hoi nigahon se ause dekhne lagi
Ap k hath choom raha hun ap ne aini hathon se mujhe chalna sikhaya,
Mujhe sipara pardhati hein,
Mera har kam karti hen tou kiya me ap ka hath nahi choom sakta wo muskurate hoe keh raha tha
Ab agar maa bete ka piyar khatam ho gaya ho tou kiya ham ab haveli jane k liye nikle? wo naak sakodre bola
 
Anaya tum ab tak tayar nahi hoi? zain zara tez awaz se bola
Anaya jo apne cell phone me whatsapp pe masrof thi aus ne nazar utha kar zain ko dekha
Pehle tumhari beti ko tou tayar kar dun bilkul amaya jese nakhre he ais me koi dress aise pasand hi nahi aata
Anaya cell phone table pe rakh kar foran Almari ki janib lapki or Mahanoor k kapre nikalne lagi
Wao ab tum ne apne ilzam Mahanoor pe lagana shuru kar diye he aus ne aik nazar anaya k
cell phone pe dali
ye jo phone he na tumhara me aise tor dunga jab dekho tumhara whatsapp khatam hi nahi hota he
pichle kai ghanton se tum ais me lagi hoi thi ais k ilawa or kisi cheez me dehan hi nahi he
tumhara wo ghuse se bola
Anaya ko bhi ghusa aa gaya wo bhi larne medan me utar padri aaese kese mera phone tor doge? tumhein tou har waqt mujhe se koi na koi problem hi rehti he
pata nahi kiyun mene tum se shadi kar li kabhi meri kisi bat pe khush bhi ho jaya karo
Auff ho! ye phir shuru ho gae Mahanoor bechari kabhi apni maa ko dekhe tou kabhi bap ko
Anaya me tum se koi behas nahi karna chahta Aliyan bhai wale kab k wahan phunch gae he
Baba ki calls aa rahi hein he ab tak aae kiyn nahi
ab me aune kiya bataon k meri bivi ko larne se fursat ho tou hi ham aaein
Larai tum ne shuru ki thi tum ne mere phone k bare me ulta kaha mujhe kahi nahi jana tumhare sath apni beti ko le kar jao yahan se wo chilai
uff ALLAH mama kitna bolti hein baba bechare kese handle karte he wo mou banate hoe sochne lagi...
Mama cool down Bari mama kehti hein larai karna buri bat hoti he good peoples kabhi bhi larai nahi karte Mahanoor masomana andaz me boli
zain ne aik nazar apni beti pe dali Ye Dekho kuch seekho apni beti se choti si bachi ne kitni piyari baat kahi he tum aise kuch sikha tou sakti nahi ho tou kam az kam aisi se hi kuch seekh lo
Baba ap bhi cool ho jaein or mama se friendship kar lein Bari mama kehti hein jab bhi kisi ko fight karta dekho tou aun ka patchup karwa do sawab milta he  
Aus ne itne naram lehje se kaha k zain or Anaya hans diye zain aus ki tarf bardha or ause piyar karne laga...!
Thanks to Amaya bhabi jo meri beti ko achi baatein sikhati hein--- wo tanziya nigahon se anaya ki janib dekhte hoe bola  
                              ----****------****-----****-----******-------


Aj haveli aae auneh do din guzar chuke the sab bohat khush the!
Hamas or Haniya bhi dubai se aa chuke the aun k bache MASHALLAH bare ho chuke the
pichle do din me Amaya ko kai porani baatein yad aai thi jab wo Aliyan k sath pehli bar ais haveli me aai thi or pehli mulaqat me hi Hina chachi se bohat free ho gai thi
wo blue dress pe red hijab me malboos hath me kitab liye sham k waqt bahar lawn me darkht(tree) se tek lagae behti thi jab Aliyan ki awaz aus k kano se takrai
Amaya tum kiya kar rahi ho? wo samne se chalta howa aa raha tha jab aus ki nazar aus k hath me pakri kitab pe padri
Oh Mushaf pardh rahi ho tum pichle kai salon me ais Novel ko kai bar pardh chuki ho kiya ye tumhein itna pasand he?
Ab aus ne apne chehre se kitab hatai
Aliyan ye mera Favourite Novel he or ap ko pata he ye mera favourite kiyon he?
wo nafi me sar hilate aus k pas beht gaya
Ais me Quran'pak ki baatein likhi he wo halka sa muskurai
Acha phir tou me bhi pardun ga Hoorain or shams kahan he? wo nazar yahan wahan ghumate hoe bola
sab bache khel rahe honge Mashallah Hoorain or Mahanoor kab 7saal ki ho gain pata bhi nahi chala amaya muskurai
Hanw par tum ab bhi budhi nahi hoi ho Aliyan maskharana andaz me bola
Aliyan Ramsha bhabi--- wo bolte hoe hichkicha rahi thi
Amaya tumhein pata he Ek Kante Ka Darkht Kisi K Ghar k samne paida hogaya parosiyo ne kaha
ais ko ukhad dete he
aun k ghar k aik shaks ne kaha kal ukhad lege or kal kal karte karte darkht ne apni jagah mazboot bana li or ukhadrne wala budha ho gaya tou
hum sab ko bhi chahiye k buri adaton ko nazar andaz na karein
hamare nazar'andaz karne se yeh dil mein aase jam jati he k hamein hosh hi nahi rehta or
aese hal me ham ALLAH ko bhool jate he or apni man'marziyan karne lagte he
or phir hamara hal bohat bura hota he or aisi hal me ham ALLAH k pas chale jae ge
ham me jo buraiyan he hamein aune ahista ahista khatam karne ki koshish karni chahiye or koi bhi kam bina koshish k mumkin nahi hota
ham koshish karte rahe ge tou aik din ALLAH ko zaroor Paa lein ge!
Amaya bina palk chaphke ause dekh rahi thi Kiya howa aese kiyun dekh rahi ho?
kuch nahi aus ne sar jhatka...!
Asar ki azan ka waqt hone wala he me masjid ja raha hun mujhe azan deni he wo jane k liye uth khadra howa
Khushnaseeb he wo jawani jo ALLAH pe fida ki jae burhape mein tou har koi ALLAH k pass jata he ALLAH itna kareem he phir bhi rad nahi karta
lekin jawani ki ALLAH qeemat ziada lagata he
hamare Nabi pak S.A.W ne farmaya!
"Jis Ki Jawani ALLAH Pe Fida Hogi Us Ko Hashar Kay Roz Arsh Ka Saya Milega"...!

kuch hi der me Asar ki azan hone lagi bohat hi khubsoorat awaz logon k kano se takrane lagi
Aliyan Mustafa jo logon ko jute ki nok pe rakhne wala shaks tha,
jis me ghamand kot kot kar bhara tha,
jo bohat proudy sa tha,
jise apne mazhab k bare me kuch bhi nahi pata tha
jise sirf logon ko hurt karna aata tha,
Agar ause kisi ne control kiya tou ALLAH ne kiya
Aus k gale me mohabbat ki rasi dal di
kabhi na khatam hone Muhabbat
Aliyan ki apne Rab se Be-inteha Muhabbat....!

Aj samaira k nikkah k aik roz pehle Mustafa Alam apni zoja k hamrah haveli aa rahe the wo pehle se ziyada zaheef ho gae the abhi wo gaon me dakhil hi hoe the jab auneh azan sunai di
Aliyan mera beta Azan de raha he aun k chehre pe aik alag hi khushi thi Mrs.Mustafa k chehre pe bhi khushi numaya hoi
Mashallah hamara beta kitni khubsoorat azan deta he wo muskurai...
Driver Masjid ki tarf ghadri ghuma lo me asar ki namaz pardh kar Aliyan k sath hi haveli aa jaon ga...
Thek he janab Driver ne masjid ki tarf ghadri ghuma li..
Masjid mein koi nae Molvi sahab aae he kiya? kuch log khadre apas me baatein kar rahe the
Pata nahi Molvi Asadullah sahab tou kisi kam se dosre gaon(village) gae hoe he shayad auno ne apni jagah kisi dosre molvi ko bhej diya hoga aun me se aik shaks bola
Mashallah Molvi sahab bohat hi sakoon or naram lehje se bohat hi khubsoorat azan de rahe he
ais bar aun me se koi dosra shaks bola
Shams bhi Aliyan k sath Masjid me namaz pardhne aaya tha apne dada ko aate dekh wo khushi se bhagta howa aun k pas aaya
Asalam wa alaikum Dada jan chehre pe wohi masomana muskurahat wo bohat piyar se apne dada ko dekh raha tha
Wa alaikum asalam mere bete! auno ne bhi bohat khushi or josh se jawab diya or ause piyar karne lage
Aliyan ko apni tarf ata dekh wo muskurae jawab me aliyan bhi muskura diya or khushi se salam karte hoe apne baba k gale laga!
ap kese hein?
me thek ho ALLAH ka shukar he or tum dono ko dekh liya ab or behtar ho gaya hun chalo aao namaz pardhen phir bad me baatein karte he
Shams ap ko namaz pardhna aati he? auno ne muskurate hoe sawal kiya
jee baba ne sikhai he or ap ko pata he shams roz baba k sath namaz pardhne jata he or baba or mama shams ko sipara bhi pardhate he..
very good ais ka matlab shams ab bara ho gaya he auno ne muskurate hoe aus ka gal thap'thapaya...
ab wo teeno ba'jamat namaz aada karne lage...!    
                        -----****----****----****-------


Mahanoor blue froak me malboos aik table pe tang pe tang rakhe behti thi wahan se guzarte hoe amaya ki nigah aus pe padri tou wo aus k pas aa kar beht gai
kiya howa Mahi ap aese kiyun behte ho?
kuch nahi bari mama wo madham si awaz me boli
Kuch tou hoa he chalo ab jaldi se bari mama ko bata do good peoples baatein nahi chupate
ab amaya ne apna hath apni gardan k piche rakha
Bari mama meri mama itna kiyun bolti hein? Wo uljhi hoi nazron se dekhte hoe boli
Mahanoor ap ki mama shuru se hi bohat bolti hein me bhi bohat bolti thi wo muskurai
ap ab ziyada kiyun nahi bolti?
Amaya kuch der khamosh rahi phir kuch sochte hoe boli bas wese hi waqt k sath sath hamari sab adatein change ho jati hein...
Mahanoor thi tou Anaya ki copy par bolne k mawmle mein wo apne bap pe gai thi zara kam hi bolti thi...!


Aj Samaira k nikkah ki taqreeb thi taqrebann sab mehman aa chuke the or sab tayar hone
me Masroof the!
Amaya light peach fraok me malboos tayar hone k liye Dresing table k agey khadri hi hoi thi jab Aliyan kamre me dakhil hoa Aus ki nazar Dresing table pe rakhe makeup pe padri
Amaya makeup mat kiya karo wo almari se kapre nikalte hoe bol raha tha tum makeup k bina hi MASHALLAH piyari lagti ho
Amaya jo face'powder uthane k liye dressing table ki tarf hath bardha rahi thi aus ne apne hath wahin rok liye or apni nazar Aliyan pe dali jo hath me apne kapre liye khadra ause dekh raha tha
par ye churiyan aus ne ankhon se churiyon ki tarf ishara kiya ye churiyan zaroor pehna karo tumhari kalai me achi lagti hein---
or tumhara ye hijab tum hijab me bohat khubsoorat lagti ho wo muskurate hoe wahan se chala gaya
or wo ab bhi herani se ause jata howa dekh rahi thi...
Aliyan ne kabhi khul'kar aus ki tareef nahi ki thi
kuch der me Sab tayar ho kar main hall me aa gae!
Amaya hoorain ko dekhne Anaya k kamre me aai tou Wahan Aliyan or shams maujood the
Surprise..............! wo dono aik sath bole
aune dekh kar Amaya ki ankhein khuli ki khuli reh gain
Kiya howa aj se pehle koi handsome larke nahi dekhe kiya? Aliyan aus ki ankhon k agey hath hilate hoe maskharana andaz me bola
kon se larke? wo hansi dabate hoe boli
Ehm Ehm ausi doran koi khansta howa kamre me dakhil howa
Baba jan-- Aliyan k mou se chand Alfaz nikle wo jo amaya ki tang khenchne k liye tayar khadra tha apne baba ko ata dekh ab wo sehda khadra ho gaya
Mustafa Alam ne jab aun bap bete ko dekha tou wo bhi kuch pal dono ko dekhte hi reh gae
Aliyan or shams aik jesi cotton ShalwarKameez mein malboos behad handsome lag rahe the
Mashallah Mashallah Amaya ye dekho shams bilkul Aliyan ki copy lag raha he Aliyan jab dus'saal ka tha tab bilkul aesa hi tha
Amaya dono ko aik jese kapro me malboos dekh kar bohat khush hoi wo dono waqai bohat ache lag rahe the Akhir shams ne apne baba jese kapre pehan hi liye...!
Mama shams Baba se ziyada acha lag raha he na? wo apne bap ko dekhte hoe muskuraya
jee bilkul ap ho hi itne piyare bilkul apne baba jese wo madham sa muskurai
apne baba k nam pe wo bhi halka sa muskura diya ap ko pata he baba ne shams ko ye dress gift kiya he aus k chehre pe khushi or excitment se mile'jule taa'surat the
Amaya Light peach froak pe hijab me malboos bohat khubsoorat lag rahi thi Mama you looks pretty wo muskurate hoe bola
Amaya hoorain kahan he? Aliyan ko yad aane pe aus ne sawal kiya
Me ause hi dekhne aai thi wo hamas k pas thi ap log niche chalein me hoorain ko le kar aati hun...
aus ne har jaga dekh liya par hoorain ause kahin nazar na aai Amaya tou jese sans lena hi bhool gai aus ki ankhon me ab ansu jama hone lage Lawn ka khayal aate hi wo foran bahar lawn ki janib lapki
wo lawn me phunchi Hoorain Amaya jesi light peach froak me malboos wahan khadri thi...
Ause sahi salamat dekh kar amaya ne ALLAH ka shukar ada kiya or foran aus ki janib lapki Hoorain ap yahan kiya kar rahi ho?
kiyun kiya howa mama?
Beta mama ne ap ko har jagah dhonda ap k nazar na aane pe mama bohat dar gai thi ab wo ause choomne lagi
Mama ap mujh se itna piyar karti hein? wo muskurate hoe boli
hanw bohat Amaya ne ause aik bar phir chooma
Mama me ap ki piyari beti hun na?
Hoorain ap sab se piyari hein maa ki bat pe wo muskurai
Mama Hoorain ka matlab kiya he?
Hoorain jannat ki hoor...!

jis waqt Amaya or Hoorain main haal me dakhil hoi Aitfaq se ausi doran Aliyan or shams bhi sedriyan utar'te niche aa rahe the sab ki nazar aik tarf maa beti pe padri or dosri tarf bap bete par
Mashallah Aj tou sab hi bohat piyare lag rahe he Hina chachi ki awaz kano se takrai
Ami dekhein zara dono maa beti ne aik jesi froak pehni he or bap bete ne aik jesi shalwarkameez MASHALLAH kitne piyare lag rahe he Haniya khushi se boli
Anaya tum ne or Mahanoor ne aik jese kapre kiyn nahi pehne? ais bar Shanze ne sawal kiya
Mujhe aik jese kapro ka khayal hi nahi aaya Anaya ne foran jawab diya
Hanw whatsapp se bahar nikle gi tabhi koi khayal aae ga pas khadra zain Ahista se bola jis pe anaya ka mou sa ban gaya
Hoorain you looks pretty like mama shams ne bhi amaya k andaz mein aus ki taref ki jis pe sab hans diye...!
Hoorain tum ne mama jesa hijab kiyun nahi pehn'na? shams ne aus se sawal kiya
Bhai me abhi choti hun na mujh se hijab carry nahi hota...
Aww meri piyari beti Aliyan ne ause goooodh me utha liya or ause piyar karne laga...
Nikkah ki rasmein shuru hogai Samaira ka nikkah Mustafa Alam k qareebi dost k bete k sath kiya ja raha tha...
Hina chachi bohat khush dikhai de rahi thi Mashallah se aun ki do betiyan apne ghar khush thi or ab tesri beti k farz se bhi wo azad ho chali thi...!
Amaya samaira se baatein karne me masroof thi
Bhabi Ap ko yad he jab ap pehli bar hamare yahan aai thi me kese ap k kamre me chipak hi gai thi or haniya baji mujhe zabardasti wahan se le kar gai thi
ap ko pata he ap mujhe waqai bohat khubsoorat lagi thi ap ki attractive personality he jo logon ko khud apni tarf attract karti he
ap ko pata he mene ap ko dekh kar dil me socha tha k ALLAH PAK kash mera koi bhai hota tou me Amaya ko apni bhabi banati or dekhein Allah ne ap ko meri bhabi bana hi diya
Aliyan bhai jan saggee bhaiyon se kam thori he wo bohat ache he samaira porani baatein yad karne lagi jis pe amaya ki hansi band nahi ho rahi thi
Bhabi ap ko tou chae bhi banane nahi aati thi phir ap ab achi cooking kese kar leti hein?
samaira ap ais waqt dulhan hein or achi dulhane itna bolti nahi he Amaya ne ause qail kiya
O cum'on bhabi ye 90's ki shadi thori he jo me sharmaon,ghabraon, khamosh behti rahun mujh se nahi behta jata chup chap wo mou banae boli
jis pe amaya ko hansi aa gai acha medam!
Bhabi kiya kabhi Ramsha bhabi ne hoorain se milne ki koshish nahi ki?
Nahi-- or Aliyan nahi chahte k Ramsha ka saya bhi hoorain pe padre...
Touba he Sam tum kitna bolti ho kab se me tumhein note kar rahi hun tumhari zuban chup hi nahi ho rahi he ab khamosh ho jao ais se pehle k tumhare sasural wale batein banane lage Shanze ause khamosh rehne ka hukam dene lagi
Mere bolne pe sab ko itni takleef kiyun hoti he thek he nahi bolti mein or sasural ja kar bhi nahi bolun gi phir sab kahe ge gongi bahu le aae he wo nak sakodre boli
hanw reh hi na lo tum chup Shanze ne ause tokaaa...
Acha shanze api ab bas bhi karein aj tou sam dulhan he aj tou sam ki chalne dein ais bar amaya boli
Amu idhar aao Anaya ne ause awaz di tou wo uth kar chali gai...
Shanze api amaya bhabi bhi tou bohat bolti thin or ab dekhein shadi k bad wo kitna badal gai hein me bhi badal jaon gi wo foran boli
Sam tum amaya jesi nahi ban sakti---wo agey bhi kuch kehne wali thi par ause kisi ne awaz de li


Amaya pole k pas khadri thi jab Aliyan aus k pas aaya!
yahan akeli kiya kar rahi ho?
Anaya tumhein dhond rahi thi
jee aus se bat ho gai he ab wo apne gale se heart shape ka lokit utarne lagi
ye lokit kiyun utar rahi ho?
aus ne apna lokit Aliyan ki janib bardhaya Aliyan me apna dil ap ko de rahi hun sunmbhal k rakhiye ga
Amaya tum apna dil mujhe 15saal'6mahine'20din pehle hi de chuki thi wo hath agey bardhate hoe itni naram or piyar bhare lehje se bola amaya k chehre pe muskurahat aa gai
or aus ka chehra glow karne laga...
Nikkah ki taqreeb ache se ho gai sab ne khoob mehfil lagai gappe'mare sab kuch ache se ho gaya...!

                   ------****----****----****------*****-------  
   

Ab wo wapas karachi aa gae the...!    
Raat k waqt dinner karne k bad Aliyan or zain tv lounge me beht gae or tv par match dekhne me masroof ho gae
Hoorain apna school ka home'work kar rahi thi or shams mahanoor ko tang karne me masroof tha
jis pe mahanoor naraz hogai or rone lagi anaya aun ki sulah karwane lagi,
Aun ki sulah karwate karwate Anaya bachon ko apni or amaya ki dosti k qisse sunane lagi
jis pe dono bachon ka mou se ban gaya oh no chachi phir shuru ho gain shams mou banae dil me sochne laga
Anaya aksar bachon ko porani baatein bataya karti thi or wo baatein ab bachon ko hifz ho chuki thi
Auf ap kitna bolti hein?
Anaya ki patar patar baton pe dono bachon ne apni ankhon or kano pe hath rakh liye or kuch hi der mein wahan se uth kar bhag gae...

kuch hi der me amaya sab k liye coffe le aai aik bar phir sardiyan shuru ho gai thi thand bohat thi hawa bhi kafi thandi chalne lagi...
Amaya or Anaya ko andar ata dekh wo dono muskura diye jawab me aun dono ne bhi muskura kar dekha!
Garam garam coffe ready he amaya ne coffe mug aliyan k agey kiya or anaya ne zain k..
par dono ka dehan match me aese tha jese ain k aas paas koi he hi nahi amaya ko ais harkat par bohat ghusa aya or anaya ka to mau hi latak gaya aus ne zain se remote cheena or garam garam coffe mug aus k hath me thama diya
jis pe wo Cccc karta reh gaya par kuch bol na saka aun dono ne apni biviyo k mood ko samjhte howe samjhdari se tv band kar diya or coffe peene lage..
wao amaya kiya coffe banai he tum ne tumhein yaad he tum ne jab first time mujhe coffe pilai thi apne ghar bilkul wesi hi coffe he bas farq sirf itna he k tab me taref na kar saka or aj kar raha hun wo muskuraya aus k lehje me itni narmi thi k amaya bhi muskura di...
Aliyan bhai ap ko pata he Amaya jab bhi ap ko dekhti thi ais k dil me koi na koi sound chalne lagta tha ye itni pagal thi
specially ap ka ghusa ap k ghuse or ego ne hi ais k dil me jagah banai thi ap pehle aese shaks the jo amaya par yuu bewajah chilae wo bhi full ghuse or roab mein haha sab keh'ka laga kar haaanse...
Really Amaya tab tumhein mujh par ghusa nahi aaya tha?
aaya tha par bad mein mujhe pata nahi kyon ache lagne lage ap ka ego or roub mein phirna acha lagta tha or zain tumhein pata he university mein anaya tumhein dekh kar bure bure mou banati thi
aise tou samjh hi nahi ata tha k fahad kon he or zain kon hahaha ab bolo beta anaya bohat bolna aaraha tha tumhein Amaya aus ki tang khenchne lagi....
porani baatein yad karte coffe ka mug kab khali ho gaya pata hi nahi chala...
zain ab soffee se uth khadra howa fahad bhai bhi hote tou kitna maza aata pata nahi kiyn aun k sath aesa howa wo akele aun ka tou dil bhi nahi lagta hoga wahan zain k chehre pe udasi thi...
ab aliyan bhi khadra ho gaya bas jo hona tha hogaya ab kiya kar sakte he zain tum dil chota na karo chalo so jao ja kar aliyan ause gale laga kar tasali dene laga!

kuch der bad zain aliyan ko kitchen me nazar aaya yahan kiya kar rahe ho anaya kahan he?
pani peene aaya tha wo tou kamre me gadhe ghoodre bech kar so rahi he kiyn koi kam he?
nahi amaya kamre me nahi he mujhe laga shayad dono bichdri hoi saheliyan gapee mar rahi hogin aik tou ham bhai ain saheliyon me phaas gae he kitna bolti hein ye dono auff
sssh ahista bolein bhai sun liya na tou class lag jae gi wese i think bhabi bachon k kamre me hongi hamesha ki tarah aun ki adat jo he sone se pehle bachon k kamre me jaa kar check karna k teeno bache so rahe he ya nahi...
hanw ye tou he khair tum jao me dekhta hun ye keh kar aliyan bachon k kamre ki janib chal diya..
fahad ki beti jo k aram se so rahi thi amaya aus k side me behti bohat piyar se aus k sar pe hath pheer rahi thi..
Aliyan darwaze par seene pe hath bandhein khadra amaya ko bohat piyaar se dekh raha tha wo ahista ahista dabe paon aus k qareeb aaya or bed pe beht gaya
Amaya k dono hath apne hathon me liye amaya tum ne apne ap se ziyada hamesha dosro ko ehmiyat di he meri bematlab zindagi ko itna acha banaya mujhe sikhaya k zindagi kiya hoti he
kese khush raha jata he tumhare liye hamesha dosron ki khushiyan pehle rahi hein...
Aliyan ka lehja itna naram tha k aus k chehre par muskurahat jhalakne lagi zindagi ki asal khoobsurati ye nahi k hum kitne khush hein
bal k zindagi ki asal khoobsurati tou ye he k dosre hum se kitna khush hein..

Amaya me bohat khush hun tumhein apna hamsafar bana kar tum ne hamesha mera sar fakhar se ounchaa kiya he kabhi kisi k samne jhukne nahi diya
tum ne mere liye khud ko badal kar kitna bara compromize kiya he tum bhi tou meri tarah Egostic roab'dar attitude wali howa karti thi but tum ne mere liye ye sab kuch chor diya
yahan tak k tum ne Ramsha ko bhi kabhi koi jawab nahi diya ramsha k galat ravaiye k bawajood aus ki beti ko apnaya tumhein kabhi bhi hum bhaiyo se koi problem nahi hoi
jab k ramsha ko hamesha hum bhaiyo se bhi problem hoti thi Amaya tum itni achi kiyon ho?
ALLAH ne banaya he or ramsha ki galtiyo me Hoorain ka kiya qasoor wo tou masoom bachi he or hum ab kabhi bhi ais topic pe baat nahi kare ge amaya ne narmi se jawab diya....
Amaya aj me fakhar se ye kehta hun k mujhe tum se ab toofani qisam ki muhabbat he and i really proud of you..
Amaya ab bhi chehre par muskurahat sajae khamoshi se ause sun rahi thi..
Amu pata bhi nahi chala or ye saal kese guzar gae hamare bache kab bare ho gae pata bhi nahi chala or tum ne Hoorain ka khayal shams se bhi ziyada rakha he
mujhe umeed he Hoorain tum jesi hogi kiyon k aus ki parwarish tum kar rahi ho me nahi chahta k wo apni maa pe jae bas tum hi aus ki mama or me Baba hun wo hamari beti he...
or me ap ka beta...
aik awaz aun k kan se takrai Aliyan or amaya ne yahan wahan nazar ghumai
shams ne ankhon se hath hataya naughty boy soe nahi ap abhi tak? buri baat he na kisi ki baatein sun'na..
sorry Mama mein tou so raha tha par ap ki baaton se ankh khul gai or mujhe khushi ho rahi he
Baba ko itna piyaar se baatein karte dekh kar shams shararti lehje me bola...
badmash bohat baatein aagai he ap ko kahan se seekte ho ye sab?
internet se...
Amaya k chehre par herani bhare tasuraat the Aaaw aliyan dekhein pehle kehta tha khud se or
ab kuch bara ho gaya he tou keh raha he internet se
aj se ap ka tv net sab band
amaya ki bat pe aus ka mou sa ban gaya shams chalo ab jaldi se sojao subha school bhi jana he Aliyan ne ause sone ka ishara kiya
Baba dekhein naa mama ko shams ne mazaq kiya tha me tou bas cartoons dekhta hun or games khelta hun wo mou latkae bola
Me kiya dekhon beta me tou roz hi dekhta hun ab ap ki mama ne kaha he net band tou band chalo aj baba sulae ge apne tiger ko...
wo kehna chahta tha(Baba ab me bara hogaya hun khud sojao ga par ause ais waqt apne baba par toot kar piyar araha tha)
agar wo ais waqt 18saal ka bhi hota tou apne baba ko ye na kehta k me bara hogaya hun khud sojao ga
ab Aliyan aus k bed par behta ause sulane laga i love you baba jani shams ne muskurate hoe ab ankhein band kar li...
i love you too beta Aliyan ne aus k gal pe chooma Aliyan k chehre par madham si muskurahat thi!
Amaya wahan se jaane lagi tou Aliyan ne aus ki kalai tham li or wo wahin ruk gai!
Amaya i love you...
i love you too Aliyan...
ab wo uth khadra howa Amaya tum ne mere liye bohat kuch kiya mene kabhi socha bhi nahi tha koi mujhe itna chah sakta he ab aus ne amaya ko gale se laga liya...
ye sab mene apni ajeeb chahat k liye kiya wo muskurate hoe boli...
Ajeeb chahat?? Aliyan ne herani par piyaar se aus ki janib dekha
hanw "Amaya ki ajeeb chahat Aliyan" wo aus ki nazar se nazar milae muskura kar boli....
Thankyou so much aliyan mujhe samjhne k liye me bhi bohat khush hun k mujhe
ap jesa hamsafar mila
dono aik dosre ko piyar bhari nigahon se dekh hi rahe the k achanak light chali gai
Oh shoot! Ups kiyun nahi chala? Amaya ki awaz aus k kano se takrai
Shayad battry kharab ho gai hogi subha check karun ga Ab wo table ki janib bardha or
table pe rakhi mombati(candle) jalane laga
Amaya bhi aus k pas aai or aik mombati utha kar soffe ki janib badri Aliyan bhi hath me mombati liye aus k piche aaya or dono apne hath mein mombati pakre soffee pe beht gae...

wo bohat piyar se aik dosre ko dekh rahe the
Aliyan jab mene pehli bar ap ko dekha tha tab mere dil me sound bajne lage the
Wo mathey pe bikhre baal,
Purkashish ankhein,
Ghuse se uthi hoi naak,
Chehre pe roub,
wo sab bohat hi khubsoorat sa tha wo bohat naram or piyar bhare lehje mein
apni bat keh rahi thi jis pe Aliyan Madham sa muskuraya...!  
Amaya aik baat kahun agar tum sunti ho
Tum Mujhe bohat achi lagti ho ....! <3 <3 <3


Ajeeb chahat k laad ka naam Amaya Aliyan he...!
Jeene k liye ab bas Apne rab k bad "Amaya k liye aik Aliyan
or Aliyan k liye aik Amaya"...!
Amaya ki Ajeeb chahat apne rab se,
Ajeeb chahat apne nabi se,
Ajeeb chahat apne mazhab se,
Ajeeb chahat Apne waledein se,
Ajeeb chahat apne shohar se,
Ajeeb chahat apne Bachon se,
Bas yehi he Amaya or auski ajeeb chahat....!
Phir howa kuch yuu k dastan-e-ajeeb chahat pori hoi Amaya ki....



                                         Writer: Muntaha Arain





1 comment: