Wednesday 27 January 2016

A Complete Novel Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

SUNDAY 6SEPTEMBER2015

Novel se pehle kuch zaroori batein!

Asalam wa alaikum! Mera Naam Muntaha Arain he...
Ye Mera pehla Novel he, Meri pehli koshish "Amaya or aus ki ajeeb chahat"
Mujhe Lafzon se ziyada Acha khelna tou nahi aata par phir bhi aik choti si koshish ki he
pichle kuch time se irada tha k kuch likhun par koi inspiration nahi mili jis se inspire ho kar mein koi Novel likhti..
Hamari talented writer Ma'am Nemrah Ahmed k Novels pardhne k bad me khasi Inspire hoi ain ki jitni tareef ki jae kamm he...
Ma'am Nemrah Ahmed meri Inspiration hein...
Shayad mein Ain ki Tarah Ziyada ache Lafzon Ka intekhab tou nahi kar saki par
phir bhi koshish ki he Apna talent dikhane ki or Mujhe ab andaza howa he k Kitni Mehnat hoti he Novel likhne mein...
Writers jo Mahina bhar humein apne Novel k episodes ka intezar karwate he wo thek hi karwate he mujhe ais baat ka ehsas ab Howa he...
me janti hun apni jaga banana koi asan kam nahi hota apni aik pehchan banane me waqt lagta he nae writer ko tasleem karna qarain k liye asan nahi hota jab bhi koi naya naya likhna shuru karta he tou ause bohat si chezon ko face karna hota he baz’oqat writer ki taref ki jati tou kabhi tanqeed ka nishana banaya jata he or qarain ne ache ache writers ko pardha howa hota he tou wo new writer ko aun se foran compare karne lag jate he or dosri soorat me aisi kahani k qalabe milane me der nahi karte farq sirf soch ka hota he zehan ki was’aat ka hota he or aese mein log nae aane walon ko tasleem nahi karte phir aese me writer tanha reh jata he or wohi waqt writer k liye aik imtehan hota he…
Umeed he ap sab ko mera ye pehla Novel pasand aae ga
Me shukriya ada karti hun apni bestfriend "Komal Nisa" ka jis ne mujhe Motivate kiya mujhe ehsas dilaya k me likh sakti hun or mujhe likhna chahiye..

Ab kuch baat karte he Novel k bare mein!
Ye kahani he aik aesi larki ki jo bohat stylish he, jis me ghusa hi ghusa bhara he, jo stylish hone k sath sath mazhabi bhi he
hamari society mein yahi samjha jata he k jo stylish hota he ause apne islam k bare kuch khabar nahi hoti aune fashion k ilawa or kuch nahi aata or ye bhi hamari apni soch he
Aik aesa Larka jise islam k bare me kuch nahi pata jise bas apni dolat par garoor he jo ghamandi he...


"Amaya or aus ki ajeeb chahat"….?
Ap log soch rahe hon ge ye kesa naam he kesi chahat kiya ye koi love story he…?
Amaya ki chahaten ajeeb hi nahin balke behaad mukhtalif Or Munfarid bhi hein
Amaya ki apni Family Se Chahat,
ausko Tootne Na Dene ki Chahat,
Har Rishte Ko Bakhubi Nibhane ki Chahat,
Duniya Mein Apne Rab Ko Razi Karne ki Chahat ko Naam Diya Gaya Hai.
"Amaya Or Auski Ajeeb Chahat"….!
This novel is not about just an one love story between boy & girl.
Its about our religion, its about love, Hate, Jealousy & misunderstanding
Ais novel mein, mene hamari zindagi ki har choti bari chezon k bare mein aik simple way me likha he
Amaya character who is funky,Frankly,jolly,Egoistic,humble,Attitudeful, and good person with good nature..
Ais novel me sab fictional characters hein koi bhi character real nahi he accept "Masi Bano"
Apni FeedBack zaroor di jjiye ga shukriya....


                             Writer: Muntaha Arain



                           ------*****-------*****------*****------


A Complete Novel

Episode 1st          
                       Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain


Ye kahani he aik aese shehar mein rehne wali larki ki jahan har waqt chehal'pehal rehti he jaahan adhi raat mein bhi din ka manzar dikhai deta he jahan roshniyo ka basera he
jise shehar-e-Quaid kaha jata he Roshniyo k shehar Karachi...!
Aik larki he Amaya khobsurat si,
chulbuli si,
apni duniya me mast beparwah si,
thori sensitive si,
thori emotional si,
thori egoistic si,
thori shararti si,
thori sharmeeli si
thore ghuse wali par cute si,
kabhi khati kabhi meethi si,
wafa k roop si,
thori stylish si...!
“Amaya key sirf mouh par ghussa hota hai andar se wo bilkul mombatti ki trah he zara si aanch dikhao pighal jae gi” or most important all the time helper matlab ais ka bussiness dosro k pango me tang adraa kar kisi ki help kay liye scheme chalana or ais ke lakhon deewane par ye dewani apni hi duniya me mast...
Amaya Amir software enginearing ki student he bohat mehnat or lagan se pardhne k baad akhir aus ka addmission "karachi university" mein ho hi gaya...
ye aik intelligent student he jo bhi assignment ya kisi bhi cheez k liye madad mangta wo foran hami bhar leti or zaror madad karti kisi ko mana nahi karti wo har tarah ki madad karne k liye medan me koood pardhti or sab ko Amaya ki yehi adat bohat pasand aane lagi ais ne apna aik ideal bana rakha he
(jis me thora bohat ego hO,baro ki izat karta ho softheart ho intelligent ho nature acha ho jo aus se baat kare bas wo aus se inspire hojae)
wo jo mangti sab ause milta jo chez ause pehli nazar me pasand aajae ause apni zid bana kar hasil kar hi leti ..
sardiyon k din shuru hogae clases ka agaz feburary mein howa jab Amaya ne university join ki aus k kuch din bad aik larki jo blue jeans par pink long shirt, ounchi poni, maflar gale me lapete howe, hath me kuch kitabein pakre class mein dakhil hoi aus k chehre par pareshani thi shayad wo aik nai jagah aa kar khud ko akela mehsoos kar rahi thi bohat ghabri hoi lag rahi thi wo Amaya ki pass wali jagah pe aa kar beht gai...
Najane aus me aesa kiya tha jo Amaya khud ko rok na saki or aus se bat karne lagi..
Hello ap ka naam?
Mera naam Anaya Ahmed he or ap ka?
jee mera naam Amaya Amir he, ap pareshan lag rahi hen?
jee me itne sare nae logon me aa kar ajeeb mehsoos kar rahi hon peshani pe ba'l padre howe apne chehre par masomiyaat sajae wo amaya ko dekhne lagi!
Amaya ne muskurate hoe aik nazr aus pe dali ajeeb kiya mehsoos karna me hon naaw aj se hm ache dost or batao tumhari pasandida chezein kiya hein ?
Anaya ause apne bare mein batane lagi or dono baaton mein mashgol hogain...
jese jese waqt guzarta gaya dono ki dosti or gehri hoti gai wo apas mein bestfriends ban gai jese kai saalon se aik dosre ko janti ho…
university mein sab aineh behne samjhne lage...
Computer Lab se free hone k bad dono cafeteria ki janib ja rahi thi, ausi doraan aun ki nazar
(kuch larko)par pardhi shalwar'kamez mein malboos bare roub se chalte phirte dikhai de rahe the,
jo k roub'dar par sweet kahen se bhi nahi khud ko aala'makhloq samjh rahe the...
kisi se bat nahi karte apas me hi gumm rehte or apni tarf dosro ka dehan karne k liye ajeeb harkatein karte...
Anaya ye namone kon he- Amaya aun ki janib dekhte howe boli!
Anaya ne sar utha kar aun ki janib dekha pata nahi honge koi humein kiya wo mou banae boli
jis pe amaya muskura di or gardan jukae cafeteria ki janib chalne lagi anaya bhi aus k sath sath chal rahi thi Amu mein tumhen aik bat bataon kiya tum yaqen karogi?
wo apne bag se kuch nikalne lagi..
hanw bolo Anaya mujhe tum pe khud se bhi ziyada yaqen he...
mene jab tumhein pehli bar dekha tha, aj se (do saal pehle)tab mene dil me dua mangi thi k ALLAH pak kassh ye larki meri best friend hoti...
"do saal pehle" wo lafz dohrate hoe wahin khadri hogai
Amaya k chehre pe herani chah gai 'do saal pehle' kahan dekha tha? wo dil me sochne lagi...

Aik shaks bhagta howa aun k qareeb aaya Amaya sir sikandar tum dono ko bula rahe he furqan ne sir k office ki tarf ishara karte howe kaha...!
dono ki baat bech me hi reh gai or wo dono office ki janib chal di...
                              -----****----****----****------

Episode 2nd
                       Amaya Or Aus ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

kuch hi der mein Chuti ka waqt ho gaya Amaya or Anaya tehal'te howe bahar parking area me nikal aai
dono baaton me magan aik gadri k piche tek lagae khadri hogai or mazeed baaton mein masroof rahi achanak gadri start hoi or dono dhaz kar k niche zameen par giri
Gadri me behte shaks ko mehsoos howa k kuch girne ki awaz aai he wo foran gadri rok kar bahar nikla Shalwar'kameez me malboos, baal bhikre hoe, ankhon pe glases lage hoe, uthi hoi naak, fair colour,
wo ankhon se glases hatate hoe piche dekhne laga…
Amaya or Anaya zameen se uth'te howe apne kapro ko jhad rahi thi!
ye kiya badtmeezi he andhe ho nazar nahi aata? wo ghuse se aus par chilai
mene kiya kiya? wo sawaliyan nazron se ause ghoorne laga
jab tumhein pata he k hum gadri se teek lagae khadri hein tou bata nahi sakte the k hat jao me gadri start karne laga hun?
Muhtarma pehli baat mene ap logon ko nahi dekha or dosri baat agar itna hi shok he gadriyon k sath tek lagane ka tou apni aik khud ki car lelo dosron ki gadriyon par roub na jamao wo ghuse se ause ghoorne lagi!
Aww gareeb ho car afford nahi kar sakti tabhi dosro ki gadri pe roub jama kar khadri ho meri car or mujhe hi akrd dikha rahi ho..
Amaya ne aus k gale mein pehne student card par aik nazar dali or phir aus se mukatib hoi
Mr.Aliyan mujhe koi shoq nahi he ais khatara ko tek lagane ka wo tang tayar pe marte hoe boli
meri car hoti tou me kabhi ais khatara ko tek na lagati...
Look madem! Agar ap k pas car nahi he tou ye mera masla nahi he take a side wo hathon se ishara karte hoe foran car mein behta or wahan se chala gaya!
kitna khadros he ye khud ko samjhta kia he? Amaya k chehre pe ghuse bhare ta'suraat the
aise tou zara bhi tameez nahi he baat karne ki khatara si car rakhi hoi he or ausi par kitni show mar raha he ab wo dono wahan se chalne lagin..
Choro Amu dafa karo chalo yahan kisi ne tou tumhein gareeb samjha Anaya jo k jeans pe mehroon shirt me malboos, ounchi si poni, bari bari ankhein, aik hath me bag or dosre hath me cell phone pakre wo whatsapp on karte hoe muskura rahi thi..
Amaya ka chehra guse se lal tha aus ne kuch kehne k liye labb khole hi the k Muskurati hoi Anaya ko dekhte hi aus ka ghusa ausi pal khatam ho gaya Anaya tum muskurate hoe bohat achi lagti ho jis pe wo aik bar phir muskura di..
kuch yad aane par Amaya k chehre k ta'surat aik bar phir kharab hoe kiya gareeb insan nahi hote ause jo samjhna he samjhta rahe i don't care wo mou bana kar boli or ab wono wahan se chalne lagin
acha howa wo foran chala gaya thori dair or rukta tou tum tou ause lecture hi dene beht jati ab anaya aus ki tang khenchne lagi...
First semester shuru hone wala tha sab students laibrary ka rukh kiye hoe the
Amaya ziyada’tar free time mein university ki laibrary me hi nazar aati wo books issue karwane k baad outdoor ki janib chal rahi thi jab ause kisi k girne ki awaz sunai di piche murd kar dekha tou anaya books sameet zameen pe giri hoi thi wo foran aus ki janib lapki Anaya kiya howa tum kese giri tum ne tou high heels bhi nahi pehni or ye itni sari books?
Amaya ause uthane lagi..
hanw ye books aini ki wajah se hi tou mein giri hun semester kiya shuru howa he ham students pe azab hi aa gaya he mujhe assignments banane he tou laibrary me books issue karwane gai thi wo laibrarian books issue hi nahi kar k de raha tha k ap yahan ki student nahi ho ap ko kabhi yahan nahi dekha anaya k chehre pe ghuse bhare ta’suraat the aus ki baton pe amaya ko hansi aa gai par wo apni hansi dabae zameen pe giri books uthane lagi jo larki kabhi laibrary hi na gai ho aus k sath tou aesa hi hoga
mere sath laibrary aa jaya karo phir laibrarian bhi tumhein jan le ga wo maskharana andaz me boli
Anaya mou khole ause dekh rahi thi tum taref kar rahi ho ya bezati?
Jo dil chahe samjh lo or apna mou band karo makhi chali jae gi
chalo bahar park me beht kar pardhte he ab wo dono outdoor ki tarf se guzar rahi thi
Amu mein kitni lucky hun k mujhe tum jesi itni achi bestfriend mili,
jo mujhe samjhti he mere bolne se pehle mere dil ka haal jan leti he or me bhi tumhare kahe bina hi tumhare dil ki baat jan leti hun or hum har bat share karte he,
aik dosre pe yaqen karte he we are more like sisters "ALLAH" hamari dosti ko nazre'bad se bachae "Aamen" anaya chalte hoe bohat naram lehje se bol rahi thi..
Amaya jo bohat hi stylish se outfit mein malboos,
maflar gale me lapete hoe, dheli dhali si chut'tiya kiye hoe, ankhon pe bare bare glases lagae hoe,
high heels pehne bohat hi piyari lag rahi thi...
Amaya tum kajal kiyun nahi lagati? or ye high heels pehan kar tum chal kese leti ho? Anaya ause dekhte hoe boli
Mujhe kajal pasand nahi mujhe meri ankhein bina kajal k hi achi lagti hein or mujhe High'heels behad pasand hen wo muskurai..
Acha Anaya ab ye batao "do saal" pehle tum ne mujhe kahan dekha tha? wo chalte hoe wahin khadri hogain
Mene tumhein....Ais se pehle k wo kuch kehti kisi ne piche se awaz di...
Excause me! Are you Amaya ?                                                                                                             Amaya ne gardan mord kar piche dekha or bura sa mou banaya
Aik shakhas jo cotton k kapro me malbos, baal ankhon pe gir rahe the,
jee hanw me hi Amaya hun aus ne jawab diya
Mera naam 'Aliyan' he ye tou ap janti hi hen ...
Aik larka he Aliyan
Khoobsurat sa,
Roub'dar adaon sa,
Mangi hoi duwaon sa,
Chahat ki sadaon sa..!
Aik Roub'dar personality ka Malik or ye bhi Amaya ki tarah roub mein phirtaaa dikhai deta he,
thora ghuse wala, thora attitude wala, chehre pe hansi tou jese hoti hi nahi jese kabhi hansaaa hi na ho
pata nahi Aakhri bar kab haansa hoga akkdru "Amaya" ause dekhte hoe halka sa bard'badai..
kuch kaha ap ne?
Ap k kan baj rahe he wo foran boli jis pe Aliyan ka mou sa ban gaya
Me bhi yahan kis psycho se baat karne aa gaya hun wo mou banate hoe sochne laga
kiya ap k department me koi "Rushba Anjum" he?
Hamare department me ais nam ki koi Larki nahi wo foran boli..
ab wo wahan se chalne lagi wo aus se mazeed bat nahi karna chahti thi aus ne kabhi kisi anjan shaks se university me bat nahi ki thi wo dono hamesha aik dosre me hi magn rehti thin
Kiya waqai koi "Rushba Anjum" nahi- wo herani se bola!
jis pe wo chalti chalti wahin ruk gai
Nahi koi nahi he agar hoti tou ap ko bata deti...
acha mujhe koi social side pe” Rushba Anjum” nam ki larki tang kar rahi he aus ne bataya k wo ap ki dost he or ap k department se he jo koi bhi he me ause batana chahta ho k me aesa wesa larka nahi hun agar wo mere sath koi mazaq kar rahi he tou acha nahi hoga...
Aus ki ankhen ab ghuse se lal hogai, jese wo koi nasha kar k aaya ho ghusaa naak par sajae wo apni baat kehte hoe wahan se chala gaya..
Aus waqt Amaya ko kuch ajeeb laga, wo apni jeans ki jaib me hath dale khadri kisi soch me mubtala hogai aesi kon si larki he jo mera nam use kar rahi he pata lagana hoga akhir kon he jisse meri dost bn'ne ka shoq he...
4:00PM : Clases khatam hone k bad Aliyan parking area mein gaya aus ki gadri k pas aik bohat hi shandar Toyota corolla XLI new model ki car khadri thi
Aliyan ki nazar aus par gai tou wo car dekh kar aus k malik par rashk karne laga!
wao kiya shandar gadri he or colour bhi acha he'light grey'par ye he kis ki aj se pehle tou yahan ye gadri nahi dekhi abhi wo khud se keh hi raha tha k achanak aus ki nazar gadri k qareeb aati
Amaya par padri jeans par gulabi shirt mein malboos,ounchi poni tail,ankhon par bare se glases lagae wo apni hi dhunn mein bag se car ki chabi nikalte hoe chalti hoi aa rahi thi!
Driving seat k door mein chabi lagate hoe aus ki nazar Aliyan par gai jo bohat hi heerani se ause dekh raha tha!
itna heeran kiyon ho rahe ho meri apni car he kisi ki chori nahi kar rahi kesi he achi he na?
New model he aik kam karo tum bhi apni khatara bech kar aik new car lelo aus k lehje mein shararat thi wo ab bhi ause heerani se dekh raha tha!
Aww kiya howa new car afford nahi kar sakte tabhi khatara liye phirte ho agar tum mere dost hote tou me khushi se tumhein ye car gift kar deti but bad'news is Amaya larko ko dost nahi banati
ab wo maskharana hansi'hansi ais se pehle k Aliyan k chehre k ta'suraat ghuse me convert hote or wo aus par barasta wo foran wahan se 120 ki speed se driving karte hoe wahan gayab ho gai!
Aliyan ne ghuse se apni tang car k tayar pe mari or phir car me behta or wahan se chala gaya...

               ------****------****------****-------

Agle roz Sir Sikandar ka lecture khatam hone k bad Amaya department se bahar aai Anaya bhi aus k sath hi thi Amu kahan ja rahi ho?
Apni favourite jagah pe wo muskurai
Don’t tell k tumhari favourite jagah wo pakao Laibrary he Anaya ka mou sa bana
oh wow mere bolne k bina hi tumhein pata chal gaya wo muskurai
Haa! Ye tou pori university ko bhi pata he tum jao me nahi ja rahi mujhe kuch khana he me cafeteria ja rahi hun wo wahan se chalne lagi tou amaya ne aus ki kalai pakar li tum bhi mere sath laibrary chal rahi ho kal pehla paper he or hamein bohat si tayari karni he wo zabardasti aus ka hath khench kar ause laibrary le gai ab wo dono laibrary mein behti thi amu aik bat pochun?
han pocho agar me kahu k mat pochon tab bhi tum ne phoch hi leni he wo muskurai
Tum ziyada tar laibrary me hi kiyon beht'ti ho?
Laibrary mein bohat sakoon hota he or yahan ki kitabein meri bohat achi dost hein
mujhe aine pardhne me bohat maza aata he aus ki bat pe Anaya ka mou sa bana auf kitaben bhi bhala kabhi dost hoi he mujhe tou ye sab samjh nahi ati..
Tumhein samjh aae gi bhi nahi ab khamoshi se pardho or mujhe bhi pardhne do ab amaya ne maths ki book kholi or Questions solve karne me masroof hogai..
Abhi 10minute hi guzre the k Anaya ukta kar uth khadri hoi Ab tum ye kitabon se bahar naklo or mere sath cafeteria chalo bohat bhook lagi he khali pet mujh se nahi pardha ja raha or tumhein pata he na ham masti or adventure karte hi ache lagte he ais bar dono muskurai or baatein karte hoe laibrary se nikli...
Aus ki nazar aik shaks pe tehar gai, jo cotton ki white shalwarkamez mein malboos behad handsome lag raha tha, bohat hi stylish andaz se mathey pe girte baal, ghamandi uthi hoi naak, pur'kashish ankhein, wo khadra kisi se bat kar raha tha...
ye bara aj tayar shiyar ho kar aaya he kahin Rushba Anjum ko purpose tou nahi karne aaya
Anaya auski tarf ankhon se ishara karte hoe shararat bhare lehje me boli...
Humein kiya jise bhi kare purpose ause mil gai hogi auski 'Rushba' Amaya bhi shararti andaz me boli
Aj Amaya ne bina kisi ghuse k ause pehli bar bohat hi dehan se dekha tha ause dekhte hi Amaya k dil me kuch kuch hone laga....
Anaya chalo chale yahan se amaya tez tez chalte hoe wahan se nikal gai...
par kiyon kiya howa? anaya ne herani se sawal kiya....
jis pe amaya ne koi jawab na diya...
jab jab Aliyan ause nazar ata wo ause dekh kar foran wahan se niklne ki karti...
Aese hi Semester k bad aik mahina guzar gaya
Aj university mein seminar tha na Anaya tum ne attend nahi kiya?
Nahi Areeba mera Mood nahi tha
Acha Amaya kahan he mujhe aus se kuch notes chahiye last lecture kay ab areeba aus k pas beht gai
Wo abhi tak aai nahi he jab aae gi tou me ause bata dun gi Anaya ab wahan se uth khadri hoi or wahan se chalne lagi
Seminar khatam hone k bad sab students wahan se ja chuke the
Anaya seminar haal ki tarf se guzar rahi thi jab ause amaya nazar aai Amu aj itna late kiyun aai ho?
bas kuch kam tha or aj seminar tha tum ne mujhe bataya bhi nahi? Wo seminar hall k bahar khadri thi amaya ne mazeed kuch kehne k liye labb khole hi the k achanak aus ki nazar andar haal mein behte shaks pe gai ause dekhte hi wo heran reh gai…
sab ja chuke the wo shaks ab bhi wahin behta tha black jeans par white shirt or black tie lagae,
ankhon pe bare bare glases wo seminar hall me behta laptop par kuch kam kar raha tha or ais new dressing style me wo bohat acha dikhai de raha tha...
itni hasrat bhari nigahon se kiyon dekh rahi ho bechare ko? Anaya ne note kiya tou kohni marte hoe boli
Anaya ye kitna handsome lag raha he ais waqt amaya ki ankhon me ajeeb si kashish thi,
ause dekhte hi aus ka chehra glow karne laga tha, or wo khoe hoe andaz me apni bat keh rahi thi
you know, pehli bar mene Aliyan ka different look dekha he or ye ais look me behad acha lag raha he
kabhi kabhi kisi ka nazar ana bohat si bechainiyo ko door kar deta he wo ab bhi khoe hoe andaz me bol rahe thi Aj aus ne kafi dinoo bad Aliyan ko dekha tha....!
oh hello medam! wo Amaya ki ankhon k samne hath hilane lagi jo ab bhi tarsi hoi nigahon se ause dekhne me masroof thi aus k hath hilane pe wo zara chonki
h'hanw kiya kuch kaha tum ne?
Anaya ka ab mou sa bana itna bhi acha nahi lag raha jo tum itna mar rahi ho or bat suno tum kab se aise note karne lagi ho log tumhare piche bhagte he
tumhein kisi k piche pagal type hona ki zarorat nahi he samjhi na ye muhabbat wagera apne bass ki baat nahi he apan bas mazaq karte hi ache lagte he Anaya mou banate hoe boli...
Mene kab kaha k mujhe ais se muhabbat he bas acha he me janti ho ye opar se jitna egoistic or attitude wala lagta he andar se bohat acha hoga wo halka sa muskurai or wahin khadri Aliyan ko dekhti rahi or wo apne kam me itna masroof tha k ause hosh hi na tha k koi bohat hi piyar se aus ki janib dekh raha he...!
Amaya aese tou tum bhi opar se bohat attitude or ghuse wali ho par andar se bohat achi polite or cool ho tou phir kabhi kisi ne tumhein samjhne ki koshish kiyon nahi ki?
kiya kabhi Aliyan ne tumhare bare me aesa kuch socha hoga? Anaya sawaliyan nazron se aus ki janib dekhne lagi
Anaya me nahi chahti k har koi mujhe jane or Aliyan kiyon sochne laga mere bare mein ause kiya lage mujh se aus ki aik apni zindagi he mere khayal he aus ne tou kabhi thek se mujhe dekha bhi nahi hoga sochna tou bohat door ki bat...
Han or jo log tumhein dekhte he pasand karte he aune tum mou nahi lagati Anaya naak sakode boli
Amaya khamosh rahi phir achanak kuch yaad aane par aus ne khud ko jhinjhodra for God'sck Amu apne dil ko qabu me rakho ye ho kiya raha he mujhe aesa nahi hona chahiye ye sochte howe wo wahan se jane lagi...
Ruko Amaya ye tou batao tumhein ho kiya gaya he pichle aik mahine se me dekh rhi hun tum Aliyan ko dekhte hi wahan se bhagne ki karti ho akhir wajah kiya he abhi tou khadre ause dekh rahi thi or ab foran bhagne lagi
Anaya ause apni tarf mutwajah karte howe boli...
wo jate hoe wahin ruk gai Nahi koi wajah nahi he....
please amu batao mujhe!
ab wo park mein ja kar beht gain Pata nahi me jab bhi ause dekhti hun dil me kuch kuch hone lagta he or mujhe dar he k kahin mujhe wo acha na lgne lag jae,
tabhi ause dekhte hi dor bhagti hun Amaya apni gaal pe hath rakhe afsurda andaz me boli,
"kuch kuch hone lagta he matlab kiya kesa kuch kuch"? anaya ne sawal kiya...
yr pata nahi me khud samjh nahi paa rahi jab bhi ausko dekhti hon dil me sound bajta he
(Tujhe dekha tou ye jana sanam , piyar hota he deewana sanam) ais type kuch song amaya mou latkae boli,
hahaha wo kehka laga kar hansne lagi amu tum bhi naaw pori filmy ho par ho maze ki khair tumhari baton se to yehi lagta he k tumhein shayad wo acha lagne laga he anaya auski tang khenchne lagi .....
what wo or mujhe acha no way amaya mou banae boli or wahan se uth kar chal di...
wo manti bhi kese k ause wo acha lagne laga he aus k liye sab se pehle aus ki ana(ego) he wo tou roz-e-qayamat bhi ye baat tasleem na karti...
beta, tumhein kuch dino me khudi pata chal jae ga agar apna EGO thora side pe rakh kar mehsoos karogi tou! Anaya apni bat mukamal kar k muskurai...                                    
Auni dinoo kiran Amaya k bohat qareeb hone lagi, kiran class fellow he wo amaya se dosti karne ki koshish karne lagi or aksar amaya k pas beht jati or aus se batein karti or aik din offer kar hi di
Amaya class me behti pichla lecture note kar rahi thi jab kiran aus k pas aa kar behti
Amaya aik bat kahun tum mujhe achi lagti ho or najane kiyon mera dil chahta he k hum dost ban jae kiya hum dost ban sakte he?
Amaya ne nazar utha kar aus ki janib dekha pehle wo thora heran hoi achanak friendship ki offer?
Kiran ne aus k chehre k ta’suraat note kiye tou foran boli itna heran kiyun ho rahi ho?
tum mujhe achi lagti ho tumhara ikhlaq acha he mene sab se tumhari tareef hi suni he or phir tumhari or anaya ki friendship tou pori university me mashoor he tou me chahti hun meri bhi koi tumhari jesi dost ho wo muskurate hoe apni bat keh rahi thi…
Amaya ne hanw me hami bhar di wo khush thi k aus ka ikhlaq acha he tabhi sab ause dost banana chahte he....
Amaya me tum se apni baaatein share kar sakti hun?
Amaya k Pass hi Anaya bhi behti thi Anaya ko kiran bilkul bhi pasand nahi wo kiran ko dekh kar mou banane lagi(ais ki kami thi jo ye bhi amu sedosti karne aa gai he)wo dil me sochne lagi!
hanw zaror kiran tum jo bhi share karna chaho kar sakti ho wo muskura kar boli or wahn se uth kar chalne lagi amaya bhi kiya karti aus ko hurt nahi karna chahti thi tabhi aus ki batein sun liya karti kiran ause apni dukhi dastan sunati jis se amaya ko aus se hamdardi hone lagi...
Amu mujhe ye kiran bilkul bhi pasand nahi he, tum dor raho ais se ye tumhare itne nazdeq ho rahi he i'm shure kuch gar'bard he anaya chalte hoe boli...
o come'on Anaya aesa kuch nahi wo achi larki he bas apni baatein hi tou share karti he tum sab najane kiyon ause bura samjhte ho, agar koi ap ko dost banae or dil ki kuch batein share kar k dil ka boojh halka kar le to ais me harjj hi kiya he Amaya apni pocket se hath nikal kar kalai pe pehni ghadri me time dekhne lagi..
Amu tumhein logo ko parakhna nahi ata jesi tum khud achi ho wese hi tum pori duniya ko acha samjhti ho ye duniya itni achi nahi he Anaya wahin ruk kar ause samjhane lagi!
Anaya thank you mujhe khushi he k tumhein meri fikar he or me soch rahi ho k tumhein apne khandan ki bahu bana lo or phir apne bete ki shadi tumhari beti se karon tum kitni achi saas sabit ho gi haha ab wo kehka laga kar hansi
Amaya me tum se kuch serious bat kar rahi hun or tum bech me apna mazaq le kar beht gai ho wo seene pe hath bandhein khadri khadri ause ghuse se dekhne lagi
Anaya ham baqi batein bad mein kare ge abhi sir sikandar ki class ka time ho gaya he or please anaya apni pakao shairi mat sunane lag jana abhi mujh mein himat nahi jhelne ki wo shararti lehje me boli dono Apne S.E department ki janib chal di....
Amaya zara alag hi qism ki larki he, kisi ki batein yahan wahan karna ya kisi k bare me galat soch rakhna, ye sab batein aus me bilkul nahi wo jo bat sunti bas wahin daba deti ause raaz rakhna ate he or sab ause pasand karte he wo kisi ka dil nahi dukhati sab ko khush rakhti he bas kabhi kabhi 'ghuse' me apna appa kho deti he ghuse ki bohat kharab he bas yehi khami he aus mein par logo ka bhala karna aunki madad karna ause khoob ata he, jo ause ache se jan le wo aus ka deewana ho jata he or jo nahi janta wo aus k bare me apni alag alag rae rakhta he...
Amaya ko apni feelings or achaiyan chupana khoob ata he, wo roub me phirti ghusa har waqt naak pe kisi me himat nahi k koi ause kuch keh de university me sab ause ghamandi or magror larki kehte,
par koi nahi janta k ghamandi or magror wo har'giz nahi bas logon ko dekhati he ta k koi aus se ham'kalam na ho or log apni oqat me rahe...

              ------****-------****------****-------
Aik roz Amaya behti social side par visit kar rahi thi aus ki dost ko koi social side pe taang kar raha tha Amaya ko hacking aati he aus ne apni dost ki madad karne k liye wo email adress heck kiya ta k pata lagae akhir ye he kon jo aus ki dost ko tang kar raha he?
Amaya mein detective or agent wali bhi khasosiyaat he...
aus ne email jab apne laptop pe open kiya to address k tamam messages readout kiye jese jese wo messages pardhti gai auski ankhein choti se bari hone lagin or tezi se laptop k touchpad pe ungliyan ghumane lagi laptop ki roshni aus k chehre ko roshan karne lagi wahin aik message mein voice recording link nazar aya..
jab voice recording open kar k suni tou wo heran reh gai or ghuse se aus ki ankhein lal hogai jese aus ne kuch bhiyaanak bat sun li ho, aus ne foran cell phone uthaya or number dail karne lagi par shayad agey se koi phone recieve nahi kar raha tha....
aus ka chehra ghuse se lal hogaya, ause samjh nahi aa raha tha ye harkat kon kar sakta he?
par jese jese messages pardhti gai ause ilam hogaya k ye ghatiya harkat kis ne ki he....
           

       Akhir kiya dekha tha Amaya ne jo wo ghuse se Laal'peeli hogai??

                                   -------****------****-------****--------

Episode 3rd
                       Amaya Or Aus ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

University mein sports Gala shuru hogaya har tarf students ka rush dikhai dene laga har koi games khelta dikhai deta, Cricket match ka final round chal raha tha
do departments ki teams aik dosre k made'muqabil thi students ka jazba urooj pe tha,
sab players ko cheerup karne me masroof the or kuch extra modern larkiyan hathon me props liyelarko k liye chilaaa rahi thi cheerup kar rahi thin!
Hey Amaya aao na tum bhi yahan behto hamare sath Huraiba ne ause apni tarf mutwajah kiya
hath pe props le kar larko k liye chilana Amaya ka style nahi you carry'on girls Amaya ne taalkh lehje me halka sa muskura kar do'tok jawab diya or wahan se chali gai...
Huraiba ko apni insult mehsoos hoi or wo ghuse se amaya ko jate howe dekhti rahi..
akhir, kiya wajah thi jo Amaya ne Huraiba ko ais tarah taalkh lehje me jawab diya...
Amaya kiya howa tum ne aese ghuse me jawab kiyon diya Huraiba ko?
kuch khas nahi tum batao do saal pehle tum ne kahan dekha tha mujhe Amaya apni preshani chupate howe boli, par Anaya bhi kam na thi wo samjh gai kuch tou bat he par mazeed kuch nahi boli ause laga amaya khud hi ause bata degi...
suno Amaya tum se aik bat karni he kiran ne ause awaz de kar apne pas bula liya!
Anaya ki bat phir bech me hi reh gai (aik to ais kiran ko sakoon nhi he pata nahi kahan se uth k aa jati he hamare bech) anaya mou bana kar bard'badane lagi...
hanw bolo kiran kiya bat he?
Amaya ab tou ham ache dost ban gae he or me tum se apni kafi baatein share bhi kar chuki hon tou me------ wo wahin kuch kehte kehte khamosh hogai
kiya howa chup kiyon hogai batao kiya baat he?
Amaya tum wada karo k tum mere bare me galat nahi socho gi
nahi me kiyon galat socho gi tum batao akhir baat kiya he?
acha thek he me batati hun par yahan nahi aao cafeteria chalein wahan ja kar aram se beht kar baat karte he wo amaya ka hath pakar kar cafeteria le gai...
Anaya dor khadri dekhne lagi itni bhi kiya dosti hogai jo cafeteria me beht kar baatein ki ja rahi he kiran k dimag me zaror kuch ulta chal raha he wo dil me sochne lagi...
lo janab aagae cafeteria ab bata bhi don aesi bhi kiya khas baat he?
Amaya baat darasal ye he k Me kisi ko bohat pasand karti hun or bohat pagl hun aus k liye kiya tum meri koi madad kar sakti ho?
me janti hun tum meri madad karo gi tum sab ki madad karti ho…
par kiran me ais mein tumhari kiya madad kar sakti hun me tou janti bhi nahi k wo larka kon he?
Amaya tum janti ho ache se janti ho wo hamari university ka hi he..
kon? Amaya ne sawaliyan nazron se kiran ki janib dekha
Aliyan Mustafa!
kon Aliyan Mustafa? Amaya anjan ban gai jese ause pata hi na ho...
par aus se ziyada Aliyan ko bhala kon janta tha wo tou har waqt aus k khayalon me hi rehta tha
wohi jo roub me phirta he kiran foran boli amaya tum meri madad krogi na? Aliyan se bat karne mein kiran ause dekhte howe boli or aus ki ankhein num hogai...
Madad no no i'm sorry, me tumhri har tarha ki madad kar sakti hon par ais mamle me koi madad nahi kar sakti amaya ne foran jawab diyaa or uth kar wahan se chalne lagi...
sorry kiran me ais liye nahi madad kar rahi k shayad mujhe Aliyan pasand he bal k ais liye madad nahi karna chahti kiyon k mujhe mera Ego ijazat nahi deta or me koi love guru tou nahi jo ab ais tarah ki madad karon nahi mujh se aese ulte kam nahi hote ye sab mere rules k khilaf he wo dil me sochne lagi...
Ruko Amaya kiran ne piche se awaz di wo wahin ruk gai ab kiran aus k samne khardi hogai koi bat nahi par tum se umed he k ye bat kisi se nahi karogi bas tumhare or mere bech hi rahe gi
Nahi me ye bat kisi se nahi karo gi mujhe raaz rakhna ate he Amaya dhemi awaz me boli!
thanks Amaya tum bohat achi ho or ye batao Aliyan outdoor me tum se kia bt kar raha tha?
kisi Rushba Ka poch raha tha by the way tumhein kese pata k aus ne mujh se bat ki?
hanw bas mujhe kisi ne bataya tha kiran nazrein churate hoe boli...
ausi waqt amaya k dimag me khayal aya k kahein wo Rushba 'kiran' hi tou nahi ....
kiran aik bat batao kiya tum ne kabhi social side pe bat ki he 'Aliyan' se amaya aus ka chehra apni tarf karte howe boli, nahi meri kabhi bat nahi hoi kiyon kuch howa he kiya?
aus ne saf mana kar diya...
Aus k jawab pe amaya kisi soch me mubtala hogai
AchaW Amaya me soch rahi thi kal Hijab day celebrate kar rahe he tou kiyon na ham dono aik hi colour ka Red ascarf pehan kar aaein..
kiyon khariyat?
Nahi bas aese hi me chah rahi thi hamri dosti or achi ho jae wo muskurai....
Thek he…

            --------****--------*****--------*****--------

kiya ho raha he janab tumhari dost kahin dikhai nahi de rahi Anaya ne class mein dakhil hote hi pehla sawal yehi kiya...
Amaya ne tehdri nazron se ause dekha tum tanz kar rahi ho Anaya?
nahi nahi me kiyon tanz karne lagi aj kal tumhare sath hi har jagah nazar aati he wo tou mene socha shayad------
kiya tum ne kiya socha k aus ne tumhari jagah le li?
nahi mene aesa tou nahi kaha tum tou bura man gai kal tum dono ko cafeteria me dekha tou mujhe laga koi private baatein ho rahi hen...
hanw wo kuch bata rahi thi khair choro...
Amaya tum yahan ho me tumhein dhond rahi thi Hello Anaya kesi ho?
(Shetan ka naam liya shetan hazir)Me thek hun kiran tum kiyon dhond rahi thi koi kam he amaya se?
wo na chahte hoe bhi muskurai
Me bas ye dekhna chahti thi k Amaya ne Red Ascarf liya he ya nahi?
Red Ascarf? Anaya ne lafz dohraya or herani se aun dono ki janib dekhne lagi
Amaya Red ascarf tum par bohat acha lag raha he wo muskurai..
thankyou par kiran tum ne kiyon nahi pehna tum ne tou kaha tha tum bhi pehan kar aao gi?
Anaya sawaliyan nazron se kabhi amaya ko dekhe tou kabhi kiran ko kiyon k wo ais baat se anjan thi
wo amaya actually mera Red Ascarf kahin gumm hogaya he...
Acha koi baat nahi chalo Anaya hamein kuch notes lene he ye kehte howe wo dono wahan se chal di...
Aj university me tamam girls hijab me malboos thi or sab achi lag rahi thi
Amaya k Red Ascarf ki Taqrebann sab ne hi bohat taref ki thi Amaya ne aj se pehle kabhi Hijab nahi liya tha aj pehli bar aus ne hijab liya tha or wo khud ko bohat pursakoon mehsoos kar rahi thi
Amu tum Hijab me bohat achi lag rahi ho Ais bar Anaya ne aus ki tareef ki
Thankyou Anu Ab me hamesha hijab me raha krun gi…
haMm ye tou achi baat he ab ye batao wo sab kiya tha?
Kiya sab…?
Wohi jo abhi kuch der pehle chal raha tha wo seene pe hath bandhein khadri hogai
kuch nahi wo chahti thi ham same colour ka ascarf pehne tabhi mene pehan liya...
Amu mujhe tou yehi lagta he k wo meri jagah lena chahti he aus k irade thek nahi lagte
Nahi anaya aesa kuch nahi he wo aesi larki nahi he...
Aesa hi He Amu tumhein tou har larki achi lagti he wo ghuse mein wahan se chali gai
Anaya meri bat tou suno… kahan ja rahi ho?
Anaya ne piche murd kar koi jawab na diya or taizi se wahan se chali gai
Amaya or kiran ki dosti barhdti gai or wo ziyada tar Amaya k sath hi rehti...
Aese hi aik mahina guzar gaya wo aj bhi Red Ascarf me malboos thi ye aus ka favourite scarf tha jo aus pe bohat suit karta tha
wo Main hall se nikal kar parking Area ki janib ja rahi thi jab Aliyan aaya or ause bech raste me rok kar khob ulta sehda bolne laga!
Mujhe pata he 'Rushba anjum' tum ho social side pe mujhe tum ne tang kiya tum achi larki nahi ho tum larki ho kar aesa kese kar sakti ho tumhein sharam ani chahiye shakal se tou bohat masom lagti ho or harkatein dekho ainda kabhi mujhe apni shakal bhi mat dikhana
aus ki ankhein ghuse se lal thi Amaya haka'baka khadri aus ki baatein sun rahi thi ainda kabhi tang kiya tou acha nahi hoga.. 
Amaya herani se Aliyan ko dekhne lagi par kuch bol nahi pai wo heran thi!
ause samjh nahi aa raha tha ye sab ho kiya raha he Aliyan kiya bol raha he?
wo kiyon Aliyan ko aese tang karegi ais se pehle k wo kuch bolti Aliyan suna kar ja chuka tha or wahan students ka rush hogaya or aus waqt Amaya ko shaded ghusa aaya aus ki ankhon me ansu jama hogae
or wo phooth phooth kar rone lagi ye larka khud ko samjhta kiya he itna bara hero he jo aise mein
"Amaya Amir" tang kare gi ais ne aesa soch bhi kese liyaa me yahan pardhne ati hun kisi ko tang karne nahi wo ab ghuse se lal peli hogai ankhon se mote mote ansu beh rahe the ais ki himat bhi kese hoi bina kisi tasdeq k mujh par aesa ghatiya ilzam lagane ki mene kabhi socha bhi na tha k ye itna ghamandi or badtameez shaks he amaya bard'badate hoe wahan se chali gai…
Amu Amu Anaya aus k piche bhagne lagi...

                     -----****----****-----*****------
Amaya sofee par leti leptop pe kuch search karne lagi wo ungliyan tezi se touchpad pe pher rahi thi,screen ki roshni aus k chehre pe aa rahi thi auski piyari chamakdar ankhein,
aus k silky baal chehre pe aa rahe the or wo aik k bad aik files open karne lagi
side table pe rakha cell phone bajne laga amaya ne laptop pe nazrein makroos kiye apna bayan hath table ki janib bardhate hoe cell phone uthaya or bina dekhe cell phone pe ungli pher k call yes karte hoe kan pe lagaya!
Hello!
Hello! Amu kesi ho kahan ho? Tumhein pora hafta ho gaya he university kiyon nahi aa rahi ho?
or itni mari hoi awaz me hello kiyon kiya he Are you okay?
Anaya aik hi sans me bolti ja rahi thi                            
kuch nahi bas thek hun Amaya sofee se uth'te hoe boli...
Nahi kuch he amu please batao kiyon sad ho?
ab wo bat karte hoe ballcony ki tarf bardhne lagi kuch nahi howa bas mood nahi he aus k lehje me udasi thi
Amaya sehde sehde bata do kiya howa he warna…wo kuch kehte hoe ruki wait a second akhri lafz pe zor dete hoe boli tum Aliyan ki wajah se udas ho right?
hanw Anaya mujhe ghusa aa raha he me shakal nahi dekhna chahti aus shaks ki ause dekhon gi tou mujhe mazeed ghusa aae ga or mujhe tou apne ap pe shaded ghusa araha he k me kese aik badtamez shaks ko pasand karne lagi thi,
tum bhi janti ho k mujhe kabhi kisi me interest nahi raha he or agar qismt se koi mere jesa sar'phiraa mujhe pasand aaya or ausi ne mujhe itna hurt kiya dard de diya aus k lehje me udasi thi
itna talakh lehja shayad mera ego bohat hurt howa he or ais dard se kahen me toot na jao
Amaya k chehre pe udhasi thi wo chehre pe ate baal kano k piche karte hoe boli ab aus ki ankhein namm hogai thi!
Amaya "jo dard torta he wohi dard jodrta he" chor na ye tere layaq hi nahi he auska tujh se kiya comparison tu kahan or wo kahan, tera status dekh or wo tou mujhe koi aese hi lagta he,
ab wo aus ka mood thek karne ki koshish karne lagi tum kiyon aus k bare me soch kar time waste kar rahi ho jo howa bhool jao kahan he wo amu jo brave he jo apni masti me magan rehti he bina kisi ki parwah kiye or khuda k liye senty mat ho tujh jesi masti'khor larki pe suit nahi karti sentipanti..

Nahi mein aese kese bhool jaon or tum janti ho k mene koi tang wagera nahi kiya par wo tou nahi janta wo tou yehi samjhta he mene sab kiya wo mere bare me ab negtive sochta hoga,
koi mere bare me galat soche ye me har'giz bardasht nahi kar sakti...
aus ne kaha tha 'tum achi larki nahi ho' or tumhein “Pata hai ye bakhwas mujhe goli ki trhaan lagi he or yeh goli mujhe pheli baar lagi he or dil ko cheer kar nikal gai, itne din ghar me beht kar mene khud operation kiya khud taanke lagae he magar toota hua dil zayada solid nahi hota sirf zinda rakhne ke liye kaam ata hai” ab aus ki awaz daabne lagi jese wo ro rahi ho...                                                                
Amaya tum ro rahi ho tumhara dimag kharab he tum aus ghatiya shaks ki wajah se ro rahi ho or ye kiya he goli----operation----taanke--- tumhari baten mujhe samjh nahi aa rahi or aus k bolne se kiya hota he wo tumhein janta nahi he agar janta hota tou kabhi na kehta k tum achi larki nahi choro tum university aao kal warna me bat nahi karogi or aao gi to hi bataon gi do saal pehle kahan dekha tha?
Anaya asar ki namaz ka waqt hogaya he me namaz k bad bat karti hon ALLAH HAFIZ...
                             --------*****------******------*****-------
white jeans pe blue long shirt or aus pe Blue hijab me malboos hath me cell phone pakre wo car ka door lock kar rahi thi Amaya ko dekhte hi Anaya bohat khush hoi....
Ab wo Chalti hoi Amaya ki janib aa rahi thi jab aus k qareb se Aliyan guzra par Amaya ne koi dehan na diya ause nazrein utha kar bhi ause na dekha,
Fahad Aliyan ka Cousin dor khadra ye manzar dekh raha tha...
(ye kiya Aliyan guzra or Amaya ne dekha tak nahi ignore kar diya very nice) ab wo dil me sochne lagi or amaya ko apni tarf ata dekhne lagi
Amaya kesi ho thank God tum aagai warna me naraz hojati wo foran gale lag gai
bas karo makhan! ye batao kahan dekha tha mujhe?
Aww tumhein mera piyar makhan lag raha he aese nahi bataon gi pehle muskurao..
or ye kiya na salam na dua ate hi bas sawal karne shuru hogai ho wo apni aik eye-brow opar chardhae ause dekhne lagi!
Oh Anaya dirame na karo mera koi mood nahi hansne ka batana he tou batao ab dono class ki janib chalne lagin...
Class Mein Sir Sikandar ka lecture start ho gaya tha!
Sir Sikandar S.E subject pardhate he
Amaya ap kafi din se gayab thi? Ap ko pata bhi he final examz start hone wale he or ap ne bohat important lectures miss kar diye he
Wo nazrein jhukae khadri thi sorry sir Actually kuch din se meri tabiyat kharab thi..
Acha behtein or aj ka lecture bohat important he dehan se sab sunniye or note ki jiye ga…
Amaya kahin khoi khoi si thi Anaya samjh gai aus ka dehan lecture me nahi he...
Oh Amaya tumhein ho kiya gaya he tum yahan ho kar bhi yahan present nahi ho akhir masla kiya he
Anaya ause dekhte hoe dil me sochne lagi..
Sir sikandar ka lecture khatam hoe adha ghanta guzar chuka tha class khatam ho gai thi or sab class se ja chuke the Amaya akeli class me behti apni sochon me gumm thi
Kiyon me ais Aliyan se mili aese kese ye mujhe Rushba samjh sakta he bina kisi prove k kese mujhe ulta keh sakta he aese kese ye mujhe buri larki keh sakta he?
kuch hi der mein Amaya ko kisi ne jhin’jhodra Amaya Amaya!
ha’han kiya howa anaya chila kiyon rahi ho?
Lecture khatam howe Adha ghanta hogaya he or me pichle 15 minute se musalsal tumhein awazein de rahi ho par tum kahin or hi khoi hoi he akhir wajah kiya he kuch tou batao?
Nahi kuch nahi meri tabiyat kharab ho rahi he mujhe ghar jana he....

            --------****--------*****--------*****--------

Amaya ko jese Aliyan se nafrat si mehsoos hone lagi aus ne kabhi nahi socha tha k aik din aesa bhi aae ga k wo ause bura'bhala kahe ga wo tou Aliyan ko bohat acha aqalmand shaks samjhti thi
par aus ki ais betuki harkat ne amaya k dil me apne liye rae'tabdeel kar di thi...
Aese hi kai din Guzar gae ause ghar me becheni si mehsoos hone lagi wo na chahte howe bhi aus k bare me sochti rehti aus k wo talakh alfaz tum ne mujhe tang kiya---- tum achi larki nahi ho---- ainda aesa kiya to bohat bura hoga---- mujhe kabhi apna shakal bhi mat dikhana---tumhein sharam aani chahiye tum ne larki ho kar aesa kiya----
Aliyan ki kahi hoi baatein ause kisi kante ki tarah chubb rahi thi wo sab aus k dimag se nahi nikal raha tha aus ki kahi hoi batein ause lahu'lohan kar rahi thi ause ab khud par ghusa aane laga or ankhon se beshumar ansu behne lage...
wo zameen par dewar k sath tek lagae apne bazu par sar rakhe beht gai or chote bachon ki tarah phooth phooth kar rone lagi na chahte howe bhi ause bohat rona aa raha tha!
Mein tou aesi larki nahi hun jesa aus ne mujhe samjha mene tou tang nahi kiya mene tou kabhi kisi ko tang nahi kiya na kabhi kisi ko pareshan kiya hamesha apne ap ko har fazool baton se bachaya ta k mere character par koi ungli na uthae par kis ne socha tha k jis shaks ko me pasand karne lagi hun wohi mere character par ungli uthae ga akhir mujhe kis baat ki saza mil rahi he?
Ain do mahino mein koi aesa lamha na tha jab ause Aliyan ki baaten yad na aai hon ause har waqt aus k wo jumle bohat dukh dete aus ka dil bohat besakoon ho raha tha isha ki namaz ka waqt ho gaya aus ne wazu kiya or namaz pardhne jae'namaz pe khadri hogai...
Namaz k doran bhi aus ki nazron k samne wohi manzar aik film ki tarah chalne laga aus ne bohat koshish ki k aus ka dehan namaz me hi rahe par bar bar aus k khayalon me Aliyan hi aa raha tha bohat mushkil se namaz mukamal ki or dua k liye hath uthae...
wo aj bhi ausi red ascarf mein malboos ALLAH se mukhatib thi

Ya ALLAH PAK Ap Rehman Ap Raheem mere parwardigar ye Gunahon se bhare hath ap ki bargha me uthe he Mujhe mangne ka tariqa nahi aata par ap sab behtar jante hein
mujhe kuch samjh nahi aa raha ye sab kiya ho raha he ?
me sakoon se namaz bhi nahi pardh paa rahi na chahte howe bhi kiyon ye larka mere dimag me aa raha he kiyon me aise bhool nahi paa rahi hun ap kiyon meri namzon k doran aise mere zehan me la raha he
agar ais ki nazron me mujhe girana hi tha tou kiyon mere dil me ais k liye muhabbat paida ki kiyon mujhe ais shaks se itna sab hone k bawajood bhi nafrat nahi ho paa rahi he
kiyon me har lamha ais k bare me sochti hon?
mere malik me ap se aise nahi mangti bas itna chahti hun k ap ais k dil me mere liye daal dein k me buri larki nahi hun ya phir mere dil me ais k liye nafrat paida kar dein ta k me ain sochon se azad ho jao me ais k khiyalon se azad ho jaon me begunah hun ye ap jante hein meri madad karein mere malik meri madad karein aus ki ankhon se beshumar ansu beh kar aus k hath ki hatheliyon mein girne lage...
ye raat aus k liye bohat ajeeb or taveel raat thi wo rote rote kab sogai pata hi na chala.....
                          --------****--------*****--------*****--------

Teen mahine guzar gae or Amaya ne Aliyan ko aik ankh utha kar bhi na dekha....
wo cafeteria mein behti thi aus ki nazar achanak aik shaks pe gai jo sun glases ankhon pe lagae hoe behad acha lag rha tha or ause dekh k Amaya k dil me phir woi sound bajne laga
(tujhe dekha tou ye jana sanam , pyar hota he deewana sanam) <3 <3
wo dil me sochne lagi bazz dafa kisi ko dekh lena hi kitna kafi hota he kambakkt ye Aliyan mujhe heartattack dene k lye tiyar ho kar aa gaya he pata nahi kiyon ais se nafrat nahi kar paa rahi hun agar me ais se baat karon? wo dil me sochne lagi
Nahi bat or mein wo bhi ais akdru se nahi never aus ne kon sa meri baat par yaqeen kar lena he ALLAH PAK hi aus k dil me daal sakte he me tou kuch nahi kar sakti...
shayad aus k dil se ab ghusaa khatm hone laga tha wo bohat naram dil ki malik he ziyada waqt tak kisi k liye ghusaa nahi rakhti dil me bas waqti tor ka ghusa hota he....
kuch der bad hostal se guzarte howe Anaya ki nazar dor khadri Amaya par gai..
Anaya yahan hostel mein rehti he...
Amaya khadri kisi shakhs se bat kar rahi thi...
Anaya dor khadri ause dekhne lagi me samjh nahi paa rahi Amaya kiyon kisi ajnabi k sath khadre bat kar rahi he or bohat ghuse me bhi lag rahi he ye tou kisi se baat nahi karti phir ye shaks kon he dor se sunai kuch nahi de raha par aesa lag raha he jese wo aus shakhas ki bezati kar rahi ho...
Ausi waqt Amaya ki nazar aik shaks pe gai jis k hath me churi(knife)thi or wo Aliyan k piche jaa raha tha or achanak aik (cheekh) sunai di or jese hi Aliyan ne piche murd kar dekha tou zameen pe Amaya ko khoon me lat'pat giri hoi payaa wo shaks foran bhag gaya wo churi Amaya ko lag gai thi or ab wo behosh hogai ....
Aliyan foran ause hospital le gaya or admit karwaya (kuch ghanto bad)
acha howa ap thek waqt pe aagae ap ki (Mrs) ab khatre se bahar he par thore rest ki zarorat he tou apko mazeed kuch ghante rukna pare ga ais se pehle k wo doctor ko kuch kehta Doctor sahab wahan se ja chuke the.... !!
Aliyan Amaya k bed ki pas wale single Soffe pe sar jhukae beht gaya kuch hi der mein ause hosh aa gaya aus ne uth'ne ki koshish ki ...
Leti raho doctor ne mazed aram karne ko kaha he
Aus ne Aliyan ko apne pas dekha tou heran reh gai phir kuch hi pal lage ause sab yad aagaya wo khamoshi se dobara let gai or ankhein band kar li wo Aliyan ko dekhna bhi nahi chahti thi…
Wo ab bhi pas hi behta tha tumhein mere samne aane ki kiya zarorat thi ?
Aliyan ghuse se bola…            
Ab bhi aus ki ankhein band thi Zarorat thi wo ap ko lag sakti thi
mujhe dosro ki madad karne ki adat he or mujhe khushi milti he logon ki madad kar k mere samne kuch galat ho or me chup chap dekhti raho its imposible or ap kiya koi or bhi ap ki jaga hota tou me yahi karti or ap ko zarorat nahi mere liye fikar'mand hone ki Amaya ne foran ghuse me do'tok jawab dya ....
Wo ab uth khadra howa Tou lagne deti mujhe Mujh pe ehsan karne ki koi zaroorat nahi he
or kahin aesa na ho k ye adat aik din tumhare gale aajae mujhe shoq bhi nahi tumhari fikar karne ka wo tou doctor ne rest ka kaha tha tabhi mene kaha mera kiya jae bhale maro khair itni asani se marne wali tou tum ho nahi me tumhare liye juice or medicines le kar ata hu...
Amaya ghuse se ause dekhne lagi ye lo mera credit card mujhe kisi ka ehsan nahi chahiye aus ne credit card Aliyan ki janib bardhaya (beshk wo ause pasand karti thi par apni feelings express nahi karna chahti thi tabhi thora rude behave kar rahi thi)wo ab wahan se ja chuka tha…
kuch hi der bad Nurse andar dakhil hoi Mrs.Aliyan injection time i hope ap ko injection se dar nahi lagta hoga wo aik dum heran hoi Mrs?
Kiya Aliyan ne Doctor ko … Nahi ye khadros aesa nahi bol sakta zaror koi galat'fehmi hoi hogi..
itne me wo medicines le aya Mr.Aliyan ap ki Mrs tou bohat brave hen easily injection lagwa liya Nurse muskurate wahan se chali gai...
Ye kia bakhwas he me or ap ki (Mrs) kadi v nahi wo naak sakodre boli ...
hanw hanw mujhe bhi shoq nahi tumhein apni Mrs banane ka specially tum jesi ko tou bilkul bhi nahi ain logon ko galat fehmi hoi he or kuch nahi ....
Aik bar phir Aliyan k ais jumle ne ause lahu'lohan kar diya aus k chehre ka raang urd gaya
(dil tou chah raha he aik ghuma kar thapar de maru) wo ause dekhte howe dil me sochne lagi
mushkil se bas itna keh pai ap dor nahi kar sakte the galat fehmi!?
dil me wo khush thi lafz Mrs sun kar par acting tou karni thi naaaw EGO problem....
Jab Amaya hospital se jane k liye nikli tou common ward ki tarf se aus ka guzarna howa
Amaya ki nazar aik khatoon pe gai jo k bemar dikhai de rahi thi par kuch jani pehchani lag rahi thin jab Qareeb ja kar dekha tou wo 'Masi Bano' thin...
Ye Amaya k gaon wale ghar me kam kiya karti thi, wo choti hoti thi tou Masi k sath batein karti bartan dhulwati masti karti sath me namaz pardhti amaya or aus ki family ne kabhi bhi aune masi na samjha bal k aik ghar k fard ki tarah sab izat karte the phir "Masi bano" ne kam karna chor diya apni beti k pas dosre gaon me rehne lagin ...
Jab Amaya ne dekha tou khush hoi k Masi bano zinda he "ALLAH PAK" aine lambi zindagi de warna ainki tou koi khair khabar hi na thi..
Asalam wa alaikum Masi kiya hal he? amaya aun k pas ja kar boli...
Wa alaikum asalam beti tum kon ho?
Masi ap ne pehchana nahi mujhe?me Amaya hon wadera Saein Amir ki beti...
Ab Auneh yaad aaya tou aun ka chehra khushi se khil’khila utha
Amaya dhiii kiya hal he beti MASHALLAH kitni bari hogai ho tum masi sar pe piyar dete hoe boli ghar me sab kese he amu?
jee masi sab thek hen ap bataein ap ko kiya howa he?
beta, bas kai bemariyan he umar bhi tou itni hogai he...
ausi doran Aliyan ward me dakhil howa Amaya chalo bhi ab yahin rehna he kiya?
 "MASHALLAH MASHALLAH" amu ye tumhara saein he tumhari shadi hogai?
pata hi nahi chala tum kab bari hogai [Masi bano]dono ko piyar karne lagi or bohat si duwaein dene lagi beta tum kitne kismat wale ho itni achi larki tumhein mili he ais ka bohat khayal rakhna kabhi koi dukh na dena Amaya jesi tum khud achi ho ALLAH ne tumhara naseeb bhi acha kiya he
Amaya khamosh rahi kiyon k wo bohat arsee bad Masi ko itna khush dekh rahi thi….
Aliyan herani se Amaya ko dekhne laga shayad wo ye soch raha tha k Amaya ne ain ki galat fehmi dor kiyon nahi ki ause laga shayad Amaya ne apna badla le liya jese Aliyan ne nurse ki galat fehmi dor nahi ki thek wese hi Amaya ne masi ki...
Amu dhii mujhe tumhari bohat yaad ati he masi ki ankhein nam hogai
Masi me bhi ap ko bohat yaad karti hun ALLAH PAK ap ko sehat de aamen acha Masi me chalti hun apna khayal rakhna or ghar bhi chakar lagana jate howe Amaya sar pe piyar lene lagi...
chaku Amaya ki kamar or pet k darmiyan laga tha or ause buri tarah takleef ho rahi thi jis wajah se wo chal nahi paa rahi thi...
Nurse ward me dakhil hoi ap log ja rahe hen?
abhi ap ko sakht aram ki zarorat he ap log abhi nahi ja sakte Nurse dobara bed par letne ka ishara karne lagi...
Nahi sister i'm ok aram ghar ja kar ho jaega..
kuch der sochne k bad Nurse ne aune jane ki ijazat de di ap ko ghar ja kar sakht aram karna he 
Mis Amaya chal nahi paa rahi hen aine kisi k sahare ki zaroorat he Mr.Aliyan ap aineh pakar kar le jaein..
Aliyan chup chap Amaya k qareeb aya or apne hath me aus ka aik hath thama or aus k kandhon par apna dosra hath rakha or ause apna sahara diya or chalne laga do qadam hi chale the k Aliyan ne achanak Amaya ko apne se door dhaka diya or akela bahar ki tarf chalne laga or wo wahin heran khadri thi chah kar bhi ghusa na kar saki..
Ap aesa kiyon kar rahe he? wo piche se chilai
Aliyan chalte howe wahin ruk gaya or piche murd kar ause ghuse se dekhne laga
kuch der pehle tou ap thek the ab achanak kiya ho gaya?
Aesa kia kiya he mene jo ap mere sath aesa behave kar rahe he?ab wo chah kar bhi chup na reh saki
wo chal kar Amaya k pas aaya me tumhein yahan laya tumhari jan bachai ye sirf meri majbori thi kiyon k tum ne meri jan bachai mujhe tum se na koi hamdardi he na kuch or...
tumhare or mere bech kuch bhi thek nahi howa he na kabhi hoga mene tumhari madad ki ya thora naram lehje se bat kar li ais ka matlab ye nahi k ham dost ban gae tum na kabhi mujhe achi lagi ho na kabhi lago gi wo ghuse se chila kar bola aus ka lehja bohat talakh tha…
Amaya herani se ause dekhne lagi samjh nahi aa raha tha kiya bole....
Mr.Aliyan me janti ho ap bas opar se ghuse wale akkrdu type k he par andar se ap ache he or me nahi janti k ap aesa kiyon kar rahe he?
aus ne ghuse wali nigah aus pe dali Amaya mere andar k ache insan ko dhondna band karo warna meri burai kabhi tumhara picha nahi chore gi or apne kam se kam rakho meri zindagi me jhankne ki koi zarorat nahi he wo ghuse me bolte howe wahan se chala gaya...
Amaya ko itni buri lagi thi k wo bina kisi sahare k bilkul bhi chal nahi paa rahi thi or Aliyan k dhaka dene se zakham pe ause mazeed takleef hone lagi...
kuch der me Anaya hospital aagai....  
Amaya are you okay ? anaya k chehre par preshani bhare tasuraat the
Hanw me thek hon chalo ghar le chlo mujhe ab kiya marne k bad mera janaza le k jaogi yahan se Amaya apni takleef chupate howe muskura kar boli ....
Amu teri tang tor dongi me agar marne ki bat ki tou chal ghar ab Anaya apna sahara de kar ause car tak le gai or ghar aagai...
Amaya Ghar phunchi or apne room me aram karne lagi....
Amaya akeli apni 'Maid Uzma' k hamrah apartment mein rehti he wo yahan karachi apni studies k liye aai he Amaya ki family gaon (village) me rehti he ais k baba wahan k wadere he,
Amaya "LANDLORD"family se belong karti he wo apne maa bap ki aklooti beti he or Amaya ka aik hi bhai he wo apne ghar ki ladli beti he apne baba ki ladli...
jab sham me uthi tou 5:30PM ho rahe the tabiyat kuch ajeeb thi ajeeb si becheeni hone lagi asar ki namaz k bad wo apne room ki 'ballcony' me khadri lambi Aah bharne lagi or pichle kuch mahino se or aj k pore din me jo kuch bhi howa wo sab aus ki nazron k samne aik film ki tarah chalne laga..
Amaya tum waqai achi larki nahi ho tum tou apne baba ki aklooti ladli beti ho auno ne kabhi mujhe kisi chez ki kami mehsoos nahi hone di jo bhi manga foran le kar diya he agar auneh pata chale ga k yahan ye sab howa he wo bohat hurt honge me janti hon baba ko mujh par trust he par Aliyan ko pasand karne wali baat ye bhi tou galat he me tou yahan pardhne aai thi kuch ban'ne aai thi tou phir kiyon Aliyan ki muhabbat mein griftar hogai agar ye baat baba ko pata chal gai wo tou mujhe jan se hi mar de gen aun ka bharosa uth jae ga Me khamosh raho gin me kabhi apni muhabbat ka iqrar nahi karon gin ye sab galat he or me ye galat kam nahi kar sakti Mujhe dil marna hoga mujhe apni sochen chorni hogi
aus ki ankhon se ansu behne lage or ankhein band kar k wahin behti roti rahi....

kuch der bad cell phone bajne ki awaz aai tab aus ki ankh khuli uth kar table se cell phone uthaya
kiran calling!
Asalam wa alaikum Amaya kesi ho tumhari tabiyat ka suna to socha poch lon...
wa alaikum asalam ALLHAMDULLILLAH ab thek hon tum kesi ho?
me bhi thek hon kab se call kar rahi thi mein kahan masroof thi tum?
meri ankh lag gai thi masrofiyat tou kuch nahi he...
Amaya mene suna aliyan ne tumhaari insult ki kiya ye sach he?
han ye sach he ause koi galat fehmi hoi hogi k Rushba mein ho...
acha tou kiya ab tumhein wo pasand nahi?
pasand? amaya ne lafz dohraya kiran pasand tou wo mujhe pehle bhi nahi tha tum hi marti ho aus pe yehi bohat he..
acha amaya jis din aliyan ne tumhein baatein sunai aus din tum laibrary k bahar Main hall me thi kiya?
han me wahin thi tum kiyo poch rahi ho?
bas wese hi acha tum rest karo ALLAH HAFIZ....
                                  -----*****----*****-----*****-----
Agle roz wo apni ballcony me rakhi easy chair pe behti, sardiyo ki rat thandi hawa chal rahi,
asman pe kali khataa chaai hoi thi or wo Diary likhne me masroof thi Amaya har roz diary likhti pora din me kiya howa konsa din acha guzra everything...
Dear Diary sham dhalte hi na'jane kiyon har roz tum se Hamklam hone ko jee chahta he,
meri piyari dost Anaya k bad aik tum hi tou ho jis se me apne dil ki har bat share karti hon
tum meri baton ka jawab nahi deti tou kiya howa phir bhi ho tou meri piyari dost aj me tum se apne dil ki bat share karne lagi hon tum tou janti ho k me kabhi kisi me intrest nahi leti,
or jo mujh se rude behave kare auneh me dekhti tak nahi hamesha apna EGO rakhti hon par na chahte howe bhi na jane kiyon mujhe wo acha lg'ne laga he me ne khud ko bohat roka par ye kambakkt dil manta hi nahi,wo he tou akkdru,egoistic par he cute ause dekhte hi,
dil me sound bajta he (Tujhe dekha tou ye jana sanam , piyar hota he deewana sanam)ause dekhte hi dil kehta he amu yehi he wo sar'phira jis ki tumhen talash thi..
Mujhe samjh nahi aa raha aus ne mujh par itna ghusa kiya,insult ki or aus pe ghusa karne k bajae wo mujhe acha lagne laga he...
mujhe aus ka atitude acha laga or himat bhi he ais shaks mein jo mujhe aa kar ais ne batein sunai or hospital me itna talkh lehja shayad wo mujh se nafrat karta he...                                                                                                                               
me aus k 'khuwab' tou dekhti hon par auneh pora hone ki chahat dil me nahi rakhti kiyon k Aksar khuwab toot jaya karte he or jab khuwab toot jaein tou bohat taklef hoti he…
Meri piyari dost tum kitni achi ho meri har bat khamoshi se sun leti hon…                                                                                         
Taqlik-e-Kainat Ki Yeh Reet Bari Nirali Hai,
Jo Ho Na Sake Apna Acha Bhi Wohi lgta he.... !!                                                                                                                                                                                                      
                 -------****------****------****------
sardiyon ki rat thi Amaya apne kamre mein zameen par rakhe cushion par behti garm chadar lapete ankhon par bara sa chashma lagae laptop par ki screen ko aik nazar dekhe ja rahi thi shayad kisi soch me doobi hoi thi!
Aus k dimag me aik bar phir kiran ka khayal aaya tha ye kiyon mujh se itna taftesh karti he or din ba din wo pagal hoti ja rahi he Aliyan k liye or mein itna udas kiyon ho rahi hun akhir rishta kiya he mera aus k sath aik benam rishta wo kon he mera?
koi bhi nahi phir kiyon mere khayalon mein rehta he achanak aus k kano se aik awaz takrai
ye lein coffe Amaya ne apni beegi palkhein uthai..
kiya howa Bibi jee ap udas kiyon hen uzma ne coffe dete hoe sawal kiya..
ab wo hath mein coffee ka mug liye uzma ko dekhte hoe bolne lagi nahi me udas nahi bas wese hi kuch soch rahi hun ab wo coffe ka sip lene lagi...
wo kehna chahti thi (waqt tou bohat kuch cheen leta he khair meri tou bas muskurahat thi)
bibi jee, ap tou hamesha ache mood mein rehtin hen phir aj achnk kiya ho gaya kuch bat he tou bataein, me gareeb ap ki koi madad tou nahi kar sakti par kam az kam ap k dil ka booj hi halka hojae ga uzma nazrein jhukae boli ......
Ary nahi uzma aesi koi bat nahi he ao yahan behto or ye kiya tumne gareb gareb laga rakhi he
Dene wali zaat ALLAH ki he hum sab ko ALLAH deta he or tum gareeb nahi ho jisse izat se do waqt ka khana mil jae wo insan gareeb nahi hota ainda aesi bat mat karna chalo shabash ja k sojao
Good Night wo muskurate hoe boli
Bibi jee ap bhi so jaein…
Hanw me Isha ki namaz pardh lu phir soti hun ab Amaya uth kar apne kamre ki janib chal di...
                                      -----*****----*****-----*****-----


Episode 4
                        Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

  Amaya or Anaya laibrary se nikli tou kuch larkiyan ain k qareeb se guzri wo kuch keh rahi thi,
Amu ye log mujhe dekh kar kiya bat kar rahi hen? kuch samjh nahi aaya par Amaya samjh gai k ye kiya mamla he par khamosh rahi..
kuch der guzrne k bad Anaya ki nazar auditorium k bahir khadri Amaya pe pardhi jo aun larkiyo se khadri kuch bat kar rahi thi,
wo samjh nahi paa rahi ye sab kiya ho raha he aus din amu aus larke se baat kar rahi thi or aj ain larkiyo se akhir majra kiya he?
aus ne amaya se pochna chaha par poch na saki, pata nahi kiya soch kar wo khamosh rahi…
Aese hi kuch din guzar gae Final examz khatam ho chuke the ab laibrary soon’san dikhai deti thi bohat hi kmm students yahan dikhai dete
Hasb-e-adat Amaya Laibrary me behti thi or aus k backside par Anaya behti thi ause maloom nahi tha k piche anaya behti he ause aik number se call aai,
Hello jee me Amaya bol rahi hun Police station abhi thek he thori der me ati hun, phone pe bat karte howe Amaya wahan se uth kar chali gai Anaya k chehre ka raang safed pard gaya!
Akhir ye kiya majra he amaya mujhe kuch bata kiyon nahi rahi, kahin amu kisi musibat mei----
Amaya jab bhi kisi ki madad karti he khud bhi kisi na kisi mushkil me zaror phas jati he phir bhi logon ki madad karne se baaz nahi aati...
               -------*******-------********------********--------
kuch din se Eat food festival ki taayariyan urooj par thi!
or Ais din ka sab ko besabri se intezar tha Akhir wo din Aj aa hi gaya Tamam Departments k students ne apne apne food stall lagae the, kisi ne games stall,kisi ne photography stall!
sab students bohat maze karte dikhai de rahe the koi props k sath tasverein banwa raha tha tou koi games khelne mein masroof tha!
Amaya or Anaya ne bhi bohat enjoy kiya ye dono apni hi Mastiyun mein magan thi
Pehle games khele, phir gol gappe khane ki race lagai jis mein Amaya jeet gai
aino ne kisi department ko naraz nahi kiya har stall par ja kar kuch na kuch khaya or khareeda props k sath tasverein banwai DJ ne light music play kar diya sab kuch bohat acha lag raha tha sab khush dikhai de rahe the aik tarf singinng competitation chal raha tha…
Amaya ka jee chaha wo bhi singinng kare par nahi ki...
kiran Amaya k pas aai tum ne dekha Aliyan kitna acha lag raha he kiran muskurate hoe boli
Amaya ne koi jawab na diya kiran race lagao gi?
kis cheez ki?
Gol Gappe khane mein wo muskurai
Nahi nahi mera gala kharab hojae ga or abhi tou tum ne Anaya se race lagai thi mene dor khadre dekha tha wo muskurai!
acha ais ka matlab tum mujh par nazar rakhti ho?
nahi nahi bas wese hi tum par nazar chali gai thi me tou bas Aliyan par nazar rakhti hun
Amaya na chahte howe bhi jawab mein muskura di!

Anaya English Department k stall se Mehndi lagwane lagi or Amaya yahan wahan nazrein ghumane lagi ause Mehndi lagwane mein koi intrest nahi tha
wo wahan Anaya k liye khadri thi par wo bore nahi hoi chalte phirte dosre students ko dekhne lagi jo bohat hi ajeeb ajeeb harkatein karne mein masroof the!
achanak aus ki nazar aik stall par gai jahan aik laptop rakha howa tha or laptop charging par tha aus ki wire se chingariyan nikal rahi thi or aus stall par behti Afifa ko koi hosh hi na tha
Ais se pehle k wire mein aag lagti Amaya foran aus stall ki tarf lapki dor khadre Aliyan or fahad ause dekh rahe the wo heran howe k ye achanak bhagte howe kahan ja rahi he?
jab tak wo wahan phunchi wire mein aag lag chuki thi aus ne bina kuch soche samjhe jalta howa wire hath me le liya or dosre hath se laptop utha kar apne hath me pakra or wire ko dor phenkha
aus stall k students ghabra gae achanak ye aag kese lag gai sab Amaya ko heerani se dekhne lage!
wo bina kuch kahe laptop Afifa k samne rakhte hoe wahan se chalne lagi aus ka hath acha khasa jal chuka tha!
Aliyan ye kitni pagal larki he bina kuch soche jalta howa wire hath me le liya had he fahad herani se ause jate hoe dekh raha tha par Aliyan khamosh raha jawab me kuch na bola!
Anaya bhagte howe aus k pas aai tum thek tou ho Amaya tumhara hath tou jal gaya aus k chehre par pareshani thi..
wo bina koi jawab diye wahan se chali gai...
waqt guzar gaya or firstyear complete hogaya....
Anaya Amaya k ghar aai hoi thi or wo dono bed par leti baatein karne lagi Amaya jo k kitab pardhne mein masroof thi or Anaya whatsapp pe masroof Amaya time par ready hojana aj raat party mein jana he cell phone pe nazrein makroos kiye wo boli…
kis bat ki party Amaya kitab se mou nikal kar ause dekhne lagi
Oh come'on innocent mat bano party tou banti he na hamara 1st year jo khair kheriyat se complete ho gaya he tum ain kitabon se khud ko bahar nikalo tou hi tumhein kuch ilam ho…
Ab hum senior ho gae he hahaha kitna maza aae ga ab hum juniors ki ragging krege ab tou apni hukamat he 'Anaya' shararti lehjee mein hanste hoe boli....
hanw yar kab ye firstyear guzar gaya pata bhi nahi chala...
Oh shoot! ab agey study or bhi tough hojae gi Amaya hont danton me dabae boli...
auff amu bas karo study ki bad me soche ge abhi tou bas party ki tayari karo me aj yahin ho tumhare ghar sham me sath chale ge anaya hanste howe boli ...
wo sb tou thek he annu ye batao tum dress kon si pehno gi moti ab wo ause tang karne lagi
Dress….? Dekhti hun wo ab bhi whatsapp pe masroof thi
Aik tou tumhara ye cell phone rakho ais ko warna me tor dungi har waqt whatsapp tum kis se chating karti rehti ho? Amaya ab uth kar behti or aus ka cell phone chen’ne lagi
Amu Amu choro mera phone kisi se chating nahi karti mein bas funny videos sab ko send karti hun
Oh Achaw chalo ab batao dress kon sa lai ho pehn’ne k liye(do ghante)tum khud ko sheshe me dekho gi amu dekh i'm looking fat naaaw? me kesi lag rahi ho ye acha lag raha he ya?
ye shoes pehnu ya ye 'Amaya' shararti andaz mein Anaya ki naqal utarne lagi...
haha very funny amu ! Anaya mau banae boli or fridge se pani ki bottle nikalne lagi ....                                                                                                                                                          
You know amu sab log bohat excited he kiyon k ye humari first party he....
Amaya firstyear se yaad aaya jab hum do saal pehle collage me the tab firstyear k paprs k doraan mene tumhein pehli bar dekha tha,
tum apni dost k sath masti kar rahi thi or aus ki help bhi kar rahi thi tou tab tum mujhe bohat achi lagi phir aik bar mene tumhein shopping mall me dekha tum aik gareeb orat ki madad kar rahi thi tab bhi tum bohat acha lagi bas phir dil mein dua ki kash tum meri best freind hoti or dekho der se hi sahi par "ALLAH PAK" ne meri dua qabool kar li wo dono khilkhila kar hansi...
Anaya mene tumhein kabhi collage mein kiyon nahi dekha?wo tehdri nazron se ause dekhne lagi
kese dekhti mein tou collage hi bohat kamm aati thi or mujhe ziyada koi janta bhi nahi tha...
Achaaw par tum collage kmm kiyun ati thi? Ab Amaya Dressing Table k agey khadri apne baal banane lagi
Yar wo Actually kiya howa tha k me jis bus me collage aati thi aus bus mein kisi ne mere bag me flowers or card dal diya tha or jab mene ghar ja kar bag dekha tou flowers and card nikla or aus card me duniya jahan ki flarty lines likhi hoi thi mene aus din hi teh kar liya tha k jis din mujhe ais shaks ka pata chale ga me aus ki gardan pe churi chala dungi Amaya bohat dilchasbi se aus ki baatein sun rahi thi
Achaw phir kiya howa pata chala kon tha? Ab wo aus k qareeb aa kar beht gai
Hanw pata chal gaya tha wo dhemi awaz me boli
Achaw kon tha wo dikhne me kesa he ? kiya tumhari aus se baat he kahin tum whatsapp pe ausi k sath tou nahi lagi rehti kahan rehta he kiya tum bhi ause pasand karti ho ary batao na chup kiyon he?
Amaya non-stop bole ja rahi thi or Anaya k sirf aik jumle pe Amaya ki bolti band hogai
wo Bus Conductor tha … wo mou banae boli
Amaya ka mou khula ka khula reh gaya What….? Bus Conductor…?
Fitty Mou ausi pal amaya ki sari dilchasbi khatam hogai kamre me kuch pal khamoshi chaaah gai or agle hi pal dono aik dosre ko dekh kar kehka laga kar hasne lagi…
Ais Manhoos mare conductor ki wajah se mene bus me aana hi chor diya tha…  
                                                                                                 -----******-------*****-------******-------.                                                                              

Kuch hi der bad Anaya Tayar ho kar tv lounge me aagai ab wo tv on karne lagi amaya kahan ho jaldi aajao der ho rahi he agle hi pal aus ki nazar Samne kamre se nikalti 'Amaya' par gai...
Black pe silver embroidy wali frok me malboos, khule howe silky baal jo halke se aus ki ankhon pe aa rahe the, aik hath me bracelet or dosre hath me silver handkalchh,kanoo me decent se silver ear rings, Red lipstick gore se chehre pe kiya khoob lag rahi thi Amaya behad khoobsurat dikhai de rahi thi....
Anaya remote rakhte hoe aik dum khadri hogai...
Oh My God amu its you? wow Mashallah you are looking so beautifull aj tou tumhara dream boy tumhein dekhte hi fida hojae ga or tumhein aa kar purpose kare ga hey Amaya will you be my dream girl? Ab wo dono kehka laga kar hansi
wese aik shair arz he!
Irshad farmaein muhtarma Amaya muskurate hoe boli!
Ehm Ehm tou janab arz kiya he....!
"Na mangu samosey na pakore na aalu chaat
Na mangu samosey na pakore na aalu chaat
Me tou mangu Aliyan aa k kar le Amaya se apne dil ki baat".....!
Wah Wah Wah wAh Amaya khilkhilai..
shukriya shukriya...
Baatein karte karte ab wo parking area mein aagai thi..
hanw aesa ho hi na jae rehne do aik saal guzar gaya aus ne kabhi thek se dekha bhi nahi hoga mujhe wel, thnkyou you also looks pretty in pink dress par mujh se ziyada nahi wo maskharana andaz mein boli!
chalo chalo late ho raha he Amaya car start karte hoe boli....
Amu wo akdru tumhein zaror dekhta hoga, aus me bhi tumhare wale kuch jarasem he!
show off na karne wale jarasem…
120 ki speed se 20minute me party me phunch gae party me enter hote hi Amaya ki nazar zain or fahad k sath khadri Pari or Khansa pe gai jo aune hi dekh rahi thi...
Look at her Fahad she is so pretty pas khadra Ahmer amaya ki tarf ishara karte hoe bola
Fahad ne nazar utha kar amaya ki janib dekha tou dekhta hi reh gaya….

Aik black dress mein, khule howe baal,or bohat hi pyari dikhne wali Amaya or dosri pink dress mein,
light sa makeup kiye howe Anaya!
Aik Princess tou dosri kisi Queen se kamm nahi…
Sab auneh dekh rahe the tareef kar rahe the par Amaya ki nazrein tou kisi or ko hi talash kar rahi thi almost sab ne hi Amaya ki taref ki...      
{kis ka he ye tum ko intezar mein hun naa } Anaya ne Amaya ko dekhte hoe gana gun'gunaya                                                           Ap k jiju ka Amaya chulbule andaz me boli …
Amaya aik or shair arz he anaya muskura kar boli!
Irshad irshad Amaya ne mazahiya lehje me jawab diya
Arz kiya he
Maza nahi ata kisi ko logon ki tareefen sun kar
kisi ko tou bas kisi ki aik nazar ka intezar he".....
wah wah wah wah zalim aj tou mere dil ki baat hi keh dali tum ne wese Anaya tumhari shairi he tou pakao par maze ki he wo muskurate hoe boli....
kuch hi der me Aliyan ko ate dekha jo cotton ki white shalwar kameez par black waistcot me malboos behad handsome lag raha tha...
Lo aa gaya tumhara akdru wese amu ye batao ab konsa sound chal raha he tumhare dil me ause ate dekh kar? Anaya shararti lehje me boli,
(Dhelez pe mere dil ki jo rakhe he tu ne qadm) Amaya ause dekh kar khoe howe andaz me boli ...                                      
Haeey kudri tey kamli hi kar diti ais khadros ne amu amu hosh me aao kin khayalon me doob gai ho Anaya Amaya ka bazu khenchte hoe boli!
Aliyan ne jab aus ki tarf dekha tou Amaya ne apni nazrein dosri tarf ghuma li,party me sab ne bohat enjoy kiya...
Amaya ne bohat si photographs li, amaya ko(photography)ka behad shoq he wo har lamhe ko apne camera me qeed karna chahti he har achi yadon ko....
Amaya suno, tumhri picture lun Aliyan k sath Anaya muskurate howe boli!
what but how(lekin wo kese)?
jahan Aliyan khadra ho tum aus k samne ja k khadri hojana or wo tumhare piche khadra hoga
me foran picture click kar lugi...
wah wah Anaya me tou tumhen pagal samjhti thi par tum tou double pagal nikli,
aus ne dekh liya naa k hum ne picture li he foran yahin pakar kar khadra hojae ga or phir insult kardega or mujhe koi shoq nahi apni insult karwane ki bhaaard me jae picture,
akhir self-respect nam ki bhi koi cheez hoti he Amaya apne baal kan k piche karte hoe boli....
Party me light music chal raha tha bohat hi ache lamhat the sab bohat ache lag rahe the,
yar jise dekho apne boyfriend k sath enjoy kar rahi hen Kaaash ais party me koi handsome mujhe bhi mil jae Anaya yahan wahan nazar ghumane lagi..
Tum aik ishara karo deewano ki line lag jae gi pretty girl Amaya muskurate hoe boli...
OH yar ye kon he? kab se ghoor raha he Anaya naak sakodre boli
Bibi jab itna ban sawar k aao gi tou log ghoore ge hi, nazren jhuka k thori behte ge makeup zara kamm karna tha...
Oh really Amu you just shut up ok ais waqt tum mujhe zehar lag rahi ho
Amaya mou ghuma kar muskurane lagi...
wo larka mazed Anaya ko ghoree ja raha tha ab dekh me kiya karti hun...
Ary choro wese bhi party khatam hone wali he bas kuch der mein ham ghar hi ja rahe he dafa karo
Nahi kiyun Dafa Karun tum yahi ruko abhi mein ais ka mou tor kar aati hun…
Excause me! kiya ap mera aik kam kare ge? anaya aus shaks k pas ja kar boli!
wo khushi se muskura kar bola jee hukam karen ap k liye jan bhi hazir he!
jan wagera nahi chahiye bas ap apni kutoo jesi nazrein mere samne se hata lein shukriya…
ye kehte hoe Anaya wahan se chal di or wo bichara wahin khadra ause jate hoe dekhta raha
hahaha wah Anaya taaaliyan, mere sath reh kar tum bahadur hogai ho kiya insult ki he alaaaa!
shakal dekhne wali thi aus larke ki amaya car start karte hoe boli...
auf mere khuda mene aik handsome sa larka manga tha na k ghorne wala bakra kuch tou reham karo malik anaya car k sheshe se bahar asman ki janib dekhte howe bolne lagi...
                     -----*****----*****----*****-----
Vications k bad aj pehle din wo akeli university aai thi amaya aus k sath nahi thi
Anaya hostel se aa rahi thi auni larkiyon ne ause roka...
Anaya we are really very sorry...
sorry? Anaya ne herani se lafz dohraya wo aus roz wala scene bhi bhool chuki thi
hum ne tumhein galat samjha or tum pe comment pass kiye hamein nahi pata tha k wo
voice recording fake he, Anaya ki ankhein khuli ki khuli reh gai voice recording kesi recording?
Tumhein nahi pata ais bare me ya jan'boj kr anjan ban rahi ho? Aun me se aik larki boli
nahi mujhe kisi bhi voice recording ka ilm nahi...
acha Amaya se ais bare me phoch lena or auska shukriya bhi kar dena bohat bari badnami se bachaya he aus ne tumhein acha hum chalte he...
wo sochon me mubtala hogai, meri badnami, voice recording, amaya ko sab pata, amaya ne chupaya
kiyon kahin meri wajah se wo kisi musibat mein.......?
Second semester shuro ho gaya, Amaya university aai kuch der bad hi bycott ho gaya kisi 
Politician
Aj Anaya university nahi aai wo Amaya ki car le kar kahin gai hoi thi...
har tarf aafra tafri ka alam tha koi convence nahi thi majboran ause kisi se madad mangni pardhi
Amaya ne aik larke ko dekha aus ki pusht amaya ki tarf thi jis wajah se wo aus ka chehra nahi dekh pa rahi thi,
Exacuse me! mujhe ap ki help chahiye kiya please mujhe ghar tak drop kar den ge mujhe kuch samjh nahi aa raha kese ghar jao har tarf aafra tafri he koi auto ya taxi bhi nahi milley gi wo ghabrate howe bol rahi thi...
jee ap daren mat mein drop kar deta hun jese hi aus ne apna chehra aus ki tarf ghumaya sehmi hoi amaya ko dekhte hoe wo chilaaa kar bola tumm ??
                   -------*****------*****-------*****------

Episode 5
                      Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain


A'aa'Aliyan?
Amaya ki Dharkane jese tham si gai par larne ka waqt nahi tha shehar k halaat bohat bigar chuke the ab tum ais khatara mein behat jao gi? wo sawaliyan nigahon se ause dekhne laga
Amaya sharminda si hogai bina koi jawab diye wo wahin khadri rahi
Wo seene pe hath bandhein khadra ause dekh raha tha Ab kiya tumhein car me beht’ne ka invitation dena pardhe ga ? Ab Behto Aliyan ne ause beht'ne ka ishara kiya wo foran car mein beht gai..
Ab wo university se nikal kar road par aa gae the bohat hi khatarnak manzar dekhne ko milley har tarf gadriyon ko aag lagi hoi,
Road par Tayars jale hoe, dandee mar kar gadriyon k sheshe tore ja rahe the!
Log yahan wahan bhag rahe the jis root pe ainoo ne jana tha wahan jana na'mumkin tha...
Amaya bohat seham gai ab kiya hoga?
Ghar kese jaon gi ye sab batein abhi dimag me aai hi thi k kuch bike sawar log auneh follow karne lage!
Aun k hathon me bare bare dandein Amaya ka tou dimag hi sunn ho gaya ab kiya hoga
kiya hum bhi mare jae ge Aliyan ne car ki speed bardha di...
Aliyan or tez or tez wo log piche hi hen hamare ab tou bas kalma pardh lo aj tou hum gae Amaya darte howe boli ...
Aliyan ne ghuse wali nigaah aus pe dali Chala tou raha hun tez or kitna tez chalao hawa me udraa lon
car he Aeroplane nahi chup chap behti raho wo ghuse se ankhein dikhate hoe bola ...
Aesi situation me bhi ghusa, aufff khadros kahin ka Amaya bhardbarane lagi...
kia kiya kaha tum ne?
kuch nahi ap k shayad kan baj rahe he Amaya ne mou banate hoe jawab diya...
wo ab dosri bar aisi shakhs k sath car ki front seat par behti thi!
Pehli bar yaqenan tab behti thi jab wo ause hospital le kar gaya tha or wo behosh thi...
kuch der bad ALLAH ka karm howa k aun logo ne follow karna chor diya or Amaya khushi se chilai
hum bach gae yeaaah hum bach gae wo tali marte hoe bachon ki tarah chilaa raha thi....
yeah Exactly ham bach gae par agar tum aese hi khachr kachrr bolti rahi tou me zaror mar jaon ga?
Akhri lafz zara khench kar bola
kiyon mere bolne se ap k marne ka kiya connection?Ab wo ause sawaliyan nigahon se dekh rahi thi
Connection he tum aese hi pore raste bolti raho gi tou mere sar me dard hone lage ga or sar dard hoga tou wo dimag par charrd jae ga or me pagal hojaoga or paglon ko driving ka koi sense nahi hota or phir car kahin lag jaegi or ham mar jae ge Aliyan aik hi saans me bola....
HmMm itni speech dene ki kiya zarorat thi simply keh dete k khamosh hojao wo maskharana andaz me boli jawab dena tou jese Amaya par farz he...
Aliyan ka dil chaha ause kahe(Mohtarma sehdi baat tum larkiyon ko samjh kahan aati he) par wo khamosh raha!
wel, ye batao ham ja kahan rahe he kuch pata bhi he ya bas aese hi chalte ja rahe hen?
Tenshion mat lo tumhein kidnap nahi karne laga....
hanw mujhe kidnap kar bhi nahi sakte wo foran boli...
koi ullu hi hoga jo tumhein kidnap karega tumhein kidnap karna matlab apne ap ko aziyaat or mushkil me dalna, Aliyan tehdri nazron se dekhte hoe bola ...
Amaya ko ghusa aya par khamosh rahi kuch der sochne k baad wo boli aus din wo larka kon tha
wo kiyon ap ko chaku marna chahta tha?
Chalo utro niche Aliyan car rokte hoe bola ..
k’Kiyon utro? wo ruk ruk kar boli
kiyon k ham mera gaon(village) phunch chuke he wo car park karne laga...
Ary wah phunch bhi gae pata hi nahi chala (Mujhe laga ye khadros ghuse mein mujhe car se utar raha he ais ka kiya bharosa kuch bhi kar sakta he) wo dhemi awaz mein boli
Ab phir kuch kaha tum ne?
Nahi phir se ap k kan baje he aus ne dobara wohi jawab diya....
                 -----*****----*****----*****-----
Ab wo log Haveli me dakhil hoe Aik khatoon jhole mein behti thin...
Aine ata dekh wo foran uth kar aain...
Aliyan beta tum achanak kese aa gae ghar me sab kese he or ye larki kon he?
Asalam wa Alaikum Aunty aus ne muskurate hoe salam kiya
jawab mein wo khatoon bhi muskurai Wa Alaikum Asalam Beta…                              Jeans kurte mein malboos aus pe grey colour ka lamba sa jacket pehne,
Gray Hijab me Malboos,
dono hath jacket ki jaib me dale Amaya khadri thi....
Chachi ye meri university fellow he Amaya Amir or Amaya ye meri choti chachi hein
Hina chachi or auni tamam bat batai ...
Beta acha kiya jo yahan aa gae aao behtoo..
Beta pareshan nahi hona yahan tumhein koi pareshani nahi hogi tum hamari mehman ho
chachi Amaya ko piyar bhari nigahon se dekhte hoe bolin..
Thankyou Aunty Amaya ne muskura kar jawab diya....
Shanze,Haniya,Samaira yahan aao dekho mehman aae he jaldi karo kuch chae nashte lao..
Asalam wa Alaikum, 'shanze' pani ka glass aun ke agey karte hoe boli...
Amaya ye meri bari beti he Shanze or ye do choti betiyan hen Haniya Refreshment table par laga rahi thi or choti ladli beti Samaira jo plates lagane mein masroof thi..
Hina chachi aun ki tarf ishara karte hoe auneh introduce karwa rahi thin
Amaya beta tum jab tak chaho yahan reh sakti ho aun k lehje mein bohat narmi thi..
Thankyou Aunty mujhe ap sab se mil kar khushi hoi wo jawab me muskurate hoe boli
Beta khao ye sab ap k liye hi tou rakha he...
jee shure ap bhi lein Aunty ye samosa, kabab, pakore, Amaya bina kuch soche samjhe bolne lagi
Nahi beta me Dieting pe hun!
Wo Ab tang pe tang Rakhte hoe bolne lagi Ary Aunty chorein ye Dieting wagera jo maza ye sab chezein khane me he wo Ghaas(Grass) khane me thori he,
Ap tenshion free ho kar khaein me ap ko aesa Diet plane batao gi ap aik dum smart hojaein gin....
(Auf mere khuda ais ka fm phir shuru ho gaya kitna bolti he) Aliyan chae ka sip lete hoe dil me sochne laga or Amaya ko ankhein dikhane laga..
Amaya ki hanste hanste nigah Aliyan pe gai wo foran boli kiya howa?
aese kiyon ghor rahe ho mene kuch galat kaha he kiya?
Chachi ne aik nazar Aliyan pe Dali
Wo sehda ho kar behta Chachi ye thori Mental he ap Ais ka bura mat maniye ga Ab wo cup table par rakhne laga!
Ais bar chachi ne Amaya ki janib dekha jo mou banae khamosh behti thi
Aliyan Buri bat aese nahi kehte Amaya tum bohat piyari batein karti ho kahan se seekhi?
jee seekhne ki kiya zarort he mere dil me jo bhi hota he keh deti hun, jo bhi dil mein aae wohi karti hun
i like Adventures ab wo muskurai…
Aunty Agar me abhi dil ki nahi suno gi tou bad mein ye soch soch kar phashtaon gin kash me aesa kar leti, kash me wesa kar leti so, i'm not kash type person!
Anaya kehti he mere Adventures mujhe kisi din le doobe ge par mujhe ais baat ki parwah nahi atleast baad mein mujhe ye tou phashtawa nahi hoga k me ne ye nahi kiya wo nahi kiya or wese bhi aunty
mera man'na he insan ko apne dil ki kehni or sunnni chahye …
Ye tou achi baat he K ap Apne dil ki sunti hein par beta khayal rakhna kai bar dil bhi galat mashware de deta he ais bar chachi muskurai…
Chachi ki betiyan tou kam me masroof thi wo pas behti hi nahi…
or beta pardhai k ilawa kiya shoq he ap k kiya pasand he?
Mujhe tou Aunty bohat kuch pasand he music, driving, books reading, logo ki madad karna, photography, shoping,Adventures,sketching,or or or mujhe Anaya bohat pasand he
Auski pakao shairi jhelna or apni batein manwana or......
Aliyan ause ghooor raha tha Ary Bas bas, chachi ne tou galti hi kardi tumhari pasand poch kar
aesa kuch bacha he jo tumhein pasand na ho Aliyan ause tokte hoe bola
hanw abhi bhi kuch bacha he jo mujhe behad pasand he wo dil mein sochne lagi
wo kehna chahti thi (Amaya amir ko Aliyan mustafa bohat pasand he aus ka ghusa bohat pasand he
aus ka ghoor kar dekhna bohat pasand he
aus ka larai karna bohat pasand he
aus k mathey par bikhre baal ghuse se uthi hoi naak bohat pasand he)
Aliyan tum ne phir tokaa Amaya ko kitni piyari bachi he kitni achi baatein karti he kuch seekho
tum bhi Amaya se zindagi ko jeena sikho har waqt ghuse me rehna achi bat nahi
acha Amaya kis type ki books pardhti ho?
Islamic books,Novels,or stories wagera...
Beta Anaya kon he?
Anaya meri bestfriend hein ...
Acha mera khayal he ab ap ko rest karna chahiye haniya kamra dikhao Amaya ko thak gai hogi
chachi ye kehte hoe kitchn ki tarf chal di...
Aliyan bhi wahan se uth kar chala gaya
Haniya or Samaira aa gai api chalein hum ap ko kamra dikhate he!
wo dono Amaya ko Aik kamre me le gai kamra bohat hi piyara tha!
Amaya api ap mujhe (sam) keh sakti hen or kisi bhi cheez ki zarorat ho tou bata di jiyega
wese ap ko kamra kesa laga?
Bohat piyara he thank you Amaya muskurai...
Ap so jaein Amaya hum chalte he chalo sam haniya ne chalne ka ishara kiya
nahi api ap jaein mujhe amaya se baatein karni hen..
sam kal bhi baatein kar sakte he abhi chalo...
acha chalte he wo mou latkae boli or jate jate murd kar Amaya ko dekhne lagi phir wahin ruk gai
Amaya api aik baat kahun?
han bolo sam Amaya ne foran jawab diya..
Ap bohat khoobsurat hein amaya wo bol kar chali gai...
Amaya ko aus ki bat hansi si aa gai…
Ab wo kamre mein khirdki se bahar ki tarf chand ko dekhne lagi...
December ka mahina tezz thand or khirdki se thandi thandi hawa aus k chehre ko chuu rahi thi,
Amaya garm chadr 'odre' dono hathon ki hatheliyo ko masal rahi thi or dil me phir se sound bajne laga(Bheega bheega sa ye december he Bheegi bheegi si tanhai he)
ye sab kuch aik khuwab sa lag raha he dil hi dil me bohat khush hun k me Aliyan k sath aus k Gaon me hun or najane kitni raatein yahan guzre gi Aunty or aun ki betiyan bohat achi hein me tou bohat thaak gai raat bhi kafi hogai he sona chahiye Amaya khud se baatein kar rahi thi!


                                                                                                                                                  Subha ankh khuli tou bahar aa kar dekha har taraf khushi ka aalam tha phool wale ghar ko decorate kar rahe he tazee pholon ki behtreen khushbu naak ko chutey hoe guzrne lagi,
Amaya ap uth gai fresh ho jaen phir Nashta kar li jiye ga 'Haniya' pholon ka tokra table par rakhte howe boli....
HmM ye sab kiya ho raha he koi function he kiya?
jee aj Shanze api ka mehndi function he or kal aun ki shadi he itne kam karne wale rehte he raat me sam ko tabhi me le gai agar wo baatein karne beht jati tou sab kam bech me hi reh jate
Ap ko bura tou nahi laga tha naaw?
Nahi koi baat nahi wel, bohat bohat mubarak ho Amaya khushi se boli....
                            -------*****------*****-------*****------
koi he ary larkiyon kahan mar gai ho koi pani tou pilaae apni maa ko hina chachi saman rakhte howe bolin...
Mulazim sab ghar k kamon me masroof the ye lein ami pani kiya kiya lai hen ap market se ?
'sam' becheeni se shopper kholne lagi ...
Amaya Main hall me khadri phoolon ki decoration dekh rahi thi
beta Amaya yahan Aao ye lo tumhare liye kuch kapre functions me tum ye pehan lena chachi ab ause kapron ka shopper pakarane lagi...
jee mein?? par ais ki kiya zarorat thi aunty or hum tou wese bhi sham ko wapas chale jaege
Amaya baal kan k piche karte hoe boli...
Nahi beta karachi k halat abhi tak thek nahi howe he ap logon ko mazed kuch din yahan rehna hoga
agar bore ho rahi ho tou baag me chali jao Gaon (village) ghoom lo, ye gaon ak side me he aisi wajah se yahan koi shor sharaba nahi he sakoon hi sakoon he
beta hum sab tou kam me masroof he tum Aliyan k sath chali jao 'sam' Aliyan ko bulao ...
Ami wo tou Arif chachu k ghar gae he Abrar bhai wagera se milne...
Amaya tum haveli dekh lo jab Aliyan aa jae tab baag dekhne chali jana!
Amaya jawab mein muskurai haniya ause haveli dikhane lagi
Amaya kiya tum ne kabhi haveli dekhi he? haniya ne aus se sawal kiya
Nahi pehli bar dekh rahi hun bohat achi he ap logon ki haveli wo muskurate howe boli(ais bar Amaya ne jhoot kaha) haniya itni khushi or chahat se ause apni haveli ki aik aik cheez dikha rahi thi agar amaya ause bata deti k aus ki haveli ais se bhi ziyada bari or khoobsurat he tou haniya aus khushi or chahat se haveli na dikhati jo khushi ais waqt aus k chehre par he Amaya apne bare mein kuch batao tumhare baba kiya karte he wagera wagera haniya ne sawal kiya!
Amaya kuch der khamosh rahi wo kuch kehti ais se pehle haniya ko shanze ne bulwa liya
Amaya ap fresh ho jaein baqi baatein bad me kare ge ab wo wahan se chal di...
Amaya fresh hone chali gai!
Hina chachi lounge mein behti thi jab auno ne Aliyan ko aate dekha
wo dekho sam Aliyan aa gaya..
kiya howa chachi koi kam he ap mujhe bulwa letin
beta jao Amaya ko baag dikhane le jao!
kon mein wo herani se bola?
Han beta tum Amaya hamari mehman he jao shabash....
par chachi meri car start nahi ho rahi Aliyan sofee par tang pe tang rakhe beht gaya(ais bar aus ne jhoot kaha aus ki car bilkul thek thi)
Amaya agar yahan hoti tou yaqenan ause car par tokti aus ki nazar mein tou Aliyan ki car khatara he!
koi bat nahi apne chachu ki car le jao...
wo purple car ?? Aliyan achanak tez awaz sebola jis pe sam ko hansi aa gai
hanw G bhai jan wahi …
itne me amaya fresh ho kar k aagai orange kamez k sath green gher wali shalwar,
full salves mein malboos wo bohat piyari lag rahi thi gori rangat par halki si orange lipstck ne aus k chehre par char'chand laga diya....
chalein? wo halka sa muskurai
Chalo wo aukta kar bola mere ghar aa kar mujhi pe roub Aliyan bard'badate howe bahar ki janibb chalne laga,
ap ne kuch kaha? wo sawaliyan nazron se ause dekhne lagi
nahi ais bar tumhare kan baje he wo tanziyan nigahon se dekhne laga                                                                                                                 car ka colour dekhte hi hum ais (bengan)mein jae ge?
Aliyan ne aik nazar aus k kapron pe dali hanw (haldi k dabe) k liye bengan hi best he                                                                                                                                                       20mint ki drive par baag tha!
wo 20mint baad baag me phunche Amaya car se utar'te hi subha ka manzar dekhne lagi
ap ka gaon bohat acha he har tarf "haryaali" parindo ka cheh'cha'hana subha ki thandi hawa asman par safeed badal bohat khoosurat nazara he                    
Amaya wahan kam karne wali orton ki simat chalne lagi...                                   No not again amaya please ab ain k sath batein karna shuru mat hojana har jaga tumhein koi na koi mil jata he bat karne ko kisi ko tou bakhsssh diya karo,
Aliyan amaya ki tarf bardhte hoe bola ....
Mujhe maza ata he kheton me kam karne wale logon se batein karne ka apne "gaon" me bhi yahi karti hun Amaya tezi se boli..
Tumhara bhi gaon he? aus ne sawal kiya
han mera bhi gaon he wo muskura kar boli wo agey agey chal rahi thi or aliyan aus k piche piche!
tou phir tum itna khush kiyon ho rahi ho jese pehli bar kisi gaon mein aai ho?
wo uljhi hoi nigahon se ause dekhne laga
Wo chalti chalti wahin ruk gai or murd kar Aliyan ki janib dekha Aus k chehre ki muskurahat ab gayab hogai thi wo kehna chahti thi (me ais liye khush hon kiyon k mein Aliyan k sath hun
wo Aik larka Aliyan
Ghuse wali aadaon sa,
Dhoop si chaaon sa,
Roobdar sa,
Mangi hoi duwaon sa!
Bas wese hi mujhe gaon ache lagte he wo muskurate howe agey bardhne lagi...
Ap bataein wo larka ap ko kiyon marna chahta tha? achanak aus ne wahi sawal dobara kiya
kuch khas nahi aus ne hamare group ki aik larki ko bohat tang kiya tha tou bas mene ause mara tha tou wo ausi ka badla lene aaya tha ais bar aus ka lehja buhat naram tha acha tum wahan ladies se baatein karo tab tak me zara hariyon se mil lon ye kehte hoe wo wahan se chala gaya!
kheton mein kam karne wali orton se baatein karne k baad wo wahan se chalne lagi kuch deer chalte chalte wo aik aesi jaga par phunchi jahan koi bhi na tha bilkul sanaata tha
Amaya ki nazar jhoole par gai oh wao jhoola …
wo darkht(tree) par lage jhoole ko dekhte hoe aus ki tarf lapki or foran jhole par beht gai or jhole lene lagi Aliyan ne ause wahan dekha tou foran aus ki tarf lapka aus ka hath pakar kar ause apni tarf khencha ye kiya kar rahi ho chalo yahan se..
par kiyon kiya howa itna maza aa raha he jhoole lene mein jhole tou lene do...
Kiyon k ye jaga thek nahi he yahan kafi salon se ye jhoola laga howa he par ais par koi jholta nahi he or yahan ais (darkkt)par asraaat wagera he...
what nonsense me nahi manti ain baton ko amaya apna duppta sar par lete howe boli...
oh really tum nahi manti ain baaton ko tou sar par dupata kiyon le rahi ho?
jao ja kar beht jao jhole par jab koi bhoot wagera nazar aaaege tou mere piche bhagti hoi mat aana jaa raha hun me wo wahan se chalne laga...
Ary suno Amaya yahan wahan dekhte howe aus k piche bhagne lagi....
Baag se ghar lout'te waqt raste me aik "khaton" dikhaai di aun k hath me kuch sabziyaan thi
Aliyan roko roko car rukte hi wo car se bahar aai or aus khatoon se pochne lagi
Ap Masi Bano ki beti shagufta hen na?
jee bibi par ap kese janti hen meri ama ko or mujhe?
Me Amaya hun Saein Amir ki beti or ap ko aik bar gaon me dekha tha mene ais liye mujhe ap ka chehra yaad he ye batao Masi kesi hen kahan hen agar ap k ghar he tou mujhe apne ghar le chalein..
jee zaror ap hamre ghar aaen gin hamein khushi hogi ...
Ab Aliyan bhi car se utar kar bahar aa aagaya
Aliyan chalo hum Masi bano se milne ja rahe he ye aunki beti he Shagufta ...
Amaya aise sath le jane ki kiya zarorat he me janta hon ainka ghar ye log hamare kheton me kam karte he Aliyan ne foran jawab diya
Me Gareeb hun ap malik hein meri hasiyat nahi he ap ki car me behtne ki me pedal chali jaon gi Aliyan ki bat pe shagufta ne foran jawab diya
Amaya ne bari bari dono ki janib dekha Amaya ko Aliyan ki ye baat bohat buri lagi or ause ghusa bhi aaya
Shagufta behto car mein hum tumhare ghar jaa rahe he Amaya ne ause car me beht'ne ka ishara kiya,
or Aliyan ko tehdri nazron se dekhne lagi...
Raste mein do chonpdre dikhai diye shagufta ne bataya me or Masi bano ais chonpdre mein rehte hen amaya ko taras sa aaya barish wagera mein ye log kiya karte honge kese rehte hoge ab aliyan ne car park ki Shagufta utar kar chali gai
Amaya me yahin wait kar raha hun jaldi aa jana wo windscreen pe nazrein makroos kiye bola
Kiyun ap nahi aa rahe…?
Nahi Mera standard kharab ho jae ga wo ab bhi windscreen ki janib hi dekh raha tha
Amaya chup chap car se utri or bhagte hoe Masi bano k pas gai wo behad bemar thi or aunki yad'dast bhi kamzor ho chuki thi…
Ama dekho tum se milne kon aaya he wadera saein Aliyan or Amaya Bibi
shagufta behad khushi se boli ...!!
Asalam wa Alaikum masi ab ap ki tabiyat kesi he?
Beta kon mene pehchana nahi ..
Masi me Amaya amu saein Amir ki beti ...
Amu dhiii aai he beti kesi ho tumhara saein kesa he?
Masi ko Amaya se ziyada aus k saein ki fikar thi
jee Masi hum thek hen ap kesi hen dawai wagera time pe khaya karen apna ache se ilaj karwaein ..
Amu Tumhara Saein kahan he Shagufta tum ne tou kaha k Aliyan bhi aaya he?
Jee Masi wo bahar hein
Beta ause andar bula lao aus din me aus se baatein nahi kar saki thi aj do baatein hi ho jae gi
or beti ab tou bohat umar hogai he ilaj jitne paise nahi he bas guzara ho raha he…
Amaya ko aun pe taras sa aaya wo bahar gai or Aliyan ko andar aane ka ishara kiya!
Ab ais k sath kiya masla he? Ais aik din me ais ne mujhe tang kar diya he wo bard’badata hoe aus ki janib chalta hoa aaya
Aliyan kuch paise miley ge udhar de do ghar jate hi wapas kar dungi
bas ain gareebon ki yahi problem he amer admi dekha nahi k mangna shuru kar dete he
Amaya ko aus ki baat kisi kante ki tarah chubhi wo aus k raviye pe bohat heran thi 
kisi ne nahi mange mujh se paise Masi bohat bemar he me khud aune ilaj k paise de rahi hun masi ap ka poch rahi hen agar ap andar aa kar salam kar dein ge tou ap ki shan mein koi kami nahi aa jae gi
Aliyan ki ais harkat se aus k dil ka aik konaaa toot sa gaya tha
wo dil me sochne lagi ais se mujhe ye umeed nahi thi kiya mujhe aik aesa shaks pasand he jo ameer gareeb me farq rakhta he
wo khamosh khadra tha or kuch der sochne k bad apni jaib se paise nikalne laga
ye lo paise or wapas lotane ki zarorat nahi meri tarf se auneh de do or kehna ilaj karwa lein...
Amaya aik dum chonki Kiya ye wohi Aliyan he Jo thori der pehle aik gareeb ko car me nahi behta raha tha sirf ais liye k aus ka standard kharab ho jae ga Amaya ko aus par herani hoi par khushi bhi hoi aus ne muskurate hoe paise le liye Thankyou so much...
wo Ab bhi bahar hi khadra tha andar nahi aaya tha
Amaya ab andar ja chuki thi Ye lein Masi kuch paise apna ilaj karwa li jiye ga wo paise dete hoe boli ...
Nahi nahi beta tum se paise kese le sakti hun ais ki zarorat nahi he..
Please Masi rakh lein apni beti samjh kar le lein ap lein gin Mujhe khushi hogi..
Beta "ALLAH PAK" tum dono ko hamesha khush rakhe Ameen Masi khoob duwaen dene lagi....
Acha Masi ab me chalti hun rat bhi hone wali he apna khayal rakhiye ga ALLAH HAFIZ!
Tum kitni achi soch ki malik ho Aliyan car start karte hoe bola na chahte hoe bhi aus ne Amaya ki taref kar di...
jee shukriya! hum sab musalman hen or humein dosro ki madad karni chahiye dene wali zaat ALLAH ki he wo kisi ko ziyada deta he or kisi ko kamm jise ziyada deta he ause azmata bhi he wo ye dekhta he k mene apne bandon ko itna diya he kiya mere bandein apne se gareeb logon ki madad karte he ya nahi
ALLAH ne agar hamein acha diya he tou hamein agey garibon ko de kar aunki madad karni chahiye sab ki madad karne wala ALLAH he hum tou bas aik zariyaa hen or ap ne masi ki madad ki ALLAH PAK ap ko ais ka ajjar zaror dege! Dhemi awaz me boli  
Aus ne aik nazar Amaya pe dali Intresting tum islamic baatein bhi karti ho wo halka sa muskuraya!
Amaya ne koi jawab na diya wo kafi deer khamosh rahi jese kisi soch me doobi ho..
Wah aj tum kitni khamosh ho bohat sakoon he Aliyan ne maskharana andaz me kaha...
ye khadros taref or mazaq bhi karta he bari bat he wo dil me sochne lagi par ause koi response na diya wo apni hi sochon me gumm thi...
Intresting tumhari 'Masiyon' se bhi banti he aik bar phir wo drive karte hoe bola ....
zahir he wo bhi hamari tarah insan he dene wali zaat ALLAH ki he atleast gariboon pe me apna roub nahi dikhati or wo koi masi nahi hen hum ne hamesha auneh apna family member samjha he or na mujhe shoq he kuch show off karne ka Ap please driving pe dehan dein
ap ka mettar nahi he k mera kis k sath kesa behaviour he Amaya ghuse se tana( tount) marte howe boli..
hanw tum tou bas dosron ki car par roub karti ho aus ne bhi foran jawab me tana(tount) mar diya
tum ne bataya kiyon nahi auneh k hamari koi shadi nahi hoi wo ause sawaliyan nazron se dekhne laga
Me ne kafi arsee bad auneh itna khush dekha he me aun ki khushi spoil nahi karna chahti thi agar koi hamari kisi baat se khush he tou humein auski khushi kharab nahi karni chahiye
hamesha apne bare me sochna acha nahi hota kabhi dosron k bare me bhi soch lena chahiye ALLAH jo karta he behtar karta he kiya pata ais me bhi koi behtri ho kiya pata masi kabhi itna khush na hoi ho
jitna hospital mein meri shadi ka sun kar khush hoi thin khair ap ko kiya pata dosro ki khushi k bare mein ap ko bas dosro ko hurt karna ata he Amaya dhemi awaz me boli or car se bahar ki janib dekhne lagi...
wese bhi aun k samjhne se hum konsa miya bivi ban jae ge wo phir dhemi awaz mein boli...
Amaya bohat hasas qisam ki larki he wo bohat jald Emotional ho jati he..
Dosri tarf mukamal khamoshi thi wo khamoshi se driving karta raha koi jawab na diya....                                                                                                           wo sochne lagi k agar koi gareeb he tou wo bohat gareeb he agar koi amer he tou wo bohat ziyada hi amer he jo gareeb hein auneh koi pochta nahi or jo amer he sab log aun k agey piche ghomte he,
kiya ajeeb dastor he ais dunya ka humein itna kuch milta he khane ko pehn'ne ko phir bhi hum kitne nakhre karte he kitne na'shukre he agar yahi sab kisi gareeb ko miley tou wo behad khushi se zindagi basar kare or ALLAH ka lakh lakh shukar ada kare....

Hello Are You Here? Pori rat (bhengan me hi rehna he Haldi k dabe) chalo utro Haveli phunch gae he!
Aliyan ne Amaya ki ankhon k samne hath hilaatey howe kaha .....                                                                                               Oh i'm sorry me kuch soch rahi thi wo kehte hoe khamoshi se andar chali gai..                                                                             Haveli mein har tarf mehmano ki amad thi koi kam me masroof tou koi tayar hone mein..
Larkiyo jaldi tayar hojao, Shanze k sasural bhi jana he wahin sath me function karen ge chachi ki awaz kano se takrai Amaya Aliyan ko dekha tou Haniya aun ki janib chati hoi aai
Ap logon ne ane me itni der kar di bhai jan ap k kapre room me rakhen he Ready hojaein or Amaya
ap bhi Ready hojaein hamare yahan jaldi Rasmen shuru hojati hen
api k sasural chalna he wahin function hoga 'Haniya' ear rings pehnte hoe boli ...
kuch hi der me sab tayar hogae or shanze k sasural jane k liye nikal gae...
Amaya tum abhi tak room me hi ho sab ja chuke he acha howa mene tumhein dekh liya warna tum tou yahin haveli me hi reh jati 'Haniya' wahan khadri ause dekhte howe boli!                                                             Amaya dressing table k samne khadri khud ko sheshe me dekh rahi thi,
Nahi thankyou ap jaein me nahi aa rahi ap k rishtedar kiya soche ge k me kon hon kese aagai Aliyan k sath me nahi chahti koi mere bare me galat soche wo hair brush table par rakhne lagi..
Bas itni si bat koi kuch nahi kahe ga me tumhara introduction apni dost bata kar karwao gi ok ab chalo bohat maza aaega tumhein wahan...
'Haniya' tum bohat sweet ho Amaya aus ki gaal khenchte hoe boli,
Thankyou ap bhi kam nahi Amaya ap bohat piyari or friendly hen Haniya ause sath me le gai....
                                     -------*****------*****-------*****------
Episode 6
                          Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Peach Dress mein malboos gori rangat par pink lipstick, kanoo me jhumke,
khule howe silky baal jo kandhon pe gire hoe the, Amaya k gori kalaiyoon me choriyan jin ki badolat
aus k hath haseen lag rahe the or wo be'had khoobsurat lag rahi thi....
Jese hi wo 'shanze' k sasural mein dakhil hoi Aik shaks jo black kurte me malboos bohat handsome dikhai de raha tha Amaya k qareeb se phone par bat karte guzar raha tha k achnk, dono ki takar hogai!
Aaoch Amaya sar par hath rakhe boli!
Oh I i'm Really very sorry mene ap ko dekha nahi ap ko ziyada lagi tou nahi?
wo shaks apna cell phone zameen se utha'te hoe bola...
Nahi its ok Amaya narmi se jawab dete hoe wahan se jane lagi!
Ex'cause me! kiya me jan sakta hun ap kon he? Ap ko yahan pehle kabhi dekha nahi ..
Amaya bina koi jawab diye wahan se chali gai or wo ause jate hoe dekhta raha...                                                         
'Haniya' ne apne sab 'Rishtedaro' or Shanze k sasural walon se introduce karwaya....                                                                   Amaya pani peene kitchen ki tarf gai kitchen me shanze ki saas thin..
Aunty kiya mujhe glass miley ga?
jee beta, cabnet me rakha he le lein, Amaya pani peete hoe boli Aunty Bahar function chal raha he ap yahan kitchen mein kiya kar rahi hen? kuch kam he tou mujhe bata dein me kar deti hun...
beta me Chae(Tea) banane lagi hun sab k liye hamari 'Mulazma' nahi aai he...
Aunty me bana deti hun(chae) Amaya muskurate hoe boli...             
Ary nahi beta ap mehman hen me bana logi...
nahi aunty koi bat nahi ap jaein me bana leti hon its ok....
Thek he beta Thankyou Humna Aunty wahan se chali gain.....                                                                                             oh shoot, mujhe tou bas [2cup(chae)] banana ati he, itni sari 'chae' me kese banao gi?
mene tou kabhi itni ziyada chae banai hi nahi he Amaya khud se kehne lagi koi scheme chalani pare gi socho socho amu socho, wo yahan wahan tehalne lagi
aik shaks jo kitchen me khadra sabziyan katne me masroof tha wo tehdri nazron se ause dekhne laga
Amaya ne note kiya tou ause dekh kar zabardasti ka muskura di
yes I have an idea Internet! Wo khushi se muskurai
Internet se recipe dekh leti hun but wifi ka password kis se pochun?                                                         Ab wo ausi kitchen me khadre shaks se mukhatib hoi suney, kiya ap ko wifi ka password pata he?
Nahi bibi jee ye kiya hota he? aus shaks ne narmi se jawab diya....
itne me wahan se koi guzra 'Abrar baba' yahan aaiye ga bibi jee kuch poch rahi hen…
              ------*****-----********-------*******--------
Abrar kitchen me dakhil howa Ap tou wohi hen naaw jo bahar mujh se takrai thin? par aap yahan kitchen me kiya kar rahi hen?
Ap se matlab Amaya ne do'tok jawab diya.....
jee ye mera ghar he mein Shanze ka devar hun 'Abrar Arif alam'wo apne seene par hath bandhee khadra tha!
oh shoot, i'm sorry actually wo me chae banane lagi thi tou mujhe ziyada logon ki chae banana nahi ati kiya ap mujhe wifi ka password bata dein ge...
haha wo kehka laga kar hansa tou ap net se dekh kar chae banae gi ap rehne dein 'yasir kaka' khudi bana lein ge kaka ap bana dein chae....
Nahi mene aunty se kaha he k me banao gi chae ap please mujhe pasword bata dein amaya auski tarf dekhte howe narmi se boli..
Ap bohat ziddi maloom hoti hen likhen password abrar4453....                                   kuch der mein Amaya Main hall me enter hoi ause dekhte hi 'Abrar' Aliyan se bola
ye (purzaa)kon he bhai jee?                                           
Purza?? Aliyan ne heraani se pocha ....
O han wo angrezi me kiya kehte he (sphere part)                  
Aliyan bina koi jawab diye wahan se chala gaya...                                                                                                                                               
Amaya terrace pe khadri niche Aliyan ki tarf dekh rahi thi ause dekhte hi aus k chehre pe muskurahat chaa gai wo black shervani me kiya khoob lag raha tha wo sochne lagi Aliyan hi tou he jise dekh kar aus k chehre par muskurahat aajati he,
wo Aliyan hi tou he jise aus ki nigahein talash karti hen,
wo Aliyan hi tou he jo sab se munfarid he,
wo aliyan hi tou he jo Amaya Amir ko behad pasand he...
Hello Mis Amaya ap akeli terrace pe itni thand mein kiya kar rahi hen niche aaein function enjoy karen Abrar shararti andaz me bola!
jee Thankyou i'm fine here Amaya apne baal chehre se piche ki tarf karte hoe boli..                                                                                 wese ap ne chae bohat achi banai thi ap shayad yahan bore ho rahi hen kahen tou ap ki boriyat dor kar dete he ...
Excause Me! Wo Ghuse se ause ghor kar dekhne lagi Ap flarting kar rahe he?
Agar ap flarting k irade se aae he tou chale jaein yahan se ais se pehle k mein ap ki shan mein chand alfaz kahun wo talakh lehje me boli..                                                   Nahi jee flarting nahi me tou direct line mar raha ho...
Mujhe ap jese fazol log bilkul pasand nahi ye kehte hoe wo niche ki janib chal di..
auf itni Akkard,itna Ghusa wah rey mere(sphere part)ye larki tou mera dil hi le gai 'Abrar' khud se bolne laga
Amaya jahan bhi jae Abrar har jaga aus k piche piche wo behad irritate ho rahi thi...
Amaya chahti tou aise sehda kar deti par shanze ka sasural he tou khamosh rahi or abrar ki harkatein jhelti rahi..

Fahad bhai wo dekhein wo larki Hamari uni ki he naa Kiya naam tha ais ka Wo dimag pe zor dale naam sochne laga hanw yad aaya Amaya wo Amaya he naa?
hanw zain ye tou Amaya he par ye yahan kese?Fahad herani se bola...
Zain Fahad ka chota he…
Amaya ne aineh dekhte hi mou pheer liya
auff ye log bhi yahan ab kiya pora khandan aae ga shadi mein..
Ain logon ko dekhte hi mujhe na’jane kiyun ghusa aa jata he Amaya ahista se boli...
Haniya yahan aao Asalam wa Alaikum ap log ko fursat mil gai aane ki?
Hamas kiyon nahi aaya?
wa alaikum asalam hamara haal chal mat pochna apne mangetar ki lag gai he bas or wo larki kon he peach dress mein?
hanw tou kiyon na pochon haq he mera...
wo Amaya he meri dost wo muskura kar boli..
chal jhoti ye hamari university me pardhti he tou tumhari dost kab kese kahan ban gai?
ye nak'chadri kisi ki dost nahi ban sakti zain mou banae bola dekho zara kese roub se behti hoi he
ye yahan kese aai kiya Aliyan bhai ko pata he?
Zain bas kar do chup hojao abb tum Amaya ko kitna jante ho jo aesa keh rahe ho fahad ne ause toka
Fahad bhai ap ko kiya he ap kiyun ais ki side le rahi he zain aukta kar bola
Me side nahi le raha bas aik baat keh raha hun jab tak ham kisi ko jan na le tab tak aus insan k bare me hamein apni rae nahi deni chahiye hamein koi haq nahi he kisi ko judge karne ka…
Zain bhai Amaya Aliyan bhai k sath hi aai he or ap meri dost ko aesa na kahe wo bohat achi he..
Fahad or Zain herani se aik dosre ko dekhne lage Aliyan k sath?
Jee hanw wo karachi k halaaat kharab the ain k piche kuch log bhi lag gae the tou bhai jan gaon aagae ami ne shadi tak rook liya wese bhi karachi k halaaat thek hi kahan howe he Haniya ye kehte howe wahan se chali gai..
Mehndi function bhi khatam ho chala tha kafi mehman ja chuke the
Fahad side me khadra Amaya ki janib dekhne laga par Amaya ne koi dehan na diya…
                                                               ------****-------*****--------*****--------
Mama Me Ap se kuch kehna chahta ho Nashte ki mez me behta Abrar apni maa se mukhatib tha
hanw Beta bolo!
'Mamma' me ne ap ki bahu dhond li he...
kiya waqai 'Abrar' kon he wo or achanak tumhein kon pasand aagai,
Tumhein tou koi larki pasand hi nahi aati thi aus ki maa k chehre pe herani or khushi se milte’julte taa’suraat the..                                                                           Mama Ap ko yad he wo Kal wali larki jis ne kitchen mein chae banai thi or bhi kafi kamon me ap ki help ki thi...
Hanw wo Haniya ki dost...
jee wohi Amaya 'Mama' mujhe wo pasand he......
Abrar tum mazaq tou nahi kar rahe naaw?
nahi mama i'm serious i like her...                                                     
Acha wese MASHALLAH bohat piyari bachi he wo mujhe bohat pasand aai 'Humna’ juice ka sip lete hoe bolin..
Bas tou phir done he 'Rehan bhai' ki shadi khatam hote hi ap 'hina tai ami' k sath jaein gin Amaya k ghar rishta le kar Abrar nihayat hi khushi se bola ...
par beta aik hi din me tumhein wo kese pasand aagai?
pata nahi mama bas jab mene ause dekha mere dil me kuch kuch hone laga mujhe wo bohat achi lagi itni polite or ache mijaz ki larki he...          
hanw ye tou thek kaha tum ne chalo ab batein band karo foran Nashta khatam karo bohat se kam he karne wale sab se pehle tou apni tai ami ki tarf jao 'Shanze' ko hamari khandani jewellry de kar aao
Ause raat shadi me pehn’ni he...                  
Ok Mama ap jewellry de dein me jata hun Abrar Dainning Table se uth'te hoe bola....
Amaya or shanze kamre me behti batein kar rahi thi,
Amaya Tumhari kahin Engejment nahi hoi shanze ne sawal kiya...
Nahi abhi tak tou nahi wo muskurai
Kiya Tumhein koi pasand he?
(wo kehna chahti thi hanw!
Aik larka he Aliyan pur'kashish Ankhon wala,
mathey par bikhre balon wala,
Garoor se uthi hoi naak wala
Apni hi moojh me rehne wala)
Nahi Mujhe koi pasand nahi mujhe kisi mein koi interest nahi...
Ap bataein Ap ki 'Rehan bhai' se Love Marriage he ya Arrange?
Arrange Marriage he Rehan ka or mera Rishta bachpan me hi paka ho gaya tha or humna chachi ko me shuru se hi bohat pasand hun or Rehan ki bhi pasand hun tou bas mene hanw kardi jesi ghar walo ki marzi ache he Rehan..
Rehan Bhai ki koi behan nahi he kiya?
hanw Aik behan he Rudaba aus ki shadi ko do saal hogae he Rudaba ki shadi k do hafte baad hi Arif chachu ki aik car excident mein death hogai thi...
Acha Amaya ne Afsos ka izhar kiya...
Rudaba meri bohat achi dost he wo aj kal lahore mein hoti he aj wo aa rahi he me tumhein aus se milwao gi ause tou aik mahina pehle hi aajana chahiye tha par aus k husband Shahzain bhai dubai se parso aae he...
Asalam wa Alaikum kesi hen Ap shanze Api? Aik shaks kamre mein dakhil howa
Wa Alaikum Asalam me thek hun tumhein time mill gaya? apni api ki shadi mein aane ka
api ab ap apne chote bhai se naraz hongi? wo muskura kar bola
Amaya khamosh behti auneh baatein karta dekhne lagi
Amaya ain se millo ye Hamas Mustafa he Haniya ka mangetar or Aliyan ka chota bhai or ye hen Amaya Amir Aliyan ki uni'fellow wo muskurate hoe aik dosre ka taruf karwa rahi thin...
Ye Aliyan ka bhai wo kehte howe wahin ruk gai..
han tumhein nahi pata k Aliyan or Hamas dono Bhai hen?
Nahi Mujhe kese pata hoga abhi ap se pata chala...
'Mustafa Alam' badre bhai hen jin k do bete he Aliyan or Hamas!
Aun se chote 'Arif Alam' jin k do bete hen Rehan or Abrar or Aik Beti Rudaba
Aun se chote 'Badar Alam' jin k do bete he Fahad alam or zain alam...
Sab se chote bhai mere baba hen 'Nisaar Alam' jin ki hum teen betiyaan hen Shanze,haniya or samaira!
Amaya khamoshi se Shanze ki baat sunti rahi wo kuch kehti ais se pehle koi or kamre mein dakhil howa!
Asalam wa Alaikum ladies mene Ap logon ko Distrub tou nahi kiya ?
Wa Alaikum Asalam aao behto Amaya ain se milo ye he mere dewar Abrar Alam…
wo muskuraya or ye hein Haniya ki dost Amaya Right? 'Abrar' muskurate howe bola...
hanw tumhein kese pata shanze muskurate howe boli,
Bhabi jee kal mulaqat hoi thi ain se or itni khoobsurat larki ka chehra me kese bhool sakta hon!
acha dailog mat maro ye batao kese aana howa?
Amaya ais ka bura mat man'na ye aesa hi he mazahiya sa!
Bhabi Mama ne jewellry bhijwai he bas wohi dene aaya tha acha chalta hun or bhi bohat kam he
Hamas tum kab aae kahan masroof rehte ho? Aao hamare ghar chalein
me abhi aya hun bas study mein masroof rehta hun or tum jao mein yahi raho ga mujhe api se bohat si baatein karni he ab wo wahin soffee par tang par tang rakhe beht gaya...
Bhabi se baatein karni he ya haniya se? Abrar sharart bhare lehje mein bola
Haniya se bhi kar lo ga gunah thori he, me tou Amaya jee se bhi baatein kar lo ga teen’khoobsurat larkiyan mere sath hein me pagal hun jo ap k sath jaon ab wo mazahiya andaz mein bola
Amaya mind mat karna mere cousins bohat mazaqiya hein haniya foran boli...
behtar jesi tumhari marzi Hamas!
Amaya jee ap bhi aaiye ga shadi mein ok ladies ALLAH HAFIZ Ab Abrar wahan se ja chuka tha...
Shanze api ap ko pata he Abrar bhai ne kal kitna tang kiya Amaya Api ko 'sam' kapre rakhte hoe boli....
kiya waqai Amaya tum ne mujhe bataya kiyon nahi?
wese Abrar aesa he tou nahi bohat acha larka he bas mazahiya sa he khair me sehdaa karti hon aise tum tenshion mat lo shanze Amaya k khandhe par hath rakhte howe boli...                                                        
(Tenshion or mein haha me ais Abrar ko na tenshion mein dal dUn sehda tou me khudi kardo aise par ye chipku shanze ka dewar he tabhi bach gaya warna me ais ko dikhati the power of Amaya) Amaya dil hi dil me boli...

                                               -------*****--------******--------****----------******------

Net ki lemon colour ki selvless frok kanoo mein simple se Ear Rings,silky baalo mein dhela dhala sa 'judraa', or paon mein silver colour ki high heels pehne wo chalti hoi aa rahi thi!
fahad dor khadra Amaya ko dekh raha tha...
Amaya sofee par tang pe tang rakhe behti thi...
Aliyan bhai ap ne Amaya ko dekha he kahin please ap bula dein ge ause?
acha dekhta hon yahan wahan nazar ghumai tou sofee pe behti amaya pe nazar gai..
fahad bhai Amaya kitni khoobsurat he naaw? 'sam' fahad k pas khadri amaya ki janib dekhte hoe boli fahad ne koi jawab na diya wo bas chup chap ause dekhta raha...
jo tang pe tang rakhe nawabon ki trah behti thi
Aliyan ki nazrein kuch pal k liye ausi pe tehar gai phir kuch yad aane par wo chalta hoa aus k pas aaya Amaya tumhen Haniya bula rahi he Aliyan aus k Qareb ja kar bola...
Amaya jese hi sofee se uth kar chalne lagi aus ki high heels frok me phass gai or wo girne hi wali thi k Aliyan ne ause sumbhal liya or wo girne se bach gai...
aus k dil mein koi sound bajta aus se pehle hi Aliyan ka sound chal pardra wo aus par barss parda!
Jab frok sumbhali nahi jati tou itna bara 'kapre ka thaan' pehanti kiyon ho?or ye itni lambi heel pehnne ki kiya zarort he tumhari achi khaasi tou height he(mera bas chale tou ais ki high heels utha kar phenk dun)wo dil me sochne laga
tum high heels pehan kar mujh se bhi ziyada lambi lag rahi ho or heels bichari aun larkiyo k liye banai gai he jin ki height choti ho abhi gir jati or paon me lag jati nuqsan tou mera hi hota naaw Aliyan bina kuch soche bole ja raha tha!
ap ka nuqsan? w0o ahsta se boli..
Tumhen lagti doctor k pas tou me hi le kar jata paise tou mere lagte phir medicines sab kharcha tou mera hi hota na or mere pas faltu paise nahi he jo tum par waste karon...
agar abb kabhi me giri ya kuch bhi howa koi zarorat nahi he ap ko paise kharch karne ki me kisi ka ehsan nahi leti ap ne itni batein hi sunani thi tou bachaya kiyon girne dete mujhe?
oh sorry me tou bhool hi gai ap ne mujhe mere liye nahi apne paiso ki fikr kar k bachaya!
Next time koi zarorat nahi mujhe bachane ki Ap ki bohat bohat meharbani ....
acha tou medam k agey bhi program hen girne k jao jao mujhe koi shoq nahi tumhein bachane ka jab bhi mere aas pass hoti ho mushkil me hi dalti ho mene tou galti kar di tumhein yahan la kar jao yahan se mera picha choro wo ghuse me bolta gaya...
Amaya ghusee me lal hogai (gareeb wadera) kehte howe wahan se chal di .....
samjhta kiya he khud ko bohat bara hero he had hoti he kisi cheez ki jab dil kiya taref kardi jab dil kiya rude behave or ghusa kar diya me koi nokar nahi hun ghusa karna mujhe bhi ata he thek he me problem me dalti hun na chali jati hun me yahan se Amaya bhard'badate howe wahan se chali gai...

Amaya ap bohat piyari lag rhi hen kiya me ap ki kuch photographs le sakta ho Abrar aus ki tarf camera karte howe bola...
Ais ki kami thi ye bhi aa gaya wo dil me sochne lagi jee nahi mujhe shoq nahi photographs ka Amaya ne ghusa control karte howe jawab diya...
Ajeeb bat he aj kal tou larkiyan selfies lete nahi thakkti or aik ap hen jineh shoq hi nahi Abrar sanjedgi se bola...
wo mazed aus ki bakhwas sun'ne k mood me nahi thi or ghusa control se bahr ho chala tha wo abrar par baras pardi!
kiyon tumhein koi taklef he dafa hojao yahan se sar tor dongi tumhara mein agar ainda mere aas paas nazar aae tou, pora ka pora khandan hi pagal he,
koi tang karta he,koi ghusa dikhata he tou koi jhote ilzam lagata he...
sab apne ap ko najane kiya smjhte he(amaya k jo mau me aya wo bina kuch soche bolti gai)
fahad khadra sab dekh or sun raha tha par khamosh raha...
ary ap tou ghusa kar gai kiya howa Are you okay kisi ne kuch kaha he kiya?
tum dafa ho rahe ho ya dafa karon Amaya 'beparwa se talakh lehje' me boli...
Amaya yahan aao group photo tou banwa lo hamare sath haniya ne ause awaz de kar bula liya
Amaya side me khadri Aliyan ko ghuse se dekh rahi thi jo k bohat handsome lag raha tha or wo brown ankhein jo k Amaya ko auski janib Attract kar rahi thi!
ab shayad ghusa kuch kamm hogaya tha Amaya zara alag type ki he apni khuwabon ki duniya me jeene wali larki...
Ehm ehm, ap ne mujh se jan churwane k liye jhoot kaha k ap pics nahi banwati me kab se apko dekh raha hon ap ne pichle adhe ghante me hazaron photographs li he abrar halka sa muskuraya...
mera Cell Phone,mera mood, meri marzi ye keh kar Amaya wahan se chali gai....              
jab bhi me Aiyan ko dekh rahi hoti hun ye namona bech me aajata he Amaya khud se barhd'bada'ne lagi....
                                                                                                         Abrar Amaya ki tarf dekhne laga, takar.. ap mujhe wifi ka pasword bata den ge... ap jese fzol log mujhe pasnd nahi... pora khandan pagal... ye sab batein abrar k dimag me chal rahi thi,
Abrar ye sab kiya he Rehan aus ki tarf dekhte howe bola...
kuch nahi bhai ap ais waqt dulhe hein please dandtne mat lag jana mujhe koi pasand aagai he bas or kuch nahi...
pata he mujhe kon pasand aai he tumhein sab nazar aa raha he mujhe or ye kia middle class larko jesi harkten kar rahe ho tumhein ho kiya gaya he?
tum tou aese larke nahi the phir ye sab kiya he?
tum kiyon aus bichari ko tang kar rahe ho rehan ghuse se bola....
me kahan tang kar raha hon mujhe achi lagne lagi he wo dil aagya he mera aus pe Abrar ne Amaya ki janib dekhte howe jawab diya aus ka talakh lehja mujhe pasand he aus ka mujhe napasand karna mujhe pasand he larkiyon ka me crush raha hon par ye larki mujhe dekhti tak nahi akhir kuch tou he ais larki mein jo mujhe ais ki tarf attract karta he bas mujhe muhabbat si hogai he Amaya se ...
kiya pagal ho gaae ho tum wo mehman he hamari or 'Haniya' ki dost bhi ye galat bat he sudhar jao agar ye tumhara koi mazaq he to ye achi bat nahi he abrar!
ye koi mazaq nahi he bhai ause dekhte hi mujhe aus se muhabbat hogai wo jab mujh se takrai meri tou jese neendein hi urrd gai or kitne piyar se aus ne'Mamma' ki help karte howe chae banai
jab k wo kam aus k karne wale nahi the wo mehman he phir bhi aus ne mama ki bohat help karwai mujhe amaya se behtar larki or koi nahi mill sakti me aisi se shadi karoga chahey kuch bhi hojae aus ne do'tok jawab diya or me purpose karo ga amaya ko aj hi aisi waqt...
Abrar tum pagal hogae ho mujhe Mamma se bat karni pare gi k apne ladle ko samjhaein...
                         ------****--------*****--------*****-------


wo tarrace par khadra tha jab Amaya aus k pas aai Aliyan listen, shadi k bad koi or function hoga kiya something different?
hanw hoga ab jao yahan se koi dekh lega tou panga hojae ga aliyan ne jane ka ishara kiya!
ary tum dono yahan kiya kar rahe ho abrar aun ki tarf ate hoe bola!
lo pardh gaya panga aliyan ahsta se bola...
Oh GOD not Again Wo bura sa mou bana kar boli i hate him 'Mere qadam jab bhi chale Aliyan ki taak mein kambakkat koi na koi bech mein aa hi jata he' …
Amaya ko ghusa tha Aliyan pe phir bhi najane kiyon aus se baat kar behti or ghuse wali shakl bana kar wahan se chli gai...
kuch nahi abrar wo mujh se haniya ka poch rahi thi ye keh kar aliyan bhi wahan se foran chala gaya...
Ajeeb bat he dono aese bhage he jese koi chor ho me koi jinn ho ab itna bhi bura nahi mein jo ye log mujhe dekhte hi bhaag gae abrar khud se baatein karne laga!
shanze shadi k surkh lehnge mein bohat piyari lag rahi thi or Rehan bhi mehroon shervani me bohat acha lag raha tha or sab bohat khush the rasmein wagera chal rahi thi...
kafi der guzar gai aliyan ko amaya kahin nazar nahi aai wo yahan wahan ause dhondne laga...
pichle do ghante se ye larki kahin nazar nahi aai pagal or ziddi tou he kahin waqai chali tou nahi gai mene ghuse me najane kiya kuch keh diya ause or phir mafi bhi nahi mangi ab kahan dhondo aise mein?

Aliyan ka cell phone bajne laga aus ne jaib se cell phone nikal kar aus pe nazar dali aik tou aisko sakoon nahi he ais ki wajah se mene ghuse me ulta sehda kaha amaya ko
aus ne call recieve nahi ki or ghuse me cell phone switch off kar diya or yahan wahan amaya ko dhondne laga...
                         --------******---------*****---------*****-------
Episode 7
                     Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

   Amaya Aik room mein thi wahan koi nahi tha hello koi he?
jee me hon naa abrar darwaza band karte howe bola..
how dare you? ye kiya harkat he darwaza kholo Amaya behad ghuse me chilaai...
daro mat me bas tumhein yahan purpose karna chahta ho abrar (ghutne k bal)beht gaya
jab se tumhein dekha he tum se muhabbat hogai he or me tum se shadi karna chahta hon mene socha jald hi apne dil ki bat keh don aesa na ho tum wapas chali jao or der hojae.....                                                                                   
tumhari bakhwas khatam hogai chawwliyan na maro tey rastaa napoo Amaya wahan se jane lagi
wo chalte howe wahin tehr gai, jese hi piche murd kar dekha abrar auski kalai pakre khadra tha amaya ne ghoor kar ghuse se ause dekha mera hath choro..
Nahi pehle mere sawal ka jawab do...
just shut up and leave my hand..
aus ne amaya ka hath na chora pehle batao tum mujh se shadi karo gi?
me or tum se shadi in your dreams wo chila kar boli...
Amaya k jawab par ause ghusa aagaya or ghuse me kamre me rakhi cheezo ki 'tor phord' karne laga...
ye kiya kar rahe ho pagal hogae ho tum stop it abrar you know what tum se ziyada ghatiya or badtameez shaks mene aj tak nahi dekhaa....
Achnak Aliyan kamre me dakhil howa kiya howa kuch toot'ne ki awazzz-----?
aus k lafz wahin toot gae Aus k chehre par herani bhare tasuraat the jo manzar aus ki ankhon k samne tha wo dekh kar heran reh gaya ye kiya ho raha he abrar Amaya ka hath pakre khadra tha or amaya apna hath churwane ki koshsh kar rahi thi ...                                                                                                                 
ye tum kiya kar rahe ho abrar? Hath choro Aliyan ne abrar ko zor ka 'dhakaaa' diya!       
me pasand karta hun aise abrar chillaaa kar bola ...
Amaya ne ghuse mein abrar ko thapar de mara apni bakhwas band karo...
Abrar dafa hojao yahan se tumhari qismat achi he k tum bach gae tumhein kuch keh nahi raha mein khushi wale mahool ko kharab nahi karna chahta ais se pehle mera hath uth jae dafa hojao yahan se aliyan ghuse me bahar ki tarf ishara karte howe bola...                                                                           
hanw hanw ja raha ho par amaya ko hasil kar k raho ga abrar damkhi de kar wahan se chala gaya...
tum yahan kese aai or ye sab kiya tha aliyan aus par chilaya..
mujhe kisi bache ne aa kar kaha k haniya baji kamre me bula rahi hen tou me aagai
Ap ka ye cousin kal se mere piche laga howa he irritate kar diya he me ne aisee kuch kaha nahi mujhe laga bas aese hi tafri kar raha he or Shanze ka dewar he ais wajah se bhi me chup rahi...
tum mujhe bata nahi sakti thi k ye tumhein tang kar raha he?
mene ap ko bataya nahi mujhe laga ap mujh par yaqen nahi karein ge or mere bare mein najane kiya sochein ge
ap tou pehle hi mujhe buri larki samjhte he or ap ab bhi yehi sochte k me ne ap do cousins ko larwa diya wagera wagera...
shayad aus ne andhere me teer chalaya tha aik qism ka tana de mara tha aliyan ko....
Mujhe kiya pata tha ye ais had tak chala jaega or wese bhi me ja rahi hon yahan se...
Aik tou mujhe samjh nahi ata tum ho kiya chez khud se itna kuch kese soch leti hon tum kiya najomi ho jo tum ne mera dil pardh liya he k me tumhare bare me kiya socho ga or kiya nahi...
Abrar aesa tou har'giz nahi phr, achnk aise kiya hogaya he aesa behave kar raha he...
Amaya wahan se chalne lagi or dil me sochne lagi (jese dekho yahi kehta he abrar aesa larka nahi jesi harkten kar raha he tou phr agar ye acha he tou asa kiyon kar raha he kiyon apni image kharab kar raha he)...

kafi raat hogai Aliyan apne kamre me leta kuch soch raha tha achanak ause Amaya ka khayal aaya aus ne kaha tha "wese bhi me ja rahi hun yahan se" tou kahin wo chali tou nahi gai
wo foran utha or pori haveli mein ause talash karne laga par wo kahin na milli bhagta howa bahar gaya ausi doran cell phone baja bina number dekhe call recieve ki..
hello sahab ap ki haveli mein jo bibi mehman aai he wo yahan bus stand par behti hen adhi raat ko kiya ap ko pata he ais bare mein?
what bus stand aus par nazar rakhna me aa raha hon aliyan foran ravana howa...
wahan phuncha tou wo aik bench par behti thand me kap'kapa rahi thi..
kiya tum pagal ho? ais waqt yahan kiya kar rahi ho?
ap se matlab me kuch bhi karon kahin bhi jaon..
tumhein kahin jane ki zaroorat nahi he wapas haveli chalo ab wo aus k pas beht gaya amaya foran uth khadri hoi or chalne lagi!
wo aus k piche jane laga sardi mein pagal ho gai ho kiya aus tarf kahan ja rahi ho bat suno meri!
mujhe ap ki koi bat nahi sun'ni wo tez tez chalne lagi..
Amaya bat tou suno ab wo aus k piche chalne laga
mene kaha na mujhe kuch nahi sun'na mujhe bohat bure lagte he ap nafrat he mujhe ap se
wo chalet chalet wahin ruk gai or murd kar Aliyan ki janib dekha wo bhi wahin ruk gaya
mujhe nafrat he ap se , ap ki ain ankhon se, ap k kapron se, ap ki ais naak se ap mujhe pore k pore zehar lagte he
Aliyan ne aik lambi sans li dekho me janta ho mene rude behave kiya par aus waqt me ghuse me tha or najane kiya kiya keh diya,
me sorry karne k liye tumhein dhond raha tha par wo abrar wala scene hogaya mujhe phir ghusa aagaya...
Ghuse ka matlab ye hargiz nahi he k ap dosro par bewajah chilaae ap k kahe howe lafzon se kisi ko taklef bhi phunch sakti he lekin ap ko kiya ap tou kabhi kisi k bare me sochte hi nahi hen
Amaya mou bana kar boli naak ghuse se surkh hogai....
par tum ne bhi tou kmm nahi ki tum ne bhi tou kafi kuch kaha mujhe!
ap mere khandhee par bandok rakh kar mat chalaein sorry karni he tou sharafat se karen warna chalte bane aus ne amaya ka ais tarha ka behaviour pehli bar dekha....
acha i'm sorry ab haveli chalein ya sardi me marne ka irada he?wo halka sa muskuraya
"Na jane kon si dolat he tumhare lehje mein Aliyan
Baat karte ho tou dil khared lete ho"....!

                          --------******---------*****---------*****-------

Raat k 3baj rahe the Amaya bed par kambal odree leti thi koi chez khirdki se andar ki janib kamre me aai amaya dar gai itni rat ko kiya chez kamre me aai he?
aus k zehan me baag ka wo soon'san ilaqa aagaya wo jhole k pas thi tou kahin koi chez....
wo dil me kalma pardhne lagi or himat kar k bed se uthi baal sare chehre pe bikhre howe the,
wo dono hathon se baal kanoo k piche karne lagi or darte howe apne hath mau pe pherne lagi, himat kar k jab aus chez k qareb phunchi tou wo aik kagaz ka tukra tha jo phathar mein lipta howa para tha!
Amaya ne ause hath me uthaya fittey mau, itni raat ko kise itni musibat pardhi he wo ye kehte howe khirki se niche ki janib dekhne lagi, dekhte hi auski ankhein khuli ki khuli reh gai,
Abrar ais waqt? ye baaz nahi aae ga abrar ne amaya ko dekhte hi hello ka hath hilaya...
Amaya ne bina pardhee wapas bahar phenkh diya dobara andar ki janib phathr aaya tou amaya ne uthaa
kar phathr Abrar ko de mara or kagz ka tukra bina pardhe(phaard)kar ausi k samne hi khirdki k bahar phenkh diya or khirdki band kardi...
auff mere khuda kiya musibt he ab ye namona kiya cheez he ais ka kiya bharosa kahin kamre me hi na aajae wo kamre ka darwaza or khirdkiyan lock karne lagi..
Agley roz subha dhoop lene k liye khirdki kholi wo bahar hi khadra tha!
A'hh ye namona rat se itni thand me yahin khadra he achi kulfi ban gai hogi aiski or ab aqal bhi thikaane aagai hogai,amaya khud se boli or khirki wapas band kardi ....        
shanze ki shadi k do roz bad aj ghar mein bari dawat rakhi gai he shanze k tamam sasuraliyon ki dawat har tarf se maze maze k khaano ki khushbuu naak ko chuutee hoe guzarne lagi...        
kuch der me khana lag gaya or sab khana khane lage amaya bohat khush thi ause bohat maza araha tha yahan sab k sath ais tarah khane khane mein yahan rehne mein..
Amaya or sam Lounge me behti thi Sam Lunch bohat hi delicious tha maza aagaya!                           Amaya ready hojana sham tak Aliyan tv on karte howe bola!
kiyon hum kahin ja rahe he? wo khushi se boli                              
jee hanw hum karachi wapas ja rahe he sham ko...
Amaya k chehre se hansi achanak gayab hogai wo tou bhool hi gai thi wapas karachi bhi jana he ause wapas apni duniya mein jana he aesi duniya jahan aus k sath aliyan nahi hoga
aesi duniya jahan wo aliyan k sath lar nahi sake gi, jahan wo ause har waqt dekh nahi sake gi han aik din tou wapas jana hi tha!
yahan k log tum se preshan hogae he k kahan se utha k lae ho ais pagal larki ko itna bolti he aliyan "tehdri nazron" se dekhte howe bola...                                                         
very funny ap mujh se jealous ho rahe hein kyon k yahan sab mujh se piyar kar rahe he ap jealous ho rahe hein kyon k me ap se better hon amaya halka sa muskurai...
oh me or tum se jealous what a joke?jao jao mera tumhara kiya comparizon me handsome wadera, larkiyan marti he mujh par...
hanw ye tou he amaya ahsta se boli,
kiya kia kaha tumne dobara bolna zara aliyan aus ki janib dekhne laga,...                      
ku'kuch nhi,mene kaha k me bhi kam nahi waderan hon pretty nahi ye alag bat he(ye jumla jan'boj k bola shayad ye kuch keh de) par aus ne koi jawab na diya......
fahad seene pe hath bandhen khara dekh raha tha...
Amaya ap bohat khoobsurat hen sam muskura kar boli..
Thankyou sam tum bhi bohat piyari ho...
haha sam kitna jhoot bolti ho tum tumhari jhoot bolne wali adat nahi jae gi aliyan foran bola
sam rone lagi me ne kab jhoot bola amaya me sach keh rahi hon tum waqai bohat khoobsurat ho...
ary sam ro kiyo rahi ho mujhe tum par yaqeen he meri taref par bas kuch log jal gae he....
jale meri joti me kiyo tum se jalne laga aliyan foran bola!
mene kab kaha k ap jale mene tou kisi ka naam hi nahi liya he matlab ap ko lagta he k ap jalte hein mujh se...
chup hojao mazeed bolo gi tou mere kanoo se khoon behne lage ga...                                                         
Achank chachi aagai, bas kardo jab se dono aae ho piyar se bat karna tou dor ki bat bas aik dosre ka gala pakarte hi dekha he kitna larte ho tum dono har waqt "war3" jari rakhte ho,                                                                                              
aunty ap k gaon me kuch logo ko sach sun'na gawara nahi he yahan k log apne (mau miyaa mithoo)type he Amaya Aliyan ki tarf ishara kar k boli....                                                                                                                                         
auff ain dono ka kuch nahi ho sakta jab se aae he larte hi dekha he ham ain ka couple banane ka soch rahe he or ye lardne me pore he har waqt action mood me rehte he,
koi faida nahi api ain ka couple ban'ne k bare me sochne ka 'sam' ahsta se 'haniya' ko boli...                                                                                       
hanw thek keh rahi ho tum kese tom and jerry ki trah larte he dono...
Bhool jao ainka couple tou or wese bhi mujhe nahi lagta dono me se koi aik bhi kisi ko pasnd krta he agr asa hota tou humen pata chal jata par yahan tou jani dushman bane howe he haniya udaas chehra bana kar boli..
Chalo karachi k halaat tou behtr howe hina chachi boli..
Amaya kuch din or reh lo naa kitna maza aaraha tha tumhare sath tumhari bohat yaad aae gi hamein haniya udas lehje me boli,
haniya or amaya me kafi achi dosti hogai thi or sam amaya ko bohat pasand karne lagi thi..
sham ko jab jane ka waqt aaya tou haniya bohat udas dikh rahi thi amu dobara aana yahan haniya gale lagte hoe boli..
hanw zaror shukriya ap sab ka bohat izzat or piyar diya ap sab ne apna khayal rakhiye ga sab or karachi aaiyega amaya HINA chachi se gale milty howe boli,
or wo bhi bohat udas thi wo sab me ghul'mil gai thi yahan se jane ka amaya ko behad dukh tha pr aik na aik din tou karachi wapas jana hi tha!
fahad sedriyon pe khara chup chap ye sab dekh raha tha or pehle wo yahi samjha tha k waqai amaya haniya ki dost he, par aliyan k sath jata dekh wo thora soch me doob gaya tha...
fahad tum nahi chal rahe karachi aliyan ause dekhte howe bola,
nahi me kuch din bad aaon ga tum jao aus ne muskura kar jawab diya...
INSHALLAH beta, jab bhi ham karachi aaege tou zror aae ge tmhare ghar apna khayal rakhna or raste mein larte howe mat jana or raste mein dinner kar lena ALLAH HAFIZ
                                                          
                        --------*******--------*******---------*******---------
Tumhare deewane ko tou pata hi nahi chala k tum ja rahi ho wapas warna wo bichara tum se milney zaror ata Aliyan shrarti lehje me driving karte howe bola!
(ajeeb he ye shaks ais ka bhi pata nahi chalta aik pal me rude,tou agle pal me polite,ye tou mujh se bhi do hath agey he) amaya dil me sochne lagi.
Nam mat lo aus idiot ka acha howa nahi pata chala ause kiya ajeeb namona he toba Amaya windscreen se bahar ki janib dekhne lagi...
haha Aliyan keh'ka laga kar hansaaa :)
Amaya kuch udaas dikh rahi thi bohat khamosh thi khamoshi se ause hansta howa dekhne lagi or aik bar phir nagahein windscreen se bahar kar li!
kiya howa bari khamosh ho?
Ab ap ko masla kiya he khamosh raho tou masla bolon tou masla yahi utar do me koi bus ya taxi wagera me chali jati hon amaya chilaaa k boli...
jab wo udas hoti he tou ziyada tar khamosh hi rehti he or kahin sochon me doob jati he                                     ary itna "bha'rak" kiyon rahi hon mat batao mene tou wese hi poch liya ajeeb ho tum bhi kabhi rude, kabhi polite..
Amaya aik dum herani se ause dekhne lagi jo bat aus ne dil me aliyan k liye sochi thi wohi bat aliyan ne ause keh di....                                                                                                                   acha ye batao tumhein abrar ki yad aa rahi he kiya? me samjh gaya tumhen dukh horaha he k tum apne deewane se mil kar nahi aai ab aliyan ause tang karne laga...                                                                                                                         aus ka ro dene ko jee chaha(aliyan mujhe samjhta kiya he kiya waqai mujhe achi larki nahi samjhta tabhi ye sab keh raha he kiya Amaya amir aik achi larki nahi he) ye sochte howe dil chaha zor zor se chilae
ause batae k wo aik achi larki he Amaya amir aik achi larki he...
haa very funny hansaa tha:/ ab wo apni udasi chupate hoe boli
me thori si udas hon wo ais liye k gaon me itna maza kiya sab ne itna piyar diya care ki, sab apne apne se lag rahe the sab ka ikhlaq bohat acha tha...
me tou ye soch rahi ho ye khardos ais khandan me kahan se paida hogaya ikhlaq to acha lagta hi nahi he ais ka ghusa ghusa bas aik bar phir wo dil me sochne lagi...
jab kuch din sath rehne k bad alag hojaein tou dukh hota he or wese bhi me bohat sensitive hon, bas sab se dor hone ka thora dukh horaha he hawa se aus k baal chehre ko chu rahe the, amaya apne chehre se baal hatane lagi...                                                                 
Aliyan ne bina koi jawab diye music on kiya(Ankhon me tere chupte arman me dhond'ta hon k tu soche or pore me kardon) ye lines sunte hi amaya piyar bhari nigahon se ause dekhne lagi or hothon par ajeeb si muskurahat aagai
phir achanak khayal aya ye tou bas gane ki lines he na k aliyan k dil ki awaz or aus ne phir se apni nigahein gari se bahar ki tarf karli....
Aesi kiya bat he tum mein amaya jo sab ko apni tarf attract karti he meri chachi ki family tou jese deewani hi hogai he tumhari, khamoshi se driving karte howe aliyan dil me sochne laga,
Amaya bhi khamosh thi or song enjoy karte howe apni duniya me khooo gai...
Amaya kahan ghum ho ab shayad ause amaya ki khamoshi achi nahi lag rahi thi!
chalo kuch khate he bhook lag rahi he, sooraj dal gaya tha or asman par kale baadal chae howe the sardi bhi bohat thi hotel me dakhil howe bohat pur'skoon mahol tha log itna slow bol rahe the jese yahan koi he hi nahi...
Aliyan ne apna kot utar kar apni chair pe latkaa diya...
thand me Amaya k gaal or naak surkh hogae,wo apne kot ki jeeb se hath nikal kar table par rakhte howe boli,kuch order bhi karo ge ya bas 'menu' ko dekh kar pet bhar lene ka irada he...
wo thora naram lehje se muskurate howe boli!
Tum kiya khao gi? wo apni nazrein menu card me jamae howe bola,
jo bhi khila dein ALLAH PAK ka sabar shukar kar k khaaa logi....
zehar chale ga marne se dar to nahi lagta hoga? aliyan muskura kar bola..
“Marne se dar nahi lagta magar jeene ka buhat dil karta hai” amaya ne khoe howe andaz mein narmi se jawab diya...
Menu card se nazrein hata kar wo ause dekhne laga aik pal k liye aus ki nazrein amaya par tehar gai jese wo pochna chahta ho k (mutarma ap ko pasand he ghuma phira kar baatein karna ya qasam kha rakhi he mujhe tang karne ki)
wo samjh nahi paya amaya ka ais tarha se kehne ka kiya matlab he..
waiter ko bula kar order note karwaya....
kuch der bad wo waiter k pas gaya or aus se kuch bat karne laga..
ab ye kiya waiter se baatein marna shuru hogaya he ajeeb he ye shaks samjh se bahar..
kuch hi pal me khana aa gaya or wo ab khana kha chuke the
kesa laga khana?
bohat acha wo muskura kar boli
ye mera favourite resturent he me gaon ate jate yahin par khana khata hon!
jawab me wo muskurai khana waqai bohat maze ka he!
waiter do cup coffee!
nahi do nahi aik! mere liye ice-cream wo muskura kar boli..
Aliyan ause herani se dekhne laga itni thand mein ice-cream?
jee heran hone wali kon si baat he me tou khati hon...
waqai Amaya sab se munfrid he!
shoq se khao wese bhi tumhein kuch nahi hone wala wo maskharana andaz mein bola
kiyon mein insan nahi hon? wo sawaliyan nazron se ause dekhne lagi
mujhe tou nahi lagti tumhari harkaton se tou bilkul bhi nahi!
kiyon mene ab kiya kiya ? wo mauh latkae boli
ab wo ice-cream khane lagi
mera tumhein gareeb samjhne par agle roz new car le aana,
bina kuch soche samjhe mujhe bachana,
jalti hoi wire ko hath me le lena,
pehli hi mulaqat mein chachi k sath itna free hojana,
baag mein bhooton wale area mein chale jana,
abrar ko thapar de mara ye jante howe bhi k tum akeli aus k sath thi wo ghuse mein kuch bhi kar sakta tha,adhi raat ko bus stand par ja kar beht jana, or ab itni thand mein ice-cream khana ye sab aik insan tou nahi kar sakta zaroor tum koi or makhloq ho!
aus k bolne ka andaz itna masomiyat bhara tha k amaya hanse bina reh na saki or kehka laga kar hansne lagi thapar mene ais liye mara kiyon k tab ap bhi the wahan agar wo kuch karta tou ap meri madad karte wo muskura kar boli!
Dinner karne k bad wahan se nikle tez hawa chalne lagi or barish start hogai rat k 12:00 baj gae...
Amaya baqi raste bhi khamosh rahi ais waqt ause khamosh rehne me maza araha tha raat ka waqt thandi hawa badal ka garajna or barasna ye sab manzar bohat khoobsurat tha...
wo ankhein band kar k boli i hope tomorrow will be a new day!
Amaya so gai kiya tumhara ghar aagaya aliyan car rok kar bola...
nahi me kuch soch rahi thi ye baraste badal thand ye sab kitna acha lag raha he ALLAH PAK ne har chez har ehsas kitna khoobsurat banaya he wel thankyou wo khamoshi se chal di...
                     --------*******--------*******---------*******---------
Ab wo kambal odre let gai bohat thaak gai thi sona chah rahi thi par ause nennd nahi arahi thi paon lambe kiye takiye se teek lagae, kambal me leti apni zindagi k kh00bsurat paloo ko sochne lagi...
wo sab kuch jo aik hafte me howa wo aik film ki tarah ankhon k samne chalne laga or wo sab kuch aik khuwab sa lag raha tha...side table se cell phone uthaya or number dail karne lagi...
hello anaya kesi ho?
kon...? agey se marili awaz aai jese wo mast so rahi ho...
lanti me hun Amaya,ankhen kholo...
Oh amu yad aagai tujhe meri? or wo bhi raat k 1:00 baje kahan gayab thi tujhe pata he kitna pareshan thi me anaya non'stop bole ja rahi thi...
chup hogi tou kuch bataon gi naa polititon k murdr ki wajah se har shehar me strike thi network bhi band tha tou kese tum se bat karti?
me gaon me thi or wahan aik dum sakoon tha koi strike nahi koi shor'sharaba nahi wahan tou aesa tha jese gaon kisi or planet par ho amaya apna teddy bear seene se lagae anaya ko sab kuch batane lagi...
what are you serious wo foran uth kar beht gai wait a second tum keh rahi ho k itne din tum Aliyan k sath aus k gaon me thi?
no no mujhe yaqen nahi aa raha dekho amu, tum safar kar k aai ho thaak gai ho rest karo subha bat kare ge...
bongi i'm serious! tumhein sab kuch sach sach bataya he mujhe kisi pagal kutte ne nahi kata jo adhi raat ko tum se aesa mazaq karogi...
Matlab tum ne phir aliyan ka ghusa jhela Amaya tum kitna badal gai ho tum aesi tou na thi tum kese auska ghusa bardsht kar sakti ho jab k tumhen tou khud beinteha ghusa ata he agar waqai tum dono ka couple ban gaya tou kiya hoga tum logon ka dono aik se bard k aik ho aik ser he tou dosra sawaser... bongi bataya tou he k mene bhi ghusa kiya tha ausko sunai thin wo foran boli jese buhat mahan kaam kiya ho...
waqai tum ne aliyan ko baatein sunai or university me tou kabhi baat nahi ki or ab qudrati tum aus k gaon bhi ho kar aagai bari adventures ho tum or abrar aik or deewana haha mene sahi nam rakha he tumhara (Deewana creature machine) hahaha :D
anaya tang khench'ne lagi...
----*****----****-----

Aese hi second year bhi acha guzar gaya
Pichle saal ki tarah ais bar bhi Amaya ne 1st position hasil ki ab ain ka third year start ho chuka tha...
Amaya maze se so rahi thi jab aus ka
cell phone bajne laga kafi der ring tone bajne k bad wo nennd se bedaar hoi tou kuch awazein aus k kan se takrai hath bardha kar call phone uthaya or bina dekhe
call recive ki hello kon?
Amaya beta tum abhi tak so rahi ho time dekha he tum ne...
jese hi samne dewar par lagi wall clock pe nazar dali tou 11:00 baj rahe the...
oh shoot mujhe tou university jana tha...
'mamma' sham ko bat karti hon ap se ALLAH hafiz...
foran tayar ho kar 120ki speed se 20mint me wo university phunchi aj bohat important lecture tha jo wo miss nahi karna chahti thi.
hey anaya kesi ho?
me thek ho wo bhuji bhuji si lag rahi thi..
lag to nahi rahi thek amaya aus ki janib bardhte howe boli,
amaya tum kitni achi ho par apni achai show kyon nahi karti...
kiya ho gae mere baby ko tabiyat to thek he na aao doctor k pas chalein amaya shararti andaz me boli..
amaya bano mat mujhe sab pata chal gaya he...
kiya pata chal gaya he, wo ais andaz se boli jese wo har bat se anjan ho or apni books dekhne lagi anaya ne books cheen kar pas rakhe table par rakh di...
amaya tum ne mujhe voice recording k bare me kiyon nahi bataya?
ye sunte hi amaya aik dum tham gai
ko'kon si recording?
wohi jo aun larko ne mujh pe banai thi,
anaya aus k samne beht kar bolne lagi...
Amaya apni jeans ki jeebo me hath dale khari thi!
tumhen kis ne bataya ye sab?
bas pata chal hi gaya mujhe tumhare mauh se pori bat sun'ni he...
anaya sorry mene tum se ye bat chupai me tumhein bata kar preshan nahi karna chahti thi, actually mene aik email addres heck kiya tha,
wahan mujhe voice recording mili jab mene suni to ghusa aagaya, aus me aik larke ne larki ki awaz nikal
kar Anaya yani k tum ban kar aik dosre larke se baatein ki hoi thi
par ye voice recording mere hath lag gai or aus link k zaraiye mene aus larke ko dhond liya jis ne ye harkat ki thi...
ais ka matlab mene tumhein jis larke se bat karte dekha tha wo wohi larka tha jis ne ye harkat ki?
han wo wohi larka tha, amaya aus k qareeb ja kar beht gai...
tum ne mujhe jab aus shaks se baat karte dekha tab mene aus ki khoob bezati ki or warning di par wo baaz na aya aus ne dhamki di k pehle tou wo mazaq me le raha tha kiyon k wo tumhein pasand karta tha
jab aus din tum ne party me insult ki aus ki tab se aus ne badla lene ki thaani wo ais recording se tumhein blackmail kare ga or recording out kar dega pori university mein tumhen badnam kar dega or aus voice recording me itne ache tarike se awaz nikali gai thi
jese wo waqai tumhari awaz ho koi keh nahi sakta tha k ye kisi larke ki awaz he, agar me tumhein ye sab batati to tum pareshan hojati mene socha chup chap ais se nipat leti hon bina kisi ko batae...
or police station amaya tum wahan kiyon gai thi mujhe pori bat batao?
aus ne jab dhamki di tou mujhe bohat ghusa aaya mene ause kaha k tumhari himat bhi kese hoi anaya ko blackmail karne k bare mein sochne ki?
anaya k agey me khadri hun mere hote koi aus ka kuch nahi bigar sakta tumhein zara sharam nahi ati tumhare ghar me behan nahi he kabhi ye socha he k ALLAH na kare agar kabhi koi tumhari behan k sath aesa kare tou kiya hoga?
tum jese ghatiya larke koi bhi galat harkat karne se pehle aik bar bhi kisi ki izat k bare me nahi sochte chup chap recording delete karo warna.....!
warna kiya han nahi karta me delete jo karna he karlo wo akrd kar bola...
Amaya ko ghusa aagaya!
mujhe akrd dikha rahe ho Amaya amir ko abhi batati hon warna kiya kar sakti hon ghusa naak par wo phone me number dail karne lagi hello me Amaya amir baat kar rahi hon foran university aa jaen...
5mint bad hi wo char log ate howe dikhai diye dikhne me tou wo police maloom hoti thi...
Inspector zaroon aus larke ki zuban pe naam aaya!
zaroon uncle ais larke me bohat akrd he zara kam karein mujhe aesi fazool qisam ki akrd pasand nahi ghusa naak par ankhon me chamak aus ne ausi waqt aus k hathon se laptop or phone khencha or tamam deta format kar diya or aus ka laptop or mobile police k hawale kar diya wo behad ghuse me thi...
kiya howa he amaya beta kuch batao tou...?
inspector zaroon wadera saein Amir k ache dost hein...
Ais ki himat dekhein ais ne meri bestfrnd ko blackmail karne k liye aus ki awaz me kisi larko se baatein ki or Anaya ka naam bataya or jin se bhi ais ne baat ki anaya ban kar
wo log tou yehi samjhte honge k anaya achi larki nahi he university me bas dhong karti he achi ban'ne ka jab k anaya aesi bilkul bhi nahi he wo aik sharef or izatdar lardki he ais shaks ne mamoli si baat par badla lena chaha...
jis waqt ais ne anaya ko cherdna chaha tha ausi waqt ais ko ap k hawale kar deti tou acha hota
ye koi choti baat nahi he ais ne meri anaya ki izat ka mazaq banana chaha he me itni asani se aise nahi choro gin
kal ko ye dosri larkiyo k sath bhi kuch galat kare ga ap aise le kar jaen or zara ache se bataiye ga k kis se panga liya he ais ne le jaein amaya ghuse me chila kar boli students ka rush hogaya...!
le chalo aise thane abhi utarta hon ais ki akkrd mein inspector zaroon ause thane le gae...
rush kiya lagaya howa he chalo jao sab yahan se aik bat sun lo sab agar kisi ne anaya ya meri tarf ankh bhi utha kar dekha tou aus ka ais se bhi bura haal karo gi amaya ghuse se kehte howa wahan se roub se chal di....
Amaya mujhe tum par toot kar piyar aaraha he tum ne mere liye itna kiya me tumhari bohat shukarguzar hun tum ne hamesha mujhe problems se bachaya he tum ne saggi behno se ziyada hamesha khayal rakha he or itna sab hogaya
tum ne mujhe bhanak bhi nahi lagne di mujhe khushi he k ALLAH PAK ne tumhein meri bestfriend banaya thankyou so much amaya wo khushi se aus k gale lagi mujhe fakhar he k mera bestfriend k liye intekhab acha he..
ary bas kar pagli rulae gi kiya? amaya ne mazahiya andaz me jawab diya...
yar tum itna kuch kar sakti ho tou phir tum aliyan ko sehda kyon nahi karti ho? kabhi ause bhi apna ghusa or power dikhao k tum bhi kisi se kmm nahi....
Anaya ki baat pe wo muskura di
aik sachi bat bataon mujhe nahi pata tum ghusa karo gi ya mujh par hanso gi
Par ye sach he kay mujhe maza ata he
Aliyan ka ghusa dekhne mein
auski ghuse or magroori se uthi hoi naak,
ghuse wali purkashish ankhein,
mathey par girte baal auska ego sab kuch pasand he mujhe or mujhe koi problem nahi tou tumhein kiya problem he wo halka sa muskura kar boli...
Amaya mujhe tou samjh nahi ata koi kese kisi k ghuse or ego ko itna pasand kar sakta he?
tumhein samjh aae gi bhi nahi Amaya or auski ajeeb chahat....!!
tou mene aus larke ko arrest karwaya tha police ko kuch biyan lene the tabhi me police station gai or voice recording aus ne 3,4 logo ko hi sunai thi or jineh sunai thi wo log jan chuke he k recording fake he
agar sahi time par wo recording mere hath na lagti tou najane kiya ho jata,,
aus larke ka plane tumhein blackmail krne ka tha or ye wohi larka tha jis ki tum ne party me insult ki thi...
par mene aus shaks ki khuwaish pe pani pher diya abb jail me behta plain banate rahe tm tenshion mat lo you are save jab tak me hon koi tmhara kuch nhi bigaar sakta,
ye sunte hi anaya ki ankhon me ansu aagae or wo gale lag kar rone lagi thnkyou so much amu tum ne meri itni bari madad ki you are such a great person i'm very lucky to have a bestfriend like you...
acha bas karo abb ro mat mere marne mein time he tum ne pehle hi rona shuru kar dya, amaya ause hansaaane ki koshish karne lagi....!
sham me amaya coffe ka mug hath me liye apne study table par behti or mug table par rakh kar dairy likhne lagi,...                                                                                                                                            
Dear Dairy, mene tumhein bohat miss kiya,
 i know tumne bhi mujhe miss kia hoga k kahn gai amu,kafi din se mere pages sunee he lo janab me aagai tumhare pages full karne                                                                meri pyari dairy, aj me bohat khush hon,jo kabhi socha nahi tha wo howa, me (aik hafta) aliyan k sath thi gaon mein wo har waqt meri nazron k samne tha,mene bohat larai bhi ki kiya karti piyar bhi tou nahi jataaa sakti thi, wo sab kuch kitna acha tha, baag me sath jana,MASI ka hamein Mr.Mrs kehna,
hamara larna,thora bohat mazaq karna well, itna bhi khadroos nahi he jitna me samjhti thi, sweet he sab ki respect karta he or sab se tarifeen hi suni mene, or gaon me sb bohat ache hein mujhe bohat maza aaya, jane'anjane me hi sahi ye aliyan k sath aik memoriable trip rahe ga...                                                                                
kahin wo bhi mujhe pasand----
kiya pata meri tarah show off nahi karta ho... Aiyoooooo kassh mere pas "magic" hota aus k dil me dekh leti auska chehra ab blush kar raha tha!                                                                                      
Aik Roz amaya or anaya, girls hostel se nikal kar apne department ki tarf jarahi thin,
Amaya white jeans pe pink shirt or Hijab me malboos thi or
Anaya white long shirt or dhela dhala pajama pehne, baalon me poni kiye howe thi...
amaya yr study kitni tough hogai he na? pardhai me do'saal kese guzar gae pata bhi nahi chala
zara ruko, pani ki bottle lelu garmi bohat he piyaas lag rahi he,july ka mahina or achi khaasi garmi horahi he, dono cafetria gai bare bare chashme ankhon pe lagae howe,
auff ktni garmi he anaya khud ko patle se register se hawa karne lagi,
fahad cafeteria k bahar khadra aineh dekh raha tha!
yr amu tum mujh se dor raha karo anaya achanak se boli, ye sunte hi jese amaya k hosh urrd gae wo aik dum choonk gai anaya ye tum kiya keh rahi ho?
sahi tou keh rahi hon tum mere sath hoti ho tou me confuse ho jati hon k kon mujhe dekh raha he or kon tumhen hahaha...
"dhord fittey mou" lanti mujhe dara diya shukar karo mujhe heartattack nahi hogaya amaya ghuse me ause books marne lagi...
kiran nazar nahi ati aj kal tumhare sath? wo sawaliyan nazro se dekhne lagi pata nahi mene pocha nahi amaya ne nazrein churate howe jawab diya...
kuch howa he kiya? warna wo tou tumhara picha hi nahi chorti thi...
mene kaha na mujhe nahi pata khud ja kar aus se poch lo wo ghuse se boli...
acha ghusa kiyon ho rahi ho chalo choro me soch rahi thi kiyon na amaya aj shoping pe chale  kafi time hogaya hum ne sath mein shopping nahi ki he....
 ------*****----*****-----                                        
Sham me Anaya ghar aai dono shoping mall gain sab se pehle bag shop mein gain wahan kafi ache bags the,amu ye dekho kitna acha lag raha he white bag or foran anaya ne selfie leli or facebook par upload kardi doing shopping with My bestie Amaya Amir....
phir, coffe mug shop par gae wahan kuch khas pasand nahi aya, amaya chalo chudriyan(bangls) lete he
jee ma'am kesi chudriyan(bangls) chahiye apko?
black plane chodriyan(bangls) dikhaen..
ye len madam ap ki black chudriyan shopkeepr churdiyan dikhate howe bola,
ap k hath me pehna don madam?
kiyon mere hath toote howe he me khud bhi chudriyan pehan sakti hon, tum logo ko tou bas bahana chahiye larkiyo ka hath pakrne ka anaya thore talakh lehje me boli, shopkeepr khamoshi se ause dekhne laga, anaya ghuse me bhi bohat achi lag rahi thi, ab aese kiya dekh rahe ho khaao ge mujhe apna kam karo...
Nahi madam me zyada charbi wala ghosht nahi khata shopkeepr ne foran jawab diya..
amaya ko hansi aagai, amu tumhen bohat hansi arahi he anaya mauh bana kar boli, anaya ghuse me wahn se uthi ye lo apni chudriyan nahi chahiye amaya ause dekhne lagi k aise ho kiya gaya he?
anaya are you ok kiya howa?
kuch nahi yr itne mann se shopping pe aai thi or dekho kuch pasand hi nahi araha he, chalo koi bat nahi phir kabhi aajaen ge amaya muskura k boli...
chalo bartan ki shop pe anaya mujhe knife(churi) leni he!
bhaiya churi dikhaein simple si , shopkeepr ne kafi churiyan dikhai pr amya ko koi pasand na aai, bhaiya mujhe lohe ki chahye, aus ne or churiyan dikhai, nahi bhaiya aesi nahi wo pori lohe ki he shopkeepr ne barabar wali 'dukhan' se kai qism ki churriyan dikhai, nahi bhaiya ap k pas he hi nhi jesi mujhe chahye amaya wahan se uth khadri hoi, anaya hansne lagi amu tumhen kesi churrri chahye yr hazaro churriyan tou dikha di he bichare ne....
baji ap order pe banwa lein churri shopkeepr bharkd kar bola,
anaya or amaya forn aus dukan se nikli anaya kehke laga kar hansne lagi
Amaya tum ne tou tapa hi diya bichare shopkeepr ko waqai koi churri chahiye thi ya bas tafri kar rahi thi anaya hanste howe boli...
koi churri nhi chahye thi bas tmhari ye muskurahat chahti thi...
bas dimag me scheme aai or foran kr dali, "mission anaya's muskurahat is successfull",
oh amaya so nice of you thankyou so much tum sach me crazy ho...
shayad tum bhool rahi ho anaya we are more like sisters, and In friendship no thnks and no sorry, we are best budies "No Complains and No demands"dono muskurane lagin!
acha yar Amaya meri cousin ka birthday he mujhe aus k liye gift lena he par time bohat kam he hum kab se yahan market me ghoom rahe he par kuch pasand nahi aaraha abhi tak bas ye dress hi li he tum aik kam karo koi gift khared kar le aao tumhari choice buhat achi he tab tak me dupata rangwa lon apna raat ko birthday party me jana he Anaya k chehre pe thakawat thi shayad wo market me ghom ghom kar thaak gai thi...
ok me le aati hon amaya ne muskura kar jawab diya..
Gift shop mein khari wo gifts dekh rahi thi jab aus ki nazar aik khatoon par gai jo chalte chalte aik dum ruk gai or achanak wahin zameen par gir gain!
Amaya bhagte howe aun k pas gai or aun k chehre par hath mar kar uthaane ki koshish karne lagi par wo behosh thin kuch logon ki madad se
auneh utha kar gift shop k andar rakhe sofee par litaya or chehre par pani k kuch chethee mare aus doran Aik shaks gift shop mein dakhil howa kiya howa yahan itna rush kiyon he?
jese hi aus ne amaya or aus khatoon ko dekha wo haka'baka reh
Akhir kon tha wo shaks jo aineh dekh kar haka'baka reh gaya?
                             -------***------****-----****-----*****------

Episode 8
                      Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain
                                                                   
Mama! wo bhagta howa aus khatoon k qareeb aaya wo abhi aa kar behta hi tha k aus khatoon ko hosh aa gaya or wo apni maa ka hath masalne laga
Mama kiya howa ap ko? Ap thek tou hein? chehre pe fikarmandi k ta'suraat sajae wo apni maa se mukhatib tha...
Beta bas achanak B.P low ho gaya tou me behosh hogai mujhe yahan kon laya me tou wahan zameen par giri thi phir yahan kese?
Amaya herani se bina kuch kahe aun maa bete ko dekhti rahi...
shop keeper ne amaya ki janib ishara karte hoe bataya ye Bibi Aap ko yahan lai aino ne madad ki...
Aunty ab Ap ki tabiyat kesi he ?
beta bas kuch thek he bohat bohat shukriya tum ne meri madad ki warna aj kal kon kisi ki madad karta he...
Nahi aunty shukriya ki baat nahi insaniyat ki khatir ye tou mera farz tha....
mujhe aik phone call aa gai thi tou me shop se bahar chala---- Amaya ne aus ki baat kat di mene ap se koi explanation nahi mangi wo jitne talakh lehje se bol sakti thi aus ne bola shayad ause khud bhi nahi pata tha aus ne kiyon talakh lehje ikhteyar kiya or Aliyan wahin khamosh ho gaya or apni mama ka hath pakar kar uthane laga...
Mama ghar chalein shopping bad me bhi hojae gi...
Aliyan beta ais larki ka shukriya'ada tou kar do tumhari maa ki madad ki he...
nahi aunty ais ki zarorat nahi apna khayal rakhiye ga ais se pehle aliyan ya aus ki Mama kuch kehte wo foran wahan se chali gai...
ye sirf aik aitefaq tha k aus ne jis ki madad ki wo Aliyan ki walda thin or wo tou har aik ki insaniyaat ki khatir madad karti he....
                     --------*******--------*******---------*******---------

Aj Khasi Garmi thi wo Raat mein AC k samne soffe par behti diary likh rahi thi
Dear diary: pata bhi nahi chala or ye teen’saal kese guzar gae? par ain teen’salon me kabhi Aliyan se bat
nahi hoi bas ause aik nazar dekh leti thi ause dekhne k liye yahan wahan ghomti thi,
khair se third year complete hogaya he...
Me bohat udaas hun shayad me ause pasand hi nahi roz apna social Account check karti hun
ais aas me k shayad aus ki koi email aai ho,shayad aus k dil mein kuch ho or wo dil ki baat kar de
mene feslaa kar liya he me kabhi ause apne dil ki bat nahi kahun gi....
  Pyari Diary, shayad“Meri Auqaat nahi hai ke mein Aliyan se Muhabbat kar sakun lekin us se Muhabbat karne ka Haq hai mujhe”!                                                     
Me hamesha muhabbt k khilaf thi, par Agar“Muhabbat ko ghussa aa jae tou wo mujh jeson ko bhi ho hi jaati hai”
Pyari Diary “Dil ki Saari baatein tou dil walon ke pass amanat hoti hain or wo amanat mein khayanat nahi kiya karte” ais liye me apne dil ki baat Aliyan ko bata kar ais me khayanat nahi krun gin
Mujhe aus roz bohat herani ho atefaq se jis ki madad ki wo auski walda thin me nahi janti aus roz mene kiyon talakh lehje me ause jawab diya par shayad talakh lehja hi behtar tha kam az kam aus k khayalon se tou bach sakti thi ab bas akhri saal he phir najane wo kahan or mein kahan shayad ais k bad me ause kabhi dekh hi na sakun!
pata nahi kiyon aik pal bhi me ause apne khayalon se dor nahi kar pati hun...
Me Janti hun Na’Mehram se muhabbat karna galat he par me kiya krun ais dil pe kisi ka bass nahi me dil k hathon majboor hun na’chahte hoe bhi mujhe aus se muhabbat hogai he ab aus k chehre pe udasi bhare ta’suraat the wo Diary band kar k kisi soch me mubtala hogai kisi or hi duniya me gumm ho gai...
Cell phone bajne laga!
wo apni khayalon ki duniya se wapas asal duniya mein lout aai cell phone par nazar dali Mama calling!
Asalam wa Alaikum 'Mama' kesi hen ap?
Agey se jawab milne or sawal hone par wo halka sa muskurai
jee mama me bhi thek hun...
Apni maa ki awaz sun kar aus ka dil bhar aaya tha wo ais waqt khud ko akela mehsoos kar rahi thi ause aik Na’mehram se muhabbat hogai he aus se gunah hogaya he ye soch soch kar ause bohat rona aa raha tha kuch der dono taraf khamoshi thi phir wo rone lagi
beta kiya howa ro kiyon rahi ho khariyat tou he?
wo bina kuch kahe roe ja rahi thi ab aus ki hichkiyan ban’ne lagi
Bache kiya ho gaya he khariyat tou he kuch tou batao mera dil behta ja raha he maa k lehje me pareshani thi
jee mama sab thek he bas ap ki or Baba saein ki yaad aa rahi he Baba kese he?
bohat mushkil se wo bas itna hi keh pai
Pagal tum ne tou mujhe dara hi daya wo thek hen tum vications me aa jao 6mahine hogae tum aai nahi ho hamein bhi tumhari buhat yaad aati he…
jee mama bas abhi semester hojae phir aaon gi...
beta, mene tumhare liye rishte dekhna shuro kar diye he or tumhara bohat acha rishta aaya he.
nahi 'mama' mujhe abhi shadi nahi karni please mujhe pehle pardhne dein kuch ban'ne dein amaya phone aik kaan se dosre kaan pe lagate howe boli...                                                                                     
beta tum aik bar larke ko dekh tou lo hum konsa shadi kar rahe he abhi bas 'Mangni' kar lo pardhai complete hone k bad shadi kar lena
mera bacha apni 'mama' ki bat nahi mane ga hanw ??                                       auff kiya he ap Maao ki tou adat he jab kuch nahi bachta tou "Emotional atiyachar" start kar deti hen ok dekh logi larka par agar pasand na aya tou aus k bad ap mujhe dobara nahi bole gin shadi ka promise?
acha meri maa promise aus ki mama dhemi awaz me bolin...
acha Address bolein kahan dekhna he 'bakra' i mean larka..
Amaya sudhar jao tum or tamez se pesh aana agar tum ne koi scheme chala kar ause bhagaya tou acha nahi hoga kal sham ko aae ga “Marriott Hotel” Evening 7:00 o'clock....
Ok 'Mama' ALLAH HAFIZ....
Scheme or me na chalao aesa tou ho hi nahi sakta lets doing something crazy Amaya!
wo dil me sochne lagi or chehre par shehtani muskurahat thi...
Sham mein Anaya ghar aai jese hi kamre mein dakhil hoi
O ho, kahan jane ki tayari ho rahi he amu?                                                                                                   
kisi ka 'mau' torne ja rahi hun!
kis ka? ab kiya ho gaya? aus k chehre se aik raang aa kar guzra
Tum ne chalna he tou ready hojao larka dekhne jana he!                              
Heinn larka wo kiyon? Aliyan dekha howa tou he Anaya herani se boli...                                                           
oh ho 'budhu' Aliyan nahi Mama ne kisi namone ko pasand kiya he mere liye or ause bheja he “Marriott Hotel”..
Ye wohi Hotel he na jo Abdullah Haroon Road pe he?
Hanw wohi he ab chalna he tou chalo wo car ki chabi uthate hoe boli
tum ne ause namoona kaha matlab tum aus k sath kuch galat karne wali ho Am I Right ? wo piche chalte hoe boli
Amaya ne murd kar aus ki janib dekha ya right Anu tum meri nas nas se waqif ho wo muskurai
No amu its wrong please kuch bhi ulta mat karna aus k sath tumhare ghar walon ko pata chal gaya tou dono ki shamat aaegi or hum ause pehchane ge kese?                                                                                                     
kisi ko kuch pata nahi chale ga or pehchan lein ge jo bhi 'chooza' ban kar behta hoga samjh jana wohi namona he...
Ab wo car me behtne lagin chooza?? anaya ne sawaliyan nazron se ause dekha....
Ary han yellow shirt par orange tie ..
Amu tum bhi naaaw kuch bhi bolti ho ab wo 140ki speed se driving karne lagi...
acha tumhein kese pata k aus ne kiya pehna hoga?
Mama ne aus ka description bataya tha...
or kiya kuch bhi? i mean, yr soch kar hi ajeeb lagta he yellow with orange tie yAAaaakh mujh se tou imagine bhi nahi ho raha or wese bhi jisse dressing sense na ho me kese aus k sath reh sakti hun
Anaya you know about my taste wo car park karte howe boli...                                             Amaya mujhe dar lag raha he choro kuch bhi crazy mat karna ab wo Hotel mein enter hoi
chaaron tarf nazar ghumai koi 'chooza' nazar nahi aaya,
Adha ghanta ho gaya he kahan he ye chooza i mean larka Anaya ki bat par amaya kehka laga kar hansi haha dekha tum ne bhi chooza kaha anaya!
han tumhari suhabat ka asar he mujhe tou lagta he ause tum se milne me koi intrest hi nahi he anaya auski tang khenchne lagi!
haha tou mujhe kon sa interest he wo beparwai se bola
ab tum hi beht kar wait karo me chalti hun mujhe zarori kam he...
Mein kiyon wait karo ause mujh se milna tha mujhe nahi chalo me bhi chalti hun acha bahana he mama ko bolo gi koi chooza i mean larka aaya hi nhi...
Anaya ye lo keys tum car start karo mein juice ka bill pay kar k aati hun...
Amaya bill pay karne k baad jese hi wahan se jane lagi piche se awaz aai
Ex'cause me ma'am! wo samne wala table ap k liye resrve he..
mere liye par kis ne kiya? wo herani se boli
pata nahi mujhe kaha gaya tha jis k chehre par ghusa or hath me pink cover cell phone ho ause aus table par bitha dena...
ause herani hoi akhir kon he jis ko itna pata he k mera chehre pe ghusa hoga?
Amaya ja kar beht gai akhir dekhon tou sahi he kon?
Thori hi der guzri thi k waiter Booky or Cake le aaya This is for you Ma'am waiter table par rakh kar chala gaya...
kiya musibt he kon he ye namona kiya fazool ki harkatein kar raha he samne tou aae zara me ais ka mou tor dongi Amaya ghuse se lal hone lagi...                                                                                           Ap ne yad kiya bandaa hazir he tor lein mou aik muskurata howa chehra aus k samne tha
jese hi Amaya ne aus ki janib dekha wo heran reh gai Abrar tum?
Tum yahan kiya kar rahe ho tumhein kese pata me yahn hun?                                                           Medam ap tou bina batae aa gain do saal lage ap ko dhondne mein akhir me ne dhond hi liya
ab aisi se andaza laga lein k meri muhabbat kitni sachi he tabhi tou aj ap mere samne behti hein or mene apni Mama ko ap ka bataya aune bhi ap bohat pasand hen tabhi ap k ghar Rishta bheja wo muskurate hoe bola
Amaya ause ghuse wali nigahon se dekhne lagi wo ais waqt ause zehar lag raha tha
Ap k shehar me aya hun beht'ne ka nahi bolein gin Abrar seene pe hath bandhein khadra tha...                
Oh tou tum ho jis ne rishta bheja tumhari himat bhi kese hoi or apni fazool bakhwas band karo
wo aus ki bat sunte hoe samne rakhi chair pe beht gaya
ais rishte se khud hi sharafat se inkar kardo, agar mene inkar kiya tou khama khai tumhari bezati hojae gi or mujhe tang karne ki koshish bhi mat karna warna tumhara itna tamasha banao gi k yad rakho ge Amaya ghuse se ause ghoorte hoe boli ....                  
wo achanak uth khadra howa or Hotel mein behte tamam logon ko apni tarf mutwajah karte howe bola ladies and gentlmen, hotel me behte tamam log aun ki janib dekhne lage
kiya muhabat karna galat he?
ya meri shakal achi nahi?
me ain se muhabbat karta ho kiya ye galat he?
mene cake bheja, booky bheja kiya ye sab galat he?
Nahi naa! meri shakal bhi achi he or muhabbat bhi sachi he...                                                         Ye kiya harkat he Abrar wo logon ki tarf dekhte hoe uth khadri hoi or foran wahan se chali gai...
Abrar piche se awaz dene laga apne tou bas mera tamasha banane ka bola hi tha or dekhein mene khud apna tamasha bana liya...
Amaya ne aik bar bhi piche murd kar na dekha
acha suneh tou listen address tou bata dein, koi phone number, kahan ja rahi hein?
Amaya ne aus ki aik na suni or foran ghar aagai!
Ghar aate hi aus ne Apni Mama ko call ki Mama larka bilkul bhi acha nahi he bohat hi fazool or badtameez qisam ka shaks he mujhe nahi karni ais larke se shadi…
par beta howa kiya he? tum ne zaroor koi scheme chalai hogi jo tumhare gale pard gai hogai or ab tumhein ghusa aa raha he!
Nahi Mama trust me mene koi scheme nahi chalai or me aj sham ko hi haveli aa rahi hun phir ap ko batao gin sari baat or me kuch din haveli mein rehna chahti hun...
                            ------*****------*****-----*****------
Amaya apne ghar jane ki tayari kar rahi thi jab aus ka cell phone bajne laga!
aus ne apne cell phone par nazar dali Mixhte calling!
aus ne apne phone ki touch screen par ungli pherte hoe call yes ki...
Hello Amaya tum jaldi aa jao Hostel k living Area mein aus k lehje mein khoof tha
Amaya ghabra gai kiyon kiya howa sab khariyat tou he?
nahi koi khariyat nahi wo Anaya... amaya aus ki baat kat kar boli kiya howa anaya ko?
wo Anaya bas tum foran aajao hostel ye kehte howe aus ne call kat di...
ALLAH PAK kiya ho gaya Anaya ko mujhe foran hi jana hoga…
wo apni car ki chabi utha kar foran bahar ki janib bhagi or chalte chalte apne cell phone par number dail karne lagi...
hello Mama mein haveli nahi aa rahi anaya ki shayad tabiyat thek nahi ause meri zaroorat he
Me anaya k pas jaa rahi hun ap se bad mein baat karo gi ALLAH HAFIZ
Ab wo 120ki speed se car bhagate howe foran hostel phunchi...
Last semester bhi khatam hone wala tha examz qareeb the sab pardhai mein masroof the hostel mein koi chalta phirta nazar nahi aaraha tha pora hostel veeran tha jese yahan sadiyoon se koi na rehta ho ab aus k chehre par pareshani chah gai Ya ALLAH khair kiya hogaya sab ko kahan chale gae hein itna bhi kiya pardhna yahan tou na koi banda na bande ki zaat....
yahan wahan dhondne k baad ause yaad aaya Mixhte ne Living area kaha tha wo foran living area ki tarf lapki...
wo jese hi living Area mein dakhil hoi aus par snow fall hone lagi surprise sab aik awaz mein chilae sab k hathon mein snow spry tha or ab sab gana ganee lage...
"Happy birthday to you"
"Happy birthday dear Amaya happy birthday to you"
"May you have many more"
"May you have many more"!
Amaya ka chehra khushi se khil'khila gaya wo tou bhool hi gai thi k aj aus ka birthday he!
Anaya aus k samne thi aik dum thek thaak taaliyan bajane mein masroof wo amaya k pas aai or gale lag gai Happy birthday crazy girl!
Thank you so much par ye kiya tarikaa howa mujhe bulane ka Mixhte ne tou mujhe dara hi daya tha
tumhein andaza bhi he k mein kitna pareshan hogai k anaya ko kiya hogaya?
i'm sorry or kuch idea hi nahi aaya tumhein yahan bulane ka hum ne socha dara kar bula lete he
ab sab kehka laga kar hansne lage...
Anaya dekho tou sahi amaya kese tayar ho kar aai he jese aise pehle hi ilham hogaya tha k ais ki birthday surprise party he Anosha muskurate howe boli...
jee nahi mujhe koi ilham nahi howa tha mein gaon jane k liye nikal hi rahi thi jab mujhe mixhte ki call aai phir mene mama ko mana kar diya k me nahi aaarahi...
acha howa mixhte tum ne time par call kar li agar ye gaon chali jati tou surprise ka sateya'naas ho jata Anosha or anaya ab aus ka hath pakar kar table k pas le gai living area bohat acha decorated tha ballons,candls,cake or yahan sab class fellows mojood thin...
Anaya tum kisi hotel mein rakh leti party hamare class fellows bhi shamil hojate kiran apni tarf mutakwajah karte howe boli...
Nahi hostel hi thek he tumhein hum larkiyon k sath maza nah aaraha kiya?
Anaya ne jese aus se aj badla le liya ho Amaya se dosti karne ka..
Aus k bat pe kiran ko ghusa aa gaya wo kuch bolne hi wali thi k ----chalo choro aao cake kat'te he phir games khele ge ham sab aj full masti kare ge parso se wese bhi semester start he phir pardhai pardhai mixhte ne sab ko apni tarf mutwajah kiya...
Amaya ne cake kataaa or aik bar phir sab ne ause wish kiya sab ne khoob enjoy kiya...
Thank you so much friends for make my birthday special and thanks for this wonderfull surprise party Amaya ka chehra khushi se bohat glow kar raha tha...
                         ------*****-----*****------*****-----
Agle roz sham ka waqt tha garmiyan ja chuki thi or aik bar phir sardiyan shuru hogai...                                                   Rat ka waqt or bahar bohat tez barish ho rahi thi barish ki wajah se thand bohat hogai thi..
Amaya apne bed par takiye se teek lagae kambal oudre leti 'jannat k pattey' Novel pardh rahi thi...
side table par pardha cell phone bajne laga Amaya ne phone utha kar aus ki screen par nazar dali cell phone ki roshni aus k chehre ko roshan kar rahi thi
ye kis ka number he itni rat ko kon call kar raha he? apne phone ki screen par ungli pheerte hoe call yes ki or kan pe lagate hoe boli hello kon?
Me Abrar ap se ye pochna tha k ap k ghar me koi kuta tou nahi? mene socha ghar me kodne se pehle aik bar poch lun, aesa na ho k kutta kaat le or phr, 10,12 injection lag jaein...
Amaya foran sehdi ho kar behti what are you mad? tumhein mera number kahan se milla or tum mere ghar k bahir kiya kar rahe ho? amaya apna cell phone dosre kan par lagate howe boli...
me ap ki door bell bajane ka rizq nahi le sakta, me barish me bheega howa ho, current lag jae ga or mujhe marne ka koi shoq nahi ap bahar aaein bat karni he itni barish ho rahi he barish me bheeg kar mar bhi sakta hun...
Amaya ne ghuse se phone band kar diya or phir se book pardhne lagi..
kuch der bad phir call ane lagi aus ne recieve nahi ki, phir message tone bajji...
aus ne touch phone ki screen par ungli pherte howe inbox open kiya(ap ko meri bat jhoot lag rahi he tou bahir aa kar dekh lein)
Auff kitna "Dheet" he ye shaks amaya bolte howe bahar k darwaze ki janib chalne lagi...
wo appartment se Bahar lawn mein aai tou wo bhi barish me bheeg gai jese hi bahir ka main darwaza
khola abrar bhagta howa andar dakhil howa,
Dono bazu seene par bandhe hoe kap'kapa raha tha Thnkyou Thnkyou so much aaein andar park me beht kar bat karte he or ye phool ap k liye wo buri tarhan se kap'kapa raha tha..
Excause me! ziyada free hone ki zarorat nahi jo bhi baat karni he yahin khadre ho kar karen or chalte bane...
Ab tak tou ap ko pata chal hi gaya hoga k me kitna "Dheet" insan hun, itni thand or barish me khadra reh kar me marna nahi chahta me tumhare sath jeena chahta ho, tumhein kiya lagta he me time pass karna chahta hun, nahi karni dosti, nahi chalana affair, nahi karni raat bhar phone par batein,me direct shadi karna chahta hun or dekho aik na aik din tou tumhari shadi honi hi he tou mujh se kar lo kiya farq parhta he or tum itni ziddi, ghuse wali, akdru mizaaj ki ho tou kon tum se shadi karne ka rissk le ga kon bardasht kare ga tumhein?
par me lon ga rissk me karo ga tumhein bardsht or tum se shadi bohat tum se muhabbat karta hun ,
Amaya bohat ghuse se ause dekh rahi thi....
Me janta hun mene "sher k mau" me hath dala he par meri himat bhi tou dekhein naaw or me mafi chahta hun aus bat ki jo tumhein buri lagi,dekho me tou tumhari 'mama' ko bhi pasand hun tabhi tou auno ne tumhein dekhne bheja tha, khuda bhi yehi chahta he hum aik dosre k 'Humsafar' bane...
Mr.Abrar "jab har kam ap ki marzi say hone lage tou samjh lo k kuch bura hone wala he kiyun k tab khuda bande ko khuda ban'ne se rok leta he" bohat bakhwas kar li tum ne now get out! Amaya ghuse se chilaai...
par mera jawab tou de dein abrar sanjedgi se bola...
i said go Amaya ne ause bahar nikal kar darwaza band kar dya...
aus ki kisi bhi bat ka amaya par koi asar na howa hota bhi kese aus k dil-o-dimag me tou bas Aliyan hi tha...
kesa pagal shaks he ghar hi aa gaya mama ko tou har kute bille ache lag jate he...
wo har raat Aliyan se nafrat karne ka ehed kar k soti he or har subha ais ehed ko tor deti thi
duniya me har bemaari ka ilaj he par muhabbat ka koi ilaaj nahi ye lailaj he..
Aik larki he Amaya
sheher-e-Roshan
sheher-e-qalamkar
sheher-e-Quaid Karachi se
Aik larka he Aliyan
sheher-e-jamal
sheher-e-Roshan
shehe-e-lazawal Karachi se
ye he Ajeeb chahat jahan-e- bemisaal jahan-e- lazaawal...

------****--------*****---------*****---------

Raat k 11:30PM ho rahe the ! kafi der se cell phone baj raha tha!
Amaya ne cell phone uthaya or call recieve ki Asalam wa alaikum Mama!
agey se jawab milne or sawal hone par wo jawab mein boli jee papers bohat ache howe bas
ab kal final Assigment or project submit karwana he phir kal sham mein haveli aa jaon gin hamesha k liye!
Mama yahan barish bohat ho rahi he or me apna project kar rahi hun ap se kal baat karon gi Baba ko salam kahiye ga or auneh kahiye ga mujhe aun ki bohat yaad aati he ALLAH HAFIZ...
Ais roz bhi khoob barish hoi Amaya thaak'haar kar ballcony me aa khadri hoi or bahir ki janib tez barish ki boondein zameen par girte hoe dekhne lagi road soon'san tha koi nazar nahi aa raha tha
itni thand or tez barish mein koi pagal hi hota jo bahar niklta...
wo barasti hoi barish ko dekhte hoe kisi soch mein doob gai

kal ais shehar-e-Quaid mein mera akhri din he
kal Amaya Amir shehar-e-lazawal karachi se chali jae gi
wo Aliyan Mustafa k shehar se chali jae gi
Aj shehar-e-Roshan mein aus ki akhri raat he
wo akhri baar Aliyan Mustafa ko dekhna chahti thi
wo akhri bar aus parking area me jana chahti thi jahan aus ki pehli mulaqat Aliyan se hoi thi
wo akhri bar aus jagah khadri hona chahti thi jahan aliyan ki jan bachate howe ause kanjar laga tha
wo akhri bar laibrary mein behtna chahti thi aik akhri baar aun kitabon se baatein karna chahti thi
wo akhri baar pori university seer karna chahti thi jahan wo Anaya k sath ghoomti thi
wo akhri bar aus living area me jana chahti thi jahan aus ki birthday party celebrate ki gai thi
wo akhri bar aus cafeteria me behtna chahti thi!
ab aus ki anson se ansu behne lage..
aus ka cell phone bajne laga wo khayalon ki duniya se loot aai phone par nazar dali chipku calling...
Aaah kitna dheet he ye abrar itni bezati ki he phr bhi baaz nahi ata mene bhi receive nahi karni aus ne apna phone hi band kar diya...                                                                                                   
wo apne kamre ki janib murdne lagi achanak aus ki nazar road par pardhi wahan koi tha koi zameen par leta howa tha barish itni tez thi k kuch nazar hi nahi aa raha tha shayad wahan koi tez barish mein behosh prda tha!
wo bhagte howe niche ki janb lapki or aus shaks ki madad karna chahi jese hi ause sehdaa kiya wo aus shaks ko dekh kar heran reh gai...
Akhir kon tha wo shaks jo itni barish mein adhi raat ko road par behosh padra tha?

                    -----*****----*****-----*****-------
Episode 9
                  Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

wo Aliyan Mustafa tha!
Aik Larka Aliyan doop si chahaon sa,
Mangi hoi duwaon sa,
Bin garajti bijli sa,
Ghuse wala or magroor aadaon sa,
wo itni barish mein bech raste behosh padra tha Amaya ki tou jese saansein hi thaam gai!
Aliyan utho Aliyan wo aus ki Gal thap’thapate hoe ause uthane lagi aus ki ankhon se ansu behne lage ause samjh nahi aa raha wo kiya kare kese ause Appartment tak le kar jae aus ne watch man ko bulaya or auski madad se Aliyan ko Appartment mein le aai..
ause samjh nahi aa raha tha wo kiya kare Aliyan aus k samne zakhmi halat me tha aus k tou jese dimag ne kam karna hi chor diya tha bahar itni barish ho rahi he itni raat ko koi doctor kahan milley ga?
ab wo apne sar par hath rakhe soffee par beht gai or phir uth khadri hoi ungli danton me dabae yahan se wahan tehalne lagi achanak kuch yaad aane par wo bahar ki janib bhagi or barabar wale appartment ka darwaza bajane lagi Dr.Anas darwaza kholein wo zor zor se darwaza pet rahi thi…
kuch der darwaza bajne k baad Aik shaks ne darwaza khoola jeans par white shirt mein malboos ankhon par glases lagae howe khush'shakal...
kiya howa Amaya ap itni ghabrai hoi kiyon hein?
wo Aliyan Ap chalein Dr.anas aus ka sans phoola howa tha...
Dr.anas foran amaya k sath aus k apartment mein aae!
Dr.anas bohat ache or sharef insan hen, auno ne Aliyan k(bandich)ki or medicines wagera di...
Amaya jee, ap pareshan na ho Mr.Aliyan jald hi thek hojaege mene injection laga diya he kuch der mein aineh hosh aajaega or ain k liye 'soooop' behtar hoga wo di jiye ga or kisi help ki zarorat ho tou bila'jhijhk keh di jiye ga...
Thank you Dr.Anas....                                                                                                   kafi waqt guzar gaya Aliyan ko koi hosh na aaya Amaya behad pareshan thi wo aus k liye duwaein karne lagi chair aus k qareeb kiye beht gai or bohat piyar se auski janib dekhte howe dhemi awaz mein boli,
“ab tou Jaag jao Aliyan ais qeemat par k tum ne Amaya Amir ki neendein haram kardi hain”
bas Aaj ki raat khairiyat se katt gayi toh subha INSHALLAH koi achi khabar milegi....
Raat k 2:00Am ho chale the wo ab bhi wahin aus k pas chair par behti thi or aus k hosh mein ane ki duwaein kar rahi thi..
Aa'h kahan hun mein? Aliyan ko hosh aagya wo halki si ankhein khole uthne ki koshish karne laga, ankhon k aagey andhera sa tha!
Relax aram se lete rahein mein hun Amaya ap mere Appartment mein hen...                                                                 Ap ko aram ki zarort he wo letne ka ishara karte howe boli or kuch hi der mein soop le aai ye lein soop pee len thand bhi bohat he soop ap k liye behtar he phir medicines bhi khani he wo soop dete howe boli...
Aliyan herani se ause dekh raha tha jese wo kehna chahta ho(Amaya tumhein meri itni parwah kiyon ho rahi he tumhare chehre par ye pareshani kiyon he kiya ye tumhara koi dikhawa he)    
Amaya aus k chehre k tasuraat se smjh gai k wo kiya soch raha he...                                                                                       
 Mr.Aliyan ap ko heran hone ki zarorat nahi ap tou jante he me sab ki help karti hun or phir,jese mein ap k gaon me mehman thi wese hi ap bhi mere mehman hen or hum mehmanoo ka ache se khayal rakhte he amaya apni pareshni chupate howe halka sa muskurai
wo apni udasi chehre par nahi lana chahti thi, par andar hi andar bohat pareshan thi or khuda ka shukar ada kar rahi thi k ause Hosh aagaya auski jan bach gai.                                                                                                                                                  kuch chahiye ho tou bata di jiye ga ab ap rest karen rat kafi hogai hen so jaein amaya soop ka bowl le jate howe boli....
ab kamre me bilkul khamoshi thi Aliyan aus k kamre mein charo tarf nazrein ghuma kar dekhne laga room bohat acha decorate he,bed par kuch teddybears pas hi table par alarm clock or family photo,dewaron par Amaya k photos, jin me wo bohat pyari lag rahi he or kuch wallpapers 'dressing table' par pora makeup set , side table par laptop or kuch books or kuch decoration peace pore kamre mein har cheez pink Almari k pas rakhe High Heels bhi pink (auf ye larkiyon ka kamra itna decorated or pink kiyon hota he har chez pink pink shukar he ye table par rakha laptop pink nahi he) wo aukta kar khud se bola or phir ankhein band kiye let gaya…                                                     
                  -----*****--------****---------*****------

Subha Amaya ki Ankh 9:00Am khuli aus ki nazar wall clock pe gai..
oh shoot! fajar ki namaz nikal gai wo uthi hath mou dho kar apne silky baal hathon me sameet kar ounche kiye or poni bandhne lagi bohat ounchi si poni ais pe bohat achi lagti wo zara sa sar hilaati tou ounchi poni sath hi garden k oper jhoolti, ais ki ankhein kaanch si chamkili or agar kabhi wo Anaya k zid karne pe kajal lagati tou halka sa kajal bhi ainko dehka deta sheshe me aik nazar khud pe dali or muskurai khule pajame pe long shirt garden ki gird lipta muflar waqai wo sab se munfird thi..
wo apne dosre kamre ki janib chal di jahan Aliyan so raha tha ab wo khirdki se parde hatane lagi sooraj ki chamkeli roshni aus k chehre ko chune lagi wo zara sa piche hoi tou wo roshni Aliyan k chehre par pardi wo foran uth gaya!
Asalam wa Alaikum Mr.Aliyan ab kesi tabiyat he? Aus k lehje me buhat narmi thi
wo kuch kehne hi wala tha k door bell bajji Amaya darwaze ki tarf lapki..
kuch der baad Amaya or Dr.Anas kamre mein dakhil howe
ASALAM Wa ALAIKUM ab kese ho barkhudar?
mere sar me bohat dard he or mera jisam jese toot raha he...
me injection laga deta ho INSHALLAH jald hi thek hojao ge, Amaya jee ap nashta laein aus k bad hi medicines den ge Aliyan ko...
Amaya nashta banane kitchen ki tarf chal di....
Mr.Aliyan parhezi khana khaao ge tou jald hi recovery hojaegi or amaya tou ap ko ab thek kar k hi bheje gi she is very nice girl sab ki help karti he, par ye alag bat he k jisee bhi ais ne dil se chaha he ausi ne amaya ko hamesha dokha hi dya he phir chahe wo koi saheli ho wo sab ki parwah karti he par auski parwah koi nahi karta koi nahi janta k, Sakht or akdru mizaj larki k piche kitni caring or naik dil larki he kisi ne kabhi ause samjhne ki koshish hi nahi ki or auska EGO itna he k wo apne bare me na kisi ko kuch batati he na show off karti he, tumhein kal road pe dekha tou ghar le aai auno ne mazeed kuch kehne k liye lab khole hi the k amaya kamre me dakhil hoi
Dr.anas ap ka driver niche bula raha he!
chalein sham me mulaqat hogi take care both of you ALLAH HAFIZ:)
ye lein garam garam nashta cheef Amaya k hath ka...
Aliyan kahin or hi gumm tha ye Dr.Anas Amaya ko itna kese jante he? Aliyan k dil me aik sawal utha par amaya se pochna munasib nahi samjha (kiya waqai amaya achi larki nahi tabhi aus ne dr.anas ko ghar me aane ki ijazat di kiya wo har aik ko apne ghar me aane deti he kiya wo har aik se aese hi friendly behave karti he? mujhe kiya lage jo bhi ho ye doctor ya jesi bhi ho ye amaya kiya ye achi larki he nahi ye achi larki tou nahi achi larkiyan kisi anjan shaks ko tang nahi kartin) wo ab bhi amaya k bare mein galat soch raha tha...
Hello kahan gumm ho mene kuch kaha he cheef Amaya ka nashta ap k samne he...
mujhe nahi pata ap aik buri larki k hath ka nashta khae ge ya nahi par or koi choice bhi nahi ap ko medicines khani hein tou ap ko ais buri larki k hathon ka banaya howa nashta khana pare ga!
Amaya ki baat par Aliyan k chehre se aik rang guzra par aus ne bohat hi maharat se baat ka mozu palat diya Are you shure ye nashta tum ne perfect banaya he i mean cooking ati he ya net se recipe dekhi...
Amaya ko aus ki baat sun kar herani hoi Aliyan ko teen’saal porani gaon ki baat yad he...
wo jawab me halka sa muskurai mene ab khana banana sekh liya he ap kha lein acha na lage to chor di jiye ga...
Actually kiya he k me thaak gaya ho mazedar khana kha kar Aj Bismillah kar k tumhare hath ka Bad’maza khana bhi kha hi leta hun or me thaaaak gaya ho lete lete please kiya bahar tv lounge me aa sakta hun?
oh ya shure come Amaya muskurai or dil me sochne lagi bemari me kafi acha behave kar raha he kahin Ais ka dimag tou kharab nahi hogaya?
kahin ais k sar me tou nahi lagi?wo tenshion me aagai...                                                          
Tv lounge k samne hi open kitchen he, Amaya coffe banane lagi or Aliyan Nashta karte hoe Appartment ka jaiza lene laga..
Amaya Green colour ki long shirt me malboos ounchi pooni kiye hoe, adhe baal ankhon par aa rahe the behad pyari lag rahi thi....
wow amu tum Aliyan k liye coffe bana rahi ho wow "Love God" kiya kamal ka scene kiya he ap ne har saal asi 'situation' create kar dete ho ham aik sath hojate he ab jaldi se kuch aesa bhi kar do k ham hamesha k liye hi aik dosre k sath hojae amaya excitment mein bard'badai
kuch kaha tum ne? Aliyan aus ki tarf Mutwajah howa
Amaya aik dum chonki hanw wo m’mein keh rahi thi aik baat pochun?
hane bolo Aliyan tv ka remote hath me pakre chanel change karne laga..
Ap ka naam kiya he?
what ye kesa sawal he?
naam batein apna...
Aliyan Mustafa....
ap kis shehar me rehte hen?
Dimag kharab ho gaya he kiya tumhara kese sawal poch rahi ho ye koi baatein he pochne wali
me tou bas ye jan'ne ki koshish kar rahi thi k ap k sar me lagi tou nahi ap ka dimag kahin----- wo wahin ruk gai
acha tou tumhara matlab he k me pagal ho gaya hun?
mujhe tou tumhara dimag kharab lag raha he tumhein kese laga k tmhein mera test lena chahiye??
wo ap ne bohat politly bat ki thi naaaw tabhi....wo wahin chup hogai
Amaya ne itne naram lehje me kaha k sunte hi aliyan k honthon pe muskurahat aagai                                                                                                                         
Ye Lein coffee! wo coffee mug dete howe pas k sofee par beht gai..
wese Amaya tumhare parents kahan he Aliyan coffee mug lete hoe bola...
ary wah akdruu piyar se bat bhi karta he mujhe tou pata hi nahi tha shayad ais k dimag me waqai lag gai he tabhi ye itna narmi se bol raha he amaya mann hi mann sochne lagi...                                                                                                                                       
jee meri family (gaon)me rehti he mere baba gaon k badre wadere he or wo pak army mein major he Major Mohammad Amir...
me yahan karachi apni studies k liye aai hon me apni 'maid' K hamra yahan rehti hon wo aj kal chuti pe he...
baba k rakhe howe do bodyguard the jine mene bhaga diya university mein mera mazaq ban jata agar mere sath guard wagera jate tou mujhe aik aam zindagi jeena hi acha lagta he!
(oh tou ye major ki beti he or opar se waderan bhi zahir he akard kese nahi hogi ais mein tabhi ye agley hi din foran new car le aai thi)wo dil me sochne laga
Apartment acha he tumhara Aliyan tv ki tarf dekhte howe bola...
jee thnkyou :)                                                                                                                                                               
Oh shoot! its 12:00 o'clock, me khana bana lon ap tv dekhein amaya 'wall clock' ki tarf dekhte howe boli or kitchen ki simmmt chal pardi...
Ab wo Gas on karne lagi aik bat kahun?                  
Han bolo wo channel change karte howe bola....
wo me kafi time se ap ko kuch kehna chah rahi thi par kabhi keh na saki or aese hi 'Teen’saal' guzar gae par socha aj keh dun!
hanw bolo bhi abb wo tv band kar k auski tarf matwaja howa
wo darasal bat ye he k...                                                                                                                                     
Amaya ka cell phone bajne laga amaya khana banate howe phone ko apne (kandhoon)k sahare kan pe lagae boli, Hello 'Mama' kesi hen ap?
beta me thek hon tum batao kia kar rahi ho?
kuch nahi khana bana rahi hon...
kiyon uzma kahan he?
wo kuch din chuti pe he 'Mama'..
beta me ne tum se rishte k bare me baat karne k liye call ki he...
'Mama' Please mujhe ais bare me koi baat nahi karni ap ne promise kiya tha ap aynda ais bare me baat nahi kren gin Amaya apne chehre pe aate howe baalo ko apni kalai se piche karne lagi....
Aliyan ause churai hoi nazron se dekhne laga!                                                         par beta bat tou suno,
No Mama please i'm not interested jab haveli aaon gin tab baat kare ge ALLAH HAFIZ..
aus ne apna cell phone ghuse me table par de mara...                                                                                                           
kiya howa khariyat itna ghusa? wo auski trf dekhte howe bola....                                               
kuch nahi 'Mamma' mere rishte k piche lagi hoi hen, mujhe nahi karni abhi koi shadi wadi!
ab wo khana table par lagane lagi! choro ye saab chalo khana khaOo...
Wow kia khushbu he biryani ki or Nashta bhi bura nahi tha wo dil me sochne laga
ab wo biryani plate me dalte howe bolne laga acha batao kiyon nahi karni shadi aik bar larka hi dekh lo
Dekha tha just Mama ko chup krwane k liye Amaya pani ka glass apne laboon se lagate howe boli ...
acha phir kesa laga larka pasand aya tumhen?                                                   
Ap ko pora scene bataon gi tou haansein ge wo larka abrar tha jise kal dekhne bheja tha...                                           
Kiya Abrar wo yahan bhi aagaya aliyan heraani se palate me chamach rakhte howe bola...
jee han Abrar or kal raat ghar bhi phunch gaya aus ne aus raat ka or 
“Marriott Hotel”
  ka tamam qisaa sunaya aliyan hansnee laga pagal ho gaya he ye larka aesa tou na tha..
tum hanw kar deti acha tou he tumhein pasand bhi karta he bichara itni thand me tmhare liye barish me bheega aliyan shrarti lehje me bola!
hanw nazar aa raha he kitna acha he wo amaya mauh bana kar boli or plates uthane lagi...
kiya tumhein waqai abrar pasand nahi?
nahi me aus mein koi intrest nahi he wo ab plates kitchen mein rakh rahi thi..
tou phir kon pasand he? Aliyan k sawal par wo khamosh hogai
Ap baatein itni raat ko barish mein ais area mein kese phunch gae?
(ais bar amaya ne bhi maharat se baat palti) Me kamre me leta bore horaha tha socha bahar tehal lon ghar se thora agey hi gaya tha k barish shuro hogai or kute piche lag gae
aun se jan bachane k liye bhagne laga or pata hi nahi chala bhagte howe kab ais Area me phunch gaya kuton ne picha chora tou kuch larko ne pakar liya paise mobile chen'ne lage mein de nahi raha tha auno ne mere sar me koi wazni cheez mari or me behosh hogaya jab ankh khuli tou yahan tha....                                                                               
Amaya dil me sochne lagi khuda ne aise yahan bheja ais me zaror koi behtri hogi...
acha ap batein ap k ghar wale ap ko shadi ka nahi kehte?
hanw mere ghar me bhi yahi haal he shadi kar lo shadi kar lo..
tou phir kab kar rahe hen ap shadi ab wo kitchen ki safai karne lagi...
abhi tou kuch pata nahi bas ye semester hogaya he ab MBA khatam jab time mila tab kuch sochon ga!
wese mama ne 2,4 tasveren di he k dekh lo jo pasand aajae bata dena!                        
Achaw phir ap ko koi pasand aai? Amaya ankhein band kiye sink ki tarf mou kare khadri hogai ta k Aliyan aus ka chehra dekh na sake or dil me dua karna lagi k aliyan ko koi pasand na aai ho auski dil ki dharkaane thaaam si gai....                                                                           hanw aik larki bohat pasand he kal aus se mulaqat hogi INSHALLAH wese mein pehle bhi aus se aik shadi mein mil chuka hun she is very nice ause dekhte hi mujhe aus se muhabbat hogai thi…                                                                       ye sunte hi Amaya k peeron tale zameen hi khisk gai ause "jhatka" sa laga!
aus ne ankhen kholi tou aus ki ankhon me ansu the ause samjh hi nahi araha tha k apne ansu kese chupae lakh koshishon k bawajod bhi apne ansu rok na saki, ause itna dukh pehle kabhi na howa tha...
kitchen me lage sink se mau dhone lagi taqriban 15minute tak wo wahin khadri ansu bahati gai or mau dhoti gai...                               
kiya howa pore saal ka MAu aj hi dho lo gi kiya aliyan aus ki janbb brhte howe bola..                                         
Nahi wo ankh me mirchi wale hath lag gae ap behten me aati hon wo bhagte howe kamre me chali gai...
wo ause jata dekhta raha...                                                                 Amaya kuch der me bahar aai, blue jeans pe yellow kurta pehne aus k kapro se lag raha tha jese wo kahin jane k liye tayar hoi ho...
Aliyan samjh nahi paa raha tha achanak kiya howa he bat bech me chor kar ye tayar ho kar kahan chal di?
Me university ja rahi hon kuch important assignments submit karwane he...
acha ye tou batao tum kiya kehna chahti thi jo tum ne Teen’saal se nahi kaha, bat tou pori bata kar jao wo ause rokte howe bola...
ap ko kuch chahiye ho tou le li jiye ga wo ye kehte howe wahan se chali gai..

             --------*****------******--------*****--------
Amaya University aai or Apna Assignment or project submit karwane k baad apni man’pasand jagah ki tarf chal di raste me ause Anaya mil gai
Hey Amu itni khoi khoi kiyun ho ? Oh samjh gai Aj tumhara 'Hero' kahin dikhai nahi de raha tabhi tum udas ho beta pata tou krwao kahan he? Wo maskharana andaz me boli
Dear Anaya pata karwane ki zarorat nahi mere ghar me he wo apni udaasi chupate howe boli....
wa what tmhare ghar kese kab kiyon anaya herani se sawal karne lagi!
Amaya ne kal raat or parso raat ki tamam baat btai par apne dil toot'ne or apni udaasi ki wajah nahi batai....
ary,wah amu tere sitare ache chal rahe he;)
Abrar tujhe kitna chahta he yr itni barish or thand me khadra raha auff, or tum abrar k bare me sochne k bijae aus akdru ko dil me liye behti ho, tum ne hmesha aus shaks ko ruswa kiya he jo tumhri qadr karte hen or khud aik aese shaks k liye mar rahi ho jise tumhari parwah nahi,
jo shayad tumhein achi larki samjhta hi nahi tum aik hafta aus k gaon me rahi agar wo aqalmand hota tou itne din me samjh jata k tum buri larki nahi ho ya shayad wo apni ego nahi tootne dena chahta Mein kehti hu, abhi phone lagao uss kaminay abrar ko" or shadi k liye hanw keh do ya aesa karo 'Khaat' likh do!
'Khaat' kyon likhun phone 'Mirchen' peesne k liye thori rakha he or mujhe koi interest nahi Abrar wagera mein aus ne foran do tok jawab diya....                                                                                           
acha tou phir maro, meri balaa se khoob sewaaa karo apne akdruu ki ause utha kar ghar me le aai or aus ne tum pe yaqeen tou dor ki baat shukriya tak nahi kaha agar tum ause ghar na lati tou wo wahin road pe para thand me mar jata or meri manti tou marne deti mujhe ais waqt shaded ghusa aaraha he tum par Amaya meri mano tou abrar k bare me socho anaya ghuse me kehte howe wahn se chalne lagi....
Mera nahi he wo amaya dhemi si awaz me khoe howe andaz mein boli...
Anaya chalte howe wahin ruk gai or piche murd kar amaya ki janib dekha kiyon ab kiya takleef he aese kiyon bol rahi ho or mau kyon latkaa howa he
wese tumhein aus ki itni fikar kiyon he?                                                                                                     kuch nahi “Muhabbat agar zid hoti to mein kab ki jeet gai hoti”
"Muhabbat karti hun ais liye fikar karti hun Nafrat karogi tou zikar bhi nahi karon gi"....!
Amaya tum kab tak aus shaks k intezar mein raho gi ho kiya gaya he tumhein apne aas pas k dosre logon ko dekho jo tumhein pasand karte he tum Abrar ko dekho jo tum se muhabbat karta he tumhein kiya hota ja raha he ab tumhari ego tumhari Akard kahan he?
Me apni akard chor kar, ab apne dil ki sun'ne lagi hon
Muhabbat ka matlab hasil karna nahi hota he or zaroori tou nahi jise hum chahe wo bhi hamein chahe...
ishq sacha wohi jis ko milti nahi manzilain...
i have to go Anaya take care wo khoe howe andaz me bolte howe wahan se chalne lagi...
Ruko amu mujhe aik baat ka jawab do kiya tum Namaz pardhti ho?
hanw pardhti hun par tum ye kiyon poch rahi ho?
kiyon pardhti ho tum namaz?
Anaya har cheez apne waqt par achi lagti he or naiki kamane ka sahi waqt jawani he
par hum naikiyan aus waqt karte he jab hum buraiyan karne k qabil nahi rehte or namaz tou hum par farz he...
Ab Anaya khamosh thi wo kuch sochte howe boli dua karti ho Aliyan ko mangti ho dua mein?
pata nahi aus k chehre par udasi thi..
Amaya agar "ALLAH PAK se dua mango tou dua ki qabooliyat par yaqeen rakho kiyon k ALLAH PAK gafil,la'parwah or mayus ki dua qabool nahi karta..
Ab wo khamosh thi dil kar raha tha phoot phoot kar roe...
Mene Aliyan ko kabhi bhi duwaon mein nahi manga me kese aik Na’meharam ko duwaon me mang sakti hun mujh me himat nahi ALLAH ki samne aik Na’mehram ko mangne ki agar wo mere naseeb me howa tou mujhe mil jae ga wo khoe hoe andaz me boli
Anaya aik bar phir kuch sochte howe boli,
Amaya sabar se rehmat ka intezar karo jo cheez tumhare liye he, wo tumhare liye hi he or deer-e-hikmat par mabni he...
Anaya me ause duwaon me mangti nahi par agar dua karun or duwaon or koshishon se bhi baat na bane tou fesla ALLAH par chor dena chahiye ALLAH apne bandon k bare mein behtar fesla karne wala he ab wo wahan se chali gai
Ab aise kiya hogaya? ye tou bilkul hi badal gai he aliyan tera bedaaa'garak meri hansmuk dost ko rula rula kar kamla kar diya he dil tou kar raha he ause ja kar thapar lagaon!
Anaya mou bana kar boli or wahan se chalne lagi wo auditorium ki tarf se guzar rahi thi jab aus ne kuch suna or wo wahin ruk gai
darwaze k aus paar koi do log khadre kuch baat kar rahe the!
akhir kiya suna tha anaya ne jo wo haka'baka reh gai aus k chehre ka raang urd gaya or wo foran apne cell phone bag se nikal kar koi number dail karne lagi...
                    ------******--------******------******-------
Aliyan Ghar mein bore hone laga tou wo Amaya k kamre ki chezein dekhne laga table par laptop k pas hi amaya ki diary rakhi thi wo diary pardh kar hansneee laga
Diary k start mein hi Amaya ki funny harktein, auski schemes,or apni zindagi k adventures or kuch mushkil palon k bare me likha tha!
wo diary pardh hi raha tha achanak Amaya aagai, Aliyan k hath me diary dekhte hi ause ghusa aa gaya mood tou aus ka pehle hi kharab tha aus ka bas nahi chal raha tha k wo chekhein mar mar kar roe foran diary khenchte howe wo talakh or badtameezi bhare lehje me boli...
Manners nahi he kisi ki personal chez ko aus ki ijazt k bina nahi dekhte khud ki koi cheez ho tou foran Aag'bagola hojate ho ainda meri kisi chez ko bina poche hath bhi mat lagana mehman ho mehman ban kar hi raho..
kiya hogaya aik diary hi tou pardhi he tum itni badtameezi kiyon kar rahi ho?
tumhare liye mamoli diary hogi, par mere liye ye meri sab kuch he or “Yeh akhri akhri badtameeziyan hain phir tum kahan aur mein kahan”– wo udasi bhare lehje me boli
ause pata tha Aliyan auska nahi ho sakta wo tou kabhi aus ki zindagi me tha hi nahi wo tou bas aik khuwab tha aik haseen khuwab or me tou bhool hi gai k khuwab sache nahi hote na ab kabhi hum milley ge or aus k ghuse ki wajah ye bhi thi k Aliyan dairy me wo sab na pardh leta jo ausne apni dil ki batein likhi he wo ab nahi chahti thi k ause kuch pata chale...
Aliyan bina kuch kahe bahir ki janib chal diya!                                                                     
kahan ja rahe ho?
Now i feel better mera khayal he mujhe ab apne ghar chale jana chahiye...
suno, amaya ause rokte howe boli mujhe koi haq tou nahi ap ko rokne ka par agar ap jana chahte hen tou jaein wese bhi ye apartment kisi achi larki ka tou he nahi mere khayal se waqai ap ko jana chahiye...
Aliyan k chehre par aik raang aa kar chala gaya jese ause kisi ne thapar de mara ho wo bina kuch kahe darwaze ki simat chalne laga!
ap ja tou rahe hen par shayad hum dobara kabhi na milley final year bhi complete hogaya he par agar kabhi 'Aitfaq' se kahin mil bhi gae tou ye mat kehna k (ap ko kahin dekha he) apna khayal rakhna Amaya apne ansu chupate howe boli ALLAH HAFIZ!
aus ne koi jawab na diya or chote chote qadamon se bahar ki janib chalne laga
thora agey ja kar wo ruk gaya or murd kar amaya ki janib dekha chalte howe aus k pas aaya mujhe itna bata do tum mujh se kiya kehna chahti thi?
wo kuch der khamosh rahi phir himat kar k bolne lagi!
Mein bas ye batana chahti thi k mene ap ko kabhi bhi tang nahi kiya...                               
wo jo kuch bhi howa tha 'first semester' k shuro mein wo sab galat fehmiyaan thi, or me ne yahi socha tha jab bhi moqa miley ga ap ko ais bat se zaror 'agah' karongi koi mere bare me galat soche ye mujhe har'giz bardsht nahi or me janti hon ap mujhe achi larki nahi samjhte par humein kisi ko bina jane judge nahi karna chahiye aik bar kuch kehna ka moqa dena chahiye hum dosron ki sunte nahi or apni suna kar chale jate he or phir dil me bad'gumani rakhte he bas yahi kehna tha ap ko ab bhi meri baat pe yaqeen nahi tou jesi ap ki marzi par mujhe ap se koi gila nahi waqti tor par bohat ghusa aya tha par ab koi ghusa nahi he mein yahan pardhne k liye aai thi kisi ko tang karne nahi me ne ap ko kabhi tang nahi kiya kabhi bhi nahi ab aus ki awaz gale mein hi atak gai jese bas ab wo phoot phoot kar rona chahti ho wo jitna khush thi ab aus se kai ziyada udaas thi jese tamam khushiyan kahen khoo gai ho...
ye baat bata kar aus k dil se booj utar gaya tha...
Aik baat to man'ni parde gi Amaya tum actress bohat achi ho tumhari baaton mein sachai ka guman hota he tumhein software engineer nahi aik actress hona chahiye tha par afsoos tum ne galat peshe ka intekhab kiya or hamara mulk aik bohat achi actress se mehroom reh gaya tum mere dil se ausi din utar gai thi jis din tum ne wo ghatiya harkat ki thi ye kehte howe wo wahan se chalne laga..
wo wahin khadri rahi jawab mein kuch na boli wo rone lagi wo tou pehle hi bohat dukhi thi
wo ause kehna chahti thi("Aliyan tum kisi aur k zehan se sochte ho, kisi aur ki zubaan bolte ho")
par wo khamosh rahi wo ja raha tha wo ause roti hoi andheri ankhon se jata howa dekh rahi thi
Aik Larki amaya nazuq si larki jo baaton se hi toot jaya karti he!
Aliyan ka lehja itna talakh tha k wo ab roe bina reh na saki wo bachon ki tarah rone lagi
wo ause jata howa dekhne lagi...
Aliyan ne aik bar bhi piche murrd kar na dekha amaya ki ankhon se ansu behne lage wo ause apne se dor jata howa dekh rahi thi wo tab tak ause dekhti rahi jab tak wo aus ki nazron se gayab na howa....
wo ause rokna chahti thi wo ause kehna chahti thi (suno Aliyan mat jao mere ho jao mein tumhein batana chahti hon k me kitna toot kar chahti hon tumhein)kash k mein kuch keh sakti kash mein tumhein bata sakti k mene apni akard chor di he mene apne dil ki sun'na shuro kar di he ...
ab aik bar phir dil me sound bajne laga (Ek tujh ko hi bas dekh kar,Bhooli mujhko hi meri nazar,Tujhko shayad nahi hai khabar, Tujh ko jeete hain hum kis kadar Jude jo tere khawab se,Toh toote hum neend se,Yeh kaisa tera ishq hai Saajna,Tu haathon mein toh hai mere,Hai kyun nahi laqeeron mein,Yeh kaisa tera ishq hai Saajna)
Ause gae howe do ghante guzar gae the wo ab bhi chote bachon ki tarah ro rahi thi jitne apne ansu andar rakhe howe the sab baha diye or ghuse mein kamre ki tor'phord karne lagi jab thora ghusaa kmm howa tou dairy likhne beht gai....
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
         Dear Diary, Amaya ki Ajeeb chahat adhuri reh gai sab kuch khatam hogaya!
mein toot gai wo mujh se bohat dor chala gaya he aik pal k liye mujhe laga shayad aliyan bhi mujhe pasand karta he par wo mujhe pasand nahi karta aus ne tou kabhi mere liye kuch socha hi nahi wo tou aj bhi meri tarf se bad'guman he ause tou meri baat par yaqeen hi nahi he ause me actress lagti hon meri baatein ause acting lagti hein koi kese kisi k liye apne dil mein itni nafrat itni bad'gumani rakh sakta he akhir mera qasoor kiya he? aus ne kabhi mujhe achi larki samjha hi nahi wo ab ro rahi thi
Aliyan mujhe buri larki samjhta he Amaya amir aik buri larki!
"Roti hoi andheri ankhon ka agar koi Laad ka naam hota tou wo Amaya Amir hota"!
kiya howa ye kab howa ye kiyon howa ye,
dil bhi na jane kiyon roya ye dharkaane bhi bin poche thamm gai,
sari hadon k parr he kuch tha nahi par laga piyar he…
kiyon mere sath aesa howa kiyon me tum se milli kiyon tum mujhe ache lagne lage?
mere liye muhabbat he hi nahi meri pehli chahat amaya ki ajeeb chahat adhuri reh gai mene tumhen khooo diya aliyan me ne tmhen khooo diya, mein chah kar bhi khud ko rone se rok nahi paa rahi hon aj mujhe rona he aj Amaya amir ko rona he aj amaya k sath asman bhi roe ga aj meri zindagi be'maine hogai...                                                                     
Meri pyari Diary, humein kiyon wo log ache lagte he jineh hm ache nahi lagte,aliyan kash me tumhen bata sakti k me tumhen kitna toot k chahti hon Amaya ankhon se ansu saf karte howe mazed agey likhne lagi, me ne thek socha tha khuda ne tumhein yahan bheja he zaror koi behtri hogi or wahi howa
tum yahan aae tabhi mujhe pata chala k tumhari pasand koi or he agar tum na ate mujhe tou kuch pata hi na chalta or me khama'khuwa tumhari muhabbat k darmiyan aa jati
me tumhen kabhi bhool nahi paogi wo kuch waqt jo hum ne sath me guzara auneh soch k 'khush' hojao gi....
Aik pal k liye wo ruk gai, or betey lamhe yad karne lagi wo sab kuch baag me jana, shadi me aliyan ka ause abrar se bachana,laraiyan,rude behaviour wo sab kuch auski ankhon k samne
aik film ki tarah chalne laga or aik bar phir ankhon se beshumar ansu behne lage aus k likhe howe lafzon par ansu girne se wo lafz dhundle pard gae...
meri pyari Diary, me janti hon jo hota he khuda acha hi karta he, auski raza me hi meri khushi he me ab dukhi nahi hongi janti hon ain sab k lye thora waqt lage ga par INSHALLAH sumbhal jaongi ALLAH PAK kabhi apne bande k sath bura nahi karta wo humen 70maOn se zyada pyar karta he wo humein dukhi nahi kar sakta wo hamari duwaein raad nahi karta der se hi sahi par duwaein qabool zaroor hoti he...
Piyari Diary,Thankyou so much tum ne mera bohat sath diya meri har aik bat suni aj mera dil toot gaya, me toot gai…
Ab sham k 6:00 baj chuke he Bahar asman par kali ghata chah gai wo asman ko dekhte howe boli
"mujhe maloom tha tum mere ho nahi sakte,
magar dekho mujhe phir bhi mohabbat ho gai tum se"...!

Toota dil tou sab kuch jal gaya mausm wo achnak khushiyon bhara badal gaya
khuwab the jtne sab ankhon se beh gae or karne ko yaad porane qissey reh gae...
                                                                                                                                                                                                     ---------******--------******------******------

Episode 10
                      Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain
                       
  Kafi der se Cell phone baj raha tha wo conference Haal me Meeting me Masroof thi
Meeting khatam hote hi wo apne Cabin me aa kar behti or laptop khole Emails check karne lagi aus k sar me shaded dard ho raha tha ab wo Cell phone uthae check karne lagi…
Oh Mama ki calls aus ne apni maa ko call back ki Ringtone bajte hi foran kisi ne phone uthaya
Asalam wa Alaikum Mama!
Wa Alaikum Asalam beta kesi ho kahan masroof thi?
Me thek hun office me hun Meeting chal rahi thi koi kam tha mama?
beta tumhein Islamabad gae aik saal hone wala he ghar aane ka irada nahi he kiya?
Tumhari buhat yaad aati he Aisi hafte tum haveli aa jao...
Mama ap logon ki mujhebhi bohat yaad aati he Par ap aese achanak kiyon bula rahi hein?
Dekho Amaya beta me ghuma phiraa kar bat nahi karun gi bat sehdi he tumhari study complete hogai he Mashallah tum software engineer ban gai ho Islamabad me achi khasi job kar rahi ho or ab tou tumhare liye pehle se bhi ziyada ache ache Rishte aa rahe hen hum tumhari shadi karna chahte he...
Dosri tarf mukamal khamoshi thi!
Hello tum sun rahi ho na Amaya me kiya keh rahi hun?
beta bohat acha Rishta aaya he larka landlord family se he achi khasi job bhi he khoobsurat he khoubsirat he or achi family se taluq rakhta he or tum mujhe zara ye tou batao kahan kahan rulti phirti ho?
kiya matlab mene kahan jana?
Larke ki Ami ne tumhein kahin dekha tha tou tum auneh pasand aagai wo khud Rishta lai thin...
Mama please ab wo apna laptop band kar k chair se tek lagae beht gai Mama ap phir shuru hogain Amaya zuban danton mein pisaae boli dekha hoga kahin mujhe kiya pata...
beta bohat hogai tumhari man'marziyan ab hum tumhari aik nahi sune ge beti ki shadi aik ache ghar or ache larke se hojae or kiya chahiye tumhare 'Baba saein' ko larka or auski family dono hi buhat pasand he auno ne han bhi kardi he agley do mahine bad tumhari shadi he foran haveli aajao tumhare BABA ka hukam he or humein umeed he jese pehle tum ne pehle har cheez mein apne waldein ki izzat rakhi he ab bhi wese hi izzat rakho gi humein sharminda nahi hone do gi kisi k samne apna khayal rakhna ALLAH HAFIZ....
aus ne kuch kehne k liye lab khole hi the k agey se phone band ho gaya aus ne apne dono hath table par rakhe phir aik hath apne baalon mein diye or dosre hath mein pakre cell phone ko dekhte howe kisi soch me doob gai!
                   -----****-----****-----****-----
Anaya ne aik company mein job k liye apply kiya tha aj wo internet par apni emails check karne me masroof thi wo bohat dilchasbi se laptop ki screen par nazrein jamae touchpad par ungliyan pherti emails open karne lagi Aus ki nazron k samne aik unknown email tha jise bohat hi dilchasbi se aus ne open kiya Ab aus k samne wo email open thi wo ba'aasani email pardh sakti thi ab aus ne email pardhna shuru kiya-
Hello Anaya kesi ho?
Amaya kesi he aus ka koi contect number ya koi email address he tou please mujhe batao mujhe aus se zarori baat karni he university k bad tou Amaya jese gayab hi hogai he aus ka cell phone bhi band he aus ne number change kar liya he kiya?
tumhare jawab ka intezar rahe ga from: Mrs Kiran Faris...
Mrs.kiran Faris aus ne lafz dohraya matlab kiran ki shadi hogai aus k chehre par ab herani bhare taasuraat the...
Amaya ka contect number ya wo kahan he mujhe kuch bhi pata nahi he me kiya bataon ais kiran ko k meri bestfriend ka mujhe hi nahi pata k wo kahan he kis haal me he? Ab anaya k chehre pe udasi thi
akhri bar ause university me dekha tha kahin khoi khoi si thi tum ne mujhe kiyon kuch nahi bataya Amaya kiyon tum bina kuch kahe chali gai kash aus din mene jaldi phone kar diya hota tou aj tum yu hum se dor na hoti or wo Aliyan kahin milley me ause choro gi nahi wo khud ko or Aliyan ko qasoor'war man kar rone lagi!
                 -------******--------******------******-------
Ab Amaya apni haveli aagai thi or ause yahan aae howe aik mahine se ziyada hogaya tha
wo jhole par behti laptop k touchpad par taizi se ungliyan pheer rahi thi!
beta kiya kar rahi ho jab se aai ho laptop me lagi rehti ho..
Mama me apne office ka kam kar rahi hun...
kiya office ka kam tum ne abhi tak office se resign nahi kiya? ab Mrs.Amir aus k pas beht gain...
kiyon resign kiyon karon mein?
Amaya Shadi he tumhari or shadi mein sirf do hafte baqi hein ab koi zaroorat nahi he job ki aj hi
resignation letter bhej do wo aus k kandhe par hath rakhte hoe bolin or kal subha jaldi uth kar tayar ho jana kal hum lahore ja rahe he...
Lahore par wo kiyon? ab aus ne Mrs.Amir ki janib dekha!
Tumhari shadi ki shopping karne k liye tum bhi kuch apni pasand ka le lo...
ap ne jo bhi shopping karni he khud kar lein wo mou bana kar boli or wahan se chalne lagi!
kahan ja rahi ho yahan behto ye kiya baat hoi bhala aj kal ki larkiyan tou apni shadi ki shopping khud karti hein apne waledein se nai nai farmaishey karti hein or aik tum ho jise apni shadi ki shopping mein koi interest hi nahi he...
Mujhe tou apni shadi mein bhi koi interest nahi he Mama!
Mujhe nahi karni shopping aap log khudi kar lein larka bhi tou khudi pasand kiya he wo khoe hoe andaz me boli...
Baba Saein ne hanw kar di tabhi me baba saein ki khatir ye shadi kar rahi hun warna mera shadi ka koi irada nahi or me job se resign nahi karon gin kabhi shadi kar lo kabhi resign kar do ghuse me kehte howe wo uth khadri hoi or wahan se jane lagi!
Amaya Tehro ab Mrs.Amir bhi uth khadri hoi Amaya wahin ruk gai
idhar meri tarf dekho auno ne bazu se pakar kar amaya ka chehra apni trf kiya beta, hum ne tumhara bhala hi socha he akhir kab tak kanwari raho gi aik din tou apne ghar jana hi he naa tou phir kiya masla he kiyon nahi karni shadi?
Amaya khamosh khadri rahi Asman par andhera chaane laga halki halki barish ki boondein zameen par girne lagi!
Chalo mein apni gudriya ko aus k 'Rajkumar' ka naam batati hun wo muskurate hoe bolin..
Mujhe koi interest nahi nam jann'ne mein agar me waqai aap ki gudriya hoti tou ap yuu zabardasti na kartin wo mau bana kar zameen pe 'peer' patakh'te howe wahan se chaali gai...
Agli sham!
Wadera saein Major Amir lawn mein behte chae pee rahe the sham ka waqt tha parinde cheh'chahane lage hawa se darkhat k pattey jholne lage
Amaya ko guzarte dekha tou awaz de di beta amaya yahan aao apne baba saein k pas aa kar behto...
jee baba aus k chehre par udasi thi...
beta itni udas kiyon ho? jab se aai ho bhuji bhuji si lag rahi ho
Ab amaya aun k pas wali chair par behat gai
beta tum ab pehle jesi shararti gudriya nahi lag rahi mujhe wohi meri shararti amu chahye Major Amir piyaar karte howe muskurae...
(Baba kiya bataon me ap ko k meri zindagi kitni ajeeb he har waqt mere sath sath karti he mujhe azmaish me dalti he
Shehr-e-karachi ka aik larka Aliyan jise me aj bhi bhool nahi pai hon)--
Nahi Baba aesa nahi he i'm ok achanak ap ne ais tarah bulwa liya bas tabhi--- wo bolte hoe ruk gai
Acha tou meri amu ko shadi ki tenshion he?
beta waledein apne bachon ka acha hi chahte he kiya tumhen lagta he tumhare Baba kisi aare gere larke ko tumhara hath de den ge?
tumhein apne Baba ki choice par bharosa nahi he?
Major Amir nihayat hi narmi se bole aun k lehje bohat piyar bhara tha...
Baba saein kiya Amaya Amir ap par bojj he?
wo herani se Amaya ki janib dekhne lage
Nahi mere bache meri Ladli mujh par har'giz bojj nahi he Betiyan maa'baap par hargiz bojj nahi hotin,
aun k aangan me chidriyon ki tarah cheh'chahati hein,
shoor machati hein,
dana chugtin hein or aik din urd jati hein,
bas itna muktasir sa padao hota he maa'baap k ghar betiyon ka!
Amaya ki ankhon se ansu behne lage or apne Baba k gale lag kar rone lagi mere baba world k best baba hen mere superman wo rote howe boli...
Beta larka bohat acha he tumhein bohat khush rakhe ga me tou ais rishte se bohat khush hon agar tumhein shadi nahi karni tou me mana kar deta hon
Ap ye kiya keh rahe hein ?
Aik awaz sunai di piche murd kar dekha tou Mrs.Amir wahan majood thin Aese kese ap mana kar sakte he invitation cards logon ko mil chuke he pore gaon ko pata chal chuka he wadere saein Amir ki ladli beti ki shadi he agle jume ko ap achnak mana karein ge tou log baatein banae ge ap ne mana hi karna tha tou han kiyon ki thi ap ne tou badre fakhar se kaha tha ap ki ladli ap k fesle se khush hogi ause ap ki choice par bharosa he auno ne mazeed kuch kehne k liye labb khole hi the k amaya k aik jumle ne Mrs.Amir ki zuban par tala laga diya!
Mujhe apne baba ki choice par pora bharosa he me khush hon baba saein k fesle par kisi ko mana karne ki zaroorat nahi he Amaya ki family ais rishte se bohat khush thi, wo inkar kar k sab ko udas nahi karna chahti thi or apne Baba saein ka piyar aus k liye sab se 'bardh' kar he aus ne apne Baba ki khushi k khatir han kardi...
Amaya ki han se jese Major amir ko zamane'bhar ki khushiyaan mil gai...
Raat k khane par sab hi daining table par majood the Zarlish hamari ladli kahan he wo khana nahi khae gi Major Amir apni wife se mukhatib the!
pata nahi abhi bulwati hon 'khan sa' jaein Amaya ko bula kar laein!
                       ----***---****----****-----

Wo apne kamre ki khirdki k samne seene par hath bandhe khadri bahar ki janib kale asman par chand ko dekh rahi thi Asman taron se bhara howa tha aus ki ankhein namm thi aj k din jo bhi howa sab aus ki ankhon k samne aik film ki tarah chalne lag Mein itni khud'garz kese ho sakti hon me tou aesi nahi thi mujhe apne baba saein ki apni family ki koi khushiyaan nazar hi nahi aai me bas khud k bare mein soch rahi thi kuch waqt k liye me bhool gai thi k Me kon ho kiya hon kiyon hon?
Me ne hamesha ma'bap ka sar fakhar se ouncha kiya he tou ab kese me aun ko logon k samne sharminda kar sakti hun Mene tou sab ALLAH par chor diya tha tou phir me kese bhool gai k ALLAH jo karta he behtar karta he aini sab me meri behtri he mere dil ki tasali k liye itna bohat he k mere ALLAH ne jise mere liye chuna he wo acha hi hoga or jo mere rab ki marzi he me ausi me khush hun
Mama ka wo jumla(ap ne tou badre fakhar se kaha tha ap ki ladli ap k fesle se khush hogi ause ap ki choice par bharosa he) Baba saein ko itna yaqeen tha apni ladli par or mein'me kiya karne ja rahi thi aun
ka bharoosa torne ja rahi thi ab aus ki ankhon se ansu behne lage!
Darwaze par dastak hoi!
Amaya ne foran apne ansu saaf kiye andar aa jaein!
aik shaks kamre mein dakhil howa bibi jee ap ko Saein bula rahe he dinner kar lein..
jee ap chalein ap aati hon
kuch der mein Amaya bhi daining haal mein aagai jee bulaya ap ne...
beta behto yahan or khana khao...
Nahi mama mujhe bhook nahi he me sone chahti hon...
beta rizq samne padra he rizq ko thukrate nahi he chalo shabash behto or khana khao!
ab wo khane ki meez par beht gai or be-dilli se khana khaane lagi...
Major Amir ki amaya par nazar padri Amu ye kiya tarika he khana khane ka thek se khao khana'khane ki dua pardhi tum ne?
nahi baba bhool gai sorry aus k chehre pe udasi thi
koi pareshani he kiya aksar tum pareshani me hi cheezein bhoolti ho?
Nahi Baba Aese kuch nahi he ap bataein zohaib bhai kab aa rahe he england se?
Zohaib Amaya ka chota bhai he..
Zohaib parso aa raha he or ab yahi rahe ga ye last year tha aus ka keh raha tha yahin pakistan me hi bussiness kare ga..
ab chup chap khana khao baatein tou hoti rahe gin Mrs.Amir pani ka glass table par rakhte howe bolin..
Nahi mene bas ki mera mann nahi khane ka me sone ja rahi hon Shaba khair...
                  ----****----****----****-----                                                                                        
20 December_Friday!
       shadi ka din bhi aa hi gaya Amaya surkh lehnge mein malboos 'Dulhan' bani behad khoobsurat lag rahi thi bilkul kisi shehzadi ki tarah...
Zohaib kalai par ghardi pehnte howe kamre mein dakhil howa Amaya chalo bhi ab--aus ne jese hi samne dekha aus k lafz wahin toot gae!
wo lehnge mein malboos dulhan bane isha ki namaz pardh rahi thi!
wo khamoshi se seene par hath bandhein khadra amaya ko dekhta raha ab wo jahe'namaz rakh rahi thi ankhon mein mote mote ansu the Zohaib ko dekhte hi wo apne ansu saaf karne lagi bhai ap kab aae? chehre par farzi muskurahat thi
Amu tum khush tou ho na? wo fikarmandi se aus ki janib dekhne laga
jee bhai me bohat khush hon baba ne hamesha hamare liye behtar fesle hi kiye he ab zohaib k chehre par muskurahat jhalki!
oh hoo itni badri hogai meri coure car itni bari bari baatein!
(zohaib k samne amaya ka qaad thora chota he wo ause chird'rane k liye coure car kehta he)
jee han zindagi ne bohat kuch sikha diya he aus k lehje mein udasi thi!
ab itni gehri baatein mat karo mujhe hazam nahi hongi ab chalo marriage hall phunchte bhi ghanta lag jae ga..
Amaya wahan se chalne lagi! suno coure car mujhe tumhari bohat yaad aae gi mere sath larne wala koi nahi hoga ab kise me coure car kahun ga?
ab zohaib k lehje mein udasi thi or amaya k liye ye udasi pehli bar thi wo herani se ause dekhne lagi!
aus ne kuch kehne k liye lab khole hi the k zohaib foran bol parda agar tumehin lagta he me aesa kuch kaho ga tou aesa har'giz nahi he or suno apne shohar ko kuch khana wana bana kar bhi khila dena aesa na ho k wo khana mange or tum kaho ye lo 100rupee bahar se kha lena wo ab amaya ki tang khenchne laga..
Amaya ause goorne lagi!
Mujhe yaad he amu jab me chota hota tha or tum se kuch khane ko mangta tha tou tum mujhe paise de deti thi jao zohaib bahar se kuch le kar kha lo ab wo kehka laga kar hansne laga
Amaya ne cushion utha kar zohaib ko marna shuru kar diya
Mrs.Amir kamre me dakhil hoi tum dono kabhi nahi sudhro ge ye koi time he larai karne ka chalo niche der ho rahi he!
Mama dekhein naa bhai ko mujhe tang kar rahe hein wo peer phatak'te howe wahan se chali gai
zohaib piche se aawazein dene laga suno coure car i'm serious me tumhein bohat miss karon ga!
               -----****----****----****-----

Pora marriage hall purple or white decorate tha Aik larki sky'blue dress me malboos bridal room mein dakhil hoi!
MASHALLAH Amaya you looks gorgious kitni pyari lag rahi ho "ALLAH PAK" nazre'bd se bachae tumhein aamen anaya khushi se aus k gale lag gai...
Anaya ko dekh kar aus k chehre par herani bhare tasuraat the anaya tum yahan kese?
Mujhe laga tum mujhe dekh kar khush hogi par tumhein tou shayad koi khushi hi nahi hoi mere yahan aane se!
Nahi aesa nahi he anaya mein khush hon tumhare ane se...
Amaya me buhat naraz hun tum se agar aunty mujhe insist na karti tou me tumhari shadi me hargiz na aati tum bina batae kahan chali gai thi number kiyon change kar liya apna?
mujhe tou apna contect number de sakti thi tum mujhe tou apni khabar de sakti thi par tum bina kuch kahe gayab hogai ab aus ki ankhon mein ansu the...
Me kiya batati anaya ye batati k Aliyan ko mujh se nafrat he,ya ye batati k mera dil toot gaya he,
ya ye batati k zindagi ne mere sath ajeeb mazaq kiya he me toot gai hun Anaya aus ki kajal se labreez ankhon se mote mote ansu behne lage...
jo bhi tha tum aik baar tou mujhe batati amu mene aus din tumhare university se jane k baad kai phone kiye tum ne aik bar bhi call recieve nahi ki me tumhein kuch batana chahti thi...
kiya batana chahti thi wo khoe howe andaz me boli....
Anaya kuch kehne hi wali thi k bisma bridal room mein dakhil hoi Anaya api ap ko bahar bula rahe he jaldi aaein ye keh kar wo wahan se chali gai..
Amaya kiya tum ais shadi se khush nahi?
i don't know anaya me bas ye shadi Baba saein ki khatir kar rahi hun mujhe nahi pata ye thek he ya galat par aj bhi me Aliyan ko bhool nahi pai hun pata nahi kiyun me ause bhool nahi pati hun
bas dukh ais baat ka he k ause me kabhi pasand hi nhi thi wo tou mujhe achi larki samjhta hi nahi tha...
me bhi tou auski tarha akdruu thi par phr bhi apni EGO bhulaa kar mujhe aus se 'mohabbat' hoi tou kiya wo apni EGO bhula kar mujh se muhabbat nahi kar sakta tha?
Me bhoolna chahti hun ause but i can't Anaya auski kajal se labreez ankhon se ansu ab bhi jari the or wo khud ko bebas mehsoos karne lagi...
kiya ALLAH PAK mujh se Naraz he Anaya mujhe itni azmaisho me kiyon dal raha he?
me itni mazboot tou nahi jo kuch bhi bardasht kar lon me toot gai hon anaya..
Amaya mujhe ais waqt tum par toot kar piyar aa raha he Allah ko jo banda pasand hota he ALLAH ause hi azmaish me dalta he wo janta he k tum aus k test me pass hojao gi "QURAN PAK me bar bar yehi taqeed ki gai he k sabar karo beshak ALLAH sabar karne walo k sath he"
Mene kahin pardha tha ye jo wat'tawasu bilsabar hota he na ye insan ko insan se hi chahiye hota he
Amaya tum mein sabar he tum bohat achi ho or tum hi kehti ho na k "ALLAH apne bando k sath bura nahi karta tou phir tumhare sath kese bura kar sakta he"Anaya ne ab ause apne gale se laga liya!
Amaya porani baton ko yad karne ka koi faida nahi jo hamare haq me behtar hota he wohi hamein milta he ho sakta he jo tumhara humsafar ban'ne laga he wo Aliyan se bhi ziyada behtar ho tumhein behad mohabbat kare or phir tum tou itni samjhdar larki ho sab kuch bhool jao aus shaks k bare me socho jo tumhari zindagi me aa raha he akhir aus k bhi tou apni wife ko le kar apni future life ko le kar kuch khuwab honge tum aik nai jaga jaa rahi ho nae logon me tumhein sab porani batein bhoolni hogi amaya aik nai zindagi ka darwaza khulne laga he aus ko enjoy karo jo howa wo sab past tha, Ab jo hoga wo future he or apna future acha banao kahan he wo amu jo har moment ko enjoy karna janti thi anaya ause muskura kar dekhne lagi Amaya jo larki ALLAH ki baat manti he wo ause thokar nahi lagne deta
wo har haal mein aus ki madad karta he ause apne hafiz-o-Eman me rakhta he aj Anaya buhat samjhdari wali baatein kar rahi thi jis pe Amaya buhat Heran dikhai de rahi thi                                Amaya wahin khadri rahi or Anaya ki baton ko sochne lagi wo khoi khoi si thi aus ne kuch baatein dehan se suni thi kuch baatein an'suni kar di par akhri baat aus ne gor se suni thi or ab aus ne apne ALLAH ki baat man li thi ab wo apne ansu saf karne lagi Allah pak mein ab ap se koi shikayat nahi karun gi jo ap ne mujhe diya he aisi ko me Qabool karti hun ap hamesha wohi karte he jo hamare Haq me behtar hota he
mujhe ap ka har fesla manzor he ab aus k chehre pe halki si muskurahat thi or ye muskurahat Allah k liye thi Allah k behtar fesle k liye thi aus apne Allah par pura Ta’wakul tha wo Allah k fesle se khush thi aus ne apne dil ko mar liya tha…
Ary barat aagai chalo sab welcum k liye bisma aik bar phir anaya ko bulane aai ye sun kaar anaya wahan se chaali gai...
wah Amaya kiya shandar qism ki Baraat ai he guard sath mein itni badri badri bandooken pakre howe,
police ki gadri protection k liye teri barat tou pore parotocol k sath aai he "white shervani" mein malboos dulha behad handsome laag raha he kitni lucky ho tum Amu itna lush saab kuch "ALLAH" tumhein hamesha khush rakhen Amaya ki cousin Aleena ause duwaen dene lagi!
itne me Anaya aagai!                  
hanw tou kyon nahi aae gi itni lush barat akhir hamari amu bhi kmm thori he "Major Aamir" ki beti he koi mazaq thori he anaya khushi se boli..                                                                                  Rasmein wagera shuru hoi dulhe ko la kar stage par bithaya gaya...
har kisi k mou se yahi 'lafz' nikal rahe the MASHALLAH couple bohat acha he...
par Amaya ne pore Event aik ankh utha kar bhi apne dulhe ko na dekha wo khoi khoi si behti thi jese kisi or soch me doobi ho ause kuch andaza nahi tha aus k aas paas kiya horaha he?
Amaya kahin ye khuwab tou nahi i'm so happy for you or sahi ho kar behto kiya ajeeb sa mou banaya howa he dekhne wale log batein banae ge anaya pas khadre ahsta se boli...
Ais se pehle k wo kuch or bolti Amaya ne ause chup karwa diya...
Ruksati hone k bad jab sasural aai tou bed par behti Amaya kamre ka jaiza lene lagi kamra bohat acha decorate tha har tarf Red Roses or candles!
Dari'sehmi si Amaya sochne lagi k kis se shadi hogai he kon he ye me sari zindagi ais shaks k sath kese raho gi jise me janti bhi nahi?
shadi tou kar li he par kiya me ais rishte ko nibha paogi Kiya mein kabhi Aliyan ko bhool sakon gin
Akhir kiyon me ause bhool nahi paa rahi hun? Ab mujhe ause bhoolna hi hoga ab tou meri shadi bhi hogai he ab Aliyan k bare me sochna bhi galat he me ab kisi k Nikkah me hun..
Ab tou aik saal se bhi ziyada hogaya he wo tou apni zindagi me aik dum khush hoga...
Anaya ne kaha tha jo larki ALLAH ki baat manti he wo ause thokar nahi lagne deta mera ALLAH mujhe thokar nahi lagne dega ALLAH PAK please mujhe himat dena me ain nae rishto ko sumbhal sakun kisi ko koi shikayat ka moqa na dun me ab Aliyan k bare mein nahi sochon gin...                           -------****------****-------****-------
                                 
Episode 11
                  Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain


 Darwaze par 'dastakh' hoi knock knock!
jee aa jaein bed par nazrein jhukae behti Amaya ne nihayat hi narmi se kaha...
Aik shaks kamre me dakhil howa wo ab bhi nazrein jhukae behti thi ause dekhne ki himmat na kar saki
ye ring ap k liye as a gift from me....                                                             jee shukriya Amaya ne darte howe Ring lene k liye hath agey bardhaya!                                                                           Agar ap ki ijazt ho tou ye ring ap k nazuk hath ki ungli me pehna dun(Rooh'afza ki bottle)
                                                                                                                             Amaya aik dum choonki "rooh'afza?                                                                                                       Dil ki darkan tham si gai shayad ais jumle pe ause kisi ki yaad aagai aus ne foran nazar utha kar aus ki janib dekha tou wo dekhti hi reh gai wo shaks white shervani mein dulha bana behad handsome lag raha he or wo haklate hoe itna hi bol pai                                                                                           A'aa'aliyan?
Aus ne aj bhi Amaya k dress ka color dekhte hoe ause aik nae nam se mukatib kiya tha
Aliyan what are you doing here? kiya meri shadi aa'ap se---? aus k lafz wahin toot gae
what you mean? what i'm doing here hello medam "i'm your saein, sar ka Taaj your husband"
itni heran kiyon ho kiya tumhein nahi pata k tumhari shadi mujh se hoi he?
nahi mu'mujhe kese--?wo ab bhi heran thi ghabrai hoi thi
kiyon hamara nikah nahi howa kiya molvi sahab ne mera naam nahi liya?
wo khamosh behti ause herani bhari nigahon se dekh rahi thi!
kuch pocha he mene kiya howa itne sadme mein kiyon aagai ho Rooh'afza ki bottle wo aus ki ankhon k samne hath hilane laga
Nahi wo m'me'Mein apne dukh me itna khoi hoi thi k mene dehan hi nahi diya halka si kan me awaz aai thi Aliyan mustafa!
par mujhe laga shayad mere dil se awaz aa rahi he kiyon k mera dil ap k bare mein soch raha tha me wahan hote howe bhi wahan nahi thi mujhe nahi pata aus waqt mere aas paas kon tha kis molvi ne mera nikah pardhaya mujhe koi hosh nahi tha aus ne bheegi palkhen utha kar aliyan ki janib dekha....
Aliyan ne bhi ause dekha dono ki nazrein apas me takrai or wo kuch der khamosh rahe...
kuch sochne k bad wo achanak bola wah kiya haseen aitefaq he ALLAH PAK ne mere surprise kharab nahi hone diya meri madad ki aus k chehre par halki si muskurahat thi..
kiya matlab? aus ne aik bar phir nazrein utha kar herani se aus ki janib dekha wo ab aus k pas bed par behta gaya tha!
Mene tumhein shadi ka surprise dena tha par me ye bhool gaya tha k jab nikah hoga aus waqt tumhein pata chal jae ga k tumhari shadi mujh se ho rahi he ye baat mujhe subha yaad aai par me kuch bhi nahi kar sakta tha mene bas ankhein band ki or ALLAH PAK se dua mangi jo bhi ho behtar ho nikkah k waqt
me tumhare face expressions dekhna chahta tha nikkah k doran dono stage k darmiyan net ka parda tha jis se wo ba'asani amaya ka chehra dekh sakta tha!
par mera naam sun'ne k bad bhi tumhare chehre par koi khushgawar tasuraat nahi the aus waqt me bohat dar gaya k kahin tumhare dil me mere liye koi nafrat tou nahi mujhe laga shayad ais aik saal or char mahinoo mein tum mujhe bhool gai ho mujh se nafrat karne lagi ho bas yehi dua karta raha k ye sab mera weham ho...
Amaya bilkul khamoshi se aus ki baatein sunti rahi!
Ab kamre me mukamal khamoshi thi wo dil me sochne lagi kismat ne kiya haseen khel'khela he pehle aliyan zindagi me aaya--phir wo ilzam--phir hospital---phir gaon---kabhi auska talakh lehja tou kabhi naram--- phir aliyan ka mere ghar aana---phir aus ki pasand ka pata chalna---phir mera dil tootna---
Aliyan ka meri zindagi se chale jana or aj achanak ais tarah se wapas aana ye sab qismat ka mazaq hi tou he aik khel hi tou he aus k chehre par herani thi..
par aj mein behad khush hon aj Amaya amir bohat khush he aj mein Amaya Aliyan ban gai hon aj mera khuwab pora hogaya!
wo Aliyan k gale lagna chahti thi ause aik bar sab kuch kehna chahti thi aus k paon zameen par nahi tehar rahe the Aj wo Aliyan ki zindagi mein aagai thi Aj wo ause sab kuch keh dene wali thi jo kabhi nahi kaha tha...
kiya howa khamosh kiyon ho wo aus ka mood dekhte howe bola!
Aj se ap "Mrs.Aliyan" hen or ab ap ko meri bohat khidmat karni hogi tumhare hath ka soop or biryani oh that was so delicious mujhe aj bhi taste yad he wese kafi acha khana bana leti ho tum Aliyan ause cherdtee howe bola...
Aus ki baat par amaya k chehre par muskurahat aagai!
Aliyan ye sab kese i mean, meri shadi or ap se aik buri larki se shadi kiyon ki ap ne?
ause samjh hi aa raha tha k kiya react kare par dil mein ais shadi se bohat khush thi...
Aliyan k chehre par aik rang aa kar guzar gaya!
Me Batata ho kese howa Aliyan utha or Amaya ka hath pakar kar ause khadra kiya or (ghutnoo k bal)beht kar hath me ring liye amaya ko purpose karne laga Amaya tumhare jane k bad mujhe ehsas howa k meri zindagi me kuch kammi si hogai he har roz mujhe tumhara khayal ata,
mujhe tum se koi tufani qisam ki muhabbat tou nahi hoi he par phir bhi na jane kiyon tumhari batein yad aati thi phir, kisi ne mujhe ehsas dilaya k mujhe tum achi lagne lagi ho...
me tum se koi wade nahi karo ga bas itna kaho ga k tumhein meri wajah se koi pareshani nahi hogi me jan chuka ho tum kitna chahti ho mujhe or me tumhari chahat ki izzat karta ho meri wajah se tumhein jitna bhi dukh howa me koshish karo ga tumhein aus se ziyada khush rakhon aus ne aik safeed ballon amaya k agey kar diya jis par likha tha will you marry me?
Marry tou hogai wo muskurai Aliyan Thank you so much ye sab aik khuwab lag raha he jese achanak koi magic ho gaya ho...
Aik larka Aliyan apni akard me rehne wala,
Amaya ko rulane wala,
Amaya ki chahat ki izzat karne wala!
Bhale ap ko mujh se meri tarah tufani qisam ki muhabbat nahi mere liye itna hi kafi he k ap ko me ab thori bohat achi lagne lagi hun mujhe kisi wade ki zarorat nahi ap mere sath he mere liye yehi bohat he Ap ka meri zindagi me aana mere ALLAH ki mujh par aik khas rehmat he...
Amaya ki baat sun kar aus k chehre par muskurahat chaaa gai....

               --------****-------****-------****--------                                                                      

Aliyan please bataein ye sab kese howa ap ko kese buri larki achanak achi lagne lagi?
ab Amaya soffe par behti                                                                                                         Mujhe nahi pata bas me itna janta hun mene ALLAH ki baat man kar tum se shadi ki he Allah ne mere dil me tumhare liye reham dala Me janta hu acha lagne or muhabbat hone mein zameen Asman ka farq he par aus ne mere liye tumhein chuna tha
Aliyan k dil me Amaya k liye koi muhabbat nahi thi ause bas Amaya ki kuch baatein achi lagi thi kisi k samjhane pe ause samjh aaya k aus k naseeb mein Allah ne Amaya ko likha he…
wo khamoshi se aus ki baatein sun rahi thi..
Aliyan bolta bolta aik dam khamosh hogaya wait a second itni bhi jaldi kiya he bohat kuch he batane ko par abhi mujhe nennd aa rahi he wo bed pe let gaya or side table par rakha lamp off kar diya...
Aus ne Kitab me likhi hoi Tehreer dohrai
"Muhabbat tou achi larkiyon ko bhi ho hi jaati he lekin jab aine ye pata chal jae k wo muhabbat aineh mill hi nahi sakti tou wo khamosh rehti hen achi larkiyan khamosh hi achi lagti hen"....
wo dhemi awaz mein boli...
Jese tum muhabbat kar k khamosh hogai
Amaya Muhabbat mein sadaq na ho tou muhabbat nahi milti par tumhari muhabbat mein sadaq tha

tum ne mujh se muhabbat ki tou poori sadaq k sath ki....
Amaya hum muhabbat k izhar mein goonge or nafrat k izhar mein mauh'phaatt log he..
Ais bar Aliyan ne bhi dhemi awaz mein jawab diya...
jawab mein amaya kuch nahi boli...
kuch der kamre mein mukamal khamoshi thi...
wo kuch sochte hoe boli Ap ko hamari shadi k bare mein batana he tou bataein nakhre mat karein warna ye pehli aesi shadi hogi jo pehli hi raat dulha dulhan me jaang hogai ab wo mou banae sone k liye wahin soffe par let gai...
Abhi sojao kal bataon ga...
                       -------******--------******------******-------

Agley Roz shab-e-hafta!
      Valima mein Amaya "white long shirt sath me plazoo" mein malboos bohat hi soobar sa makeup, bohat haseen lag rahi thi or behad khush nazar arahi thi…
Aliyan bhi 3piece soot mein malboos bohat handsome dikhai de raha tha...
Dono sath hi soffe par behte the or kafi khush dikhai de rahe the Amaya ais dress me tum kafi achi dikhai de rahi ho Aliyan ne ause dekhte howe kaha!
jawab me wo muskurai kuch kehne k liye lab khole....
Ary wah amu aj tou bohat khush ho kal tou bara mou bana howa tha Anaya shararti lehje me bolte howe stage par aati dikhai di...
Anaya tumhari class tou me bad me longi tum ne mujhe bataya kiyon nahi k mera dulha Aliyan he?
or kiyon na hon me khush ab tou mein zoja-e-Aliyan hun wo khushi se khil'khilaa k boli...
Ary wah meri billi muji ko mi'aaOwn, me ne bohat batane ki koshish ki par tum koi bat sun rahi thi jo me batati anaya apni ankhen choti karte hoe ghuse wali shakal banae boli....                                                                               kuch der mein 'photosession' howa sab stage par tasveren banane lage!                                                                                       MASHALLAH MASHALLAH bhabi bohat piyari lag rahi hen ap 'sam' stage par ate howe boli...
auneh ata dekh Amaya foran uth khadri hoi thank you kesi ho sam? ab wo hina chachi or samaira,haniya k gale lag kar milne lagi...
sab bohat khush dikhai de rahe the
Aliyan bhai ap dono ka couple bohat acha he haniya ab Aliyan or Amaya k sath selfie lete howe boli or aik bat kahun bhabi mein or haniya api tou shuro se hi ap dono ka couple banane k bare mein soch rahe the par ap logo ki ladaiyan auff hum ne to umed hi chor di thi par dekhein ALLAH ne hamari dua sun li ab sam bhi aun ki tasverein lene lagi..
Sam boha tez hogai ho tum tabhi tum mere samne Amaya ki tarifen karti thi Aliyan muskuraya
hanw tou bhai ap kon sa meri tarifon k jawab me kuch kehte the bas chup chap sunte rehte the...
Hina bhabi ap log kal shadi me kiyon nahi aae? Mrs.Mustafa aun se gale milte hoe sawal karne lagin!
Bas bhabi kuch zaroori kam tha tou bas tabhi nahi aa sake or mene suna k ap ne kal shadi mein shirkat
nahi ki ap ki tabiyat kharab ho gai thi ab kesi tabiyat he?
ALLAH ka shukar he ab me behtar hun ab wo dono beht kar baatein karne lagin...
Achanak Amaya ki nazar 'Abrar' par gai jo chalta howa stage ki tarf aa raha tha ye yahan kiya kar raha he amaya ghuse se boli!                                      
Mera cousin he shadi me tou aae ga hi naaw mene kaha tha naa k abrar aesa larka nahi he, ause najane kiya hogaya tha wo apne kiye par sharminda he mafi mangi thi aus ne mujh se or mene hm dono ki tarf se maf bhi kar diya tha ause aliyan muskurate hoe bola…
Amaya jee shadi mubarak ho ap dono ko or sorry meri tamam harkton k liye Abrar ye keh kar wahan se chala gaya...
Fahad stage k samne pole se tek lagae khadra Amaya ki janib dekh raha tha..
kiya howa bhai udas lag rahe ho zain aus k khandhe par hath rakh kar bola...
nahi me udas nahi hun zain me tou khush hon aliyan k liye der se hi sahi par aus ne acha fesla kiya dekho amaya kitni khush dikhai de rahi he aus ne ankh se amaya ki tarf ishara kiya...
han khush tou he ALLAH ain dono ko khush rakhe zain bhi auneh dekhte howe bola..
waqai amaya ne sache dil se chaha tha tabhi ause aliyan mil gaya kafi ajeeb he ye zindagi...
fahad bhai Ap ne bhi tou--fahad ne aus k mou par hath rakh diya
kiya kar rahe ho khamosh hojao kisi ne sun liya tou masla ho jae ga zain sab bhool jao!

Apne Baba saein ko ate dekh amaya k chehre par mazeed khushi jhalakne lagi!
Baba saein amaya khushi se gale lag kar mili..
kesi he meri ladli khush tou he naaw?
jee baba me bohat khush hon thankyou so much...
Dekha aliyan mene kaha tha na meri beti ko apne baba ki pasand achi lage gi beta tum dono aese hi khush raho tumhein khush dekh kar mere dil ko bohat sakoon mila he...
ALLAH tum dono ko hamesha khush rakhe Ameen Wadera saein amir dua dene lage...
'Coure car' kesi ho? zohaib ne ause cherdte hoe kaha!
ye coure car kiya he? Aliyan ne sawaliyan nazron se zohaib ki janib dekha
ku'kuch nahi bhai chup karein aap amaya ause ankhein dikhane lagi
kiyon kuch nahi Aliyan bhai me batata ho na kiya he ye coure car ab wo mazeed amaya ko tang karne laga!
        -----****----****-----****-----

Agle Roz Amaya sofee par apna teddy'bear seene se lagae behti thi Aliyan aa kar aus k pas behtaa,
Amaya ne foran sawalon ki barish shuru kar di chalein parso ki baat continue karein mujhe batein meri shadi ap se kese hoi?
Tumhari 'soii' wahin atkii hoi he abhi taak 'ziddi larki'...
acha suno! Aj se aik saal char mahina dus din pehle jab tumhare appartment se apni haveli wapas gaya tou pata nahi kiyon tumhari baatein sochne par majbor ho gaya mujhe samjh nahi aa raha tha tum kesi larki ho?
Na’chahte hoe bhi me dobara tumhare appartment gaya mujhe nahi pata wahan me kiyon gaya
bohat door bell bajai par kisi ne darwaza na khola me jane hi wala tha k acahnak darwaza khulne ki awaz aai mene foran khushi se piche murdd kar dekha!
jee ap kon kis se milna he darwaza khulte hi sawal howa...
wo Amaya ?
jee wo ghar me nahi hen...
kahan gai he or ap kon? mene foran sawal kia...
me aunki 'Maid' hun pata nahi sahab me aj subha jab aai tou bohat door bell bajai kisi ne khola nahi
mere pas duplicate chabi he aus se mene darwaza khola andar aai tou dekha koi bhi nahi tha bed’room ka sab saman bhikraaa howa tha shayad bibi jee ne ghuse me sab kuch toraa ho aunka ghusa bohat khtarnak he phir kitchen me aik chit mili jis par likha tha
me ja rahi hun hamesha k liye tumhari tankhuwa baba saein se le lena or chabi bhi aune de dena...
phir me tumhare kamre me gaya tou waqai har tarf saman bikhraa howa nazar aya me pareshan hogaya k kal tak tou yahan sab thek tha tou phir ye sab?
mene aas pas k sab neibours se pocha, Dr.Anas se pocha kisi ko kuch pata nahi tha k tum achanak kahan chali gai Dr.anas ne bas yehi jumla kaha tum ne bohat der kardi barkhudar aate aate.....      
Me samjh nahi paya auno ne kiyon aesa kaha par me ne ziyada dehan na diya phir mujhe tumhari diary ka khayal aya shayad aus me kuch likha ho me wapas tumhare apaartment gaya or yahan wahan diary dhondne ki koshish ki akhir diary mil hi gai...                                                                 Mene pori diary pardhi or phir meri ankhen num hogai me zamen pe beht gaya jese koi sannp soong gaya ho! sach kahun tou me bhi kahin na kahin tumhein pasand karne laga tha!
par kabhi samjh nahi paaya mene kabhi dehan hi nahi diya tha k me tumhare liye kiya mehsoos karne laga tha meri nazron k samne kuch porani batein aik film ki tarah chalne lagi aus waqt mujhe mehsoos howa k mujhe tum aus waqt achi lagi jab tum apni masi ki tabiyat pochne aun k ghar gai,
mjhe achi lagi jab shanze k sasural mein chachi ki help ki,
mujhe achi lagi jab tum ne islamic lecture diya,
mujhe achi lagi jab sofee par nawabon ki tarah tang par tang rakhe behti thi,
mujhe tum achi lagi jab tum ne ye kaha akhri badtameezyan he phir tum kahan or me kahan,
ye line chahte howe bhi mere dimag se nahi ja rahi thi me smjh nahi paa raha tha tum ne aesa kiyon kaha me itna tou tumhen samjh hi gaya tha k tum koi bhi bat aese hi nahi kehti..

Acha tou ye samjh aa gay ap ko k me koi baat aese hi nahi kehti par ye nahi pata laga k me kesi larki hun?
Aik bar phir kisi ne Aliyan k chehre par thapar de mara tha..
aus ne ye baat nazar'andaz kar di Amaya mujhe bad mein samjh aagaya tha k tum ne aesa kiyon kaha kiyon k tum ne mujh se dor jane ka fesla jo kar liya tha..
me tumhari diary seene se laga kar khud se batein karne laga...

Aik saal char mahina pehle:
wo apne kamre mein Amaya ki diary hath me liye behta tha
Amaya Akela tou me pehle bhi jee raha tha par najane kiyon tumhare jane k bad tanha sa ho gaya hun!
Mujhe bohat bura mehsoos ho raha he meri wajah se tum itna roi...
Agar tum itna hi chahti ho mujhe tou phir kiyon tum ne kabhi izhar nahi kiya tum tou har wqt larti rehti thi mujhe kabhi mehsoos hi nahi hone diya aik bar tou keh deti shayad tumhein itna dukh na hota me tumhein pasand tou nahi karta par pata nahi kiyon mujhe bura lag raha he mene bewajah tumhein buri larki samjha me kiyon nahi samjh paya k tum kesi larki ho aik hafta sath raha phir bhi samjh nahi paya Agar tum ne mujhe tang nahi kiya tha tou kis ne kiya tumhara Red Ascarf pehan kar aana phir wo sab kiya tha?
ab aus k zehan me nae sawal uthne lage aik bar phir diary k pages palat palat kar dekhne laga shayad ais bare mein bhi kuch likha ho par ais bare me ziyada kuch nahi likha tha bas itna hi likha tha...
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dear diary mene tou kabhi tang hi nahi kiya tou mujh par ilzam kiyon lagaya mujhe tou ais bare me kuch pata bhi nahi he aese kese koi kisi par ilzam laga sakta he mujh par ungli uthai me bhi pata laga kar hi raho gi ye sab kis ne kiya he kis ne itni safai se mujh par ilzam lagaya he kis ne mujhe setup kiya he?
yehi sab hona tha tou kiyon Aliyan meri zindagi me aaya kiyon mere sath ye sab ho raha he?
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Amaya tum jab bhi mujhe milo gi tum se mafi zaroor mangu ga mene kabhi socha hi nahi tha k kisi k dil me mere liye itni ajeeb chahat ho sakti he come back Amaya please come back...
ab aus ki ankhen naam hogai par ab kiya ho sakta tha Amaya tou ja chuki thi kahin bohat dor...                                                 ab ause aksar Amaya ki baatein yad aane lagi aus ka khayal aane laga...

Present Day:
    Phir mene tumhein dhondne ki koshish ki(six months)guzar gae, par tumhara kuch pata na chala mujhe laga shayad yehi saza he meri me tou tum se aik bar mafi bhi nahi mang saka, mene dil pe aik bojj sa tha par shayad ALLAH ko mujh par reham aagaya tha...

Acha kiya waqai ap ki ankhein num hoi or ap mafi mangna chahte the or mujhe dondne ki koshish ki? Amaya k chehre par herani bhare tasuraat the
kiyon meri ankhein nam nahi ho sakti me bhi aik insan ho...
acha agey bataein phir kiya howa? kese rishta bheja kese mera pata lagaya?
auff tum ne tou sawalon ki barish kar di he baqi bat aik chote se break k bad Aliyan shararti lehje se bola
wo teddy bear seene se lagae piyar bhari nigahon se ause dekhne lagi...
acha ab ye 'teddy bear' rakho or ais teddy bear ko bhi time do kuch piyar mohabbat ki batein karo ham bichdre howe love birds aik sal char mahine bad milley he agar tumhein lagta he k me aesa kuch kahun ga tou aesa har'gizz nahi he me tumhari taraah filmy nahi hun!
wo ye kehte hoe uth khadra howa                                            
Aaaw kuch bhi! Amaya ankhein nikalne lagi hanw ap ko tou bas larna ata he larai karwa lo bas insan hun kuch emotions hote he ab ap se batein nahi karogi tou kis se karo gi?
Ab wo b uth khadri hoi or bed ki janib chal di
Bas Thek he ab me ap se bat hi nahi karti so rahi hun mein or jab tak ap khud mujh se bat nahi karein ge me bhi nahi karo gin ye keh kar Amaya ghuse se bed par sone k liye let gai!
ause laga shayad Aliyan aae ga or ause piyar se manae ga par aesa nahi howa..
(had hoti he apna ego thori na chore ge, ye bhi khayal nahi he k new married couple hen kuch lehaaaz hi kar lein) amaya ahsta se brd'badai
Bed ki dosri tarf bazu se chehra dhake Aliyan leta howa tha kuch kaha tum ne please jo bhi bol rahi ho ahista bolo meri nennd kharab mat karo Aliyan apni hansi dabae ause mazeed ghusa dilane laga...
oh ap k kan tou ab bhi bajte he wo zuban dandton mein pisae boli
or tum ab bhi dhemi awaz me mere liye kuch na kuch bolti ho wo halka sa muskuraya!
wo kuch keh na saki samjh hi nahi aaya k kiya kahe aus k liye itna hi kafi tha k Aliyan ne pehle bhi ais ki ye baat note ki thi par kabhi mehsoos nahi hone diya tha...
         -------****--------****------****------

Episode 12
                     Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Subha subha tazee pholon ki khushbu naak ko chuune lagi ankh khuli tou aik muskurata howa chehra aus ki nazron k samne tha  Good Morning Zoja-e-Aliyan
Mujhe mehsoos howa tum naraz ho tou ye flowers tumhare liye wese rat ko howa kiya tha?
wo shararti andaz me bola!
Aliyan ap bhi naaaw!Na chahte howe bhi aus k chehre par muskurahat aagai...                                                                                                 Mohtarma Tumhara kam he k tum subha subha mere pas aao mujhe uthao aik chae ka cup tumhare hath mein pakra howa ho phir piyaar se bolo Aliyan uth jaein chae thandi ho rahi he par yahan tou ulta hi system he boss me tumhein utha raha ho wo bhi hath mein nashta liye...
khuda ka khouf karo shohar k haqooq ada karo medam wo aik bar phir ause tang karne laga...
Aik din kiya utha diya haqooq yad aagae bivi k bhi kuch haqooq hote he janab or kis kitab me likha he k bivi ko hi shohar ki qidmatein karni he or shohar kuch kam na karein khair chorein mujhe ap se larne me koi interest nahi chalein nashta karte he ab wo aus k pas bed par behta tha!
hanw bohat khoob shadi hogai tou shohar me interest hi khatam hogaya...
Mene aesa kab kaha k mujhe ap mein interest nahi wo foran boli...
jawab me Aliyan muskura diya Amaya tum kitni jaldi ghuse me aa jati ho wo kehka laga kar hansne laga.
han or ap ko maza aa raha he mujhe tang karne mein wo ause ghoorte hoe boli...
wese ye tou batein ap job kiya karte hen raat ko agar koi poche ga k tumhare husband kiya job karte he tou me kiya jawab dun gi?
Raat ko kiyon? tum kahin ja rahi ho? wo sawaliyan nigahon se ause dekhne laga
mein nahi hum ja rahe he Rat ko shadi me jana he meri dost 'khansa' ki shadi he hamare classfellow 'saim' k sath.                            
Acha to phir? ab wo dressing table k samne khadra baal bana raha tha
phir kiya ham ja rahe he sham ko shadi mein aisi bahane sab se milna hojaega!
ok madam ap ka hukum sar'ankhon par or koi hukam?
Amaya ne Aliyan ka ye andaz pehli bar dekha tha or wo bohat khush thi..
nahi ab ye bata dein ap job kiya karte he?
Amaya me kahin job nahi karta mera khud ka bussiness he or tumhein kisi ko meri job batane ki zaroorat nahi he shayad tum janti nahi ho tumhare husband ko world's best multinational companies se job ki offer aai thi but, tumhare husband ne apna khud ka bussiness karne ka socha or ALHAMADULLILLAH thore hi arse mein mera bussiness kafi successfull raha he or INSHALLAH aik din Mustafa Industry duniya ki top successfull industries me se aik hogi or mujhe sab stock'market k king k naam se jane ge!
ab wo kalai par ghadri bandhte hoe ause muskura kar dekhte hoe kehna laga or ais king ki tum Queen hogi! khair choro tum time par ready hojana aus ne ab meez par rakhi car ki chabi uthai or office ravana ho gaya!
                     ------****-------****-------***-------
Raat ka waqt tha wo Sea'green frok mein malboos khule howe lambe silky baal, silver jewellry,
wo Dresing Table k samne khadri khud par aik nazar dalne lagi Aliyan jo aus k piche hi khadra tha!
Bohat piyari lag rahi ho har waqt mera hath pakar kar rakhna...
Thankyou ap bhi ache lag rahe he hamesha ki trah or hath kiyon?
kiyon k aj phir tum ne High’heel or kapre ka thaan pehna he dobara kahin gir gai tou kharcha tou mera hi hoga naa behtar he hath pakar lena mein tumhein girne nahi donga wo muskuraya!
auff ap bhi na me ne koi pehli bar heel nahi pehni or ap ko tou bas apne kharche ki lagi rehti he gareeb wadere amaya ne shararti lehje me jawab diya...
wo heran bhi thi char saal pehle ki baatein aj repeat ho rahi thi..
jawab me wo muskuraya hamesha ki trah me handsome? ye bat kuch hazam nahi hoi aliyan ause herani se dekhne laga....
Jee hamesha ki trah ap hamesha hi har dress me ache lagte the har style acha lagta he ap par..
oh really matlab tum shuru se hi mujhe note karti thi intresting ghabar khush howa aliyan muskurane laga...
fahad kamre k darwaze par khadra auneh dekh raha tha wo shayad abhi hi aaya tha...
ary fahad andar aao tum kab aae?
bas abhi aya kahin ja rahe hen ap log?
han yr, shadi mein ja rahe he or ham kal haveli wapas ja rahe he tum chalo ge fahad?
han bas kuch kam he mujhe yahan me do din baad haveli aao ga abhi filhal karachi me hi raho ga..
acha or zain?
zain ka pata nahi aus se poch lena chalo tum log jao ab haveli mein mulaqat hogi tum se fahad muskurata howa bola..
Aliyan or Amaya bhi jawab me muskura kar chal diye..
Fahad khirdki se niche auneh jata howa dekhne laga bhai mujhe thek nahi lag rahe ap kisi ne aus k kandhe par hath rakhte hoe kaha!
ab fahad piche murda or aus shaks ko dekha or phir kuch sochte hoe bola nahi zain me thek hon mujhe
nennd aa rhi he me sone ja raha hon..
bhai saim ki shadi me nahi jae ge ap aus ne itni khushi se invite kiya he hamein agar hum na gae tou wo bura man jae ga or Aliyan bhai wale kahan gae he?
wo log kisi shadi me gae he acha chalo tayar hojao phir hum chalte he...
                   -----***----***----***----
Aliyan Drive kar raha tha Amaya aus k sath front’seat pe behti thi ab bataein na agey bat nakhre kiyon kar rahe he?
Amaya tum bachon ki trah aik bat ko pakar kar hi beht gai ho Aliyan staring ghumate howe bola...
acha suno! kai din guzar gae mere dil par aik booj sa tha k bas foran tum se mafi mang lon par tumhara kuch ata'pata hi nahi tha mein aik din shopping mall gaya tou wahan mujhe anaya mili!

Aik saal char mahina pehle:
Safeed pajame par gulabi lambi kameez mein malboos,ankhon par bare se glases lagae Anaya Aik shop mein khadri maflar khared rahi thi!
Bhaiya koi new maflar dikhaein ye kiya sab porane prints rakhe hoe he Amaya hoti tou...--- aus ki nazrein shop me ate shaks par prdi or aus k lafz wahin gale me atak kar reh gae wo herani se ause dekhne lagi jeans par safeed shirt mein malboos Aliyan, mathey par girte baal, wohi pur'kashish brown ankhein!
wo bilkul aus k samne khadra tha
Ex'cause me! i'm Aliyan Mustafa ap shayad mujhe janti hi hongi?
Nahi me ap ko nahi janti wo mou banae boli, ary bhaiya jee wo orange wala maflar dikhaein
Anaya me janta ho ap mujhe ache se janti hein mujhe ap se kuch poch'na he?
par mujhe ap ko kuch nahi batana anaya ne do'tok jawab diya...
bibi jee ap k sath jo ap ki dost aati thi wo nahi aati ab kahan gai hein wo? shopkeepr ne maflar dikhate howe sawal kiya...
Please Anaya reham karen mujh par please bata dein amaya kahan he?
Shadi hogai aus ki wo ab yahan nahi rehti bhaiya jee ap ko yaad he meri dost?Anaya ne Aliyan ko ignore karte howe shopkeepr ki baat ka jawab diya
wo bibi jee bohat achi hein auneh kese bhool sakta hon mein meri dukan k adhe maflar tou wohi khareed leti thin jab se auno ne aana chora he mere maflar bhi auneh yaad karte he ab wo muskuraya!
aus ki baat pe Anaya bhi muskura di ab wo maflar le kar shop se bahar aagai or samne bag shop ki tarf janib di..
Aliyan bhi aus k piche shop se bahar nikla or aus piche piche chalne laga!
Anaya please ruken meri baat sune!
please reham karein mujh par me janta ho amaya ki shadi nahi hoi..
Anaya chalte chalte wahin ruk gai or murd kar aliyan ki janib dekha ap ne reham kiya tha amaya par jo me ap par reham karo or kiyon batao me apko amu k bare mein ab or koi takleef dena baqi he
Mr.Aliyan ap ne sab kuch cheen liya aus se wo kahan he kisi ko kuch pata nahi mein ap ko kabhi maf nahi karo gi ap ko pata bhi he k ap ki wajah se kitna roi he wo?
Dekhein anaya ap ka ghusa jaiz he par mujhe andaza nahi tha k amaya mujhe itna toot kar chahti he trust me!please help me me janta ho jane'anjane me ause bohat dukh diya he bs aik bar mafi mangna chahta hon...
Mujhe nahi pata Amaya kahan he wo bina kuch batae najane kahan chali gai he koi contect number bhi nahi he aus ka mere pas mujhe nahi pata wo kahan he or kis haal me he...
ab wo kuch sochte howe bola Ap please mujhe Amaya k ghar ka Address de dein....
               ----****----****----****----

Acha phir kiya howa? Amaya excited hote howe boli...                                                                                  
Aahan sab kuch aj hi bata dun, tumhein bara maza aa raha he sun'ne mein...
hanw tou maza nahi aae ga Aliyan Mustafa jo k Nihayat hi akdru or rude qisam ka ghamandi shaks he wo aese kisi k liye itni parwa kare ye tou nihayat hi interesting bat he na sun'na tou banta he amaya sharart bhare lehje mein boli....
                   -------******--------******------******-------

Aliyan ne Marriage hall k front gate par car khadri ki Amaya tum jao me car park kar k ata hun!
Amaya Marriage hall mein dakhil hoi sab classfellows ause dekhne lage wo hamesha ki tarha behad khoobsurat dikhai de rahi thi..
sab doston se milli, sab ne tarifen ki Anaya bhi shadi me majood thi yahan majood kisi bhi classfellow ko khabar nahi thi k Amaya ki shadi ho chuki he sab kuch itni jaldi me howa tha k kisi ko invite hi nahi kar saki thi…
'khansa' dulhan bani mehroon lehnge me malboos bohat pyari lag rahi thi Amaya stage par aai or khansa se milne lagi Mashallah bohat piyari lag rahi ho khansa wo muskurate howe aus ki tareef karne lagi
shukriya amaya tum kab kar rahi ho shadi? dulhan bani behti 'khansa' ne sawal kiya..
Anaya or Amaya ki nazrein apas me takrai meri shadi hogai he khansa..
what waqai nahi tum mazaq kar rahi ho na Amaya khansa herani se boli,
ab sab hi group photo banwane k liye stage par majood the
sorry doston sab kuch itna jaldi howa k me kisi ko bula hi nahi saki Amaya halka sa muskurai!
sab herani se ause dekhne lage nahi tum mazaq kar rahi ho anaya ye mazaq he na tumhein tou pata hi hoga ye sach he ya mazaq? ab sab ki nazrein anaya par tehar gai amaya ki shadi hogai he anaya ne muskurate hoe jawab diya...
acha ab ye tou batao tumhare husband ka naam kiya he kon he wo tumhare sath nahi aae?
wahan khadre tamam class fellows k chehre par herani bhare tasuraat the har kisi k laboon par aik hi sawal tha tumhara shohar kon he?
itne me zain aus k pas aaya Bhabi ap log yahan bhai kahan hen?
ye sunte hi sab k chehre par aik rang guzra sab ne dohraya Bhabi?
zain tum logon ne yahan ana tha tou hamare sath hi aajate..
Bhabi hamein nahi pata tha k ap log bhi aisi shadi me aa rahe the..
Aik shaks 'sky_blue kurte par neavy_blue waistcoat mein malboos'aata dikhai diya wo dekho mere
husband Mr.Aliyan Mustafa....
ye sunte hi sab heran reh gae or herani se auneh dekhne lage or mubarak bad dene lage Aliyan tum dono ne shadi kar li or humein bulana to dor ki bat aik phone kar k bataya bhi nahi kab hoi shadi? dulha bane saim ne sawal kiya dulhe bane shervani me saim acha lag raha tha...
Aliyan ne aik nazar sab ki janib dekha Bas parso hi hoi he shadi kal valima tha aj subha Amaya ne bataya k shadi me jana he tou bas hum aagae socha ais bahane sab se mulaqat hojae gi wese bhi kitna time hogaya hum sab ko milley Aliyan sab ki tarf dekhte howe bola...
Thankyou so much ap dono apna itna qemti waqt nikal kar hamari shadi me aae or bohat bohat mubarak ho ap dono ko khansa or saim mubarak'bad dene lage...
sab yahan wahan khadre aik dosre se baatein karne lage Rasumaat shuru hogai kiran door khadri amaya ko dekh rahi thi...
ab wo Amaya k pas aai kesi ho tum?
me thek hun tum kesi ho?
me bas tumhare samne hi hun shadi ki bohat bohat mubarak ho!
Anaya ne aun dono ko baat karte dekha tou foran aun k pas chali aai mubarak or wo bhi tum de rahi ho kiran itna sab karne k bawajood shayad ab Anaya k sabar ka pemana khatam ho chala tha...
kiran k chehre ka raang safeed pard gaya Anaya tum ye kiya keh rahi ho?
wahi jo tum ne suna Mrs.kiran Faris...
Mrs.kiran Faris Amaya ne herani se lafz dohraya tumhari shadi hogai kiran?
hanw meri shadi hamare final exams k foran bad hi hogai thi...
Anaya ais ka matlab tum ne mera email dekha tha? wo sawaliyan nigahon se ause dekhne lagi
han dekha tha par jawab dene zaroori nahi samjha or kiya tumhein lagta he kiran k tumhare itna sab karne k baad bhi mein tumhein Amaya ka contact number deti?
Ab kiran sharmindagi se nazrein jhukae khadri thi ause andaza ho gaya tha k Anaya ko aus ki asliyaat pata chal gai he...
wo kuch sochne k baad aik bar phir boli Mubarak ho Amaya tum ne Aliyan ko jeet liya...
shayad meri kismat me Aliyan the tabhi mujhe mill gae Amaya ne muskurate hoe aliyan ki tarf dekhte howe jawab diya jo door khadra pooze bana kar apni photographs banwa raha tha or sath hi fahad or zain bhi photographs banwane mein masroof the….
ya shayad tum ne sache dil se ause manga tha tabhi wo tumhein mill gaya kiran nazrein churate howe boli...
kiran tum ne tou koi kasar nahi chori thi mujhe Aliyan ki nazron me girane ki amaya ne talakh lehje me kaha salon porana ghusa aj bahar aaya tha!
kiran or Anaya herani bhari nigahon se amaya ko dekhne lagin...
Anaya heran mat ho me sab janti hun mujhe pata he kiran tum hi Rushba anjum thi
kiran k chehre par aik raang aae or aik jae...
pehle mujhe bas shak tha par achanak mujh se dosti karna---phir same colour ka scarf---phir achanak scarf ka gumm ho jana---
Aliyan ko dekhte hi mere sath sath ghoomna----mujh se achanak apne dil ki baatein share karna----
Mera six sense mujhe ishara de raha tha k kuch na kuch tou he par na’jane kiyun mujhe tum pe yaqeen tha buhat bad me ne ye sab notics kiya tha.
Amaya ko detective ban'ne k sath sath ISI officer or undercover agent ban'ne ka bhi bohat junoon tha!
or aus din university mein auditorium mein kiran or Ayesha ko baat karte suna tou mera shak yaqeen mein badal gaya!
par afsoos ais baat ka he k ye sab bohat deer se mujhe pata chala aus waqt pata chala jab me Aliyan ki nazron se gir chuki thi...
Aus din Itefaq se mein wahan se guzar rahi thi tou mere kan se kiran ki awaz takrai aus din university aane ka mera koi irada nahi tha par shayad ALLAH PAK ne mujhe kiran ka asli chehra dikhana tha tabhi me wahan aai...
kiran jo log dosron k dilo ko kanton se zakhmi karte he aun k apne andar kikar auge howe hote he
wo chahe ya na chahe aun k wajood ko kanta hi ban'na hota he wo phool nahi ban sakte...
Kiran ab nazrein jhukae khadri thi shayad ab aus ki ankhon se ansu behne lage the...
Amaya me bhi aus din wahin khadri thi dosre gate ki tarf jab mene kiran ki baatein suni tou mujhe bohat ghusa aaya mene foran tumhein call ki par tum ne recieve nahi ki..
mera phone aus waqt mere pas nahi tha car me tha....
           ----*****----*****----*****----

University Ka Last Day!
kiran tum ne Amaya ko dost banaya tha tou ab tum amaya k sath kahin nazar nahi aati aus ki dost ayesha ne aus se sawal kiya …
Ayesha mene amaya ko bas matlab k liye dost banaya tha matlab khatam dosti bhi khatam aus k chehre par shetani muskurahat thi!
kesa matlab? Ayesha ne foran sawal kiya
Amaya hamare department ki aik khoobsurat larki he or sab aus ki tarifein karte he wo har tarah se achi he tou mene amaya ki dost ban kar social side par Aliyan ko tang kiya mujhe laga wo kuch interest dikhae ga par aesa nahi howa wo tou amaya k pas hi phunch gaya aus ki dost ka pata pochne...
acha howa mene aus din ause amaya se baat karte dekh liya tha par sunai kuch nahi aaya tha k wo log kiya baat kar rahe he?
ab mujhe amaya se pochna tha k kiya baat hoi he agar me direct pochti tou ause shak ho jata tabhi mene pehle aus se dosti ki phir ahista ahista ause ehtemad me liya phir mene amaya se pocha tou aus bechari ne sab bata diya k wo ye ye poch raha tha...
Mujhe Aliyan shuru se hi pasand he mene amaya ko apne dil ki baat batai or aus se help mangi mujhe laga wo meri koi help zaroor kare gi par aus ne saf jawab de diya..
aus waqt mujhe aus par bohat ghusa aaya amaya ne apne Ego or Image ki wajah se meri help karne se mana kar diya tha bohat akard thi ais Amaya Amir mein me ne ausi din thaan li thi k me aiska ego or image ab kharab kar k hi dam longi bohat ghamand he aise apne Ego par, apni izzat par bohat log tareef karte he na ab logon ki samne ais ki izzat utaare gi mene or ziyada dosti bardhai phir same colour ka scarf pehn'ne ko kaha...
or Aliyan ko tang karte kafi time ho chala tha mene aus se milne ki khuwaish zahir ki k mujhe tum se milna he par aus ne koi jawab na diya aus me itni akard he kisi larki se baat tou karta hi nahi he
mene ause kaha me kal Red scarf pehan kar aaon gi or ap pehle bhi mujh se baat kar chuke he mere kehne k mutabiq Amaya bechari Red scarf pehan kar aagai par aus din Aliyan nahi aaya
par meri Qismat itni achi thi k kuch din guzarne k bad Amaya wapas wohi Red Hijab pehan kar aa gai or ause dekhte hi Aliyan aag bagoola ho gaya or aus par baras pardaa!
Ab Kiran kehka laga kar hasne lagi
wo bechari har baat se anjan ause tou pata bhi nahi k aus k sath howa kiya he ?
mujhe nafrat he amaya se Kiran k chehre par Nafrat’bhaare tasuraat the!
Tab se Aliyan aus ki tarf dekhta bhi nahi he aus ki nazron me ab wo aik characterless larki he..
kiran tumhein aesa nahi karna chahiye tha Ayesha k chehre par afsurda tasuraat the!
Oh come'on Ayesha Everything is fear in love and war----
mene kai bar mehsoos kiya tha jese Amaya ko wo acha lagne laga ho me nahi chahti thi k ain ka koi relation bane Aliyan sirf mera he or me ause kisi ka nahi hone dongi...
kiran mukamal tor par Aliyan k liye pagal ho chuki thi Amaya ko Aliyan ki nazron me gira kar wo khud ko bohat pur'skoon mehsoos kar rahi thi....
                  ------*****------*****------*****-----

Amaya agar tum mera phone sun leti tou acha hota tumhare achanak gayab hone ki qasoorwar me khud ko samjhti rahi...
Amaya aus k qareeb aai Anaya tum pagal ho....
Amaya mene kaha tha na k kiran par bharoosa mat karo ye tumhari dosti k layak nahi he mujhe pehle hi shak tha ais par ais ka achanak tum se dosti karna mujhe bohat khatak'ta tha or tumhein ais par shak hogaya tha or ais ne apne dil ki baat tum se share ki ais bare mein tum ne mujhe bataya kiyon nahi?
Sorry Anaya par me nahi chahti thi k tum mujhe tane do k dekha jo mene kaha tha wahi howa wagera wagera...
uff Amaya mere samne bhi Ego bohat akdru ho tum wo mou banae boli...
ab bhi kiran nazrein jhukae khadri thi jese aus k chehre par kisi ne zor'dar thapar de mara ho
Amaya mujhe maaf kar do mene tumhare sath bohat bari ziyaati ki he or shayad me mafi k qabil bhi nahi ho par phir bhi tum se mafi mangna chahti hun mene anaya se tumhara contect number mafi mangne k liye hi manga tha mujhe ehsaas ho gaya tha k mene tumhare sath bohat galat kiya he or ais baat ki saza bhi mujhe ab tak mil rahi he...
Me Aliyan ki muhabbat mein bohat khud'garz hogai thi mujhe apni zaat k ilawa or koi nazar hi nahi aata tha me ne waqai bohat bara jurm kiya he tumhein aus ki nazron mein gira kar Amaya ko ghusa tou bohat tha par wo bina kuch kahe wahan se jane lagi...
suno Amaya ab aus ki ankhon me udasi k sath sath ansu bhi the...
Amaya tum ne mujhe koi bad'dua tou nahi di?
Nahi mein kiyon tumhen bad'dua dene lagi mene tumhein kuch kaha nahi he ais ka matlab ye nahi he k me tumhein bad'dua di he mujhe afsoos he k tum ne apne dil me mere liye bad'gumani rakhi mene tumhein aik achi dost samjha or tum ne mere sath itna bara farood kiya akhir tum bhi aik larki ho meri izat par daag lagane se pehle aik bar khud ki izat k bare me bhi soch leti tum chahey mere sath ais se bhi ziyada ghatiya salook karti par mein kabhi tumhen bad'dua na deti ye buri bat hoti he..
kiran bad'duwaon mein wo honar kahan jo ALLAH ne duwaon mein nawaza he!
Beshak Allah sab janta he humhein hamesha dosro ko apni duwaon me yad rakhna chahye or ALLAH pak bad'dua dene walon ko pasand nahi karta par tum aese kiyon poch rahi ho?
kuch nahi, meri dua he tum or Aliyan hamesha khush raho or mene jo kuch bhi kiya aus k liye mujhe maf kar dena, shayad tumhare maf karne se ALLAH bhi mujh se raazi hojae kiran ki ankhon se ansu behne lage..
kiran maf karne wali zaat ALLAH ki he tum khuda se mafi mango, rahi bat meri to mere dil me tmhare liye koi burai nahi jo hona tha ho gaya me ne tumhein maf kiya..
Mujhe ALLAH se khoof aa raha he Amaya!
kiran ALLAH k khoof se girne wala ansu beshak chota hi kiyon na ho
lekin ais me itni takat hoti he k wo samandar k barabar gunah mitaaa deta he kiran tum sache dil se mafi mango gi tou ALLAH tumhein zaroor maf kare ga ab wo aus k qareeb aai or aus k gale lag gai shukriya amaya tum bohat achi ho waqai tum ne mujhe maf kar diya tum bohat bare dil ki malik ho....
Maaf kar dene se insan ki apni rooh pak ho jati he kiran wese ye batao tumhare husband nahi aae?
nahi wo kahin jate hi nahi he ab bhi aus k lehje me udasi thi...
Fahad door khadra Amaya ko dekh raha tha zain Amaya kitni khoobsurat lag rahi he bhai ap ne university k char saalon mein aese hi door khadre Amaya ko dekhte howe yehi kaha he or aj-------jese wo kuch kehte howe ruk gaya!
Tum log yahan kiya kar rahe ho Aaon sab k sath photographs banwao Aliyan dono ka hath pakar kar le jane laga Aliyan Ham ne photographs banwa li hein ab ham ghar ja rahe he fahad apna hath churwate hoe bola or dono bhai bahar ki janib chal diye!
Amaya kiya kiya batein hoi Aliyan k sath Anaya sharart bhare lehje se sawal krne lgi...
kuch khas nahi, me ye jan'na chahti thi k hamari shadi kese hoi?
zara zara si bat itni minaten karwa k bata rahe he abhi tak pori bat nahi batai he mujhe....
oh acha tou kiya howa, bata den gen tum itna tarap kyon rahi ho?
tum batao mujhe, aliyan ko addres tum ne diya tha mere ghar ka?
Han mene diya tha address par mujhe nahi pata k aus ne kese tumhare parents ko razi kiya par aik baat man'ni pare gi Aliyan ko dil torne ka sath sath dilon ko jordne ka bhi fun khoob ata he...
Amaya meri dua he tm hamesha khush rahoo aese hi hansti raho Aamen dono aik dosre k gale lag gai...
Amaya chalein kafi time hogaya he aliyan apni kalai par bandhi ghadri me time dekhte howe bola...
thori der or ruk jaein na Aliyan bhai abhi tou ham baatein kar rahe he anaya foran boli!
Anaya bibi ap logon ki baatein pori raat kiya pore saal hi khatam nahi hongi Aliyan ne muskurate howe jawab diya...
Amaya bolo na apne shohar ko tumhari itni si baat nahi mange ge Aliyan bhai?
Anaya hamein kal haveli jana he or phir sham mein Baba saein se milne bhi jana he tou hamein jana hoga…
jao dafa ho jao anaya mou bana kar boli!
wo sab se mill kar ghar jane k liye nikle..
Bohat ajeeb he tumhari dost aik mint me izzat deti he or agle mint me be-izzat karti he wo car start karte howe bola!
                        --------*****-------*****-------*****-------
Episode 13
                  Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

 Ab wo karachi se Aliyan k gaon aus ki haveli aa gae the!
Amaya sedriyan utar'ti kitchen ki tarf ja rahi thi
Amaya beta kahan ja rahi ho idhar aao Mrs.Mustafa ne ause apne pas bulaya
jee Mama! Me kitchen me ja rahi thi khana banane
beta tum kiyon khana banao gi maid he na..
Nahi mama Aj me khana banana chahti hun
thek he jesi tumhari marzi ab mrs.Mustafa apne kamre ki janib chal di...
Amaya kitchen mein khadri khana banane lagi dopehr ka waqt tha july ka mahina shuru ho chuka tha kitchen mein khasi garmi thi dupatta kitchen me hi hang kar diya dhela sa judraa kiye howe simple sa soot pehne wo kisi soch me doobi hoi cutting board par bhindi kat rahi thi aus k zehan me kiran ki batein chalne lagin tum ne bd'dua tou nahi di-- tum maf kar do shayad khuda maf karde or auski bhojal si ankhein...
Hello kiya ho raha he? Kisi ne aus k samne ungliyon se chutkhi bajate hoe kaha--
jo ap ko nazar aa raha he...
mujhe tou nazar aa raha he tum kahin khoi hoi ho
han me kuch soch rahi ho!
wow tum sochti bhi ho kiya tumhare pas dimag he?
Aliyan me mazaq k mood me nahi hun...
kiyon kiya ho gaya meri Moody bivi ko?
wo kiran-- abhi itna hi kaha tha k Aliyan ne ause rok diya Amaya kiran wagera ko choro tum ne theeka liya howa he kiya sab k bare mein sochne ka?
Nahi Aesa nahi he wo aus din shadi me kiran mili wo bohat dukhi lag rahi thi or ap ko pata he auski shadi hogai he..
han mujhe sab pata he or aus ki shadi kis se hoi he ye bhi janta ho...
kiya ap ko pata he ap ne mujhe bataya nahi? wo sawaliyan nazron se ause dekhne lagi
Mujhe laga tumhein pata hoga tabhi nahi bataya ab wo fridge se pani ki bottle nikalne laga mujhe laga wo tumhari kafi achi dost he tabhi university mein tumhare sath sath rehti thi...
Aliyan ko ab bhi nahi pata tha k ause tang karne wali kiran hi thi....
kiran ka shohar shaki mizaj ka admi he wo aus se shadi nahi karna chahti thi par aus k ghar walon ne zabardasti aus ka nikkah aik galat insan se kar diya kai bar dono ki larai bhi hogai he wo kiran par hath bhi utha chuka he mujhe bohat afsos howa tha tumhari dost ka sun kar bechari k sath acha nahi howa...
ab wo kiya batati Aliyan ko ais bechari ki harkaton k bare mein Aliyan ko kiran se hamdardi thi wo nahi chahti thi ye hamdardi nafrat mein tabdeel ho jae aus ne Aliyan ko kuch nahi bataya ab batane ka faida bhi kiya tha jo hona tha wo sab tou ho chuka ab khair se wo Aliyan ki bivi he or kiya chahiye...
kiyaa? amaya ki ankhein khuli reh gai, ab ause samjh aya k kiran ne bad'dua wali bat kyon kahi thi
par ab kiya ho sakta he me tou bas kiran k liye dua hi kar sakti hon wo dil me sochne lagi aus ka salan bhi ban chuka tha ab wo tv lounge mein beht gai …
Acha Amaya ye batao kiya kiran university mein kisi ko pasand karti thi?
Aliyan bhi aus k pas ja kar beht gaya!
Amaya ne herani se aus ki janib dekha or pata nahi kiyon hanw me sar hilaya..
wo kise pasand karti thi ?
ap ko pasand karti thi...
kiya waqai kiran mujhe pasand karti thi Aliyan halka sa muskuraya!
han wo pagal thi ap k liye ap ko dekhne k liye ap k department me ati thi or apne naam k sath apka naam lagati thi bas bohat pagal thi Amaya kahin khoe howe andaz mein boli...
ab bhi Aliyan ne ais baat par gor nahi kiya k ause tang karne wali ne apne ap ko amaya ka dost bataya tha tou wo kiran bhi ho sakti he---par Aliyan k zehan me ye baat nahi aai or aati bhi kese kiran ne badi maharat se Amaya ko setup kiya tha!
Tum se bhi ziyada pagal---- Aliyan ne sharati lehje me sawal kiya...
Amaya ne koi jawab na diya wo abhi tak kiran k bare me hi soch rahi thi....
Aliyan ka cell phone bajne laga aus ne mobile ki screen par nazar dali or call recieve ki...
Ab Amaya uth kar apne kamre mein aa gai thi or bed par leti oper kamre ki chaaht ko dekhne lagi oh kiran tum ne aesa kiyon kiya?
shayad tumhein bure kam ki saza mili he na tum mere liye bura sochti na tumhare sath bura hota par mene tou koi bad'dua nahi di tumhein me bas ALLAH se dua karongi k tumhari zindagi k dukh khatam hojae ALLAH PAK tumhare shohar ko naik hidayat de Aameen!
ab aus ne ankhein band kar li kuch deer me aliyan aaya!
Amaya kiya howa tabiyat tou thek he na tumhari kiya tum sogai?
aus ne apni ankhein kholi nahi bas thora sar me dard he mein sona chahti hon...
han so jao me ye batane aaya tha k Abhi Badar chachu ki call aai thi kal sham ko hamein dawat par bulaya he...
acha thek he aus ne rokhe lehje me jawab diya...
Amaya tumhein ho kiya gaya he jab se khansa ki shadi se aai ho khoi khoi si ho na tum ne mujh se agey bat pochi k tumhare parents ko kese razi kiya mene na tum ne koi larai ki akhir baat kiya he?
kuch nahi agar ap ko batana he tou khud bata dein me nahi pochon gi...
for God sck Amaya kiran k bare me itna mat socho jo aus k naseeb me tha ause mil gaya ab mood thek karo warna mein abhi tumhare baba saein ko shikayat lagata ho k ap ki beti mujh se bat nahi karti na kuch khaane ko deti he or apni mama jan ko bhi kehta ho k ap k bete ko ap ki bahu ne bhooka rakh k dubla kar diya he wo Amaya ka mood dekhte hoe ause hansane ki koshish karne laga!
Amaya kehka laga kar haaansi acha tou ab aap meri shikayten bhi lagaein ge ap logon ki haveli mein mulazim nahi he?
Madam khana ap ne banaya he tou ap hi Daining table par lagae gin kam kiya hi he tou pora karein!
Oh acha chalen fresh hojaein mein khane lagati hon...
Tumhare tou sar mein dard tha na rehne do me khudi kha longa...
nahi ab thek ho gaya sar dard wo halka sa muskurai!

Sab daining hall mein behte khana khane lage Aliyan beta tumhara karachi me ghar set karwa diya he tum dono karachi me raho ge...
par Baba jani yahan kiyon nahi shehar me kiyon? Aliyan ne herani se sawal kiya
Baba jani hum ap logon k sath yahan rehna chahte he gaon mein hi Amaya ne foran jawab diya...
Nahi Amaya bete, ap log karachi me rahe ge Aliyan ko bussiness bhi tou dekhna he Aliyan wahan tou kiya tum yahan akeli raho gi agle mahine shift kar lena or phir jab dil kare ate rehna yahan tumhara hi tou he sab kuch Mustafa Alam pani pite howe bole...
Par Baba Jani yahan zameene kon dekhe ga or phir farm'house---
Aus ki fikar na karo beta mulazim he naaw wo dekh le ge or mein zameeno par chakar lagata raho ga pehle bhi konsa wahan ham roz jate he 
Acha jese ap ko munasib lage Aliyan ne narmi se jawab diya...
khana tou bohat maze ka banaya he Amaya hum bohat lucky he k humen itni achi bahu mili he
Akhir pasand kis ki he Mrs.Mustafa muskura kar bolin...
Amaya tumhein pata he jab tum ne market me mama jan ki help ki thi tab se tum mama jan ko pasand thi or ghar aa kar mujhe dandt padri thi k mene tumhara shukriya ada kiyon nahi kiya...
sab kehka laga kar hansne lage or beta jab aliyan ne shadi ka fesla kiya achanak tou mene ais se larki k bare me pocha or ais k jawab par hum bohat heran howe jab ais ne ye bataya k aise wohi market wali larki se shadi karni he par mein aus market wali larki ko kahan dhondti phir ais ne sab baat batai tou bohat khushi hoi mujhe k der se hi sahi ais larke ne acha fesla kiya...
Ab Amaya ko khayal aaya k aus ki mama ne ause bataya tha k larke ki ami ne ause kahin dekha tha tab bhi aus k zehan mein aliyan ki mama ka khayal nahi aya tha wo sochte howe muskurani lagi...
Hamas tum ne nahi bataya k tumhein Amaya kesi lagi Mustafa Alam ne ause dekhte howe sawal kiya...
hamas jo k chup chap behta khana kha raha tha Me kiya bataon Baba Jani wo sharmele andaz me bola
Me bhabi se pehli baar shanze api ki shadi mein mila tha
mujhe bohat masoom lagi chehre par masomiyat sajae behti thin or abrar ko aese dekh rahi thin jese goli mar dein gin mujhe herani hoi thori phir baad mein samaira ne bataya k abrar bhai ne tang kiya tha bhabi ko mene abrar bhai ko samjhaya bhi tha k Amaya aik achi larki he tum tang na karo
mujhe achi lagi thi or mujhe khushi he k Amaya meri bhabi hein mere bhai ki pasand i'm very happy for both of them....
sab hasne lage Amaya ye hamare ghar ka chota shehzada he tumhein kabhi bore nahi hone dega or barkhudar study kesi chal rahi he?
Jee bohat achi Baba jani mene scolorship k liye apply kiya he American University of Dubai wo pani ka glass table par rakhte howe bola
matlab tum wahan pardhna chahte ho tou scolorship ki kiya zaroorat he tum wese hi chala jao Hamas ais bar Aliyan bola
jee bhai jan mein scolorship k zariye hi jana chahta hon...
Thek he jesi tumhari marzi..
ab sab khane se farig ho gae the Chalein baba jani mein ap ko ap k kamre tak chor don
Aliyan aun ka hath pakar kar kamre ki tarf chal diya!
                     ----****----****----****----
Agle roz: Sham mein fahad k ghar dinner par gae sab ne bohat izzat ki fahad ki family bhi achi he shadi k baad kai rishtedaron k ghar dawatein hoi or har aik ki zuban se aliyan ki tarifen hi sun'ne ko mili fahad apne kamre ki khirdki se niche bahir lawn me behte Amaya ko dekh raha tha!
jo fahad ki ami k sath behti baatein karne me masroof thi kisi ne aus k khande par hath raka niche kiya dekh rahe hein bhai jan?
oh Amaya ko dekha jaa raha he agey bardh kar zain khirdki se niche dekhte howe bola...
             --------*****-------*****-------*****-------                           
Abrar mein bohat khush ho k tum ne apni zid chor di or tum sudhar gae, hm tou pareshan hi hogae the k tumhein ho kiya gaya he?
Amaya or Aliyan gaon aae howe he tou mama ne kal dawat par bulaya he umed he tum koi ulti harkat nahi karoge Rehan abrar k pas behte ause samjhane laga!
mene Amaya ka picha nahi chora mujhe ab bhi aus se muhabbat he Amaya meri zid he or me ause behad muhabbat karta ho me itni aasani se haar nahi mano ga
bhai me ause hasil kar k raho ga Aliyan nahi jeet sakta aus k chehre par shehtani muskurahat thi or ankhon mein amaya ko pane ka junoon!

kiya ?? Aus ki baat sun kar Rehan ghuse se khadra ho gaya!
Dimag kharab he tumhara abrar wo shadi'shuda he ab or tum ne tou khud mafi mangi thi dono se, REHAN k chehre ka rang urrd gaya tha
wo soch bhi nahi skta tha k abrar yu apni Anna ka masla bana lege...
mafi my foot! wo sab dirama tha amaya ko yaqen dilane ka k mujhe ab aus mein intrest nahi
par me ause itni aasani se nahi kho sakta me amaya ko hasil kar k raho ga meri muhabbat he wo chahey mujhe kuch bhi karna pare
kuch bhi ka matlab kuch bhi aus ki ankhon mein junoon tha...

                     ----*****-------*****-------*****----

kiya howa bhai jan udaas kiyon hein? zain ause dekhte howe bola...
Amaya aj phir bohat piyari lag rahi he or ause dekh kar phir mere dil me kuch kuch howa!
mein apni feelings khatam karna chahta ho par kar nahi paa raha me janta hon wo ab mere bhai ki bivi he or me ab amaya k bare me sochna bhi nahi chahta
par.........
Bhai jan me janta ho ap andar se dhuki hen ap ko dukh he amaya ko khone ka ap jitna marzi chupa lein par mujh se chupa nahi sakte...
Nahi zain ause khone ka kiya dukh hona jo kabhi meri thi hi nahi or mein tou kabhi Amaya ki love story me tha hi nahi aus ki love story me sirf aliyan tha...
"mene socha k ause apna bana lon
par wo tou apni hoi nahi or mein khud ka raha nahi"...
mujhe maloom tha wo kisi se muhabbat karti he magar ye dekhna tha kis trah izhar karti he!
dekho dono sath mein kitne ache lag rahe he 'fahad' ab bhi khirdki se niche dono ko dekh raha tha!
wo fahad ki family k sath bahr lawn me behte baatein kar rahe the....                                                                  
par bhai jan aliyan bhai jan tou ause nahi chahte the amaya ko pehle hi din se ap pasand karte the tou phir kiyon ap ne aliyan bhai ko nahi bataya or
apni chahat ka izhar kiyon nahi kiya amaya se kiyon chup rahe or agar chup rehna hi tha tou phir ab udas kiyon hen?                                                      
fahad khirdki se piche ho kar zain ki tarf mudraa Amaya ne kabhi bhi university k aun char salon mein mujhe sahi se dekha tak nahi tha or shayad me ause
kabhi pasand bhi nahi tha mujhe dekh kar hamesha aus k chehre par ghusa aa jata tha tou mein kese ause batata?
par bhai------ zain kuch kehne wala tha k fahad ki nazar darwaze par khadre aliyan par gai jo seene pe hath bandhe khadra tha!
fahad or zain k chehre se aik rang aa kar chala gaya...
Aliyan wahan kiyon khadre ho andar aao?
fahad mene sab sun liya he or mujhe dukh ho raha he
Aliyan jesa tum soch rahe ho wesa kuch nahi he please let me explain....
mujhe koi explanation nahi sun'na mujhe tum se ye umeed nahi thi aliyan k lehje mein bohat ghusa tha wo ghuse ka bohat kharab he ause bat bat par ghusa aajata he..
zain kiya he ye sab or tum dono ne kab se mujh se baatein chupana shuru kardi he hanw
we are more like brothers, or tum logon ne ye bat chupai mujh se akhir kiyon kiya he ye sab jawab do? wo ghuse me chilaaa kar bola....
zahir he wo ghusa kiyon na karta akhir auski bivi k bare me bat ho rahi thi...
Aliyan bhai jan ghusa mat karen aaein behten beht kar bat karte he zain ne ause bithaya,
bhai ais waqt aik shohar ki trhan nahi zara kuch pal aik bhai ki trhan bhi sochen
asal me bat ye he k fahad bhai, shuru se hi amaya bhabi ko pasand karte the!
par wo jo scene howa tha jis pe ap logo ne amaya ko sunai thi,
aus k bad amaya fahad bhai ko dekhte hi foran nazren ghuma leti thi fahad bhai ko laga k amaya aun k bare mein galat sochti he
aisi wajah se wo himat nahi kar pae ause apne dil ki bat batane ki or fahad bhai ne socha tha jab wo amaya ko purpose krege
tab ap ko batae ge par kese ye kuch saal guzar gae pata hi nahi chala!
phir jab fahad bhai ne Ap ko batana chaha tou aus din ap bohat upset the..
aap se wajah pochi ap ne amaya ki dairy hathon me thama di!
wo dairy pardhne k baad fahad bhai samjh nahi paa rahe the wo ap k liye khush ho k ap ause pasand karne lage he
ya dukhi hon k amaya ki pasand koi or he.....

Aliyan mere bhai i'm sorry me aus waqt tumhen bata kar mazed dukhi nahi karna chahta tha.
mujhe laga chup rehna hi behtar hoga me nahi chahta tha kisi bhi wajah se hmara rishta kharab ho ya hamre bech fasle hojaen fahad aliyan k khande par hath rakhte hoe bola
par fahad aik bar tou bata dete tum meri khatir khamosh hi hogae....
Aliyan me ais baat ki wajah se hamara rishta kharab nahi karna chahta tha or wada karo ainda hm ais bare me koi bat nahi kare ge
jo bhi howa acha howa me khush hon k amaya tumhen bohat chahti he or amaya se behtar larki tumhen koi mil hi nahi sakti thi
please tum bhi ause utni hi muhabbat karna or amaya ko ais bare me kuch na batana me nahi chahta wo mere bare mein galat soche or
i'm shure hamara rishta kharab nahi hoga fahad ause gale lagate hoe bola...
sab baatein sun'ne k bad aliyan ka ghusa khatam hogaya kiyon k ab wo aik bhai k lehaz se soch raha tha nahi hamare rishte ko kuch nahi hoga
sab ki apni pasand hoti he me kabhi tumhare bare me galat nahi soch sakta fahad hum jese the wese hi sath mein rahe ge 3no gale lage aik dosre k or bat yahin khatam kardi...
Aliyan ghar chalen kafi raat hogai he Amaya aik dum kamre me daakhil hoi
Amaya ko dekhte hi teno ka raang safeed ho gaya or sab ki nazrein apas mein takrain
kahin amaya ne batein tou nahi sun li!  
                       -----*****------*****------*****------

Wapsi mein Amaya ne phir wohi baat shuru ki Aliyan aj mujhe sari baat jan'ni he hamari shadi kese hoi mujhe koi suspence nahi chahiye!                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                Ghar ja rahe the raste mein Amaya ko wo bat yaad aai Aliyan ab agey bhi batein ge k kese ap mujh tak phunche?
haha dekha tum se raha nahi gaya or tum ne poch hi liya acha suno! wo car drive karte hoe bola
Mujhe anaya ne address diya mein apni Mamma ko le kar chala gaya tumhare ghar mene socha tumhare ghar walon ko tou pata hi hoga k tum kahan ho
or tum jahan bhi ho lout kar tou ghar ko hi aao gi wo halka sa muskuraya...
Mama ne rishte ki baat ki k mene ap ki beti ko market me dekha tha mujhe wo bohat pasand aai or me ause apni bahu banana chahti hon
ap chahe tou hamare bare me pori malomat hasil kar sakte he koi jaldi nahi he ap aram se soch kar jawab di jiye ga...
phir tumhare Baba saein ne meri sab information hasil ki k me kesa larka hon family background kesa he kahin mein aj k zamane ka bigdra howa larka tou nahi
wagera wagera or pore aik mahina baad auno ne ais purposal ko accept kiya...
Aus aik mahine mein jo meri halat thi mujhe hi pata he mujhe dar laga raha k kahin rishte se mana hi na kar dein
me tumhein paglon ki tarah tou nahi chahta tha or na ab chahta hon par pata nahi kiyon tum se shadi karna chahta tha
tum se aik bar milna chahta tha mafi mangna chahta tha phir jab mujhe pata chala k tumhare ghar walon ne purposal accept kar liya he tab meri jan mein jan aai
phir mene tumhare baba saein ko bata diya k me amaya k sath university mein pardhta tha par hamari kabhi university mein baat wagera nahi hoi
ais bar mene jhoot bola tha hamari aik bar bas baat hoi thi jab me rushba ka pochne aaya tha or ziyada kuch nahi bataya uncle ko me nahi chahta tha k
wo tumhein galat samjhein jis tarah me samjhta raha tha phir kuch dinoo mein pata chala k amaya shadi k liye maan nahi rahi he mera tou jese saans hi aatak gaya!

Haaey ALLAH ab kiya karon pehle baba saein nahi man rahe the ab aun ki shehzadi beti k nakhre!
Acha he Aliyan beta tera sath aesa hi hona chahiye bohat rulaya he na ause ab khud bhi becheen raho aus Larki k liye jis ne tumhein toot kar chaha he!
han wo Aik larki he Amaya
wafa k roob si,
Mangi hoi duwaon si,
Masoom Adaon si,
Laraka si,
ghuse wali adaon si,
ab aus ki nigahon k samne university k parking Area wali wo Pehli mulaqaat kisi film ki tarah chalne lagi or labon par halki si muskurahat!

Mene ye nahi bataya k tum mujhe pasand karti ho warna shayad tumhare Baba ghusa hote tum se k meri wajah se hi tum kahin or shadi nahi karna chah rahi thi
or mein tumhein tumhare baba ki nazron mein nahi gira sakta tha mene tumhari dairy me pardha tha k tumhein kitni muhabbat he apne baba se tum aun ki kitni ladli ho
mein sab janta hon tumhein mujh se muhabbat hoi ye baat tumhare Baba ko pata lagti tou shayad aun ka bharosa uth jata k auno ne tumhein pardhne bheja tha muhabbat karne nahi
par kiya karein amaya dil par kisi ka bass thori he achi larkiyon ko bhi muhabbat ho hi jati he ...
phir tumhari mamma ne mujh se akele mein pocha k kiya amaya tumhen pasand karti he ya tum beta?                                                                    
Me chah kar bhi aun se jhoot nahi bol saka mene sab bata diya or request ki k wo tum se ghusa na hon mene auneh mana kiya k tumhen mere bare mein kuch na bataein
or Baba ko bhi ais bare mein kuch na bataein mein tumhein surprise dena chahta tha or anaya ko shadi wale din pata chala k meri shadi tum se horahi he
wo mujhe dekhte hi heran reh gai haha ab wo kehka laga kar hansa wo tumhen batane wali thi tum ne bechari ko dandt kar chup karwa diya
sab sun raha tha mein tumhara tou bass nahi chal raha tha k tum wahan se utho or apne dulhe ka gala hi daba do...
ye keh kar wo aik bar phir kehkaaa laga kar hansne laga...
ais bar amaya bhi kehka laga kar hansi ause tou yaqeen hi nahi aa raha tha k aliyan jesa akdru larka aesa kuch kar sakta he
ye sab bas aik khuwab sa lagne laga aik haseen khuwab..                                                                                            
ye surprise meri zindagi ka best surprise he Baba ne thek kaha tha wo mere liye kabhi bhi kisi galat larke ka intekhab nahi kare ge
thnkyou Baba thnkyou so much wo muskurane lagi or ye khushi or muskurahat pehli baar aliyan ne aus k chehre par dekhi thi...
                             -----****------****--------****-------

Ab wo log Aliyan k gaon se aik bar phir ausi gaon mein aae the jahan Hina chachi rehti hen chachi k Ghar shadi ki dawat par aae or raat mein
Shanze k ghar dinner par gae sab bohat khush the khane k bad sab tv lounge mein behte batein karne lage samaira or haniya bhi shanze k ghar sath mein aai thi
sari porani yadein taza hogai shanze ki shadi, aliyan k sath lardaiyan,abrar ka tang karna, sab kuch...
shanze ki do piyari betiyan hein or wo Rehan k sath behad khush he...
aj raat wo yahin ruke the Raat k waqt tha Aliyan bahar lawn mein rakhe jhole mein behta tha amaya bhi aus k pas aa kar beht gai kiya soch rahe hen
kuch khas nahi bas wese hi hawa achi chal rahi he!
jhoot mat bolein kuch tou soch rahe hen ap?
han aj sab porani baatein yaad aagai tou bas wohi soch raha hon k kese hum yahan aae the or tum hina chachi k sath baatein marna shuru hogai thi,
phir apni masi ki beti shagufta ko mere mana karne k bawajood bhi car mein bitha liya tha or oper se ghuse wali nigahon se mujhe dekhne lagi thi
aus waqt ghusa tou aya tha mujhe par najane kiyon mein kuch keh na saka or tumhara islamic lecture mujhe koi intrest nahi tha sun'ne mein par najane kiyon
mein dehan se sunta raha, or sab se maze ki baat adhi raat ko shaded thand mein tum akeli bus stand par behti thi tumhein dar nahi laga agar koi hadsa hojata tou?
tum bohat ajeeb ho tumhari baatein tumhari harkatein sab bohat ajeeb thi tum sab se munfird ho Amaya aik dum pagal crazy girl ab wo muskuraya!

Amaya k chehre par muskurahat aagai hadsa aus ne lafz dohraya!
Me akeli nahi thi ALLAH mere sath tha jab mera RAB mere sath tha tou kesa dar?
or ap ko pata he jane'anjane mein hi sahi par wo trip mere liye best tha!
or abrar ka tou naam hi mat lein jab jab me ap ko dekhti thi wo bech mein tapak jata tha
khair chorein ye sab or mein janti hon ap kuch or bhi soch rahe hen
aus ne nigahein utha kar Amaya ki janib dekha jesa kiya? kiya soch raha hon mein?
matlab ab bhi tumhein ilham hojata he k Aliyan kiya soch raha he? ab wo halka sa muskuraya

ab wo aus k kandhe par sar rakh kar boli Mene sab batein sun li thi ap teno bhaiyo ki
Aliyan herani se ause dekhne laga jo aus k kandhe par sar rakhe aus k pas behti thi
kuch pal wo khamosh hogaya!
Amaya jo bhi ho ab rishte tou khatam nahi kar sakte or sab ki apni pasand hoti he ais me kisi ka koi qasor nahi
tum fahad ko pata mat lagne dena k tumhein sab pata he warna wo sharminda hoga!
Aliyan mene kab kaha k ap apne bhaiyon se rishta khatam kar dein bal k mujhe tou acha laga k ap ne ghusa chor kar aqalmandi ka muzahira kiya or
fahad bhai se naraz nahi howe warna sab yehi kehte k aate he bivi ne bhaiyon ko turwa diya ab wo ause dekhne lagi or aus k chehre par shararti muskurahat thi...
Amaya tum bhi naa ab aus ki baat par wo bhi muskura diya or amaya ka hath apne hathon me liya tumhein pata he fahad ne hi mujhe ehsaas dilaya tha k
mein tumhein pasand karne laga hon warna mujhe kabhi pata na chalta mujh mein tou bas ghusa hi bhara howa tha ya yu kaho k nafrat---- wo wahin ruk gaya!
Nafrat aus ne lafz dohraya par khamosh rahi ye koi nai baat nahi thi wo janti thi aliyan ko aus se nafrat he or ais nafrat ki wajah bhi janti thi aj aik baar phir kiran yaad aagai!
Amaya umeed he tum ne mujhe maf kar diya hoga...
Me ap ko bohat pehle hi maaf kar chuki hon...
ab wo dil mein sochne lagi jab me kiran ko maaf kar sakti hon tou ap ko kiyon nahi ap tou phir bhi meri chahat hein Amaya ki ajeeb chahat....

Abrar jhole k piche lage darakkt(tree) k piche khadra aun ki tamam baten sun raha tha...
Aliyan mere rishtedaron mein kafi dawatein he abhi tayar rahen ap wo halka sa muskurai
auf mein thaaak gaya ho yar itni dawatein mujhe pata hota k itni dawatein hoti he mein shadi hi na karta ab wo ause cherdne laga....
Tou mat karte shadi mene minatein nahi ki thi me tou chup chap chali gai thi ap se door ap hi piche aae wo mau bana kar boli...
han tou tum hi mar rahi thi mere liye tabhi apni dukhi dastan dairy me likhi hoi thi!
ap mujhe tana de rahe he ap apna Ego kabhi mat chorna ye kabhi mat man'na k ap mere piche aae the aus ki naak ghuse se lal hogai
wo wahan se uth kar jane lagi!
auff ho Tum log abhi bhi larte ho mujhe laga abb larai nahi karte hoge shanze table par chae ki taree rakhte howe muskura kar boli....
ap k ye jo bhai hen ye hi larai shuru karte he bohat thikhaa khana khilaya he shayd ap logo ne tabhi ye hamesha thikhaa hi bolte hein ye kehte howe amaya wahan se chali gai....

Bhai jan ap kiyon tang karte hen amaya ko?
yar me kahan tang karta hon mein tou bas mazaq karta hon or wo tap jati he wese mujhe maza ata he aus ki baatein sun'ne mein
Shanze kisi ka ap ko beinteha chahna kitna khubsoorat ehsaas hota he ye mujhe ab pata chal raha he wo khoe howe andaz me muskura kar bola...

Agle roz wo Haveli jane k liye nikal rahe the
Aliyan bahar car k pas khadra Amaya ka intezar kar raha tha
Amaya andar baatein karne mein masroof thi
Aliyan ne apni jeans ki jaib(pocket) se apna cell phone nikala or number dail karne laga
Hello Amaya me kab se tumhara niche wait kar raha ho ab aa bhi jao!
aj aik bar phir wo dono ausi resturent mein gae jo raste mein ata he jahan pehli bar aliyan ne ause khana khilaya tha or ausi corner wale table par behte!
Amaya mene kabhi socha bhi nahi tha k hum ais tarah kabhi dobara yahan sath aae ge
Meri bas aik choti si khuwaish he table,coffe mein or tum!
aus k andaz mein itni narmi thi k amaya muskurae bina reh na saki ab wo dono coffe peene lage...
                     ----*****------*****-----*****----

Episode 14
              Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain
Aik mah bad wo karachi shift hogae the ab auneh karachi shift kiye do saal ho chale the
Aliyan aksar apni bussiness meetings k liye kabhi dubai jata tou kabhi america
ain kuch mahino mein wo bohat busy rehne laga tha Amaya ko bhi ziyada time nahi de pata aese hi mazeed char mahine guzar gae...
Hamas bhi ain k sath hi kuch mahine karachi mein hi raha tha aus k hone se ghar mein boriyat nahi hoti thi
Ause scolorship milne k baad ab Wo dubai chala gaya tha!
Amaya ab ghar mein bore hone lagi thi sara din ghar decorate karti rehti
ya Zubaida Apa ki dishes banati rehti ab wo ain sab chezon se bhi bore hone lagi thi!

Ausne socha kahin job k liye apply kare wo aik software engineer he tou ause job ba'asani kisi bhi achi company mein mill jati.
Aliyan mein soch rahi hun job kar lun Aliyan sofee par behta hath mein remote liye tv k channels change karne mein masroof tha...
kiya kaha tum ne zara aik baar dobara kehna?
mene kaha mujhe job karni he or mene apply bhi kar diya he...
Tum ne mujh se bina poche kese apply kar diya or ye khayal tumhare dimag me aaya bhi kese meri bivi or kahin job kare kabhi bhi nahi
me ais ki ijazat har'giz nahi donga acha khasa bussiness he hamara khud ka har cheez he hamare pas phir tumhein kiya zaroorat he job ki
aus ne ghuse me remote utha kar phenkaa..
Aliyan ko har choti baat par foran ghusa aa jata he or wo foran react karta he ais mein yehi aik adat buri he
Par aliyan------aliyan ne aus ki baat kat di par'var kuch nahi amaya tum koi job nahi karo gi meri bezati karwao gi kiya log baatein banae ge...
wo kuch der khamosh rahi phir kuch sochne k bad boli kiya farq pardhta he mere job karne se ap ki shan me koi kami nahi aa jaegi ap ko bas ap ko bas apna ego piyara he
for God sck kabhi tou apna ego chor dein rishton me ego rakhna matlab rishton ko kharab karna...
aus ne ghuse wali nazron se amaya ki janib dekha tum ne chor diya na apna ego bas itna bohat he ab mujhe lecture mat do
mera koi mood nahi tumhare lecture sun'ne ka....
jab mene software engineering ki he tou zahir he mein job bhi karon gi me ghar mein bore ho jati hon wo mau latka kar boli!
kar k dikhao job tangen tor dunga tumhari aus ka lehja bohat sakhat tha amaya ye sunte hi rote howe wahan se chali gai..
Aliyan ki baton ne ause dhuk phuchaya tha...

Agley roz Amaya bed pe cushion se teek lagae leti "Peer-e-kamil" Novel pardh rahi thi
koi kamre ka darwaza khol kar andar dakhil howa!
Amaya ne aik nazar utha kar ause dekha or phir Novel pardhne mein masroof hogai
Aliyan thaka hara office se ghar aaya tha ab wo soffe par behta shoes utarne laga
aaj khane mein kiya milley ga?
Taane--- aus ne talakh lehje me jawab diya!
oh kabhi "Menu" change bhi kar liya karo wo sharart bhare andaz me bola..
Meri to kisi baat ki koi qadar hi nahi he yahan agar mere baba saein hote wo mujhe kabhi mana na karte wo meri bat mante Amaya mauh latka kar boli!
Ary tum tou abhi se rone lagi Abhi se mat ro mere marne me abhi kuch time he...
Ais dil dhelani wali bat pe ause ghusa aya or ghorr kar Aliyan ko dekhne lagi ankhein namm hogai apne piche se cushion nikal kar ause de mara...
touba kitna marti ho tum mujhe bivi ho ya kasai!
Ap ki tarah lafzon se lahu'lohan tou nahi karti Amaya pe jawab dena tou faraz he!
Agar tum waqai job mein intrested ho tou jesi tumhari marzi me tumhein mana nahi karta ab mood thek karo..
amaya ab bhi mau latkae behti thi...
Aus ne socha begam sahiba ka mood thek kiya jae amaya ice-cream khane chale?
socha mana karde par jane ki haaami bhar di...
Me kal ghuse mein tha najane tumhein kiya kiya keh diya i'm really sorry wo car start karte howe bola!
ap ka tou kam hi yehi he hamesha dosro ka ghusa mujh pe utar'te hen...
ab mafi mang tou raha hon ainda nahi karo ga ghusa..
dil se keh rahe he naaw? Amaya muskurahat chupate howe boli
nahi zuban se aliyan ne bayaa hath amaya k sar pe phera zahir he dil se hi keh raha hun meri ziddi bivi...
Bas Amaya k liye itna hi kafi tha wo cd player on kar k gane ka maza lene lagi thandi thandi hawa aus k chehre ko chuu kar guzarne lagi
aus doran do,teen bar aliyan ne aus ki janib dekha or kuch bolna chaha par khamosh raha...
Amaya ne note kiya tou poch liya kuch kehna chahte he ap?
han me ye soch raha tha k agar mein kahun k me bap ban'ne wala hon tou tum ye job ka khayal chor dogi? ab wo sawaliyan nazro se amaya ko dekhne laga!
Amaya ne herani bhari nigahon se aliyan ki janib dekha tou wo muskuraya, Movies me tou aesa hi hota he naaw Herion agar married ho or kisi kam ka irada kar lein
tou agley din tabiyat kharab or doctor bolta he mubarak ho good news....
Amaya samjh nahi paa rahi thi k Aliyan aus ki job ki wajah se khush he ya aus ki zid k agey har man kar raza'mand he...
ye sab movies me hi hota he real life me nahi Amaya dhemi awaz me boli!
ary tou ais me kiya he hamare sath bhi aesa ho sakta he ice-cream parlour k agey car park karte howe bola..
shadi k do saal bad bhi "ain k ghar me koi good news na thi" par kabhi ais issue pe aino ne kabhi bat nahi ki k koi hurt na ho or abhi bhi Aliyan ka maqsad aise hurt karna nahi tha...
ary wah kitni khubsorat larki he Aliyan ne aus ka mood thek karne k liye bahir ki janib dekhte howe kaha!
sharam karen bivi samne he or ap aik geer larki ko dekh rahe hen khuda ka khoof karen, amaya chirdte howe boli...
haha chirdo mat wahan koi nahi he yahan tou bas aik hi khubsurat larki he jis ka naam he Amaya Aliyan...
haha ye hoi naa ache husband wali bat ab wo keh'ka laga kar haansi..
acha ab jaldi jaldi ice-cream khatam karo warna mein khaa jao ga....
                         -------****-----****-------*****------

Amaya tv lounge mein behti Aj apni shadi ki video dekh rahi thi
Kiya ho raha he bhabi? fahad or zain tv lounge mein aate dikhai diye
Me apni shadi ki video dekh rahi ho aj sab ki yaad aa rahi thi tou socha video dekh lon!
Acha Amaya ye lo cake!
Cake par ye kis khushi mein? Amaya fahad ko dekhte hoe boli
Bhabi aj bhai jan ka birthday he zain muskurate hoe fahad ki tarf hath se ishara karte howe bola
Oh Acha Happy Birthday Fahad bhai Amaya muskurate hoe ause wish karne lagi
Kiya ho raha he yahan sab bohat khush dikhai de rahe he? Aliyan ain sab ko dekhte howe bola
Aliyan bhai jan Aj bhai jan ka birthday he ham ghar me akele the tou socha yahan aa jae sath mil kar celebrate kar lete he...
(Fahad or zain aj kal karachi mein hi reh rahe he)
han acha kiya jo yahan aa gae Happy birthday fahad ab wo dono gale milne lage!
Tv lounge mein sab behte shadi ki video dekhne lage or kuch porani yaadein taza karne lage!

zain uth kar jane laga!
kahan ja rahe ho zain? fahad ne sawal kiya
aik zaroori call karni he bhai abhi aata hon ye kehte hoe zain wahan se chala gaya!
Amaya ham ab zain k liye larki dhond rahe he koi he tumhari nazar mein? fahad cold drink peete howe bola
kiyon ap shadi nahi kare ge bare tou ap hein phir zain ki pehle kyon?
Tou kiya howa me bara hon tou Aliyan bhi tou bara tha par aus se pehle hi Hamas ki mangni ho gai thi Haniya se or wese bhi me abhi shadi nahi karna chahta
or wese bhi jesi mujhe chahiye wesi koi milley gi nahi mujhe koi bohat khas chahiye!
Aese kese nahi mille gi dhonden ge tou mil jaegi...
acha tou tum dhond do koi apne jesi fahad halka sa muskuraya...
samne behta Aliyan laptop par kam karte howe ause tehdri nazron se dekhna laga...
jese hi fahad ki nazar Aliyan par gai wo foran ause dekhte howe bola aese mat dekho bhai me mazaq kar raha hon
me abhi shadi wagera me intrested nahi hon...

zain mene tumhen dekh liya he parde se nikal kar bahir aajao Amaya ause dekhte howe boli!
ki'kiya dhonda jaa raha he mere liye bhabi? wo nazren jhuka kar pochne laga...
o cum'on zain, bhole mat bano jese tumhein kuch pata hi nahi parde k piche kiya kar rahe the?
wo me dekh raha tha k parde k piche khadre ho kar kesa mehsoos hota he wo nazren churate howe bola..
haha zain tum or tumhari baatein aao behto or ye batao call par bat karte karte parde k piche kese phunch gae?
Wo ap log baaton mein masroof the tou me bas wese hi mein... wo wahin khamosh hogaya
haha chalo choro koi baat nahi chalein room me chalte he ab sab uth kar room ki tarf chal diye
            ------****--------****--------****-------

Ab sab kamre mein behte the zain ye tou batao kesi larki chahye? Amaya muskurate howe boli
ary wah badri mehfil lagi hoi he kiya ho raha he yahan?
Samaira mein zain se poch rahi thi k aise kesi larki chahiye shadi k liye...
Sam interview k liye karachi aai hoi thi tou aaj yahan ghar aagai thi...
oh tou janab shadi ka soch rahe he bata do apni bhabi ko kahin se bhi dhond k la degi...
sam tum kab aai karachi or itni der se kahan gayab thi amaya ne bhi nahi bataya k tum aai hoi ho? fahad ne sawal kiya
Me aj hi aai hon or meri friend ki call aa gai thi tou aus se baaton mein waqt ka andaza hi nahi howa
acha fahad sochte howe bola!
Amaya ais Sam ka bhi rishta dhond lo bal'k Aik kam karo tum marriage beuro khol lo ye kiya tum software engineering k chakar me pard gai
aik kam karte he me bhi bussiness wagera chor deta hon ham dono mil kar logon k rishte karwate he thek he Aliyan aun sab ki janib dekhte howe bola
jawab me sab hansne lage wao Aliyan kiya idea he kitna maza aae ga naa amaya muskura kar boli..
tum sab dandt kiya nikal rahe ho hanw or kiya maza aae ga tumhein tou kuch na kuch adventures chahiye chalo bhago yahan se sab
mujhe sona he kal bohat important meeting he...
Han han chalo sab chalte he yahan se bhai ap sehda kiyon nahi kehte k bhabi se baatein karni he 'sam' mau bana kar boli...
Mujhe koi shoq nahi adhi raat ko ais ziddi larki se baatein karne ka jao apni bhabi ko bhi sath le jao chalo niklo sab mere kamre se
bahar ja kar rishte shadiyan karo...
sab uth kar kamre se jane lage...
suno mohalle walo se bhi phoch lena kisi ko rishta karwana ho tou amaya k pas aajaein...
toba kese hen ye kesa bhai rakha howa he tum logon ne wo bahar lawn ki janib chalte hoe boli
aik mint mein mood change hota he ain ka khair choro zain tum batao na kesi larki chahiye
tumhein phir wesi hi dhond kar de ge ham ab ye log bahar lawn mein behte the!
jesi ap logon ko pasand ho acha me ab chalta ho mujhe bhi nennd arahi he zain wahan se chala gaya....
acha me bhi chalta ho fahad bhi wahan se jane laga..
fahad bhai ap kahan ja rahe hen? ap tou behtein baatein karte he me yahan mehman aai ho or sab ko sone ki lagi hoi he bhabi k hath ki chae peete he
kal Aliyan bhai ko tang kare ge Sam muskurate howe boli
nahi Sam phir kabhi abhi me chalta ho...
fahad bhai ruk jaein Sam itne piyar se keh rahi he wese bhi kal gaon wapas chali jae gi
thek he ladies ab ap log itna insist kar rahi hen tou ruk jata ho fahad ruk gaya or teeno baatein karne lage.....
                                         -------****-----****-------*****------

Do roz bad!
Amaya kab join kar rahi ho office? wo apni aasten k button kholte howe bola...
Aliyan me ne job ka irada chor diya he jis chez se ap khush nahi me wo chez nahi karo gi
kiya waqai tum ne meri khushi ki khatir job ka irada chor diya? wo herani se bola
ais me heran hone wali kon si baat he wo dabi hoi muskurahat se boli
Aliyan ause piyar bhari nigahon se dekhne laga oh amaya so sweet of you or agey bardh kar ause gale se laga liya!
i love it when you hug me
it's the best feeling in the world...!
wo muskurate howe boli...

Ab Ap fresh ho jaein phir dinner karte he tab tak me namaz pardh lon...
kuch der bad Aliyan ka cell phone bajne laga kisi ne phone na uthaya
kafi der phone bajta raha Amaya isha ki namaz pardhne me masroof thi kuch der bad salam phera to dobara phone bajne laga Aliyan ap ka phone baj raha he...
han to dekh lo kis ka he aus ne nahate howe jawab diya!
Nahi me kiyon dekho kisi ka cell phone ap khudi dekh li jiye ga par phone musalsal bhajta raha
Amaya ne call recieve ki hello kon? kisi ne agey se jawab na diya...!
kamal he call pe call aarahi thi or ab koi bola hi nahi aus ne phone rakh diya ausi waqt message tone bajji!
Amaya mobile ki screen par ungli peerte hoi inbox open karne lagi
kon he ye jis ne bat bhi nahi ki or ab message bhej diya ab inbox open ho chuka tha wo ab message pardhne lagi
Aliyan kis larki ne call recieve ki thi ap kahan hein me wait kar rahi ho?
ye pardhte hi Amaya k chehre ka rang urd gaya ye kisi la'larki ka message wo phati hoi nigahon se mobile ki screen dekhne lagi
kiya Aliyan ka kisi se.... nahi mujhe Aliyan par pora yaqeen he ho sakta he koi office ki ho ye soch kar aus ne phone rakh diya...
kiya howa kis ka phone tha?
pata nahi koi wrong number tha ap dekh lein wo aus k agey cell phone karte howe boli
Aus ne cell phone pakra or bina dekhe side table par rakh diya...

Ab wo khamoshi se sofee par beht gai jese wo kisi soch mein mubtala ho..
kiya howa kiya soch rahi ho?
Me soch rahi hon kiyon na ham zain k liye Anaya ka rishta mange?
Anaya aik achi larki he hum sabhi jante he or ause koi pasand bhi nahi he single he wo tou kiyon na hum zain se ais bare me bat karein
ap ka kiya khayal he wo man jaega ab wo Aliyan ki janib dekhne lagi...
par wo khamoshi se laptop ko laga raha!
Aliyan mene kuch kaha he kiya ap ne suna?
han suna acha idea he me bat karoga zain se, anaya waqai aik achi larki he par meri bv se zara kam smart he wo muskuraya...
kiya matlab?
Matlb ye jab mene ause shopping mall me dekha or aus ka picha kiya to ause mehsoos ho gaya tha k me auska picha kar raha ho
par jab mene aus se tumhara pocha aus ne foran kaha ap mera picha kyon kar rahe the?
mene kaha ap ko galat fehmi hoi hogi me ne ap ka picha nahi kiya ap achnak nazar aagai tou poch liya tou aus ne meri bat ka yaqeen bhi kar liya
aus ki jaga agar tum hoti tou tum tou mujh se augalwa k hi rehti k me tumhara picha kar raha tha...
Ap ne anaya se jhoot kiyon kaha?
Sach keh kar Apna Ego thori chorna tha mene ab wo hansi dabate howe bola
uff uff Phir Ego acha kiya Anaya ne jo ap ko baatein sunai ab wo bhi muskurahat dabate howe boli ...
wese Amaya tumhare dimag me anaya ka khayal kese aaya? wo laptop rakhte howe bola
ab wo aliyan k pas ja kar beht gai Ap ko pata he me or Anaya aksar apni future planning ki bat kiya karte the,
me ause kehti thi jab mera beta hoga me auska naam 'shams' rakhon gi or phir aus ki shadi Anaya ki beti se karwao gi or hamari achi dosti
Rishtedari me badal jae gi or Anaya hamesha kehti thi k aus ki khuwaish he hum aik hi ghar me shadi ho kar jaein or wo bhi yehi chahti thi k
aus ki beti ki shadi mere bete se ho Amaya chehre pe halki si muskan liye kahin khoi khoi si Aliyan ko batane lagi!
oh ho tumhara chehra tou dekho kese blush kar raha he great! meri bv ne bachon k naam bhi soch liye or rishte bhi teh kar diye tum tou bohat advance nikli yr
par Me tou nahi karo ga apne bete ki shadi Anaya ki beti se...
Amaya ause ankhein nikal kar dekhne lagi...
yr itni tez he wo shopping mall me jab aus se tumhara pocha khane ko pard rahi thi wo jese bas abhi mujhe kacha chaba jae gi
mera bhola bhala sa beta hoga aus ki tou beti bhi aus ki tarah tez hogi wo shararti andaz me bolte hoe Amaya ko tang karne laga....
Amaya ause aik bar phir ghorne lagi chup chap so jaein aj khana nahi milley ga...
yr ye kiya bat hoi tum sahi ho jab bhi ghusa hoti ho khana hi nahi deti reham karo sara din office me kam karta ho
itne paise kamata ho or ghar me khana bhi nahi milta...
home minister kon he? wo aliyan k qareeb ja kar boli
tum??
home minister ko naraz karo ge tou kiya hoga?wo or qareeb aai
khana band...
jab pata he tou bolte kiyo hen?
Galti hogai mutarma mujh se maaf kar dein ais bhooke ko apne hathon se khana khila dein
wo itne piyar or naram lehje se bola k Amaya k chehre par hansi aaagai...

Agle roz! Aliyan lawn me behta laptop pe kuch kam kar raha tha koi nojawan chalta howa aya
jeans pe blue shirt me malboos....
Asalam wa alaikum kiya ho raha he?
wa alaikum asalam kam ho raha he bas tum sunao kafi din bad aae ho zain kese ho Ao yahan behto tum se kuch bat karni he?
me thek ho bolein kiya bat he zain Aliyan k qareeb rakhi chair pe behtne laga..
tumhen Anaya kesi lagti he?
kiyon kiya howa ap achnak aesa kiyo poch rahe he?
jo pocha he auska jawab do
jee Anaya bhabi ki dost?? zain ne sawaliya nazron se Aliyan ki janib dekha
nahi meri dost..
Heeinn bhai ap ne dosti kab ki aus se bhabi ko pata he ais bare mein?
bhabi bhabi wo zor zor se chilane laga
Aliyan foran utha zain k mauh pe hath rakh kar ause khamosh karwaya!
oye kiya kar rahe ho chup hojao me tumhara ghar basane ki koshish kar raha ho or tum mera ghar ujard do,
baglol obviously Amaya ki dost Anaya or meri thori naa hogi Aliyan ause ghuse wali nigahon se dekhne laga,
itne me Amaya aagai kiya howa zain chilaa kyon rahe the?
or aliyan ap ne ais k mauh pe hath kyon rakha howa he?
Amaya mene jab aise kaha tumhein Anaya kesi lagti he tou ye khushi se chilaaa utha matlab aise Anaya pasand he Aliyan dandton me zuban pisae bola...
thats nice! me abhi call kar k "Bushra chachi" se bat karti hon rishte ki Amaya khushi se bhagte howe kamre ki janib lapki...
Ab Aliyan ne aus k mauh se hath hata diya
bhai jan ye kiya kiya ap ne bhabi ami se bat karne gai hen ami ne to damkhi di thi k auneh jo bhi rishta mille ga foran hanw kar den gi
ap ne acha nahi kiya zain mauh bana kar bola..
or tum tou jese bohat acha karne ja rahe the khud to ghar se nikalte hi mujhe bhi mere hi ghar se nikalwa dete...
hahaha bhai jan itna darte hein bhabi se facebook par status don ga The great bussinessman Aliyan Mustafa apni zooja Amaya Aliyan se bohat darte hein
bahar jin ki hakumat he aun pe bhi koi hakumat karta he zain ye keh kar hanste howe wahan se bhaga...
zain k bache ruko abhi tumhen batata hon mein aliyan bhi aus k piche bhagne laga....--

                                  -------****-----****-------*****------
kuch din bad, Amaya ki achnk tabiyat kharab hogai doctor ne bataya good news...
Aliyan ko tou jese sare jahan ki khushiyan mill gai ho...
wo dono bohat khush the...
Amaya bohat bohat mubarak ho chota aliyan on the way!
Amaya kehka laga kar hansi Anaya tum bhi na kuch bhi...
acha suno mujhe tum se kuch baat karni he..
han bolo kiya baat he mere mana karne se bhi tum kon sa chup raho gi anaya muskurate hoe boli
Anaya tumhein zain kesa lagta he? me chahti hon tum zain se shadi kar lo wo bohat acha larka he or mene ais bare mein aus se baat bhi ki thi
wo raazi he ais shadi k liye or bushra chachi ko bhi tum pasand ho wo kal tumhare ghar rishta le kar jaein gin...
Anaya ko samjh hi nahi aaya kiya jawab de inkar karne k liye koi wajah hona lazmi he par zain se shadi na karni ki koi wajah hi nahi thi
ais mein koi shak nahi k wo aik acha or suljah howa larka he or ye rishta aus ki bestfriend karwa rahi thi tou wo kese inkar karti hanw me hami bhar di
or anaya ki ais hanw se sab bohat khush the...
Anaya k ghar walon ne bhi rishte k liye hanw kar di..
Ab Anaya or zain ki mangni ki tayariyan hone lagin...
har tarf khushiyan hi khushiyan thi...
zain shayad mentally tor par tayar nahi tha shadi k liye aus ne demand ki k pehle engejment hogi phir aik do saal bad shadi sab ko ye bat thek lagi...
Anaya do bhaiyon ki aklooti behan he...
acha he mangni k bad ause kuch time or mill jaega apne waledein k sath rehne ka or ALLAH ka shukar he khariyat se engejment ki date bhi fix hogai he Amaya khushi se Aliyan ko batane lagi...
Amaya jo k dressing table k agey khadri baal banane mein masroof thi or Aliyan bed par behta leptop par masroof tha!
Aliyan aik baat pochun
hanw bolo na kiya baat he ab bhi aus ki nigahein leptop mein hi tikki hoi thi
Me kesi lag rahi ho?
kiya matlab kesi lag rahi ho tum tou hamesha hi achi lagti ho aus ne ab bhi ause nazar utha kar na dekha
Acha tou me hamesha hi achi lagti hon ok par ye colour mujh par kesa lag raha he? Amaya pink dress mein malboos thi or musalsal Aliyan ko hi dekh rahi thi
jo apne laptop mein magan tha!
Ary baba ye Sea'green colour tum par bohat acha lagta he
Acha sea'green mujh par acha lagta he wo ause ab gorne lagi
han han bohat acha kitni bar bataon ab?? aus ki nazrein ab bhi leptop mein thi
Pink colour ap ko sea'green lag raha he har waqt office work kabhi bv ko bhi time de diya karein mere liye tou fursat hi nahi he
jab mar jaon gin na tab bohat yaad karein ge ap mujhe wo ghuse mein wahan se chali gai...
Amaya amaya meri baat---- wo wahin khamosh ho gaya!

                             ------*****------*****-------*****-------

Episode 15
                    Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain


Bahaar ka mousam shuru hogaya, Amaya or Aliyan engejment se do din pehle hi Badar house aagae the!
Amaya shopping se thaki hari ghar aai socha kuch der so jae phir sham ko mehman bhi aana shuru hojae ge or kai kam hoge karne ko...
Sham ko asar k waqt uthi Asar ki namaz ada ki salam phera tou Aliyan ko kamre me paya wo leta kuch soch raha tha...
ap kab aae fresh ho jaein mein chae bana kar lati hon...
wo fresh hone chala gaya or kuch lamhon bad aus ka phone baja!
Amaya ne foran utha kar dekha ausi number se message tha!
"ap aae mil kar bohat khushi hoi wada karein kal phir aae ge mere pas me intezar karo gi" Amaya ki ankhein phati ki phati reh gai
jese aus k sar par kisi ne pahad tor diya ho ye sab kiya he aliyan kahan gae the or ye larki kon he jo bohat apnaiyat se message bhejti he
pehle tou wo office ki koi employee samjhti rahi thi ab zehan me kuch sawal Aubharne lage!
wo na chahte howe bhi Aliyan par shak karne lagi office ki or bhi employees hein wo tou aese bat nahi karti tou phir ye kon...?
Amaya mere sar mein dard ho raha he please mujhe distrub nahi karna me sone laga hon ye keh kar wo bed par let gaya or chehra bazu se dhakh liya...
Amaya samjh nahi pai ye sab kiya he? pehle tou kabhi aese achanak sar dard nahi howa..
Aliyan kiya howa koi pareshani he? me janti hon kuch soch rahe he aap..
Nahi kuch nahi, bas sar me dard he or wo khamosh leta raha or aese hi lete Aliyan k dil me najane kiya khayal aaya najane kiya soch kar wo kehne laga!
Amaya me soch raha hon k agar hm kuch time bad ye sab plane karein abhi nahi tou kiya ye mumkin he?
Amaya herani se ause dekhne lagi ause Aliyan ki ais bat se bohat dukh phuncha!
ause yaqeen nahi araha tha k Aliyan aesa keh sakta he wo tou ais good news se bohat khush tha tou phir aesi baat----- kesi baatein kar rahe hen ap
ALLAH ne do saal bad humein itni bari khushi se nawaza he or ap---- ap aesa soch bhi kese sakte hen?
Ap tou bohat khush the ais bat se to phir ab? Amaya ko pehle hi ghusa aya howa tha wo najane kese sabar kiye hoe thi ab aus ka sabar khatam ho chala tha
ap ne qasam kha li he k ap ne hamesha mujhe aiziyat bhare lafz bolne he hamesha mujhe rulana he...
Nahi nahi galat mat samjho mera wo matlab nahi tha me khush hon mene tou bas wese hi pocha tum itna ghusa mat karo tumhari tabiyat kharab ho jae gi...
Ap ko meri parwah karne ki zaroorat nahi wo ab uth khadri hoi ap ko koi khushi nahi he agar ap khush hote tou aesa kabhi na kehte ab wo wahan se chali gai...
Amaya meri bat tou suno, mera wo matlb nahi....... wo wahin khamosh hogaya
kisi ne aun dono ki batein sun li thi darwaze k bahar koi tha par jab wo uth kar dekhne laga tou wahan koi nazar nahi aaaya!
Aliyan ko khud bhi samjh nahi aa raha tha aus k zehan mein ye bat aai kyon?
Amaya aus se baat nahi kar rahi thi or mangni k roz bhi aus ne Aliyan se koi bat na ki wo bohat naraz thi or aus ka ghusa jaiz tha...
Ghar me sab mehman aae howe the sab tayar hone mein masroof the
Amaya safeed rang pe jamni rang ki kam wali frok mein malboos bohat piyari lag rahi thi wo apne kano mein jhumke pehan rahi thi jab aus ki nazar Washroom se nikalte Aliyan par gai
jo safeed shalwar kameez par jamni waistcoat mein malboos bohat handsome lag raha tha!
Amaya ne aik nazar dekh kar mauh pheer liya or foran kamre se nikal kar chali gai
Aliyan ki nazar soffe par pardhe duppte par prdhi Auf ye amu bhi na ghuse mein apna duppata lena bhi bhool gai wo duppata utha kar bahar lawn ki janib lapka
Aus ne Amaya ko dekha jo chalte howe bushra chachi k pas ja rahi thi aus ne piche se awaz di Amaya aus ne piche murd kar aliyan ko dekha
ye tumhara duppata wo hath se ishara karte hoe bola apna duppata tou le lo!

Anaya safeed lehnge pe surkh sitare motiyon se ache kam wale lehnge mein malboos bohat khoobsurat lag rahi thi,
zain bhi 3peacsoot mein acha lag raha tha sab stage pe photographs banwane lage or mubarak'bad dene lage!
Amaya stage se thora dor khadri sab ko dekh rahi thi
Aliyan seene par hath bandhe khadra ause dekhne laga wo behad haseen lag rahi thi kajal se labrees ankhein shayad kisi ko talash kar rahi thi...
kiya howa tabiyat tou thek he tumhari bohat khamosh lag rahi ho?
fahad aus k qareeb khadra pochne laga
jee me thek hon...
acha lag tou nahi rahi Aliyan se koi jhagdra howa he kiya?
nahi aesa kuch nahi he aliyan dor khadra dono ko baatein karta dekh raha tha or shayad ause jealousy mehsoos hone lagi...
Amaya ko apna dukh chupana ache se ata he aus ne pore function me apne chehre par muskurahat sajae rakhi wo stage ki janib bardhi Mubarak ho devrani jee
wo muskura kar boli!
khair mubarak jehthani jee dono gale lagi...
ache se sari rasoomat ho gai sab bohat khush the....
Amaya andar kitchen mein pani peene gai fridge se pani bottle nikal kar apne kamre ki janib chal di
wo kamre k bahar aik pole k pas khadri bottle se pani glass mein dalne lagi ab wo glass labon se lagae khadri thi jab kisi ne aus ka bazu pakar kar ause andar kamre ki janib khencha!
glass aus k hathon se dor ja gira choro mujhe wo chilai light jane ki wajah se kuch andhera tha wo aus shaks ka chehra dekh nahi pai
Amaya Mujhe tum se kuch baat karni he...
Aliyan Ap--ye kiya harkat he? mujhe ap se koi bat nahi karni mujhe akela chor dein
Amaya tum kuch ziyada hi react kar rahi ho..
me ziyada react kar rahi hon? ap aik masoom ki jan lene ki bat kar rahe he or me react bhi na karo ap ne mujhe bohat hurt kiya he chale jaein yahan se...
wo bina kuch kahe wahan se chala gaya..
ab light wapas aa chuki thi Amaya ki ankhon se ansu behne lage ausi waqt phone bajne ki awaz sunai di wo apna phone dekhne lagi par ye aus k phone ki awaz nahi thi
tou phir ye kis k phone ki awaz thi?
wo yahan wahan nazarein ghumane lagi table pe Aliyan ka cell phone charging pe laga howa tha amaya ne phone par nazar dali kisi ka message tha
wo cell'phone ki screen par ungli pherte hoe inbox kholne lagi ab aus k samne wo message open tha ab wo message pardhne lagi!
"Mene ap ko bulaya tha ap ne koi jawab nahi diya ap ka subha se intezar kar rahi hon Apni bivi ko choro or yahan aao mere pas ye mat bhulo k tum
apni Bivi se nafrat karte ho or kab tak ause bewaqoof banane ka irada he k tum ause pasand karte ho meri mano tou jald hi ye qissa khatam karo tum sirf mere ho Aliyan" ...
ye pardhte hi amaya k peron tale zamen hi khissk gai kajal se labress ankhon se tap tap ansu phone ki screen par girne lage ause bohat bura jhatkaa laga
or wo gumm'sum wahin zameen pe dewar se teek lagae beht gai or chote bachon ki tarah sar ghutno k darmiyan diye phoot phoot kar rone lagi...
kuch der bad mehsos howa jese koi ause dekh raha ho yahan wahan nazar ghumai par koi na tha shayad wo aus ka weham tha...
                  ----****----****----****----
Amaya kahan he aj mere liye itna bara khushi ka din he or wo kahan gayab he Anaya pas behti haniya se sawal karne lagi..
pata nahi me bhai se phochti hon!
Aliyan bhai bhabi kahan he anaya bhabi aune bula rahi he...
Haniya tum jao me amaya ko bula kar lata hon...
wo jese hi kamre me dakhil howa amaya ko rota dekh wo buri tarah chonka ause laga shayad amaya ko chakar aaya tabhi wo zameen par beht gai
kiya howa Amaya tum ro kiyon rahi ho aus ne ause uthane k liye bazu se pakra...
Hath mat lagao mujhe dor raho mujh se amaya ne ause apne se door dhaka diya me tumhari shakal bhi nahi dekhna chahti
mene kabhi socha bhi nahi tha tum mujhe itna bara dokha doge me kosti hon aus din ko jis din me tum se mili kash tum meri zindagi me hi na aate,
kiya mila tumhein mere sath aesa kar k batao kiya bigara tha mene tumhara...
Amaya ko laga Aliyan ne aus se badla liya he wo ab bhi yehi samjhta he k ause tang karne wali amaya thi tabhi ause aj bhi Amaya se nafrat he
ye shadi ye sweet behaviour ye sab dokhaa he

wo ghuse mein Aliyan ka gireban pakre jo aaya bolti gai ause dekh kar aesa lag raha tha jese wo pagal hogai he ause kuch samjh nahi aa raha tha
wo kiya keh rahi he...
Aliyan herani se ause dekhne laga ause sochne ka moqa hi nahi mila k amaya ye sab kiyon keh rahi he?
Amaya utho tumhari tabiyat kharab hojae gi rest karo ham kal bat karege ais bare mein, Amaya ko mazeed ghusa aaya wo sochne lagi aus ne itna kuch Aliyan se kaha or aise koi farq hi nahi padra
wo bed pe sone k liye let gai...
                                     ------******-----*****-----*****-------

Agley roz subha wo 12:00 baje so kar uthi sar mein ab bhi shaded dard tha...
Good morning uth gai madam!
wo herani se ause dekhne lagi Aliyan tou aese tha jese kuch howa hi naa ho wo abb bhi aus se naraz thi
Amaya ye takiya gilaa kiyon he tumhara? aus ne takiye ko dekhte howe sawal kiya
(shayad wo pori raat roti rahi thi)
AC ka pani gira hoga aus ne dhemi awaz mein jawab diya..
Aliyan ne opar dewar par lage AC ki janib dekha fahahd ko kehta ho apna AC tou repair karwa le phir aus ne amaya ki tarf dekha
Amaya tum raat bhar roti rahi ho?
tumhari ankhein sooji hoi kiyon hen?
Aus ne koi jawab na diya or uth kar wahan se chali gai...
Aliyan ko mehsoos howa wo ab bhi aus se naraz he acha tou madam ab bhi naraz hein sham ko mana lon ga abhi office chalta hun meeting bhi he wo ab office ravana hogaya!
sab mehman ja chuke the or Amaya bhi Aliyan ko bina batae Apne ghar Aliyan house chali aai thi...
ause ais shakhs se nafrat si hone lagi par najane kyon wo saf saf ause messages ki bat keh na saki wo sochne lagi akhir ye larki kon he
kyon aese message karti he?
kahin ye larki wohi tou nahi jis ka Aliyan ne aik bar zikar kiya tha k ause koi pasand he or wo aus se milne jae ga shadi k silsile mein...
mene kabhi Aliyan se ye kiyon nahi pocha k Agar wo ause pasand thi tou mujh se shadi kiyon ki? aus k zehan mein kai sawal the
wo ab bhi bachon ki tarah ro rahi thi...

kuch der mein Aliyan office se ghar aaya Amaya bed par bazu se mau dakee leti hoi thi
Amaya ye kiya harkat he?
kesi harkat? wo bina ause dekhe pochne lagi
Abhi Badar House gaya tha wahan ja kar pata chala k tum ghar aa gai tum bina batae kiyon aagai? ziyada dimag kharab hogaya he tumhara pata bhi he k tabiyat thek nahi he wo ghuse mein chilane laga...
ab wo achanak ghuse mein uth khadri hoi ro ro kar aus ki ankhein surkh ho chuki thi wo kisi sherni ki tarah dhardi Mr.Aliyan Mustafa chilaein mat
chilana mujhe bhi ata he behtar hoga ap meri tabiyat ki bat na hi karen tou agar meri tabiyat ka itna hi khayal hota tou
koi aesi harkat na karte jis se mujhe taklef phunche par ap har roz mujhe koi na koi taklef zaror dete he...
Amaya tumhein ho kiya gaya he kesi baatein kar rahi ho?
tum aese karti ho tabhi mujhe tum par ghusa ata he...
jab me pasand hi nahi thi tou kyon ki mujh se shadi mene ap ka ehsan nahi manga tha or hanw ab tou meri har bat pe ghusa hi aaega...
hanw nikal lo apne dil ki brdhaaas mene galti ki jo tum se jane anjane mein wo bat keh di, wo bhi ghuse mein zor se chilaya...
Ause laga Amaya aus ki be'tuqi baat ki wajah se khafa he par Amaya tou aus bat k sath sath aus k diye howe Dokhe ki wajah se bhi ab khafa thi...
Darwaze par dastak hoi Aliyan ne darwaza khola ye juice Amaya k liye fahad hath me juice pakre khadra tha!
Rakh do yahan or jao yahan se Aliyan ne kafi taalkh lehje me fahad se bat ki..
Aliyan kiya howa ghuse me kyon ho? wo juice ka glass rakhte hoe bola
tum se matlab tum jao yahan se- Fahad chup chap wahan se chala gaya
Amaya juice pee lo tum ne kuch nahi khaya he subha se...
meri fikar mat karen me marne nahi lagi bina kuch khae piye or mein janti ho agar me mar bhi jao tou tum aik ansu bhi nahi bahao ge
tumhein tou khushi hogi mere marne pe azad jo ho jao ge....
wo ab bhi samjh nahi paa raha tha akhir aise howa kiya he wo itni bar mafi mang chuka he phir bhi amaya ka itna taalakh lehja or ghuse me ause itna hosh na tha k
wo 'ap' se 'tum' pe aagai thi aus ne kabhi bhi Aliyan ko tum keh kar mukhatib nahi kiya tha...
acha tou tum piyar se kehne pe nahi piyo gi? thek he mujhe dosra rasta bhi ata he
Aliyan ne juice ka glass uthaya or ause bazu se pakar kar zabardasti juice ka glass aus k labon se laga diya...
phir juice ka glass rakhne kitchen me chala gaya..
wo wapas kamre me aaya aus ki ankhein khuli ki khuli reh gai Amaya zameen pe behosh pardi thi..
Amaya amaya! Amaya ankhein kholo wo cheekhta howa aus k gal pe hath mar mar kar ause uthane ki koshish karne laga
foran ause utha kar hospital le gaya aus ka dimag kam nahi kar raha tha wo sunn reh gaya achnak amaya ko ho kiya gaya?
Hospital phuncha tou doctor ne admit kar liya nurses yahan wahan bhaagne lagi koi kuch batane ko raazi hi na tha k amaya ko howa kiya he?
Aliyan k chehre par pareshani chah gai ause samjh nahi aarha tha kiya kare kisey bulae kuch der bad aus ne apni jaib se cell phone nikala or jaldi
jaldi number dail karne laga!
he'hello fahad a'amaya hospital... ais se agey aus se kuch bola nahi ja raha tha phone cut gaya,
Aliyan ka phone baja he'hello zain amaya hospital...aus k lafz wahin toot gae
aus k gale se koi awaz hi nahi nikal rahi thi kuch der mein fahad or zain hospital phunch gae...
kiya howa Amaya ko khariyat tou he? fahad ne sawal kiya
pa'pata nahi me kamre me gaya amaya zameen pe giri hoi thi, bohat uthaya uthi nahi me yahan le aaya or dekho nurses bhagti phirr rahi he
par koi mujhe nahi bata raha amu kesi he aus ki ankhon se betahashaa ansu behne lage aj se pehle wo kabhi ais tarah nahi roya tha...

Aliyan bhai jan fikar na karen ALLAH sab behtar kare ga, dekhna kuch der me achi khabar miley gi k bhabi bilkul thek hen zain ause hosla dene laga...
Dua karo zain aesa hi ho..
Tum ne ghar walo ko bataya Aliyan?
Nahi fahad mene kisi ko kuch nahi bataya tum bhi mat batana sab pareshan hojae ge
Magrab ki azan hone lagi Aliyan dil me duwaein karne laga thori der me utha or jahe'namaz bicha kar namaz pardhne laga
Wo pehle bhi namaz pardhta raha he par aj aus k namaz pardhne mein kuch or hi baat thi
Ab wo dua k liye hath utha raha tha ankhon mein mote mote ansu the
samne Anaya khadri ause dua mangta dekh rahi thi jese hi ause amaya ki khabar milli wo foran hospital aagai!
Aey Mere Malik Amaya ko jald hi thek kar de Ause koi nuqsan na ho aus par reham kar aus ne kabhi kisi ka bura nahi chaha
mujh se galti ho gai jo me betuki baat zuban par laya Aey mere malik tu har cheez se waqif he tujh se kuch bhi chupa howa nahi he
tu sab kuch janta he tu har cheez par qadir he
Amaya ko thek kar de ause mujh se door na karna Me ye dukh bardasht nahi kar pao ga
Dil chahta he waqt ko rok lon, meri zindagi mein jo ye ulti ginti chal rahi he ais ko rook lon
aus k ansu aus ki hatheliyon par girne lage...
Anaya ne pehli bar Aliyan ko aese amaya k liye rote dekha tha!
Aey mere rab meri Amaya ko bilkul thek kar de ause kuch na ho wo ab meri zindagi ban gai he meri wajah se ause jo bhi dukh mile aun sab ki saza mujhe de de
par amaya ko kuch na ho aus ki ankhon se ansu bahey ja rahe the...
Anaya aus k qareeb aai Aliyan bhai ALLAH pak se jab bhi ap kuch mangein tou bharose k sath mangein
kiyon k wo tab bhi deta he jab ham aus se nahi mangte
phir ye kese mumkin he k hm mange or wo ata na kare!
Wo khamoshi se utha or jahe'namaz teh karne laga..

kuch der bad, docter sahab bahir aae..
Aliyan bhaag kar aun ki janib lapka doctor Amaya.....
sorry! hum nahi bacha sakey aun k juice mein---

ye sunte hi jese Aliyan k peron taley zamen hi khissk gai wo apne hosh khoo behta gum'sum wahin zameen pe dewar se teek lagae beht gaya
aus ki ankhon se ab aik ansu na gira ause bohat bura dachka laga ause gehra sadma phuncha...
fahad zain or anaya rone lage or koshish ki k aliyan ki ankhon se ansu baheey zain ause jhinjodne laga bhai jan, bhai...
aus ki awaz me kap'kapahat thi aus k gale se awaz hi nahi nikal rahi thi ankhon se ansu bahe ja rahe the par Aliyan gum'sum behta tha...
kuch lamhe bad aus k hosh bahaal howe or wo phot phot kar rone laga!
A'Am'maya mujhe aese akela chor kar nahi ja sakti zain, Aliyan k hont kap'kapane lage
zain amaya ne mujh se wada kiya tha k wo hamesha mere sath rahe gi me janta ho wo mujhe tang kar rahi he ghusa he naaw mujh se
abhi dekhna me ja kar uthao ga or wo uth jaegi a'anaya me kabhi ghusa nahi karo ga amaya pe aliyan apne hosh-o-awaz me nahi lag raha tha
zain or fahad aik dosre ko dukhi nazron se dekhne lage kahin aliyan ko sadma or wo pagal.......
nahi aesa nahi ho sakta Aliyan hosh me aao khud ko sumbhalo amaya humein chor kar ja chuki he fahad ause jhinjhodne laga...
kuch pal k liye Aliyan khamosh howa or dobara bachon ki tarah rone laga auski halat paglon jesi hogai ause kuch sooj hi nahi raha tha
jese dimag ne kam karna chor diya ho...

Anaya ause dilase dene lagi, Aliyan bhai khuda ki chez thi khuda ne wapas leli ap or hum kuch nahi kar sakte
aik na aik din tou sab ne jana he, anaya ki ankhon se ansu bahe ja rahe the wo aliyan ko dilase dete dete khud phot phot kar rone lagi or wahin zameen pe beht gai,
(charon) itni thand mein zameen pe behte ro rahe the kisi ne doctor ki baat par gor nahi kiya!
Anaya, Amaya ne kaha tha k khuda apne bandon ko (70 maaon)se ziyada muhabbat karta he wo kabhi apne bandon k sath bura nahi karta
auneh dukhi nahi karta phir mere sath aesa kyon? kiya khuda mujh se muhabbat nahi karta me bhi tou ausi ka hi banda hon
aus ki ankhon mein beshumar ansun the...
wo bilkul bhi heran nahi hoi auski baton pe wo janti thi Aliyan ab amaya se beloos muhabbat karne laga tha or ais waqt wo blkul toot chuka he
shayad aus k mau se nikli ye baatein jaiz thi, wo apni muhabbat jatata nahi tha shayad yehi auska andaz amaya ko bohat pasand tha!
par anaya ko samjh nahi aaya wo kiya jawab de wo zain ko dekhne lagi....
Bhai jan khud ko sumbhalein aesa nahi kehte aesi baaton se ALLAH naraz hota he hamari zindagi khuda ki amanat he wo jab chahey apni amanat wapas le sakta he
zain samjhane laga par aliyan ko kuch samjh nahi aarha tha ya shayad wo samjhna hi nahi chahta tha!
zain rone do Aliyan ko ais ka dil halka hojaega, fahad apne ansu saf karne laga
charo khamoshi se zameen pe behte kisi soch mein doob gae...
Aliyan kabhi khamosh hojata tou kabhi zor zor se rone lagta ause Amaya ki baatein yad ane lagi...
hum ais benghan me beht kar jaege?
zindagi me kabhi milley to ye mat kehna ap ko kahin dekha he!
ye aakhri akhri badtmeziyan he aliyan phir ap kahan or me kahan!
apna Ego kabhi mat chorna!
"Muhabbat tou achi larkiyon ko bhi ho hi jaati he
lekin jab aine ye pata chal jae k wo muhabbat aineh mill hi nahi sakti
tou wo khamosh rehti hen achi larkiyan khamosh hi achi lagti hen"
me apne bete ka naam shams rakho gi,
mene to apne shams ka rishta bhi paka kar dya he,
ye hoi naa ache shoharo walo baat bas aese hi meri taref karte raha karein,
pora ka pora khandan hi pagal he,
sehda bolo na khamosh hojao lecture dene ki kiya zarorat thi,
tum mujh se jalte ho q k me tum se better hon,
me mar gai na tou mujhe yaad kar k roe ge ap,
ALLAH pak apne bandon ko 70maon se ziyada chahta he wo kabhi hamare sath bura nahi karta,
dene wali zaat khuda ki he humein har hal me aus ka shukar ada karna chahiye,
i love it when you hug me
it's the best feeling in the world...!
mujhe tum se nafrat hone lagi he kiya bigara tha mene tumhara---
me mar gai tou ap aik ansu nahi bahaein ge.... ye amaya ka akhri jumla tha
sorry hum nahi bacha sake aun k juice mein.... aun k juice mein----ye bat zehan me aate hi wo buri tarha se chonkaaa jese ause kuch yad aaya ho...

Aliyan kiya howa tum ro kiyon rahe ho or yahan kese?
Dr.anas wo mujhe chor kar chali gai aus ne dr.anas k gale lag kar rona shuru kar diya
kon chor kar chali gai? wo chonkee
Aik Larki thi Amaya
shararti si,
wafa k roob si,
Masoom si,
Mukhlis si,
sab se munfird si,
Wo Amaya aj mujhe tanha chor kar chali gai Dr.Anas wo ab ais duniya mein nahi rahi wo jate jate mujh se mera sab kuch le gai...


                                ------******-----*****-----*****-------


Dosri janib Anaya behti ansu baha rahi thi aus k ansu rukne ka naam nahi le rahe the...
aus k dimag me amaya ki baten chalne lagi,
anaya tumhari shairi pakao hoti he par maza ki hoti he..
me apne bete ki shadi tmhari beti se karo gi,
tumehn tou me apne khandan ki bahu banao gi,
mere liye tmhari muskurahat sab kuch he,
Anaya Allah jo bhi karta he hamare bhale k liye karta he hamesha aus ki raza me razi rehna kabhi udas na hona!
me bohat lucky ho jo tum jesi dost mujhe mili hum dost nahi behne he,
abhi dekh teri behan kesi scheme chalati he,
chalo round lagate he couples ki date kharab karte he,
tum zain se shadi karo gi?
Anaya me koi mazhabi scoloar tou nahi hun par phir bhi mujhe islam ki kafi knowledge he


Aliyan dr.anas k gale lage ro raha tha jab ause dobara kuch yad aaya aus ne foran dr.anas ko khud se alag kiya or fahad ki janib lapka
Aus ne gireban se fahad ko pakra or marna shuru kar diya or ghaset'tey howe hospital k bahar le gaya
aus ki ankhon me ghusa or junoon tha...
bhai jan ye kiya kar rahe he ap choren fahad bhai ko zain ne dono ko churwaya agar zain bech me na aata tou shayad
aj Aliyan fahad ko lahu'lohan kar deta...
Aik bar phir wo ghuse me fahad ki janib bardha mene galti ki jo sab kuch jante howe bhi ais dokhebaz ko bhaiyo ki tarha samjha par ais ne kiya kiya
mar diya meri bv ko kiya milla tumhein meri zindagi tabah kar k? sab k chehro pe herani bhare tasuraat the sab ki nazrein aik dosre se takrane lagi!
subha juice yehi le kar aya tha Amaya k liye or ye chup chup kar hamari baatein bhi suna karta tha,
jab se amaya meri zindagi me aai he tab se ye jalta tha mujh se ais ne mere bache ko marne ki koshish ki ais ne juice me zehar milaya,
sach to ye he k ye aj bhi amaya ko pasand karta he ais ko meri khushi achi nahi lag rahi thi tabhi ais ne aik hi jhatke me meri tamam khushiyan mujh se cheen li
meri amaya mujh se cheen li bolo kiya mila tumhein do masoom jane le kar me tumhein itni asani se nahi choro ga fahad alam
tum qatil ho meri bivi or bache k qatil Aliyan ki ankhon me wehshat or ghusa tha...

Fahad ne ause apne se door dakhka diya Bakhwas band karo Aliyan me tumhari halat ka khayal kar k kuch keh nahi raha ais ka matlab ye nahi k
tum kuch bhi bakhwas karte jao ge mene kabhi ause tum se dor karne ka socha bhi nahi he mujhe tum dono se muhabbat he tumhein khush dekh kar mujhe bhi khushi hoti he
kitni aasani se tum ne keh diya k me dokhebaz hon aik pal me hi sab kuch bhool gae,
mene hi tumhein ehsas dilaya tha k tum Amaya ko pasand karte ho, agar me ehsas na dilata tou amaya tumhari kabhi na hoti
me chahta tou tumhein kuch bhi ulta keh kar bardhka sakta tha,
par mene khud k bare me nahi socha k me bhi amaya ko pasand karta tha mene tumhari khatir kisi se kuch nahi kaha kisi se dil ki bat nahi kahi or mujhe kiya lage jo me tum logo ki baaten suno
jahan tak mujhe yad he Amaya kuch din se upset thi kyon k tum har waqt aus se larte the par wo bechari kisi se kuch nahi kehti thi
you know what ab mujhe lagta he k tum amaya k layak hi nahi ho amaya ki moot k zamedar tum ho tum ne mara he amaya ko fahad zor zor se chilaane laga...
bas kardo tum log aik dosre pe ilzam lagana band karo warna mujhe police ko bulana padre ga Dr.anas chilaaa kar bole...
fahad aj apne jazbat dil me na rakh saka ause bhi amaya ki mout ka bohat dukh tha!
jahan aik roz qabal khushiyaan thi, aj wahan matam ka sama ban gaya..
kise pata tha ain ki zindagi yuu palat jae gi,
Aliyan pagalon ki tarah ro raha tha sab kuch aik hi pal me khatam hogaya...
                        ------******-----*****-----*****-------
                                                     
Episode 16
                  Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

Abrar mera phone kahan he? tumhari chachi se pochun tou zain ki shadi kab kar rahi hen or tumhare liye bhi baat karo agar koi larki nazar me he tou hamein bhi bata dein...
Abrar kano mein head'phone lagae gane sun'ne mein masroof tha!
Abrar kuch kaha he mene Mrs.Arif ause bazu se pakarte hoe boli
jee suna mene ap ne jo kaha or koi zarort nahi mere liye koi larki talash karne ki mujhe koi shadi wagera nahi karni aus ne ghuse se apne head'phone nikal kar zor se table par patkhe...
Abrar zid chor do abb, sab apni apni zindagi me khush he tum bhi apni zindagi me agey bardho ab wo soffe par behti thin...
Mujhe koi lecture nahi sun'na mama please ap jaein yahan se mujhe akela chor dein
Ye kiya badtmezi he Abrar tum din'ba'din bohat badtmeez hote ja rahe ho..
                 ----****----****----****----

Aliyan ab bhi wahin behta ansu baha raha tha aus ki himat nahi ho rahi thi k wo aik nazar Amaya ko dekh le
utho andar chalo mere sath or meri baat suno!
kiya howa Dr.Anas?
tum pehle andar chalo phir batata hun ab wo uth kar Dr.Anas k room ki tarf chal diye
Ab wo Dr.Anas k room mein behte the Nurse kamre mein dakhil hoi
Dr.sahab ye lein Mrs.Aliyan ki reports or ab wo khatre se bahar he mene drip laga di he..
Aliyan ki ankhein phati ki phati reh gai wo herani se kabhi Dr.anas ko dekhe tou kabhi Aus nurse ko
Amaya ko kuch nahi howa he wo zinda he! Dr.anas Aliyan k chehre k tasuraat dekhte howe ause batane lage
kiya waqai A'Amaya zinda he? Ause apne kanoo par yaqeen nahi aa raha tha k jo kuch aus ne suna he kiya ye waqai sach he
han han me sach keh raha ho aao mere sath Dr.anas apne sath ICU Room le gae...
Amaya ICU room mein bed pe leti thi par ause hosh na tha wo ICU room k bahar lage sheshe se andar ki janib ause dekhne laga
wo dekho amaya ki sansein chal rahi he or wo dekho machine me aus k dil ki dhardkaane bhi chal rahi he par.......... wahin Dr.anas khamosh hogae
par kiya Dr.anas? Aliyan aik dam ghabraya
Aus ka baby aus ko nahi bacha sake, Amaya k juice me kisi ne koi zeharili dawa mila di thi jis se aus k baby ko nuqsan phuncha he...
Aliyan ye sunte hi aik bar phir rone laga ause khud pe ghusa aane laga jo baat aus ne aese hi himakat mein Amaya ko kahi thi wo kisi or trah pori hogai thi
dosri janib wo ye jan kar khush bhi tha k Amaya zinda he...
kon jane aus doctor ne jhoot kyon kaha tha?
zain or Anaya aus k pas aae kiya howa bhai jan ap yahan kiya kar rahe he?
Wo dekho zain amaya zinda he aus k dil ki dhardkane chal rahi he
zain or anaya Icu room k sheshe se andar ki janib dekhne lage aun k chehre par khushi ki aik lehar dordi
Anaya ne khushi se fahad ko batana chaha par wo wahan majood na tha fahad bhai kahan gae zain?
fahad k naam par Aliyan aag'bagola ho gaya naam mat lo aus ka mere samne or ab agar wo mere or Amaya k aas paas nazar bhi aaya tou mujh se bura kuch na hoga
ap fikar na karein bhai jan mene bhai ko ghar bhej diya he ab wo yahan nahi aae ge..
Amaya ko hosh aagaya he tum andar ja sakte ho Dr.anas ne ause andar jane ki ijazat di..
Aliyan k chehre par khushi chah gai wo ALLAH ka shukar ada karne lage
wo foran bhagta howa andar gaya ause dekhte hi Amaya ne ankhein band kar li...
Amaya me janta ho tum jaag rahi ho mujh se bat karo aus k lehje mein Amaya se baat karne ki shidad thi jese wo sadiyoon se aus ka intezar kar raha ho...
Mujhe ap se koi baat nahi karni ankhein khol kar aus ne zara sa aliyan ki janib dekha,
Amaya kesi tabiyat he tumhari Dr.anas ause injection lagane lage,
jee behter hon ap kese hen Dr.Anas?
Me bhi thek hon, tum achnak kahan gayab hogai thi or tum dono ki shadi kab hoi mujhe to abhi pata chala jab mene tumhari reports dekhi
mujhe bohat dukh howa
Dukh? wo kiyon Amaya herani se pochne lagi!
tumhein aliyan ne nahi bataya, you lost your baby take rest ye keh kar wo wahan se chale gae!
Amaya ki ankhon se ansu behne lage wo cheekh cheekh kar rone lagi phir achanak khamosh hogai or kahin khoo gai shayad kuch yad karne ki koshish kar rahi thi
--Amaya kyon na ham bad me plane karen---Aliyan ki kahi hoi bat aus k zehan me chalne lagi or wo aik bar phir phoot phoot kar rone lagi
Amaya chup ho jao Aliyan ause chup karwane laga
dor hojao hath mat lagana mujhe wo cheekh cheekh kar bolne lagi mar diya kar li apni khuwaish pori ap ne hi mujhe zabardasti juice peelaya tha,
ap kabhi chahte hi nahi the k hamari zindagi me koi khushi aae,
Amaya meri bat.....
bolne do mujhe aj me chup nahi raho gi, wo ab bhi chila rahi thi or mazeed agey bolne lagi,
kiya mila aik masoom ki jan le kar?
Kiya mila mujhe dookha de kar?
Kiya milaa mujh se nafrat kar kar?
meri aik bat yad rakhna Aliyan Mustafa ab jab bhi dosron k bacho ko dekho ge tumhein apna bacha yad aae ga..
tum ne mar diya tum qatil ho or me aik qatil k sath nahi reh sakti, wo bina kuch soche samjhe bole ja rahi thi...
par Amaya me.... chale jao yahan se ais se pehle k mujh se or badtmeziyaan hojae khuda tumhein kabhi maf nahi kare ga aliyan tum pashtao ge
mene kabhi socha bhi nahi tha tum mere sath aesa karoge tum ne mujh se badla lene k liye shadi ki ye shadi aik dokha tha...
Amaya ye kiya keh rahi ho tum? aesa kuch bhi nahi he tum mujhe aik moqa tou do meri baat kehne ka
kiya howa tum itna chilaa kiyon rahi ho?Anaya aik dum andar aaai
chale jao sab yahan se akela chor do mujhe, mujhe kisi ki zarorat nahi wo rote howe chilaa rahi thi
aus k chekhne ki awaz sun kar dr.anas foran bhagte hoe Icu Room aae or ause injection diya jis se wo behosh hogai...
Dr.anas y'ye kiya kiya ap ne? Aliyan k hont kap'kapa rahe the ause kuch samjh nahi aa raha tha ye sab ho kiya raha he?
Amaya k chilaane se wo or bemar hojaati or phir ais ki tabiyat sumbhalna mushkil hojata tum mere sath aao kuch bat karni he dr.anas ause apne sath le gae..

Ab wo Dr.Anas k kamre mein aa kar beht gae Aliyan me nahi janta tum dono k bech kesa rishta he par tumhein amaya ko hurt nahi karna chahiye
wo tum se be-inteha muhabbat karti he aliyan herani se dr.anas ki janib dekhne laga (aineh kese pata)?
Aliyan mera man'na he ap Muhabbat sab se karein lekin ais se or bhi ziyada karein
jis k dil mein ap k liye ap se bhi ziyada muhabbat ho!
Amaya bohat achi larki he kabhi aus ne kisi ka bura nahi chaha, aus ne hamesha sab ki madad ki he or ause badle me bs emandari chahye or kuch nahi,
agar koi ap se larta he tou wo ap se piyar bhi utna hi karta he me janta ho tum bhi amaya ko chahne lage ho najane kiyon mujhe tumhari chahat mehsoos hoi or mujhe behad khushi hoi
par ap ko ye sab kese pata Dr.Anas?

Aj se 5saal pehle aik lady ka excident howa tha or aus waqt Amaya ko ALLAH ne madad k liye bheja
amaya aus lady ko hospital lai hum ne bohat koshish ki par hum ause bacha na sake,
Amaya jis apartment mein rehti thi me bhi wahin rehta tha aus din mene aus ka shukriya ada kiya par wo samjh nahi pai shukriya kis chez ka?
meri kabhi amaya se koi khas bat nahi hoi thi
wo aesi larki hr'giz nahi jo har aik se fzool bat kare ya har aik ko apne ghar aane ki ijazat de wo bohat suljhi hoi larki he meri pehli or akhri thori lambi bat aus roz hoi
jab mein Turkey ja raha tha meri raat 12:00 baje ki flight thi, aus se channd ghante qabal mene dekha aik larki hathon me dairy liye lawn me behti kuch likh rahi he
or aus ki ankhon se ansu beh rahe he tab me aus k qareeb gaya or pas wali chair par beht gaya....
Ap kiya likh rahi hein Mis Amaya?
Me ais duniya k logo k bare me likh rahi hon yahan k log bohat ajeeb he bina soche samjhe kuch bhi keh dete he itna nahi sochte k agla insan kitna hurt hoga
wo apne hathon ki pusht se ansu saf karte howe boli, aus k lehje me takleef thi jese wo bohat dukhi ho...
kiyo kiya howa he duniya walo ne kiya kar diya?
Amaya ne mujhe tamam bat batai jo university k shuru k dino mein howa tum ne aus ki insult ki wo bohat dukhi thi aliyan kabhi aus ne tumhein tang nahi kiya tha
wo sab kuch kiran ka kiya'dhara tha aus ne bohat hi hoshyari se tumhari nazron se Amaya ko gira diya tha...
Ab Aliyan k chehre par herani thi par dr.anas kiran ne aesa kiyo kiyaa? Aliyan herani se pochne laga
kyon k kiran tumhein pasand karti thi or wo itni khoobsurat nahi thi aus k dil me dar tha agar kabhi aus ne tumhein dil ki bat kahi tou
tum ause reject kar do ge na jane kiyo kiran ko lagne laga tha k tum amaya me intrested ho or amaya bhi tumhein pasand karne lagi he
Amaya khoobsurat bhi he or khoobseerat bhi tou kahin tum dono ka couple na ban jae ais liye kiran ne bohat hi maharat se Amaya ko set'up kiya or tumhari nazron se gira diya
wo har qeemat pe tumhein pana chahti thi or amaya se ais bare me aus ne zikar bhi kiya tha k wo tumhein pasand karti he or amaya aus ki madad kare
par amaya ne saf inkar kar diya k wo kabhi aesi ulti harkat nahi kar sakti bas aisi par kiran ko ghusa aagaya or ause amaya se nafrat si hone lagi
aus ne jan boj kar amaya se dosti ki wo har haal mein amaya ki image kharab karna chahti thi aus ka ego torna chahti thi
red scarf amaya ausi k kehne par pehan kar aai thi
wo bechari har bat se anjan ause kiya pata tha k red scarf k piche kahani kiya he aus k sath kiya hone wala he tumhari har baat ause lahu'lohan karti rahi...
Aliyan bohat hi gor se Doctor ki baatein sun raha tha!
tum ne hospital me ause kaha k tum aus se nafrat karte ho wo achi larki nahi he wagera wagera ye baat aus k dil par goli ki tarah lagi thi
hamesha khush rehne wali amaya tumhari wajah se tumhari muhabbat mein bilkul badal gai thi wo akard wo ego sab kuch chor diya tha aus ne
wo bas ab apne dil ki sun'ne lagi thi...
khair ye sab to porani baatein hein abb to amaya tumhari bivi he or ye jan kar mujhe bohat khushi hoi agar tum dono k darmiyan koi galatfehmiyan he tou jald hi khatam kar lo aesa na ho der ho jae dr.anas wahin chup hogae.

Dr.anas mene ais baat par kabhi gor kiyon nahi kiya? mene kabhi amaya se pocha kiyon nahi k mujhe kis ne tang kiya tha or amaya aus ne bhi
mujhe kiran k bare mein kuch nahi bataya or kiran se mujhe hamdardi thi or aj mujhe aus se nafrat mehsoos ho rahi he
aus ne meri nazar mein waqai amaya ko buri tarah gira diya tha mujhe tou amaya se nafrat si hogai thi ause dekhte hi mujhe bohat ghusa aata tha
kiran ko aus ki burai ki saza mili he ALLAH ne ause saza di he aus ne aik larki ho kar dosri larki ki izat par daag lagaya!
Aliyan ki ankhein namm hogai jese aus par koi pahad toot gaya ho waqai aus ne aik achi larki k sath bura salook kiya tha
ause khud par ghusa aane laga kiya mein itna bewaqof ho k aik larki ne mujhe bewaqoof bana diya....
Dr.anas apne glases utar kar tissue se saaf karne lage
kiya howa he kiran k sath kesi saza dr.anas ne sawal kiya...
aus ki shadi zabardsti kisi sharabi se karwa di gai he jo ause roz buri tarah se marta he aus par shak karta he wo aus shaks k hathon bohat ruswa hoi he...
Aliyan jo hona tha hogaya aus k liye dua karo k ALLAH aus k shohar ko naik hidayat de!
Amaya apni dost ki shadi mein kiran se milli thi or mene aun dono ko kafi der tak baatein karte dekha tha tou kiya amaya aus ki harkatein jante hoe bhi kuch nahi boli
Aliyan jahan tak mera andaza he amaya ne tumhein ais liye kiran k bare mein nahi bataya kiyon k wo nahi chahti hogi k kiran tumhari nazron mein gire
warna wo tumhein bata sakti thi par aus ne nahi bataya kiyon k ause raaz rakhna aate he!
Dr.anas or kiya jante he ap amaya k bare mein?
Aus roz mene amaya se sawal pocha tha, Amaya kiya tum Aliyan ko pasand karti ho?
me janta tha wo roz-e-qayamat tak ye bat tasleem nahi kare gi aus k liye aus ka Ego sab kuch tha aus ne nazrein churaate howe jawab diya
nahi dr.anas aesa to kuch nahi me aus shaks ko kese pasand kar sakti hon jis ne itne logo k samne meri insult ki ....
Amaya jhoot mat bolo mujhe tumhari ankhon me aus k liye chahat dikhai deti he amaya ki ajeeb chahat aus raat bhi tumhari ankhon mein ansu or chehre pe pareshani thi
jab tum aliyan ko ghar lai or bhagte howe mere pas aai k me auska treatment karon!
Thek he me janta ho tum sab ki madad karti ho par har aik k liye wo ansu or pareshani nahi hoti jo aus raat mene dekhi,
Amaya apni EGO chor do or tasleem kar lo k tumhein jitna aliyan pe ghusa he aus se kai ziyada muhabbat bhi he kabhi kabhi kuch nae rishte banane k liye EGO chorni parhti he
aik bar ego chor kar mehsoos karo apni dil ki baatein...
Agar bohat der hogai tou ziyada taklef hogi wo apni bheegi palkhein utha kar mujhe dekhne lagi Ego tou me kab ki chor chuki...
Dr.anas ap ko pata he Anaya bhi yehi kehti he k me apna ego chor do or mehsoos karo dil ki baat or ap kese logo ko parakh lete he?
aus ne itni masomiyat se ye sawal pocha tha k mujhe hansi aagai kiyon tumhein logo ko parakhna nahi ata?
Nahi anaya kehti he mujhe logo ko parakhna nahi ata me sab ko acha samjhti ho..
haha bilkul durust farmati hen anaya ap ko waqai sab ache lagte he kyon k ap khud achi hein par ahsta ahsta tumhein bhi logo ko parakhna aajaega
hamesha waqt aik sa nahi rehta!
Dr.anas ki baaton me kuch dukh sa tha jo amaya ko mehsoos howa, amaya ko logo ki baaten khas tor par dil me chupi howi baaten ache se mehsoos karna ati he
Dr.anas ap bohat achi baatein karte he wo halka sa muskurai...
thankyou ap bhi achi or masoom baatein karti hen acha me chalta ho flight ka waqt ho raha he
kiya ap hamesha k liye ja rahe he dr.anas?
jee me hamesha k liye ja raha hon ab mera yahan dil nahi lagta ya shayad me yahan rehna hi nahi chahta wo khoe howe andaz me bole!
Amaya ko phir kuch mehsoos howa...
kiya ham phir kabhi baat nahi kar sake ge dr.anas aus ne nihayat hi masomiyat se kaha,
kiyon tum chahti ho baat karna?
jee me ap se jan'na chahti ho ais duniya k logo k bare mein ap bohat ache insan hen,
thankyou par shayad hum kabhi baat na kare zindagi me hamesha insan ko wo chez wesi nahi milti
jesi wo chor k jata he sab humari marzi k mutabiq nahi ho sakta amaya apna khayal rakhna Allah Hafiz...
wo dr.anas ko jate howe dekhne lagi jab tak k wo aus ki nazron se gayab nahi hogae...

Aliyan ab bhi dehan se aun ki baatein sun raha tha or ab aus ki ankhein numm ho gai thi
Aus k agley roz hi tum mere ghar aae amaya ka pochne aus waqt me turkey k liye niklne wala tha meri flight aik din deley hogai thi
jis wajah se me raat mein ja nahi saka tha or wapas ghar aagaya tha or tumhare jane k baad me amaya k apartment mein gaya par wo wahan nahi thi
wo raat hi kahin ja chuki thi par apne jane k bare mein aus ne mujhe nahi bataya tha dobara kabhi amaya kahin mili nahi shayad mene thek kaha tha
hm jesa jo chor k jate he wo wesa dobara nahi milta aus k bad aj mene tum dono ko yahan dekha mujhe ye jan kar khushi hoi k amaya tumhari bv he par ye dukh howa k amaya ab wo amaya nahi rahi..
Amaya kisi se badle me kuch nahi chahti agar chahti he to bas emandari or sach..
Aliyan khamoshi se baatein sunta raha or kuch sochne laga!
me kiyon nahi samjh paya k wo aik achi larki he agar wo achi larki na hoti tou mere insult karne par wo bhi mujhe agey se baatein sunati
badtmezi karti tamasha create karti par wo khamosh rahi kiyon k ause apni izat piyari thi wo janti thi agar tamasha banati tou sab ause hi galat samjhte
agar wo achi larki na hoti tou wo abrar k tang karne par pareshan na hoti agar wo achi larki na hoti tou kabhi kisi gareeb ki madad na karti
agar wo achi larki na hoti tou ause islami baatein na aati ab auski ankhon se mote mote ansu beh rahe the!
Agar ye sab baatein pehle hi mere zehan me aa jati tou meri baaton se amaya hurt na hoti mene bohat galat kiya..
Aliyan ais mein tumhari bhi koi galti nahi kiran ne Amaya ko set'up hi aesa kiya tha k sochne ki koi gunjaish hi nahi chori thi par han tumhari aik galti zaroor he tumhein amaya se clear karna chahiye tha
na k ghuse dikhana chahiye tha tum mein ghusa bohat he tum har baat par ghuse se react karte ho or yahi tumhari khami he
ab Dr.anas wahan se jane lage...
wo lady kon thi? dr.anas aik dum wahin ruk gae or sochne lage ain sab baaton me lady ka khayal kese aaya?
koi nahi......
Aliyan bhag kar dr.anas ki tarf lapka please bataein wo kon thi ap jante he aus lady ko?
wo meri bivi thi dr.anas ki ankhein namm hogai meri aus se narazgi hogai thi wo ghuse me gari le kar nikal gai
mene parwah nahi ki jab amaya hospital lai to Sarah ko dekh kar mujhe jhatka sa laga mere samne meri bv khoon me lat'pat parhi thi me apne hosh khoo behta tha
dosre doctors aus ka treatment karne lage!
me yehi tumhari jagah pe behtaa ansu baha raha tha kyon k lakh koshisho k bad bhi sarah na bach saki or mujhe chor kar chali gai,
kisi k jane ka dukh kiya hota he ye me ache se janta hon
Allah ki amanat thi Allah ne leli par me amaya ka shukarguzar ho amaya ki badolat mujhe apni bv ko dekhna tou naseeb howa agar gari kahin khai wagera me gir jati
tou me kabhi apni bv ko na dekh pata khuda ne amaya ko zariya bana kar meri madad ki or tabhi me hamesha k liye turkey chala gaya tha sarah k bina mujhe kuch acha hi nahi lagta tha....
Amaya mere dukh ki wajah na poch le tabhi me foran wahan se chala gaya,
jab k meri flight delley ho chuki thi or pata nahi kyon mein pakistan wapas aaya shayad pakistan mujhe khuda ne Amaya ki madad karne bheja
warna tum log to yehi samjhe rahe k amaya mar gai or jis doctor ne jhoot bola wo gayab hogaya he par jese hi kuch pata chale ga
mein tumhein zaror bataon ga...
Amaya ko sarah k bare mein nahi pata tha me new aaya tha karachi mein or apartment mein akela rehta tha mujhe yahan koi nahi janta tha
sarah or mere darmiyan kuch masle chal rahe the wo apne maike reh rahi thi..
Aliyan tum ne Amaya ko kaha tha tum actress bohat achi ho auno ne mazeed kuch kehne k liye labb khole hi the k Aliyan kahin khoya khoya sa bolne laga
tumhari baaton mein sachai ka guman hota he tum ne galat peeshey ka intekhab kiya or afsos hamara mulk aik bohat achi actress se mehroom reh gaya ab bhi aus ki ankhon mein ansu the
mujhe aesa nahi kehna chahiye tha Dr.anas mene bohat taklef phuchai he ause
Han Aliyan tumhare ain jumlo ne ause bohat takleef phunchai thi wo tumhare jane k baad bachon ki tarah roti rahi thi
tum ne ause buri larki or actress ka title de diya tha!
Aliyan Nafees mard hamesha orat ko muhabbat se ziyada izzat diya karte he
kyon k muhabbat ka izhar tou khas khas moqon par hi kiya ja sakta he
jab k izzat tou har waqt mal'hooz khatir rakhi jati he
orat muhabbat k bagair adhi hoti he
jab k izzat k bagair orat,orat nahi rehti--

Aliyan me chalta hon, umeed he tumhare dil me amaya k liye koi bad'gumani nahi hogi or jo thi wo khatam hogai hogi Allah hafiz...
wo dr.anas ko jate howe dekhne lage or dil me amaya k liye aik nai muhabbat paida hone lagi...
                                  -----****-----****-----****-----

kuch din bad Amaya hospital se discharge hoi..
Aliyan soffe pe behta amaya ko dekh raha tha, aus ne wo sab batein itne salon baad ab jani thi jin se wo anjan tha
aus k dil me amaya k liye muhabbat barhd gai thi par dukhi bhi tha jane'anjane mein bohat takleef di he amaya ko,
ab wo uth kar Amaya k pas ja kar behta i'm sorry amaya par ye sab--
Amaya uth kar chali gai office se call aai zarori meeting he wahan jana bhi zaroori tha
office phunch kar meeting k bad wo apne cabin me behta sochne laga...
mujhe samjh nahi aa raha amaya ko howa kiya he? wo kyon bat ko samjh nahi rahi he ye achnak meri zindagi me kiya toofan aagaya he
me ab amaya par kabhi ghusa nahi karon ga kabhi koi taklef nahi donga me ause bohat khushiyaan donga par kab ye sab thek hoga amaya tou meri bat sun'ne k haq me nahi he or wo juice...
kiya waqai fahad--- or kiran ne bad'dua ka tabhi kaha kyon k aus ne amaya k sath--- kon hamari batein sun raha tha kuch din se kiya fahad---
zehan me kai qisam k sawal andhi tufan ki tarah uthne lage har bar shak fahad ki tarf ja raha tha par abhi ain sab baton ko sochne ka time nahi
mujhe filhal amaya ko manana he wo foran utha ghari ki chapi uthai or ghar jane k liye nikala...
Ghar phuncha ghar me koi nahi tha Amaya amaya amaya.......
kamre mein gaya tou nazar aik kagaz k tukre par gai Aliyan utha kar pardhne laga or pardhte hi wo kagaz aus k hathon se niche gir gaya
kagaz pe likhi tehrer aus k dimag me chalne lagi
"me ak qatil shaks k sath nahi reh sakti me ye ghar chor kar hamesha k liye jaa rahi hon mujhe dhondne ki koshish bhi mat karna
me tumhein kabhi nahi milo gi Aliyan Mustafa tum apni EGO hamesha bar'qarar rakhna tumhen koi farq nahi parhta mene galti ki jo kisi k kehne par apna EGO bhula kar tumhare liye muhabbat mehsoos karne lagi"
Aliyan wahin bed par sar pe hath rakhe beht gaya wo sab kuch haar gaya tha ab phashtane k siwa kuch na tha ------
                           -----****-----*****-----****-----
Episode 17
                 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Alisha,Zamar,Asfand chalo sab jaldi karo meeting shuru hone wali he foran sab conference room me phuncho...
ye Aiza tehmoor kahan reh gai agar aj wo late phunchi tou sir ause job se out kar dege Zamar files set karte hoe boli
kuch der mein Meeting shuru hogai par Aiza sahiba ka ab bhi koi aata pata na tha wo waqt ki paband larki aj ause aane me der hogai..
sorry sorry sir mujhe aane me der hogai itna traffic tha..
white jeans pe purple long shirt ankhon pe glases hath me files kajal se labrees ankhein,honthon pe halki si lipstick chehre pe masomiyat sajae
wo conference room k entrence pe khadri thi...
wo pichle (3saal)se yahan job kar rahi he or 3saalon me wo pehli bar aj late phunchi he!
Mis.Aiza Tehmoor ap jesi paband or emandar larki se kam az kam aj k din tou der se aane ki umed nahi thi agar ap ko yad ho tou aj ap ki presantation he
Ayan industary k owner Mr.Ayan Ahmed ankhein nikalte howe bole...
Ayan Ahmed Lahore k kamiyab bussinesman mein se aik hein Ayan industary k owner
kafi bussinesman ain se deal karne k liye har waqt tayar rehte he, par ye sahab har aik pe yaqeen nahi karte har aik ko tendar nahi dete...
i'm so sorry sir i know meri presantation he i'm ready sir wo bhagte howe dice k front pe khadri hogai or presantation dene lagi
presantation khatam hote hi confrence room taaliyon se goonjne laga!
Mis aiza ap bolti bohat acha he Mr.Ayan muskurate hoe bole wo Aiza ki presantation se buhat khush the...
Thankyou sir waqt k sath sath insan ko bolna aa hi jata he...
Rabia lagta he hamare sir ayan aiza ko pasand karne lage he aj kal dandte bhi nahi or bare naram lehje se baat karte he Asfand auneh dekhte hoe bardhbadane laga...
Taniya Ayan industry ki managing director aus k kaano mein asfand ki baaton ne sargoshi ki Taniya Ayan Ahmed ki collage life se best friend he
Taniya Asfand ki baat sunte hi aag'bagola hogai or meeting khatam hote hi Ayan k office me phunchi
ye me kiya sun rahi ho Ayan tum ne itni bari baat mujh se chupai?
wo herani se ause dekhne laga, kiya howa mene kiya chupa liya meri itni himat jo tum se kuch chupaon?
Taniya thora sumbhli wo talaakh lehje me bat nahi karna chahti thi
aus ne bohat mehnat se ayan ki nazar mein khud ko mahan banaya howa tha
Taniya ko baatein bana'na ache se aati hein mau par har aik se acha behaviour karti jese ais se ziyada acha koi he hi nahi

wo kuch sochte hoe boli kuch nahi mujhe aj kal mehsoos hota he k tum Aiza ko pasand karne lage ho?
Ayan aik dum chonkaa, what? nahi aesa tou nahi he tumhein galat fehmi hoi he
oh really, tabhi tum teen saal bad achanak kuch din se aus k sath acha behave karne lage ho?
what you mean teen(3) saal bad? mera behave shuru se hi acha tha han ye sach he k me kabhi kabhi sakhti se pesh ata tha
par wo apna kam emandari or waqt pe karti he tabhi me narmi se pesh aata hon ausne muskura kar jawab diya par taniya bohat tez he ause logon se
aun k dil ki baatein ugalwana khoob aata he o'come on Ayan me tumhari best friend hon or hum aik dosre se har bat share karte he tou kiya
tum apni dost ko apne dil ki baat nahi batao ge Taniya apne jazbat qaboo mein karte howe boli
par Ayan ne dobara wohi jawab diya jo pehle diya tha...
(uff ye to kuch bata hi nahi raha kuch or sochne pare ga) taniya mau bana kar wahan se chali gai..
Taniya shuru se hi Ayan Ahmed ko pasand karti he ause lagta he Ayan bhi ause pasand karta he or wo bas aisi intezar mein he k Ayan kab ause
dil ki bat kahe par bech me Aiza kahan se aagai abb taniya ko Aiza khatakne lagi...
Aik roz wo Aiza k pas gai, Aiza ko tou har aik insan acha lagta he
Aiza apne cabin mein behti laptop pe masroof thi
Taniya kab aus k cabin me aai ause andaza hi nahi hoa
Aiza are you busy?
Ma'ma ap kab aai?
jab tum laptop mein gumm thi wo tanziya andaz me boli
ma'am mein kuch files mail kar rahi thi wo muskurai
acha tum se aik sawal pochun?
jee ma'am pochein...
kiya tum Ayan Ahmed ko pasand karti ho?
Aiza ki ungliyan wahin keypad pe ruk gai wo nazrein utha kar ause herani se dekhne lagi n'nahi ap ko kis ne kaha?
kisi ne nahi mujhe mehsoos howa socha poch lon kia waqai aesa kuch nahi?
Nahi ma'am aesa kuch nahi he me bas apne kam se kam rakhti hun mujhe bas apne kam mein interest he yahan k logon mein mujhe koi intrest nahi
Taniya ko yaqen hogaya k aiza ki tarf se aesa kuch nahi he wo janti he Aiza Tehmoor jhoot nahi bolti,
Ayan ka bussines ache se bulandiyon ko chuu raha tha shams industry k sath bohat achi deal hoi thi
Ais khushi mein Lahore k shandar "Hotel One Gulberg" mein party rakhi gai!
party me bohat si achi personalities majood thi welcum welcum Mr.shams Ayan Ahmed aus k gale laga
Three Piece Suit mein malboos Ayan Ahmed kisi hero se kam nahi lag raha tha...
kese ho dost? Ayan gale milte hoe bola
Mein thek hon tum batao kese soch liya mere sath deal karne ka? ab dono aik dosre se alag hoe
yar tum tou mere ache dost ho or tum tou jante hi ho me har kisi se deal nahi karta bas famous industries k sath hi deal karta ho or tum tou phir apne ho...
Asalam Wa Alaikum gentleman, aa'h ain se miliye ye hein hamari industry ki managing director Taniya saeed or meri bohat hi achi dost Ayan muskuraya...
nice to meet you Mis.Taniya....
Aiza hotel k main haal mein dakhil hoi blue dress pe hijab mein malboos wo bohat sobar or masoom dikhai de rahi thi
Samne khadre Kuch logon par aus ki nazar gai auneh bat karta dekh wo wahin Aik pole k piche khadri ho gai or aun ki baaten sun'ne lagi,
tou janab ye party kis khushi mein?
Mr.Owner ais party ki teen wajohaat he aik tou ye k meri industry din ba din famous hoti ja rahi he or dosra ye k aj hamein bohat bara tendar mila he
and last one is tumhari industry k sath nae taluqat bane he and congulations tumhari industry top10 industries mein se pehle number par he
shukriya bas kisi ki khatir ye sab kiya he..
kis ki khatir? The king of stock'market
tum batao shadi kab kar rahe ho Ayan?
kis se? wo chonka
Larki se or kis se ab Mr.Owner muskurae acha chalo ye batao Taniya k bare mein kiya khayal he?
Taniya se ayan ne lafz dohraya or herani se dekhne laga
Aese kiyon dekh rahe ho kiya tum taniya se shadi nahi karna chahte tumhari best friend he wo ya phir koi orr......
Aiza samjh nahi paa rahi thi kese ais hotel se nikle wo yahan mazeed rukna nahi chahti thi,
mein tumhein hamrai company ki talented lady se milwana tou bhool hi gaya Aiza tehmoor aus ne bohat hi hoshyari se baat palti
She is very talented ausi ki wajah se aj ye itna bara tendar hamein mila he aus ki presantation bohat achi thi kafi new ideas the or sab ko buhat pasand aae
Mr.Owner aus k jawab mein muskurae!                      
Tum lahore kab aae?
kal raat ko hi aaya tha tumhara invitation card mila tou yahan aa gaya!
                    ----****----****----****----

Aiza yahan kiya kar rahi ho aao sir ayan tumhein bula rahe he shams industry k owner se tumhein introduce karwana chahte he or tum aese kyon khadri ho
jese kisi se chup rahi ho asfand ne sawaliyan nazro se aus ki janib dekha...
Nahi mein kyon chupo gi tum jao me aati hon aus k chehre ka raang urd gaya or wo foran wahan se chali gai...
Akhir kiya wajah thi jo wo owner se mille bagair wahan se chali gai or wo chupp kyon rahi thi...
Asfand kahan he Aiza tehmoor? Ayan ne sawal kiya
sir mene kaha tha ap bula rahe he aiza ne kaha me aati hun phir pata nahi kahan gai nazar nahi aai dobara or wo aese pole k piche khadri thi jese kisi se chupp rahi ho...
Ayan heraan howa chupp rahi ho par kis se....?
kuch din wo office nahi aai or kisi ko aus ka ghar bhi maloom na tha cell phone bhi band tha!
kiya howa Ayan kafi pareshan dikhai de rahe ho Mr.owner ne sawal kiya
yr wo Aiza aus ka kuch ata pata nahi kahan he mujhe tenshion ho rahi he..
aus k ghar pe ja kar dekh lo or tumhein tenshion kiyon horahi he?
shayad me ause pasand karne laga ho wo bohat achi larki he emandar, talented, khobsurat, khobseerat,aus k dil me kisi k liye burai nahi aus ka ghar nahi pata...
what ayan bina kuch details jane tum aese kese kisi ko job de sakte ho?
Matlab mujhe aus ka ghar pata tha par ab nahi pata or wo mujhe masoom lagi tabhi mene job di ause bohat zaroorat thi job ki tum ause dekho ge to dekhte reh jao ge
Kiya matlab pehle pata tha ab nahi pata? Mr.Owner uljhan ka shikar hoe
yar wo pehle mere sath mere ghar me rehti thi ab wo dono aik sath chairs pe beht gae
kiya matlab wo tumhare sath rehti thi? aus k ghar wale kahan he tumhein kahan milli?
yr aj se 3saal pehle ki baat he mein aus se lahore k hospital mein mila tha jab meri ankh khuli tou mene khud ko hospital mein paya
mujh se chala nahi ja raha tha mera sar shaded phat raha tha mujhe samjh nahi aa raha tha me kahan ho or mujhe yahan kon le kar aaya

3saal Qabal:
          Ap ka naam kiya he? doctor ne reports dekhte hoe aus shaks ka naam pocha
mera naam Ayan Ahmed he bohat mushkil se wo itna keh paya
Mr.Ayan ap pareshan na ho ab ap khatre se bahar he ap ain ka shukriya ada karein ye muhtarma ap ko waqt par yahan le aai zara bhi der ho jati tou---
Mujhe yahan ap lai? ab wo aus larki se mukhatib howa
jee mera naam Aiza tehmoor he
bohat shukriya ap ka Mis.Aiza wo bohat narmi se bola
Mr.Ayan kiya ap yahan apne kisi family member ko bulwa sakte he? doctor ne sawal kiya
jee nahi me yahan akela rehta hun meri family Sawat mein rehti he kiyon khariyat tou he doctor sahab?
jee jee pareshani ki koi baat nahi ap k excident ki wajah se ap ko buhat lagi he ap ki dekh'baal k liye kisi ka hona buhat zaroori he
Ap pore 24ghante baad hosh mein aae he mazeed kuch din ap ko yahin admit rehna hoga
koi baat nahi doctor me reh lon ga yahan...
Aun ki baatein sun kar Aiza k dil mein Ayan k liye hamdardi paida hoi kuch sochte hoe wo boli Ap fikar na karein mein ap ki madad karon gi
aus ki baat sun kar ayan foran bola A'Ap kese ap tou mujhe janti bhi nahi pehle hi meri jan bacha kar ap ne mujh par buhat bara ehsan kiya he
koi baat nahi me insaniyat ki khatir ap ki madad karna chahti hun lazmi tou nahi k jise hum jane ausi ki madad karein insaniyat naam ki bhi koi cheez hoti he
Aus ki baat par Doctor sahab muskurae Mis.Aiza ko dekh kar lagta he duniya mein ab bhi ache log he..
kuch din tak ayan admit raha aiza aati or zaroori chezein or medicines wagera de jati
aj aik hafte baad ayan hospital se discharge howa!
Aiza ause aus k ghar le aai wo ayan k naam se ziyada aus k bare mein or kuch nahi janti thi
Ayan ki halat pehle se kafi behtar thi shukriya Mis.Aiza ap ne meri buhat madad ki Ap ko ALLAH ne meri zindagi me farishta bana kar bheja he bolein ab me ap ki kiya madad kar sakta hun?
jee shukriya mujhe kisi bhi madad ki zaroorat nahi me ab chalti hun wo jane k liye uthi
kiya me ap se kuch poch sakta hun?
wo jate hoe ruki jee bolein
Ap kiya karti hein koi job wagera?
jee nahi bas job ki talash mein hun aus ne narmi se jawab diya
acha tou samjhein ap ko job mil gai ab wo muskuraya
kiya matlab me samjhi nahi? wo herani se ause dekhne lagi
Me Ayan industry ka owner hun mera khud ka bussines he meri family sawat mein rehti he or me study complete karne k bad se hi yahan lahore mein reh raha hun
Ap apni c.v or documents le kar kal mere office aa jaiye ga ab wo ause apna card dene laga
mere pas documents wagera kuch bhi nahi hein me yahan hostel mein rehti hun me 2hafte pehle hi ais shehar me aai hun or yahan kisi ko nahi janti
Ayan herani se ause dekhne laga tou ap ki family? kiya koi hadsa hoa he ap k sath?
jee nahi kuch nahi howa mere sath or ap ko batana me zaroori nahi samjhti
(Auf rehne ko ghar nahi job nahi or akrd tou dekho medam ki) wo dil mein sochne laga
Mera khayal he ap ko ais anjan shehar me rehne k liye aik achi job ki zaroorat he or agar ap job karna chahein tou mujhe wese hi apni qualification wagera bata dein
ap meri baaton ka galat matlab mat li jiye ga jese ap ne meri madad ki aese hi me bhi insaniyat ki khatir ap ki madad karna chahta hun
Mujhe pata he aik anjan shehar mein rehna kitna mushkil hota he or me nahi chahun ga k ap yahan kisi galat hathon mein jaein
Ap chahein tou mere ghar ka opar wala portion khali he ap reh sakti hein jab tak ap chahein...
ab wo soffe pe beht gai or aus ki baatein sochne lagi kahi na kahi ayan ki baatein thek bhi thi..
aus ne haami bhar di or office join kar liya computer work aus ne acha sumbhala howa tha!
                         ----****----****----****----

Aiza kamre mein so rahi thi or wo shayad koi khuwab dekh rahi thi
wo nennd me kuch naam bardhbadra rahi thi
Ayan kamre mein dakhil howa ause bed pe sota dekh wo aus k qareeb gaya
Buhat so liya mere bed par madam ab uth jaein
Aiza aik dum chonk kar uthi me ap ka bed? ap ka room?
jee ye mera room he or ap yahan kese?
i'm sorry me ap ka ghar dekh rahi thi tou yahan kuch der let gai or pata hi nahi chala kab so gai mujhe kiya pata tha k ye ap ka kamra he
ap ko manners nahi room knock kar k ate he wo ause gorne lagi
madm ye mera kamra he or koi pagal hi hoga jo apna room knock kar k aae ga ye jante hoe k aus k room me koi nahi he
or mujhe koi khuwab nahi aaya tha k ap yahan so rahi hein mein hasb-e-adat office se sehda apne kamre mein aaya tha
wo bina koi jawab diye wahan se jane lagi
wese kiya ap ko sham mein nend aa jati he?
wo ruki nahi bas kuch sochte hoe ankh lag gai wo bina ause dekhe jawab de kar foran chali gai...
Ayan aik acha or khandani larka he tabhi aiza ko aus k ghar mein rehne se kabhi koi problem nahi hoi
wo apne portion mein rehti thi na niche aati thi na aus se baat karti thi

               ----****---****-----****----
Reciever bajne laga hello sir Mis Aiza apna Resignation letter dene aai hen...
Ayan receiver kan pe lagae khadra tha par kyon Mis aiza ko andar bhejo
sir mene auneh kaha tha k sir kisi k sath busy he...
jo kaha he wo karo andar bhejo or ause kehna mere office me koi nahi he...
Ma'am ap ko sir office me bula rahe he wo reciever rakhte howe boli...

Mr.owner ab uth khadre hoe matlab tum dono ne aik dosre ki insaniyat k khatir madad ki par kiya tum ne kabhi aus ki family ka nahi pocha or aus ne tumhara ghar kab chora?
Nahi mene kabhi pocha hi nahi or aus ne kabhi bataya bhi nahi wo ziyada baat hi nahi karti thi apne portion me hi rehti thi or aus me itni akrd thi k wo kabhi pochne pe bhi kuch na batati
me jab kabhi kisi kam se opar wale portion me jata tha tou wo mujhe namaz pardhte hi nazar ati thi
me aus k namaz pardhne se bohat impress hoa tha
me jab kabhi kisi pareshani me hota tha wo kehti thi sir ap namaz pardha karein ap ko kabhi koi pareshani nahi hogi
namaz pardhne se dil ko bohat sakoon milta he
Mr.Owner aik dum chonke namaz--dil ko sakoon-- mr.ower ki ankhein namm ho gai shayad auneh koi yaad aagaya
Ayan ki nazar aus pe padri ary tumhari ankhein kiyon namm ho gai?
nahi kuch nahi tum batao phir agey kiya howa namaz pardhna shuru ki?
han aus ki baaton me bohat asar tha me namazi ban gaya or yaqeen mano namaz pardh k waqai mujhe buhat sakoon milta he
jab ause job mili tou achi salary bhi mili aus ne rent par koi or ghar le liya or aik saal hogaya ause mera ghar chore..
Mene kabhi pocha bhi nahi k ab kahan rehti ho agar pochta bhi tou wo na batati shayad aus ko kisi se milna pasand nahi...
yar bari ajeeb he ye aiza par tumhari baaton se tou yehi lagta he wo aik achi family ki larki he..
han mujhe bhi yehi lagta he or ikhlaq acha he aus ka wo buhat masoom he..
Mr.owner aa rahi he Aiza tehmoor office mein wo bohat achi he ause dekh kar apna openion zaror batana mujhe ayan muskuraya
Darwaze pe dasthak hoi, come Aiza ayan ne ause dekhte howe kaha
Mr.owner ki phusht aiza ki janib thi ain se milen ye he Aiza tehmoor or ye hein Mr.Aliyan mustafa shams industry k owner...
jese hi dono ne aik dosre ko dekha tou Aliyan ko jhatka sa laga...
Aiza ause nazar'andaz karte hoe bolne lagi sir me ye job chorna chahti hun ye he mera resignation letter ye kehte howe wo wahan se foran chali gai..
Ayan ko kuch kehne ka moqa hi na diya par aiza meri bat.....wo wahin ruk gaya
Mr.owner aese khadre the jese koi bhoot dekh liya ho,
kesi lagi Aiza tumhein? ayan ne sawaliyan nazro se dekha
achi he par kiya wo bhi tumhein......?
nahi aus ka mujhe nahi pata par tum kyon itne heran lag rahe ho?
Aliyan ne koi khas jawab nahi diya, kiya tumhare yahan aesa hi hota he jab chaho job lelo jab chahe chor do?
Nahi aesa tou nahi he par me samjh nahi paa raha aise achnak howa kiya he ...
acha ye batao ye kab se yahan job kar rahi he? wo khoe howe andaz me bola thori der pehle wali sab batein aus k dimag se nikal gai thi
ary abhi tou bataya tha Aiza ko yahan 3saal hogae wo kahan se aai he kon he kuch pata nahi na wo kisi ko apne bare me batati he
par ab me aus se sab jan kar raho ga phir ause shadi k liye purpose kar donga ayan ne dhemi lehje me kaha....
Me batata hon Aiza tehmoor kon he?
Ayan herani se dekhne laga tum par tum kese jante ho Aiza ko? ab wo dono wapas chair par beht gae
                             -----*****----*****----*****-----

Alisha ko Aiza k ghar ka address mil gaya or wo aus k ghar phunch gai aiza ause dekh kar bohat heeran hoi
Alisha tum yahan kese tumhein kese pata me yahan.....
Aiza bas karo bohat ho gaya or mujhe ab sach sun'na he batao tum kon ho kahan se aai ho or achnak kyon gayab hogai?
job kyon chor diya sub kuch jan'na he mujhe agar tum apni dost manti ho tou sab batao gi mujhe...
wo kuch pal khamosh khadri rahi!
ab chup kiyon ho mujhe batao tum kyon ghar me hi rehte ho kahin aati jati nahi?
pehle wada karo tum ye sab apne tak rakho gi aiza ne ause dekhte howe kaha
han wada me kisi se kuch nahi kahun gi...
Mera naam Aiza nahi he alisha herani se dekhne lagi phir kiya nam he?
mera naam Amaya Aliyan he....
tou kiya tum Mr.Aliyan mustafa shams industry k owner aun ki wife ho?
han wo mere husband hen Amaya dhemi awaz me boli...
Alisha k sar pe jese kisi ne pahad tor diya ho aus ka sar chakrane laga ye kiya bol rahi ho tum mujhe kuch samjh nahi aaraha
jab tum itne bare bussinessman ki bivi ho tou yahan kiya kar rahi ho aik choti si job kyon itna chota sa ghar aese garibo wali zindagi kyon guzar rahi ho?
tum Roshniyon ka shehar chor kar yahan Lahore mein kiyon aagai?
Alisha k dimag me dher sare sawalat the...
Amaya ne ause apne guzre howe kal k bare me sab kuch bata diya k wo kon he kis ki beti he kis ki bivi he aus k sath kiya howa sab kuch...
Amaya mere pas lafz nahi me tumhein kiya kahun par itna zaror kehna chaho gi k tumhein Aliyan ki bat aik bar sun'ni chahye thi
ho sakta he jesa tum samjh rahi ho aesa kuch na ho,
or khud ko ghar me qeed kyon kar liya he?
me ab bahir jana nahi chahti han magar lawn me jana chahti hon mera dil chahta he wahan ja kar gehre gehre saans lon,
me phoolon ko piyar karo parindo ko dekho me ghaas par bhago itna bhago itna bhago k mere paon thaak jae or me wahin ghaas pe gir jao or ankhein band kar k
wahin sojao phir barish hone lage or me ankhein na kholon amaya ki ankhon se ansu behne lage...
Amaya tum bohat achi ho mujhe nahi pata tha tum dil me itna kuch liye behti ho me heran hon tum jesi amer larki kis tarah se qareebo wali zindagi guzar rahi he
or itni ego wali larki kese kisi ko sir sir or ma'am kehti rahi tumhein taniya ko ma'am nahi taniya ko tumhein ma'am kehna chahiye wo mauh bana kar boli
meri baat mano Aliyan ki aik bar bat sun lo kiya pata wo beqasoor ho kiya pata aus ne kuch kiya hi na ho alisha ause samjhane lagi....
par Amaya bibi kisi ki sun'ne k mood me nahi thi!
                      -------*****------*****-------*****------
                                               
Episode 18
                        Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

wo dono aik sath behte hoe the
wo Aiza nahi meri bivi he Amaya Aliyan...
ye sunte hi ayan ki ankhein phati ki phati reh gai herani bhaari nazron se wo ause dekhne laga,
Aliyan ye tum kiya keh rahe ho kiya waqai aus ka naam Amaya?
hanw wo Amaya he, kuch der me alisha wahan agai sir mujhe Amaya matlab aiza ka ghar pata he mere sath chalein or Alisha ne tamam baat ayan ko batai
jo bhi ause amaya ne apne bare me batai thi ye sunte hi Aliyan ki ankhein naam hogai or wo dono Alisha k sath chal diye...
i'm sorry Amaya, mene apna wada tor diya tum ne meri bohat help ki he ab meri bari me tum se wada karti hon me tum dono ko milwa kar hi dum longi
Alisha dil me sochte howe auneh apne sath Amaya k ghar le jane lagi...
Aliyan chalte chalte ruka!
Kiya howa ruk kiyon gae? Ayan ne sawal kiya
Ayan me Amaya se pehle akele mein milna chahta hun me akele mein aus se kuch baat karna chahta hun
wo tou thek he tum dono ko galat'fehmi dor karni chahiye Jesa k Alisha ne bataya wo har chez ka tumhein zemedar manti he
Alisha aik kam karo tum sham mein Amaya ko kisi Resturent mein milne k liye bulao par tumhari jaga Aliyan aus se mille ga
jee sir Ayan k kehne pe Alisha ne Amaya ko sham 5:00 baje resturent mein milne k liye bulaya!

Ab Amaya behti Alisha ka intezar karne lagi
wo apne samne Aliyan ko dekh kar chonki or wahan se uth kar jane lagi wo ab bhi aus se ghusa thi
Amaya kahan ja rahi ho behto yahan mujhe tum se kuch baat karni he
par mujhe ap se koi baat nahi karni aus ne mauh pheer liya
itni nafrat karne lagi ho mujh se kiya tumhein ain 3saalon mein aik bar bhi meri yaad nahi aai?
ab wo dono beht gae Amaya ne aus ki tarf ankh utha kar bhi na dekha
yahan dekho meri tarf mene tum se kuch pocha he?
par me kuch batana nahi chahti..
acha ye batao tum kesi ho?
me jesi bhi ho ap ko ais se kiya ap ne tou mujhe marne mein koi qasar nahi chori thi
Aj aik bar phir 3saal pehle wale zakham taza ho gae Aliyan k chehre se aik rang aa kar guzra wo ab herani se ause dekh raha tha
Amaya aik bar phir uth kar jane lagi aus ne foran amaya ka hath pakar liya Amaya meri baat suno
please ghar chalo mene tumhein kahan kahan nahi dhonda kiya tumhein aik bar bhi meri yaad nahi aai?
kiya tum mujhe aik moqa nahi de sakti amaya mera koi qasoor nahi he me phir bhi tum se moqa mang raha hun..
Amaya ause gorne lagi Ego ab bhi nahi chora ap ne ye kehte hoe wo wahan se uth kar chali gai..
Ayan bhaag kar Aliyan k samne wali chair pe aa kar behta ye Amaya kahan ja rahi he? wo apna chehra ghuma kar ause jate hoe dekhne laga
Aus ne mujh se baat karna zaroori nahi samjha Aliyan bhi uth kar chal diya
               ----****----****----****----

Zain apne kamre me behta laptop pe office work kar raha tha aus ka Cell phone bajne laga
screen par nazar dali or yes ka button press kiya Asalam wa alaikum Aliyan bhai jan kese he ap?
wa alaikum asalam me thek hun or 3saal baad aj mein buhat khush bhi hun
kiya matlab?
zain mujhe Amaya mil gai he
ye sunte hi zain k chehre pe khushi chaa gai kiya? wo chonk kar khadra hoa
kab kahan kese ap kahan he? ap tou lahore--
hanw me lahore mein hun Amaya Ayan industry mein job kar rahi thi or tamam baat zain ko batai
acha ALLAH ka lakh lakh shukar he bhai jan bhabi mil gai ab ap foran auneh ghar le aaein
zain wo tou meri baat sun'ne k haq me hi nahi he par me himat nahi haron ga me ause le kar hi aaon ga me bad me baat karta hun ALLAH HAFIZ..
koi office mein dakhil howa Kiya howa pareshan lag rahe ho?
kese pareshan na hun wo meri baat sun'na hi nahi chahti aus k chehre pe udasi thi
Ayan ne reciever kan par lagaya Alisha mere office me aao..
Alisha foran office me aa gai jee sir ap ne bulaya?
hanw Hamein Amaya k ghar le kar chalo me aus se baat karun ga
thek he sir ab wo aus k ghar jane k liye nikle...
                   ----****---***----****----

Darwaze pe dasthak hoi! Amaya ne darwaza khola...
Aasteen kohniyo tak chardhi hoi hamesha ki tarha aj bhi white cotton ki shalwar kameez mein malboos Aliyan bohat handsome lag raha tha
aun teeno ko aik sath dekh kar Amaya heran reh gai,
sir A'ap yahan? alisha tum aineh........?
tum ne apna wada tor diya mujhe afsoos he tum pe...
nahi Amaya aesa nahi he me chahti ho tum aik bar Aliyan sir ki baat sun lo..
Mujhe kisi ki koi baat nahi sun'ni ap log yahan se ja sakte he...
Darwaze pe hi khadra rakho gi hamein andar aane ka nahi kaho gi? ayan ause dekhte hoe bola
jee aein aus ne andar ki tarf hath ka ishara kiya
ab wo log sehan mein rakhi chairs pe beht gae!
Aiza tum Amaya ho ais k sath sath kai baatein tum ne chupai par mene aik bar bhi tum se koi sawal nahi kiya par aj me yahan apne dost k liye aaya hun
Amaya khamosh rahi ye wo amaya thi jis k dil me kisi k liye ziyada der ghusa nahi rehta tha par ab teen saal guzar chuke the
ab bhi aus k dil me Aliyan k liye behad ghusa tha...
Amaya aik bar meri baat tou suno me kiya kehna chahta hon?
Amaya aik bar Aliyan ki baat tou sun lo mera dil keh raha he wo beqasoor he...
mujhe kuch nahi sun'na amaya ne do'tok jawab diya!
Kiya tumhein Aliyan se ab koi chahat nahi?
wo khamosh rahi dekha tumhari khamoshi bata rahi he k tum ab bhi aise chahti ho
tum aik bar ais ki baat sun lo me janta hun tumhara ghusa khatam ho jae ga
Ap log please jaein yahan se mujhe kuch nahi sun'na or Alisha tum, tum ne mujhe jhoot bol kar resturent mein bulaya ye tum ne acha nahi kiya..
Par Amaya me tou bas tumhari madad--- mujhe kisi ki madad nahi chahiye
ab aus ne apna mauh ghuma liya or uth khadri hoi
Aliyan uth kar foran aus k samne aa khadra howa
Amaya aj tumhein sun'na hi hoga bohat hogai tumhari zid tum mere sath abhi or aisi waqt karachi chal rahi ho apne ghar....
kesa ghar kon sa ghar jahan aik masoom jan ka qatal howa, ya wo ghar jahan mujhe dokha diya gaya Amaya teen saal bad aj phir wohi porani amaya ban gai,
mene tumhen koi dokha nahi diya mene kisi ka qatal nahi kiya...
jab tum hospital me thi mujhe dr.anas ne sab kuch bataya jo mujhe nahi pata tha
mene dil me soch liya jane'anjane me tumhein meri wajah se bohat dukh milley par ab or nahi me tumhein hamesha khush rakho ga, or yehi sochte howe
me ghar aaya tum mujhe kahin nazar nahi aai aik chit mili jis pe tumhare jane ki khabar thi aus waqt me bohat toot sa gaya tha...
Oh really me Ap ko yahan dikhi tou ap ko mujhe ghar le jana yaad aagaya par kiya ap ne pichle teen saalon mein aik bar bhi mujhe dhondne ki koshish ki?
me janti hon koi koshish nahi ki hogi kyon k ap ki life me tou or bhi koi larki he wo chilaa kar boli...
Aliyan herani se ause dekhne laga larki aus ne lafz duhraya...?
kyon heran ho gae k mujhe kese pata? roz ap ko messages ate the pehle mujhe lagta tha koi office ki employee hogi par din ba din messages ki direction kisi or trf hi jane lagi
jin se saaf zahir hota tha k ap ka kisi k sath affair he...
larki affair-- Ayan ab uth khadra howa
Amaya tum aesa soch bhi kese sakti ho mene tou apne phone me kisi larki k koi messages nahi dekhe..
bas kar dein Aliyan Mustafa or kitne jhoot bolein ge ap ko messages aate the or ap keh rahe he phone me koi messages nahi dekhe...
han Amaya me sach keh raha ho, tumhein ho kiya gaya he itni nafrat kyon mujh se please aik bar to ghar chalo ghar chal kar sab baat karte he...
amaya ko samjh nahi aaya wo kiya kare wo khamosh rahi,
Amaya tumhein aliyan k sath ghar jana chahiye aliyan mera bohat acha dost he wo aesi koi harkat kare me nahi man sakta tumhein galat fehmi hoi he
apna ghar kharab mat karo
Amaya Galat fehmi or shak ka bejj hanste muskurate ghar ko veran kar deta he
ais se pehle k shak ka bejj aik tanawar darakt ban jae apas me baat'cheet k zariye galat’fehmi ko dor kar lena chahiye!
jahan tak me tumhein janta hon tum bohat sobar or samjhdar larki ho tumhein aj ais tarah se dekh kar mujhe haerani ho rahi he
mene tou socha bhi nahi tha k tumhare dil me itna dukh he par aliyan ko haq he apni baat kehne ka ayan ause samjhne laga...
Amaya mera na sahi par Baba jan,Mamma jan, tumhari apni family anaya ain sab ka hi khayal kar lo kiya tumhein ain sab ki kabhi yaad nahi aati?
Amaya ko shayad ayan ki baatein samjh aa gai thi (teen sal me kese rahi hun bina family k ye me hi janti hun mujhe pal pal har aik fard ki yaad aati thi)
Ayan ki baatein aus k dil pe lagi ye tou wohi janti thi k wo kis haal me reh rahi thi
Aus ne ghar jane ki haami bhar li...
Aliyan k chehre pe khushi chaa gai thankyou Amaya thankyou so much...
Amaya tum mujh se khafa na hona me bs tum dono me sulah karwana chahti thi tabhi wada tor diya Alisha mau latka kar boli,
Amaya meri dua he tum dono hamesha khush raho ayan muskurate hoe bola...
thankyou sir...
ahan mujhe sir mat kaho mujhe tou ab tumhein ma'am kehna pardhe ga afterall shams industry ki owner ho tum ayan muskuraya...
thankyou alisha and ayan ap dono ne meri help ki wo ab ayan ko side me le gaya ayan koi or larki dhond lena aik mint dhondne ki zarorat nahi taniya he na hahaha wo keh'ka laga kar hansaaa...
Aliyan mujhe shayad amaya jesi sobar larki koi nahi miley gi
bilkul nahi milley gi ye pore duniya me aik hi ziddi peace he jo mene le liya ab wo dono hasne lage...
chalo raat ka dinner meri tarf Ayan muskuraya
Ab wo ayan k ghar aagae Aliyan seats book karwane chala gaya
wo safeed kapron mein malboos khadri opar asman ki tarf chand ko dekh rahi thi
ye chand kitna khoobsurat he
Aj chand se baatein karne ko jee chah raha he
Aj me buhat khush hun
Meri bhikri hoi zidagi thek hogai he
Amaya ki Ajeeb chahat pori ho gai he
wo chand se baatein karne mein masroof thi
ause zara andaza na tha k aus ki zindagi mein kiya tofan aane wala he!
aus k chehre pe muskurahat thi wo kuch sochte hoe Ayan k kamre ki janib lapki
ab wo ayan k kamre ka darwaza knock karne lagi taakk taakk!
Ayan glases lagae soffe pe laptop liye behta tha aus ne nazar darwaze par dali
Amaya ap? andar aa jaein...
ap se mujhe kuch baat karni he
han bolo aiza' mera matlab Amaya..
Me Aliyan k sath wapas nahi ja rahi wo aae tou ause bata di jiye ga me yahan se jaw rahi hun
Amaya ki baat sunte hi Aus k chehre ka rang urd gaya par kiyun ab achanak tumhein kiya ho gaya?
Amaya ne aus ki baat ka jawab nahi diya or opar terrace pe chali gai
kuch der mein Aliyan ata dikhai diya Amaya mene suna k tum ne jane se mana kar diya?
han kar diya mana mene tou phir--- wo mauh bana kar boli
Lekin kiyon? kiya tumhein baba jan, mama jan,anaya kisi ka khayal nahi?
nahi mujhe kisi ka khayal nahi aus ne mauh ghuma liya Aliyan k chehre se khushi gayab hogai wo mauh latka kar wahan se chalne laga
Amaya ause jata dekhne lagi or dabi hoi muskurahat se kuch sochne lagi
(Baba jan,mama jan,anaya sab ka naam le liya janab ap ne par khud ka zikar tak nahi kiya
ap thora or ro lein janab akhir pichle 7saal mein bhi ap k piche buhat roi hun
Ab muhabbat k iqrar se kam mein kisi bat pe raazi nahi hongi wo ab bhi ause jata dekh rahi thi
janab ab itni ego or akrrd bhi thek nahi)  

Ab aun ki mulaqat dinner pe hoi dinner se farig ho kar wo uth khadri hoi
kahan ja rahi ho amaya?Ayan ne sawaliyan nazron se ause dekha
apne ghar...
kiyon tumhara koi saman rehta he kiya mujhe bata do me driver se mangwa deta ho
jee nahi me saman lene nahi ja rahi shayad ap bhool gae mene ap ko thori der pehle hi bataya tha k me karachi nahi ja rahi
Aliyan jo k plate me khali chamach chala raha tha amaya ki baat par ause khansi si lagi
ye lo pani piyo Aliyan pani piyo, Ayan ause pani ka glass dene laga or aik hath se aus ki peet thap'thapane laga
Amaya apni hansi dabae khadri thi..
Amaya tumhein howa kiya he? aliyan ne sawal kiya
wo bina koi jawab diye wahan se jane lagi
Amaya raat bohat hogai he aj yahi ruk jao kal chali jana Ayan ne raat rehne ki dawat di
thek he wo ab bhagte hoe kamre ki janib chali gai..

Aliyan khamosh behta tha aus k chehre ka rang urda hoa tha wo kuch sochte hoe plate mein chamach chala raha tha
kiya kar rahe ho kuch kha bhi lo ab ayan ause dekhte hoe bola
kese kha lo meri tou bhook'piyas sab khatam ho gai ye tou aik minute min badal gai ab me kiya karun kal subha 9:00 Am flight he
Aliyan me kiya soch raha hun k tumhein ause apne dil ki baat kehni chahiye
what? aliyan aik bar phir chonka
tum ne mujhe bataya tha k tum ne kabhi ause apne dil ki baat nahi kahi he matlab shadi k roz kahi thi par tab tumhein aus se muhabbat nahi thi
par ab he tou meri mano tou jao ause ja kar apne dil ki baat kaho i'm shure wo man jae gi..
Mein kese mujhe nahi kehna aae ga wo mauh bana k bola
Agar tumhein aus se sachi muhabbat he tou jab tum aus k samne khadre hoge khud ba khud tumhare mauh se lafz nikle ge or please ye akrd wagera kamre k bahar chor k jana
aik tou tum miya bivi mein akrd buhat he ais bar ayan ne mauh banaya!
                 ----****----****-----****-----

wo ab kamre mein dakhil howa Amaya kiya tum so rahi ho?
Amaya ne ause ate dekha tou foran ankhein band kar li
Wo chalta howa Amaya k pas bed ki dosri tarf aaya Oh ye tou so rahi he ab kiya karun?
Kiya me Amaya k uthne ka intezar karun hanw ye thek he me yahin beht kar madam k uthne ka intezar karta hun wo ab bed k qareeb rakhe soffe par beht gaya
Me yahan kab tak behta rahun ga madam pata nahi kab uthe gin subha 9:00 baje ki flight he mujhe kisi bhi tarah kal aise apne sath karachi le kar jana he
aesa karta hun jab tak ye so rahi he me apne dil ki baat kehne ki paractics kar leta hun!
Amaya aus ki baatein sun rahi thi or ba'mushkil apni hansi controll kiye howe thi..
Ab wo uth khadra howa or Amaya k qareeb aaya!
Amaya me tum se kuch kehna chahta hun me shayad tumhein kisi ache andaz se apne dil ki baat na keh sakun par jo dil me he wo me aj kehna chahta hun!
ab wo khamosh ho gaya
(ab sochte hi raho ge ya kuch bolo ge bhi abhi tou me so rahi hun abhi bhi ais shaks ki akrd nahi ja rahi bolo bolo u can do it)
aus ka jee chah raha tha wo foran uthe or ause kahe Janab ap rehne dein dil ki baatein kehna ap k bass ki baat nahi..!
Amaya Dr.anas ne jo kuch mujhe tumhare bare mein bataya wo sab jan'ne k baad mere dil me tumhare liye izzat or bhi bardh gai he
mujhe ab tum se muhabbat ho gai he
Me pehle sochta tha ye muhabbat hoti kiya he? kese hoti he? kiyon hoti he?
Ab pata chala Muhabbat aik ehsas he jab ap ko koi acha lage tou aus se muhabbat bhi ho hi jati he
kiran k bare mein tum ne mujhe nahi bataya sirf ais liye k meri nazar mein wo kahin gir na jae tum ause meri nazar mein girana nahi chahti thi
tum ne sab bardasht kiya sabar kiya or beshak ALLAH sabar karne walon k sath he aus ne mere agey Kiran ki asliyat khol di
kehne k liye buhat kuch he par samjh nahi aa raha kahan se shuru krun me bas itna kehna chahta hon jo bhi howa wo sab hamari galat fehmiyan thi
tumhein meri wajah se jo bhi takleef hoi aus k liye me mafi chahta hun
wo ab amaya k pas bed par beht gaya or ause piyar bhari nigahon se dekhne laga!
tumhein pata he Aliyan Mustafa ko tum se muhabbat hogai he
Aik zidi larke ko zidi larki se muhabbat ho gai he
Aik Larki Amaya
wafa k roub si,
masoom si,
mukhlish si,
zidi si,
laraka si!

Amaya tum sote hoe kitni masoom lagti ho bilkul aese jese tum se ziyada ais duniya mein koi masoom he hi nahi
tumhein pata he tum ghusa karti hoi bilkul achi nahi lagti aik dum jangli billi ban jati ho
(or Ap jungli bille) ab bhi aus ki ankhein band thi
Ab uth bhi jao na kab tak soti raho gi ALLAH poche ga tumhein meri neendein haram kar k khud kitne maze se so rahi ho
Ab amaya ki hansi out of controll ho gai wo achanak kehka laga kar hansi or itna hansi itna hansi k aus ki ankhon se ansu behne lage aus k pet mein dard hone laga
wo apne pet par hath rakhe ab bhi hans rahi thi
Aliyan herani se ause dekh raha tha tu'tum jaag rahi thi tum ne meri baatein suni?
Wo ab bhi hans rahi thi aus ne apne mauh par hath rakh kar khud ko khamosh karna chaha par wo nakam rahi wo aj 3saal baad khul kar hans rahi thi
Ab Aliyan ause piyar se dekhne laga aus ne 3saal baad ause itna hanste dekha tha Amaya mene sahi kaha tha tum actress buhat achi ho tumhari acting mein sachai ka guman ho raha tha
mujhe laga tum waqai so rahi ho ab wo cushion utha kar ause marne laga wo ab bhi aese hi hans rahi thi...
tum ne aesa kiyon kiya?
kiyon k mein aik egostic larke se aus ki muhabbat ka iqrar sun'na chahti thi mene ais lamhe ka bohat intezar kiya he
wese tou ap buhat kehte the k me khandan ka sab se ziyada mauh phat larka hun phir izhar karne mein itni paractics kiyon?
wo khamosh raha phir kuch sochte hoe bola matlab tum mere sath chal rahi ho tum ne mujhe maaf kiya?
kiyun na chalun mein aus k sath jis ne abhi abhi apni muhabbat ka izhar kiya he
jis ne chaha he tou bas mujhe hi chaha he ab itni bhi sakaat dil nahi mein jo ap ko maaf na krun!
Ab aus ne amaya ka hath pakra tum buhat achi ho zoja-e-Aliyan
Ap bhi buhat ache he Amaya k Aliyan ab wo dono muskurae...                                
                    --------****------****-------*****-------

Episode 19
                 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Agley roz subha Amaya nend se bedar hoi tou aus ki nazar samne dewar par lagi wall clock pe gai subha k 7:00 baj rahe the!
Aik shaks Quran pak pardhne mein masroof tha Amaya ause dekhte hi heran reh gai
Aliyan kiya me koi khuwab dekh rahi hun?
Oh Amaya tum uth gai Nahi tum koi khuwab nahi dekh rahi ye haqeqat he me QURAN PAK pardh raha hun wo muskuraya
matlab ap ne subha fajar ki namaz bhi pardhi?
jee bilkul muhtarma!
tou mujhe kiyon nahi uthaya?
mene uthaya tha tum khud nahi uthi
wo teen saal bad pichle raat sakoon se soi thi or itna behosh ho k soi thi k subha Aliyan k kai bar uthane par bhi wo nahi uthi thi
ab wo apne baal hathon me sameete poni karne lagi
Aliyan ab Quran Pak shelf mein rakh raha tha chehre par ab bhi muskurahat thi buhat pur'sakoon muskurahat
Amaya ab bhi heerani se ause dekh rahi thi..
Itna heeran kiyon ho? Me bhi musalman hun QURAN PAK pardh sakta hun
Mene pehle tou kabhi ap ko pardhte nahi dekha
tumhare jane k baad me toot gaya tha mujhe aik pal bhi sakoon na tha
Mene kahin se suna tha agar dil ka sakoon chahte ho tou namaz qaim karo Quran pak pardho
or achanak mere dil me namaz pardhne ka khayal aaya or kuch hi dair mein azan hone lagi jab mere kan mein Awaz aai
"Haiyal-lal-falah" Aao falah ki tarf me khud ko rok nahi paya mere qadam masjid ki tarf bardhne lage me namaz nahi pardhta tha
kiyon k mujhe kuch mangna hi nahi tha mere pas sab kuch tha
or mera manna yahi tha k jin k pas kuch nahi hota wo log mangne k liye namaz pardhte he
or mere pas sab kuch tha tabhi me nahi mangta tha mera namaz pardhne ko dil hi nahi chahta tha
bachpan me baba jan mujhe zabardasti namaz pardhne masjid me bhejte the me agar namaz pardhta tha tou bas baba k dar se mene kabhi ALLAH k dar se namaz pardhi hi nahi thi
ab aus ki ankhein namm hone lagi wo nazrein jukae behta tha!
amaya tumhein pata he me sahi samjhta tha k logon ko jab kuch chahiye hota tab hi wo Allah ko yaad karte he
or mene bhi tou yahi kiya mujhe tum chahiye thi mere pas sab kuch tha bas tum nahi thi or Allah nahi tha
aus roz me bohat roya tha samjh nahi araha tha kiya karon mujhe aesa mehsoos ho raha tha jese mujh se sab kuch chinn gaya he
mene apne matlab k liye namaz pardhi thi or Ham chahe matlab k waqt hi Allah ko yaad kiyon na kare Allah kabhi bande se ghusa nahi hota wo tou kehta he k mujh se mango me dene wala hun
"Aey paigamar!
mere bande tum se mere bare mein pochein tou keh do me tou tmhare pas hun jab koi pukarne wala mujhe pukarta he tou me ais ki dua sunta hun
tou ain ko chahiye k mere hukam ko mane or mujh par eman lae ta k naik rasta paein"!

Aus din mene namaz dehan se pardhi or waqai mere dil ko bohat sakoon mila aus waqt mujhe ALLAH se khoof ane laga
mene kabhi itni chahat or dil se namaz nahi pardhi thi
Amaya aus ki baton pe heran thi aus ne kabhi aesi batein aliyan se expect nahi ki thi wo dil me bohat khush thi
aus din mene ehad kiya k me ab panch(5)waqt namaz pardhne ki pori koshish karon ga
Aus din mene namaz dehan se pardhi or waqai mere dil ko bohat sakoon mila
aus waqt mujhe ALLAH se khoof ane laga
mene kabhi itni chahat or dil se namaz nahi pardhi thi
jab mene dua k liye hath uthae tou mujhe samjh hi nahi aa raha tha k
ALLAH se kiya kiya mangon?
meri ajeeb si kaifiyat ho gai mere chehre pe paseena aane laga mujhe tou yahi lagta tha
mere pas sab kuch he Par mere pas kuch nahi tha mere pas ALLAH nahi tha
par ab mera dil chah raha tha me mangon bohat kuch mangon par samjh nahi aa raha tha
zuban pe kese laon?
meri ankhon se ansu behne lage mujhe ALLAH se tumhein mangna tha,baba jan or mama ki lambi umar mangni thi
mujhe jahanum se nijat ki dua mangni thi
me heran or pareshan ho gaya k ye sab tou mujhe pehle bhi mangna tha jahanum se nijaat, naik rasta, maa bap ki lambi umar
ye sab tou mujhe hamesha se hi chahiye tha
mujhe hamesha se mangna tha
mere dil mein or khof paida hone laga mere hath kanpne lage
ajeeb si kaifiyat ho gai!
mujhe tumhari dairy me likhi hoi baat yaad aa gai
tum jab namaz pardh rahi thi tab tum ne dua mein mujhe nahi manga tha tum ne ALLAH se kaha tha ALLAH pak wohi karna jo mere haq mein behtar he beshak tu har cheez par qadir he
Amaya ab bhi ause herani se dekh rahi thi Aliyan ki baatein ause heran kar rahi thi..
par mene dua me tumhein manga kiyn k tum par mera haq he mene pichle teen saalon mein har dua mein tumhein manga mene kabhi socha bhi nahi tha
k me kabhi itna badlu ga me kabhi tumhein ALLAH se mangu ga
Me sochta tha tum itni lambi dua kese mang leti ho akhir tum mangti kiya ho?
Par ab mujhe pata chala tumhari dua lambi kiyon hoti thi wo muskuraya
Acha tou bataein kiyon hoti thi? amaya ne sawal kiya
Dua aik zariya he ALLAH se guftugu karne ka or Tum duawaon mein ALLAH se baatein kiya karti thi or ALLAH se baatein karte karte tumhein waqt ka andaza hi nahi hota tha
Ab jab mera jee chahta tha k me apne rab se baat karon
tou me namaz pardhta tha or jab mera jee chahta tha k mera rab mujh se baat kare tab me Quran pak pardhta tha!
Amaya mene ye mehsoos kiya k insan jab kisi cheez se darta he tou wo aus se bhagta he
lekin jab wo ALLAH se darta he tab wo aus k qareeb ho jata he...
dekho ALLAH ne meri dua qabool ki mujhe tum mil gai or me bohat khush hun!
or Ahsta ahsta mujhe ALLAH mil gaya ALLAH tou hamare pas hi hota he har waqt har jaga
bas ham duniya ki mooj mastiyon me itna khoo jate he k hum apne ALLAH ko bhool jate he
ham ye bhi bhool jate he k hamein marna bhi he!
Aliyan me bohat khush hun mujhe ye jan kar bohat khushi hoi he k ap namaz pardhne lag wo bhi dil se or ALLAH k khouf se!
Amaya tum batao tumhein ziyada namaz aziz he ya jannat? wo ause muskura kar dekh raha tha
amaya ause ab bhi herani se dekh rahi thi wo kuch sochte hoe boli
Mujhe jannat se ziyada namaz aziz he
kiyon k jannat meri raza he
or namaz mere rab ki raza he...
or agar meri namaz achi hoi tou jannat mujhe automatically mil jae gi
"jo log apni namazon ki pabandi karte he bas aese hi log warris hone wale he firdos(jannat) k warris or wo hamesha jannat me hi rahe ge"
          Surah-ALMoMiNOON---

aus k jawab pe wo muskuraya hmm acha jawab he!
wo shararti nigahon se ause dekhne laga
kiya hoa aese kiyon dekh rahe hein?
kuch nahi me check kar raha tha k tum kuch bhool tou nahi gai
amaya ause gorrne lagi me ap ko chor kar aai thi apne mazhab ko nahi
Aliyan sharminda hoa or khamosh raha!
kamre mein ab mukamal khamoshi thi wo kuch sochte hoe bola
tumhien pata he me Ab roz fajar ki namaz k baad QURAN PAK ki tilawat bhi karta hun Aj mene Surah-Noor ka tarjuma pardha Aus ayat mein likha tha
buri orton k liye bure mard he or achi orton k liye ache mard mujhe Kiran or aus k shohar ka khayal aa gaya---
Aliyan chorein purani baatein ap ause maaf kar dein or ALLAH se aus k liye bhi dua kiya karein...
                    ----****----****----****----


Nashte se free hoe k baad Amaya aik baar phir office gai wo sab employess se mil kar jana chahti thi
Amaya k jane par Natasha bohat ziyada khush dikhai de rahi thi or ais bar Amaya ne ause ma'am keh kar mukhatib nahi kiya
Natasha,Alisha,Zamar, apna khayal rakhna..
Ayan kabhi karachi aao tou hamare ghar zaroor aana Aliyan gale milte hoe ause bola!
9:00 baj chuke the flight ka time ho gaya tha Ab wo lahore se karachi k liye nikle
Amaya i'm sorry tum ne paka mujhe maaf kar diya na?
ab wo flight mein the..
pichle adhe ghante se Aliyan 200 bar poch chuka tha tum ne maf kar diya na?
pata nahi, ais bar amaya ne chird kar jawab diya
or kiya baatein ho rahi thi Ayan ko side mein le ja kar?
Ayan tumhein pasand karne laga tha shadi k liye purpose karna chahta tha aus ne mazeed kuch kehne k liye labb khole hi the k amaya ne aus ki baat kat di
what ye har koi mujhe pasand kiyon karne lagta he wo mauh bana kar boli
kiyon k tum ho hi itni piyari wo muskuraya or jab ause pata chala tum meri bivi ho to wo bechara--- Amaya ne aus ki baat kati
Industry ka naam kyon change kiya?
ye Industry hamare bete ki hogi tabhi wo phir muskuraya
ab batao tum ne mujhe maaf kiya?
Ghar ja kar sochon gi ab shayad wo ause tang kar rahi thi
ab tum mujhe tenshion de rahi ho wo mauh bana kar bola
sab kese he Anaya ki tou shadi hogai hogi?
Nahi shadi nahi hoi
kiyon kiya matlab? wo chonki
zain or Anaya ki zid thi jab tak tum ghar wapas nahi aao gi wo shadi nahi kare ge or tumhare 'mama baba' or baqi sab ko yehi kaha k
tumhein studies ka junnon sawar hoa tha tou tum pardhne gai hoi ho auneh kuch bhi batane ki meri himat nahi thi Amaya tum bhi kuch mat batana......
thek he nahi batati or Baba jan or Mamma jan kese he?
wo bhi thek hein Baba jan ne meri bohat class li thi or mamma jan wo tou yehi dua karti rehti thin k tum jald hi ghar wapas aa jao
mama jan ne mujh se baat karna chor diya tha auneh laga meri hi koi galti hogi
or fahad bhai?
wo kuch der khamosh rehne k baad bola han wo bhi thek he ye keh kar aliyan khamosh hogaya...
or Hamas wo pakistan wapas aagaya hoga? wo ab aliyan ko dekhne lagi
han hamas k ate hi aus ka Nikkah kar diya tha Hina chachi ko shadi ki jaldi thi kuch time se aun ki tabiyat bohat kharab thi
aune dar rehta tha Khuda na kare auneh kuch hogaya tou aun ki betiyon ka kiya hoga..
Mamma jan ne bohat samjhaya chachi ko k aesi baatein na karein hum sab he ap k sath par Maa tou maa hoti he ause tou apni olad ki fikar rehti hi he...
chachi jald hi haniya or samaira k faraz se azad hona chahti thi tou Mamma jan ne Nikkah kar diya
Hamas or Haniya ne kaha jab tak Amaya bhabi nahi aati hum shadi nahi kare ge par waledein k Dabao mein aa kar hanw kar di
par dono ne kaha ham Nikkah sadgi se kare ge tou nikkah ho gaya phir haniya ki kuch mahino bad ruksati kar di...
Hamas or Haniya Dubai shift hogae!
Ye tou achi baat he k dono ki shadi hogai warna mere intezar mein tou ye dono couples budhe ho jate Ap zain or Anaya ka bhi Nikkah karwa dete
ab wo Karachi Airport par the Gul khan car k pas khadra tha
baaton hi baton mein waqt kese guzar gaya pata hi nahi chala...
Asalam wa alaikum Amaya bibi!
Wa alaikum asalam Gul khan kese hein ap?
hum tou Allah ka shukar he maze mein he aus ne muskurate hoe car ka front door khola
Gul khan tum piche behto mein driving karon ga Aliyan foran driving seat pe beht gaya
Amaya aik dum chonki Aliyan Quran pak car mein?
han Amaya me ab hamesha Quran'Pak car mein hi rakhta hun wo muskuraya
jawab me wo bhi muskurai
acha ham zain k nikkah ki baat kar rahe the?
hanw me keh raha tha k Hamas or haniya ne tou waledein ki zid man li par Zain or Anaya bohat dheet he auno ne kisi ki baat nahi mani
even dono ne dhamki de di k agar ab kisi ne aun ki shadi ki baat ki tou wo dono apni engejment khatam kar denge or wo log jante the k aesa koi nahi chahe ga k aun ki engejment khatam ho...
Amaya k chehre par halki si muskurahat aai Anaya kabhi nahi sudhre gi kitni khushi ki baat he k meri dono dostein meri devraniyan he ab wo kehka laga kar hansi...
ab wo ghar phunch gae the...
                              ----****-----****-------****-------
                     
Agle Roz Amaya k saas sasur bhi karachi aagae the
Amaya se mil kar wo buhat khush hoe Anaya ko khabar mili tou wo bhi foran dordi chali aai
Amaya Mr.Mrs Mustafa k sath lawn mein behti thi jab Anaya main gate se andar dakhil hoi wo amaya ko dekhte hi bhaagti hoi aai or gale lag kar zor zor se rone lagi
par Mr.Mrs Mustafa k samne wo kuch keh nahi pai...
kuch hi pal mein ghar k barabar wali Rafia aunty bhi amaya ki khabar sun kar milne aa gai
beta kesi rahi pardhai course pora ho gaya tumhara ab kahin mat jana apne shohar k sath zindagi guzaro bechara pata nahi kese teen saal bivi k bina raha he
wo kehna chahti thi (jee narazgi ka course tha jo teen saal mein pora hogaya)
Rafia aunty mein bivi se dor thori tha me tou roz skype par baat kiya karta tha wo muskuraya...
Zain bhi amaya se milne aaya amaya k aane se sab buhat khush the
Amaya or Aliyan shadi k baad dosri bar Amaya ki haveli gae the aus k mama baba se milne
Aik hafte baad Mustafa Alam Apni bivi k hamrah gaon wapas chale gae!              
                ----****---****----****-----
Anaya se agli mulaqat Raat Daining table par hoi zain or Anaya dono hi aae hoe the
Aik hafte baad aj anaya ko Amaya se baatein karne ka moqa mila tha
Amaya tum kahan chali gai thi tumhein andaza bhi he k hum kitna pareshan the anaya plate me khana nikalte howe boli...
Bhabi ap ko andaza nahi he bhai jan or hum kitna pareshan the ap ne aik nahi suni or bina batae chali gai km az km aik bar tou hum sab ki baat sun letin
zain pani k glass se sip lete howe bola,
pehle sab aram se khana kha lo phir baatein kar lena Aliyan muskura kar bola...
Aliyan khush tha wo apne dukh bhool chuka tha wo khush tha k wo Amaya k sath khana kha raha he Amaya sahi salamat aus k sath aus k pas behti he...
Nahi bhai jan humhein bhabi ko batane dein k kiya kiya howa he aineh kuch bhi andaza nahi he bhabi ko ap galat lag rahe the
par bhabi bhai jan galat nahi the ab zain tissue paper se hath saf karne laga,
Amaya chup chap aus ki baatein sunti rahi or kisi soch me mubtala hogai (kon he kis ne kiya?)
Amaya kahan gumm ho? Anaya ne apni tarf mutwaja kiya
kuch nahi ab wo uth khadri hoi or plates utha kar kitchen ki janib lapki
Aliyan or zain bahar lawn me ja kar beht gae thandi hawa chal rahi thi...

Anaya bhi aus k piche kitchen me aa gai or slap pe chard kar beht gai Amaya tumhein pata he jab doctor ne bataya tum ais duniya me nahi rahi
Aliyan bhai ye sun kar bilkul pagal se hogae the ajeeb ajeeb harkaten karne lage
bohat roe bohat khuda sa duwaein ki or aliyan bhai ka haal bohat bura tha Mujhe yaqeen nahi a raha tha k ye wohi Aliyan he jo kabhi tum se Nafrat kiya karta tha
or mene pehli bar auneh namaz pardhte dekha wo bhi hospital mein jab dua k liye hath uthae tou ankhon mein mote mote ansu the
Amaya sink k pas khadri bartan dhone mein masroof thi
Amu tum sun rahi ho na me kiya keh rahi hun? wo sawaliyan nigahon se ab amaya ko dekhne lagi
hanw me sab sun rahi hun or tum farig behti bilkul bhi achi nahi lag rahi chalo chae(tea) banao
Awww ghar aai mehman se tum chae(tea) banawao gi amu tum kitni kam chor ho gai ho wo mauh bana kar boli
amaya apni hansi dabae ause dekhne lagi acha ab agey batao phir kiya hoa?
Nahi ab me nahi bata rahi wo mauh bana k boli or chae banane k liye khadri hoi gai
amaya khamoshi se bartan dhoti rahi kuch der kitchen mein khamoshi rahi phir achnak anaya boli acha suno phir agey baat!
haha amaya keh'ka laga kar hansi ab kiyon bata rahi ho Rehne deti Mujhe pata tha tum zaroor batao gi tabhi mene zid nahi ki
Anaya jawab me muskurane lagi amu tum ab bhi wesi hi ho shararti masti'khor Egostic ab please aesi hi rehna tum aese hi achi lagti ho
ab jawab me amaya bhi muskurai!
hanw tou me kahan thi? wo mauh opar kiye kitchen ki chaaaht ki janib dekhte hoe apna sehda hath apne gaal pe rakhe sochne lagi
hanw yaad aaya aus waqt ham sab toot chuke the ro rahe the or ALLAH ne madad k liye Dr.anas ko bheja auno ne bataya k tum zinda ho,
phir hamare chehro pe khushi aai!
Amaya Anaya ap log chae bana rahi hein ya pae? bahar se Aliyan ki awaz sunai di
Anaya foran cup me chae dalne lagi or dono tray hath me liye bahar lawn mein gain
itni der chae banane mein? Zain auneh dekhte hoe bola
Me bartan dho rahi thi or chae Anaya ne banai he Or Amaya ne kuch kehne k liye lbb khole hi the k Aliyan foran bola or ain dono ki baatein zain tumhein tou pata hi he
ab wo dono aik dosre ko dekhte hoe muskurae
kiya chae anaya ne banai he? bhabi ap ko yaqeen he k ye chae thek ho cheni ki jaga namak tou nahi dal diya na?
Anaya mauh bana k ause dekhne lagi or jawab mein khamosh rahi
Zain pee lo jesi bhi banani he ab tou sari zindagi tum ne anaya k hath ki chae hi peni he Aliyan chae ka sip lete hoe bola!
sab hansne lage Anaya ghuse wala mauh bana k behti thi amaya phir se kisi soch mein doob gai thi
wo sochte hoe boli Doctor ne aesa kyon kaha k me mar gai? amaya ne herani se bari bari teeno ko dekhte howe sawal kiya...
pata nahi bhabi wo doctor gayab hi hogaya he koi nahi janta aus ne aesa kyon kiya?
amu tumhare jane k bad aliyan bhai bohat toot gae the auno ne khana wagera chor diya tha sab se milna chor dya tha
apne ap ko kamre me band kar liya kai mahine yehi haal raha phir hum sab ne samjhaya k agey pori zindagi padri he Ap aese himat nahi haar sakte
ALLAH pe yaqeen rakhein sab thek ho jae ga bas ab ap ko khud ko prove karna hoga khud k liye nahi tou amaya k liye hi sahi...
phir Aliyan bhai ne hamari baat mani or khud ko band darwazo se bahar nikala Industry ka naam change kiya
pehle se ziyada mehnat ki or aj wo pehle se bhi ziyada kamiyab bussinesman hen...
Tumhein kahan kahan nahi dhonda par kise khabar thi k tum Lahore chali jao gi chalo ab tum aagai ho tou sab kuch thek hojae ga
ab hum chalte he ap log rest karein
Anaya wahan se uthne lagi kisi ne aus ki kalai pakri mere sath kamre me chalo kuch bat karni he amaya ause apne sath le gai...
Bolo amu kiya baat he?
tum ne shadi kiyon nahi ki?
kyon k tum nahi thi or tumhari ger'hazri me hum kese shadi karte?
par anaya ye tumhari life he amaya k chehre pe ajeeb tasuraat the
or tum bhi tou meri life ho amu wo muskura kar boli,
fahad bhai kahan he anaya wo kyon nahi aae?
Anaya kuch pal khamosh rahi,
bolo chup kiyon ho?
actually Aliyan bhai ne fahad bhai se rishta khatam kar diya he or hospital me auno ne fahad bhai ko bohat mara tha
what mara tha--rishta khatam kar diya par kiyon? aus k chehre pe herani chah gai
Auneh lagta he k fahad bhai ne tumhare juice me zehar milaya tha..
zain ne na hi bhai ki side li na aliyan bhai ki aus ne bas haq ki baat ki k wo dono se milley ga kisi se rishta khatam nahi kare ga
wo tab tak fahad bhai se rishta khatam nahi kare ga jab tak koi saboot na mill jae k fahad bhai mujrim he..
tou kiya waqai zehar fahad..... amaya k lafz wahin toot gae wo beht pe beht gai
pata nahi, wese fahad bhai ne kaha tha wo apne ap ko begunah sabit kar k dikhae ge
Amaya Aliyan bhai tum se bohat muhabbat karte he tumhein nahi pata tum ne kitni aziyat di he auneh bas kardo bohat saza de chuki tum auneh
jab se dr.anas ne sab kuch bataya tab se Aliyan bhai ko tum se kai ziyada muhabbat hogai he or wo buhat badal gae he..
kiya bataya dr.anas ne?
yehi k kese kiran ne aun ki nazar me tumhein giraya wagera wagera chalo me chalti ho
ALLAH HAFIZ....

fahad ne zehar---dr.anas ki baatein---Aliyan aziyat---fahad se rishta khatam--- kuch samjh nahi aa raha jese kisi ne pahad sar pe tor diya ho,
wo apna sar pakre wahin bed pe behti thi YA ALLAH ye sab kiya he akhir kis ne zehar? kiya waqai fahad.....?
nahi wo aesa kyon kare ge wo tou khush the aun k dil mein tou koi burai na thi, tou phir kis ne........??
amaya k zehan me kai sawal andhi tofan ki tarha uth rahe the...
                               ------*****------****--------****-------

Aik Roz Amaya lawn me ghaas par behti zameen pe hath pheer rahi thi jese kuch soch rahi ho Aliyan ghar aaya tou aus ki nazar ghas par behti amaya pe padri
jo dhile dhale safeed pajame pe ghutno tak halki gulabi lambi qameez me malboos kamar tak khule howe silky ball wo ab apne baal hathon me sameete judraa banane lagi
chehre par masomiyat sajae opar Asman ki janib dekhne lagi!
sham ka waqt tha Asman par kali ghataa chai howi thi!
kuch hi der me zor dar barish hone lagi wo uth kar andar ki janib bhagne lagi kisi ne aus ki kalai mazbooti se pakar li ghabra kar piche dekha tou
blue jeans par safeed shirt mein malboos hamesha ki tarah aliyan acha lag raha tha...
Andar chalein bohat tez barish ho rahi he..
Nahi aj ais barish ka maza lene do, humare dukh,narazgi,porani baatein jin se humhein dukh phuncha he aun sab ko aj ais barish me beh jane do...
barish se gelee baal mathey pe bikhre hoe the, hawa bhi khoob chal rahi thi dono kuch der aik dosre ko dekhte rahe jese aj pehli bar mille ho
jese baat karne ko kuch na ho....
Aik larki Amaya
Barasti hoi Barish si,
Masoom Adaon si,
khoobsurat shehzadi si,
Aik larka Aliyan
mangi hoi duwaon sa,
bin barsi barsat sa,
pur'kashish adaon sa!

Amaya tumhein pata he tumhari kis baat ne mujhe tumhara deewana bana diya he?
Nahi mujhe nahi pata wo halka sa muskurai
Tumhari sachai, tumhari straight'forwardness, tumhara ikhlaq, tum sirf chehre se hi nahi andar se tumhara dil bhi bohat khoobsurat he
or tum sab se munfrid ho tum khud se ziyada dosron k bare me sochti ho tum bohat achi ho...
Acha bohat jaldi khayal aagaya wese mujhe nahi lagta k me sab se munfrid hon wo muskurahat chupate howe boli, or pholon ko piyar karne lagi...
Barish ab bhi utni hi teez ho rahi thi
yar jo quaility insan mein ho ause maan lena chahiye k han ye khas baat mujh me he jo dosro me nahi intezar nahi karna chahye k koi dosra hi tareef kare
kyon k ab log kisi ki tareef mushkil se hi karte he,
Aliyan ne ause kaaail karne ki koshish karte howe kaha
wo apni kanch si chamkeeli ankhein aliyan par markoos karte howe muskurane lagi...
filhal aus k dimag se wo sab batein gayab hogai thi jo wo soch rahi thi, or bas apne shohar ki baaton ko enjoy karni lagi or labooon pe muskurahat sajae rakhi
ab amaya ka hath aliyan k seene par aus k hathon k niche daba howa tha
piyaar bhari nigahon se dono aik dosre ko dekhne lage barish or teez hogai

Nobody has ever made me feel the way you do!
wo ause dekhte howe muskura kar bola....!

Amar Pareem ka Agar koi Laad ka Naam hota Tou wo Amaya Aliyan hota!
                                  -------****-------*****------****-------

Aik Roz Aliyan der se ghar aaya kamre me dakhil hoa tou amaya ko sote hoe paya
amaya ko uthana musanib nahi samjha wo bohat thaaki hoi lag rahi thi!
zulekha kuch roz ki chuti le k apne ghar chali gai thi
aus ne khud kitchen me jaa kar khana liya or khaa liya, kamre mein aa kar sofee pe beht gaya or amaya ko dekhne laga
jo kambal ordeee chehre pe masoomiyat sajae bed pe so rahi thi...
wo sochne laga kiya ain teen saalo me amaya ne mujhe kabhi yaad nahi kiya hoga?
kiya ause hamara rishta kabhi yaad nahi aaya hoga?
Amaya ne mere bina kese itna waqt guzar liya kai sawalaat dimag me chal rahe the...
Aliyan ne kapre change karne k liye almari kholi tou aus ki nazar aik kitaab pe prhi purple colour k box me mehfooz wo ause utha kar dekhne laga...
or wo box hath mein liye kamre se bahar chala gaya jab box khola tou aus mein amaya ki dairy thi ause laga shayad aise pardh kar ause apne tamam sawalon k jawab mil jae
wo foran dairy khol kar safhee badalne laga...
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dear dairy, Mein sab kuch chor kar Lahore aagai hon me nahi janti mene thek kiya ya galat
par me Aliyan se bohat ghusa hon nafrat he mujhe aus se wo mere sath aesa kese kar sakte he?
Aus ne mujhe se badla lene k liye shadi ki, aus ka kisi or k sath afair-- wo mujhe dokha deta raha wo sweet behaviour shadi sab dokha tha
Mujhe tou ye soch soch kar khud pe ghusa aa raha he mene Aliyan pe aitbar kese kar liya mein tou kabhi kisi se dokha nahi khati thi mujhe to yaqen hone laga tha k mujhe logon ki pehchan he,
zindagi me pehli bar aetraf kar rahi hon k me pagal hon bewaqof hon mujhe koi bhi aram se bewaqof bana sakta he,
Aliyan k bare me bina kuch jane me ause pasand karne lagi mene aik bar bhi nahi socha k aus ki apni zindagi kiya he?
mene sachai or achai k phande gale me daal rakhe the mere tou na achai kam aai na sachai hamesha logon ne mujhe dukh hi diya he mene tou kabhi kisi ka bura nahi chaha
kabhi kisi se fareeb nahi kiya phir tum kyon meri zindagi me aae kiya bigara tha mene tumhara mujh se shadi kar k kon sa badla liya he tum ne?
me janti ho aik hi baat se tumhein mujh se nafrat thi k social side pe tang kiya par kon samjhae tumhein k mene kabhi tumhein tang nahi kiya...
kiyaa Aliyan ne mujh se aus baat ka badla liya he....??
par mene tou aliyan ko bataya tha k mene tang nahi kiya, tou phir kiya ause meri baat pe yaqen nahi aya.....?
ya rab meri madad kar mujhe kuch samjh nahi araha ye sab kiya ho raha he...
jo dil wale hote he na dimag wale jamm k aun ka aistemal karte he
or kiran ne mere sath kuch aesa hi kiya!
oh kiran kiya mila tumhein mere sath aesa kar k tumhara kiya bigara tha mene hamesha aik achi dost ki tarah tumhein buri chezzo se bachana chaha tha
me tumhein bad'dua bhi nahi de sakti mera rab mujh se naraz hojae ga or me tou tumhein maf bhi kar chuki hon...
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ye pardhte hi aliyan ko dachka sa laga, auski himat nahi ho rahi thi k agla safhaa khol kar pardhe
amaya mujh se nafrat--- me hamesha amaya ko galat samjhta raha
ab mujhe mehsoos ho raha he kisi ka nafrat karna kitne dukh ka bahis hota he
mene hamesha tum se nafrat ki ab mehsoos ho raha he k tum par kiya guzarti hogi
sahi kaha he kisi ne! jo takleef ap khud bardasht nahi kar sakte
wo kisi dosre ko bhi na dein...
aus ki ankhon me ansu jhalakne lage wo sochne laga jab mujhe amaya ne bataya tha tab kyon mene amaya ki baat pe yaqeen na kiya?
ause khud pe ghusa aane laga or agla safhaa khol kar agey pardhne laga..
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dear dairy: khirdki k bahar barish k qatre girte dikhai de rahe he me khirdki k pass behti barasti barish ko tarsi hoi nigahon se dekh rahi hon
insan jis se bohat ziyada muhabbat karta he ALLAH ause ausi k hathon torta he kitna azaab hota he kisi ka kabhi nazar na aana kitna azaab hota he
ghar me akele rehna apno se door bohat door!
ALLAH sabar karne walo k sath he shayad ye meri koi azmaish he pichle teen saal se sabar kiya he ALLAH PAK mujhe agey bhi sabar karne ki toufeeq ata farma...
Mera ghusa shayad waqti tha mujhe ab Aliyan ki yaad ane lagi he me chah kar bhi aus se nafrat nahi kar paa rahi hun
kiya Aliyan mujhe yaad karta hoga? kiya anaya mujhe yad karti hogi? or wo juice ka glass aus me zehar!
mere dimag se ye baatein nahi ja rahi YA ALLAH tu jo karta he behtar karta he teri raza mein hi meri khushi he
Siya ne jo mere hath ki lakiroon me dekha tha ye sab wohi tou ho raha he mere sath kiya waqai hath ki lakiren sachi hoti hen...
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Aliyan aus k likhe howe lafzon par hath pherne laga kuch lafz dhundle dikhai de rahe the shayad wo likhte waqt be'tahasha roi thi
aus k ansu aun lafzon par gire howe the jis wajah se lafz dhundle ho gae the wo mazeed agey pardhne laga....
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Dear dairy: Aj mene Ayan sir ki party mein Aliyan ko dekha me foran wahan se bhag nikli aus ne apni Industry ka naam tabdeel kar k Shams industray rakh liya he,
aus ne aesa kyon kiya?
kiya wo apne kiyee pe sharminda he? me Aliyan k samne nahi jao gin shayad mera aus se door rehna hi behtar he
jese teen saal guzar gae baqi zindagi bhi guzar hi jaegi..
kiya Aliyan ne dosri shadi kar li hogi? aus larki se jis k messages ate the
Aliyan kafi khush dikhai de rahe the kiya mere bina wo khush hen?
itne sare sawal dimag me he par shayad aun ka jawab kabhi nahi milley ga,
shayad me aj bhi aus se muhabbat karti hon bal k me tou kabhi nafrat hi nahi kar pai hon Aus ki ankhon mein ansu the

Roti hoi andheri ankhon ka agar koi laad ka naam hota tou wo Amaya hota!

me janti hon sabar ka phaal metha hota he or khuda sabar karne walon k sath he,
mere dil me kisi k liye koi bad'gumani nahi mene sab ko maaf kiya
Aliyan ko kiran ko sab ko ALLAH kiran ki zindagi behtar kare aus k shohar ko sehdi raah pe chalne ki toufeeq de sab ko maaf kiya mene sab ko me aj pori raat ro gi aj asman bhi mere sath ro raha he ...
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tamam safhee teen saloon ki tamam baatein pardhne k bad Amaya mere dil me tumhare liye or muhabbat bardh gai he tum waqai bohat achi ho...
shukriya tum ne mujhe maaf kiya aus ki ankhein numm hogai mujhe mere sare sawalon k jawab mil gae...
par ye siya kon he? ais ne amu ka hath dekh kar kiya kaha tha?
amu ne kabhi mujhe kiyon nahi bataya? wo sochte hoe khud se batein karne laga
                             
                                -------****-------*****------****-------
             

Aese hi kuch waqt guzar gaya!
Aik bar phir zain or Anaya ki shadi ki tayarian hone lagi...
Amaya or Aliyan ko ALLAH ne aik bar phir khushi se nawaza...
ab Aliyan Amaya ka bohat khayal rakhne laga wo kuch bhi khaati pehle khud kha kar check karta phir ause khane deta sab bohat khush the shayad sari khushiyan wapas lout aai thi...

Aliyan do din se gaon gaya howa tha wo aj gaon se ghar aaya tou amaya ause kahin nazar na aai wo yahan wahan ause dhondne laga
wo dar gaya aus k chehre pe pareshani chaaa gai Amaya kahan gai?
khule taraozer pe lamba kurta garden ki gird maflar ki tarah duppata lapate ab wo apne silky ballon ko hath me samete ounchi poni karte hoe sink k pas aai or churri(knife) dhone lagi
ab wo sar jhukae khadri cutting board pe taak taak piyaas kat rahi thi ansu gaalon pe chamak rahe the!
kitchen k pas se guzarte hoe ause thak thak ki awaz sunai di wo tezi se kitchen mein dakhil hoa
Amaya ause ata dekh muskurai
halke salety colour ki cotton ki shalwar kameez mein malboos bohat acha lag raha tha...
ause sahi salamat dekh kar aus ne ALLAH ka shukar ada kiya or aik lambi sans li
Asalam wa alaikum janab aap kab ae or kitchen mein kese aana howa?
wa alaikum asalam! tum yahan kiya kar rahi ho zulekha kahan he? Aliyan thora ghuse se bola
aus ne churri wale hath ki pussht se gaal saaf kiya, khana bana rahi hun or zulekha dosre ghar k kamon me masroof he ap bataein kiya khaein ge? wo muskurai
zulekha zulekha wo sadaein lagane laga
jee sahab kiya howa? wo bhagte hoe aai
tumhein pata he k Amaya ki tabiyat thek nahi he ause mukamal rest karna he tou Amaya kitchen me kese aai?
me tumhein mana bhi kar k gaya tha aise koi kam na karne dena or ye yahan khadri khana bana rahi he
ais ka matlab meri ger'hazri mein amaya sab ghar k kam karti rahi he
ainda me amaya ko koi kam karte howe na dekho wo ghusa me chila kar bola...
Zulekha ne foran aus k hath se churi pakri
wo kabhi zulekha ko dekhti tou kabhi aliyan ko
chalo amaya kamre mein wo aus ka hath thaame kamre ki tarf chalne laga
wo chalte hoe herani se aliyan ko dekhti rahi itni care pehle tou na thi itni muhabbat pehle tou na thi
wo dil me sochne lagi or sochte howe boli aliyan phir se ghusaa?
ab wo dono kamre me bed pe behte the i'm sorry par me kiya karon mujhe ghusa aa jata he chalo choro meri baat suno!
ap ki baat bhi sunti hun pehle ye batein baba jan mama jan kese he?
wo thek hein tumhare liye kuch gifts bheje he or baba jan dandt rahe the k amaya ko ghar pe kiyon chor k aae sath le ate...
jawab mein wo muskurai
me kafi din se kuch batana chah raha tha tumhein...
jee bolein!
Mene tum se bina poche tumhari dairy pardhi thi or mujhe jan kar khushi hoi k tum ne mujhe maf kar diya or ham sab tumhein bohat yaad karte the me ne kabhi tumhen dokha nahi diya or
juice me mene kuch nahi milaya mujhe tou fahad ne diya tha or.... amaya ne aus ki baat kat di
or ap ko lagta he k wo harkat fahad bhai ne ki tabhi apne auneh mara or rishta khatam kar diya--
hanw par tumhein ye sab kese--? zaroor anaya ne bataya hoga
jee mere pochne par anaya ne bataya tha or me ye kabhi nahi chahti thi k meri wajah se ap dono bhaiyo k darmiyan koi larai'jhagdra ho,
ap auneh maaf kar dein or ghar wapas bula lein wo apni ankhon pe aae baal kan k piche karte hoe boli...
Nahi me ause maaf nahi karon ga me janta hun ye sab ausi ne kiya he ausi ne hamare bech larai dalwai wo abb bhi tumhen pasand karta he
tabhi aus ne ye sab kiya me ause har'giz bardsht nahi kar sakta wo ghuse me bola or zahir he ghusa kyon na aae ye jante howe k koi ab bhi aus ki bivi ko pasand karta he..
ab dimag mein phir se wohi sawalaat uthne lage, fahad ne aesa kiya..... or wo larki kon jis k messages ate the....?
kiya kabhi ais haqeeqat k bare me pata chal sake ga?
Amaya ka zehan uljha howa tha wo khamoshi se lete ye sab sochne lagi....
Amaya ab me aik bat puchun? wo kuch sochte howe bola
jee puchen...!
ye siya kon he or aus ne tumhare hathon ki lakeron me kiya dekha tha?
seerat meri class fellow thi ause hath dekhna ata tha wo sab ka hath dekhti thi or mostly wo jo bhi batati thi sach hi hota tha
aik din mene bhi hath dikhaya aus ne mere past ki kuch baatein bilkul thek batai tou mujhe yaqeen ho gaya phir mene aus se future ka pocha...
phir aus ne kiya bataya? aliyan dilchasbi se pochne laga...!
aus ne bataya k mere sath kuch bohat hi bura hoga jis wajah se mera aus insan se bharosa uth jae ga jise me behad chahti hon
kyon k wohi insan mujhe bohat dukh de ga mujhe bohat dukh miley ge shayad aik muskurahat k liye bhi tarson gi.....
ais se pehle k wo agey kuch kehti mene foran hath piche kar liya k ye kiya bakhwas he?
seerat kehne lagi jo tumhare hathon ki lakiron me he mene wohi bataya he par meri dua he k aesa kuch na ho or meri baat jhoot hojae....

par aliyan seerat ne jo kaha tha mere sath wohi sab tou howa he ab aun sab ki wajah galat fehmi thi ya kuch or par aus ki baat sach hogai amaya udasi bhare lehje me boli..
Aliyan khamosh raha or apna hath aus k kandhe par rakhte howe ause apne qareeb kiya or aus k sar par piyaar se chooma!
Mein ab ghusa nahi karon ga wada karo ab tum mujhe chor kar kahin nahi jao gi hamesha mere sath raho gi me ab kabhi tumhein dukhi nahi hone donga ab ham khush rahe ge amaya!

Muhabbat ka agar koi laad ka naam hota tou wo Aliyan hota
Roti andheri ankhon ka agar koi laad ka naam hota tou wo Amaya hota!
                -----****------****------****-----


kamra sara bikhra howa tha, almari se adhe kapre bahar nikal rahe the
bed ki chadar pe chae giri hoi thi, dresing table pe sab saman bhikra hoa tha or aik larki hath mein lipstick pakre sheshe mein khud ko dekhte hoe muskura rahi thi
kafi der se aik khatoon darwaze pe khadri ause musalsal dekh rahi thi!
wo larki ab bhi aisi tarah khud ko sheshe mein dekh rahi thi
Wo khaton zor se chilain ye kiya ho raha he?
aun ki awaz se wo larki aik dum choonki or lipstick hothon pe lagte lagte hothon se thora opar naak k niche lag gai
aus ne foran kamre k darwaze ki tarf dekha Ami aap?
apne mujhe dara hi daya ye dekhein meri sari lipstick kharab hogai wo ab sheshe me khud ko dekhte hoe lipstick thek karne lagi..
kiya hal banaya howa he kamre ka koi aqal koi tehzeeb he tum mein sasural ja kar maa ko badnam karna
ab wo sheshe se nazrein hata kar apne kamre ka jaiza lene lagi
oh ye kiya mene kamre ka haal kiya banaya hoa he? wo dil me sochne lagi
Ami wo me chae pee rahi thi tou cup mere hath se gir gaya tha mene socha tayar ho k chadar badal dongi ap ne hi tou shor machaya howa tha
k market jana he jaldi tayar ho jao
hanw sab kuch mujh pe dal do apni galti mat man'na k tum kam chor ho apni best friend se kuch seekho
bal'ke choro jab tum itne saalon me amaya se kuch nahi seekh saki tou ab kiya seekho gi tumhein tou tumhari saas sehda kare gi
ami ap bhi na bas amaya ki misale dene lag jati hein shadi se pehle wo bhi aesi hi thi wo apne hont ko dandton me liye apni ami ko dekhne lagi
me nahi manti k wo tumhari tarah apne kamre ko ghanda rakhti thi tum ne jab bhi mujhe aus ki or apni tasverein dikhai thi aus ka kamra saf'sutra hi tha
har chez apni jaga pe samjhi
ami ap tou bohat tez hein ap tasveron mein yahi note karti thi kiya?
wo kitne piyar or naram lehje se baat karti he or tum tou jese khane ko parti ho aj ami zara lecture dene k mood mein thin
aus ki mama ka bhi mere bare mein yahi khayal he wo ahsta se boli!
har maa ko apne bache nalayaq hi lagte he ab market chalein ya ap ka lecture ka mood he?
bakoo mat pehle apne kamre ki safai karo phir jae ge!
wo kehte hoe wahan se chali gain anaya piche se awazein dene lagi Ami'Ami
uff aj tou ami full to action mood mein he acha hoa apna hatheyar "belan" sath me nahi lain warna aik do lag hi jate
chalo beta anu safai karo amaya tumhein ALLAH poche ga wo mauh bana kar safai karne lagi!
                         ----****----****----****----

Aliyan me kab se ap ko dhond rahi thi or ap yahan behte hein wo kamre mein dakhil hote howe boli,
Aliyan bed par behta kisi soch mein gumm tha ause aata dekh foran laptop ko apne samne rakh liya or nazrein churate howe bolna laga
yr ye laptop charge kiyon nahi ho raha kharab hogaya he kiya?
Amaya khamoshi se aus k qareeb khadri thi laptop ka charging cable uthaya or switch board mein laga diya or halka sa muskurai!
Oh me tou cable switch board mein lagana bhool hi gaya tha Aliyan zabardasti ka halka sa muskuraya wo ab bhi nazrein chura raha tha or laptop mein lag gaya!
Amaya ne laptop utha kar side table par rakha or aus k pas beht gai ap upset hein?
Nahi me kiyon upset hone laga or tum kiya har waqt meri jasoosi karti rehti ho jao na apna kam karo
Acha upset nahi hein tou nazrein kiyn chura rahe he mujh se me janti ho kuch tou he par ap batae ge thori ap ka ego jo itna he
Aliyan mein ap ki bivi hun atleast mere samne tou apni ego chor dein wo khamosh tha or amaya ab bhi ausi par nazrein makros kiye behti thi...
Fahad mera bhai jisse mene sage bhai se bhi ziyada samjha or aus ne dekho kiya kiya hamare sath mujhe bohat dukh ho raha he me bohat piyar karta hon aus se
par ab mujhe aus se nafrat si hone lagi he!
Aliyan ap ko pata he jab kabhi hamare dil mein kisi k liye nafrat paida hone lage tou hamein aus ki achaiyan yaad karni chahiye
ap sab kuch bhula kar auneh maf kar dein...
Nahi amaya mera dil tumhare dil ki tarah bara nahi he
Gaaltiyan qabil-e-mafi hoti hein
Agar man li jaein tou...
par aus ne ab tak apni galti nahi mani he or mujhe bohat taklef di he fahad ne or aus ki wajah se tum mujh se door hoi
hamare darmiyan galat fehmiyan hoi me kabhi maf nahi karo ga
mujhe hamesha dukh rahe ga ab aus ki ankhein numm hogai...
Najane pichli kitni raaton se wo Fahad ko yaad karta raha tha...
Aliyan jo log ghuse ko pee jate he
or dosron k qasoor maaf kar dete he
aese naik log ALLAh ko bohat pasand hein
tou kiya ap naik logon me shamil nahi hona chahe ge?
wo khamosh raha ankhein ab bhi namm thi
Aliyan tasleem kare ya na kare par ause ghuse k sath sath ab bhi fahad se utni hi muhabbat thi
Agle roz Aliyan office chala gaya..
Amaya ne side table pe rakha cell phone uthaya or number dail karne lagi...
agey se kisi ne call recieve ki, hello zain aik kam karo ge tum mujhe batao fahad bhai kahan he tum tou milte ho na aun se?
jee bhabi me janta hon par ap kiyn poch rahi hen?
mujhe fahad bhai se milna he aun se aus din k bare me jan'na he please ais bare me Aliyan se kuch na kehna...
ok bhabi no problem me fahad bhai ko keh doga wo ap se millne aajae ge..
thank you zain ye keh kar aus ne phone band kar diya...
agley roz, Aliyan book shelf k pas khadra books set kar k rakh raha tha Amaya ka cell phone bajne laga
Aliyan phone uthane hi wala tha k amaya ne foran apna cell phone utha liya or kamre se bahar chali gai
zain calling!
foran yes ka button press kiya bhabi food Area k pas mein jo resturent he wahan ja kar bhai Jan se mil lein
zain abhi aliyan ghar pe hein me abhi nahi ja sakti tum aik kam karo auneh kal sham ka keh do
jee jesa ap kahein ALLAH HAFIZ....

Agle roz wo driver k sath jane k liye ghar se nikli
ause mehsoos howa koi aus ka peecha kar raha he wo bar bar gadri ki window se bahar ki janib dekhti....
blue jeans pe feroozi qamez kohniyo tak aasten chardhae baal khule howe wo resturent me behti fahad ka intezar karne lagi...
kafi time guzar gaya fahad nahi aaya wo apni kalai pe bandhi ghadri me bar bar time dekhne lagi
itna time hogaya ye fahad bhai kyon nahi aae or mujhe aesa kyon lag raha he jese mera koi peecha kar raha tha
kahin aesa na ho k meri ye scheme mere gale aajae wo dil me sochne lagi or ab aik bar phir wo time dekhne lagi!
kuch der bad ause mehsoos howa k jese kisi ne aus k sar pe koi cheez de mari he or ab aus ki ankhein band hogai...
                        ----****----****----****----
Aliyan office se late ghar aaya tha kamre me aya tou amaya ause kahin nazar na aai
Amaya kahan ho tum?
wo kamre me yahan wahan balcony me ause dekhne laga wo kahin nazar nahi aai
kahan gain medam terrace pe tou nahi chali gai aus ne samne wall clock ki janib dekha 11:00 baj rahe he ais waqt amu terrace pe kiyon jae gi
wo foran terrace ki janib lapka
wo wahan bhi nahi mili, ab ye Amu kahan chali gai?
mana bhi kiya he k koi kam na kiya karo me ab koi risk nahi lena chahta phir bhi medam lagin hongi kisi kam mein abhi ja kar dekhta hun!
Amaya amaya wo pukarte howe sedriyon se niche aa raha tha ause amaya ki tarf se koi jawab na mila
wo pehle kitchen me gaya, phir daining haal mein, ab aus ne pora Ghar chaan mara par wo kahin nahi mili wo pareshan ho gaya
zulekha zulekha wo chilane laga
jee sahab kiya howa?
Amaya kahan he? wo chilaaya
sahab mujhe nahi pata me tou ghar k kam me masroof thi..
wo jaldi jaldi phone pe number dail karne laga..
hello zain Amaya tumhari tarf aai he kiya?
nahi bhabi yahan tou nahi kyon kiya howa? zain ne preshani bhare lehje me sawal kiya
yr 11:00 baj rahe he or Amaya pore ghar me kahin bhi nahi he wo kahin jati bhi nahi he har jagah pata kar liya
acha bhai me abhi aata hun sath mil kar dhond'te he ap ne Anaya se pocha?
nahi tum aao me Anaya se bhi poch leta hun ye keh kar Aliyan anaya ka number dail karne laga,
hello anaya amu tmhare ghar he?
nahi bhai wo yahan nahi kiyon kiya howa?
nahi kuch nahi ye keh kar aus ne phone band kar diya...
kuch der me zain aagaya bhai apne mulazimo or driver se pocha?
han pocha par kisi ko kuch nahi pata aliyan ne "driver" lafz par koi khas dehan na diya!
yahan wahan har jagah ause dhondne lage kuch der bad khayal aaya driver zain tum ne driver ka kaha matlab tumhein pata he k Amaya kahen gai he?
zain khamosh raha...
zain me kuch poch raha hun bolo kahan he amaya tum jante ho wo kahan gai he Aliyan ghuse se chilaya aus ki ankhein ghuse se lal hogai...
Bhai jan mene tou wese hi driver ka kaha ho sakta bhabi kahin gai ho driver k sath shopping wagera!
Aliyan ne aus ki pori baat nahi suni or bahar ki janib bhaga zain bhi aus k piche bhaga
Gull khan yahan aao gull khan car ko kapra lagane mein masroof tha
jee Aliyan baba!
Amaya bibi tumhare sath kahin gai thi? Aliyan ne aik ghuse wali nigah zain par dali
jee Amaya Bibi ko ham food area k pas wale resturent mein le k gaya tha
tou tum ause apne sath wapas kiyon nahi lae? aus ne dobara zain par nigah dali jo aliyan se nazrein chura raha tha
bibi ne kaha mujhe thora waqt lage ga jab me farig ho jao gi tou call kar k bula lon gi
acha thek he ab Aliyan zain ko bazu se pakar kar andar le gaya
Ab kuch batao ge bhi ya chup rehne ka roza rakh liya he?
Me mulazimo k samne tumhari class nahi lena chahta tha
wo bhai jan b'bhabi ko wo atak atak kar bol raha tha
kiya bhabi ko agey bhi kuch bolo ge? bhabi k farma'bardar devar
bhabi ko fahad bhai se mil kar aus din k bare me maloom karna tha auno ne mujhe kaha k me ap ko na batao wo nazrein jhukae bolne laga...
what?zain dimag kharab he tumhara tum ne amaya ko aus k pas bhej diya jo pehle bhi aus ki jaan lene ki koshish kar chuka he
mujhe tum se ye umeed nahi thi Aliyan afsurda nighaon se ause dekhne laga...
ab chalo ausi jagah ja kar maloom karte he...
kuch der me wo log aus jagah phunch gae wahan k manager se pocha har aik se maloom kiya par kisi ko kuch pataw nahi Aliyan ki ankhon me ansu jama hone lage...
zain tum ne kis number pe fahad ko contect kiya tha pocho fahad se ais bar me ause nahi choro ga ais bar me kuch khayal nahi karo ga na tumhara na Badar chachu ka
Aliyan ki ankhon me junoon or ghusa tha...
zain number dail karne laga par number band tha Aliyan ka shak yaqeen me badal gaya!
Amaya ka kahin kuch pata na chala wo thaak haar kar ghar aa gaya or terrace pe tehalne laga
Amaya ko fahad ne phir se koi nuqsan----wo sochne laga raat k 2:00 baj gae Amaya kahan hogi kis haal me hogi wo chalte chalte
niche apne kamre me aa gaya
Amaya tum kahan ho? me kese tum tak phunchu? ab wo zameen par behat gaya kamre mein andhera tha
bahar tez barish hone lagi or aus ki ankhon se ansu behne lage ab wo utha or chalte hoe bahar road par agaya or soon'saan sadrak par chalne laga barish or bhi teez hogai
ya ALLAH ye sab kiya ho raha he abhi tou hamare bech sab thek howa tha abhi tou khushiyan hamari zindagi me wapas aai thi or ab phir....
Aey ALLAH! Mushkilaat mein mera hath pakar le
or mere samne har mamle mein haqaiq k sare pehlu khol de..

wo ab road par beht gaya Amaya tum kahan chali gai ho tum ne mujh se wada kiya tha k tum mujhe chor kar kahin nahi jaogi
wo ab bachon ki tarah ro raha tha wo ais tarah ab dosri baar roya tha ab wo uth khadra howa!
kahan dhondo Amaya ko har jagah dekh liya wo kahin bhi nahi par me himat nahi haaro ga me apni amaya ko dhond kar raho ga par kahan?
kahan dhondo ause mein?
me har hal mein Amaya ko dhond kar rahun ga
ALLAH meri madad kare ga
Amaya mere liye he or me aus k liye
ALLAH ne humein aik dosre k liye banaya he
ye raat kese kaate gi ye raat bohat aziyaat bhari raat he...
mujhe kiyon bar bar saza mil rahi he me tou apni galtoyon ki mafi bhi mang chuka hun...
Ab wo apne bazu phelae Asman ki tarf dekhte howe zor se chilaya Amaya where are you?

                                   -------****-------*****------****-----
Episode 20
                 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain


Amaya ko hosh aa gaya wo ahista ahista apni ankhein kholne lagi ankhon k agey andhera sa tha
jab mukamal ankhein khuli aus ne khud ko kisi kamre mein paaya
kamra bohat acha decorate tha, amaya k sar pe kisi wazni cheez k lagne ki wajah se
aus k sar mein ab bhi dard tha wo sar pe hath rakhe
yahan wahan nazarein ghuma kar kamre ka jaiza lene lagi  ause samjh nahi aa raha tha
wo kahan he?
jab mukamal tor par dimag thikaane aaya tou wo heran reh gai yahan wahan har jagah
har tarf dewaron par, table par, kamre ka wallpapr har jagah aus k photos the
ye dekh kar wo heran reh gai aus ka chehra safeed pard gaya..
ye m'mere photos--ye mein kahan hun auf mera sar kiyon chakra raha he ye sab kiya he?
har jagah mere photos or me tou resturent mein thi
tou phir yahan--wo sochne lagi kuch yaad ane pe aik dum aus ki ankhein phati kiya or aus ne apne mauh pe hath rakh liya kiya mujhe yahan fahad bhai---
aa'h mera sar, ye sab kiya ho raha he me kahan hun aus ki ankhon se ansu behne lage..
kuch der bad kisi k juton ki aahat sunai di koi kamre ki janib chalta howa aa raha tha..
Amaya ka dil zor zor se dharakne laga!
YA ALLAH meri madad kar me kahan hun?fahad bhai aesa nahi kar sakte
YA ALLAH PAK ye bas mera weham ho fahad bhai itni giri hoi harkat nahi kar sakte
ALLAH PAK ye fahad bhai na ho jese jese qadmon ki awaz qareeb ate sunai dene lagi
wese wese aus k dil ki dharkane tez hoti gai  aus ne apni ankhein band kar li
kuch der me kamre ka darwaza khula....
                          -------****-------*****------****-------

wo raat bhar jagta raha tha, Allah se duwaein karta raha tha shayad ye ain ki zindagi mein
aik nae tufan ki amad thi
aik aesa tufan jis ne aik bar phir amaya ko aus se dor kar diya tha
Azan-e-fajar ki sadaein buland hone lagin Aliyan uth kar behta or dono hath apne chehre par
pheerne laga ab wo uth khadra hoa or washroom ki janib chal diya
Ab aus ne wazu k liye pani ka nal khola wazu karte waqt wo kuch duwaein
apne ALLAH se kiya karta he
ye wo Aliyan tha jo samjhta tha k aus k pas sab kuch he ause kisi chez ki kuch mangne ki zaroorat nahi par jab se wo sirat-ul-mustakeem pe chalne laga tha
tab se hi ause ehsas hoa tha k ause mangna he ause apne ALLAH se bohat kuch mangna he
ab wo har waqt ALLAH se kuch na kuch mangta hi rehta tha
wazu ki fazilat ye he k jo shaks achi tarah wazu karta he aus k tamam gunah maaf ho jate he,
or aus k hath or paon roz-e-qayamat roshan ho ge
wazu shuru karne se pehle aus ne aik baat kahi
Aey ALLAH mein ye wazu teri raza k liye kar raha hun
ab aus ne sab se pehle "Bismillah alrahman alraheem" pardhi
"Nabi pak ne farmaya: jo shaks wazu k shuru me ALLAH ka naam nahi le yani
Bismillah na pardhe aus ka wazu nahi hota"
                     Book: "Roshni Ka Safar"

Ab aus ne dono hathon ko kalai tak dhoya or dil me dua ki
(ALLAH PAK ain hathon ko naik kam karne ki tofeeq ata farmana)
Ab aus ne teen bar kuli ki
(ALLAH PAK mujhe ais mauh se hamesha sach bolne ki tofeeq ata farmana)
ab aus ne teen bar naak me pani chardhaya
(ALLAH PAK mujhe ais naak se jannat ki khushbu soongne ki tofeeq ata farmana)
ab aus ne teen bar mauh dhoya
(ALLAH PAK roz-e-qayamat mere chehre ko naik amal ki wajah se roshan karna)
ab aus ne dono hath kohniyo sameet dhoe
(ALLAH PAK mere dono hathon ko salamat rakhna)
ab wo apne dono hathon ko piche gudi tak le gaya or phir dono hathon ko gudi k piche se agey ki tarf laya yani aus ne sar ka masa kiya
or phir dono shahadat ki ungliyon se kano k andar or dono angotho se kano k bahar masa kiya
(ALLAH PAK mere sar par hamesha apni rehmat ka saya banae rakhna or ain kano ko buri batein sun'ne se bachana)
ab wo apna daya'n paon takno tak dhone laga
(ALLAH PAK mere paon ko salamat rakhna or sehde raste pe chalne ki tofeeq ata farmana)
baya'n paon takno tak dhona shuru kiya
(ALLAH PAK mere ais paon ko bhi salamat rakhna or ulte raste pe chalne se bachana)
Aamen Suma Aameen!
ALLAH PAK wazu k doran mujh se koi galti hoi ho tou mujhe maf karna dena
Beshak ap reham karne or maf karne wale he

Masjid phunch kar aus ne namaz ada ki or dua k liye hath uthae!
sab se pehle darood-e-pak pardha ALLAH PAK ap rahim ap kareem sab tarifein
ap hi k liye he ham jo mangte he ap hi se mangte he ap hi hamare dene wale or paida karne wale he
ALLAH PAK ap har cheez se waqif he ap se koi chez koi baat pooshida nahi
ye gunaho se bhare hath ap ki bargah mein uthe he mujhe dua mangne ka saliqa nahi ata
par ap dilon k halat jante he
mere malik me ais waqt bohat akela hun or bohat mushkil mein hun
mere pas ap k siwa or koi nahi meri pehli or akhri umeed ap hi hein
ALLAH pak mujhe sabar karne ki tofeeq dein me janta hun sabar ki sharrt hoti he
jo musibat me kiya jata he
sab se pehli ibadat yahi he k insan mushkilat mein sabar kare or ap ki tarf se madad ka
muntazir rahe aus ki ankhon me ansu jhalakne lage wo ALLAH se mukhatib tha
ALLAH pak ap meri madad karein mujhe amaya tak phuncha dein
agar ap madad nahi kare ge tou kon kare ga?
agar ap nahi dein ge tou kon dega? agar ap ne mujh se cheen liya tou mujhe koi nahi de sakta
or agar ap ne mujhe de diya tou koi mujh se cheen nahi sakta
hamare sath kis ne aesa kiya fahad ne kiya tou kiyon kiya agar aus ne nahi tou
kis ne amaya ko kidnap kiya?
ALLAH PAK ap har chez par qadir he ap kunn kehte he or wo chez ho jati he
mere malik mushkilaat mein mera hath pakar lein
or mere samne har mamle me haqaiq k sare pehlu khol dein aamen suma aamen!
ankhon me ansu the
aus ne aik bar phir daroord-e-pak pardha or dua k bad dono hath chehre pe phere...!
                    -----****----****-----*****------

zain kahan ho tum bahar niklo zain Aliyan chilate howe aus k ghar me dakhil hoa..
kiya howa bhai jan chila kiyon rahe hen?
zain chalo mere sath fahad k pas tum jante ho wo aj kal kahan reh raha he mujhe aus se milna he mujhe aus k pas le chalo me ause choro ga nahi..
bhai jan mene bohat contect kiya aun ka phone nahi lag raha he..
mene kaha mere sath chalo mujhe aus se milna he abhi or aisi waqt aus ne ghuse me
ause ankhein dikhain...
zain ne nazrein niche kar lein
zain please bat ko samjhne ki koshish karo amaya ki tabiyat kharab he
wo na jane kahan kis hal me hogi
fahad ne pata nahi kia kiya hoga tum samjhte kiyon nahi ho?
wo narmi se bat karta karta aik bar phir chilaya
Amaya k baba aa rahe he karachi wo amaya se milna chahte he
Amaya k wapas aane k baad wo aun se aik do bar hi mile he mein auneh kiya jawab donga
k kahan he aun ki ladli
me aune kiya kaho ga k me aun ki ladli ka khayal nahi rakh paya,
me aune kiya kaho ga k auno ne apni ladli k liye aik galat bande ka intekhab kiya he,
Batao zain mein kiya jawab dunga? agar'agar auneh pata chal gaya k Amaya mujh se rooth kar Lahore chali gai thi tou me kiya jawab dunga k Me ne kiyon sab se ye baat chupai?
ab aik bar phir aus ki ankhon mein ansu jhalakne lage
wo har haal mein amaya tak phunchna chahta tha
Zain khamoshi se aus ki baatein sunta raha Bhai jan please sabar karein
himat mat harein INSHALLAH mil jaegi ap ko ap ki Amaya...

Ap Chalein Mere sath fahad bhai jan k pas kuch hi der me wo log aus jagah phunche
jahan fahad reh raha he..
fahad'fahad bahir nikal yahan wahan ghar me ause dhondne lage wo ghar me moojod na tha
dekha zain na tou aus ka phone lag raha he or na wo ghar me he
kiya abb bhi tum yehi kaho ge k tumhara bhai beqasoor he?
mujhe kuch samjh nahi aa raha bhai jan ye sab kiya ho raha he?
kuch der me darwaza khulne ki awaz aai..
oh Aj tou bare bare log aae he fahad aune dekhte hoe bola..
zain or Aliyan aus ki tarf bhage fahad amaya kahan he?
Mujhe kiya pata kahan he tumhari bivi he tumhein behtar pata hoga
bakhwas mat karo sharafat se batao amaya kahan he aliyan ki ankhon me ghusa tha
wo fahad ka gireban pakre aus se sawal kar raha tha...
amaya bhabi kal ap se milne aai thi bataein kahan he wo zain ne bhi ghuse se sawal kiya
fahad ne aliyan ko khud se dor dakha diya or zain ki janib bardha

zain tumhara dimag tou thek he wo mujh se milne kyon aae gi?
or mene tou suna tha k amaya aliyan ko chor k chali gai he char saal bad tum log
aj amaya ko dhondne nikle ho herat ki baat he
bakhwas band karo me janta hun amaya ko tum ne kahin kidnap kar rakha he
mujhe nahi pata tha k tum ais haad tak gir jaoge
agar amaya ko kuch hogaya me tumhein zinda nahi choro ga!
Aliyan ne ghuse se ankhein nikalte hoe ause kaha
Aliyan me tumhein kuch bol nahi raha tou ais ka hargiz ye matlab nahi he k mujhe bolna nahi ata
zain aise le kar jao ais ka dimag kharab ho gaya he, amaya k gham me pagal ho gaya he...
fahad bhai baatein mat banae har bat ap k khilaaf he, ab tou mujhe bhi yaqeen hone laga he
k bhabi ko apne hi juice me zahr----- zain k lafz toot gae
Ruk kiyon gae zain bolo agey bolo, tum bhi aliyan k raang me rang gae
tumhein apne bhai pe yaqeen nahi? wo herani se zain ko dekhne laga
Agar ap ne kuch nahi kiya tou batate kiyon nahi k bhabi kahan he wo kal ap se milne aai thi
or ap abhi kahan se aa rahe he or kal se ap ka number kiyon band he?
mujhe kuch samjh nahi aa raha tum kiya keh rahe ho zain aliyan k bad tum ne bhi mujh se talluq khatam kar diya tha mujhe koi khabar nahi
tum logo k ghar me kiya chal raha he or kiya nahi or wo mujh se kiyon milne aae gi?
Aliyan herani se dono ko dekhne laga...
jhoot mat bolein bhai jan mene ap ko calls ki par ap ne recieve nahi ki
mujhe laga mere talluq khatam karne ki wajah se ap ghusa he tabhi call pick nahi kar rahe
bhabi ne mujh se pehli bar koi madad mangi thi or me har hal me aun ki madad karna chahta tha
tabhi mene ap k number par message kiya k bhabi ap se milna chahti hein
wo aus din k bare mein pochna chahti he k aus din exactly kiya howa tha?
tou ap ne reply diya k Amaya ghar wapas aagai?
mene kaha tha jee aagai wo lahore mein thi phir ap ne reply diya k han food area k pas wale
resturent mein bhej do
phir mene ap ko bataya k bhabi abhi nahi aa sakti ghar me bhai jan he wo ap se kal sham mein
miley gin tou ap ne kaha tha ok me kal sham ko phunch jao ga
Aliyan aik dum chonka ause kuch yaad aya!
parso jab amaya ka cell phone baja tha tou kiya zain wo tumhari call thi?
jee bhai jan me ne bhabi ko address batana tha par bhabi ne kaha ap ghar he tou wo nahi mil saktin
Auff amaya ki schemes aliyan ne apne sar pe hath rakh liye

Zain dimag tou thek he tumhara mujhe tumhara koi message nahi mila fahad herani se bola...
Aliyan or zain heran reh gae ab ye sab kiya he sab kuch sulajhne k bijae ulajhta hi ja raha he
wo fahad se nahi mili tou kahan gai?

Acha koi message nahi mille tou reply ap k bhoot ne diye the bhai jan bas kar dein
ap khud ko bachane k liye or kitne jhoot bolein ge  ?
mene kabhi socha bhi nahi tha mera bhai mera ideal itna girr jae ga zain afsurda nigahon se ause dekhne laga!
zain mere bhai mera yaqeen karo me sach keh raha hun me amaya se nahi mila
mere phone ki bettery kharab hogai thi barish hone ki wajah se me market nahi ja saka or abhi mein market se new battry lene gaya tha
ye dekho mera phone check karo inbox me kuch nahi he
agar me waqai mila hota tou me bata deta..
fahad hm tumhari baaton me nahi aane wale tum aese kuch nahi batao ge
ab police hi tum se ugalwae gi wo apni jaib se phone nikal kar number dail karne laga..
Aliyan mera yaqen karo me nahi janta amaya k bare mein mujhe koi message nahi mila
kiya tumhein lagta he me aesa karon ga?
mujhe aesa kuch nahi lagta tha tabhi tumhari dil ki baat jan'ne k bad bhi mene tum pe koi pabandi nahi lagai k mere ghar na aao ya kuch bhi
mene sab jan'ne k bawajod bhi tumhein sage bhai se ziyada mana or tum ne badle me kiya diya?
mere masom bache ko mar diya, phir ab meri bivi ko kidnap kar liya kash ye sab jhoot hota
par nahi yahi sach he fahad tumhein mujh se hasd ho gaya he
par shayad tum bhool rahe ho hasd aik aesi bemari he jo insan ko jeete ji mar deti he
tum mujhe kabhi khush dekh hi nahi sakte me tumhein nahi choro ga
me bhool jaoga k mera koi fahad naam ka bhai bhi tha
mujhe mere ALLAH par pora bharosa he wo meri madad kare ga jald hi sachai mere samne hogi
or phir final round hoga or aus k bad you will finished!
Aliyan ki ankhein ghuse se surkh hogai...
        ------*******-------*******-------

Darwaza khulte hi koi shakas kamre me dakhil howa
surprise wo shaks muskurate hoe bola
Amaya ne aus ki awaz suni (Fahad bhai)
aus ka dil zoro se dharkne laga aus ne ahista se darte darte apni ankhein kholi
apne samne aus shaks ko dekh kar aus ki ankhein phati ki phati reh gai
aus ki ankhon se mazeed ansu behne lage
wo herani se aus shaks ko dekhne lagi jo grey jeans pe black shirt pehne khadra tha...
tu'tum? bohat mushkil se aus k gale se itna sa lafz nikla
han me Amaya jee aus k laboon par shetani muskurahat thi..
tum mujhe yahan kiyon le kar aae ho or meri ye sab photos tumhare pas kahan se aai?
akhir tum chahte kiya ho mujhe mere ghar jana he...
Aram se aik aik kar k sawal pochon tum ne tou sawalat ki barish kar di he!
tum hamesha yahin raho gi mere pas mere sath ab tum yahan se kabhi bhi nahi ja sakti..
Akhir mene tumhein paa hi liya bohat intezar k bad aj tum mere pass ho
wo kehka laga kar hansne laga
bohat khushi ho rahi he mujhe Aliyan ko aziyaat mein daal kar pagalon ki tarah
wo tumhein dhondta phirr raha he
me aese hi tarpa tarpa kar aus se badla lun ga..

Tum apne maqsad mein kabhi kamiyab nahi hoge Abrar, ALLAH tumhein tumhare na'pak
iarado mein kabhi kamiyab nahi hone dega
(jab aus ne abrar ki awaz suni tou ause aesa hi laga jese fahad ki awaz he)
tum tou meri soch se bhi ziyada ghatiya nikle
taras aa raha he mujhe tumhari zindagi par aliyan tumhein nahi chore ge..
hMm! Raasi jal gai par bal nahi gaya, itni akkard itna sab kuch hone k bad bhi
akard tou dekho medam ki wo ause dekhte hoe apni gardan tedhri kar k bola
han he akrdd or ye akrdd kabhi khatam nahi hogi wo chilaaa kar boli..
chilaao mat tumhein andaza bhi nahi he amaya bibi me tumhare sath kia kiya kar sakta hun
or kiya karne wala hun
kuch der bad tum mere agey hath peelao gi gird'gidao gi, or aliyan ko kabhi pata nahi chale ga
k mene tumhein kidnap kiya he tum mere pas ho wo tou fahad k piche lag gaya he har saboot
fahad k khilaf bol raha he ab fahad ko koi nahi bacha sakta
aise kehte he aik teer se do nishane mere raste se fahad bhi hat jae ga
or aliyan bhi tum mere pas raho gi haha wo aik bar phir kehka laga kar hansne laga...

ye tumhari bhool he Abrar k mein tumhare agey gird'gadaon gin
Amaya Aliyan kabhi tumhare agey nahi gird'gidae gi
Me apne ALLAH k agey gird'gadao gi Me aus pak parwardigar se mangu gi
jis ne mujhe Aliyan diya tha wohi mujhe dobara aliyan de ga wohi mujhe tum se bachae ga
Mera ALLAH kabhi tumhein tumhare na'pak iradon mein kamiyab nahi hone dega
tum mau k bal giroo ge Amaya Aliyan he or Amaya k sath hamesha Aliyan ka naam juda rahe ga
"Amaya k liye aik Aliyan or Aliyan k liye aik Amaya"!
ab aus ki ankhon se ansu bahene lage or dil me dua mangne lagi
ya ALLAH mujhe ais pagal shaks se bacha tu har cheez par qadir he
Amaya ki baat par wo ghuse mein aa gaya or ause baalon se pakar kar
har poster k aagey kharda karta gaya ye dekho ye bhi dekho
har tarf tumhari hi tumhari photos he
dekho kitna chahta hun me tumhein or tum ne meri chahat ko mazaq samjha or
Aliyan se shadi kar li
mene ausi waqt fesla kar liya tha me har haal me tumhein paa kar raho ga
tum meri zid ban gai ho or mene Aliyan ko bar'bad kar dene ka ehad kiya tha or dekho
aj tum mere pas ho kuch nahi kare ga ALLAH aus ne tumhein mere pas bheja he
ALLAH bhi yehi chahta he k tum mere pas raho Aliyan k pas nahi...
wo tumhein jaga jaga talash kar raha he ye aus ki bar'badi se kam nahi...
Abrar khuda ka khoof karo mein kisi ki bivi ho kisi ki bivi par galat nigah rakhna gunah he
khuda tumhein kabhi maaf nahi kare ga
ALLAH ne mujhe tumhare pas ais liye nahi bheja k tum aliyan se behtar ho
ALLAH ne mujhe ais liye tumhare pas bheja he ta k Aliyan k dil mein mere liye or muhabbat paida ho abhi tum ne hi kaha k wo mujhe jaga jaga taalash kar raha he tou
ais ka matlab yahi he k aus k dil mein har pal muhabbat bhard rahi he ause mujh se toot kar muhabbat ho rahi he ab Amaya ki ankhon mein ansuon k sath sath labon par muskurahat bhi thi...
mujhe kisi ka koi khof nahi wo chilaya
ALLAH se daro jesa k aus se darne ka haq he
khuda se wahi bande darte he jo aus ki azmat ka ilm rakhte he
tumhein tou koi ilam hi nahi he mujhe taras aa raha he tumhare anjam k bare mein soch kar Abrar tumhara anjam bohat bura hoga
tum ALLAH ki taqat ko nahi jante aus ki marzi k bina tou aik pata bhi nahi hilta tou aus ki marzi k bina tumhari saansein bhi nahi chal sakti
tum ya ham ALLAH ki marzi k bina kuch bhi nahi kar sakte kuch bhi nahi..
mujhe mere ALLAH ki tarf se madad ka intezar rahe ga wo koi maujza zaroor dikhae ga mere ALLAH par mujhe pora bharosa he

Apna lecture band karo aus ne zor dar thapar amaya ko de mara!
kisi ka piyar chenn lena ye gunah nahi, tumhare shohar ne aj se kuch saal pehle tumhen mujh se chen'na tha ye jante howe bhi k me tum se kitni muhabbat karta hun ause sab kuch pata tha
aus ne meri madad karne k bijae khud tum se shadi kar li...
jab tum mujhe pasand hi nahi tou me kese tumhare sath rehti mujhe hamesha se aliyan pasand the
or jodiyan ALLAH banata he mere naseeb mein aliyan the...
Mein tou tumhein abb bhi pasand nahi par dekhna ab tum kese rehti ho mere sath or jahan tak baat he naseeb ki tou abrar apne naseeb khud banata he tumhein mene apne naseeb me khud likha he...
Abrar hosh me ao tum pagal hogae ho khuda ka khoof karo me kisi ki bivi hun or bohat jald maa banne wali hun kyon tum khuda ka azab lena chahte ho?
jese pehle tumhare juice mein zehreeli dawa milai thi aese hi abb bhi kuch zehareeli cheez pila donga.....
kiya? aus k ankhein phati ki phati reh gai ab aus ki ankhon se tap tap ansu behne lage awaz
jese gale mein hi atak gai w'wo ju'juice t'tum.... amaya k Lafz wahin toot gae
wo phati nigahon se ause dekhne lagi or wahin zameen par beht gai..
Han juice me zehar mene dala tha wo niche aus k pas jhuka or ause baalon se pakar kar aus ka mauh opar kiya
han sun lo amaya bibi mene mara tha ta k tumhara bacha ais duniya me na rahe me nahi chahta tumhare or mere bech koi teesra aaae or wo bhi aliyan ki olad nahi kabhi nahi me kabhi bardsht nahi kar sakta...
Amaya ko aus ki baaton se khoof aane laga YA ALLAH ye tou nafsiyaati hogaya he ye ab
kuch bhi kar sakta he
ya ALLAH PAK meri or mere bache ki hifazat farma! mujhe ais shaks se bacha
ya ALLAH aliyan ko mujh tak phuncha de
ALLAH PAK apna koi maujza dikha wo dil me duwaen karne lagi dil zor zor se dharak raha tha
wo bachon ki tarah ro rahi thi
Musalsal wo dil mein yahi dua karne lagi YA ALLAH apna koi maujza dikha
YA ALLAH apna koi maujza dikha...
Dharakte dil se ya rote howe jisam kap'kapane ki soorat mein, adhi rat me ankh khulne pe
jo bhi dua mangi jae wo raadd nahi hoti...
or ais waqt wo kap'kapa rahi thi aus ka dil bhi zoron se dharak raha tha wo bachon ki tarah ro rahi thi wo apne ALLAH se mang rahi thi
Ause yaqeen tha aus ka ALLAH koi maujza dikhae ga wo Aliyan se alag hone k liye
aus se nahi milli thi ause tou hamesha Aliyan k sath rehna tha ause apni
akhri saans tak Aliyan k sath rehna tha
wo Aliyan or Aliyan aus k liye bane the...
                                         -------****-------*****------****-------
zain tum ne fahad se talluq khatam kar diya or mujhe bataya bhi nahi kiyon?
zain car ki front seat pe behta bahir ki janib dekhte howe bola ais me kiya batana bhai jan mujhe sharam aati he k mera saggaa bhai ais had tak ja sakta he...
oh zain tum ne meri khatir apne sagee bhai se rishta khatm kar diya tumhei aesa nahi karna chahiye tha wo tumhara saga bhai he...
me ap ko bhaiyo se bhi ziyada manta hun or amaya bhabi ne already bohat kuch saha he ap dono bohat ache he mera itna khayal rakhte he tou kiya me itna bhi nahi kar sakta...
aus ki bat pe aliyan khamosh hogaya samjh nahi aaya k kiya kahe...
do din guzar gae amaya ka kuch pata na chala sab bohat pareshan the police bhi amaya ko
dhond rahi thi....

Asar ki namaz k baad Aliyan masjid me hi behta tha
Masjid mein beht kar QURAN PAK ki tilawat kar k ause bohat sakoon milta tha
QURAN PAK ki tilawat karne k baad wo dewar se teek lagae beht gaya or kuch der ankhein band
kar li
achanak ause kuch khayal aaya or foran ankhein khol li Aj tou Amaya k baba ne karachi aana tha
abb kiya hoga jab wo amaya ka poche ge tou mein kiya jawab dun ga Aliyan ka gala khushk ho gaya chehre ka rang urd gaya
wo ais bare mein soch hi raha tha k aus ka cell phone vibarate hone laga!
aus ne jaib se cell phone nikala or bina screen pe dekhe call pick kar li
ASALAM WA ALAIKUM!
agey se jawab milne pe wo bola baba kese hein ap?
agey se jawab milne par aus ne aik lambi sans li
kiya ap waqai nahi aa rahe? mera matlab ap karachi kiyon nahi aa rahe
beta mujhe zaroori kam se islamabad jana he mein phir kabhi aaon ga amaya ko mera salam kehna ALLAH HAFIZ!
cell phone band hote hi aus ne opar ki janib dekha ALLAH PAK ap ka lakh lakh shukar he
ap ne meri izzat rakh li
Beshak ap hi izzat dene wale he
ab aus k chehre pe kuch sakoon tha..
                        ----****----****-----****-----

Amaya khana kha lo dekho mein tumhare liye khana laya hun Abrar aus k pas beht'te howe bola
mujhe nahi khana kuch bhi mujhe Aliyan k pas jana he..
tumhein me kitni bar keh chuka hun aus ka naam mat lo chup chap khana khaao!
Amaya bhi ziddi thi kuch na khaya, abrar ko ghusa aaya aus ne amaya ko baalo se pakra or ause marne laga,
aus ne itna mara k amaya k mauh se khon nikalne laga or wo behosh ho gai
Amaya amaya kiya ho gaya tumhein? abrar ghabra gaya or ause uthane laga
kuch der me amaya ko hosh aa gaya
Ab Abrar aus se mafi mangne laga amaya mujhe maf kardo pata nahi kese tum pe hath--- wo apne hathon ko dekhne laga
or apne hath jalane laga...
Abrar ye tum kiya kar rahe ho pagal hogae ho?
han han me pagal ho gaya ho ye hath tum par uthe he ain hathon ko saza milni chahiye..
tum khana khaa lo, amaya ne itni mar khane k bawajod bhi khane ko hath na lagaya wo janti thi
ab ye pagal ho chuka he kuch bhi kar sakta he...
Abrar ne aik bar phir aus k bache ko marne ki koshish ki thi par Amaya ne har haal me khud ko
aus se bachaya
abrar mujhe jane do tum kyon gunah karne pe tulle howe ho
tum aik bar qatal kar chuke ho dobara qatal kyon karna chahte ho mujhe jane do tum nikah pe nikah nahi kar sakte...
shadi tou tum se me kar k rahon ga chahe kuch bhi hojae or ye bacha ais ko bhi me mar kar raho ga,
Abrar ki baaton me junoon tha wo amaya ko pane k liye kisi bhi had tak ja sakta tha wo andha hogaya tha,
kiya sahi he kiya galat ause kuch nazar nahi aa raha tha aus ki ankhon me bas aliyan se badla lene ka junoon tha...
Mein ja raha hun or tumhein yahan me band kar k jao ga tm bohat hoshiyar ho
tumhara kiya bharosa yahan se bhaag hi na jaoo wo amaya ko band kar k chala gaya...
                   -------********--------*********------

Aliyan tv lounge mein ankhein band kar k behta tha amaya k sath guzra har lamha aus ki ankhon k samne aik film ki tarah chal raha tha
aus ka cell phone bajne laga
wo aus ki yadon mein ais qadar khoya howa tha k ause phone bajne ki awaz bhi sunai na di
ALiyan baba! kisi ne ause jhinjhodra
h'han kiya howa gul khan?
Aliyan baba! ap ka phone kab se baj rahi he ham ko bahar awaz aa gaya ap ko pas behta awaz nahi aaya
Aliyan ne phone par nazar dali
Gul khan zulekha ko kehna kisi ka bhi phone aae tou keh dena me ghar mein nahi hun
or agar Mustafa saein ka phone aae tab bhi yahi bolein?
han auneh bhi yahi kehna
WALLAH ham jhoot nahi bolta
jitna kaha he utna karo or hanw Amaya k bare mein kuch bhi mat batana agar baba k sath ziyada wafadari dikhai tou nokri se hath dhona padre ga
thek he ham samjh gaya ap fikar hi mat karo ham kisi ko kuch nahi batae ga
thek he ab jao apna kam karo
aik bar phir phone bajne laga!
ye bar bar office se phone kiyon aa raha he?
hello! agey se kisi ne sawal kiya
Nahi me office nahi aa raha sab meetings cancel kar do or kuch din mujhe koi distrub na kare!
sir ap pichle aik hafte se office nahi aa rahe Everything is alright?
han sab thek he meri kuch personal masrofiyat he khayal rakhna mujhe mazeed distrub na kiya jae
ab wo easy chair par tek lagae behta tha!
Ehm Ehm koi khansa..
Abrar tum kab aae?
Bas abhi kiya howa tabiyat kharab he?
han bas sar mein dard he
Amaya bhabi kahan hein nazar nahi aa rahi...
Abrar tum tou apne ho tum se kiya chupana aao yahan behto
Ab abrar aus k pas ja kar behta
kiya howa sab thek tou he na ap pareshan lag rahe he?
Abrar amaya pata nahi kahan chali gai he fahad ne pata nahi kiya kiya he aus k sath wo kuch nahi bata raha..
kiya amaya bhabi kidnap ho gai fahad ne kiya ye sab? wo heran hone ka natac karne laga
Aik kam karen fahad ko police k hawale kar dein khudi bol dega...
Abrar wo police ki girrft me hi he police ne bohat pucha he ause phir bhi wo kuch nahi kehta,
Abrar heran howa waqai wo kuch nahi kehta?
Nahi me bohat pareshan ho Abrar pata nahi kis haal me hogi wo kuch khaya hoga ya nhi kahan dhondo ause mein? kuch samjh nahi aaraha Aliyan apna sar pakre behta tha...
(Amaya ne sahi kaha tha ais k dil mein muhabbat bardh rahi he aus k liye
nahi me aesa nahi hone donga mujhe ais ki nazron mein Amaya ko girana hoga koi tarkeeb sochni hogi beta aliyan
ye tou kuch bhi nahi abhi tou tumhein or tarapna he
par pehle ye sochna he Amaya ko ais ki nazron mein giraon kese?) abrar dil mein tamam baatein sochne laga...
Aliyan bhai ap aesa karein police ko kahein wo fahad ki mar lagae tab shayad wo kuch bol de
Abrar tum shayad bhool rahe ho k fahad bhi aik wadera he hamare khandan ka aik naam aik status he aese kese police ause mar war sakti he
fahad k pas acha khasa shatir lawyer he aus k hote hoe police fahad ko hath bhi nahi laga sakti
wo koi na koi case police pe bana de ga
or phir inspector sir baba se milna chahte he par mene auneh nahi milne diya
shukar he inspector zaroon ka transfer ho gaya warna wo sab kuch amaya k baba ko bata dete
kiyon wo kiyon batate? kiya wo jante he major amir ko?
ofcourse jante he aun k ache dost he or phir Major amir ko kon nahi janta...
hMm kahin aesa tou nahi k amaya khud kahin chali gai ho abrar foran bola
Dimag kharab he tumhara wo kiyon kahi jae gi wo mujh se muhabbat karti he wo mujhe chor kar kahin nahi ja sakti
(wah dono ko aik dosre pe paka yaqeen he koi baat nahi me bhi abrar hun)
mujhe aliyan ki aik or kamzori mil gai ais ko amaya k parents ki nazron me girane ka acha chance mila he
wo mann hi mann khush howa acha bhai me chalta hun koi kam ho tou yaad zaroor ki jiye ga...

                        ---------********--------*********---------

hey sweety abhi abhi tumhare shohar ko tarapte hoe dekh kar aa raha hun bohat maza aa raha he mujhe sab ko pareshan dekh kar
bohat hi happy family thi na tum logon ki tor di mene ye khush'hal family mar raha he wo
tumhare liye par ye tou shuruwaat he
agey agey dekho mein kiya karta hon
oh bechara zain Amaya aik bar phir tumhari wajah se zain or anaya ki shadi ruk gai...
Oh tum tou soi hoi ho me khama'khuwa itna bol gaya khair utho ye dekho me kiya laya hun
ab uth bhi jao tumhare liye shadi ka lehnga laya hun tum kitni khubsoorat lago gi ais lehnge me aj hamari shadi hogi
Aj tum Mrs.Abrar ban jao gi tumhein andaza bhi nahi he k me kitna khush hun
Me janta hun tum meri baatein sun rahi ho natac mat karo ab uth jao
ab wo aus ka bazu hila kar ause uthane laga amaya amaya wo aus k chehre pe thapar mar k uthane laga,
par wo nahi uthi ye uth kiyon nahi rahi mar tou nahi gai?
amaya utho tumhein uthna hoga aj hamari shadi he baal bikhre hoe chehre par amaya ko kho dene ka khof wo bilkul paglo jesa lag raha tha
wo foran doctor k pas bhaga or doctor ko apne apartment mein le aaya...
wo Amaya ko bahar le jane ka risk nahi le sakta tha har tarf police amaya ko dhond rahi thi

Doctor sahab ye dekhein meri bivi ko pata nahi kiya hogaya he me aaya tou ye behosh thi
Doctor amaya ko dekh kar heran reh gaya, aus ne ahsta se doharaya amaya or ais ki bivi?
shayad aj phir khuda ne amaya ki madad karne bheja tha ya shayad amaya ki dua qabool hogai thi shayad koi maujza hone wala tha...
Doctor sahab meri bivi ki tabiyat thek nahi ap koi aesa injection dein jis se ye bacha mar jae me ap ko paise bhi dene k liye tayar hon abhi me ye sab nahi chahta...
Dr.Anas herani se Abrar ko dekhne lage thek he mujhe 50,000 do tumhara kam ho jaega
thankyou doctor sahab ap injection lagaein...
abhi Nahi jis waqt ap mujhe paise den ge me ausi waqt injection laga donga or ap ki bivi ki condition bohat kharab he jald hi hospital admit karna hoga...
Nahi doctor me apni bivi ko hospital nahi le kar jaoga jo bhi ilaj karna he yahin ghar mein karein..
thek he me apne hospital se kuch saman le ata hun..
                   -----****----****----****------

itna tayar shiyar ho kar kahan ja rahi ho? aik khatoon anaya ko gorrte hoe bolin
phuppo me zain k ghar ja rahi hun aunty ne bulaya he or me tayar kahan hun bas naya soot hi tou pehna he
zain k ghar kiyon? wo log karachi kab shift hoe?
kuch mahine pehle wo gaon se yahan shift ho gae he
acha or aus ki ami ne tumhein kiyon bulaya he?
mujhe kiya pata wo tou ja kar hi pata chale ga
Rashmin phuppo apne eye-glases niche kar k ause gorrne lagin
larki tumhari chalaki mere samne nahi chale gi khoob janti hun mein tumhein milna zain se he or bahana aus ki maa ka
anaya k chehra zard ho gaya phuppo ye kiya keh rahin hen ap ko yaqeen nahi tou ap ki abhi aunty se baat karwa deti hun
ary rehne do mujhe nahi karni kisi se baat or koi zaroorat nahi wahan jane ki tumhari maa ko tou aqal hi nahi he mauh utha kar beti ko sasural bhej deti he
Rashmin Aapa wo apne sasural nahi amaya k ghar jati he
hanw tou kiyon jane deti ho amaya k ghar wo kambakkat'mari kabhi prdhne chali jati he tou kabhi kahin or anaya ki shadi hi nahi ho k de rahi wo mauh bana k boli
phupo ki baat pe anaya ka chehra ghuse se lal ho gaya aus ne kuch kehne k liye labb khole hi the k aus ki ami hath pakar kar ause kamre me le gain
kiya he ami ap mujhe yahan kiyon lain?
beta tumhein tou pata he appa ki adat ka tum kiyon ghusa hoti ho
ami kiyon na ghusa hu wo meri best freind ko ulta kiyo keh rahi he kis ne haq diya auneh apna ghar basa nahi saki or aa gai hein hamari zidagiyan haram karne bari aain amaya ko ulta bolne wali
aynda me aun ka lehaz nahi karon gi keh di jiye ga apni ladli nan'nd ko anaya ghuse me bolti hoi chali gai
sehan me aai tou phir phuppo se ruburu hoi
aey larki kahan ja rahi ho samjh nahi aata tumhein kahin nahi jao gi tum chalo andar
me jaon gin or abhi aisi waqt jaon gin or agar ap ne dobara kabhi amaya ko kuch kaha tou acha nahi hoga wo mauh bana kar chali gai!
lo adaein tou dekho larki ki bohat lambi zuban he aj kal ki nasal ko najane kiya ho gaya he hamare zamane me tou larkiyan shadi se pehle sasural me qadam tak nahi rakhti thin
rashmin phuppo khud se baatein karne lagin..
                    ----****----****----****-----

Ais larke ne hamein kahin mauh dikhane k qabil nahi chora pore shehar mein har jaga itni izzat he hamari or ais larke ne hamari izzat matti me mila di
log tarah tarah ki baatein kare ge jab sab ko ye pata chale ga k fahad alam jail me he akhir kiya kami thi hamari parwarish mein
Badar alam apne kamre me behte ghuse se chila rahe the
darwaze pe dastakh hoi knok knok!
Andar aajao
Anaya kamre me dakhil hoi ASALAM WA ALAIKUM! kese he ap dono?
wa alaikum asalam kese hona he beta tenshion mein he Mrs.Badar k chehre pe udasi thi
anaya foran aun k pas ja k behti kiyon kiya howa aunty sab khariyat tou he ap ne mujhe kiyon bulaya?
beta tumhein ye batana tha k amaya kidnap ho gai he
Kiya amaya kidnap aus ne lafz dohrae aus k chehre pe herani bhare tasurat the
par kese kis ne kiya kuch pata chala Aliyan bhai kahan he?
Aliyan ko fahad pe shak he or aus ne fahad ko arrest karwa diya or har sabot fahad k khilaf bol raha he mera beta jail me he anaya wo aus k gale lag kar rone lagin
aunty ap khud ko sambhale please ALLAH sab behtar kare ga ALLAH pe bharosa rakhein
fahad alam uth khadre hoe Aus nalayaq ko zaroorat kiya thi kisi or ki bivi pe nazar rakhne ki bohat ishq sawar tha ab rahe jail me sari zindagi
Aliyan itni asani se ause jail se reha hone nahi dega badar Aalam aik bar phir ghuse me chilae!
Anaya hamare bachon ko tou jese Nazar hi lag gai he har koi kehta tha ain teeno me kitna piyar he sage bhaiyo se bhi ziyada salook he or aj wohi bhai aik dosre se nafrat karne lage he
fahad kehta he aus ne kuch nahi kiya wo beqasoor he par aus k pas apni beqasoori ka koi saboot nahi
me janti hun Aliyan phir se toot gaya he wo fahad se bohat muhabbat karta he or fahad ki ais harkat ne ause tor diya he ause fahad se nafrat ho gai he Mrs.Badar rote hoe bol rahi thin
Anaya ko kuch samjh nahi araha tha ye kiya ho raha he
aus k dimag me bas yahi chal raha tha k amaya kahan hogi kis haal me hogi?
badar alam ko lagta he ye harkat aun k apne khoon ne ki he or auneh bhi ais waqt fahad se shaded nafrat ho rahi thi..

Mrs.Badar uth kar badar alam ki tarf lapki
badar ham sab ne Amaya k lahore jane wali bat tou aus k ghar walon se chupa li thi par ab aus k kidnapping ki baat kese chupaein ge?
ap please Mustafa bhai jan ko yahan bula lein or beht kar mashwara karein koi na koi hal nikal jae ga
Mustafa Bhai jan Aliyan ko samjhae ge k wo fahad ko reha karwa de please kuch karein badar mera bacha do din se jail me he pata nahi police ka kiya raviya hoga
Auno ne apni bivi ki janib dekha Me gaya tha police ne ause kuch nahi kiya sab ham se waqif he k ham izzatdar log he
police ka kehna he wo apne tor par investigation kar rahe he filhal wo fahad se narmi se pesh aa rahe he
Mustafa bhai jan ko pata nahi Aliyan ne kuch bataya bhi he ya nahi?
tou ap pochein Aliyan se ause foran bulaein...
nahi filhal ause akela chor do me gaya tha aus ki tarf mujh se aus ki halat nahi dekhi ja rahi thi
fahad ne bohat galat kiya he ause aesa nahi karna chahiye tha mera ab bas aik hi beta he zain badar Alam...
wo kehte hoe wahan se chale gae Mrs.badar alam rone lagin
Anaya ne auneh sumbhala aunty please ap chup ho jaein uncle ghuse me he ais liye auno ne aesa kaha..
                  ----****----****----****-----    

Dr.Anas ne abrar k apartment se niklte hi apne cell phone par number dail kiya..
call ja rahi thi par agey se koi receive nahi kar raha tha!
aunoo ne aik message send kiya!
kahan ho mujhe tum se milna he foran apne ghar ka addres send karo...
wo hospital mein the jab auneh message ka reply aaya or wo foran aus address par phunchne k liye nikal gae!
kuch der bad Dr.anas Aus address par phunche..
Amaya kahan he? auno ne sawal kiya
Pata nahi Dr.anas aik hafta se ziyada hone ko he or Amaya ka kuch ata pata nahi he police bhi har jagah dhond rahi he fahad kuch bol nahi raha he police ki girft me he...
Mujhe kuch samjh nahi aa raha kiya karun kahan dhondu ALLAH se ro ro kar duwaein kar raha hun mujhe pora yaqeen he ALLAH meri madad kare ga mujhe mere sabar ka phal mile ga
me bas ALLAH ki tarf se madad ka muntazir hun
Dr.Anas aus k qareeb aae samjho tumhari dua qabool hogai madad aagai ALLAH ki tarf se
Kiya matlab me samjha nahi? aus k chehre par herani bhare tasuraat the
Mujhe pata he Amaya ais waqt kahan he or ye kiya kiya tum ne Aliyan fahad beqasor he amaya ko abhi me dekh kar aa raha hon aus ki condition bohat kharab he
aus ki halat se lag raha he ause buri tarah se mara pitaa gaya he wo Abrar naami shakhs k apartment mein he kiya tum jante ho kisi abrar ko?
Aliyan k chehre ka rang urd gaya ankhein phati ki phati reh gain
'Abrar' aliyan ne herani se lafz duhraya Amaya ko abrar ne kidnap kiya?
ab aus ki ankhon mein ghusa tha mera chachu ka beta he wo ause pasand karta tha par amaya ne kabhi ause koi response hi nahi diya tha
aus ne amaya ko mara me ause choro ga nahi abhi chalein mere sath dr.anas ab aliyan ki ankhon me khoon utar aaya jese wo bas jate hi abrar ko mar dale ga...
Dr.anas ka phone bajne laga Abrar calling!
Hello dr.sahab paiso ka intezam hogaya he ap foran aa jaein agey se wo shaks keh raha tha
thek he me ata hon ye keh kar dr.anas ne phone band kar diya!
Aliyan abrar ka phone tha aus ne mujhe koi aesa injection lagane ko kaha tha jis se amaya ka baby---mene kaha 50,000 hazar do kam ho jae ga wo bula raha he k paiso ka intezam ho gaya!
chalein foran chalein dr.anas aj me aise nahi choro ga injection tou me aise lagaon ga or aese lagaon ga k yaad rakhe ga ais shaks ki wajah se kitna tarpa hon mein
ais shaks ne meri amaya par hath uthaya me ais k hath tor dunga Aj aik bar phir wo ghuse wala poraana Aliyan ban gaya tha
ghuse se laal ankhein, ghuse mein uthi hoi naak,mathey par bikhre baal...
                            -----****-----*****-----****-----


Episode 21
                           Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain


Kamre mein khirdki k pas seene pe hath bandhe khadri Anaya kisi soch me gumm thi
oh amaya tum kahan ho?
tum kiyon hamesha achanak ham se dor ho jati ho
ALLAH PAK meri behan jahan kahin bhi ho ause apne hifz-o-aman mein rakhna
ALLAH PAK tu tou jo chahe kar sakta he hamari madad kar mere malik hamein amu tak phuncha de Aamen!
kuch hi der mein aus ka cell phone bajne laga
hello Ami! me yahin hun zain k ghar aunty bohat pareshan he amu kidnap ho gai he or har saboot fahad bhai k khilaf hein
wo jail mein hein agey se kuch sawal hone par aus ne jawab diya!
ALLAH khair kare ye kiya keh rahi ho? agey se ami ne dosra sawal kiya
jee ami me sach keh rahi hun or shayad mujhe aane me thori der ho jae ap please baba ko bata di jiye ga ALLAH HAFIZ!
kamre me kisi k ane ki ahat sunai di Anaya bibi ap ko niche medam jee bula rahi hein
tum chalo me aati hun wese tumhara nam kiya he? Anaya ne ause dekhte hoe sawal kiya
mera naam Mehak Rani he par sab piyar se mujhe Rani kehte he wo muskurai
wah mulazmi Rani! Anaya aik eyebrow opar chardhte hoe dil mein boli or aus k piche piche niche ki janib chal di!
Niche phunchi tou Mustafa Alam apni zoja k hamrah aae hoe the
Mustafa Alam ab budhe ho chuke the par aun ki awaz mein ab bhi waohi roab or dabdaba tha
Asalam wa alaikum!
Wa alaikum asalam Anaya beta kiya hal he?
me thek hun ap log kese he?
hamare bache pareshani mein he ham bhala kese thek ho sakte he Mustafa Alam ne udasi bhare lehje me jawab diya
Badar Aliyan kahan he?
pata nahi bhai jan Aj meri aus se mulaqat nahi hoi
Anaya tumhein kuch pata he? anaya jo k aun k pas hi khadri thi wo ause dekhte hoe bole
Nahi uncle bhai jan se meri kai hafton se koi mulaqat nahi hoi he
Badar phone lagao Aliyan ko or ause foran yahan bulao
Badar Alam apne cell phone pe number dial karne lage kafi der tak auno ne phone kan pe lagae rakha par agey se koi call pick nahi kar raha tha
bhai jan Aliyan phone nahi utha raha ab sab ki pareshani mein mazeed aizafa howa!
ALLAH KHAIR kare mera bacha kahan ho ga kis haal me ho ga Alam sahab hamein sehda Aliyan k ghar jana chahiye tha Mrs.Mustafa udasi bhare andaz mein boli
Badar alam zain ko call karne lage kuch der phone bajne k bad agey se call pick hoi
Zain kahan ho Aliyan tumhare sath he kiya?
Nahi baba bhai jan mere sath nahi me office me tha par ab bhai jan ki tarf ja raha hun!
acha foran jao or phir hamein khabar karna kab se ause call kar raha hun wo call recieve nahi kar raha
jee thek he! zain ne phone band kar diya
sab bohat pareshan the kisi ne dopher ka khana bhi nahi khaya tha
sab ALLAH se duwaein karne mein masroof the!
                            -----*****----*****-----******------


Dr.Anas car drive kar rahe the
Doctor please tez chalaein Aliyan k chehre pe amaya k liye fikarmandi thi
Aliyan me ziyada speed me drive nahi kar sakta you just relax hosla rakho jahan itna sabar kiya he wahan kuch pal or sahi
Aliyan tumhein pata he zindagi k safar mein ane wala andhera gar ka nahi,
aik surang ka hota he
jis k agley siree pe hamesha roshni hoti he
Magar ye bat hosle k sath chalte rehne wale hi jan sakte he
mayoos ho kar beht jane wale nahi
or MASHALLAH tumhein ALLAH ne bohat Hosla or sabar diya he
Mene kabhi expect nahi kiya tha k tum itna badal jao ge
mujhe bohat khushi he k tum dono ka rishta aik acha or mazboot rishta ban gaya he
agar tum dono ka past dekha jae tou tum dono me hi kafi change aaya he!
Aliyan ne aik nazar auneh dekha or phir windscreen ki tarf dekhne laga
waqt k sath sath sab kuch badal jata he adatein bhi or log bhi aus k chehre pe udasi thi
Dr.Anas ne khamoshi se aik nazar aus ki janib dekha wo samjh gae the wo Abrar ki baat kar raha tha
wo kehte he na shohar ki kamiyabi k piche aus ki bivi ka hath hota he tou samjh lein meri changing k piche amaya ka hath he
Mujhe badla ALLAH ne par zariya Amaya thi
Amaya thek kehti he ALLAH PAK jo karte he hamare ache k liye karte he bas hamein hi pata nahi hota k hamare sath kuch hoa he tou
aus mein hamare liye kiya bhalai he
par agar insan aitmenan se beht kar soche tou ause zaroor pata chal jae ga k aus k liye kiya bhalai thi
tou phir tum ne socha? Dr.Anas ne aus se sawal kiya
jee jab ap ne mujhe sari sachai batai or Amaya mujhe chor kar chali gai thi tab me toot gaya tha mere dil ko sakoon nahi tha
ajeeb si becheni thi mujh par aik booj sa tha
Amaya ko galat larki samjhne ka booj,aus se bad'guman hone ka booj, aus k sath rude behave karne ka booj
or ap ko pata he me namaz nahi pardhta tha or agar kabhi village mein pardhta bhi tha tou bas baba jan k dar se
ALLAH k khof se tou mene kabhi namaz pardhi hi nahi thi
me tou kuch mangta bhi nahi tha k mere pas sab kuch he mujhe kisi cheez ki zaroorat nahi
me samjhta tha namaz tou wo log pardhte he jine kuch chahiye ho bas kahin pe pardha dil ka sakoon chahte ho tou namaz or Quran pak pardho
or bas phir dil se namaz pardhna shuru kar di or waqai bohat sakoon mila
Dr.Anas aus ki bat pe muskurae matlab tum phir Ahista Ahista raah-e-Rast pe aa hi gae
jee Amaya k jane se mere liye ye bhalai thi k me ALLAH ki tarf hogaya Mera ALLAH mujhe naik raah pe lana chahta tha or Amaya aik tarah ka zariya thi
or Beshak ALLAH jise chahe Rah-e-Rast pe laae!
Ap ko pata he Namazein pardhne se or naik aamal karne se mujhe ALLAH ne kitni izzat bakhshi he
har koi meri izzat karta he mera business successfull he me bohat pur'skoon zindagi guzar raha hun

kaho k Aey Khuda (Aey badshahi)k malik!
tu jise chahe badshahi bakhshe or jis se chahe badshahi cheen le
or jis ko chahe izzat de jise chahe zaleel kare har tarah ki bhalai tere hi hath me he
beshak tu har cheez par qadir he
(Surah AL-Imran 26)

Dr.Anas mera ye man'na he k hamein kabhi mushkilat se ghabrana nahi chahiye
Mushkilat tou ALAH ka imtehan hota he jis ka maqsad Insan ko sahi maino me insan banne ka sabaq dena hota he!
Aliyan ki baat pe dr.anas muskura diye
                             ------*****----*****-----*****------


sooraj garoob hone wala tha jab wo Abrar k Apartment mein phunche...
Darwaza bajaya Abrar ne darwaza khola dr.anas ap aagae?
han me aagaya or tumhare liye aik tohfa bhi laya hun!
Achanak Aliyan aus k samne aa khadra hoa ause dekh kar abrar ki ankhein phati ki phati reh gai aus ka rang urrd gaya...
Aliyan ne ause andar ki tarf dhaka diya or aus k apartment mein ghus gaya
ab ause gareban se pakra Amaya kahan he?
Abrar k hosh urd gae ause samjh hi nahi aa raha tha k wo kiya jawab de
Aliyan ne ause aik zor'dar thapar de mara mene pocha amaya kahan he?
wo yahan Nahi he aus ne foran jawab diya
aus k jhoot pe Aliyan ko mazeed ghusa aaya wo aus ki janib bardha or ause marne shuru kar diya
ause itna mara k abrar k naak se khoon behne laga Aliyan ause ghaset'te hoe dewar k pas le gaya or aus ka sar dewar mein de mara
teri himat bhi kese hoi Amaya ko kidnap karne ki? meri amaya par tu ne hath uthaya aj mein tere ye hath tor dunga, aus ki ankhein ghuse se laal ho gai
Dr.Anas ap foran Amaya ko hospital le kar jaein
Dr.anas kamre ki tarf bardhe abrar ne aliyan ko apne se dor dakha diya or dr.anas ko rokne ki koshish karne laga
nahi doctor tum andar nahi ja sakte tum dokhebaz ho mere sath tum ne dokha kiya aus ne doctor ko dor dakha diya
Aliyan ne bhag kar dr.anas ko uthaya or aik bar phir abrar ko geraban se pakar kar marna shuru kiya Aliyan ki ankhon me behad ghusa tha
dokha tou tu ne kiya he mere sath, Abrar mene socha bhi nahi tha k tu itna gir jae ga tu ne aik nanhi masom jan lena chahi,
teri himat bhi kese hoi meri bivi or bache ko nuqsan phunchane ki mujhe laga tha tu sudhar gaya par nahi kute ki dumm hamesha tehdri hi rehti he
wo ab bhi ause buri tarah mar raha tha jese wo abrar se gaon wale badle bhi aj hi le raha ho...
Aliyan meri bat--- Bas aik dum chup aliyan ne ankhein nikal kar ause dekha mujhe teri koi baat nahi sun'ni tujh par bharosa kar k maf kiya tha
par tu mafi k layak nahi wo ab bhi kuto ki tarah ause mar raha tha
choro aliyan mar jae ga abrar dr.anas ause churwane lage
nahi doctor chor dein mujhe me ais ko zinda nahi choron ga
Aliyan pagal mat bano ham aise police k hawale kar dete he tum qanoon hath me mat lo
doctor please ap amaya ko le kar hospital jaein
Doctor anas ause hospital le jane k liye nikal hi rahe the k ausi doran police bhi aa gai or abrar ko gariftar kar k le gai...
Amaya ko foran hospital le gae, aliyan bohat pareshan tha k abb kiya hoga?
ALLAH se duwaein karne laga kiya aj phir panch saal pehle wala waqt khud ko dohra raha tha?
aus k chehre par dar tha amaya or nanhi jan ko kho dene ka dar...

Police ko kis ne bulaya tha? wo zain ko dekhte hoe bola
Mene bulaya tha Mein office se nikal raha tha ap ki tarf aane k liye tab mujhe baba jan ki call aai wo ap ka poch rahe the
auno ne bataya k Aliyan call recieve nahi kar raha foran Aliyan ki tarf jao or khabar do!
acha mujhe call ki? Aliyan ne apni jaib se cell phone nikal k dekha
oh chachu ki panch calls wo phone mein nazrein makros kiye bola mera phone silent pe tha
Bhai jan mein jab ghar phuncha tou Gul khan ne mujhe sari baat batai mene foran police ko inform kar diya
or hanw subha Bare Baba ka phone aaya tha
Baba jan Kiya keh rahe the? wo ab chair pe beht gaya
wo poch rahe the Aliyan aj kal kahan masroof he Office kiyon nahi jata?
mene kaha bare baba ap ko kese pata k bhai jan office nahi jate?
wo kehte me rehta gaon mein hun par mujhe sab khabar hoti he tum log karachi mein kiya karte phirte ho me aik dum ghabra gaya k kahin bhabi k bare me pata tou nahi chal gaya!
Acha phir Amaya ka pocha?
Mene kaha bhai jan ki tabiyat kharab he
phir kiya kaha ab aliyan k chehre par double pareshani thi
auno ne kaha Amaya kahan he meri baat karwao
bhabi shopping pe gai hein
zain tumhein jab jhoot bolna nahi aata tou bolte kiyon ho?
Aliyan ko kehna me aj karachi aa raha hun tum logo ko kiya laga mujh se chupao ge tou mujhe pata nahi chale ga
police ne Fahad ko giraftar kiyon kiya he? mujhe sab pata he
par bare baba ap ko kese pata? Zain chonka
Mujhe badar or gul khan ne sab bataya he
ab zain bhi aus k pas wali khali chair pe beht gaya!

Auff ye Gul khan! mene mana bhi kiya tha k baba jan ko kuch na batana par chamcha he baba jan ka...
Aliyan mou bana kar bola!
bare baba keh rahe the k Baba jan ki ais silsile me aun se baat hoi thi
or abhi kuch der pehle mene baba jan ko khabar di he Abrar ki giraftari ki
tab baba ne bataya k bare baba or bari mama subha se karachi aae hoe he wese tou sab pareshan he hi par Aliyan k call recieve na karne pe or ziyada pareshan he
kiya baba aagae?
jee aagae or kuch hi der mein sab Hospital phunch jae ge
zain ka phone bajne laga wo uth kar side me chala gaya

Nurse aati dikhai di tou Aliyan foran aus ki janib lapka
Amaya or baby--
jee dono hi ab khatre se bahar he jab hosh aae ga ap ko bata dege..
Aliyan k chehre par khushi chaa gai wo ALLAH PAK ka shukar ada karne laga
             ----****----****-----****-----


Bhai jan police station se phone aaya tha ap ko bulaya he zain ne aliyan se kaha!
abhi ham yahan he police station kese?
Aliyan tum jao me hun yahan tum foran police station se ho k aa jao Dr.Anas ne ause jane ko kaha
thankyou Dr.Anas
kuch hi der mein wo dono police station phunche
kahiye kiyon bulaya inspector sir?

Mr.Aliyan kafi mar lagane k bad ais abrar nami larke ne apne jurm ka ehteraf kiya he or bhi kai batein samne aai he
aaein khud ais k mou se sun lein inspector auneh abrar k pas le gaya...
fahad bhi wahin tha!
bol kiya kiya jurm kiye he? police inspector ne zor dar thapar mara
Nahi bataon ga wo ankhein dikhane laga
hamein Akrd dikha raha he ause aik or thapar mara
Aliyan ko ghusa aaya tou aus ne bhi aik zordar thapar de mara jo pocha he wo batao!

police se mar tou khai hi thi par shayad aus ka asar kam ho gaya tha ab taze taze do thapar khane k bad wo kisi tootey ki tarah tar tar bolne laga!
Fahad beqasoor he jo bhi kiya me ne kiya tha amaya k juice me zehareli dawa mene milai thi ta k hamare bech koi tesra na aae or
tumhein larki ban kar messages bhi mene kiye the amaya k dil me shak paida kiya ta k amaya or tumhare bech larai hojae...
Aliyan ne ause aik bar phir thapar de mara wo messages tum ne kiye ais ka matlab amaya sachi thi par mujhe phone me koi message kyon nahi nazar aae?
tumhara phone aksar kamre me hota tha me moqa dekh kar delete kar deta tha or me message ausi waqt karta tha jab tum amaya k qareeb nahi hote the
or tumhara phone aus k aas pas hota tha or mene bas tabhi messages kiye jab me zain ki mangni me aaya hoa tha or kuch din wahin raha tha
tum logo ki baatein bhi me hi suna karta tha
mene aesa mahool kar diya k sab ilzam fahad pe lag gae kyon k
ais ki wajah se ghar walo ne mera jeena mushkil kar diya tha
fahad jese bano fahad amaya ki khushi k khatir hamesha se chup tha or chup rahe ga
Sab ko kese pata chala k fahad amaya ko pasand karta tha? Aliyan chilaya
jis din tum or amaya hamare ghar dawat pe aae the aus raat tum dono lawn me behte the tab mene tum dono ko ais bare me baat karte suna tha
ab wo inspector ki tarf dekhte hoe bolne laga ain dono k bech understanding dekh kar mujhe jealousy hone lagi thi mera khoon kholne laga tha
jab bhi me aineh sath me khush dekhta tha mera khoon kholta tha
Aliyan or fahad ka piyar dekh k bhi mujhe jalan hoti thi bas mene teh kar liya tha k ain dono ko aik dosre ka dushman bana dunga
or phir ye bat mene hi sab ko batai par mujhe kiya pata tha yehi baat mere sar ka dard ban jae gi har waqt fahad fahad ghar me hota tha
nafrat hogai thi mujhe ais fahad se wo fahad ko dekhte hoe bola
mene fahad se apna badla lene k liye sab ilzam aus pe laga diye me har chez aus waqt karta jab fahad amaya k aas pas hota tha
ta k sab log khas'tor pe Aliyan fahad par shak kare....

Mene kaha tha na k mein beqasoor hun par kisi ne meri na suni fahad chilaya...
fahad kuch sochte hoe bola aik second ais ka matlab zain k message bhi aisi ne pardhe the aus raat ye mere ghar aya tha
hanw me kese bhool gaya k ye mere ghar aaya tha or me naha raha tha par jab me naha k bahar nikla tou abrar wahan nahi tha wahan se ja chuka tha!
or mujhe laga koi kam hoga tabhi ye ruka nahi ya shayad barish k mosam ki wajah se ye foran chala gaya hoga!
Ab apne gunah qabool karne k ilawa abrar k pas or koi rasta nahi tha wo apna har juram qabool kar raha tha
han zain ne jab fahad ko message kiya tab me wahin tha fahad nahane gaya howa tha cell phone baja tou mene message dekha
me khush ho gaya k amaya wapas aa gai
Mein dubai gaya howa tha or aus roz me dubai se lota tha ais liye mujhe aus roz pata chala tha k amaya wapas aa gai he
mene message dekh kar reply kar diya or me jane hi wala tha k ausi doran phir message tone bajji mene foran message dekha
jis me agle roz milne ka likha hoa tha mene jaldi se reply kar k messages delete kar diye or phir wahan se chala gaya...
Amaya se milne bhi me hi gaya tha wo fahad ka intezar karti rahi me chupp kar ause dekh raha tha me sahi moqe ki talash me tha
fahad k na ane par wo resturent se bahar nikli or road pe chalne lagi
or phir aik street k cornor pe ja kar khadri ho gai or apne cell phone pe number dial karne lagi aus k aas pas koi nahi tha bas ausi doran moqa dekh kar mene piche se aus k sar pe danda de mara
or wo behosh hogai phir me ause apne apartment me le aaya!
fahad ki wajah se mujhe ghar se nikal diya gaya tha...
me itna bara ghar chor kar aik apartment mein reh raha tha
Tumhein tumhari harkaton ki wajah se nikala gaya jahil admi fahad ghuse se chilaya!
Aliyan ko reh reh kar aus pe ghusa aa raha tha
Amaya ko bohat kaha mujh se shadi kar le par manti hi nahi thi na kuch khati thi mujhe ghusa aaya mene ause mara,
wo har waqt aliyan aliyan karti rehti thi wo kehti thi mujhe ALLAH ki tarf se madad ka intezar he mera ALLAH koi maujza zaroor dikhae ga wo meri madad zaroor kare ga
jis ne mujhe aliyan diya wo aik bar phir mujhe aliyan de ga!
mene phir mara ause par auski akrd khatam nahi hoi me ause hasil kar k aliyan se badla lena chahta tha
ye janta tha me amaya ko chahta hun phir bhi ais ne amaya se shadi ki mujh se cheen liya amaya ko me ain sab ko barbad karna chahta tha
Aliyan ko pareshan dekh kar mujhe bohat maza araha tha, par wo doctor aus ne dokha de diya me nahi choro ga kisi ko bhi nahi choro ga
hospital mein bhi mene hi doctor ko paise diye the k wo amaya k marne ki jhooti khabar sab ko de or me moqa dekh kar Amaya ko wahan se le jao hamesha k liye sab se dor par me nakam hogaya
mujhe pata chala kisi doctor ne amaya ko check kiya he or aus ne sab ko bata diya k amaya zinda he par mene aus doctor ko dekha nahi tha
warna ause bhi khareed leta me mar donga sab ko mar dun ga
wo kabhi hansne lag jae tou kabhi rone shayad wo pagal ho chuka tha!
aus ki jealousy hassd me tabdel hogai thi
Abrar tum tou bad'dua k qabil bhi nahi ho tum tou pehle hi hasd ki aag me jal rahe ho Aliyan ause dekhte hoe bola
Abrar ki ankhon me koi sharmndagi nahi thi
wo hassd mein itna andha ho gaya tha k sahi galat sab bhool chuka tha...

Aliyan ko hospital se call aai tou wo foran hospital phuncha....
aus ne hospital k kamre ka darwaza khola samne hi amaya ko lete hoe paya
sh'shukar he ALLAH PAK ka A'amaya t'tum thek hogai m'me tou dar hi gaya tha aus ki ankhon se ansu behne lage or lafz toot toot kar zuban pe aa rahe the,
t'tum ne itni mar bardsht ki hamare bache ki khatir tumhein kuch ho jata tou socha he mera kiya hota tumhare bina kese jeeta mein wo ab bhi ro raha tha?
Amaya ne ause rote howe apni ankhon se pehli bar dekha tha warna tou bas anaya se hi suna tha k jab wo hospital me admit thi tab or aus k lahore jane k baad aliyan bohat roya tha
par aj rote howe dekh bhi liya or ause apni ankhon par yaqeen hi nahi araha tha k Aliyan bhi ro sakta he!
Dekha Mujhe lecture nahi shocked bhi dena aate he amaya muskurate hoe boli...
aik maro ga thapar 'ziddi larki' wo ab apne ansu saf karte hoe halka sa muskuraya..
Ap ro rahe hein mujhe yaqeen nahi aa raha ab wo aus ki tang khenchne lagi!
Ausi waqt sab ghar wale kamre mein dakhil hoe Amaya kesi ho beta?
jee behtar hun ap sab kese he?
ham thek tou nahi the par ab apne bachon ko sahi salamat dekh kar ham thek he Mustafa Alam muskurate hoe bole or ALLAH ka shukar ada karne lage
Nurse kamre me dakhil hoi Mr.Aliyan ye lein ap ka beta!
Sab aik dum choonke Beta sab k chehro pe khushi chaa gai
Aliyan ne lapak kar apne bete ko goood me liya M'mera beta Baba jan mera beta
ye dekhein Mama mera beta wo aik aik k samne apne bete ko kar raha tha
aus ki khushi ka koi thikana hi na tha
sab bohat khush the aliyan ko tou jese sari khushiyan mil gai ho
Ab anaya rote hoe kamre me dakhil hoi Amu kesi ho?
kahan thi shukar he tum thek ho Aus k chehre pe pareshani bhare tasuraat the
Amaya ause dekh kar muskura di me thek hun jab tak mera ALLAH mere sath he mujhe bhala kiya ho sakta he
Anaya ye dekho mera beta Aliyan ne ab khushi se anaya k agey kiya
Anaya bhi aik dum choonki beta Bohat bohat mubarak ho
wao baby is so cute anaya ause piyar karne lagi..
han apne baba pe gaya he cute kese nahi hoga aliyan foran muskura k bola...
kuch der me Dr.Anas aae Amaya ab kesi tabiyat he?
Me thek hun par mein yahan kese aai ap logo ko kese pata chala k mujhe abrar ne---
Dr.anas or Aliyan ne tamam bat batai k kese abrar ne apne jurm ka ehtraf kiya...
Dr.sahab amaya ko ghar kab le ja sakte he? anaya ne sawal kiya
Amaya jee me ap ko zabardasti ghar jane ki ijazat de raha hun kyon k ap k husband ne mere naak me dam kar dena he dr.anas muskurae sab hansne lage....
                                     -------****--------****-------*****--------                                

Raat k 9:00 baj rahe the sab dinner k bad tv lounge me behte chae pee rahe the...
fahad bhai kahan he? Amaya ne kuch sochte hoe pocha
bhai jan ghar hen mene bulaya tha bas ate hi honge zain chae ka cup table par rakhte howe bola,
lo aa gae fahad bhai Anaya muskurai...
Asalam wa alaikum!
Wa alaikum asalam sab ne aik zuban jawab diya
Badar Alam uth kar apne bete k gale lage Mrs.Badar ne bhi apne bete ko khoob piyar kiya
fahad i'm really sorry mene tumhare sath....fahad ne Aliyan ki baat kat di
Aliyan koi baat nahi tumhara qasoor nahi he abrar ne halat hi aese kar diye the k tumhein tou mujh pe definatly shak hona tha,
fahad kuch sochte sochte bolne laga me kese bhool gaya k zain or anaya ki engejment k doran abrar yahin pe tha or jab me kitchen me gaya
tab mene wahan se abrar ko nikalte dekha tha
or' juice ka glass wahin slap pe rakha hoa tha mujhe laga zulekha ne rakha he amaya ko dene k liye tou me de ata hun,
me juice le kar tumhare kamre me aagaya
or jab tum or amaya engejment k roz kamre mein khadre kuch baat kar rahe the aus doran bhi poll k piche mene abrar ko khadre dekha tha par ziyada gor nahi kiya
mujhe kiya pata tha k aus k dimag me kiya chal raha he agar kuch bhi andaza hota tou mera zehan ye sab baatein zaroor sochta par ju'k abrar ne mafi mangi thi aliyan se
tou ham sab ko tou yehi laga tha k wo sudhar gaya he
kisey pata tha k wo ye sab kare ga,
khair choro socho bura waqt tha taal gaya or jo howa bhool jao Abrar ne jo kiya aus ki saza ause mille gi wo pori tarah pagal hogaya he
court ne ause pagal'khane bheej diya he
Aliyan foran utha or fahad k gale lag gaya or sab gile shikwe dor hogae...
fahad bhai mujhe maf kar dein mene bhi ap ko galat samjha zain gale lagte hoe bola
ary nahi pagle koi baat nahi sab bhool jao!
wo teeno aik dosre k gale lag gae
auneh aik sath dekh kar Mrs.Badar ki ankhon se ansu behne lage
Dekha me kehti thi na mera beta beqasoor he wo aesa nahi kar sakta par Badar ap ko yaqeen na tha
bhabi halat hi aese ho gae the k sab saboot fahad k khilaf the Mrs.Mustafa foran boli
chalo ab tou sab gile'shikwe khatam ho gae he jo hoa sab bhool jao Mustafa Alam sab ko dekhte hoe bole
Mujhe kisi se koi shikiyat nahi me khush hun k Amaya thek he or Me begunah Sabit ho gaya
Amaya ALLAH ne maujza dikha diya Dr.Anas ko tumhari madad k liye bhej kar fahad muskuraya
Ap ko kese pata?
Abrar ne bataya tha k Amaya ko apne rab ki janib se madad ka intezar tha wo kehti thi mere ALLAH maujza zaroor dikhae ga Aliyan mere liye or me aliyan k liye hun
waqai tum ne sahi kaha tum dono aik dosre k liye hi ho!
fahad ne muskurate hoe aun dono ki jaib dekha
mujhe Aliyan se shikayat he Mustafa Alam ki awaz kano me pardhi
mujhe se par kiyon baba jan?
barkhudar tum itne bare ho gae ho k apne baba se ab baatein chupane lage ho
ye hamesha yaad rakhna bache chahe jitne bhi bare ho jae par apne maa bap k liye wo hamesha bache hi rehte he
wo foran apne baba k pas ja kar behta or aun ka hath apne hathon me liya Baba jan mujhe maf kar dein me bas ap ko pareshan nahi karna chahta tha!
tum hamein pareshan nahi karna chahte the or khud hafton pareshan hote rahe beta ham sab aik family he ham apne dukh aik dosre se share nahi kare ge tou or kis se kare ge?
ab auno ne aliyan k sar pe hath rakha
jee baba jan ap sahi keh rahe he ainda aesa nahi hoga!
ab Mustafa Alam ne apne pote ko apni goood me liya or muskura kar ause piyar karne lage
Amaya hamara pota bilkul Aliyan jesa he par aise aliyan ki tarah akdru mat ban'ne dena Mustafa Alam muskurae
Baba jan kiya ap bhi ab mein itna bhi akdru nahi aus k chehre pe shararti muskurahat thi
Fahad bhi nanhe bache ko piyar karne laga
kuch hi der mein Amaya ko apne Baba saein aate dikhai diye wo bhag kar aun ki janib lapki or gale lag kar khoob roi wo kafi arse baad apne Baba se milli thi...
kiya howa bache aese kiyon ro rahi ho sab thek tou he na?
jee Baba saein sab thek he itne time baad ap se milli hun tou bas ansu aagae...
sab bohat khushi se Major Amir se mile
apne nawase ko dekh kar wo bhi bohat khush the or kai tohfe lae the!
Hamare nawase ka naam kiya rakha he? Major Amir ne sawal kiya
ye tou Aliyan hi batae ga Mustafa Alam ause dekhte hoe bole
baba jan kiya ap naam nahi rakhna chahe ge? wo narmi se bola
Nahi beta hamare pakistan mein amomann khandano mein aisi baat pe behas hoti he K baby ka naam kon rakhe ga?
dada dadi kehte he ham rakhe ge or nana nani kehte he ham rakhe ge tou mera tou yahi khayal he tumhein khud apne bete ka naam rakhna chahiye kiyon Major sahab mene sahi kaha na?
jee jee bilkul ap ne durast farmaya!
agar ap log yahi chahte he tou jesi ap ki marzi baro ki baat man'na mera farz he
ab aus ne aik nazar nanhe bache ko dekha ais ka naam "Shams Aliyan" he
wah bohat acha naam he nanhe shams k liye nanha sa naam sab kehka laga kar hanse
Mustafa sahab aik baat tou man'ni pare gi ap ne apne bete ko bohat achi tarbiyat di he Major Amir ko Aliyan pe piyar aa raha tha
shukriya ap ne bhi apni beti ki khoob achi tarbiyat ki he ab wo muskurae
Aliyan aik bar phir Allah ka shukar ada karne laga(ALLAH PAK tera lakh lakh shukar he tu ne meri izzat rakh li)
Aj ghar mein khoob chehal'pehal thi pore ghar mein kehko ki sadaein sunai de rahi thi
sab bare apas mein baatein karne mein masroof the!
or anaya amaya k pas aus k kamre mein thi
Anaya chotu baby ko tang karne mein masroof thi aus ki itni galein khenchi thi k ab wo anaya se darne laga tha
ye kiya kar rahi ho Anaya kha jao gi kiya mere bete ko!
tumhara beta? Anaya aik eye-brow opar chardhae ause dekhne lagi
hanw mera beta
tumhara beta bad mein pehle mera damad he samjhi anaya bare roub se boli
kiya kaha tum ne abhi? Aliyan kamre me dakhil hote hoe bola
Anaya k chehre ka rang urd gaya k'kuch nahi mene kaha k shams kitna piyara he bilkul aliyan bhai jesa khubsoorat aus ne foran bat badli
Aliyan apni hansi dabae Amaya ko dekhne laga auf kin pagal larkiyon k bech phas gaya mein amu tumhari dost jhoot acha bolti he
ye kehte hoe wo wahan se chala gaya!
Aliyan ko dekh kar tumhara bulb kiyon fiuse ho gaya madm? amaya hanste hoe boli
toba he kitne chalak he Aliyan bhai foran jhoot pakar liya wo mou bana kar boli
Nanhe shams k ghar ane se Amaya or Aliyan ki khushi ka tou koi thikana hi nahi tha...

                    ------*****------******------*****-----

Mohtarma aa gai ser'sapate kar k Anaya k ghar me dakhil hote hi pehla sawal Rashmin phuppo ne kiya
phuppo me Amaya k ghar gai thi ser'sapate karne nahi aus ka beta hoa he
tou tum kiya aus ki khidmatein karne ruk gai thi ghar aane ka nahi pata tha subha se nikli ho or ab raat k 11:00 baje ghar louti ho
tumhari maa ko tou koi fikar hi nahi he k beti kahan jati he kab aati he?
phuppo me kahin ati jati nahi Ami ko pata he me agar kahin jati hun tou bas amaya k ghar or meri ami ko meri fikar bhi he or mujh par yaqeen bhi aus ne do'tok jawab diya
Anaya tum aa gai amaya kesi he or fahad ka kiya bana?
ami k sawal pe anaya ne ankhein band ki uff ho ab phir phuppo shuru ho jae gin
kiyon fahad ko kiya howa? phuppo ne foran sawal barsaya
Ami amaya thek he or fahad bhai beqasoor the sab kiya dhara aus abrar ka tha
shukar he ALLAH ka fahad begunah sabit ho gaya or Amaya thek he?
Ami amaya ka beta howa he wo khushi se batane lagi
MASHALLAH mujhe phone kar k amaya ka bata deti me bhi aa jati...
phuppo kabhi anaya ko dekhein tou kabhi aus ki ami ko ye kiya chal raha he koi mujhe bhi kuch batae ga ab ye abrar kon he?
tumhari dost baaz nahi ati kuch na kuch karti rehti he phupo mou bana kar boli
phuppo ap phir shuru hogai jab ap ko kuch pata nahi hota tou ap bolti kiyon hein Amaya ne kuch nahi kiya he
ab aus ne phuppo k agey ghuse se hath jore mene ap k agey hath jore amaya ko bura bhala bolna band karein akhir aus ne ap ka kiya bigadra he
wo ghuse se wahan se chali gai!
Dekha dekha kese zuban chalti he ais larki ki aus amaya ko kuch keh do bas foran mirchi lag jati he
Appa ap kiyon bolti hein aesa amaya ko ap aus ko janti hi kitna he?
ary bas behan rehne do ab tum aus ki wakalat mat karne lag jana jao mujhe aik glass pani pilao!

                                 ----****----****----****-----


Aliyan ye panch saal kese guzar gae pata hi nahi chala apko pata he aj Anaya pakistan wapas aa gai he
mene tou bohat bola tha apni shadi se aik mahina pehle hi aajana but dekho aj apni mehndi k roz aai he,
kiya zarort thi England jane ki aus ne fahad bhai ki shadi bhi miss kar di...
suhneri peeshani par mustakil pare bal or kanch si khoobsurat ankhon me chae hoi fikr...

chori'dar pajame par bareek golden kaam wali blue froak mein malboos rasi k andaz me dupata maflar ki tarha gale me lapete howe tang pe tang rakhe dresing table k agey behti Amaya baal banate howe boli...
shukar karo khud ki shadi pe to aarahi he tumhari anaya!Aliyan book k safhe badalte howa bola hamesha ki tarha aliyan k mathey pe girtey baal bohat ache lag rahe the....
ab wo uth kar bed pe ja kar beht gai or apne pajame k chunn set karne lagi
cute sa Amaya jesi ankhein aliyan jesi uthi hoi naak aik (5)panch'saala bacha mamma mamma ki saadaein lagata bhagte howe kamre me dakhil howa...

Aram se shams bhag kyon rahe ho kiya howa Ap chila kyon rahe ho? Amaya ne aus k nanhe mulayam hath apne hath me lete howe sawal kiya...
Mamma Niche sab guest aa gae he or shams abhi tak tayar nahi howa wo mou banate hoe bola
Shams har baat mein apna naam zaroor leta tha
Beta ap ready tou hein Amaya ne muskurate hoe kaha
Nahi'Mamma' shams ko Baba jese kapre pehn'ne he...
Aaww mera bacha jab ap bare hojao ge tab baba jese kapre pehn'na ok
wo apne kapron ko hath lagate hoe bolne laga nahi shams ko ye nahi pehn'ne shams ko baba jese kapre chahiye wo zid karne laga..
Nahi baby zid nahi karte ap chotu baby ho na ap to ache bache ho ache bache zid nahi karte
par bachon ko asani se har baat kahan samjh ati he wo mazeed zid karne laga..
shams aik bar ap ko samjh nahi ata Aliyan ghuse se bola...
Aliyan ka cell phone bajne laga or wo phone kan pe lagae kamre se bahar chala gaya
Baba bohat ghande he har waqt shams ko dandte rehte he shams ko nahi karni baba se kabhi bhi baat wo mou banae seene pe hath bandhein soffee pe beht gaya
Amaya uth kar aus k pas aai nahi bache aesa nahi kehte buri baat jo ap se piyar karte he wo ap ko dandte bhi he
nahi baba ache nahi he wo mau bana kar bola...
shams idhar dekho mama ki tarf ap ko aesa kis ne kaha k baba ghande he?
Ramsha chachi ne kaha wo jawab de kar wahan se bhaag gaya!
Ramsha bhabi ne par kiyon? Amaya heran hoi
Aliyan ko shams se beloos muhabbat thi par ain dino office mein ziyada kam ki wajah se wo shams ko thek se time nahi de pa raha tha!
or shams ko lagne laga tha aus k baba aus se piyaar nahi karte najane ye baat aus k zehan mein kese aai thi ya shayad lai gai thi...
shams aik smjhdar bacha he or ais tarah ki baat aus k zehan mein aana amaya k liye fikarmandi ki baat thi..

kuch der mein mehndi function shuru hogaya zain k chehre pe bohat khushi thi bari bari sab rasam karne lage
Samaira ne zain ko pora tel me nehla diya
Ramsha bhabi k dewar ki shadi thi tou wo khasi aagey aagey thin
Shukar he zain ALLAH ALLAH kar k tumhari shadi ka din tou aaya warna mene tou yahi suna tha jab bhi tumhari shadi hone lagti kuch na kuch ho jata tha
Ramsha ne tanziya nigahon se Amaya ki janib dekha
khushi ka mahool tha koi bhi Ramsha ki baat par apna mood kharab nahi karna chahta tha
Bhabi ALLAH PAK jo bhi karte he hamare bhale k liye karte he or hamein ALLAH ki raza mein razi rehna chahiye jab mujhe koi problem nahi tou kisi dosre ko bhi nahi honi chahiye zain ne do'tok jawab diya
jis pe Ramsha ka mood Kharab ho gaya!
Ramsha chup kar jao fahad ne apni bivi ko tooka
Hamas or haniya bhi dubai se aagae the aun k MASHALLAH do bache the aik beta or aik beti
Ehm aj tou bohat achi lag rahi hen medam khariyat tou he? aliyan pas khadra bola
kiya matlab aj? me tou roz hi achi lagti hun wel thank you ap bhi hamesha ki tarah bohat ache lag rahe he wo shararti andaz me boli....
wo itne naram lehje se boli thi k Aliyan k chehre pe muskurahat aagai....

Aik table pe kuch khawatein behti thi jin me se kisi aik ne kaha ye larki kon he kitni ajeeb lag rahi he khud ko pata nahi kiya samjh rahi he
foran dosri boli ary ais ko choro wo dekho wo mehroon duppate wali aus ki tou zulfein hi nahi tik rahi
Aunty mama kehti hein good peoples kisi ki mazaq nahi banate shams pas se bolta howa guzara!
aus table pe behti baqi khawatein kehka laga kar hansi or aun do larkiyon ko shams ki baat par apni bezati mehsoos hoi!
                         -----****-------****-------****-------
Agle roz sab shadi k liye tayar hone lage...
Amaya shams ko tayar karne mein masroof thi...
Mamma Anaya aunty ab shams ki kiya lage gin?
kiya matlab kiya lage gi beta wo ap ki aunty hi he...
auf ho mamma wo sar pe hath rakhte hoe bolne laga jese ap baba ki bivi mama hen mamo ki bivi mami hen to chachu ki bivi meri kiya hoi?
wo ap ki chachi hoi...
ab amaya ne ause coat pehnaya
or meri bivi jo hogi wo ap ki kiya ho gi?
meri bahu...
or ap mere bachon ki?
dadi auf shams kahan se seekhte ho ap aesi baatein?
apne ap se wo muskuraya aus ki muskurahat me aik masoomiyat si thi amaya ko bhi hansi aagai
hum kiyon ja rahe he mamma?
chachi ko lene ab wo yahin rahe gin chalo ab ap ready ho now go amaya aus ka gal thap'thapate hoe boli...
pink lehnge pe silver sitare'motiyon ka kam amaya lehnge me malboos behad khubsoorat lag rahi thi kitni achi lag rahi hun me hamesha ki tarah wo khud ko sheshe me dekhte howe boli...
ye kiya gulabi sharbat ban gai ho? aliyan ause tang karte howe bola
wo tehdri nazron se ause dekhne lagi
kiya aese kiya dekh rahi ho? kitna makeup kiya he auff koi dekhe ga to dar hi jaega me bhi sochon me itna kamata ho paise kahan jate he
abb pata chala sare paiso ki tou tum makeup ki dukan khared lati ho wo hansi dabate hoe bola! ause pata tha aus ki baat pe amaya chird jae gi
han tou ap kamate kis liye he bivi bachon k liye hi naa tou meri marzi me kuch bhi lon or mujhe pata he me achi lag rahi hun wo kano me jhumke pehn'ne lagi...
oh apne mau miyaa mithuu, yad he aik bar tum ne hina chachi ko kaha tha k log tou apne mau miya mithu he tou ab tum kiya ho bolo bolo wo muskurane laga!
ha hanw tou a'ap ki sohabat ka asar he wo ruk ruk kar bolne lagi..
acha ab meri sohabat ka asar hogaya jab koi kam ki aqal wali baat ho tab sohabbat ka asar kyon nahi hota medam?
mujhe shams bula raha he me jati hun wo wahan se jane lagi aus ne amaya ki kalai pakri ruko ruko kahan bhag rahi ho tumhara ladla ja chuka he apne chachu k pas!
ary ap kitne handsome lag rahe he ap ki shervani kitni jaaajh rahi he ap par wo muskurahat dabae boli(ab wo aliyan ko baaton mein lagane lagi ause aliyan k irade kuch thek nahi lag rahe the)
hanw me tou hamesha hi acha lagta ho thnkyou so much par me tmhari koi tareef nahi karne wala amaya aik bar phir wahan se bhagne lagi
ruko kahan bhagne lagi ho?
aus ne or mazbooti se aus ki kalai pakri mujhe baaton mein laga kar bhagne lagi thi!
wo mein wo kyon meri tareef kiyon nahi kare ge ap? wo mau bana kar boli,
kitne saal hogae hamari shadi ko or tum ne aik bar bhi mujhe apni zuban se wo 3 magic words nahi kahe wo ause apne qareeb karte howe bola...
lo ab ye koi time he aesi baaten karne ka chalen der ho rahi he sab wait kar rahe hoge
no pehle bolo aliyan ne ause apne or qareeb kiya...
Amaya tum bohat khoosurat lag rahi ho!
i know wo ab sharmate hoe muskurai...
Ab sharmana band karo or bolo..
kiya bolun?
wohi three magic words?
acha pehle ankhein band karen phir bolun gi...
ok ye lo karli ankhein band wo ankhein band karte howe bola..
'i' 'i' 'i' ..
kiya i i 'gulabi sharbat' agey bhi tou bolo wo chilaya...
i'm sorry we'r getting late ye kehte howe amaya wahan se bhaag gai..
Amaya ruko Amu wo chilate howe piche bhaga...
                   -----*****-----*****------*****-------
ab wo Marriage hall phuhanch gae the
Ghar me kafi time bad koi shadi hoi thi or Akhri shadi thi tou Badar Alam ne bohat dhoom dham se apne chote bete ki shadi ki thi
kafi saalon bad sab classfellows se mulaqat hoi...
Amaya tumhara beta kahan he bohat tarifen suni he k bohat cute bohat shararti he
Khansa muskurate hoe boli...
apne chachu k sath hoga har waqt zain k sath chipka rehta he
tum batao saim kesa he wo aya he or tumhare bache?
Nahi saim kisi business meeting k liye out of town gae hoe he or mere do bete he or dono hi nahi aae vications chal rahi he tou apne dada dadi k pas gae hoe he
samne se aik bacha aata dikhai diya Amaya wo dekho wo jo bacha bare roub se chalta aa raha he kiya wo shams he?
khansa aus bache ki tarf ishara karte hoe boli
Amaya ne aus bache ki janib dekha or muskurai hanw yahi shams he tumhein kese andaza howa?
wo bilkul Aliyan ki tarah roub mein chalta Aa raha he tumhein yaad he university mein kis tarah Aliyan roub se phirta tha
or aus ka Ego or Attitude kitna high tha or ghusa tou har waqt naak pe rehta tha bohat proudy bhi tha or kitni hi larkiyon ko aus pe crush tha
or sab ause magroor,proudy,or egostic kehte the
khansa ki baat par amaya ko kuch yaad aaya tou wo muskura di
Aliyan ki aini baaton ki wajah se hi tou wo aus k dil mein utra tha!
tum ziyada muskurao mat tumhara bhi yahi haal tha tum dono aik jese the ALLAH ne sahi kiya tum dono ko aik dosre k gale dal diya
aik sher tou dosra sawa'ser ab wo dono kehka laga kar hansi
shams yahan aao amaya ne ause awaz di
salam karo aunty ko!
apne nanhen mulayam hath khansa k hath me dete hoe aus ne salam kiya
kese ho beta?
Mein thek hun ap Mama ki dost hen?
jee me apki mama ki dost hun ap bohat piyare ho mere sath aik photo banawao ge?
nahi Ache bache larkiyo k sath photo nahi banwate wo foran bola...
ap ko kis ne kaha?
shams ne khud ne......
haha how sweet MASHALLAH bohat piyara he tmhara beta Amaya ALLAH aise nazre bad se bachae amen or tmhare husband kahan he?
yahin kahin honge kisi kam me masroof Anaya aagai parlour se Khansa?
han bridal room me he Aao me tumhein le chalo..
Aao shams aunty ko milne chale aus k nanhe hath apne hathon me liye wo chal di...
silver kam wale surkh lehnge me malboos Anaya bohat haseen lag rahi thi MASHALLAH aj tou koi bohat qayamat dhaa raha he amaya muskura kar boli..
mujhe tum se baat nahi karni ab aa rahi ho tum mujhe laga aj mera special day he tou aj pora din tum sath rehne wali ho wo mau banate howe boli...
Anu achi dulhane mau nahi banati or tumhein tou pata he na me larke wali bhi ho itne kam the or phir ye tumhara bhanja shams ais ne alag tang kiya howa tha..
kahan he shams? anaya apne gile shikwe foran bhool gai
Anaya ne shams ki tasveerein facebook or twitter par hi dekhi thi aj 5saal bad wo shams se mil rahi thi...
ye raha mere piche shams aunty se tou milo..
ASALAM WA ALAIKUM aunty wo muskuraya..
Mama ab tou aunty shams ki chachi hoi naaw?
han me ap ki chachi hun ab anaya muskurai..
chalo chalen chachi wo hath pakar kar chalne laga
par kahan shams? anaya herani se boli
ghar Mama ne kaha tha ham apko lene ja rahe he tou chalen..
haha amaya kitna piyara he shams 5saal bad aj dekha mene jab wo shehtaniya karne laga he
Mama hum ghar kab jae ge?
beta shadi khatam hone k bad jae ge..
oh no me tou tab tak so jao ga wo mau bana k bola...
koi baat nahi beta ap thori der jag lena Khansa shams ko dekhte howe boli,
Khansa shams ne apne baba ki tarah har chez ka time table banaya howa he k kis waqt khana khana he, kis waqt juice peena he,
kis waqt study karna or khelna he, sona he janab ki har chez ki timing set he
or guards ko apne sath khel me lagae rakhta he auneh apni duty bhi nahi karne deta sara din bas sharartein....
zahir he tumhara beta he sharartein nahi kare ga tou pata kese chale ga k ye Amaya Aliyan ka beta he anaya muskurai...
hahaha achi bat he abhi se timing k hisaab se chalta he or zahir he apne baba pe hi jaega Khansa hanste howe boli...
yr fahad bhai ki bivi se mili mein mujhe Ramsha bhabi Ajeeb lagin jese koi khushi hi na ho auneh Amu sab thek tou he tum kuch chupa rahi ho?
nahi kuch nahi chupa rahi me meri ye majal jo anaya se kuch chupao wese hi tabiyat thek nhi hogi aunki tum apne khali dimag par ziyada zor na do aao tumhein stage pe le chalen
dekho tumhari barat bhi same wesi hi lae he jese meri thi amaya shararti lehje me boli!
apni shadi me tou mene enjoy nahi ki tha par tumhari shadi mein khoob enjoy kiya he wo muskurai
Amu tum aj wohi porani shararti amu lag rahi ho or tum aese hi mujhe pasand ho
shukriya medam Akhir wo din aa hi gaya ham dono ka khuwab pora howa amaya muskurai
hanw aik hi khandan me shadi ka khuwab or kitna awkward khuwab he koi suna ga tou ham pe hanse ga Anaya muskurate hoe boli
hanse do logon ko bhi tou pata chale k ham dono kitne carzy or adventures he amaya phir muskurai ab wo log stage pe the!
kuch hi der mein dulhe ko stage pe laya gaya rasmein shuru hogai zain k sath hi shams bhi behta tha sarvala jo tha dulhe k sath hi rehna tha..
yr ye rasmein kab khatam hogi thaak gaya hun me zain ahista se bola shams ne sun liya,
chachu kan idhar karein aik bat bataon shams ahista se bola
zain ne sar niche kar k kan aus k qareeb kiya,
chachu ap ko jaldi ghar jana he shams help kare?
par wo kese mere tiger? zain ahista se bola
wo aese shams achanak se utha Mama ghar kab jae ge shams k sone ka time ho gaya he chalein ham ghar chalein wo masoam sa chehra banae bola raha tha
sab ki nazrein ausi pe makros thi shams ki baat pe sab hans diye
lo tumhare tiger ko nend ane lag gai he Aliyan jo k amaya k pas hi khadra tha ahista se bola!
shams beht jao rasmein ho jaen phir chale ge Aliyan ne ankhein dikhate hoe kaha
shams mau latka k beht gaya chachu kam hojata par Baba bech me aa gae wo phir se zain k kan me mou diye bolne laga,
Tiger tum pitwao ge yar mujhe sehde ho k beht jao zara samne dekho tumhare Mama Baba kese dekh rahe he ghar ja kar ham dono ki shamat aae gi
mera tou kuch nahi par beta ap ko bohat dandt pare gi baba se zain ahista ahista bolne laga...
chachu ap bhi darte hen baba se par ap tou bare he?
yr ye pocho k tumhare baba k ghuse se kon kon nahi darta or tum kitne sawal karte ho kahan se seekhte ho aesi baaten?
Apne ap se wo halka sa muskuraya....
Aliyan stage pe ja kar zain k qareeb behta or ahista se bolne laga ab chup karo ge tum dono ya mau pe tap solution lagaon?
itne mein zaheer uncle ne awaz di Aliyan beta yahan aao
wo foran stage se utar kar niche aaya jee uncle bolein..
wo bacha tumhara beta he?
Aun k sawal pe Aliyan thora jhijka(oh shams ab kiya shararat kar di)
jee uncle khariyat koi sharart ki shams ne?
barkhudar Tumhara beta MASHALLAH bohat piyara he or bohat achi baatein karta he
abhi me khana kha raha tha tou mujhe khansi lag gai aik chote se bache ne pani ka glass mere agey kiya uncle pani pee lein thek ho jae ge
mene bohat duwaen di par pata nahi tha kis ka beta he abhi pata chala k tumhara beta he MASHALLAH se tum ne bohat achi parwaish ki he shams ki nazar utar lena
tumhare bete ne sab k sath bohat achi achi baatein ki he sabhi piyar kar rahe the Zain ki khala k husband zaheer sahab hanste hoe bata rahe the
Aun ki baat pe Aliyan Muskuraya or shukar ka kalma pardha

Rashmin phuppo tou aese sadqe wari ja rahi thin jese Anaya aun ki bohat ladli ho
Rashmin phuppo Anaya ko piyar dete hoe Ahista se bolne lagin beta tum tou bohat bholi ho
ais Amaya or Ramsha se bach k rehna mujhe Ramsha bohat tez'taraz lag rahi he
phuppo ap phir shuru hogai Aj tou aesi baatein na kare kal tak tou ap ki nazron mein me bohat chalak thi ab achanak bholi kese ban gae?
Anaya ne dulhan bane bhi phupo ko na bakhsha!
Apa mere sath aaein Fehmida begum aune apne sath aik side mein le gain
Apa ap aj bhi shuru hogain ap ko maza aata he kiya anaya k samne amaya ko bura bhala bol kar?
Beti dulhan bani ziyada bol nahi pai tou maa aus k jaga bolne lagi he Rashmin phuppo phat padri
Apa Aj ap bata hi dein k Amaya se ap ko masla kiya he?
Me apne Azlan ka rishta le k gai thi ais amaya k liye or ais ne azlan ka rishta reject kar diya
Azlan ka rishta? Fehmida begum chonki
Akhir kami kiya he hamare azlan me achi job he shakal ka bhi acha he phir bhi reject kar diya tha Aj Rashmin phupo apne jazbat qabo na kar sakin
Apa ap ne tou kabhi nahi bataya k ap amaya k liye rishta le k gai thin or ap ne tou bataya tha k ap ko larki pasand nahi aai thi tabhi ap ne rishta nahi kiya
Fehmida begum ki baat pe Apa zara choonki wo tou bhool hi gai thin k auno ne rishte ki reject wali asal bat tou batai hi nahi thi
Apa ap ne jhoot kiyon kaha tha?
mera Azlan itna acha larka agar logon ko pata chalta k larki ne reject kiya he tou aus ki kiya izzat rehti tabhi mene sab ko kaha tha k mujhe hi larki pasand nahi aai
Apa bas itni si baat pe ap aus se khafa hein jodiyan tou ALLAH banata he hamare bas me tou ye sab nahi he hamein wohi mita he jo qismat me likha ho
Aliyan ki qismat me Amaya thi Azlan ki nahi Azlan ki qismat mein Hiba thi or bijae ais k, k ap amaya se khafa ho ap ko tou ALLAH ka shukar karna chahiye k ap ka bacha apni bivi k sath khush he
or phir Amaya tou ap ki pasand thi Azlan ki nahi aus ne tou kabhi amaya ko dekha bhi nahi he aus ne ap ki khushi k liye hami bhari thi
par ap ne amaya ko kab dekha tha? Fehmida ne aik or sawal kiya
Anaya k sath tasveron me hi dekha tha or phir tumhare beto ki shadi mein tou mujhe bohat pasand aai thi
par Apa Amaya ne Azlan ko kabhi nahi dekha tou phir aus ne reject kese kiya?
Aus k waleden ne kaha tha ham apni beti se poch k jawab dege or phir kai dino k intezar k bad jawab mein inqar mila mujhe bohat ghusa aaya
Apa wo aus waqt shadi nahi karna chahti thi mujhe Anaya ne aik bar bataya tha k amaya k rishte ate he par wo apni mama ko tal deti he tou zahir he jab wo shadi hi nahi karna chahti thi tou aus k ghar wale zabardasti thori na aus se hanw karwate
tou kiya larki ko ghar bitha k rakhna tha ais larki me tou bare nakhre he
Apa Nakhre kiyon na ho akhir wo apne waleden ki aiklooti beti he..
Acha acha bas ab tum wakalat mat karo mehmano ko dekho...
Apa ap amaya k liye bad'guman na ho agar ause pata lage ga tou ause kitna bura lage ga...
Aunty mujhe bura nahi lage ga kano mein awaz sunai thi
Fehmida begum ne foran murd k piche dekha
Amaya wo ham--- Aunty mene sab sun liya he
phupo ap ka ghusa jaiz he par mujhe nahi pata tha k mere liye kis k rishte ate rahe the na mene kabhi mama se pocha tha
mujhe shadi wagera karne mein koi intrest nahi tha mama jab bhi call kar k kisi rishte ki baat karti thi me auneh tal deti thi ya baat gol'mol kar deti thi
or phir Aunty ne sahi tou kaha he jodiyan ALLAH PAK banate he ap ya ham nahi agar insan k bass me ye sab hota tou sab ameron mein shadiyan karte
garebon se tou koi shadi hi nahi karta par ye nizam ALLAH k hath me he ap bhi janti hein k aesi kai gareeb larkiyan he jo shadi ho k ameron me jati hein or kai
aese gareeb larke he jine amer bivian mil jati he  
or phir log kehte he ary wah ais ki qismat tou dekho kitni achi jaga shadi hoi he
tab sab qismat ki baat karte he tou phir jab rishte reject kiye jate he ya toot jate he tab log Qismat ko bech me kiyon nahi late
tab log apas me kiyon jagarne lag jate he aik rishta thokrane k piche sage behan bhai apna aik dosre se rishta kiyon tor dete he?
insan ye kiyon nahi samjhta k ye sab hamare hath mein nahi he sab ki qismat ALLAH ne likhi he jo jis k liye he wo ausi ko hi mile ga
par phir bhi phuppo me ap se sorry karti hun mujhe maf kar dein!
Ary amaya tum kiyon mafi---Fehmida begum ko amaya ka mafi mangna acha nahi lag raha tha
Rashmin phuppo bhuuut bane khadri thin
Amaya chalo Ruksati ka waqt ho gaya Mrs.Badar aun k qareeb aain Fehmida jee ab hamein ijazat dein
kuch hi der me ruksati hoi or ghar aagae.....
sasural me aistakbal purjosh tha najane kahan kahan ki rasmein ki ja rahi thi dulha sahab tou dulhan se bhi ziyada sharmile
mera khayal he dulhan thak gai he kisi ne note kiya
jee nahi abhi tou kuch baatein hogi masti'maza hoga amaya foran boli
bare se kamre mein sab khawateen majood thi dulhe miyaa ab uth k ja chuke the
sab bohat thak chuke the tou bari bari sab hi uth kar ja rahe the
Anaya bibi kesa raha shadi ka exprience?
auf me tou behte behte thak gai par aisi doran me ne kuch socha he
yar amaya mera ab doctor ban'ne ka program he
heeein dimag tou thek he shadi ki khushi dimag pe chard gai he kiya? tum pagal tou nahi hogai khushi se amaya herani se boli
yr dekho jab me doctor bano gi mere nam k sath doctor Anaya lage ga or phir nam se pehle doctor lag jane se insan ki izzat kitni bard jati he
tum khud socho jab me doctor ban jao gi tou pore gaon k samne meri kitni show hogi
lanat ho agar gaon walon se hi izzat karwani he or aun k samne hi show marni he tou itni mehnat karne ki kiya zaroorat he?
gaon wale tou lady health worker ko bhi doctor hi samjhte he tou tum wohi ban jao amaya ne hansi dabate hoe parkhalos mashwara diya
apne naik mashware apne pas hi rakho or tum aj porana Aliyan kiyon ban gai ho dil jalane wali baaten karne lagi ho
haaey kiya karein bivi shohar ko dekh kar hi rang pakarti he wese mera khayal he tumhara zehni tawazun zara kharab ho gaya he
wese tum pehli larki hogi jo software engineer k sath sath doctor bhi hogi
amaya kehka laga kar hansi
anaya mou bana kar ause dekhne lagi
akhir anaya ki saas ko hi aus par tars aaya auno ne foran ause kamre me bijwa diya!
                 ------*****--------*****--------*****-------
 
Episode 22
                     Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Shadi k bad pehli bar zain or Anaya dawat par Amaya k ghar aae dining Area me sab dinner karne lage shams ap bhi khao na?
Anaya ause khane ka ishara karte hoe boli!
chachi shams ne tou kab ka khana kha liya ap log late aae he...
oh mera time ka paband sher zain muskuraya..
Shams uth kar apne kamre ki janib bhaga
sab chonke aise kiya ho gaya?
kuch hi seconds bad wo hath mein sheet pakre bhagte hoe Aya
Hamas chachu zain chachu ye dekhein shams ki drawing wo auneh apni drawing dikhane laga!
wao beautifull shams ki pehli drawing kitni achi he lagta he bhabi ap ka tiger Artist bane ga....
Me apne bete ko QURAN-E-HAFIZ banao ga Hamas Aliyan muskurate howe bola!
MASHALLAH ye tou achi baat he bhai jan!
Shams ap bare ho kar kiya ban'na chahte ho Anaya ne sawal kiya...
Me Army mein jaon ga Nana Abu ki Tarah brave officer bano ga sab aus ki baat par hans diye
par jo baba kahe ge wohi bano ga! wo chehre pe masoomiyat sajae bola
Ap Pardhai k sath sath QURAN PAK bhi hifz kar sakte ho beta Aliyan ause dekhte hoe bola
Ap agar mehnat se pardhe gein tou INSHALLAH Army officer bhi ban jae ge Ab Aliyan muskuraya
khana bohat acha he bhabi sab kuch hamari pasand ka thankyou zain plate me shahi'tukre nikalte howe bola..
wese Amu tum ne ye sab kab sekha tumhein tou chae tak nahi banane ati thi
hanw internet se recipe dekh kar Amaya ne gaon me chae banai thi ais bar haniya bhi medan me kood padri sab kehka laga kar hansne lage
Acha tou ab ap sab mil kar mera mazaq banae ge? Amaya aik eyebrow opar chardhe boli
nahi nahi hamari kiya majal jo ap ka mazaq banae ham tou bas ap k khane ki taref kar rahe he Anaya apni hansi dabae boli
wese zain Thnkyou ki koi zaroorat nahi he ye sab khana mene or haniya ne mill kar banaya he
Anaya tumhari favourite ice-cream tou khao ab tum devrani ho meri tangen dabwao gi mein tum se amaya shararti andaz me boli
Mein tumhara Gala na daba dun Anaya muskurai...
han please anaya naiki or poch poch aliyan foran bola...
acha janab bhai ki begum k samne ap free ho rahe he mujhe kis khushi me marna chahte he?
auf kitna bolti ho yr tum kabhi tou chup reh liya karo dekho zain bore hogaya he tumhari baton se ainda wo aae ga bhi nahi
anaya ko bahir hi chor k chala jaya kare ga k akeli jao tumhri dost ki baatein kon jhele Aliyan aus ki tang khenchne laga...
haaa! kuch bhi zain aesa bol hi nahi sakta he naa zain?
ofcourse bhabi meri kiya majal jo ap ko kuch bolun wo muskuraya...
zain bohat chamchagiri ho rahi he side me chalo tumhein batata hun aliyan pani ka sip lete howe ahista se bola...
dinner se free ho kar sab sitting area me behte baatein karne lage
sugad bahu jao chae bana kar lao amaya mazahiya lehje me anaya ko dekhte hoe boli!
ye kiya bat hoi tumhare ghar hum mehman aae he or tum mujhi se chae banwao gi its not fair
haha mazaq kar rahi hun baglol wo muskurai...
Aik dum kuch tootne ki awaz aai dekha tou fish aquarium k kanch k tukre zameen pe bikhre hoe the choti choti machliyan tarp tarp kar mar rahi thi...
ye kia kiya shams?
wo Baba boll lag lagai shams mau latkae bol hi raha tha k aliyan ne ause khamosh karwa diya
chup aik dam chup bohat hogaya har waqt sharartein kabhi aik jagah sakoon se bhi beht jaya karo ainda me tumhein masti karta na dekho par aliyan.....
Amaya aj tum bech me nahi bolo gi tum ne hi sar charhaya howa he apne ladle ko
shams rote hoe kamre ki janib bhaaga...
Bhai jan kiya kar rahe he ap wo bacha he abhi masti nahi kare ga tou kab karega ap ne rula diya ause kese rote hoe gaya he Hamas narmi se aliyan se bola...
Rone do kuch der roe ga khudi sojae ga ye kehte hoe aliyan wahan se chala gaya
Amaya shams k kamre me gai! or aus k pas ja k beht gai beta chup hojao wo aus k sar pe hath pherte howe boli
baba ghande he har waqt shams ko dandte he thek kehti hein Ramsha chachi baba mujh se piyar nahi karte wo ap ko bhi dandt'te he wo chehre pe hath rakhe rote hoe bola...
Nahi meri jan baba ap se bohat piyar karte he jo ham se bohat piyar karte hen wo humein dandte bhi he or masti karne pe dandt sab ko parhti he
jab me choti thi mujhe bhi mere baba bohat dandt'te the or me ap ki tarah kehti thi baba ghande he mujhe har waqt dandte he but beta baba hamare bhale k liye dandte he
or agar bache koi mistake kare ge tou ham parents hi batae ge na k kiya sahi he or kiya galat or ap bahar lawn me khelte ainda khayal rakhna and baba loves you trust me!
wo khamoshi se sunta raha...amaya uth kar jane lagi aus ka hath shams ne pakara
Mama i'm sorry shams ainda khayal rakhe ga chehre pe masomiyat sajae wo amaya ko dekhne laga...
Aww mela baby amaya ause piyar karne lage...
Amaya kuch sochte howe wahan se uth kar chali gai
wo kamre me aai tou Aliyan seene pe hath bandhe khirdki k pas khadra tha
Aliyan whats wrong with you?
Ap achanak angry bird kiyun ban jate he? Aese koi dandt'ta he kiya?bacha he wo ap k dandtne se aus k dil me fazool khayalat ate he atleast shams ko ehsas tou dilaen k
ap aus se piyar karte he ab agar ap ne ause dandta tou mujh se bat na ki jiye ga ap bhi apne bachpan me sharart karte honge ap ko bhi dandt prhti hogi
or wo ap ka hi beta he shararten tou kare ga naa...
me aesi fazool qism ki koi sharartein nahi karta tha
hanw lag bhi raha he ap tou bachpan me bhi khadros hi hoge wo bed ki chadar thek karte hoe ahista se boli
wo tum pe gaya he tum karti hogi shararat or mar bhi khati hogi apne baba se or kiyon na dandto me mera beta he me jo marzi karo
acha wo ap ka beta he mera beta nahi he hanw?
nahi wo tumhara beta nahi he aliyan ne ghuse se jawab diya...
acha mera beta nahi he tou thek hen ab ap hi ause sumbhale ge or me yahan kiya kar rahi hun me chali jati ho ais ghar se wo tehdri nazron se aliyan ko dekhne lagi
jo seene pe hath bandhe khadra ause dekh raha tha....
tum ghar chor k jao gi tum sahi ho zara sa kuch keh do foran ghar chorne ki dhamki de deti ho so jao chup chap nahi kehta kuch tumhare ladle ko wo mau bana kar bola...
Amaya shams ko acha bura sab samjhati thi par aus k liye aliyan se larai bhi kar leti thi....
office k kam ki wajah se wo shams ko ziyada time nahi de paata tha...
Ab wo shower lene chala gaya
Side table pe rakha cell phone bajne laga
Aliyan ap ka phone baj raha he
tou utha lo mujhe kiyon bata rahi ho jasosi kar lo kahin phir kisi larki ka na ho
ap se tou bat karna hi bekar he
hanw shadi k kuch saalon bad husband bekar hi lagta he dono tarf se khoob jawabat ki bombari ho rahi thi
aufff me ja rahi hun ais kamre se mujhe ab larna nahi he
hanw tou me kon sa mar raha hun k tum mujh se laro wo apni kameez k button band karte hoe washroom se nikla
amaya uth kar jane lagi
ruko wo aik dum ruki ause laga aliyan ne ause jane se rook liya
wo mudri or muskurai mera cell phone deti jao or wo darwaza zara ahista band kar k jana
or darwaze pe kan laga kar mat khadri ho jana amaya ki hansi wahin gayab ho gai wo ghuse se ause dekhne lagi
meri personal call hogi wo hansi dabate hoe bola
Amaya ne cushion utha kar ause de mara wo phone uthane hi wali thi k Aliyan ne foran phone utha liya
ary ye Rafia aunty raat k 12:00 baje mujhe call kiyon kar rahi he?
hanw aun k ap favourite jo he wo mou bana k apna takiya uthane lagi
tumhein pata he jab tum lahore thi Rafia aunty mujhe garam garam aalu k parathe bana k bhejti thi
bohat khayal rakhti thi mera Aliyan hansi dabae ause mazeed tang karne laga
oh Acha mere liye tou kabhi nahi bheje parathe? akhri lafz aus ne khench k bola
wese wo jo rafia aunty ka beta he na wo do bar ghar aaya tha mere hath ki chae peene ause bohat pasand he na Aunty bata rahi thi
wo aksar ghar me meri chae ki taref krta he
what wo kab aaya or tum ne aane kiyon diya wo bohat tharki qism ka shaks he do shadiyan kar chuka he
Aliyan k chehre ka rang ja k wapas aaya!
Amaya zor zor se hansne lagi ap ko kiya lagta he tang karna bas ap ko hi ata he
Amu tum bhi naa ab wo bhi kehka laga kar hansa
                           ------****----*****-----*****------


Aik roz Amaya or shams kamre mein lete hoe the!
Mama ap ko pata he hamari teacher kehti hein Shams ap bohat ache bache ho or class me sab bachon ko meri copy dikhati hein k shams ki tarah homework kiya karo
Oh ye tou bohat achi baat he or kiya kehti hein? Amaya ne sawal kiya
Mama hamari aik teacher Baba ki bohat taref karti hein wo masomana andaz se bola
Acha aus ki baat pe amaya ko hansi aa gai
Mama ap se aik sawal pochun?
jee pocho...
Mama jhoot bolne se kiya hota he? shams ne masomana andaz me sawal kiya
beta jhoot bolne se ALLAH PAK naraz hote he jo good peoples hote he wo jhoot nahi bolte
ALLAH PAK jhoot bolne walo ko pasand nahi karte or jo log sach bolte he
wo ALLAH PAK ko bohat pasand hote he or auneh ALLAH PAK gift bhi denge amaya muskurate hoe ause samjha rahi thi
Mama agar shams sach bole ga tou ALLAH PAK shams ko bhi gift dege or happy hoge?
jee beta ALLAH PAK ap se bohat happy hoge ap good boy ho na or good boy hamesha sach bolte he
Mama Shams ko kiya gift mile ga?
aus ki baat par amaya muskurai or aus k nanhe hath apne hathon me liye
beta ap ko jannat gift mile gi
jo log namaz pardhte he,Quran pak pardhte he,sach bolte he,ache ache kam karte he, parents ki respect karte he,
or garibo ki madad karte he or ALLAH PAK ka har hukam mante he aese log ALLAH PAK ko bohat pasand he or aun k liye ALLAH ne jannat banai he
or jo log Bure kam karte he,namaz nahi pardhte,jhoot bolte he, Baro ki izzat nahi karte or jo apne amer hone pe garoor karte he
aese log ALLAH PAK ko pasand nahi
aese bad peoples k liye dozak he jis me wo hamesha jalte rahe ge
wese ap ye sab achanak poch rahe ho kiya ap ne koi jhoot bola he?
Nahi Mama shams jhoot nahi bolta class me aik boy ne teacher se jhoot bola tha
tabhi shams ne ap se pocha!
Mama me hamesha sach bolo ga or namaz bhi pardho ga or me ALLAH se jannat gift lunga
aus ne itni masomiyat se kaha tha k amaya k chehre pe muskurahat chaa gai INSHALLAH beta!
ab wo uth kar behta
Mama aik or question karon?
shams bohat samjhdar bacha he aus k aas pas jo kuch hota he ya jo cheezein wo observe karta he aus bare mein wo apni mama se kuch na kuch sawalat karta rehta he
jee pochein beta!
Mama aus din baba keh rahe the wo mujhe Quran-e-hafiz banae ge tou ye kiya hota he?
beta Quran-e-hafiz ham ause kehte he jo Quran pak ko hifaz karte he yani ause zubani yaad karte he
aun k dil me Quran pak hota he auneh pora Quran pak yaad hota he
or ap ko pata he jo bacha Quran pak hifz karta he Aus se ALLAH PAK behad khush hote he
or ause jannat mil jati he or wo apne sath apne mama baba ko bhi jannat me le ja sakta he
or day of judgment yani roz-e-qayamat farishte khud Quran-e-hafiz ko le kar jae ge
Ap ko pata he shams ALLAH PAK ne Quran-e-Hafiz ko aik gift bhi diya he
kesa gift mama? wo bohat dilchasbi se amaya ki baatein sun raha tha
Hafiz-e-Quran ka haq-e-shafa'at!
ais ka matlab he jo Quran-e-Hafiz honge auneh haq diya jae ga k apne azizo yani apne piyaron ki shafa'at karo phir chahe wo maa bap ho bhai behan ho
Quran-e-Hafiz apne sath dus logon ko jannat me la ja sake ga
kisi Quran-e-Hafiz ko shafa'at ka haq diya jana bohat izzat-o-azmat ki bat he
yehi gift he hafizon k liye k wo apne sath dus logon ko jaanat me le ja sakte he
Quran-e-hafiz baksha bakshaya he tabhi ause dosro ko bakshwane ka haq diya ja raha he k tu shafa'at kar dus admiyon ko ham qabool kare ge!
Wao Mama me bhi Quran pak hifz karo ga me ap ko or baba ko bhi jannat me le k jao ga
ab wo hathon ki ungliyon pe gin'ne laga me dus logon ko le ja sakun ga na tou me Baba jan,ap,Dada jan,dado jan,Nana or Nano Jan,
Zain chachu fahad chachu Anaya chachi hamas chachu sab ko le ja sakta hun wo muskuraya!
Aus ki bat par amaya bhi muskura di par bache sab ko le jane k liye ap ko Dil se Quran pak hifz karna hoga or aus par amal bhi
Mama or kuch bhi bataein na Quran-e-Hafiz k bare mein!
wo or amaya k nazdeeq ho k behta
beta,jannat mein aik nehar he jis ka naam Al-Rehan he
jis par marjan ka shehar he aus k 70hazar darwaze he aik sone ka aik chandi ka aik sone ka aik chandi ka or jo Hafiz-e-Quran ko diya jae ga
or phir qayamat k roz kaha jae ga HAfiz sahab pardho or jannat k darjo par chardho jitna hafiz Quran pak pardhta jae ge autna chardhta jae ge
Quran pak aus din utna hi yaad hoga jitna amal kiya hoga pora amal he tou pora yaad ho ga adhora he tou adhora hoga
jis ka amal acha hoga wo jannat k darjo par chalta jae ga or aus ka darja buland hota jae ga or aus k sath sath aus k baba ka darja bhi buland hota jae ga
yahan tak k bap bete janat k ala maqam pe phunch jaege!
Mama amal karna kiya hota he?
beta Amal karna yani QURAN PAK me jo baatein likhi hoi he aun pe yaqeen karna auneh man'na apne ALLAH ki baatein Man'na!
ye Quran tou wo roshan aayat he jo ilm walon k seene me rehti he (surah Ankaboot)
ALLAH PAK ne farmaya: ham ne Quran ko yaad karne k liye aasan bana diya he kiya koi ais pe amal karne wala he
                            (surah Qamar)
Ap ko pata he shams hafiz-e-Quran par har waqt ALLAH ka karam rehta he kiyon k wo ais muqadas or azmat wale kalam ko lafz ba lafz apne seeno me mehfooz kar lete he
warna pahadon ki bhi basat nahi jo ais jalil alqadar kalam ki jalalat bardasht kar sake
ALLAH pak farmate he: "Agar ham ais QURAN ko kisi pahad par nazil karte tou (aey mukhatib)tu ais ko dekhta k wo ALLAH k khof se dab jate or phat jate"
                              (surah Alhashir)
ham musalmano par ye lutaf-0-karam tou Nabi pak k sadqe hoa he
Nabi pak ne farmaya: tum me se behtren shaks wo he jo Quran pak sikhe or sikhae!
Quran pak k ba'amal hafiz qayamat k roz ehl-e-jannat k sardar honge
jo ehl-e-eman (hafiz) Quran pak pardhe or aus par amal bhi kare tou roz-e-qayamat aus k maa baap ko aesa taaj pehnaya jae ga
jis ki chamak sooraj ki roshni se bhi ziyada hogi
or jis ne apni olad ko Quran pak ki taleem dilwai ALLAH PAK roz-e-hashar aus ko aesa haar pehnae ge k sab olen-o-akhreen ais haar ki khubsoorti
par rashk-o-tajub kare ge
jab hafiz raaton ko uth kar Quran pak ki tilawat karne mein mashgol hota he tab ais pak kalam ki khushbu se pore ghar mehak jata he
or har harf pardhne par aik naiki bhi ata ki jati he!

Mamma ap bohat achi baatein batati hein jab ap mujhe koi islamic baatein batati hein
tou mera dil chahta he me sunta jaon apne islam ki baatein!
Me INSHALLAH Quran-e-Hafiz bano ga wo ause dekhte hoe muskuraya!
aus ki muskurahat pe amaya ko bhi hansi aa gai aus ne foran shams ko gale laga liya
ause aus waqt toot k shams pe piyar aa raha tha!
Ehm Ehm kiya chal raha he maa bete k bech? Aliyan kamre me dakhil hoa
Amaya ne shams ko khud se alag kiya or apni bheegi palkhein utha kar aliyan ki janib dekha
Amaya tumhari ankhon mein ye ansu?
Mama kiya hoa ye ansu? shams ne apne nanhe hathon se aus k galon se ansu saf kiye
Aliyan seene pe hath bandhein khadra aun dono ko dekh raha tha
kuch nahi shams bas wese hi ab ap lawn mein ja kar khelo go!
Amaya ki gal par kiss kar k wo bahar ki janib lapka!
mujhe tou batao kiya howa? ab wo aus k pas behta
kuch nahi khushi k ansu the hamara beta bohat samjhdar he jo baat samjhao foran samjh jata he
wo Quran-e-Hafiz k bare me poch raha tha tou mene ause sab bataya
Quran-e-Hafiz ban'ne ki fazilat or sach bolne k bare mein tou wo islamic baatein sun kar bohat khush hoa aus ne ain baton ko samjha
or kaha k Mama me bhi INSHALLAH Quran-e-Hafiz bano ga or ap ko baba ko sab ko Jannat me le kar jaon ga
Aliyan panch(5) saal ka bacha ye sab keh gaya tou kiya mujhe khushi nahi hogi k hum aus ki tarbiyat achi kar rahe he bas tabhi khushi k ansu aa gae
mene kabhi socha bhi nahi tha k apni olad ki parwarish k liye mujh mein itna sense bhi hoga
aus ki baaton pe Aliyan muskura diya ye tou bohat achi baat he medam! k shams k dil mein Quran-e-hafiz ban'ne ka shoq paida hoa Quran pak wohi hifz kar sakta he
jis k dil me hifz karne ki chah ho shoq ho or jahan tak baat he parwarish ki tou mene bhi kabhi nahi socha tha par khair sochne se kiya hota he
insan tou bohat kuch sochta he par hota wohi jo ALLAH chahta he ab wo phir se muskuraya!
me ye batane aaya tha k Baba jan ne ham sab ko haveli bulwaya he
kiyon khariyat aese achanak?
hanw jee baba jan chahte he ham thore din aun k sath rahein specially wo apne pote k sath kuch time spend karna chahte he
meri abhi fahad se baat hoi thi wo keh raha tha Badar chachu or chachi tou nahi ja sakte wo apne aik dost ki beti ki shadi me islamabad ja rahe he
tou haveli ham log kal sham sab sath hi chale ge packing kar lena!
Darwaze pe dastak hoi Kahan jane ki tayariyan ho rahi he? Anaya muskurate hoe kamre mein dakhil hoi
Tumhein nahi pata zain ham sab ko picnic pe le ja raha he amaya muskurahat dabae boli
nahi mujhe zain ne nahi bataya wo heran hoi
acha ho sakta he tumhein koi surprise dena hoga
Aliyan herani se amaya ki tarf dekhne laga par khamosh raha
surprise waoo but kiyon abhi tou meri birthday bhi nahi wo sar khujate hoe boli
hamein kiya pata ghar jao gi tou apne shohar se poch lena
han ye sahi he wo sar hilate hoe boli phir achanak aus ka mood change badla NaH me nahi pochon gi wo khud batae ge
thek he jesi tumhari marzi amaya aik eyebrow utha kar boli
Aliyan bhai ap ne chup rehne ka roza rakha he kiya?
Nahi me do sar'pheri ladies k bech kiya bolun dono lagi raho me tou chala mujhe kuch kam hein ye kehte hoe wo wahan se chala gaya!

Anaya zain ko keh dena ham nahi aa rahe aus k sath ham apni haveli ja rahi he
kiyon achanak?
baba jan Shams k sath kuch time spend karna chahte he, oh matlab shams village ja raha he wo mou bana kar boli
han wo wese bhi village k bare me pochta rehta tha acha he ab ache se village dekh lega
aisi doran hath me mobile pakre zain kamre me dakhil howa
Asalam wa alaikum! bhabi bhai jan kahan he?
abhi niche gae he kiyon tumhein mile nahi?
nahi me anaya ko chor kar kisi kam se chala gaya tha ab aaya hun
ais se pehle k anaya kuch kehti aus ka phone bajne laga or wo bahar chala gaya
Amu tumhein pata he aj kal har waqt zain k hath mein phone rehta he jab mujhe dekhte he tou foran cell phone rakh dete he
Anaya tum bhi na tumhara weham hoga zain aesa nahi he!
hm acha choro or meri baat suno!
wo sehdi ho k behti Amu kabhi kabhi me sochti hun hamare khuwab kitne ajeeb the
hamara aik ghar me shadi karne ka khuwab,phir bachon ki aik dosre k sath shadi ka khuwab,
phir mera doctor banne ka wo bhi software engineering k bad haha wo kehka laga k hansi
ham kitne munfrid he na bohat crazy or bohat adventures aik bar phir aus ne kehka lagaya!
Han dosti ho tou amaya anaya jesi ho warna na ho ais bar amaya ne bhi kehka lagaya
or mubarak ho ap k husband aae din ap ko koi na koi title dete rehte he ab k bar anaya ne ause title yad karwae
zidi larki,jasoos,sar'pheri,adventures,gulabi sharbat,schemer or sab se maze ka tou wo tha Jame'sharen ki bottle wese amu tumhein aik din me kitne titles se nawaza jata he?
bako mat or jao zain ki khabar lo amaya ne aik bar phir hansi dabate hoe ause zain yad dilaya
Yar amu aj mein yahi rehna chahti hun me aunty ko keh k aai hun k me aj yahi ruko gi itne din hogae humein baatein kiye
jee zaroor muhtarma ap ka hi ghar he wese tum pehli larki ho jo maike k bijae dost k ghar rukti ho amaya shararti andaz me boli
tou kiyon na ruko mera haq he or hanw aj ham khoob baatein karein ge!
Aliyan ab tak ghar nahi aaya tha
Raat me dinner se free hone k bad dono night dress mein malboos sitting Area mein coffe mug hath mein liye behti thin
zain soffee pe hath mein cell phone liye behta tha or musalsal mobile mein masroof tha
wo dekho amu dekho dekho kese janab cell phone mein masroof he i tell you kuch tou scene he wo coffe mug side me rakhte hoe mou banane lagi
Anaya lazmi nahi jesa tum soch rahi ho wesa ho
acha abhi pata chal jae ga k ye sab kiya scene he? wo ungli se ishara karte hoe boli
ok tou batao whats the plane?
shams...
what shams? amaya ne ause ghorra
han shams zain ka chamcha!
no bache ko bech me mat lao Amaya foran boli
ausi doran shams wahan se guzra Shams Yahan aao chachi k pas anaya ne foran ause awaz de kar apne pas bula liya
jee chachi!
shams ap soe kiyon nahi? Amaya ne sawal kiya
Mama shams ko nend nahi Aa rahi wo naak skord k bola
Ab Anaya ne shams ko apni tarf kiya shams ap good boy ho na or good boy jhoot nahi bolte
Chachi ap kam bolein wo foran bola shayad wo raat k ais pehar maske'bazi k mood me nahi tha
Aww ap kitne intelligent ho samjh gae chachi ki maske'bazi chalo ab chachi ko batao zain chachu kis se baat karte he?
Anaya ki baat pe wo kuch der khamosh raha Aa no chachi shams ko kuch nahi pata
shams good boy baatein nahi chupate chalo shabash batao mujhe i know ap ko pata he anaya ause baton mein lene lagi
no chachi shams ko nahi pata shams jhoot nahi bolta ALLAH PAK naraz hote he
A'h ok chachu k spoon tum kuch mat batana me khudi pata laga lo gi wo mou bana k boli
Aliyan ki chamach amaya, Amaya ki chamach anaya,Aliyan ka chamach Zain or zain ka chamach shams ye acha chamach ka circle chal raha he anaya zuban dandton me pisae boli
Excause me medam me kisi ki chamach nahi hun Amaya foran boli or ye kiya harkat he aik tou tum bache se fazool sawal kar rahi ho or phir aus ki baat bhi nahi man rahi mera beta jhoot nahi bolta
anaya ne aus k agey hath jore i know medam please ab chup tum itni boring kiyon hogai ho?
me boring nahi samjhdar hogai hun or ab tum bhi ho jao aus ne foran do'tok jawab diya
chalo shams ap ja kar so jao
abhi thori der hi guzri thi k Aliyan sitting area ki janib ata dikhai diya
zain ab bhi musalsal apne phone me laga howa tha Anaya ka dil chah raha tha foran aus se phone khench le
Aliyan ne zain ko dekha nahi aus ki nazar sehdi Amaya or anaya pe prdi
Anaya tum ab tak gai nahi?
nahi aj ham yahin rahe ge wo muskurai
oh tou matlab adventures girls aj zaroor kuch adventure karen gin wo muskurate hoe bola
hanw irada tou yahi he wo ahista se boli
aus ne kamre me jane k liye qadam bardhae tou aus ki nazar zain pe gai
zain kahan masroof ho?
wo aik dum chonka Asalam wa alaikum bhai jan ap kab aae?
wa alaikum asalam! tum bhi kamal ho itna phone me khoe hoe ho k tumhein pata hi nahi chala k me kab aaya?
nahi bas wese hi wo sar khujate hoe bola
packing kar li?
kis cheez ki? zain ne herani bhare andaz mein sawal kiya aus ki baat pe anaya choonki or amaya ko dekhne lagi
(oh shoot mar gae)amaya ne ahista se bola aus ne kafi time bad aj apna pasandeda lafz bola tha "oh shoot"
fahad ne bataya nahi?t
nahi kiya batana tha?
baba ne ham sab ko haveli bulaya he
acha par kiyon?
aese hi ham kafi time se wahan nahi gae he tou acha he thori outing ho jae gi
Anaya ne ghuse se amaya ki janib dekha!
kiya hoa aese kiyon dekh rahi? amaya ne mehsoos kiya tou poch liya
zain ne picnic plane ki he..mujhe surprise dena he... amaya ko aus k irade thek nahi lag rahe the
wo amaya ki tarf bardi tou amaya foran wahan se bhagi
ruko amu bhag kahan rahi ho mujhe itni der se ullu bana rahi thi wo bhi aus k piche bhagi
lo ain dono ko kiya ho gaya? zain aik bar phir herani bhare andaz mein bola zain k face expression itne ajeeb the k Aliyan hanse bina reh na saka
ab ap ko kiya howa? mene kuch kia kiya? wo phir aik hath se sar khujane laga
ain sab ki harkaton se wo confiuse ho gaya tha
i think, mujhe sona chahiye aus ne aliyan se mazeed kuch na pocha or sone k liye chala gaya!


agle roz, sab ki mulaqat Breakfast k doran Daining table pe hoi
sab khamoshi se breakfast kar rahe the chachi please shams ko juice pass karein
Anaya ne ause juice glass me dal kar diya
chachu ap ko pata he kal rat chachi----shams ap ye apple khao na ap tou kuch kha hi nahi rahe anaya ne foran baat palti
chachi kiya shams? Aliyan ne sawal kiya
Anaya k pasene behne lage wo honthon ko dandton mein liye sochne lagi(agar shams ne mere stupid sawal k bare me bata diya tou mujhe achi khasi dandt pardh jae gi)
shams bad me bata dena abhi chup chap breakfast karo amaya ne ause tokaa
(shukar bach gai thankyou amu) aus ne shukar ka kalma pardha
wese ap dono ko kal kiya howa tha?
zain pehle nashta kar lo phir baat kare ge warna shams ka sawal hoga k mujhe chup karwa k khud kiyon baatein karne lag gae?
hamari olad wo nahi karti jo ham kehte he bal'k hamari olad wo karti he jo ham karte he tou behtar he ham ache kam kare ta k hamari olad bhi ache kam kare
sab chup chap breakfast karne lage!

Ab wo log bahar lawn mein dhoop mein behte the
December ka mahina tha khasi thand thi
Aliyan bhai phir kiya program he kab chalna he? zain ne aus ki tarf dekhte hoe sawal kiya
Fahad ko tou mene kal hi bata diya tha k ham aj sham tak chale ge par jo k tum logon ko pata nahi tha tou tum logon ne packing tou ki nahi he
packing ka kiya he wo tou ho hi jae gi abhi time hi kiya hoa he 10:00 hi tou baje he Amaya kalai mein bandhi gadri mein time dekhte hoe boli
Amu tum ab tak wrist watch pehnti ho? Anaya ne kalai me wrist watch dekhi tou sawal kiya
ofcourse i love wrist watches wo muskurai
Ab koi ye tou batao k raat ko kiya hoa tha? zain ne phir raat wali baat chedri
Aliyan mujhe haveli jane k bare me bata rahe the jab anaya kamre me aai aus ne pori baat nahi suni thi bas yahi suna tha k ham kahin ja rahe he
tou mene Anaya ko tang karne k liye keh diya k zain picnic pe le jaraha he par ham nahi ja rahe or aus waqt anaya ki shakal dekhne wali thi k mujhe zain ne q nahi bataya ab amaya ne kehka lagaya
phir mene kaha k tumhein koi surprise dena hoga tabhi nahi bataya hoga Anaya surprise ka sun k thora chonki par aus waqt ais ka face tou aesa tha jese abhi ro de gi
abhi tou mujhe or bhi tang karna tha anaya ko par Aliyan ne bata diya haveli jane k bare me aus ne Aliyan ko dekhte hoe mou banaya!
tou mujhe kiya pata tha tumhare mind me kiya chal raha he mujhe laga mere jane k bad tum ne bata diya hoga ab k bar Aliyan bola
Ab agey bhi bata dun Anaya? amaya ne ause aik nazar dekha hothon pe shararti muskurahat thi
No Amu! aus ne ankhein dikhai
Kiya hoa bhabi ab agey bhi kuch he kiya? zain hath ka ishara karte hoe bola
Nahi kuch nahi me tou bas aese hi Amaya khamosh hogai...
Acha ab ham chalte he bhai jan office me mujhe kuch kam he phir sham mein milte he...
Ab wo log apne ghar chale gae!
                          ------****----****-----*****-------
                   
Anaya ab meri gray tie kahan rakh di he? zain office jane ki tayari mein masroof tha jab ause apni man'pasand tie apni jagah par nazar na aai tou wo chilaya
yahi kahin hogi whatsapp pe masroof anaya screen pe nazrein markooz kiye boli tou wo hasb-e-adat anaya ki be-tawajahi se ukta gaya
rakho ais ko or mujhe meri tie dhond k do tum kabhi koi cheez aik jagah pe nahi rakh saktin akhri alfaz zara tez se lehje mein bola tou anaya bhi medan me utarne k liye tayar ho gai
tumhara Matlab kiya he zain? nak skord k boli
matlab yahi he k Aliyan bhai ki qismat bohat achi he or meri bohat kharab
Aww anaya ko kuch hi pal lage aus ki baat samjhne me jis pe aus ka mou mare'sadme se khul sa gaya
Amaya bhabi ko dekho kese bhai jan ki har aik cheez apni jagah pe nafasat se rakhti hein or aik tum ho sar jhatak kar dobara apni tie dhondne me masroof ho gaya
han tou mujh se shadi kiyon ki ausi se shadi kar lete jis k sath har waqt messages pe lage rehte ho wohi tumhari cheezein nafasat se rakhti anaya chilai
aus ki bat pe zain k chehre se aik rang aa k guzra what rabbish?
Anaya ka mou aesa bana hoa tha jese abhi ro de gi aus ki shakal dekh kar zain ko hansi aa gai or wo zor zor se hansne laga
tumhein lagta he k me kisi larki se---? wo ab bhi tez tez hans raha tha
kiya hoa pagal ho gae ho kiya ais me hansne wali kon si baat he? anaya ko ghusa aaya
Lady jasoos me free time mein apne phone pe candy crush khelta rehta tha mujhe aus k sab level par karne the shams ne mujhe chellange kiya tha k chachu ap win nahi kar sakte
wo ab bhi hans raha tha apni bewaqofana harkat pe anaya ko sharmindagi mehsoos hoi
ok ap mou mat latkao koi baat nahi par mujhe tum se ye umed nahi thi k tum mujh pe shak karo gi
me office ja raha hun or brae meharbani mere ane tak meri tie dhond k rakhna
tanqeedi nigah anaya pe dale apna bag utha k chala gaya...
 
Mama ham village ja rahe he?
jee beta
wao kitna maza aae ga shams ne kabhi village nahi dekha mama ham bohat sare din wahin rahe ge wo muskurate hoe bola!
Mama Ramsha chachi bhi jae gin?
jee ham sab jae ge or khoob enjoy kare ge chalo ab ap jao gadri me ja k behto wo bhagta hoa chala gaya!

                               ------****----****-----*****------
Aine haveli aae char roz bet chuke the sab hi bohat khush the khoob enjoy kar rahe the
shams k aane se Mustafa Alam ki khushi ka tou koi thikana hi na tha wo har waqt aus k sath waqt guzarte or Aliyan k bachpan ki batein batate jine sun kar shams ko bhi maza aata
Anaya Ramsha or shams pehli bar haveli aae the ais se pehle aino ne kabhi koi haveli ya village na dekha tha...
zain ham karachi wapas kab jae ge? baal banati anaya ne sawal kiya
kiyon tumhein yahan maza nahi aa raha? wo kitab k safhe badalte hoe bola
aesi baat nahi he mujhe tou yahan bohat maza aa raha he ap logon ki haveli bohat khubsoorat he ais se pehle na hi mene kabhi village dekha he or na haveli
ap ko pata he me pehli bar village aai hun wo khushi se batane lagi
acha waqai tum ne kabhi koi village nahi dekha? wo thora heran hoa
nahi amaya k sath bhi kabhi aus k village jana nahi hoa wo apne ap ko sheshe me dekhte hoe boli

shams kamre ka darwaza kholne hi wala tha k achanak ause aus ki maa ki kahi baat yad aai or wo wahin ruk gaya
(beta without permission kabhi bhi kisi k room me nahi jate or na hi kisi ki koi cheez use karte he ye bad manners hote he)
Ab wo darwaza knock karne laga! thak thak
Andar aa jaein zain ki awaz kan me padri ab aus ne darwaza khol kar halka sa andar jhanka chachu may i come?
shams ki awaz pe dono ki tawaja chokhat pe khadre black colour ki shirt or jeans me malboos cute se shams pe gaein jo hamesha ki tarah chehre pe
amaya jese masoom se ta'suraat or aliyan ki tarah madham muskurahat chehre pe sajae auneh tuk tuk dekh raha tha
arey mere tiger wahan kiyon khadre ho?
zain hamesha ki tarah ause dekh kar khil utha
ap ki permission lene k liye...
kesi permission shams anaya ause dekhte hoe boli
Andar aane ki Mama kehti hein hamesha door knock kar k permission le k room me jana chahiye wo chehre pe masomiyat sajae khadra tha
Anaya ko aus pe piyar aane laga Aww how sweet chachi k pas aao!
wo aus k pas gaya tou anaya aus k gal pe kiss karne lagi
wo ukta kar piche hata na karein chachi ap ko pata he na shams ko ye sab pasand nahi wo apni galein saf karte hoe zain ki tarf lapka
chachu ap se kuch baat karni he
han bolo bete
apna kan idhar karein..
zain ne apne kan aus k qareeb kiye chachu yahan nahi akele me baat karni he ap ko pata he na chachi mama ki spoon he wo mama ko bata de gin
aus ki baton pe zain kehka laga kar hansa
kiya kar rahe he chachu sssshh aus ne zain k hothon par ungli rakhi
Anaya dresing table k samne khadri lipstick lagane me masroof thi ye kiya ho raha he? wo ab aune gorrne lagi
k'kuch nahi chachi shams at'takte hoe bola
kuch tou he shams ap dono jab bhi kan me baatein karte he dal me kuch kala zaroor hota he yad he na zain hamari shadi k roz bhi ap dono ne aesi hi kuch harkat ki thi
phir kese bhai jan se dandt pari thi haha ab wo hansne lagi
Chachi me tou keh raha tha k ap kiya maze ka juice banati hein please juice bana kar la dein
shams itni thand me ap juice piyo ge? or mujhe makhan lagane ki zaroorat nahi ye makhan apni mama k liye bacha k rakho
me ja rahi hun amaya k pas wo ab darwaze ki simt chalne lagi
Shams apna mou zain k qareeb le jate hoe bola chachu mene kaha tha na chachi mama ki spoon hein
badmash chup karo
Anaya ruko kiya tum bhi bachon jesa behave kar rahi ho jao shams ko garam anda(egg) la do thand he na tou egg thek he ause kuch yaad na aane pe anda hi zuban pe aaya
yes chachi i want egg!
thek he lati hun wo kamre se bahar chali gai
shams ap bohat shararti ho gae ho kahan se seekhte ho aesi baatein?
Apne ap se wo muskuraya
acha ab bolo kiya baat karni he?
chachu ap ko yaad he kal kiya he? wo excited hote hoe bole
nahi kiya he kal zain mou opar kiye sochne laga
auff ho ap ko yaad hi nahi he wo mathey pe hath rakhte hoe bola
kal 20december he Mama ki birthday or wedding Aniversary wo muskuraya
acha janab ap ko kese pata or ab ap k dimag me kiya chal raha he?
Baba ne kaha shams shopping pe chalo ge? tou me ne kaha jee bilkul baba phir ham gae Baba ne mama k liye beautiful white dress liya he
jab mene pocha ye kiyon liya tou baba ne kaha shams ap bhool gae mama ka birthday or hamari wedding aniversary bhi he!
chachu ham mama ko surprise party dein?
wo tou thek he par ap ko pata he na ap ki mama birthday wagera celebrate nahi kartin zain mou bana k bola
wo kiyon nahi kartin? shams jab bhi pochta he mama kehti he abhi ap bache ho ap ko meri baat samjh nahi aae gi
chachu ap bataein na mama kiyon celebrate nahi kartin? aus k chehre pe ab udasi thi
mein batati hun ap ki mama kiyon celebrate nahi kartin hath me plate pakre wo darwaze pe khadri thi ab wo chalti hoi aun k qareeb aai or bed pe beht gai
ye lo ap anda khao phir batati hun
Pehle ap batein me bad me kha loga wo mou banate hoe bola or ande ki plate side me rakh di
acha pehle batao chachu se kiya secret baatein ho rahi thi?
zain zara jhuk kar madham awaz me bolne laga khayal se shams tumhari chachi k pet me koi baat tikti nahi
ais baat pe shams zara hans diya don't worry chachu mama ne bataya tha jese shams ko raaz rakhna ate he aese hi anaya chachi ko bhi raz rakhna ate he shams bhi madham sa kehne laga
ye kiya ho raha he shams ap mujhe batao ge ya nahi anaya zara khafgi se boli tou dono sedhe hoe
Anaya chachi shams mama ki birthday celebrate karna chahta he but aik problem he? masoomiyat or udasi se mile jule ta'suraat se kehne laga
Aww problem tou he or problem yahi he k ap ki mama celebrate nahi kartin
par chachi mene mama or ap ki pictures dekhi thi mama k birthday ki phir wo kiyon celebrate kiya tha? wo bohat hi masomiyat bhare lehje me bolta hoa sawaliyan nigahon se ause dekhne laga
Anaya ko aus k masomana andaz pe piyar se aaya ab aus k nanhe hathon ko apne hath me liye ause samjhane lagi
shams ap ko pata he ap ki mama wo kam nahi kiya karti jo ALLAH ko na'pasand hen hamesha ALLAH PAK ko happy karne ki koshish karti rehti hen
ais liye tou ALLAH PAK ne aun ko itna piyara sa shams diya he cute sa,masoom sa Shams!
wo jo gor se apni maa k bare me sun raha tha apne naam pe muskura diya
zain khamoshi se behta aun dono ki baatein sun raha tha
shams jab hum ALLAH PAK k liye wo chorte hen jo hamein tou acha lage par ALLAH PAK ko pasand na ho tou ALLAH PAK aus se better hamein dete he or wo kuch bhi ho sakta he
jo hamare liye bohat anmol ho jo hamare liye bohat zaroori ho
par Anaya chachi mama birthday celebrate kiyon nahi karti shams ki gadri ghoom'phir k wahin aa k thehri
Aa'h shams jesa k mene abhi bataya Amaya ALLAH PAK ko naraz nahi karna chahti amaya shor wagera gana wana baja k celebrate nahi karti
par chachi mene mama or ap ki pictures dekhi thi mama k birthday ki phir wo kiyon celebrate kiya tha? shams naak skord kar bilkul amaya ki tarah bolne laga aus ne aik bar phir apna sawal duhraya
wo tou ham friends ne amaya ko surprise party di thi hamein nahi pata tha k wo celebrate nahi karti
or amaya kisi ko hurt nahi karti tabhi aus ne hamein inkar nahi kiya or bas cake hi cut kiya tha
Oh acha tou phir kiya waqai birthday celebrate nahi karna chahiye? shams zara thehar kar bola
Hmm karna chahiye par wese jese ALLAH ko pasand ho wo muskurai
wo kese chachi? ab aus ki dilchasbi or bardne lagi
wo aese jese shams ki mama karti hein ALLAH PAK ko thanks kar k pichle salon ki takleef musibat door karne k liye or itni dher sari happines dene k liye
or dua kar k agey ki zindagi bhi achi guzri ese kam kar k jis se ALLAH PAK naraz na ho samjhe chachu k spoon
akhri alfaz pe shams ka mou sa ban gaya par bechara kiya kar sakta tha anaya ki baat kuch galat bhi nahi thi
Chachu please just one time ham surprise dete he na mama mana kar k hamein hurt nahi karen gi wo masomana andaz me bola
zain ki khamoshi par wo anaya ko dekhne laga chachi please shams ais bar surprise party dena chahta he ap please mama ko mat bataiye ga
thek he shams tou plane kiya he? Anaya ki baat pe wo khil'khila sa gaya aus k chehre pe khushi chah gai zain bhi khush hoa anaya ham aesa karte he drawing'room decorate karte he
drawig room side me he tou kisi ko pata bhi nahi chale ga
han ye thek he Anaya muskurai
Me decoration ka saman Gul khan se mangwa leta hun ham raat me hi decorate kar le ge!
thankyou chachu thankyou chachi shams ki khushi ka tou koi thikana hi na tha...
                            -----****----****----****------

Agle Roz subha 6:00 Am!

Amaya fajar ki namaz k baad hath uthae Allah se dua mang rahi thi wo hamesha ki tarah aj bhi apne aik saal guzarne pe Allah ka shukar ada kar rahi thi
har achi baat ka, har ache guzre lamhe ka, or har nemat ka or pore saal me kiye gae gunahon ki mafi mang rahi thi...
Aliyan bhi namaz pardh kar aa chuka tha or ab wo QURAN PAK pardhne me masroof tha
Amaya bohat piyar se ause dekh rahi thi na wo wali tha na darwesh or na hi koi scholar wo bas aik mamoli sa insan tha jis ne dil se apne ALLAH se touba ki thi
jo ab dil se namaz pardhta tha, dil se Quranpak pardhta tha...!


8:00 Am!

         Amaya kitchen se nikal kar Daining Hall ki simat ja rahi thi kisi ne piche se awaz di aus ne piche murd kar dekha gul khan hath me bookey liye khadra tha
Amaya Bibi ye ap k liye koi de kar gaya he
Heein mere liye par kon?
pata nahi ham tou so raha tha subha utha tou lawn me ye rakha tha ham ne ap ka naam dekha tou utha k le aaya
acha amaya ne bookey lene k liye hath bardhaya aus pe aik chit thi jis pe likha tha Khubsoorat Flowers Khubsoorat larki k naam!
Amaya zara chonki ye kon Lawn me rakh sakta he khair ap jaein sab ko breakfast k liye bula lein
Mustafa saein or Bibi jee tou raat me hi lahore k liye ravana ho gae the
Lahore par kiyon? hamein bataya kiyon nahi
Ap sab so rahe the saein ne kaha subha bata dena aun k qareebi dost ki tabiyat achanak kharab hogai he tabhi auneh lahore jana para
acha jaein baqi sab ko bula lein..
wo ab apne kamre ki janib chal di
Aliyan uth chuka tha wo hath me hair brush pakre baal banane me masroof tha
ye dekhein kiya he?
Bookey he aus ne soffee pe beht'te hoe aik nazar amaya ki janib dekhte hoe kaha
ye tou mujhe bhi pata he par ap pochein ge nahi k kis ne bheja?
Nah me kiyon pochun kisi jan'ne wale ne hi bheja hoga wo apni muskurahat dabae bola
Nahi mujhe nahi pata k kis ne bheje he aus ne na me gardan hilai or bookey table pe rakh diya
Acha wo ause dekhte hoe bola
Kiya acha? ap ki bivi ko kisi ne bookey bheja he or chit me itni flirty lines likhi hoi he or ap maze se keh rahe hein acha? Akhri lafz aus ne mou banate hoe khencha
Wo khamosh raha or newpaper pardhne laga
Ye ap ne bhejein he na? Amaya seene pe hath bandhen khadri ausi dekh rahi thi
Noway tumhara dimag kharab he kiya me kiyon bhejo ga mere pas itna fazool time nahi jo aesi stupid harkatein karon
Newspaper hataein
nahi hataon ga kiya kar lo gi wo akrd kar bola
Amaya qareeb aai or newspaper aus k chehre se hataya ye ap ne hi bheje he agar bahar ka koi bhejta tou wo guard ko deta saja kar lawn me nahi rakhta agar bahar ka hota tou guard ko zaroor pata hota
aese hi koi bahar ka aa kar lawn me kuch rakh jae impossible!
Aliyan phas chuka tha aus k pas kuch kehna ko tha hi nahi wo taliyan bajate hoe utha
wah meri aqalmand bivi kahan se tum ne mujhe pakra he wao beauty with brain ab wo dono hansne lage
Ab niche chalein Nashta kar lein hanw tum chalo me ata hun
Amaya ne Naa aus se bookey dene ka reason pocha or na aus ne kuch bataya!
Ab sab Breakfast karne me masroof the
Baba jan nahi aae tabiyat tou thek he na Aliyan k chehre pe fikarmandi k ta'suraat the
Baba jan or Mama jan lahore gae he aun k kisi qareebi dost ki tabiyat kharab hogai he tou aune foran jana parda
Wao raat me gae or ham me se kisi ko bataya bhi nahi bas apni ladli bahu ko bata kar chale gae Ramsha mou bana kar boli
sab aus ki janib dekhne lage Ramsha please ab shuru mat ho jana Fahad ne ause toka
Ramsha bhabi mujhe kuch der pehle Gul khan ne bataya tha sab so rahe the tou auno ne hamein jagana munasib nahi samjha Amaya ne ause narmi se jawab diya
Oh please Amaya tum tou rehne hi do Ramsha juice ka glass labo se lagate hoe boli
Bhabi Amaya bhabi sach keh rahi he Bare Baba se raat ko meri mulaqat hoi thi jab wo ja rahe the auno ne mujhe bataya tha zain foran bola
Oh really or tum adhi raat ko kiyon jag rahe the ab topon ka rukh zain ki tarf murd gaya!
Me or Anaya lawn me behte baatein kar rahe the
itni thand mein? Ramsha ne phir sawal kiya
Ramsha bhabi ap k sath masla kiya he hamari marzi hum jab jahan chahe behte ais bar anaya ghuse se boli
(pichli raat jab wo Drawing Room decorate kar rahe the tab zain ko kuch awazein sunai di wo awazon ka picha karte karte haveli k lawn tak aagaya
Bare Baba Ais waqt ap kahan ja rahe he?
Bete mere dost ki tabiyat bohat kharab he mujhe foran lahore phunchna he
acha phunchte hi khabar ki jiye ga ab wo aun k gale laga
beta Aliyan ko bata dena wese mene Gul khan ko keh diya he wo subha sab ko bata de ga..)

Amaya kamre me aai tou wahan Aliyan majood na tha or kamre me har tarf chits lagi hoi thi
Almari,book shelf,Dressing table,Laptop table,corner shelves, pore kamre mein har jagah chits lagi thin ye sab kiya he abhi tou me niche gai thi tab tou yahan koi chits nahi thi
ab wo bari bari aus chez k pas gai jahan chit lagi thi or har chit pe yahi likha tha "khubsoorat gift khubsoorat Amaya k liye" wo muskurai
har jagah chits he par gift kahan he?
wo sochte hoe Almari ki janib lapki or aus k samne apne hothon pe ungli rakhe khadri hogai
ye chit ais Almari pe he tou matlab gift ais almari me hoga wo sochte hoe muskurai or foran almari kholi or almari khulte hi sehda Nazar hang ki hoi safeed froak pe gai
wo froak pe hath lagae ause dekhne lagi aus pe bhi aik chit thi "khubsoorat white dress khubsoorat Amaya k liye" aus k chehre pe khushiyon bhare tasurat the
or aese hi baqi chits lagi jagaein bhi wo check karne lagi har jagah se ause mukhtalif qism k gifts masool hoe
Oh tou ye sab Aliyan ne---tabhi wo mere sath breakfast k liye niche nahi aae the auneh niche me tabhi der lagi kiyon k wo ye sab karname anjam de rahe the
Ehm Ehm koi khansa!
Amaya muskurate hoe piche murdi
Aliyan k hath mein aik box tha wo Amaya k qareeb aaya or box khol kar aus k agey kiya aus box me bohat hi khubsoorat or nazuk si diamond ring thi
ab aus ne ring box me se nikali or hath agey bardha kar ause ring pehn'nane laga "khubsoorat Ring Khubsoorat Amaya k liye"
Amaya ki khushi ka tou koi thikana hi na tha MASHALLAH bohat khubsoorat ring he wo ring pe nazren makroos kiye boli
itne sare gifts kis khushi mein? kiya hamara koi affair chal raha he? ab aus ne nazar utha kar Aliyan ki janib dekha
han ye duniya ka pehla affair he jo husband or wife k darmiyan he wo muskuraya!
wese kiya ye sab mere liye he? aus ne phir aik nazar aliyan ki janib dekha
Nahi hamari karachi wali parosan Rafia Aunty k liye Ofcourse tumhare liye he wo mou banate hoe bola
wese ain sab ki kiya zaroorat thi? aus ne phir sawal kiya
ofcourse zaroorat thi its your birthday "birthday"se yaad aaya mene tumhein wish tou kiya hi he
Happy wedding Aiversary & Happy birthday to you wo muskurate hoe ause wish karne laga
Thankyou so much Happy wedding Aniversary to you ab k bar wo bhi muskurai
Aliyan aus k qareeb aaya or Aus ka hath apne hathon me liya Amaya me jab bhi tumhari ankhon me dekhta hun wo bohat hi ache piyar bhare andaz se ause keh raha tha
Amaya ka dil dharka
Me jab bhi tumhari ankhon mein dekhta hun mujhe aesa lagta he jese---
Amaya ne lafz dohraya jese kiya?
Jese tumhari aik ankh ka eye-liner bohat dark ho wo kehka laga kar hansne laga
Amaya ne cushion utha kar ause marna shuru kiya
Amaya ham ne kabhi bhi apni aniversary ya tumhara birthday celebrate nahi kiya he me janta hun tum ye sab celebrate nahi karti or mene kabhi tumhein koi gift bhi nahi diye he
tou bas pichle sare gifts aj hi de diye he tou medam ab ap ye bataein kamre me har jagah se gifts masool hone k bad ap kesa feel kar rahi he? ab wo dono soffe pe beht gae
Amaya ko aus ki baat pe hansi aa gai or wo musalsal chehre pe muskurahat sajae ause aik nazar dekhti rahi
Ab aese kiyon dekh rahi ho? itna heran mat ho me waqai badal gaya hun tum ne mujhe badal diya he or ye sab gifts tumhari muhabbat or khaloos k agey kuch bhi nahi hein
Aliyan mene ap ko nahi badla ap ko ALLAH PAK ne badla he ap k dil me Namaz ka khayal ALLAH ne dala ALLAH ki marzi k bina kuch nahi hota wo jise chahe rah-e-rast pe lae
beshak ALLAH sab janta he dilon k haal bhi or hamari niyatein bhi har cheez ka daro'midaar niyat pe hota he or ap ki niyat achi thi ap ais liye nahi badle k ap chahte the
bal'k ap ais liye badle he kiyon k ALLAH chahta tha or jo ALLAH chahe wohi hota he jo ALLAH chahta he agar ap bhi wohi chahe ge tou hoga wohi jo ap chahte he bas hamesha ALLAH ki raza me razi rehna seekhen
Ap ko pata he me ye birthday wagera kiyon celebrate nahi karti? wo ause dekhne lagi
Aliyan jo bohat dilchasbi se aus ki baatein sun raha tha aus ne naa me sar hilaya
hamari zindagi ka aik saal khatam hota he or ham khushiyan manate he jab k hamein dukh hona chahiye k hamari zindagi ka aik saal khatam ho gaya ham mout k or qareeb aa gae
ham kabhi ye nahi sochte k hamara aik saal guzar gaya or ham ne ais aik saal me kiya naik aamal kiye he? agar hamein mout aa gai tou qabar me kiya le k jae ge
hamein har dua me ye dua zaroor karni chahiye k ALLAH PAK hamein aus waqt mout dena jab hamare aamal ache ho ham qabar me naik aamal le jane k qabil ho
ta k hamein qayamat k roz Apne rab or apne Nabi pak k samne sharminda na hona pare ya hamari wajah se hamare nabi ko sharminda na hona pare
ap jante he Nabi pak ne apni umat k liye kiya kuch nahi kiya he hamein ais duniya me hamare nabi pak k sadqe har achi naimat mili he Nabi ki umat yani k ham par ALLAH ki khas rehmat he
ham par tou 50 namazein farz ki gai thi par Nabi pak jante the aun ki ummat 50 namazein nahi pardh pae gi tabhi auno ne bar bar ALLAH PAK k pas ja kar namazein kam karwai or akhir me 5namazein farz hoi jin ka sawab aun 50 namazon k barabar he
aesa nahi he k ALLAH PAK jante nahi the k umat 50 namazein nahi pardh pae gi wo tou sab jante the auno ne pori qainaat banai he tou kiya wo ye sab nahi jante ho ge
ALLAH PAK sab jante the bas wo bar bar nabi pak ka dedar karna chahte the
Subhanallah aliyan muskuraya Amaya waqai hamare nabi ne hamare liye bohat kuch kiya he hamare nabi ki wajah se hi ham par ALLAH ki khas khas rehmatein hein
ham bohat khushnaseeb he k ham Nabi pak ki umat he
lekin Aliyan afsos ais baat ka he k ham insan pori panch(5) namazein bhi nahi pardh sakte kiya hamare kam namaz se ziyada behtar he?
ham insan ye bhool chuke he k hamein sari umar duniya me nahi rehna hamein marna bhi he hamein agle jahan bhi jana he hamari asal manzil tou qabar he ye duniya tou mehaz rasta he apni manzil tak phunchne ka or ye rasta kisi bhi waqt khatam ho sakta he
ye Duniya
ye arzi duniya
khuda ki baat man'ne ki jaga he apni baat manwane ki jagah to agey aa rahi he
ais duniya me khuda azma raha he aiski marzi chal rahi he
par aus duniya me Tmhari marzi hogi tum khuda ko azma lena
jo chaho mang lena, jo chaho le lena
Aliyan bohat gor se aus ki baatein sun raha tha tumhein pata he amaya jab ham namaz nahi pardhte tou ham kehte he hamein time nahi mila namaz pardhne ka
ham kam me masroof the wager wagera
par Asal me ham masroofiyat ki wajah se namaz nahi chorte bal'k hamari namaz tab reh jati jab ALLAH hamein hamare bure kamon ki wajah se apne agey khadra karna pasand nahi farmata
yani ham ne aese gunah kiye hote he k Allah hamein apne agey khadra rakhna pasand nahi karta
tou jab kabhi mere dil me shehtan was'wase dalta he k nahi yar aj choro roz tou namaz pardhta hun aj nahi pardho ga tou kiya ho jae ga?
tab ausi waqt mere zehan me ye baat aati he k me namaz nahi pardho ga matlab mene kuch galat kiya he tabhi ALLAH mujhe apne agey khadra karna pasand nahi kar raha ye khayal ate hi me foran namaz pardhne k liye uth khadra hota hun
aik sajde k inkar se ablees ko shehtan bana diya gaya tha tou ham ibn-e-adm itni sari namazein chor kar bhi khud ko muslaman kehte he
jo eman hamein ghar se masjid tak nahi le ja sakta wo hamein qabar se jannat tak kese le jae ga?
par aik baat tou he Amaya jab se me badla hun bohat sakoon me hun meri zindagi mein jese bohat se rang paida ho gae ho
Mujhe yu lagta he jese Asman se "Rangon" ki barish ho rahi ho
pori duniya rango se naha jae, me apne hathon ko rangon se bhar lo or mera wajood rangon me doob jae
rang hi rang he
ibadat k rang
khushi k rang,
umed k rang
wafa k rang
yaqeen k rang
aitebar k rang
azmaish k rang
duwaon k rang
or rango me sab se khas rang jo har rang ko jazb kar le
gehra dilkash or numaya rang
ALLAH KA RANG
pori kainat roshan ho jae or me ais rang me rang jaon
Aus ki baat pe amaya muskura di wo bohat khush thi aus ne kabhi nahi socha tha k Aliyan kabhi yu badle ga
                           -----****----****------*****------

Aliyan bohat roub se haveli me chalta phirta dikhai deta he wo sitting Area me aaya jab ause wahan Ramsha dikhai di Skin'tight jeans pe choti si T'shirt me malboos
wo khadri dewaron pe lagi paintings dekh rahi thi
Aliyan ne ause dekha tou ause ignore kar k wahan se guzrna chaha par Ramsha ne awaz di Aliyan Ruko!
Aliyan wahin ruk gaya or piche murd kar ghuse wali nigahon se ause dekha
Ramsha kapre zara durast pehna karo Haveli me rehne k kuch asool he agar yahan rehna he tou aun asoolon pe chalna hoga akhri lafz aus ne khench k bola
or dupata bhi liya karo or ause sar pe bhi rakha karo dupata sar pe rakhne se orat ALLAH ki rehmat k sae me rehti he
haya bari doolat he or jo orat ais doolat ko sumbhal kar chalti he wo kabhi kangal nahi hoti
shetan ka pehla shikar haya hoti he aik bar banda behaya ho jae phir aise koi burai burai nahi lagti
behayai tamam buraiyon ki jard he
Aliyan ki bat pe Ramsha ka mou sa ban gaya or wo bina koi jawab diye wahan se chali gai Aliyan ause jate hoe dekhne laga

Aliyan Soffe pe behta Apna favourite Red Apple juice pee raha tha jab Fahad aus k kamre me dakhil hoa
Aliyan tum kahin gae the?
han yr me zameeno pe gaya tha Aao behto ab fahad bhi aus k pas aa kar beht gaya Aliyan aus k liye glass me juice dalne laga
Aliyan red apple tumhein itna pasand kiyon he? ab dono juice k sip le rahe the
bas aese he ais ka taste acha he Aliyan ne muskurate hoe jawab diya
Happy wedding aniversary bhai aus ne muskurate hoe mubarkbad di shams subha se kahin nazar nahi aaya?
thankyou! shams zain k sath hoga wese wo hamein wish karne bhi nahi aaya kahin bhool tou nahi gaya?
wo nahi bhool sakta aus ka IQ level bohat acha he aus ko har baat yad rehti he khair me dekhta hun ause kahan he Fahad uth khadra hoa or wahan se chal diya
sedriyon se niche utar'te hoe ause Amaya dikhai di Happy birthday Amaya! wo muskuraya
thankyou fahad bhai aus ne bhi muskura kar jawab diya
Ramsha pole k piche khadri aune dekh rahi thi ye fahad or Amaya itna hans hans k kiya baatein kar rahe he?
ause becheeni si hoi....

Amaya aj bohat khush thi pora din ause apne bedroom se gifts masool hote rahe the
Amaya aj ham dinner pe jae ge Aliyan Almari se aus ka dress nikalte hoe bola ye lo dress or ye aik or gift?
High heels phir se gift? Aliyan me thak gai hun itne gift koi deta he kiya sara bank'balance ain gifts me hi pora kar diya? wo hansi dabate hoe boli
han tou kiya hoa itna bussiness zameene jaidad sab kis k liye he tumhare liye hi tou he aus k chehre pe shararti muskurahat thi
kesi bivi ho itne sare gifts milne k bad tou tumhein khushi se mere gale lagna chahiye do bol piyar k bolne chahiye or tum ho k baatein bana rahi ho ab wo mou bana k bola
Auff ok sorry ab wo apne kan pakre aus k samne khadri hogai
Aik tou tumhara chehra itna masoom he k me naraz bhi nahi reh sakta ab wo muskuraya!
ab ye lo apni dress or high heels or ja k tayar ho jao par please high heels pehn'ne k bad girna mat warna mera mazeed kharcha ho jae ga wo hansi dabate hoe bola
Amaya aik eyebrow opar uthae ause dekhne lagi or khamoshi se tayar hone chali gai...
                              -----****----*****-----******-------

shams idhar aao kahan ja rahe ho? zain ne shams ko jate dekha tou sawal kiya
chachu mama k pas ja raha hun subha se aun se mila nahi hun aus k chehre pe udasi thi jese sadiyon se apni maa se bichra ho
nahi ham filhal kuch der tak aun k samne nahi jae ge 7:00 tou baj hi gae he bas thori der or phir auneh surprise de ge zain ne ause jane se roka!
thek he chachu wo zain ka hath pakar kar aus k kamre mein chala gaya...

Amaya tayar hone mein kitna time lagao gi? Aliyan kalai me bandhi ghadri me time dekhte hoe bola
Amaya achanak aus ki nazron k samne aai white froak me malboos hath mein hand'kalach pakre wo aus k samne khadri thi
ause dekhte hi Aliyan kuch der tou apni palk jhapakna hi bhool gaya tha Mashallah Amaya tum kitni khubsoorat lag rahi ho bilkul(8sal'6mahine'20din)pehle wali Amaya wo apni jeans ki jaib me aik hath dale khadra ause dekhte hoe muskura k bola!
aus ki baat pe Amaya muskura di thankyou so much!
ap bhi bohat handsome lag rahe he hamesha ki tarah
Aik larka Aliyan
purkashish adon sa,
mangi hoi duwaon sa,
thora ghuse wala thora cute sa,
Amaya ne itni narmi se kaha tha k ause hansi aa gai!

wo niche aae tou Ramsha or fahad launge me behte the Aliyan kahin ja rahe ho?
hanw ham dinner pe ja rahe he or shams kahan he tum shams ko dekhne gae the na? Aliyan ne ause dekhte hoe sawal kiya
han par shams mujhe kahin nazar nahi aaya fahad ne foran jawab diya
Me dekhti hun kahan he zain k pas hi hoga Amaya boli
Anaya ne kitchen se nikalte aun ki baatein suni tou foran apne kamre ki janib lapki
zain zain aus ka sans phola hoa tha
kiya howa kon sa tofan aa gaya sans kiyon phola hoa he?
wo amaya aa rahi he shams ko dekhne wo log dinner pe ja rahe he tumhara cake kab tak aae ga tum se time pe kuch kam nahi hota he kab tak ham cake ka wait karte rahe ge
AUf ho chachu chachi tou larna shuru ho gae mujhe hi kuch sochna pare ga shams mathey pe hath rakhte hoe bola
Anaya chup ho jao cake choro abhi ye socho aine kese roke?
Anaya yahan se wahan tehlne lagi or apne khali dimag pe zor dalne lagi kuch hi pal mein ause aik idea aaya
shams ap let jao me amu ko kaho gi ap ko fever he shams bhi acting k full mood me tha foran let gaya
Anaya bhagte hoe kamre se nikli or launge ki tarf lapki amaya shams ko bohat tez fever he wo hamare room me he Amaya foran aus k room ki janib lapki Aliyan bhi aus k piche bhaga
fahad bhi jane laga tou Ramsha ne aus ka hath pakar liya
ruko tum kahan ja rahe ho? dekho Aliyan or Amaya dinner pe ja rahe he par tum kabhi mujhe dinner pe nahi le k gae hamari shadi ko aik saal hone wala he par tum kabhi mujhe kahin le kar nahi gae
Ramsha shuru hogai ause tou bahana chahiye hota he fahad se larne ka
ok jao ja kar ready ho jao tumhein bhi dinner pe le chalta hun fahad aus se behas karne k mood me nahi tha
Ramsha foran ready hone chali gai or fahad zain k kamre ki janib lapka!

Shams kiya howa ap ko kuch thandi cheez khai thi kiya? amaya k chehre pe fikarmandi thi
shams ne apni mama k chehre pe fikarmandi dekhi tou jee chaha foran bata de k mama me thek hun ap pareshan na ho!
Mama ap bohat prety lag rahi he aus ne itne piyar se kaha k fikarmandi k alm me bhi aus k chehre pe muskurahat aa gai
Shams me ap se kiya poch rahi ho or ap kiya jawab de rahe ho Abhi sirup pilati hun ap thek ho jao ga
oh no sirup? wo pareshani bhari nigahon se zain ki tarf dekhne laga
Anaya jao sirup lao
Nahi mama Sirup kiyon? shams apni zuban pe qabu na paa saka or foran bola
Aliyan bhi aus k qareeb aa k behta ye kiya he shams ap ko fever kese hoa zain ais ne kiya khaya he?
kuch bhi nahi bhai jan ham tou subha se sath he bas achanak ho gaya zain ne foran jawab diya
acha me doctor ko call karta hun Aliyan foran cell phone nikal kar number dial karne laga or kamre se bahar chala gaya
Shams bechara bina fever k ause sirup peena pare ga ab kiya karun me Anaya sochon me gumm thi jab amaya ne ause apne tarf matwaja kiya Anaya tum bhi yahin khadri ho?
shams kabhi zain ko dekhte tou kabhi anaya ko kuch hi pal mein Anaya sirup le aai Amu ye lo sirup anaya ne ause sirup pakraya!
shams ko sirup peena bilkul pasand nahi aus ka dil chah raha tha foran wahan se uth kar bhag jae
shams mou kholo ye pee lo ap jaldi thek ho jao ge
nahi mama shams ko sirup pasand nahi amaya ause zabardasti sirup pilane lagi
shams ne apne hath se amaya ka hath peeche kiya tou sirup aus k dress pe gir gaya
shams ye kia kiya ap ne or ap zid kiyon kar rahe ho? amaya foran uth khadri hoi or wahan se chali gai
chahcu mama naraz ho gai ab kiya krun? ab baba bhi dandte ge
me dekhta hun amaya ko fahad aus k piche chal diya!
ye sab zain tumhari wajah se ho raha he agar tumhara cake aa jata tou ye sab na hota or kitna wait karna pare ga anaya aik bar phir chilai
zain ka phone bajne laga aus ne screen pe nazar dali tou khushi se chilaya chalo chalo aa gaya cake me cake lata hun tum log bhai jan or bhabi ko drawing room le jao!
                                     ------******----******-----******-------

Amaya kiya hoa tum kamre me kiyon aa gai?
or dress kiyon change kar liya? Aliyan ne hathon k ishare se sawal kiya
shams ko sirup pila rahi thi wo pee nahi raha tha aus ka hath laga tou sara dress pe gir gaya
chalo koi baat nahi wese ye white dress bhi acha lag raha he...
han mene socha dobara white colour hi pehan leti hun
Doctor Ajmal ka phone nahi lag raha aesa karta hun me khudi shams ko doctor k pas le jata hun
Aliyan Baba shams baba drawing room mein ap dono ko bula rahe he gul khan ause keh kar chala gaya
wo dono drawing room ki janib lapke Drawing room ka darwaza khola tou bohat andhera tha
koi he shams ap kahan ho ? Amaya ne awaz lagai
aik dum lights on hoi or pholon ki barish hone lagi Happy birthday to you taaliyon k sath sath happy birthday ki saadaein buland hone lagi
Amaya or Aliyan k chehre pe herani k sath sath khushiyon bhare taa'suraat the
Drawing room bohat acha decorate tha!
shams bhagta hoa aun dono k pas aaya Happy birthday Mama! aus k chehre pe muskurahat thi
thankyou beta! par ye sab----?
Mama chota sa surprise shams ki mama k liye...
zain qareeb aaya or Aliyan k gale lag kar ause wish karne laga
Anaya ne bhi foran amaya ko gale laga liya happy birthday amu! and happy wedding aniversary both of you
aj aik bar phir surprise kesa laga?
bohat acha laga par ye sab kiyon tum janti ho na me ye sab ---
hamein kuch mat kaho ye sab Shams ka idea tha ye tumhein surprise dena chahta tha i mean, tum ne kabhi celebrate nahi kiya tou shams ka dil chah raha tha k celebrate karne ka bas tabhi surprise diya
Mama anaya chachi ne bataya k ap ais liye celebrate nahi karti kiyon k ALLAH PAK ko ye pasand nahi or ap bas ALLAH PAK ko thankyou karti hein!
par mama shams kiya kare shams k sab friends k parents celebrate karte he tou shams ka bhi dil chaha mama mein chota hun na ap mujh se naraz tou nahi hogi na anaya chachi keh rahi thi ap kisi ko hurt nahi karti
ap mujhe dandt k hurt nahi kare gin naa? chehre pe masomiyat sajae wo apne dil ki baat keh raha tha
aus ki baton pe sab ko hansi aa gai
Shams ap bohat tez ho gae ho
han or hamara beta itna bara bhi ho gaya he k surprise plane karne laga he Aliyan ne bhi hanste hoe kaha or ause gale se laga liya
ab chalein cake cut kare wo log table ki tarf aae
zain ye cake hamari aniversary ka he ya meri birthday ka?
kiyon bhabi? aus ne amaya ko dekhte hoe aik nazar cake pe dali
"Happy Aniversary" Anaya ne bhi dekha tou sar pe hath rakh liya aik tou ais cake ne aj bohat rulaya he ab aaya he tou wo bhi kuch or hi likha hoa he
shams ne aik bar phir sar pe hath rakh liya auf ap log kitna larte hein mama ap ko pata he shams aj bohat mushkil se ain k sath raha he
ary ye kiya shams foran party badal li anaya gorne lagi
koi baat nahi aniversary bhi tou he na its ok amaya muskurai...
ab wo cake cut karne lage or aik bar phir happy birthday or aniversary ki saadaein buland hogai
Amu ye meri tarf se chota sa gift anaya ne ause aik box diya
ais me kiya he? Amaya ause gumate hoe dekhne lagi
khudi khol k dekh lo anaya ne muskurate hoe jawab diya
Amaya ne jese hi wo box khola tou aus me se aik punch nikal kar amaya ki naak pe laga
jis pe anaya zor zor se hansne lagi
Amaya ko bhi hansi aagai tum kabhi nahi sudharo gi
Mama ye chocolates shams ki tarf se aus ne chocolate box amaya ki tarf bardhaya
Aww how sweet par shams ye tou sab ap hi khaa jao ge amaya ki baat pe sab hansne lage
Shams baba k liye kuch nahi lae? Aliyan ne mou latka kar sawal kiya
Baba ap k liye bohat bara gift he aus ki baat pe Aliyan choonka
kesa gift?
Baba jab me Quran hafiz bano ge tab ap ko jannat gift dun ga chehre pe amaya jesi masomiyat sajae wo bol raha tha
aus ki baat pe Aliyan ko aus pe toot k piyar aaya or aus ne foran shams ko gale se laga liya i'm proud of you shams!
Zain ne bhi aik gift aun k agey kiya ye meri tarf se thankyou zain Aliyan ne phir ause gale se lagaya
fahad kahan he? Aliyan ko yaad aaya tou aus ne sawal kiya
pata nahi mene gul khan se kaha tha k fahad bhai or bhabi ko bhi drawing room me aane ka keh dein par gul khan ne kaha k bhai bhabi ause kahin nazar nahi aae
hanw zain me bhi aune lene gai thi par pori haveli me wo kahin mile hi nahi anaya ne foran jawab diya
Acha ho sakta kahin gae ho ab aliyan amaya ki tarf matwajah hoa Amaya mere pas tumhare liye aik or gift he?
Aik or gift? amaya ne lafz dohrae or kitne gifts hein?
hanw bas last gift he
Aliyan ne aik bohat hi khubsoorat box aus k agey kiya
Amaya ne bohat hi piyar se wo box pakra or ause khol kar dekhne lagi
gift dekhte hi aus ki khushi mein mazeed aizafa howa aus ne aik nazar Aliyan ki tarf dekha
Mashallah ye meri life ka sab se ziyada khubsoorat gift he
me janta tha tumhein ye gift bohat pasand aae ga Aliyan bhi muskuraya!
Amaya ne box me se Quran Pak nikala or ause choomne lagi...

kuch der baad sab ki mulaqat daining table pe dinner k doran hoi!
sab behte dinner kar rahe the jab fahad or Ramsha ka wahan se guzarna hoa fahad kahan the tum log aao dinner kar lo Aliyan ne ause awaz de kar bulaya
Aliyan tum log tou dinner pe jane wale the na tou phir yahan dinner---- wo zara chonka
hanw shams ne bukhar ka bahana kar k hamein surprise diya tha tou bas ham ausi me lage rahe Aliyan pani ka glass labon se lagate hoe bola
oh hamare bina hi party ho gai very nice Ramsha mou bana kar boli
Bhabi ap logon ko bulwaya tha infect Anaya khud ap logon ko bulane gai thi par ap log kahin nazar nahi aae zain ne foran jawab diya
zain ham log bas aese hi bahar gae the fahad kehte hoe wahan se chala gaya Ramsha bhi piche hi kamre me aa gai
Fahad tum ne jhoot kiyon bola sehda keh dete ham dinner pe gae the or dekha kese hamare bina hi birthday celebrate ho gaya wese tou bohat banti he amaya k me celebrate nahi karti wagera wagera tou ab kahan gaya aus ka mazhab? Ramsha tootey ki tarah shuru ho gai
Fahad musalsal aus ki baatein sun raha tha akhir wo ukta kar bol hi para
Bas kar do Ramsha chup hojao bohat acha lagta ye kehte hoe k ham dinner pe gae the ta k aune lage k ham aun ki naqal kar k gae the
or zain ne bataya tou he k hamein anaya lene aai thi or ye sab celebration amaya ne nahi shams ne kiya he wo bacha he aus ka dil chaha tou aus ne kar liya
han tum tou hamesha Amaya ki side lena meri side kabhi mat lena Ramsha ne foran mou bana liya
Fahad ne aik kan se suna or dosre se nikal dia or chup chap sone k liye let gaya Fahad jitna naram'mijaz tha Ramsha utni hi Laraka qism ki
Ramsha ause sunati rehti or wo khamosh rehta aus ka dil nahi chahta tha Ramsha se uljhne ko wo chup chap dar'guzar kar deta...
                               -----****------****------****-----

Episode 23                   Amaya Or Aus ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain


Mustafa Alam apni bivi k hamrah haveli wapas aa chuke the shams aun k kamre me aun k pas behta tha
Bare baba shams aj sad he shams k chehre pe udasi chai hoi thi
Kiyon kiya howa hamare shams ko udasi ki wajah? Mustafa Alam ne aus k nanhe hath apne hathon me liye
Shams ne aik nazar auneh dekha or aun k gale lag gaya Mama keh rahi thi aj sham ko ham wapas ghar chale jae ge shams sad he kiyon k shams ap se dor nahi jana chahta aus ki ankhein namm hogai
shams ka lehja itna udasi bhara tha k Mustafa Alam ko aus pe mazeed piyar aane laga or wo ause piyar karne lage beta ap jitne din chahon yahan reh sakte ho par hamesha tou ap yahan nahi reh sakte
ap ko study karni he school jana he ap k sab friends karachi me he aese udas nahi hote mere bache auno ne shams ka gal thap'thapaya udas tou wo khud bhi the
shams ko yahin rehna he ap k sath wo aik bar phir bola
Acha ap ki mama ko kehte he yahan kuch din or ruk jaein thek he wo muskurate hoe bole
aun ki baat pe shams bhi halka sa muskuraya thek he!
Gul khan Amaya ko bula kar lao gul khan jo pas hi khadra tha hukam milne par foran amaya ko bulane chala gaya...

Amaya jo k safeed libaas me malboos dressing table k agey khadri apne gale mein khubsoorat sa necklace pehn'ne mein masroof thi jab darwaze pe dastak hoi
Amaya bibi ap ko Mustafa Saein bula rahe he?
Amaya ne hanw me sar hilaya or foran duppata sar pe liya or aus k piche piche chal di Amaya sedriyon se niche aa rahi thi jab aus ne dekha k Aliyan niche khadra he
wo akhri sedri pe thi jab aus ka duppata pisala tou aus ne foran sar pe duppata le liya
Aliyan ne ause duppata lete dekha tou halka sa muskuraya Amaya sar pe hamesha duppata rakho karo sar pe duppata lene se orat Allah ki rehmat k sae me rehti he
aus ki baat pe Amaya muskura di or Mustafa Alam k kamre ki janib chal di...
Aus ne darwaza bajaya thak thak!
Amaya beta andar aa jao
Amaya ne andar dakhil hote hi sab se pehle salam kiya or aik nazar shams pe dali baba jan ap ne bulaya?
hanw yahan behto auno ne apne pas beht'ne ka ishara kiya
mene suna he ap log sham ko wapas ja rahe he?
jee baba jan hamein yahan aae do hafte se ziyada ho gae he Aliyan ki bhi kuch meetings hein phir shams ka school---Amaya agey kuch kehti auno ne baat kat di
kuch din or reh lo shams yahan se jane ki baat pe udas he or me bhi udas ho gaya hun
acha tou ap ko shams ne bataya? aus ne aik nazar shams pe dali jo chehre pe masomiyat sajae behta tha
Ap logon k yahan aane se haveli ko char'chand lag gae he bachon se hi tamam khushiyan he tum logon k jane k bad haveli phir soon'san si ho jae gi
Ap logon k yahan hone se kitni chehal'pehal he wo muskurate hoe bole jawab me amaya khamosh rahi
shams ap jao zain chachu dhond rahe the amaya ne ause jane ko kaha tou wo foran wahan se chala gaya
Amaya bete ap khush tou he na? Aliyan se koi shikayat tou nahi? Mustafa Alam sawaliyan nigahon se ause dekhne lage
Jee Baba Jan ALLAH ka shukar he me bohat khush hun or mujhe koi shikayat nahi bas kabhi kabhi ap k bete mein soya hoa khadros wadera jaag jata he amaya ki baat pe wo muskura diye
khadros wadera acha title he wese me tumhara bohat shukarguzar hun tumhari wajah se Aliyan mein bohat badlaov aaya he mene kabhi socha nahi tha k
mera beta apna rishta,apne tamam faraiz,har chez itne ache se nibhae ga
Amaya me ap ko aik bat bataon? auno ne aik nazar amaya ko dekha
jee bolein Baba jan wo muskurai!
Me Aliyan ko le k hamesha se fikarmand rehta tha aus ki adatein aus ka life style sab kuch bohat different tha
bache apne bachpan me khelte he, sharartein karte he par Aliyan wo apne bachpan me khamosh hi rehta tha na koi sharart, na koi tang karna,
bas apne kam se kam rakhta tha jese jese bara hota gaya or ziyada akdru banta gaya na kahi aata jata tha, na kisi se koi dosti thi, bas shuru se hi fahad or zain se hi dosti rahi he
Mujhe fikar ziyada tab hone lagi jab Aliyan ne amer or gareeb me farq karna shuru kiya tha,
ause khud pe garoor hone laga tha, wo namaz bilkul nahi pardhta tha, zaroorat se ziyada aus me akrd aa gai thi
me bohat pareshan rehne laga tha k agey ja kar ye kiya kare ga kese sab kuch manage kare ga?
pardhai ki wajah se Aliyan ziyada mere pas nahi raha wo karachi mein akela hi raha tha mujhe ye bhi dar tha k kahin wo kisi ulti sehdi chezon me mubtala na ho jae
or bar bar me yahi ause samjhaya karta tha k kisi ulti cheezon me mubtala na ho jana izzat tou wo shuru se hi baro ki karta he...
Aliyan k jo bhi rishte ate har larki k ghar walon ki bas dolat pe nazar hoti mujhe tou ye bhi dar lagne laga tha k ais k naseeb me koi achi larki hogi bhi ya nahi?
par jab se tum Aliyan ki zindagi me aai ho mujhe tou jese sakoon hi mil gaya he mera dil kehta tha k tum hi ho jo ause badal sakti ho or waqai tumhare ane k bad ahista ahista Aliyan badal gaya
wo namaz pardhne laga,wo masjid me azan dene laga,wo Quran Pak pardhne laga ause islam me intrest hone laga, aus ki akrd aus ka garoor sab khatam ho gaya
aus ne ghusa karna chor diya, wo sab se milne'julne laga, ause har cheez ka tarika aa gaya Aj Aliyan bilkul wesa he jesa me hamesha se chahta tha
or ye sab tumhari wajah se hi hoa he Amaya mujhe ap par fakhar he!
ap ko pata he Mujhe aus waqt Aliyan pe bohat fakhar mehsoos hoa tha jab aus ne kal Masjid mein asar ki azan di thi or gaon k tamam log aus ki azan ki taref kar rahe the
kiya mithas bhara lehja tha bilkul aram or piyar se lafz khench khench kar aus ne azan di thi or phir asar ki namaz k baad mene ause Quran pak pardhte dekha Amaya bete me bata nahi sakta k aus waqt me kitna khush tha
pehli bar mene apni ankhon se ause Quranpak ki tilawat karte dekha tha aus waqt me bohat khush tha meri feelings or khushi aesi thi jese Aliyan 7saal ka chota bacha ho or wo "Amma para" mukamal hone k bad naya naya QuranPak me aaya ho
Me khamoshi se bina koi awaz kiye aus k piche beht gaya or aus ki tilawat sun'ne laga or mere dil ko itna sakoon mil raha tha meri khushi ka koi thikana hi na tha me ne pori zindagi aisi pal ka intezar kiya tha
Amaya jo k Baatein sun'ne me magan thi wo zara chonki ais pal ka intezar? aus ne lafz dohrae
Amaya me Aliyan ko Quran hafiz banana chahta tha par jis tarah ka wo tha mujhe aus se koi umed hi nahi thi agar me zabardasti bhi karta tou kiya faida
Quranpak zabardasti nahi pardhaya jata bas meri shuru se yahi khuwaish rahi he k mera beta kabhi masjid me behta QuranPak ki tilawat kar raha ho or me beht kar aus ki tilawat suno
aun ki ankhein namm hone k sath sath chehre pe halki si muskurahat thi...
Baba jan har chez ka aik waqt muqarar hota he har kam apne waqt pe hi hota he or ALLAH PAK ne Aliyan k dil me dala tabhi tou wo badle he or phir ap ki duwaein aun k sath thi ab wo muskurane lagi
or dono behte kafi der tak baatein karte rahe...!
                    ------****----****----*****-----*****-------
       
Kiya kar rahe ho chachu k tiger?
Shams jo k hath me tablet pakre game khelne me masroof tha apni nazrein tablet pe hi makroos kiye hoe bola chachu shams game khel raha he ap khele ge?
Nahi yar last time ap k challenge ki wajah se Anaya mujh pe shak karne lag gai thi wo Chehre pe uktahat bhare tasuraat sajae bola
shams ne aik nazar aus ki janib dekha or Anaya k naam pe muskura diya
acha yar ap game khelo me zara dekho mere dono bhai kiya kar rahe he? zain ab wahan se uth kar chala gaya...

Aliyan or Fahad kuch mehmano k sath Guest'Room me behte the zain andar aaya tou Aliyan ause mehmano se introduce karwane laga
Ab mehman jane k liye uth khadre hoe tou Aliyan or fahad bhi khadre hogae or aun se milne lage..
Ab Mehman ja chuke the or wo teeno bhai soffee pe behte baatein karne me masroof the
Aliyan sky blue kurte me malboos hath me chae ka cup liye sofee k side pe behta tha fahad or zain bhi pas hi behte the
Fahad bhai ap ka mou kiyon utra hoa he? Ramsha bhabi ne phir se kuch keh diya kiya? zain shararti andaz me bola
Fahad ne samne table pe rakha magazine uthaya or magazine khol kar aliyan ki janib bardhaya yar Ramsha ko ye dress chahiye
kon sa dress idhar karein me bhi tou dekho zain ne foran nazrein magazine me makroos ki or hath ka ishara karte hoe bola ye dress?
han Ramsha ko aesa dress chahiye yar kahan phasa diya he ab kahan se lao aesa dress fahad mou latka k bola
zain apni hansi dabae bolne laga bhai jan ye dress ap ko Anaya mangwa de gi
Anaya par kese? fahad foran bola
Online internet se har waqt facebook use karti rehti he aik yahi tou kam he jo ause dhang se ata he har dress ka ause pata hota he kon sa dress kis shop pe available he wagera wagera!
Zain ki baat pe wo dono hans diye wah wah chalo Anaya kisi kam tou aai Amaya koi social side use nahi karti kiya? fahad ne zain se sawal kiya
Bhabi ko ziyada tou mene use karte nahi dekha zain sar khujate hoe bola
zain ko kiya pata mujh se pocho Amaya bhi facebook,twitter,whatsapp use karti he par itna nahi jitna pehle karti---Aliyan wahin khamosh ho gaya
Fahad or zain ause gorne lage "pehle karti" dono ne aik sath lafz dohraya
Bhai jan ye "pehle karti" se kiya murad he? Ehm Ehm zain zara mazahiya andaz me bola
han wo shadi se pehle bas aese hi aik do bar mene auski facebook timeline dekhi thi pori timeline pictures or status se full thi Aus ki life me jo bhi chal raha hota tha wo foran status update karti thi "status Machine" ab Aliyan sar hilate hoe muskuraya
oh hoo bhai jan facebook timeline dekhte the acha ais se ap ko pata chalta rehta tha k bhabi ki life me kiya chal raha he zain ab tang khenchne laga
Aliyan chalo batao first time or last time tum ne Amaya ki timeline kab dekhi thi or aus pe status kiya tha? fahad ne ause dekhte hoe sawal kiya
choro na kiya ham facebook le kar beht gae he kuch or baat karo Aliyan ne baat talna chahi par fahad or zain sun'ne k mood me the
Aliyan hamein tou jan'na he ab sharafat se bata do Fahad ne ause kohni mari
acha batata hun mene first time aus ki timeline aus din dekhi thi jab mene university me sab k samne aus ki insult ki thi wo saalon purana scene yaad aane pe teeno ki hansi zara gayab hoi
"Today hasn't been any better but trying to ignore it & move on with the day" Aj bhi Amaya ka ye status mere dimag me chapa hoa he
or lahore jane k baad aus ne apni id deactivate kar di thi or phir fahad tumhari shadi k doran aus ne dobara facebook join ki thi or Anaya yahan nahi thi tou aus ne Anaya k liye status update kiya tha
"The absence of your silly face in my life is a tough way to live"!
haha "absence of silly face" zain kehka laga kar hansa wese ap ne last time fahad bhai ki shadi k doran timeline dekhi thi zain zara chonka
han aus k baad me ne ab tak facebook use hi nahi ki time hi nahi milta ab Aliyan ki chae bhi khatam ho gai thi...
wese mujhe bhabi k dono status ache lage yahi se andaza ho raha he wo status ache update karti hongi zain muskurane laga aus ki baat pe wo dono bhi hans diye...
tabhi tou mene ause status machine ka title diya tha Aliyan chae ka cup table pe rakhte hoe bola
                               ------*****--------*****-------*****--------


Amaya ab bhi wahin Mustafa Alam k sath behti Aliyan k bachpan ki baatein sun rahi thi wo budhe Mustafa Alam takiye se tek lagae bed pe lete the
Aun ki nazar darwaze pe gai tou foran bole Aliyan bete wahan kiyon khadre ho andar aao kuch pal apne baba k pas behto
Aliyan jo k ankhein namm kiye seene pe hath bandhe darwaze pe najane kab se khadra aun ki baatein sun raha tha wo khamoshi se chalta hoa apne baba k qareeb aaya or salam kiya
kiya hoa bete tumhari ankhein namm kiyon he? Mustafa alam k chehre pe fikarmandi k taasurat jhalke
Aliyan aun k pas behta or apne baba ka hath apne hathon me liya Baba Jan ye kuch hafte kese guzar gae pata hi nahi chala
mene kai arse bad ab pehli bar ap or mama jan k sath ziyada waqt guzara he or mujhe bohat acha mehsoos ho raha he ab aus ne apne baba k hathon ko chooma
jawab me Mustafa Alam muskurae tou Amaya bhi halka sa muskura di
Baba jan waqt kese guzar jata he pata bhi nahi chalta aik bar waqt guzar jae tou wapas nahi ata me ais waqt bohat udas hun ab Aliyan ki ankhein mazeed namm ho gai
mere bete udas kiyon ho?
Ab Amaya ne apni nazrein Aliyan pe makroos kar li shayad wo samjh gai thi Aliyan k dimag me kiya chal raha he?
Me Acha beta nahi hun
Amaya jo k ab Mustafa Alam k liye saib(Apple) katne me masroof thi aus k hath wahin ruk gae or herani se ause dekhne lagi or kuch pal ause dekhti rahi
Mustafa Alam ne aus ka matha chooma nahi mere bete aesa hargiz nahi he tum ne aesa kiyon socha?
Baba jan Mene kabhi ap k liye kuch nahi kiya, mene kabhi ap se pocha tak nahi k ap mujh se kiya chahte he ap ki khuwaish kiya he?
Mene hamesha apni man'mani ki mere ravaiye se ap kitna hurt hoe honge ab wo apne baba k gale lag gaya or rona shuru kar diya
Aliyan mere bache aesa hargiz nahi he tum tou mere bohat ache bete ho mujhe tum se koi shikayat nahi he tumhare past me tum jese bhi the wo tumhara apna aik andaz tha
or phir tum ne konsa kabhi mujh se badtmazi ki he ya mera kaha nahi mana he tum ne tou hamesha apne mama baba ki izzat ki he
tum ro kiyon rahe ho sharam karo aik bache k bap ho kar tum ro rahe ho?
shams dekhe ga tou kiya soche ga chup hojao wo aliyan ko khud se alag karte hoe bole
Ab Aliyan apne ansu saf karne laga bas baba porani baatein soch kar mera dil bhar aaya ap mujhe maf kar dein
bete me tum se naraz nahi hun bas kuch shikayatein thi jo ab nahi he ab mujhe fakhar he apne bete par kiya kabhi tumhein kisi ne bataya he k tum kitni khubsoorat azan dete ho
Mustafa Alam k chehre pe itni khushi thi jese kai mudaton bad wo aj khush hoe ho
Aliyan ne na me sar hilaya mene kabhi karachi me azan di hi nahi yahan gaon me hi di he Qari Qasim kahin gae hoe the tou mene azan de di
or beta tumhein azan dene me itna maza aaya k tum pichle do roz se Masjid phunch jate ho azan dene Mustafa Alam ki baat pe ALiyan muskura diya
Aliyan tumhein pata he tumhein namaz or Quranpak pardhta dekh mujhe kitni khushi hoi he bas samjho meri sab shakiyatein dor hogai...
Baba jan ap sahi kehte the Namaz se bardh k kuch bhi nahi mujhe ye soch soch kar khud pe ghusa aata he k me kiyon namaz se dor bhagta tha? kiyon me ap k dar se namaz pardhta tha Allah k dar se nahi
Aliyan yahi wajah thi jo mene tumhein Quran hafiz ban'ne pe majbor nahi kiya me nahi chahta tha k tum mere dar se Quranpak hifz karo
Quranpak kabhi bhi zabardasti nahi pardha jata, Quranpak hamesha sache dil se or achi niyat se pardha jata he
jee Baba Jan me ab Qurapak ki ehmiyat samjh chuka hun QuranPak sirf choomne or gilaf me lapet kar kisi ounchi jaga pe rakh dene k liye nahi uatara gaya
bal'kay Quranpak kholne pardhne or samjh kar ais par amal karne or ais ki roshni dosron tak phunchane k liye utara gaya he!
Baba jan ap ko yaad he ap hamesha kaha karte the Aliyan namaz pardho or dua kiya karo!
tab me sochta tha ye dua kiya karti he?
or Ab mujhe maloom hoa he k ye rab se talluq ko jorti he,
Hamein rasta dikhati he,
Hamari taqderen badalti he,
Andhero me roshni karti he
Bechen ko sakoon deti he duniya or akhrat ko munawar karti he,
dua hi hamein yad dilati he koi he jis se hamein mangna he,
bas dua me bhi hamesha ALLAH ki raza mangni chahiye aus ki behtri mangni chahiye aisi me bhalai he...
Aliyan ki baaton pe Mustafa Alam ko aus pe piyar aane laga auno ne foran Aliyan ko gale se laga gaya or kisi chote bache ki tarah ause piyar karne lage..
Baap Bete ka piyar dekh kar Amaya bohat khush thi or dil me ALLAH ka shukar ada karne lagi..

                                  ------*****-----*****-----*****--------



Mustafa Alam k kehne pe wo log mazeed kuch din or wahin haveli me hi ruke the
Aliyan kamre me dakhil hoa Amaya packing karne me masroof thi
Anaya bhi ausi waqt kamre me aai
Amaya baag me chale mera dil chah raha he Anaya saib(apple) khate hoe table pe beht gai
nahi mera mood nahi he kal hi tou gae the Amaya ne foran jawab diya
Amu tumhare chehre pe itni bazariyat bhare taasuraat kiyon he? wo apne aik eyebrow opar chardhae boli
kuch nahi bas thak gai hun kuch der sona chahti hun wo packing bech me hi chor kar bed pe ja k let gai
Aliyan aus k qareeb aaya kiya hoa tabiyat tou thek he?
jee hanw me thek hun bas mujhe kuch der sona he please kiya ap log mujhe sone dein ge?
Ajeeb ho yar tum bhi, tum pehle wali amaya nahi rahi
wo Amaya jo har waqt adventures mood me rehti thi, Ab aus ka koi mood hi nahi banta
wo Amaya jo apni mastiyon me magan rehti thi, Ab apne bete ki mastiyon se tang he
wo Amaya jo khud se muhabbat karti thi, Ab bas Aliyan or aus ki family se muhabbat karti he
wo Amaya jo har waqt naak pe ghusa rakhti thi, Ab aus k ghuse ka kuch ata pata hi nahi he
wo Amaya jo kisi k nakhre bardasht nahi karti thi, Ab wo apne bete k nakhre utha'ti he
wo Amaya jis ne kabhi kitchen me qadam tak na rakha tha, Ab wo har waqt kitchen me hi nazar aati he
wo Amaya jis ne kabhi kisi kam ko hath tak na lagaya tha, ab wo har kam khud karti he
wo Amaya jise baat baat pe attitude dikhana or rona ata tha, Ab wo bohat strong he
wo Amaya-- anaya ne kuch or bhi bolna chaha par amaya ne ause rok diya
Anaya agar tumhari speach khatam ho gai he tou tum yahan se ja sakti ho wo apna mou takiye me diye chilai
ok chilao tou mat ja rahi hun lagta he Aliyan bhai ka jhoota khana khane lag gai ho tikhi ho gai ho wo bolte hoe wahan se chali gai...
Aliyan jo khamoshi se behta Anaya ki bak bak sun raha tha wo anaya k akhri jumlo pe muskura diya or amaya k qareeb hoa Amaya are you alright?
Amaya ne koi jawab na diya
Amaya me kuch poch raha hun kiya tum thek ho?
jee me thek hun wo foran uth kar beht gai
tou phir gai kiyon nahi Anaya k sath?
wese hi mera mood nahi he aus k chehre pe kuch udasi thi
tum udas kiyon ho? aesi kiya baat he jo tumhein udas kar rahi he? jahan tak me tumhein janta hun zaroor tumhare dimag me kuch chal raha he
kuch nahi porani baat he leave it...
Agar porani baat he or chorni hi he tou phir soch kiyon rahi ho? aus ne amaya ko bazu se pakara or aus ka chehra apni tarf kiya
me ye soch rahi hun k ap ne mujhe buri larki kese samjha tha i mean, hamari kabhi university me koi baat nahi hoi thi tou ap ne kese mujhe judge kiya tha?
Aa'h tou ye baat he aus ne aik lambi sans li or kuch der khamosh raha
Amaya ause musalsal dekh rahi thi ya shayad aus k jawab k intezar me thi
Amaya tum itni stylish thi har roz tumhara new dress, new bag, new watch, or tumhara wo magroori wala attitude bewajah kisi se baat na karna ghusa naak pe rakhna or har waqt Mastiyan karte nazar aana
mujhe koi aesa din yaad nahi jis din tum ne koi shararat na ki ho tumhara apni friends k sath group me ghoomna phir mastiyan karna bas aini sab baton se mene tumhein judge kiya tha
me sochta tha ye itni stylish he har waqt mastiyan karti nazar aati he or kuch log yahi kehte the tou mene socha waqai ye larki---- wo wahin khamosh ho gaya
Ais bar amaya ne gehra sans liya ause samjh nahi aaya kiya expressions de Aliyan mera andaza thek tha
ap waqai dosron ki zuban se bolte the or dosron k dimag se sochte the
stylish hone ka hargiz ye matlab nahi he k koi larki stylish he tou wo characterless he ya ause apne mazhab k bare me nahi pata ya wo achi larki nahi he
me stylish thi par me khud k liye fashion karti thi logon ko dikhane k liye nahi or stylish hone k sath sath mujhe har cheez ati thi
me study me achi thi, me har activity ache se karti thi, mujhe islam ki knowledge bhi thi,or me achi larki bhi thi
ham me se kisi ko koi haq nahi he kisi ko judge karne ka agar koi stylish he tou wo bura insan nahi he
or jahan tak baat he mastiyon ki tou its a part of life fun k bina tou zindagi me koi maza hi nahi he or me zindagi ko jeene wali larki thi mene har lamhe ko har pal ko jiya he
or magroor? magroori mene kabhi nahi ki bas ghuse me rehne ki wajah se logon ko lagta tha kiyon k me fazool dost nahi banati thi
me kabhi kisi ko explanation nahi diya karti thi kiyon k mujhe kisi se koi farq nahi pardhta tha...
Insan jitna marzi acha ho duniya walon ko koi na koi problems rehti hi he or phir hamare bech jo kuch bhi hoa tha wo kuch galat fehmiyan thi tou kuch setup...
mere sar me dard ho raha he mujhe sona he wo dobara let gai
Amaya tumhein bura laga? par jo sach tha mene wohi bataya he par hanw tum ne thek kaha me dosron ki zuban bolta tha or dosron k dimag se sochta tha
tum ne sahi kaha stylish hone ka matlab bura nahi hota he hamare mawashre mein ham logon ki yahi soch he k jo stylish he ause kuch deen or duniya ka nahi pata
hamein apni soch badalni chahiye or waqai tum ne sab kuch thek kaha he mene tumhare bare me tumhare fashion ko dekhte hoe tumhein judge kiya tha or jesa tumhare bare mein socha tha tum aus se bilkul mukhtalif paya
Amaya ne koi jawab na diya shayad wo so chuki thi...

                                 ------****------*****-------*****------

karachi wapas aae aik hafte hone ko tha Amaya tv lounge me behti peace tv pe mazhabi scholor ka program dekh rahi thi
jab Aliyan ghar aaya aus ne amaya ko dekha tou salam kiya Amaya ne muskura kar salam ka jawab diya
wo soffee pe behta tou amaya foran aus k liye aik glass pani le aai
aus ne amaya k hath se glass liya or pani peene laga
shams kahan he? wo glass dete hoe nazrein yahan wahan ghumane laga
wo fahad bhai k sath aun k ghar gaya he wo keh rahe the aik hafte se ziyada ho gaya he Anaya shams se mili nahi he tou me le k ja raha hun zain or anaya shams ko dekh k khush ho jae ge
acha ab tou 9:00 baj gae he abhi tak zain chor k nahi gaya Aliyan ne channel check karne k liye channel change kiya cartoon network pe barbie cartoon chal rahe the
jis me asman par "Qandelein" urd rahi thi
Aliyan ne agla chennal lagaya jis pe Amaya chilai wohi lagaein piche karein piche Amaya ne foran aus k hath se remote chen'na or wapas cartoon Network laga liya or tarsi hoi nigahon se mou khole Qandelein udrte dekhne lagi
Waoo kitna khubsoorat nazara he mene kabhi real me aese Qandelein urdti nahi dekhi Ap ko pata he hamesha se mera ye dream raha he k me kabhi real mein apni ankhon se kale asman pe bohat sari qandelein udrti hoi dekho
Aliyan ko aus ki baat pe hansi aa gai Amaya tum or tumhare ajeeb dreams ab mou tou band kar lo
Amaya ne ankhein choti bari kiye aus ki janib dekha!
chalo ham shams ko lene chalte he ais bahane fahad se bhi mulaqat ho jae gi Aliyan tv band karte hoe bola
wo tou thek he par pehle khana tou kha lein
Nahi shams ko le aae phir sath hi kha lein ge ais pore week me itna busy raha hun k shams k sath behta tak nahi hun
ok me change kar k ati hun Amaya muskura kar wahan se chali gai...


Shams beta yahan aao..
jee chachi!
mene suna he ap ko ap k baba ne dandta tha?
jee dandta tha har waqt dandte he wo mou latkae udasi bhare lehje me bola
beta ap ko aik baat bataon promise karo ap kisi se kaho ge nahi..
jee promise!
beta ap k baba ap ko bilkul piyar nahi karte ap ko or ap ki mama ko bilkul bhi pasand nahi karte ap ko pata he ap ki mama ne aun se zabardsti shadi ki he wo tou shadi bhi nahi karna chahte the
or jab ap apni mama k pas nahi hote tab wo ap ki mama ko bhi bohat dandte he or kuch din pehle tou ap ki mama ka hath bhi jala diya tha
shams herani se Ramsha ki batein sun'ne laga! Aliyan busy rehne ki wajah se ause time nahi de pata tha tou shams ko lagne laga tha waqai Aliyan aus se piyar nahi karta wo kahin na kahin Ramsha ki baton pe yaqeen karne laga tha
Nahi chachi shams k baba mama se bohat love karte he
beta wo bas ap k samne natac karte he ap ki mama ko bohat marte he ap ko tou wo bilkul pasand nahi karte
bahar koi khadra ain ki guftgu sun raha tha ais se pehle Ramsha mazeed kuch kehti koi achnak kamre me dakhil howa!
Ramsha bhabi ap kiya bache ko ulti paatiyan pardha rahin hen ap ko sharam nahi ati aese jhoot bolte hoe ap ko andaza bhi he ap ki aesi bakhwas baaton se shams k zehan pe kiya asar parhe ga
ap kiyon bache ko jhoot keh rahi hen Anaya zor zor se chilane lagi...
nahi anaya mera wo matlab nahi tha ramsha ghabrate howe boli,
me ache se janti hun ap ka kiya matlab tha shams beta ainki baaton me mat aana jhoot bol rahi hen anaya ause apni tarf mutwajah karne lagi
itna shor kiyon ho raha he? zain or fahad bhagte howe kamre me dakhil howe
pochein Ramsha bhabi se shams ko kiya paatiyan pardha rahi thi...
kiya matlab kesi paatiyan sab ne piche murd k dekha tou darwaze pe Aliyan or amaya khadre the ...
auneh dekh kar Ramsha k chehre ka rang urd gaya na nahi kuch nahi wo foran boli,
fahad bhai ap ki begam shams ko keh rahi thi k aliyan bhai shams or amaya ko pasand nahi karte or amaya ne zabardasti shadi ki he aliyan shadi nahi karna chahta tha
or aliyan ne amaya ka hath jalaya, marte he or bohat dandt'te he or ais se pehle haveli me bhi do teen bar mene bhabi ko suna tha shams ko aesa hi kuch kehte howe
tabi me shams ko ziyada apne sath hi rakhti thi or me khamosh rahi thi k koi hangama na ho par aj me khamosh nahi raho gi aese tou ye bache ka zehan kharab kar de gin
or shams ko kehti hen k kisi ko bataya mat karo ab wo bacha he kisi ko batae ga nahi dil me rakhe ga sab baatein or na'jane bara ho kar kese treat kare aliyan bhai ko anaya bolti chali gai...
fahad ka rang ghuse se laal ho gaya Ramsha ye kiya tamasha he?
shams mujhe batao or kiya kiya kaha he ramsha ne?
fahad chachu wo yehi kehti he jo anaya chachi ne bataya or mene aik bar mama ko bataya tha
Aliyan ghuse se amaya ko dekhne laga...
han bataya tha shams ne mujhe par mujhe laga shams ko koi galat fehmi hoi hogi Ramsha bhabi bhala aesa kyon kahe gin tabhi mene ziyada gor nahi kiya...
Aliyan ki ankhein mein betahasha ghusa tha par wo khamosh raha chalo shams yahan se ainda yahan koi nahi aae ga mere bete ko bula kar yahan ye sab sikhaya jata he
Aliyan aik nazar pe dali or phir amaya or shams pe chalo yahan se wo aune wahan se le gaya!
zain or fahad awazein dete reh gae par Aliyan ne aun ki aik na suni..

                              --------***--------***--------****---------

Good Noon 'Mamma' Amaya ki ankhein khuli do muskurate chehre aus ki nazron k samne the
shams itni subha ap ko kis ne tayar kiya kahan jane ki tayari he tiger?
Mujhe baba ne tayar kiya wo muskuraya..
what baba ne? itni subha wo choonki
medam wo samne wall clock dekhein 1:00 baj raha he or ye dopher ka waqt he par tum so kar abhi uthi ho tou ofcourse tumhare liye morning he haha Aliyan ne kehka lagaya
oh shoot! 1:00 baj gaya mujhe uthaya kiyon nahi? or me itna der kese soi rahi?
medam kal raat ap k sar me dard tha or ap ne tablet khai thi jis wajah se ap behosh rahi aliyan k lehje me kafi narmi thi wo aese tha jese kal raat kuch hoa hi na ho
Mene socha aj tumhein rest karne dun or shams k sath me time spend karon ap ko pata he shams ap ki mama bohat chalak hen mujhe office bhej deti he or khud ap k sath masti karti he time spend karti hen or achi ban jati hen
or baba ko bura bana deti hen or baba office se thaak kar ghar ate he ghuse me hote he tou ap ko dandt lag jati he par aj no office ham masti kare ge me apne bate ko shopping karwao ga
ap mere jese kapre loge?
yeah iloveyou baba shams khushi se chilaya or foran Aliyan k gal pe kiss kar li!
Amaya tehdri nazron se aliyan ko dekhne lagi...
kiya howa aese kyon dekh rahi ho khaao gi kiya?
nahi me ziyada charbi wala ghosht nahi khati me bas yahi soch rahi hun ye sooraj kahan se nikla he amaya maskharana andaz me boli....

kuch der mein amaya tayar ho kar niche aagai aliyan or shams pehle hi gari mein behte howe the Amaya aj mousam kitna khubsoorat he
thandi hawa halki halki barish bhi hojae tou maza aajae ga chalo pehle ice-cream khane chalte he phir shopping kare ge phir park jae ge phir dinner par chalein ge whats say shams?
yeah baba aj bohat maza aae ga wo khushi se chilaya...
Amaya dono ko dekhne lagi ause acha lag raha tha aineh itna khush dekh kar kuch der mein barish bhi shuru hogai halki halki si barish mausam ka maza double hogaya!

Ab wo shopping mall me the jab amaya ka cell phone bajne laga phone ki screen par nazar dali anaya calling!
Amaya ye dekho mene ye cushion liye he ais par likha he Mr.Mrs hum aise lawn mein rakhe ge ache he naa?
bohat ache he ap shopping karein me anaya se baat kar lun aus ki call aa rahi he!
ASALAM WA ALAIKUM!
WA alaikum asalam amu tum kesi ho Aliyan bhai kese he? bohat ghusa kiya hoga na auno ne ghar ja kar mujhe pata he ab bhi ghuse me hi hoge or tumhari shamat aai hoi hogi Anaya non-stop boli chali ja rahi thi
uff uff Anaya sans tou lelo mujhe kuch bolne dogi tou hi me bolo gi ab aus ne phone aik kan se dosre kan pe lagaya
han bolo yar me tenshion me bas ziyada bol gai
Anaya relax sab thek he yahan Aliyan ne koi ghusa nahi kiya infect me heran hun Ramsha bhabi ne aesi harkat kiyon ki or Aliyan kese chup rahe?
wese achi baat he auno ne ghusa nahi kiya par kal raat k bare me mujh se bhi koi discusion nahi kiya
acha tum se kuch pochna tha?
han bolo anaya kiya howa?
Amaya kiya waqai tum log hamare yahan nahi aao ge kal se mujhe ajeeb feeling aa rahi he aliyan bhai ka ghusa bhi itna khatarnak he aus ki awaz me udasi thi
Nahi baba mene bataya tou he kuch nahi kaha auno ne ham shopping mall me he dono bap bete shopping kar rahe he aj ka din acha he me khush hun dono ko sath me dekh kar or
rahi baat tmhare ghar ki tou bhala aesa ho sakta he jo ye teeno dor rahe or me tum se wo kehka laga kar hansi...
oh wao amaya ais ka matlab aj k mausam ko full enjoy kiya ja raha he chalo tum enjoy karo bad me baat kare ge!
han Aliyan aj office nahi gae khudi program bana liya ghomne phirne ka acha he shams ko pata tou chale k aus k baba waqai aus se muhabbat karte he....
tum batao fahad bhai ki or bhabi ki larai tou nahi hoi? amaya ne foran sawal kiya
yr bhai jan ne bohat dandt'ta aun ko or auno ne bhi bohat zuban chalai Aliyan k nokar ho tum log ausi ki baat mante ho aus k bete k agey piche ghomte ho
har waqt shams shams nafrat he mujhe shams or amaya se or ais baat par fahad bhai ne ause thapar de mara
han maro maro amaya k bare me tou tum kuch sun hi nahi sakte ho na pata nahi kiya jadu kiya he aus ne mujhe amaya se nafrat he or hamesha rahe gi suna tum ne
aus ne mujh se aliyan cheena he me ause kabhi maf nahi karogi fahad herani se ause dekhne laga kiya kaha tum ne tum se aliyan---?
han mujhe wo pasand tha or meri ami ne Aliyan ki ami se rishte ki baat bhi ki thi
par aliyan ne ye keh kar mana kar diya k ause koi or pasand he or jab mene apni shadi me amaya ko aliyan k sath dekha mujhe shaded ghusa aaya
mere zakhm taza hogae or dil me soch liya k ab badle logi Amaya se or tum amaya ko pasand karte the mujhe shadi k bad pata chala aesi baatein chupti nahi he Mr.fahad Alam wo akkrd kar boli..
Ramsha tum itni bad'dimag itni giri hoi harkten or baatein karogi mene socha bhi nahi tha tum apne hathon apna ghar kharab karna chah rahi ho aliyan tumhara past tha or me tumhara present hun or
me manta ho me amaya ko pasand karta tha par wo mera past thi par ab tum meri bv ho or me tumhare sath sacha ho tumhein bhi apna mazi bhool jana chahiye wo ause samjhane laga...

Oh shoot!itna kuch hogaya ais ka matlab aliyan ko jis larki ki tasver pasand aai thi wo Ramsha bhabi thin tou kiya aus din aliyan ne mujh se jhoot bola tha k ause koi pasand aagai he
agar ause ramsha bhabi pasand aai hoti tou wo mujh se shadi har'giz na karte Amaya herani bhare lehje me bolne lagi...
pata nahi amu ye to tum bhai se hi pochna chalo have fun ALLAH HAFIZ....
                          -------*******-----******-------******-----

Amaya shams k sath tv lounge mein behti aus se khana khane ki dua, pani peene ki dua, mukhtalif duwaein sun rahi thi...
Aliyan office se aaya kiya kar rahe he dono maa bete?
Baba shams mama ko duwaein suna raha he!
oh very good chalo phir baba ko bhi sunao wo muskura kar shams ko piyar karne laga
chalo shams ap ja kar so jao amaya ne piyar bhare lehje me kaha tou wo foran apni maa ki gal pe kiss kar k wahan se chala gaya...
Aliyan aik bat pochun?
han pocho par pehle aik cup chae hojae wo muskura kar bola...
Amaya soffe se uthi apne silky ball hathon me sameet kar ounche kiye or poni bandhi bohat ounchi si poni ais pe bohat achi lagti or kitchen ki janib chal di piche hi aliyan bhi aagaya!
pocho amaya kiya pochna he? wo muskura raha tha
ab wo gas par chae ki degchi rakhne lagi aliyan ap ko yad he ap ne mujhe kaha tha k ap k ghar wale rishta dekh rahe he or ap ko kuch tasvereen bhi di he or ap ko aik larki pasand bhi aai thi
tou wo larki kon thi?
Aliyan ne achnak herani bhari nigaho se amaya ki janib dekha, ary tumhein kaha se itni porani bat yad aagai dehan se chae banao cheeni ki jagah namak mat dal dena wo muskuraya,
baat mat talein mujhe bataein wo larki agar ap ko pasand aagai thi tou ap ne mujh se shadi kese ki ap ko me pasand bhi nahi thi?
Amaya tum kiyon porani baat kar rahi ho choro na kuch or baat karte he wo baat talne laga
Amaya ka dil tou chah raha tha ghusa kare par wo apne ghuse ko control kiye hoe thi
Lahore se wapas aane k bad aus ne kabhi ghusa na kiya tha jab se aus ne aik ayat me pardha tha!
"Ghusa karne wala qayamat k roz ALLAH k samne janwar ki shakal me pesh kiya jae ga"
tab se aus ne ghusa karna chor diya tha....
ap mujhe bata rahe he ya nahi?
wo larki Ramsha thi Aliyan foran bola...
Amaya heran nahi hoi kiyo k ause kahin na kahin pehle hi shak tha k ramsha hi wo larki hogi...
phir jab ap ko wo pasand thi tou aun se shadi kiyo nahi ki?
wo mujhe kabhi pasand nahi thi han me zaroor ause pasand tha!
aik shadi me aus ne mujhe dekha tha or pasand karne lagi or aus ki ami ne rishta bhej diya par mene inkar kar diya tha...
kiyon ap ne inkar kiyon kiya? Amaya chae ka cup ause pakrate howe boli
dono chalte howe bahar lawn mein aa kar beht gae....
Mujhe wo ais liye pasand nahi thi kiyon k jab se aus ne mujhe dekha tha mujhe phone pe tang karne lagi thi calls messages auff!
tumhein yad he amaya shanze ki shadi k roz mene tum pe bohat ghusa kiya tha or bohat talakh lehje me bat ki thi?
han ache se yaad he mujhe wo karwi baatein wo mou bana kar boli...
aus waqt Ramsha ki calls pe calls aa rahi thi aus ne mujhe tang kar diya tha mujhe bohat ghusa aa raha tha aus pe bas wohi ghusa tum pe nikal gaya tha...
Amaya khamosh rahi koi jawab na diya kuch der sochne k bad wo boli ap resturent me waiter se kiya baat kar rahe the?
jab hum Resturent me dinner k liye ruke the aus waqt bar bar mera phone baj raha tha wo call Ramsha hi mujhe kar rahi thi or jab tak me recieve na karta wo tang karti rehti
me uth kar side me chala gaya or call recieve ki wo shayad ro rahi thi aus ki awaz me udasi thi wajah pochne lagi Aliyan tumne inkar kiyon kiya akhir wajah kiya he
jab tak wajah nahi batao ge me picha nahi choro gi wagera wagera...
acha phir kiya wajah batai ap ne Amaya aliyan ki baaten dilchasbi se sun rahi thi...
mujhe kuch samjh hi nahi aaya kiya wajah bataon phir mene aus se picha churdwane k liye jhoot keh diya k me kisi ko pasand karta ho or me ausi se shadi karo ga
wo kehne lagi nahi tum jhoot bol rahe ho agar koi he tou mujhe aus ki tasveer send karo!
ab koi pasand hoti tou hi send karta naa phir aik dum khayal aaya...
kiya khayal aaya? Amaya ne foran pocha...
bata tou raha ho bech me khud hi bolne lag jati ho mene waiter ko kaha k ye larki mujhe bohat pasand he meri or ais ki tasveer khench do me apni ami ko dikhao ga or kuch paise diye
waiter ne tasveer khench di or Qudrati wo tasveer aesi aai jise dekh kar lag raha tha waqai tumhara or mera koi scene he wo kehka laga kar hansaaa...
kiyon aesa kiya tha aus tasver mein Amaya halka sa muskurai...
aus tasveer mein tum haans rahi thi or me bhi or muskurahat tou wese hi tasveer me char'chand laga deti he wo muskura kar bola...
phir kiya ap ne wo tasver send ki Ramsha bhabi ko?
han mene send kardi or phir aus ne mera picha chora or mene tumhare sath mazaq kiya tha k mujhe koi pasand he mujhe kiya pata tha mera mazaq tumhari life pe itna effect kare ga..
ab wo tasveer kahan he?
wo tou mene ramsha ko send karne k baad delete kar di thi me rakh kar kiya karta mujhe konsa tum pasand thi...
tou kiya ap ne majbor ho kar shadi ki mujh se?  Amaya k chehre pe udasi chah gai
tumhein lagta he k koi mujhe Aliyan Mustafa ko majbor kar sakta he?
wo amaya ko dekhne laga
phir ap ne mujh se kiyon shadi ki?
agar tum chahti ho k me ye kaho k me tum se bohat muhabbat karta tha wagera wagera tou me aesa nahi kahun ga kiyon k waqai mujhe tum se koi tufani qisam ki koi muhabbat nahi thi
han tum mujhe achi lagne lagi thi tumhara ikhlaq wagera acha tha tum baqiyon se munfird lagti thi tabhi tum se shadi ki or me apne ais fesle par bohat khush bhi hon k tum jesi aik achi larki meri humsafar bani...
Aliyan ka andaz itna naram tha amaya muskura di or aus k dil pe lada boooj halka hogaya
yaani ap waqai khush hen ab wo apna sar Aliyan k seene pe rakhte hoe muskurate hoe boli
Aliyan ne apna hath aus k kandhon pe rakha ofcourse Amaya i am happy with you..
khair jo bhi howa acha hi howa mere mazaq k bad tumhare jane k bad hi tou mujhe ehsas howa tha k me tumhein pasand karne laga tha agar me mazaq na karta tum kabhi na jati na khud kuch batati na mujhe kuch pata chalta
tum sahi kehti ho ALLAH jo karta he behtar karta he!
wo dono muskura diye!
Ab khana bhi dogi ya bas pori raat batein karte guzar dogi wo shararti lehje me bola!
khana bhi mil jaega bas aik akhri sawal?
Amaya kitna bolti ho tum yar kuch hi der bad mere kanoo se khoon behne lage ga phone baja tou wo cell phone pe nazarein makroos kiye bola!
mujhe jana hoga office se call aa rahi he mujhe zarori kam he wo apna cell phone jaib me dalne laga
pehle mere sawal ka jawab dein wo foran boli or itni raat ko office?
Dekho me abhi ja raha hun kamao ga nahi tou khaae ge kahan se muhtarma!
han jaein mujhe ab koi baat hi nahi karni he mere bolne se tou ap ko problem hoti he wo barhbadane lagi....
Oh shukar ALLAH ka 'ziddi larki' ne agree tou kiya k tum bohat bolti ho wo phir se muskuraya!
jab ap ko pata tha Ramsha bhabi k bare mein tou fahad bhai ki shadi kiyon hone di auneh bataya kyon nahi ap ki wajah se aun ki tou zindagi kharab hogai na?
wo piche se chilai aliyan jate howe wahin rukk gaya meri wajah se?? aus ne lafz dohrae or murd kar amaya ko dekha
Madam meri wajah se kuch nahi howa me pakistan me nahi tha ye tumhein bhi pata he kuch business work k liye dubai gaya howa tha mujhe bas yehi pata chala tha k fahad ka rishta paka hogaya he or shadi bhi jaldi kar de ge
meri zain or fahad se baat bhi nahi hoti thi na me fahad se kuch poch saka jis din shadi thi aus din me aaya or Ramsha ko dekh kar me heran reh gaya k fahad ki shadi ais k sath par me kiya karta der hogai thi
or ramsha ka bata kar me fahad ka dil nahi kharab karna chahta tha wo ab aus ki bivi thi or pehle jesa kuch nahi raha tha...
mujhe ye samjh nahi aaya k Rasmha ne fahad se shadi kiyon ki? wo ache se janti he k fahad mera cousin he or shams ko wo kiyon ulta sikhaati rahi?
Me batati hun kiyon shadi ki aus ne? anaya ka phone aya tha aus ne bataya k hamare jane k bad fahad or ramsha ki bohat larai hoi or ghuse me ramsha ne sab kuch keh dya k me aliyan ko chahti thi amaya ne cheen liya i hate amaya wager wagera
fahad bhai ne ghuse me thapar mar diya tou wo or ziyada chilane lag gai k mujhe pata he tum amaya ko pasand karte the wagera wagera....
Aliyan heran reh gaya!
mujhe samjh nahi araha fahad bhai pe kiya guzar rahi hogi ain ka rishte agey chale ga bhi ya nahi Ramsha bhabi kiyon apna ghar kharab kar rahi hen?
Amaya tenshion na lo sab acha hoga fahad se bat hoi thi subha aus ne kuch bhi nahi bataya bas mazrat kar raha tha k aliyan ghar ana mat chorna me shams ko ramsha k qareeb bhi nahi jane doga
mene kaha me bhala tum logon k bina reh sakta ho kiya? mene bas ghuse me keh diya tha k hum ayinda nahi aaege or Amaya mere bina reh le gi par anaya k bina nahi wo muskuraya....
haa very funny amaya chirrd kar mau bana kar boli sab log jealous hote he meri or anaya ki dosti se wo bolti hoi kitchen ki tarf chal di...

                              --------*****-------*****--------*****-------
Ramsha shams aa raha he or khabardar jo tum aus k aas paas bhi dikhai di fahad ne do'tok bat kahi
Ramsha jo k mou banae apna bag pack karne me masroof thi aus ne koi jawab na diya
tum kahan ja rahi ho bag kiyon pack kar rahi ho?
Me ye ghar chor kar ja rahi hun aus Amaya ki wajah se tum ne mujhe thapar mara wo ghuse se chilai...
tum ne thapar apni harkton ki wajah se khaya or tum kiyon har bat mein amaya ko bech me le ati ho kiya tum nahi chahti k hamara relation acha ho
hum dono ko aik dosre ko samjhna chahiye amaya mera past thi or wese bhi me ause pasand karta tha wo tou mujhe pasand nahi karti thi
tumhara bhi to past tha kiya mene kabhi tumhein koi tana diya?
Ramsha ne koi jawab na diya or almari se kapre nikal kar bag me rakhti rahi
Ramsha mat jao tumhein kiyon samjh nahi aata Me nahi chahta k hamara ghar kharab ho fahad ause samjhane laga,
par ramsha bigri hoi bad'dimag larki thi ause kahan piyar ki zuban samjh aati...

fahad tum kisi cheez k layaq nahi ho tum ause pasand karte the jise aliyan le gaya or tumhein mili bhi wohi jise aliyan ne reject kiya
tumhare pas sab Aliyan ki chezein he khud ka tou kuch bhi nahi he infect bivi bhi nahi aus ne Ramsha ko bazu se pakra Ssssh bas bohat ho gaya khamosh aik dum khamosh
choro mera bazu aus ne fahad ko khud se dor kiya or mazeed bolne lagi ye kiya tum log har waqt shams shams lagae rakhte ho
me barbad kar don gi Amaya ko wo musalsal bole ja rahi thi fahad ka ghusa be'qabu ho gaya or aik bar phir aus ne thapar de mara
zalel orat tumhein zara sharam nahi he shohar se kese baat ki jati he me tumhein kuch kehta nahi hun ais ka matlab ye nahi k tum kuch bhi bolti jao gi
abhi or aisi waqt mere ghar se niklo...
apni shakal mujhe ainda kabhi mat dikhana fahad ki ankhon me ghusa tha, wo bechara or kitna bardsht karta akhir kabhi tou bolna hi tha...
Ramsha bag uthae wahan se chal di...
zain ka wahan se guzarna hoa tou Ramsha ko aus ne jate dekha bhai bhabi kahan ja rahi he bag le kar? aus ne foran sawal kiya..
Ais ka Dimag kharab ho gaya he mene ghar se nikal diya he mera tou naseeb hi kharab he bivi mili tou wo bhi bad'dimag or batdmez tabhi me kehta tha meri shadi na karo
agar achi tarah pehle hi aise jan liya hota tou me kabhi ais se shadi na karta thek kiya tha aliyan ne inkar kar k...
bhai ap ko aesa nahi karna chahiye tha ap log kiyon apna ghar kharab kar rahe he?
bhai zindagi koi chae ka cup thori hoti he k aik chamach shakkar mila kar zaiqe ki talkhi ko dor kar diya jae
zindagi ko tou umar k akhri lamhe tak ghont ghont peena parta he phir chahe talkhi kitni hi ziyada kiyon na ho
bhabi chahe jesi bhi he ap ko tou apna rishta nibhana hoga
fahad ne apne sar pe hath rakh liya zain hamara ghar abad hi kab howa tha pehle din se hi me ause bardsht kar raha tha har waqt wo amaya ko shams ko anaya ko tum sab ko bura bhala kehti rehti thi
me chup chap ignore karta tha k kiyon me koi larai nahi chahta tha
aus ne mujh se shadi amaya or aliyan se badla lene k liye ki thi ye alag baat he k aus ki koi bhi chaalein raang nahi lai phir aus ne shams ko apna hatheyar bana liya
me tang aa gaya hun roz roz ki laraiyon se..
mene Ramsha ko ghar se nikal diya he ais bare Aliyan ko batane ki koi zaroorat nahi he...
                         --------*****-------*****--------*****-----

Episode 24                    Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

kuch hi dino bad Anaya ne khush khabri suna di sab bohat khush the ghar me aik nanha mehman aane wala tha zain ki khushi ka tou koi thikana hi na tha....
Anaya tou sharam se pani pani ho rahi thi...
Aliyan bussiness meeting k liye out of city gaya hoa tha...
Anaya or zain ko kisi shadi me jana tha tou wo shams ko apne sath le gae Amaya ghar me akeli thi
wo isha ki namaz ada karne k bad jae'namaz teh laga rahi thi jab darwaze pe dastak hoi aus ne nazar utha kar dekha Gul khan darwaze pe khadra tha!
Gul khan tou yuu samjho Amaya ko sasural ki tarf se tohfe me mile tha
jab se ain ki shadi hoi thi Gul khan aini k sath karachi aa gaya tha or ab aik bar phir haveli se ain k sath wapas karachi aa gaya tha!
Amaya bibi wo niche Ramsha bibi aaya he ap ko bula raha he
Gul khan ka lehja pure phathani tha
Ramsha bhabi ais waqt aus ne dewar pe lagi wall clock pe aik nazar dali 9:30 ho rahe the
Fahad bhai bhi aae he?
Nahi Fahad baba tou nahi aae bibi akela he Gul khan ne foran jawab diya
ap auneh guest room me bithae me aati hun hukam milne pe Gul khan wahan se chala gaya
Ramsha bhabi aese achanak--- Ais waqt--- Fahad bhai bhi sath nahi---Amaya k dimag me sawal kisi aandhi ki tarah uthne lage
kuch hi der me Amaya niche aai chehre pe muskurahat sajae wo apne qadam guest room ki janib bardha rahi thi ..

Anaya or shams aik table pe behte the jab Anaya ki nazar samne table pe behti kiran pe padri jo kafi khush dikhai de rahi thi chehre pe bohat pursakoon muskurahat thi
Anaya zara chonki ye kiran yahan kese? or ye kafi khush dikhai de rahi he Anaya ne ab apna aik eyebrow opar uthaya or mazeed ause dekhne lagi
kiran ki nazar jab aus pe padri tou foran uth kar anaya ki janib chali aai or bohat purjosh andaz me aus se mili
Anaya kesi ho? ye tumhara beta he? tumhari shadi hogai? wo ab wahin Anaya k pas chair pe beht gai
shams jo k juice peene me masroof tha aus ne foran kiran ko muskurate hoe salam kiya
kiran ne bhi muskura kar ause salam ka jawab diya
Me thek hun or hanw meri shadi bhi ho gai he par ye mera beta nahi he Anaya ne foran jawab diya
kiran ki peshani pe kuch bal padre tou phir ye kon he? aus ne shams ki tarf ishara kiya jo ab bhi juice peene me masroof tha
ye Amaya ka beta he shams Anaya muskurai
Amaya ka beta--- kiran ne lafz dohrae or herani bhari nigahon se shams ki janib dekhne lagi or bohat piyar se aus k sar pe hath pherne lagi kuch hi pal me kiran ki ankhein namm hogai or wo shams ko chomne lagi
Mashallah bohat piyara he bilkul Amaya jesi chehre pe masomiyat or Aliyan jesi uthi hoi naak kiran aus k chehre pe hath pherte hoe boli
Aunty kiya ap shams ki complain karne aai he? wo juice ka glass table pe rakhte hoe bohat masomiyat bhare andaz me bola
complain? Shams ap ne koi shararat ki he? Anaya sawaliyan nigahon se aus ki janib dekhne lagi
Anaya ais ne koi shararat nahi ki actually bat ye he k me chalti hoi aa rahi thi tou mera cell phone bajne laga mene bag se cell phone nikala tou kuch paise niche gir gae
kuch hi der me shams mere pas Aunty ye ap k paise gir gae the wo apne nanhe hathon me paise pakre khadra tha
Ap ko paise kahan se miley? or ap ne mujhe pehle kiyon nahi diye?
mujhe laga ais ne apni Maa wagera ko bataya hoga or phir apni maa k kehne pe paise wapas dene aaya hoga
Aunty jab ap k bag se paise gire shams wahan se guzar raha tha tou shams ne utha liye ap ko bohat awazein di par ap ne suna nahi
Beta jhoot mat bolo agar ap ne paise wapas dene hote tou ap zor se chilate kiran zara sakkt lehje se boli
No Aunty shams jhoot nahi bolta mama kehti he good peoples tez nahi bolte hamesha ahista or narmi se baat karte he jab ap ne phone pe bat kar li tab shams ap ko paise dene aa gaya
aus ka lehja itna naram tha k kiran ko aus pe piyar aane laga Aww thankyou beta!
or aus waqt me dil me sochne lagi kitna acha bacha he ais ki maa ne kitni achi parwarish ki he ais ki jaga koi or bacha hota tou wo foran paise utha kar rakh leta k cheez wagera kha lunga par shams ne aesa nahi kiya
abhi jab mene shams ko tumhare pas behte dekha tou me surprised hogai k ye Anaya ka beta he anaya itni achi parwarish kese kar sakti he?
kiran ki baat pe Anaya ka mou sa ban gaya kiran tum ab bhi bohat mou'phat ho or tum kehna kiya chahti ho me achi parwarish nahi kar sakti? Anaya sakkt lehje se boli
N'nahi mera wo matlab nahi he Anaya tum tou bura hi man gai tum ab bhi har waqt action mood me rehti ho kiran maskharana adaz me boli
tum yahan kiya kar rahi ho or itni khush kese ho? Anaya se raha na gaya tou foran aus ki khushi ka raaz poch hi liya
jo dulha he wo mere husband ka dost he or meri khushi ka raaz he Amaya...
Anaya zara chonki-- or ause ghorne lagi
Anaya tum janti ho na mere shohar ka ravaiya mere sath bilkul bhi acha nahi tha or me apni zindagi se tang thi me apne kiye pe sharminda thi or Amaya se mafi mangna chahti thi
Amaya ne mujhe maf kar diya tha ause mujh se koi shikayat nahi thi aus k maf kar dene se meri tou jese zindagi hi badal gai or tum yaqeen karo
amaya ne bilkul thek kaha tha k Allah k khof se girne wala ansu beshak chota kiyon na ho lekin ais me itni taqat hoti he k wo samandar k brabar gunah mitaa deta he
mene sache dil se ALLAH se mafi mangi or mene namaz pardhna shuru kar di Allah ka karam hoa k faris ko factory me job mil gai or wahan ALLAH k aik naik bande se faris ki dosti ho gai
or aus shaks ki sohabat me reh kar faris ne nasha karna or sab bure kam chor diye wo faris ko namaz k liye bhi kehta he ab faris ahista ahista ache hote ja rahe he
meri zindagi jo jahanum ban gai thi wo Allah ki mafi se sawar gai mene amaya ka dil dukhaya tha amaya ki jaga agar koi or hoti tou wo mujh se larti,bad'dua deti mujhe sab k samne zaleel karti par amaya ne aesa kuch nahi kiya
wo sab kuch jante hoe bhi khamosh rahi yahan tak k aus ne kabhi Aliyan ko bhi nahi bataya or mujhe maf bhi kar diya ye sab amaya ki achi parwarish ka kamal he
sahi kehte he jesi parwarish hoti he insan wesa hi hota he amaya ki parwarish achi thi or aus ne agey apne bete ki bhi achi parwarish ki he or agar amaya mujhe maf na karti tou shayad ALLAH bhi mujhe kabhi maf na karta
mene kahin pardha tha agar ap kisi ka dil dukhao or wo insan ap ko maf na kare tou ap ki bakshish nahi he kisi ka dil dukhana bohat sakkt gunah he
ab kiran ki awaz gile me hi atak kar reh gai or aus ki ankhon se ansu behne lage....
Aunty ap ro kiyon rahi hein mama kehti hein bare log rote nahi he wo strong hote he shams ki mama tou nahi roti or shams bhi nahi rota me or mama strong he wo muskuraya
kiran ne piyar se aus ki janib dekha or apne hath ki pusht se apne ansu saf karne lagi hanw beta ap ki mama waqai bohat strong hein!
kiran ye tou bohat achi baat he k tum apne ghar me khush ho Anaya ne muskura kar ause aik side se gale lagaya
Anaya faris ki call aa rahi he me chalti hun Amaya ko mera salam dena or ho sake tou tum log kabhi ghar aana or shams ko bhi sath lana...
hanw Inshallah...
ab kiran aik bar phir shams ko piyar karne lagi or kuch hi der me wahan se chali gai...

Anaya se raha nahi gaya tou aus ne foran bag se cell phone nikala or Amaya ka number dial karne lagi
Amu ko kiran k bare me batati hun wo khush ho jae gi k kiran ki zindagi me ab sab kuch thek he ab aus ne cell phone kan pe lagaya
bell baj rahi he par ye amu call recieve kiyon nahi kar rahi Anaya ne lagatar do,teen bar number try kiya par agey se koi utha nahi raha tha
mera khayal he amu so gai hogi Anaya ne cell phone wapas apne bag me rakh liya..
Chachi ghar kab jae ge? shams ko nend aa rahi he aus ki ankhon me nend bhari thi or chehre pe bazariyat chai hoi thi
Beta bas abhi kuch der me khana kha kar chalte he or ap ki mama tou shayad so gai he call nahi pick kar rahi tou ap mere sath mere ghar chalo ge ok
Auf Chachi khana khana zaroori he kiya? aus ne mathey pe hath rakhte hoe sawal kiya
ofcourse zaroori he 100% Mehmano me se 85% Mehman shadi me khana khane hi tou ate he
tou kiya ap aun 85% Mehmano me se he Shams maskharana andaz me bola..
jis pe anaya ki hansi zara gayab hoi or wo bat talte hoe boli Agar ap bore ho rahe ho tou bachon k sath khel lo wo dekho kitne sare babies he wahan Anaya ne kuch bachon ki tarf ishara kiya
No chachi shams ko kahin nahi jana shams irritate ho raha he
irritate kiyon? Anaya ne aus ka gal thap'thapate hoe sawal kiya
shams jahan bhi jata he girls pakar leti he kitna cute baby he selfie lete he wo larkiyon ki naqal utarne laga
shams sab ko bata bata k thak gaya he k shams girls k sath selfies nahi banwata i don't like girls ab wo bechara ukta kar bola...
Aus ka bolne ka andaz itna cute tha k anaya hanse bina reh na saki or zor zor se hansne lagi..

Amaya or Gul khan lawn me khadre the!
Gul khan yahan jo kuch bhi howa he ap ais bare mein Aliyan ya kisi ko bhi kuch nahi batae ge!
par bibi---
please Gul khan....
                                 ------****-----*****-----******-------

Shams apne kamre mein udas behta tha!
Amaya aus k liye khana le kar aai shams kiya howa ap aese kiyon behte ho?
Mama shams ko Baba ki yaad aa rahi he shams ko baba se baat karni he par baba phone nahi utha rahe aus k chehre pe udasi thi
Aww Mama ka baby! beta baba meeting me busy honge jab cell phone dekhe ge tab call back zaroor karein ge
Nahi mama Baba ko mene abhi phir try kiya tha aun ka number ab band he aus k lehje me bohat udasi thi
Amaya ki hansi ab kuch gayab hoi call dekh kar tou aune call back karni chahiye thi phir number kiyon off kar diya?
par shams ka mood bhi tou thek karna tha chalo ham baba ko video whatsapp kar dete he jab wo online honge tab hamari video dekh kar hamein call kar lein ge
Ab shams k chehre pe madham si muskurahat aai!
Ab dono maa beta cell phone apne agey kiye video banane lage Asalam wa alaikum baba ap kese he? shams missing you please mujh se baat karein
shams ka ap k bina dil nahi lag raha ap ka bussiness trip kab khatam hoga? aik bar phir aus k chehre pe udasi chaaa gai
Aliyan dekhein mera tiger ap ki wajah se sad he ab foran wapas aa jaein or video dekhte hi hamein call karein ap ka cell phone kiyon off he?
do mint ki video bana kar amaya ne whatsapp pe send kar di...
shams ab tou ap khush ho na ab jaldi se khana kha lo baba video dekhein ge tou bohat happy honge k shams aune miss kar raha he...
Thankyou Mama! wo halka sa muskuraya or khane khane laga...


Aj Anaya aai hoi thi zain office jate hoe ause yahan chor gaya tha or aj sham tak wo yahin rehne wali thi
Amu tumhein pata he shadi me mujhe kiran mili thi wo bohat khush thi aus ka husband ab acha ho gaya he kisi factory me job karta he or sharab peena sab ulte kam aus ne chor diye he
kiran shams ko bohat piyar kar rahi thi or tumhein salam bhi de rahi thi aus ne aus roz ki tamam guftagu amaya ko batai..
Amaya jo k chae banane me masroof thi wo kiran ki khushi ka sun kar bohat khush hoi chalo acha howa wo apne ghar khush he ab wo chae cup me dalne lagi
Amu mene itna excited ho kar tumhein call ki thi ye sab batane k liye par tum ne recieve nahi ki kiyon?
Amaya ne aus ki baat ka koi jawab na diya ye lo chae aao bahar jhole me beht'te he
kiya tum so gai thi? Anaya ne apni baat jari rakhi
Amaya ne zara sar jhatkaya h'han me so gai thi..
Acha amu tum se aik bat pochun? Ab wo chae ka sip lete hoe boli
mere mana karne pe tum kon sa nahi pocho gi Amaya maskharana andaz me boli
yar jab ham namaz pardhte he tou hamare zehan me ulte ulte khayalat kiyon ate he hamara dehan kahin or kiyon chala jata he?
Anaya shehtan hamara dehan namaz se hatata he
Namaz pardhte hoe hamein ye khayal rakhna chahiye k hamara dehan namaz me hi rahe
Namaz me ALLAH PAK ka aik mutalba he jab ap namaz pardhein tou or koi na ho bas ap ho or ALLAH ho
Ab dekho ye aik glass he aus ne pas hi table pe rakha hoa glass hath me uthaya ais glass me chand pani k qatre he
ye mene ab ais ko ulta kar diya tou ab ais mein koi qatra nahi he
Anaya bohat dehan se aus ki batein sun rahi thi
ab ye glass Faraagh he "faraagh aik Arbic word he" ais ka matlab he kisi sheey ko aese khali karna jis me koi cheez na rahe
tou hamara rab kehta he jab mere pas aaya karo tou dil ko faraagh kar k aaya karo yani khali kar k aaya karo
pehli baat tou ye k 85% log namaz nahi pardhte or jo pardhte he auneh namaz banane ka shoq nahi hamein bas yahi shoq he ham apna ghar decorate kar le
aesi car le le, aese designer kapre pehan le
tou hamara rab bhi tou kehta he tu logon k liye banta sawarta he
kabhi mere liye bhi ban sawar k aa
har mard or orat se yahi mutalba he agar namaz pardho tou dehan se pardho apne dil faraagh kar k pardho
ham namaz pardhte nahi or jo log namaz pardhte he auneh ehsas hi nahi k ham kis k samne khadre he
hamare nabi ne farmaya: aey meri umat aik namaz bhi na chorna
Apni namaz or ikhlaq zinda karo...
Acha Amaya aik or sawal karun?
kal me behti thi tou mere zehan me aik baat aai Anaya khoe hoe andaz me boli
wo kiya?
Nabi pak s.a.w k ghar k pas aik budhi orat kachra phenka karti thi or aik orat ap k raste me kante bicha diya karti thi tou ye dono ortein kon thi?
kiya ais bare me tumhein kuch pata he?
Anaya ye do ortein nahi thi ye aik hi orat thi me batati hun wo kon thi..
Anaya sehdi ho k behti han batao mujhe jan'na he
Anaya tumhein pata he Abu Lahab ka real name Abd al-'uzza' he or Aun ko Quran pak me nam diya gaya he "Father of Flame" jis ka matlab he Abu Lahab
Or Abu Lahab Mohammad s.a.w k chachu he or aun ki bivi Umm jamil jo k ap ki chachi hein or umm jamil wohi orat he jin ka tum ne pocha he
or tumhein pata he umm jamil ko "the bearer of the wood" yani Lakdiyon ki almbardar bhi kaha jata he kiyon k
wo Mohammad s.a.w k raste mein kante daar lakdiyan bichaya karti thi or wo Mohammad s.a.w ki "next-door neighbour" yani parosi thi
or wo kachra bhi Mohammad s.a.w k ghar ki dewar k pas phenka karti thi..

Ab soorat lahab me ata he!
"Abu lahab k dono hath toot jaein or wo taba ho jae (ais ne hamare habaib par hath uthane ki koshish ki he)
aise ais k (morosi) maal ne kuch faida na phunchaya or na hi ais ki kamai ne
ainqareeb wo shulon wali aag me ja pare ga
or ais ki (khabees) orat (bhi) jo (kante'daar) lakdiyon ka bojj (sar par) uthae phirti he
ais ki gardan me khajoor ki chaa'al ka wohi rassa ho ga (jis se kanton ka ghat'ta bandh'ti he)

Amaya matlab wo orat nabi pak ki chachi thi? Anaya ka mou khula reh gaya
jee han wo orat umm jamil hamare Nabi pak s.a.w ki chachi thin
kuch roz jab auno ne kachra na pehnka tou Nabi pak ko maloom hoa k aun ki tabiyat bohat kharab he tou Nabi pak aun k ghar aun ki khariyat maloom karne gae
jab aun k ghar gae tou pocha chahci jan kesi tabiyat he?
Tab aun ki ankhon se ansu behne lage k Mohammad me tou tumhare sath bura karti thi tum phir bhi meri tabiyat pochne aa gae
Anaya wo ansu sharmindagi ya mafi k nahi the wo ansu sirf ais bat k the k bura karne k bawajod bhi Mohammad meri aayadat ko aae or Ap ki chachi ki mafi nahi he
hamare Nabi pak har bemar ki aayadat karne jate the or hamare liye bhi hukam he k ham bemaro ki aayadat k liye jaya karein goya wo hamare dushman hi kiyun na ho
Amaya tumhein kitni knowladge he kahan se sekhti ho?
bas mere Allah ne sikhaya he...
                  ----****----****-----*****-----


Aj Aliyan ko gae do hafte se ziyada ho gae the Amaya bohat pareshan thi Aliyan se koi contact nahi tha
wo din me kai bar phone try kar chuki thi par har bar Aliyan ka number off hi milta
Amaya ne office call kar k maloom kiya jis pe ause pata chala k business trip khatam hoe char din ho chuke he
Amaya mazeed tenshion me mubtala hogai char din ho gae or Aliyan ab tak ghar wapas nahi aae aus ne foran zain ka number dial kiya
zain ka cell phone bajne laga Amaya bhabi calling...
hello zain kiya tumhein pata he Aliyan kahan hen?
nahi bhabi kiyon khariyat?
Me pichle kuch dino se phone try kar rahi hun aun ka cell phone off he office maloom kiya tou pata chala business trip khatam hoe char din ho chuke he
par Aliyan ghar nahi aae akhir wo kahan gae koi call bhi nahi ki? Ab Amaya k lafz tootne lage aus ki ankhon se ansu behne lage
kiya bhai jan ghar nahi aae? Mujhe tou laga tha bhai aa gae honge zain bhi zara chonka
Aus raat office se call aai thi keh rahe the kuch zarori kam he tou chale gae or phir agli subha 10:00 baje call aai k me aik hafte k liye busines trip pe ja raha hun
aus pore hafte Aliyan contact me the phir achanak aun ka number off ho gaya ham ne video bhi whatsapp kiya par koi response nahi mila shayad auno ne video dekha hi nahi Amaya ki awaz me kapkapahat thi..
Bhabi Ap tenshion na lein apna or shams ka khayal rakhein me dekhta hun...

Shams udas behta tha chehre pe udasi, ankhon me jama hoe ansu wo table pe dono bazuon pe sar rakhe behte tha
Baba ap kahan chale gae hein shams missing you please come back soon...
ALLAH PAK me tou acha bacha hun na apni mama ko tang bhi nahi karta, mene itne din se koi shararat bhi nahi ki, baba ki har bat manta hun phir ap ne shams ko baba se dor kiyon kar diya?
please shams k baba ko shams k pas wapas bhej dein...

Amaya asar ki namaz pardhne me Masroof thi jab aus ka cell phone bajne laga!
aus ne salam pher kar foran call recieve ki zain kiya kuch pata chala Aliyan ka?
Nahi bhabi mene har jaga maloom kar liya he par bhai jan ka kuch pata nahi chal raha mene kuch jan'ne walon ko kaha he jese hi kuch pata chale ga wo foran mujhe inform kar dege
Amaya ne koi jawab na diya aus ki ankhon se ansu behne lage ause kuch samjh nahi aa raha tha wo kiya kare kahan ause dhonde aus ne phone band kar diya or dua mangne lagi
ALLAH PAK mera tere siwa or koi nahi he tu hi sab kuch deene wala he ham jo bhi mangte he tujh se hi mangte he
mere malik tu dilon k halat janta he tujh se kuch bhi chupa hoa nahi he
me nahi janti Aliyan ais waqt kahan he or aun ko kiya kiya mushkilat he par tu sab janta he
mein aun ki khamoshi or tu aunki Aah o baka sunta he
mein aun ko hanste dekhti hun par tu aun ko rote hoe dekhte he
mein aun ko bahar se dekh sakti hun jab k tu aun ki rooh tak se waqif he
ALLAH PAK me tujh se dua karti hun aun ko wo sab aata kar jo bhi aun ko zaroorat he agar Aliyan kisi musibat me he tou aun ki musibat ko dor kar me janti hun naseeb se ziyada qeemti dua hoti he
jab zindagi me sab kuch badal jae tab insan k pas dua hi bachti he jo naseeb badal deti he Allah pak hamare dilon ko ghumrah hone se bacha or hamein zindagi k tamam imtehano me qamiyabi ata farma!
Mujhe pora yaqeen he Aliyan jahan kahin bhi honge thek honge teri rehmat k sae me hon ge ALLAH PAK mujhe sabar karne ki tofeeq ata farma or jald hi Aliyan ko ham se milwa de Amen...

                                 -----****-----****------*****-------

Badar Alam or aun ki zoja kamre me behte the Anaya bhi aun k sath hi thi zain ko kamre me ate dekha tou Anaya aus ki janib lapki zain kiya hoa kuch pata chala Aliyan bhai ka?
zain ne koi jawab na diya or khamoshi se soffe pe beht gaya badar Alam uth kar aus k pas aae
zain kiya howa kuch pata chala?
zain k chehre pe udasi chai hoi thi wo apne baba k gale lag gaya Baba bhai jan ka kuch pata nahi chala police bhi dhond rahi he..
Amaya bhabi--zain k lafz wahin toot gae aus ki awaz gale me hi atak gai jese wo abhi ro de ga
kiya howa amaya ko? Mrs.Badar foran boli or uth kar zain k qareeb aa k behti
Ami me abhi Aliyan bhai k ghar se aa raha hun or mujh se bhabi ki halat dekhi nahi ja rahi thi auno ne apna dukh apni pareshani bohat ache se chupa li par mujhe phir bhi andaza ho gaya
k aun ki kiya halat he Aun ka kamal ka tawaqal he ALLAH par, wo kehti hein bhai thek honge ALLAH K hifz-o-aman me honge or shams wo 5sala bacha apne baba ko yaad kar k kis tarah ro raha tha
or bhabi ko daat deni chahiye auno ne kis tarah sabar karte hoe shams ko sumbhala howa he
me heran reh gaya jab bhabi chehre pe madham si muskurahat sajae shams ko samjha rahi thin k aus k baba jald hi ghar aa jae ge ALLAH PAK shams se or aus k baba se bohat piyar karte he wo shams k pas bohat jaldi aus k baba ko bhej denge
ab zain ki ankhein namm hogai wo mazeed agey kuch bol hi nahi paya...
Amaya Mashallah se bohat suljhi hoi bachi he ause mushkilat ko face karna ata he, ais me koi shak nahi k aus ka sabar or ALLAH pe tawaqal kamal ka he
wo khud chahe jitni bhi dukhi ho wo kabhi dosron k samne showoff nahi karti or shams ko samjhana koi asan bat nahi he wo bohat hoshiyar bacha he
amaya ko udas dekh kar wo kai tarah k sawal kare ga tabhi amaya ne ause kuch mehsoos nahi hone diya hoga...
Badar alam zain k kandhe pe hath rakhte hoe bol rahe the...
jee baba jan Amaya aesi hi he ause har sitution ko face karna ata he ause hamesha ALLAH pe yaqeen rehta he wo hamesha yahi kehti he ALLAH kabhi apne bando k sath bura nahi karta Anaya khoe hoe andaz me boli
shayad ause guzri hoi zindagi k kuch pal yad aane lage the!
Anaya chalo hamein ais waqt Amaya k pas hona chahiye Mrs.Badar ne Anaya ko chalne ka ishara kiya...
Zain hamein amaya k pas le chalo wo log jane k liye uth khadre hoe...  


Anaya Amaya ko dilase dene lagi tou amaya ne ause qail kiya mujhe kisi dilase ki zaroorat nahi he Anaya mera ALLAH mere sath he mujhe pora yaqeen he Aliyan jald lout aae ge
Amaya ki ankhon me ansu jama hone lage wo aj bhi ais maumle me pehle jesi hi thi wo dukhi hone ya pareshan hone k bawajood bhi kisi se kuch share nahi karti thi
bas ALLAH se har bat kiya karti thi ause logon k agey apni pareshaniyan batana nahi aata tha ya shayad wo apne dukhon ki numaish nahi karna chahti thi..
Amu please i'm your bestfreind we are more like sisters tum mere samne ye hiden feeling game nahi khel sakti okay i know, tum kitne pain me ho
tum har maumlon mein pehle se badal gai ho par ais hiden feelings k maumle me tum ab bhi pehle jesi hi ho Anaya zara ghuse se boli...
Amaya ne aus ki bat pe aik lamhi sans li Anaya mujhe samjh nahi aata Insaan Ki Haqiqat Kiya Hai....? wo khoe hoe andaz me mazeed bolne lagi
Insan Apni Marzi Ke Bina Duniya Me aata He,
or Apni Marzi Ke Bina yahan se chala jata He,
Bachpan Me Farishta Jawani Me shaitan,
Aur Budhape Me Bewaqoof samjha jaata He,
Ghareeb He Tou Fazool He,
Ameer He Tou Maghroor He,
Khairaat Karta He Tou shohrat Ka Bhooka,
Nahi Kare Tou Kanjoos He,
Mazhab Parast He tou jaahil kahlaata He,
Mazhab se Door He Tou Gunahgaar He,
Duniya Me Aata He Tou Har Koi use Choomna Chahta He,
Marne K Bad Har Koi Us se jaan Chhurana Chahta He,
Paidaish K Waqt Khud Rota He,
Aur Marte Waqt Sab Ko Rulaata He,
Aakhir ais insan Ki Haqeeqat kiya he? ab aus k dil bhar aaya tou wo anaya k gale lag kar rone lagi ...

                              ----****-----****------*****-------

Agle roz Amaya ka cell phone baja zain calling...
Bhabi-- zain k lehje me udasi thi aus ki zuban kuch bhi bolne me aus ka sath nahi de rahi thi
Zain kiya howa agey bhi bolo...
Bhabi wo bhai-- wo atak atak kar bol raha tha
Amaya k chehre pe rang safeed pardh gaya bhai kiya zain agey bhi tou kuch bolo
Bhai jan ka pata chal gaya zain ab bhi atak atak kar bol raha tha
Zain tum atak kiyon rahe ho Aliyan thek tou he? kahan he wo ghar kab aae ge? Amaya ne sawalon ki barish kar di
Zain ki awaz gale me hi dab kar reh gai
Amaya ka dil zoro se dharkne laga aus ki sansein jese ruk si gai Allah khair zain t'tum kuch bol kiyon nahi rahe ho?
Aliyan kahan hein? tum mujhe bata kiyon nahi rahe ais bar Amaya chilai
Hospital---wo Ba'mushkil itna keh paya
Hospital? Amaya tou jese sans lena hi bhool gai aus k hath se phone niche gir gaya or wo wahin zameen pe beht gai
Anaya kamre me juice ka glass hath me liye dakhil hoi aus k dosre hath me mobile tha or wo aus me nazrein makroos kiye zain ka number dial list se nikalne me masroof thi Amu ab ye juice pee lo
tum ne kuch bhi nahi kha---aus k lafz wahin toot gae jab aus ne nazrein utha kar amaya ki janib dekha jo zameen pe behte ro rahi thi
wo juice ka glass table pe rakh kar foran aus k pas aai Amu'amu kiya howa? amaya gum'summ behti thi aus ne koi jawab na diya
Anaya ne ause jhinjhodra kuch batao gi bhi k kiya howa?
Nahi Aliyan ko kuch nahi ho sakta wo thek he ALLAH PAK mujh se Aliyan ko nahi cheen sakte zain ko koi galat'fehmi hoi wo rote hoe anaya k gale lag gai
Anaya ne lapak kar zameen pe gira phone uthaya or aus ki touchscreen pe ungliyan pherne lagi par zain ki call kat chuki thi
Aus ne apne cell phone se foran zain ko call ki kuch der bell bajne k bad zain ne call recieve ki!
Hello zain kiya hoa he Aliyan bhai ko? anaya k chehre ka rang bhi udra hoa tha
Anaya bhai ka--wo ruk ruk k bol raha tha
zain bhai ka kiya agey bhi bolo
Anaya bhai jan ka bohat bura excident howa he wo pichle teen din se yahin karachi mein hospital me admit hein
zain ki awaz me khoof tha dukh tha ab aus ki awaz lard'khadane lagi thi
what excident? zain ye tum kiya keh rahe ho? tum ais waqt kahan ho?
Anaya mujhe subha police inspector ki call aai tou me foran aun k sath hospital aa gaya fahad bhai bhi mere sath hi he
Tum please bhabi ka khayal rakhna or aune hospital mat aane dena wo bhai ki halat dekhe gin tou najane kiya react kare gin
or hanw please shams ko ais bare me pata na chale wo bacha he wo pehle hi itna upset he ab apne baba ki ye khabar sune ga tou na'jane kiya react kare ga
me ause rote hoe nahi dekh sakta zain k lehje me bohat udasi thi
acha thek he Anaya ne phone band kar diya...
kuch hi der me shams kamre me dakhil howa aus ne zameen pe behti amaya ko rote hoe dekha tou anaya se sawal karne laga
chachi shams ki mama kiyon ro rahi hein?
kuch nahi beta mama k hand me pain ho raha he
shams apni maa k qareeb aya jo zameen pe behti ro rahi thi wo bhi apni maa k pas aa kar ghuntne tekay zameen pe beht gaya or apne nanhe hathon se aus k ansu saf karne laga
Mama ap mat roein ALLAH PAK ap ka hand jald hi thek kar dein ge agar baba ne ap ko rote hoe dekh liya tou wo mujhe dandte ge k shams ap apni mama ka khayal bhi nahi rakh pae
wo itni masomiyat se bola tha k amaya ko aus ka masoom chehra dekh kar or aus k bap ki halat ka soch kar rona aa gaya
aus ne foran shams ko gale se lagaya or rone lagi...
shams ap baba k liye dua karo baba thek ho jaein
Mama baba ko kiya hoa he ap ki baat hoi baba se? aus ne foran sawal kiya
Baba ki tabiyat kharab he wo keh rahe the k shams ko kehna ALLAH PAK se apne baba k liye dua kare ALLAH PAK chote bachon ki dua jaldi qabool karte he
Mama shams ne kal ALLAH Pak se dua ki thi k shams ko baba se milwa dein or dekhein aj baba ki call aa gai shams ki dua qabool ho gai ab me ALLAH PAK se dua karun ga
mere baba jaldi thek ho jae or foran ghar aa jaein...!
Mama ham baba k pas chalein?
Amaya k pas koi jawab na tha aik bar phir aus ne shams ko gale se laga liya wo Aliyan ko khoo dene ka tasawar bhi nahi kar sakti thi par shams ko dekh kar ause Aliyan ki halat ka soch kar ab dar lag raha tha
wo pareshan thi jami'jamai zindagi kahin muntashir na ho jae ain ki zindagi me aesa hi hota raha tha jab sab kuch thek hota tou foran kuch na kuch bigar jata Amaya or Aliyan ki zidagi me bohat tabdeliyan aa chuki thi
Amaya chup ho jao shams bacha he wo pareshan ho jae ga khud ko sumbhalo Aliyan bhai jald hi thek ho jae ge anaya ause dilase dene lagi...
Amaya ab uth khadri hoi hang kiya howa coat utar kar pehn'ne lagi
Amaya kahan ja rahi ho? aus ne anaya ko koi jawab na diya or ab wo stroller almari se nikal kar ause hijab ki tarah lene lagi
Mujhe hospital ka naam batao?
Amu tum wahan nahi ja rahi ho or me nahi bataon gi
Anaya mujhe hospital ka naam batao akhri lafz aus ne ghuse me khench kar bola
Anaya khamosh rahi..
Thek he mat batao me khudi maloom kar lo gi
nahi amu tum wahan nahi ja sakti wo bhagte hoe aus k raste me khadri ho gai
kiyon nahi ja sakti mera shohar wahan najane kis haal me he or tum bachon ki tarah harkat kar rahi ho Hato mere raste se tum mujhe address nahi bata rahi or na mujhe jane de rahi ho mujhe tum se ye umed nahi thi
aus ne anaya ko side me dakha diya shams ka khayal rakhna me ja rahi hun aus ne car ki chabi uthai or foran ghar se nikal gai..
Amaya meri bat tou suno amu-- anaya piche se aawazein deti reh gai
Amaya ne fahad ko call ki fahad bhai Aliyan kis hospital me hein?
Amaya tum kahan ho? tumhein yahan aane ki zaroorat nahi he ham he aliyan k pas
kiyon aane ki zaroorat nahi fahad bhai mujhe wahan aane ki zaroorat he mera shohar he wo or mujhe ais waqt aun k pas hona chahiye ap log kiyon mujhe wahan aane se rok rahe he
fahad ko phone mein gadriyon ki awazein sunai de rahi thi Amaya kiya tum car drive kar rahi ho?
jee hanw or me ais waqt 120 ki speed pe hun agar ap ne mujhe address na bataya tou acha nahi hoga
amaya dimag kharab he tumhara slow drive karo apna nahi tou apne bete k bare me hi kuch soch lo Fahad ne foran ause hospital ka naam or address bata diya
Amaya jo k ghuse or pareshani me thi shams k naam pe aus ne speed kam kar li or aus ka ghusa bhi kam ho gaya...!

Aliyan ICU mein behoshi ki halat me tha aus ka treatment chal raha tha Amaya Icu k bahar khadri ansu baha rahi thi or dil me duwaein kar rahi thi
zain ye sab kese howa?
Bhabi bhai ka excident hoa he or bhai pichle teen din se yahan admit he aun k pas phone bhi nahi tha jo doctors aun k cell phone k through ham me se kisi ko contact karte
police bhi har jaga talash kar rahi thi har hospital ka visit kiya yahan aae tou bhai ka pata chala or police ka kehna he k ye excident suddenly howa hoa nahi lagta...
or bhai k jism pe kuch Nishan bhi he jese kisi se larai wagera hoi ho
Larai par kis se? Excident suddenly nahi he tou kis ne kiya? kiya kar rahi he police pata kiyon nahi lagaya? wo chilai
Bhabi relax police apna kaam kar rahi he bhai jan khatre se bahar he ye last treatment he Inshallah bhai jan bilkul thek ho jae ge
Amaya ki ankhon se mazeed ansu behne lage ause ajeeb ajeeb khayalat aane lage
aese kese koi planning kar sakta he? Aliyan ki tou kisi k sath koi dushmani bhi nahi he phir ye sab...?
kisi ne aus ka hath pakra Mama ap Ab bhi ro rahi hen Baba ko kiya howa he?
shams ko dekh kar ause or ziyada rona aaya, kuch nahi beta baba ko fever he naa tou doctor uncle ne injection lagaya he baba kuch der me thek ho jae ge wo khud ko sumbhalte hoe boli...
tou phir ap kiyon ro rahi hen? ALLAH PAK shams se love karte he wo shams k baba ko thek kar de ge mama ap please mat roein
Amaya khamosh rahi anaya tum shams ko yahan kiyon lai?
ye bhi tumhara hi beta he zid kar raha tha k baba se milna he mama k pas jana he tou mujhe yahan lana para amu please chup ho jao ham tumhein yahan ais liye nahi aane de rahe the k tum bhai ki halat dekh kar pareshan ho jao gi
fahad bhai ap please shams ko ghar le jaein..
Nahi shams apne baba k pas rahe ga or shams ko abhi baba ko dekhna he please mama baba se milwa dein wo foran bola..
Shams ap abhi Baba se nahi mil sakte wo so rahe he aune rest ki zaroorat he ap yahan mama k pas beht jao or baba k uthne ka wait karo Fahad ause samjhane laga
Amaya k pas ab koi jawab na tha wo chup chap icu k bahar rakhi chair pe beht gai or ALLAH se duwaein karne lagi shams bhi khamoshi se aus k pas aa kar beht gaya...

                       -----****-----****------*****-------
kuch ghante guzar chuke the Aliyan ko ab tak koi hosh na aaya tha!
wo pichle teen din se behosh tha aus ki tang me zabardast qisam ki lagi thi or sar pe bhi kafi lagi thi
jese jese waqt guzar raha tha Amaya ki pareshani bardhti ja rahi thi aus ki duwaon me koi kami nahi aa rahi thi aus ki duwaein bhi bardhti ja rahi thi
aus ki zuban pe ALLAH ka zikar tha
wo isha ki namaz pardhne me masroof thi jab aus ne salam pheera tou Nanha shams bhi pas hi jae'namaz bichae aus k sath namaz pardh raha tha
wo masom 5sala bacha apni maa ko dekhte hoe apne hi tariqe se namaz pardh raha tha
Ab shams ne dua k liye hath uthae ALLAH PAK please shams k baba ko thek kar dein shams ki mama or shams bohat sad he aamen...
Amaya ab bhi namaz pardhne me masroof thi shams jae'namaz utha kar aik side me khadra ho gaya or apni maa ki namaz mukamal hone ka intezar karne laga
Ab amaya ne dua k liye hath uthae or dua karne lagi aus ki ankhon se mote mote ansu beh kar aus ki hatheliyon me gir rahe the...
Amaya ki dua mukamal hote hi shams foran aus k pas aaya or aus ka hath sehda kar k aus ki ungliyon pe apni ungli pherne laga
shams ye ap kiya kar rahe ho?
Mama shams ap k hath ki ungliyon pe tasbi pardh kar apna thora ajar ap ko de raha he wo bohat masoomana andaz me bol raha tha
Shams Quran-E-Hafiz bane ga tou baba tou shams k sath jannat me jae ge par shams ap ko bhi apne sath jannat me le jana chahta he shams ko jannat me bhi ap hi mama chahiye ho,
aus ka lehja itna naram or masoomana tha k amaya ko aus pe toot kar piyar aane laga
aus ne shams ko mathee pe choomte hoe ause gale se laga liya...
Kahan se seekhi ap ne aesi baatein?
Baba se ais bar aus ne ye nahi kaha k "Apne ap se"....!
kuch hi der mein fahad ne ause aa kar bataya k Aliyan ko hosh aa gaya he
aus ne aik bar phir Dua k liye hath uthae or Apne ALLAH ka shukar ada karne lagi...
shams ab ap zain chachu k sath ghar jao ap ache baby ho naa? mama ki baat mante ho na?
Thek he pehle ap promise karein ap baba ko apne sath ghar le k aae gin
ok promise Inshallah me baba ko ghar zaroor le kar aao gin aus ne apne ansu saf karte hoe wada kiya..
kuch hi der Me Amaya aus k pas gai wo ankhein band kiye leta hoa tha ause dekh kar amaya ki ankhon se mote mote ansu behne...
Tum aa gai Amu chehre pe madham si muskurahat sajae aus ne apni band ankhein kholi
Amaya bilkul aus k samne hi khadri thi kiya howa ro kiyon rahi ho?
Amaya khamosh rahi jese kuch kehna chahti ho par awaz gale me hi daab gai ho...
fahad ye kiyo ro rahi he me thek hun..
fahad mau latkae khadra tha kiya hogaya he sab ko me thek hun mara nahi hun sab aese mau latka kar kiyon khadre ho?
fahad anaya chachu kiya ho gaya he? Amaya mera beta kahan he?
chup aik dum chup ho jaein wo chalte hoe aus k qareeb aai pehle ghar se bahar chale gae, phir phone kiya k business trip pe ja raha hun, phir cell phone switchoff kar diya,
ap ko hamara koi khayal nahi ap ko tou bas apni marzi karne ka shoq he but atleast phone tou off na karte ab aus ne phir rona shuru kar diya
zara bhi andaza he meri kiya halat ho rahi thi mujhe ap se koi bat nahi karni wo rote hoe wahan se chali gai
wo chehre pe muskurahat sajae khamoshi se amaya ki baatein sunta raha tha or ab ause jate hoe dekh raha tha...
Aliyan beta kesi tabiyat he? Amaya ka bura na manana wo bas pareshan he tumhari ghumshudgi ne ham sab ko pareshani me dal diya tha
Amaya ki halat ham se dekhi nahi ja rahi thi or shams wo tumhein din raat yad karta tha
Badar chachu mujhe khud samjh nahi aaya ye sab kese howa or me janta hun amaya pareshan he zara ghusa he tabhi aese behave kar rahi he...
acha tum aram karo ziyada bolna mat or ziyada sochna bhi mat Allah ka shukar he tumhari zindagi bach gai bas or hamein kuch nahi chahiye...
fahad aus k pas behta aus se hal chal pochne laga
zain kahan he wo nahi aaya? zain nazar na aane pe aus ne sawal kiya
zain aaya tha ausi ne tou ham sab ko khabar di thi wo do hafton se tumhein dhondne me laga tha shams zid kar k anaya k sath aa gaya tha tou amaya ne zain k sath ause ghar bheja he shams ko chor kar wo ata hi hoga...
Amaya Aliyan k samne ziyada rona nahi chahti thi wo ause pareshan nahi karna chahti thi wo ghar chali gai thi
Agley roz Aliyan ko hospital se discharge kar diya gaya or wo ghar aa gaya...

Aliyan neavy blue shalwarkameez me malboos shawl khandhe pe lapete kamre me dakhil howa Amaya bhagte hoe aai or aus k gale lag kar rone lagi
aus ne apna bayan hath amaya k bazu pe rakha Amaya ab bas bhi karo or kitna ro gi?
Abhi mere marne me bohat time he aus ne amaya ko khud se alag kiya
Aliyan ap hamesha itni kardvi batein kiyon karte he?
aus ne Aliyan ko pakar kar bed pe letaya shams bhagte howe aaya
Baba Baba ap aa gae ab ap ka fever kesa he?
jee hanw mere bete i'm fine ap kese ho baba ko miss kiya tiger ne? aliyan ause piyar karne laga
Baba mene ap ko bohat miss kiya ap ko pata he shams ne koi shararat bhi nahi ki ap k bina mera dil bhi nahi lag raha tha
kiyon mere bete ne shararat kiyon nahi ki mama ne dandta he kiya?
nahi ap dandtne k liye nahi the na tabhi shararat nahi ki wo halka sa muskuraya
awww mera shararti beta bohat tez hogae ho kahan se seekhte ho aesi baaten?
apne ap se wo muskurate hoe bola or aus k gale lag gaya Baba ab ap shams ko chor kar kahin nahi jae ge na? ab aus k lehje me thori udasi thi
Nahi me apne bete ko chor kar kahin nahi jaon ga wo ause piyar karne laga
Amaya kapre hang karte hoe Aliyan ko ghoor rahi thi...
chalo jao shams so jao ja kar subha school bhi jana he...
Shams ruko mujhe bhi sath le chalo mujhe tumhari mama se bohat dar lag raha he dekho kese ankhein dikha rahi hen...
Baba lagta he aj ap ki pitai hogi shams ye kehte howe foran bhaag gaya
ruko zara shehtan ziyada baatein aagai hen amaya aus k piche bhagne lagi..
choro bhi bacha he tum aao yahan ab beht kar kuch baatein bhi karo gi ya bas dandti raho gi?
ap mujh se baat mat karein aus ne saakt lehje me jawab diya...
acha thora sa muskura hi do..
aus k lehje me itna piyar or narmi thi k amaya khud ko rook na pai or muskura di..
ye cheez dekha adha tou me tumhari muskurahat se hi thek ho gaya hun wo shararti lehje me bola...
acha ab ziyada makhan na lagae me soop la rahi hun or wo ap ne peena he or phir medicins bhi khani he

Agle roz subha se hi guest aa ja rahe the Aliyan ki tabiyat ka maloom karne sham me Mrs.Badami aain
Mrs.badami fahad ki nebiour hen!
Aliyan beta kese ho? mene tumhara suna me tou dar hi gai bohat duwaein ki ALLAH tumhein sehat de chota bacha he tumhara fahad ki tarah tumhara ghar bhi kharab na hojae..
kiya matlab fahad ki tarah? aliyan herani se bola
ap logo ko nahi pata fahad ne Ramsha ko ghar se nikal diya he dono ki khoob larai hoi
kiya ghar se nikal diya amaya ne lafz dohrae...
oh i'm sorry mujhe laga ap logo ko pata hoga tabhi mene pocha khair ALLAH tumhein sehat de me chalti hun
wo jane k liye khadri hoi piche se anaya ne aune tooka Mrs.Badami ap ko bohat maza aata he logon k ghar ki baat yahan wahan phelane ka thek kehte he mohale wale ap jab bolti he be'tuka bolti he ALLAH na kare jo Bhai ko kuch ho!
Anaya ki bat pe Mrs.Badami ka mou sa ban gaya maf karna Bibi ap bohat mou'phat or chalak hein or chalak larkiyan apne shohar ko qabu me rakhti hein or tum ne bhi zain ko qabu hi kiya hoa he auno ne bhi do'tok jawab diya
Mrs.Badami ap apni limits cross kar rahi he atleast ap ki beti ki tarah tou nahi ho jo chalak hone k bawajod bhi ghar na basa saki Anaya bhi larne k mood me thi
Chup ho jao Anaya Mrs.Badami please ap bhi khamosh ho jaein Amaya ne dono ko tooka!
Mrs.Badami tou mou bana kar chali gai ab anaya bhi mou banae khadri amaya ko ghor rahi thi
Kiya howa mujhe kiyun ghor rahi ho tum ne hi start kiya tha tou zahir he aun pe bhi jawab dena farz tha or waqai tum mou'phat ho amaya hansi dabate hoe boli
Anaya tum ne bataya kiyon nahi k fahad or ramsha ki larai hoi he apne ghar ki baatein humein logon se sun'ne ko mil rahi he kiya ye achi baat he?
wo aliyan bhai fahad bhai ne mana kiya tha batane se or amaya tum already tense thi tou hum ne batana munasib nahi samjha, anaya ne tamam baat batai acha amu tum batao kuch pata chala aun ka?
nahi abhi tak tou nahi pata chala police koshish kar rahi he amaya k chehre pe udasi aa gai...
Amaya humein aun dono ko samjhana chahiye aese tou ain ka ghar kharab ho jae ga
fahad bhai ko samjhae ab tou aun k yahan bhi nanha mehman aane wala he Anaya foran boli
jis pe Amaya or Aliyan heran reh gae par wo khush bhi the
han me fahad se baat karun ga agar ause apne bache ki fikar hogi tou wo Ramsha ko zaroor ghar wapas le aae ga wese ais bare me fahad ne mujhe bataya nahi ....
Amaya kisi soch me gumm hogai
kiya hoa amaya kiya soch rahi ho?
kuch bhi nahi
kiya tumhein ais bare me pata tha?
Nahi mujhe kisi ne nahi bataya abhi anaya se pata chala he khair ap aram karein mujhe kuch kam he wo kamre se bahar chali gai...
                            --------****--------****--------*****------


Raat k 10:00 baj rahe the jab Aliyan nend se bedar howa Amaya Amaya!
wo amaya ko awazein dene laga par amaya ki tarf se ause koi jawab na mila
aus ne uth kar yahan wahan amaya ko talash kiya par wo ause kahin na mili Gul khan aus ne awaz lagai
jee Aliyan Baba? wo bhagta hoa aaya
Amaya kahan he?
Gul khan jo hath bandhein khadra tha wo zara uljhan ka shikar howa k kiya jawab de
mene kuch pocha he?
Ham nahi bata sakta bibi ne mana kiya he wo nazrein jhukae bola
Gul khan Ais se pehle k mujhe ghuse aa jae or ap k sath buri tarah pesh aaon ap khudi bata dein Amaya kahan gai he?
aus ne zara Gul khan ko daraya...
wo Amaya bibi Ramsha bibi k ghar gai he Gul khan ne aus raat ka tamam qisaa Aliyan ko sunaya!
Aliyan ka chehra ghuse se lal ho gaya Amaya ko mat batana k tum ne ye sab mujhe bata diya he aus ne Gul khan ko mana kiya
ji ham bibi sahiba ko Nahi batae ga...
Aliyan dobara kamre me ja kar let gaya or pichle dino ki tamam baatein yaad karne laga wo apne excident wala lamha yaad karne laga wo kuch samjhne ki koshish kar raha tha...
adha ghanta guzra tha jab Amaya ghar wapas aai Amaya ko ata dekh Aliyan ne ankhein band kar li or amaya ko laga k wo ab tak so raha he wo bhi chup chap so gai...

Aliyan k excident ko kai roz guzar chuke the ab aus ki tabiyat pehle se behtar thi wo ab bilkul thek tha
Aliyan jeans T'shirt pe jacket me malboos aik caffe me behta tha shayad wo kisi ka intezar kar raha tha ause yahan behte taqribann aik ghanta hone ko tha
wo ab uth kar wahan se jane laga wo caffe se bahar nakla zain ne wahan se guzarte hoe Aliyan ko dekha tou foran car wahin rok di
Aliyan caffe k bahar khadra yahan wahan dekh raha tha jab zain aus k pas aaya
Aliyan bhai jan ap yahan kiya kar rahe he?
kuch nahi bas wese hi coffee peene aaya tha ab wo wahan se chalne laga
bhai jan ap pedal ja rahe he ap ki car kahan he? or jahan tak mujhe pata he ap ko ais caffe ki coffee bilkul pasand nahi he tou phir----? wo wahin ruka
Zain mera dil chah raha tha yahan aane ko tou me aa gaya or mera dil chah raha he pedal chalne ka mujhe der ho rahi he ALLAH HAFIZ
Aliyan foran wahan se nikal gaya...
Amaya or shams badar alam ki tarf gae hoe the bari mehfil lagi hoi thi
Hina chachi samaira k nikkah ki shopping karne karachi aai hoi thin or Auno ne do din tak anaya or amaya se khoob shopping karwai
abhi wo market se thaaki haari aai thin Mrs.badar khana lagane me masroof thi
Sab dopher k khane k liye daining table pe the sab khana shuru hi karne wale the
Shams ap ne BISMILLAH pardhi? Amaya ause dekhte hoe boli
jee Mama shams ne pardhi he par mama khana khate waqt Bismillah pardhna kiyon zaroori he?
Beta Bismillah pardhna bohat zaroori he sirf khane khate waqt hi nahi bal'kay har kam shuru karne se pehle Bismillah pardhni chahiye
Bismillah pardhne se hamare kam me barkat hoti he
Ap ko pata he Hamare Nabi pak s.a.w ne farmaya: jab Dastar'khuwan bichaya jata he tou ause char'hazar farishte gher lete he or shetan bhi wahan phunch jata he
par jab koi Insan Bismillah pardhta he tou Farishte aus k liye dua dete he or kehte he k ALLAH tumhare khane me barkat de or shetan se kehte he k nikal ja
Aey fasiq, k tujh ko ain logon par ab kuch aikhtiyar nahi he or jab khana kha kar farig hote he or Shukar'Alhamdulillah kehte he tou Farishte kehte he k ALLAH ne ain logon ko Nemat ata farmai
or aino ne shukar apne khuda ka kiya or barkat ki...
Shams bohat Dehan se apni Maa ki baatein sun raha tha wo hamesha apni maa ki har baat dehan se suna karta tha
Amaya ause apne islam k bare me batati rehti thi or shams bhi bohat dilchasbi se suna karta tha..
Mama Agar ham Bismillah Na pardhe tou kiya hoga?
Beta jab ham ALLAH ka naam le kar khana shuru nahi karte or bagair Bismillah pardhe khana shuru kar dete he tou Farishte shetan se kehte he k Qareeb aa ja
Aey Fasiq! or khana kha ais k hamrah ais liye k aino ne khana shuru karte waqt Bismillah nahi pardhi-- tou phir tamam shayateen khane me shareek ho jate he or
tamam barkat uth jati he ab samjhe ap k Bismillah kiyon zaroori he? wo muskurai
Maa ki muskurahat dekh kar Shams k chehre pe bhi madham si muskurahat chaa gai jee Mama ab shams har kam karne se pehle Bismillah pardha kare ga...
Very Good chalo ab sab Bismillah pardh kar khana shuru karo Mrs.Badar muskurati hoi boli...
Mashallah Amaya tum tou abhi se hi shams ko har cheez sikhane lagi ho waqai tum aik achi larki hone k sath sath aik achi bivi, aik achi bahu or bohat achi maa bhi ho
ais bar Hina chachi bhi muskurate hoe aus ki tareef karne lagi...
khane k baad sab guest room me behte the jab shams Amaya k pas aaya!
Mama ap log roz market kiyon jati hein?
beta ap ki phupo ki shadi he na tou aus ki shopping kar rahe he aus ne muskurate hoe jawab diya...
Amu aao me tumhein kuch dresses dikhati hun please mujhe batao kesi he agar achi nahi he tou me exchange karwa lungi Anaya ause apne bed room me le gai..
Ab wo aus ki dreses dekhne lagi Anaya MASHALLAH sab dreses achi he or tum itne kapre kiyon leti ho or pehanti bhi nahi ho
tumhein pata he qayamat k roz hamein apni har cheez ka hisab dena he or ye jo itne sare kapre he na ain ka bhi hisab hoga
jo kapre tum pehanti nahi ho wo tum kisi gareeb ko de do atleast koi tou pehanne..
kiya kapro ka bhi hisaab dena hoga? Anaya ki ankhein phaati
jee hanw tabhi me extra kapre nahi leti jab koi event ho tab hi leti hun or jo kapre me nahi pehanti wo me kisi gareeb ko de deti ho badle me duwaein bhi mil jati he amaya zara muskurai
Amu phir jo actress hoti he aun k pas tou lakhon kapre hote he wo kese hisab den gi?
ab ye tou mujhe nahi pata medam ap zara zain ki kamai pe halka hath rakhein sare paise lagta he tum kapron me udra deti ho amaya ause tang karne lagi
Anaya ka mou sa ban gaya...!
Anaya roz-e-qayamat har cheez ka hisab hona he ham paise kahan kahan kharach karte he?
ham pani zaya karte he,
kisi ki amanat me khayanat karte he,
kisi ki chez aus ki ijazat k bina use karte he har cheez ka hisab kitab hoga kiya ais bare me tumhein kuch pata bhi he Anaya...?
Anaya ne naa me gardan hilai

"ALLAH NOORALSAMATWATWALARZ"
"ALLAH ne pukara! he koi jo meri aik Amanat ka bojj utha sake"
ye sun kar samandar ki sansein tootne lagin
pahad bibat se larazne lage
pori qainaat par larza taari ho gaya
kisi ko taqat na thi k wo ye bojj uthata
phir ALLAH ne wo amanat insan ko sonp di
or insan aise uthae maztarb or sar'garda he
ye qainat ka sab se bara sabar he
wo amanat ALLAH ki tamam safaat ka par'tu he halka sa aks
ALLAH ne apni tamam safaat insan ko sonp di, Reham,karam,qabar,jabar, pori 99safat or apna aism-e-zaat noor se likh kar pehle hi ais k dil me rakh diya
ALLAH ne jab jin or malaik ko hukam diya k adam ko sajda karo tou wo shirk ka hukam Na'aozubillah nahi diya tha
wo sajda Adam k liye nahi tha bal'kay wo tou aun k dil me mehfooz aism-e-zaat k liye tha
ALLAH k liye tha...
Ais liye aik sha'air ne kaha k mein wo aism'azeem hun jis ko jin or malaik na sajda kiya tha
phir apni 99safaat ka aks insan par dala tou ais ne ye bata diya k insan ais ka khalifa, ais ka na'aib he
ais me itna sabar he k wo ye bojj utha sakta he
tou insan me raheemi bhi he, jabari bhi he, or qahari bhi he
Ab insan ka sab se bara masla ain safaat k darmiyan tawazan qaim rakhna he
Rehmaton ka or safaat ka ye tawazan sirf aik insan ne qaim kar k dikhaya he or wo hein
Rehmat'ul'lil'Aalameen Hamare piyare Nabi s.a.w yuun Insaniyat sarkharu hoi or amanat ka haq ada howa....

Amaya aj phir tum ne mujhe bohat achi baatein batai he mujhe or jan'na he Roz-e-Qayamat Kiya kiya sawal honge?
Thek he me tumhein batati hun wo zara sehdi ho kar behti
Anaya tumhein pata he
Nabi pak s.a.w ne farmaya: Qayamat k din ibn-e-adam k qadam apni jagah se hatne na pae ge
jab tak aus se panch(5) chezon k bare me sawal na kar liya jae ga
1:Ap ki umar kin baton me khoi yani zindagi kin chezon me guzari?
2:Apni jawani kin baaton me ganwai?
3: Mal-o-dolat k bare mein k kese kamaya?
4: Or kin baaton me paise kharach kiye?
5:or Akhri sawal ye k ilm seekh kar ais par amal kahan tak or kitna kiya?
or Aik hades me bataya gaya he k qayamat k din ALLAH PAK ki adalat se koi shaks hatt na sake ga
jab tak k aus se ain panch sawalat ki jawab talbi na kar li jae gi
or ain panch cheezon or nematon ka hisab har shaks ko lazim dena hoga..
Anaya Ais hadees me ye samjhaya gaya he k ALLAH ne Insan ko duniya me jo saman hayat diya he ais k zarre zarre ka hisab dena hoga
or tumhein pata he Surat Alhakum'altakasur ki Akhri aayat ki ye hades tafser he..
Insan tab tak ain panch sawalon ka jawab nahi de sakta
jab tak wo duniya me khuda ka banda ban kar na rahe or zindagi k har mamle me ALLAH k ehkam ki pervi na kare...

Amaya insan tou kabhi ais bare me sochta hi nahi he k wo paise kahan se kama raha he kese kama raha he haram he ya halal?
or paise bhi ham bohat kharch karte he
or hamari jawani tou fazool kamon me guzarti he Anaya sochun me pardh gai ...
Me kuch kapre dongi tum kisi gareeb ko de dena or ainda me pori koshish karun gi fazool kharach na karun...
tumhein pata he me ab namaz pardhte waqt dil khali kar k namaz pardhti hun pora dehan k sath shuru shuru me mujhe mushkil laga tha par phir ahista ahista adat hogai
agar ham dil se koshish karen tou sab ho sakta he...
Amu kabhi kabhi mujhe ye samjh nahi aata k hamari zindagi ka maqsad kiya he? wo sochte hoe boli
Me tumhein batati hun Zindagi Ka Sab Se Bada Maqsad Kiya Hona Chahiye?
zindagi ka maqsad ALLAH PAK Ko Razi Kar k Jannat me jana or dozakh se nijat hasil karne ka hona chahiye
ab ham aik nazar zara apni zindagi pe dalein kiya hamare Aamal aese he k hum ALLAH PAK ko razi kar sake?
ham jannat paa sake?
ham Rab k hazoor khadre ho sake?
nahi Anaya hamare koi amal aese nahi he agar ALLAH hamare Amal dekh kar hamein deta tou ham Amer na hote hamare pas paisa na hota hamare pas kuch bhi na hota
ALLAH PAK ne insan ko hamesha aus ki oqat se bardh k diya he par ham phir bhi Na'shukre he ALLAH ka shukar ada karne k bijae aus se shikayat karte he k Tu ne hamein ye nahi diya wo nahi diya
par kiya kabhi kisi ne ye socha he k hamare amal kese he? shukar karo k hamara Rab hamare Amal dekh kar nahi deta warna ham khali hath hote
Agar ham ne ALLAH ko Razi kar liya tou Automatically jannat hamari muntazir hogi or dozakh se nijat mil jae gi..

Zindagi ka maqsad kiya he? Akhir ALLAH PAK ne hamein paida kiyun kiya he?
kiya ALLAH PAK ne hamein ais liye paida kiya he k ham ais duniya me Ayashi karein,
Galiyan dein,
hamari har baat ka agaz jhoot or geebat se hota he or ausi pe khatam ho jata he
Maa bap ki na'farmani karna,
har aik ko bura'bhala kehna,
har kisi k liye bura sochna,
kisi ko khush dekh kar aus se hasd karna or aus ki zindagi barbad karne ki koshish karna,
hamare mawshre k Mardon ki har bat ka agaz gali se shuru hota he or har bat ka ikhtitam gali pe hota he,
Mobile paisa chen'ne k chakar me kisi ko qatal kar dena,
or har wo kam jo hamare mawshre me ho raha he jis se ALLAH or aus k piyare Nabi or Quran PAK or Islam ne hamein karne se mana kiya he
Par wo sab kam ham kar rahe he kiya ALLAH ne hamein aisi liye paida kiya he ya hamari zindagi ka maqsad kuch or he?
jo k ham ne bhula diya he ham har waqt shetan k batae hoe raste pe chalte he or bura kam karte he
or qabar ko tou jese ham bhool hi gae he jese ham ne kabhi marna hi nahi he dozak k azab ko bhool gae he
ALLAH or Nabi pak ko bhool gae he ham sab kehte h k ham ALLAH or Nabi pak s.a.w se bohat piyar karte he par kiya kabhi ham ne apne dil se pocha he k kiya waqai ham apne Rab or Nabi se piyar karte he?
Agar Ap ka dil kehta he k han ham waqai apne rab or Nabi pak se piyar karte he tou phir jo ham ais duniya me kar rahe he jo hamare mawshare me ho raha he wo kiyun ho raha he?
Deen ki bat sun'ne or samjhne k liye hamare pas waqt nahi hota namaz pardhne k liye hamare pas waqt nahi hota par or dosre fazool kamon k liye hamare pas waqt hi waqt he

Anaya jo k bohat gor se aus ki baatein sun rahi thi aus ki ankhon me ansu jama hone lage or ab amaya ki ankhein bhi namm ho gai thi
Anaya Allah pak ne hamein ain sab chezon k liye paida nahi kiya he ALLAH PAK ne hamein apni ibadat k liye bheja he,
islam ki taleemat ko aam karne k liye bheja he,
islam ki taleemat pe amal karne k liye bheja he,
Nabi pak k batae hoe raste pe chalne k liye bheja he,
Nabi pak ki zindagi hamare liye aik namoona he jis ko hamein follow karna chahiye jo k ham nahi karte
ham log hi kehte he k zindagi aik dafa mili he enjoy kar lo bilkul enjoy kar lo lekin limit me reh kar
Ab limit kiya he?
Wo jo islam ne batai he k hamein kiya karna he or kiya nahi, kiya cheez hamare liye haram he or kiya halal?
Anaya ye jo ham bolte he na k yar zidagi enjoy kar lo zindagi bas aik bar hi tou milti he jo karna he kar lo
kiya kabhi socha he ya ham sahi kehte he ya galat?
Agar ye bat angrez ya hindu kahe tou samjh bhi aati he kiyun k wo marne k bad dobara zinda hone pe yaqeen nahi rakhte
ALLAH par iman nahi rakhte,
Hazrat Mohammad s.a.w ko ALLAH ka akhri nabi nahi samjhte,
jannat or dozak k concept pe yaqeen nahi rakhte,
Qabar k azab par yaqeen nahi rakhte,
Mout k bad dobara zinda hone par yaqeen nahi rakhte,
aun ka ain chezon par eman hi nahi he!
han agar wo zindagi ko enjoy karein, har bura kam kare, jis se hamein roka gaya he tou ye baat samjh aati he kiyun k aun k liye ye duniya he jannat he
jab k ham musalmano k liye ye jagah aik imtehan ki tarah he jis ka result Roz-e-qayamat aae ga
agar ham pass ho gae tou jannat or agar fail ho gae tou dozak...!
ham musalmano ki ye zindagi arzi he or Musalman marte nahi aun ka inteqal hota he ham aik jagah se dosri jagah mutaqil kiye jate he or qayamat k din hamein dobara zinda kiya jae ga
or phir hamara hisab kitab hoga or aus k bad zindagi shuru hogi jo kabhi na khatam hone wali zindagi hogi
or wo base karti he ais zindagi par jo ham ais duniya me guzar rahe he
Agar ham ALLAH k batae hoe Raste pe chale ge, bure kam se bache ge, haram chezon se bache ge,
Namaz ki pabandi rakhe ge, apna ikhlaq acha rakhe ge, gunah se bache ge or naik amal kare ge tou Roz-e-qayamat hamein jannat me jane ki khush'khabri mile gi
Sab ko pata he k jawani ki ibadat ALLAH ko bohat pasand he tou hamein Allah ki ibadat karne me koi masla nahi hona chahiye
baat sirf itni si he k hamein ALLAH ne apni ibadat k liye paida kiya he or zindagi kis tarah guzarni he Quran Pak hamare pas maujood he jis me sab likha he
or jo jo QuranPak me he Hazrat Mohammad s.a.w ne sab paractically kar k dikhaya he hamein aun ki zindagi ko follow karna he or aisi me kamyabi he
Mout tou aik na aik din sab ko aani he or wo ye nahi dekhti k kon bacha he,
kon jawan he,
kon budha he, mout kabhi bata kar nahi aati
Anaya bas hamein har waqt ALLAH se hidayat ki dua karni chahiye k ALLAH PAK hamein naik raste par chalne ki tofeeq ata farma or har bure kam se bacha
or hamein har aus cheez se dor rakh jo hamein tujh se dor kar rahi he,
or har aus cheez se jord de jo hamein tere qareeb kare...
Agar ham hidayat mange ge tou ALLAH Pak hamein hidayat zaroor dege...
Anaya islam ki baatein itni piyari he k kabhi khatam nahi hoti ham jitna aise jane ge utni hi bardhti jae gin
or umeed he ALLAH Ki baatein kabhi khatam nahi hongi...!


                         ------****----****-----*****------*****-------


Aliyan ap itni dair se kiyon aae he roz fajar ki namaz k bad kahan chale jate he itni der se wapas aate he...
me walk pe gaya tha wo ab office jane k liye tayar hone me masroof tha
Amaya zara chonki walk?
Aliyan jo tie bandhne ki koshish kar raha tha aus ne aik nazar amaya pe dali tou heran hone wali kon si baat he
mera jab jo mood hoga me wohi karun ga amaya ause ghorne lagi
ab tum wahan khadri mujhe ghuro mat yahan aao or ye tie bandho kabhi shohar ki tie bhi bandh diya karo wo ause talne laga
Amaya khamoshi se aus k pas or aus ki tie bandhne lagi
pichle kai roz se wo daily walk pe jane laga tha...!
Aj aik bar phir aus ki mulaqat zain se ausi caffe k bahar hoi
zain tum kiya mujh pe nazar rakhe hoe ho? aus ne sakkt lehje me sawal kiya
bhai jan me kiyun ap par nazar rakhne laga me tou yahan "Mohammadi sweet house" se Anaya k liye cake lene aaya tha mujhe ap nazar aa gae tou ap k pas chala aaya
Tum hamesha Anaya ki khatir'dariyan hi karte rehna wo aik bar phir zara tez lehje se bola...
ap itne ghuse me kiyun he or aj phir ap ka mood yahan ki bakhwas coffe peeni ka howa he wo bhi itni garmi mein? aus ne zara tooka
zain mera khayal he tumhein apne kam se kam rakhna chahiye Aliyan mazeed agey kuch kahe---zain k sawalon se bachta hoa wahan se chala gaya...
zain k chehre pe pareshani bhaari taa'surat the Bhai jan ko hoa kiya he pichle kuch dino se kai bar yahan aa chuke he or ye caffe aune pasand bhi nahi he-- wo sochte hoe wahan se chala gaya...

kuch mahine guzar gae!
Raat ka 1:00Am ho rahe tha side table pe rakha cell phone bajne laga Amaya ne halki si ankhein kholi lamp on kiya cell phone pe nazar dali cell phone ki roshni aus k chehre ko roshan kar rahi thi
zain calling ya ALLAH khair tou he ais waqt zain ki call aus ne foran call receive ki...
zain ki awaz me ghabrahat or pareshani thi!
Aliyan so rahe he or tabiyat bhi kuch thek nahi he aesa karti hun me khudi chali jati hun subha Aliyan ko call kar k bata dungi Amaya dil me sochne lagi or Aliyan ko bina batae foran hospital rawana hogai
zain k chehre pe bohat udasi chai hoi thi bhabi Anaya-- i hope sab thek ho!
INSHALLAH sab thek hoga tenshion na lo Aliyan ki tabiyat thek nahi thi tou mene auneh bataya nahi me khudi aagai tum ne fahad bhai ko nahi bulaya?
Nahi mene socha adhi raat ko kiya aunki nennd kharab karni so rahe honge bhai jan...
Mr.zain ye kuch medicines he ap le aaen doctor sahab ne chit dete howe kaha...
zain tum yahin ruko me le kar ati hun Amaya lift ki tarf chal di hospital k second floor pe medical store tha
Amaya wahan phunchi tou aik shaks wahan khadra shopkeepar se behas kar raha tha
Amaya ne zara qareeb ja kar dekha fahad bhai ap yahan?
Amaya itni raat ko tum yahan kiya kar rahi ho Aliyan thek tou he na?
jee wo thek hen mujhe zain ne bulaya Anaya admit he yahan zain ne kaha k ap ghar me so rahe hoge tabhi ap ko distrub nahi kiya tou phir ap....?
actually Ramsha yahan admit he achanak aus ki tabiyat kharab hogai tou aus ki ami ne mujhe call ki k hospital aajao me foran aa gaya
Aao Ramsha se mil lo or Mubarak'bad bhi de do fahad k chehre pe bohat khushi thi...
Mubarakbad? matlab ap Baba ban gae Amaya k chehre pe bhi khushi chaaa gai
han meri beti hoi he bohat piyari si beti...
fahad bhai ap ko bohat bohat mubarak ho wo medicines lene k baad khushi khushi fahad k sath Ramsha k pas chal di...
Ramsha bhabi ap ko Mubarak ho Amaya ne pichli do mulaqatein bhula kar ause bohat khushi se beti ki Mubarakbad di..
Ramsha ne amaya ko dekh kar mou bana liya khair mubarak ab yahan kiya lene aai ho sakoon nahi mila hamare bech larai karwa kar jo dobara aagai ho...
Ramsha ye kiya bol rahi ho wo sirf tumhein mubarak dene aai he fahad ause dekhte hoe dandt pisaa k bola ...
Amaya ka cell phone bajne laga Aliyan calling...
hello Amaya kahan ho raat k 3:30Am ho rahe he or tum pore ghar me kahin bhi nahi ho mujhe pareshani ho rahi he..
Aliyan ap pareshan na ho me hospital me hun zain ne bulaya tha Anaya admit he mene ap ko uthaya nahi mene socha ap ki tabiyat kharab he ap ko rest karna chahiye or
yahan aai tou fahad bhai bhi yahi the fahad bhai ki beti hoi he amaya ne bohat khushi se ause bataya..
ye tou bohat khushi ki baat he me aa raha hun ye keh kar aus ne phone band kar diya...
ary wah kiya baat he shohar ko bina batae adhi raat ko ghar se akeli aagai kiya jadu kia he aliyan par? Ramsha taalakh lehje me boli
Amaya ne aus ki baat an'suni kardi fahad bhai mujhe chalna chahiye anaya ko medicines deni hen..
han han jao jao apni dost ki khatir'dariyan karo bohat piyar he na tum dono doston mein Ramsha ne phir talakh lehje me baat ki....
par amaya bina koi jawab diye wahan se chali gai wo Ramsha se koi behas nahi karna chahti thi...
                             -----****--------****--------*****------

Episode 25
                          Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain


Bhabi Ap kahan chali gai thi?
Bhabi ye dekhein meri beti kitni piyari he bilkul Anaya jesi zain k chehre pe behad khushi thi wo hathon me nanhi guria ko liye khadra tha
Amaya ne aik nazar aus masoom jan pe dali aus k chehre pe bhi khushi chah gai zain bohat bohat mubarak ho MASHALLAH tumhari beti bohat piyari he wo baby ko hathon me liye piyaar karne lagi
wo fahad bhai mil gae the aun ki bhi beti hoi he tou me mubarak dene Ramsha bhabi ka pas chali gai thi!
i'm shure auno ne ap ko koi na koi baatein tou zaroor sunai hogi or ap ne khamoshi se sun bhi li hongi
zain lazmi tou nahi me bhi aun ko sunao phir aun mein or mujh me kiya farq reh jae ga agar koi ap ko bura keh de or ap ko ghusa aajae tou samjh lein k ap waqai sab se bure insan hein
or hum sab aun ki adat se waqif he choro hum bad me auneh samjha le ge...
nahi bhabi wo samjhne walon me se nahi hen auneh har baat se problem hoti he ap k or bhai k rishte se problem,
shams se problem, anaya or apki dosti se problem koi aesi baat he jis se auneh problem na ho!
Amaya ne zain ki baton par koi khas dehan na diya wo baby ko piyar karne me masroof thi or phir Anaya k pas chal di...
Anaya bohat bohat mubarak ho tumhari beti MASHALLAH bohat piyari he bilkul tumhare jesi so cute!
Anaya ne ause apne hathon mein liya or piyar karne lagi...
Zain tum ne ghar pe sab ko bata diya?
Nahi bhabi sab so rahe hoge subha bata dun ga Baba or ami tou gaon gae hoe he...
Hmm Acha! ab aus ne Aik nigah Anaya pe dali Chalo Anaya ab Mahanoor ko mujhe de do or tum rest karo zain jo kuch der pehle muskura raha tha ab amaya ki bat pe kuch uljhan ka shikar howa
Mahanoor--? aus ne aun dono ki janib dekhte hoe lafz dohraya ap ne naam rakh bhi diya?
Zain Anaya ne bohat pehle se naam socha howa tha wo zara maskharana andaz me boli jis pe Anaya ko sharm si aa gai..
Anaya tum tou kuch ziyada hi fast ho wo naak sakodre sar khujate hoe bola...
Ab Amaya ne Mahanoor ko apne hathon me liya chalo zain fahad bhai ko dikha kar ate he wo khush honge...
mujhe nahi jana mujhe koi shoq nahi Ramsha bhabi ki tanziyaan baatein sun'ne ka
kuch nahi kehti tumhein chalna he tou chalo fahad bhai ki beti bhi dekh lena wo kehte hoe bahar ki janib chal di
Fahad ki beti ka sun kar zain bohat khush tha ause dekhne k liye wo amaya k piche piche chal diya
Ramsha khuda k liye kabhi tou apni zuban ko lagam de liya karo wo chup chap sunti rehti he ais ka matlab ye tou nahi tum kuch bhi kehti jao gi Fahad Aus se guftago me masroof tha jab Amaya or zain andar dakhil hoe
Aa'h Maf karna ham shayad galat waqt pe aa gae Amaya k chehre ki muskurahat zara madham pard gai,
Nahi koi bat nahi Fahad ne foran jawab diya...
fahad bhai ye dekhein zain ki beti ab amaya k chehre par aik bar phir muskurahat numaya hoi
MASHALLAH zain bohat mubarak ho fahad bhi bohat khush howa bhai jan ap ko bhi beti ki mubarak ho dono bhai aik dosre ki beti ko utha kar piyaar karne lage...
Bhai jan me bohat khush hun hamare ghar ALLAH ki rehmat aai he "Betiyan tou ALLAH ki rehmat hoti he na" zain muskuraya...
han bilkul me bhi bohat khush hun bas ab ALLAH hamari betiyon k naseeb bhi ache kare Amen ...
Aamen Aamen suma'Amen Amaya fahad ki beti ko piyar karte hoe muskurai
zain dekho ye bilkul fahad bhai jesi lag rahi he amaya ki ais baat par Ramsha khafa hone k sath sath aag'bhagola hogai...
Ramsha ye dekho bilkul Anaya jesi lag rahi he Fahad ne Mahanoor ko aus k agey kiya jis pe Ramsha ne apna mou pheer liya or aik nazar bhi Mahanoor ko na dekha
zain ko bohat bura mehsoos hoa par wo khamosh raha...
Tum dobara yahan aagai itni bezati karne k bawajood tumhare mou pe tou nak hi nahi he ya shayad tumhein bohat maza aata he apni bezati karwane ka Ramsha ka lehja bohat sakkkt tha wo aik bar phir aus pe baaarx padri thi
jis pe Amaya khamosh rahi wo khushi k moqa par koi behas nahi chahti thi par agar ye porani Amaya hoti tou yaqenan ghuse se aag'bhagola ho jati or Ramsha ko mou'tor jawab deti
Amaya ki tarf se koi jawab na aane par wo mazeed bomb k gooleee aus pe barsane lagi
Amaya tumhein shoq he k har koi tumhare agey piche ghome pehle tum ne Aliyan ko mujh se cheen liya or ab fahad k piche lagi hoi ho
ary kam az kam apni dost ka hi khayal kar leti aus k shohar ko tou bakhassh deti teeno bhaiyon ko apne piche pagal kiya howa he apni muthi me kiya hoa he
Wo nak sakodre be'tuka bolti ja rahi thi zain ko tou zara bhi aqal nahi he
har waqt bhabi bhabi kar k tumhare agey piche ghoomta rehta he or zain tum kiya Amaya k nokar ho? Ramsha musal'sal bole ja rahi thi
Amaya kuch kehti ais se pehle zain bol parda Khuda k liye bas kar dein bhabi ham yahan apne bhai ki beti ko dekhne aae the ap ki baatein sunne nahi
ap mujh se rishte me bari hen tabhi me hamesha se ap ka lehaz karta raha ho
par ap ko izzat ras nahi he mein ap ko kuch kehte nahi tou ais ka matlab ye nahi he k ap kisi k bhi bare me kuch bhi bolti jaein gin Amaya bhabi ap se lakh darje achi hen
or jise ap pagal hona'agey piche ghomne keh rahi hein educated log aise izzat dena kehte he or ham apni bhabi ki izzat karte he
or ap ki bhi me bohat izzat karta raha hun bal'kay abhi bhi kar raha hun par izzat kise kehte he ye shayad ap jesi illiterate ko kia pata
Agar ap chahti hein k ham bhai itna sab hone k bawajood bhi ap ki izzat karein tou pehle Amaya bhabi ki tarah ban kar dikhaein or mujhe tou ap ki soch par afsos ho raha he
Aj zain sabar ka ghont nahi pee saka aus k bardasht ki had tou ausi waqt khatam ho chuki thi
jab Ramsha ne aik nazar bhi aus ki beti ko na dekha tha par wo phir bhi khamosh raha par Amaya k bare me ulta sun kar aus ne ghuse mein ause suna hi di...
i'm sorry fahad bhai me kuch ziyada bol gaya par me or bardasht nahi kar sakta pichle kai salon se me ain ki baaton ko bardasht karta raha hun
Fahad ne kuch kehne k liye lab khole hi the k.....!
Ramshaaaaaaaa ....
Aik tez roubdar awaz sab k kano se takrai
Awaz kan mein parte hi sab ne foran piche murrd kar dekha
Tumhein ye haq kis ne diya k tum meri bivi k kirdar k bare me bat karo tum hoti kon ho.....?
Chehra ghuse se lal,
Ghuse se uthi hoi naak,
Ankhon me behad ghusa wo chalta hoa Ramsha ki janib bardha
tum character ki baat kar rahi ho tum ne kabhi khud ko dekha he k tum kiya ho or tumhara character kiya he?
Mene bohat bardsht kar li tumhari fazool baatein mein aj tak apne bhai ki wajah se khamosh tha par aj me khamosh nahi rahun ga
Ramsha k chehre ka rang zard pard gaya
Fahad or zain kuch uljhi hoi nigahon se aik dosre ko dekhne lage
Tum ne sab haadein par kar di he jesi tum khud ho wesi hi tumhari soch he tumhare bare me sab fahad ko pata tha infect, tum ne khud ause bataya tha
phir bhi aus ne kabhi tumhein tana nahi diye jab k wo tumhara shohar he or wo tane de sakta tha par tum har bat me, har waqt ause tane deti rahi ho
tum ne hamesha Fahad ki barabari karna chahi he Aik Aqalmand bivi kabhi bhi apne shohar ki barabari nahi karti he
Fahad tou bas Amaya ko pasand hi karta tha or mere liye piche hat gaya or sab bhool gaya tha par tum--- ais se pehle k wo agey kuch bolta amaya ne ause roka
Aliyan bas karein tamasha create na karein Amaya ause chup karwane lagi...!
Aliyan ne aik ghuse wali nigha amaya pe dali
Amaya tum bech me mat bolo chup chap khadri raho bohat sun li Ramsha ki baatein aj mujhe koi chup nahi karwa sakta Aliyan ki ankhon me shaded ghusa tha...
hanw tou Mis.ramsha kahan tha mein?
Ramsha k chehre se tamam rang urd chuke the
tum ne mujhe hasil karne mein koi kasar nahi chori tum shuro se hi bad'dimag or bad'ikhlaq larki thi tumhari shadi ho chuki thi tumhein sudhar jana chahiye tha
par nahi tum ab bhi mujhe pana chahti thi fahad se shadi bahana tha mujh tak phunchne ka amaya se badla lene ka batao sab ko sach...
sab k chehro pe herani chahi hoi thi Ramsha ki ankhein phati ki phati reh gai wo herani se Aliyan ko dekh rahi thi
ye wo Aliyan nahi tha jise wo pasand karti thi ye tou koi or Aliyan tha jise kabhi Ramsha ne nahi dekha tha
kuch kaha he mene wo ghuraya or tez awaz me bohat roub se bola Batao sab ko k tum ne mera excident karwaya tha
Sab ki herani bhari nazrein aik dosre se takrai
Kiya Ap ka Excident Ramsha bhabi-- zain k lafz wahin toot gae
Fahad ka chehra ghuse se lal ho gaya par wo soch me pard gaya ais bat pe sab chonke Amaya kiyun nahi chonki?
Ramsha batao sab ko-- Agar kuch karne ki himat he tou ause sab k samne accept karne ki bhi himat honi chahiye Aik bar phir Aliyan tez bola
tum heran ho k mujhe ye sab kese pata chala?
fahad k chehre ka raang hi urd gaya ause apni zindagi tabah hoti dikhai de rahi thi,
wo jo kuch der pehle apni beti k ache naseeb ki dua mang raha tha
ab ause apni beti ki fikar hone lagi thi,
bolo Ramsha kiya ye sach he ais bar fahad ghuse se ghurraya!
Ramsha k pas koi chaara na tha wo phas chuki thi aus ne apni galtiyan man lena hi munasib samjha
hanw ye sach he sab mene kiya he or jo bhi kiya sahi kiya he jab Aliyan mera nahi hoa tou me Amaya ka kese rehne deti?
mein amaya ko kese jet'ne deti? Ramsha ne kabhi har man'na nahi seekha
Me Aliyan ko har haal me pana chahti thi jab Aliyan ne mujhe apni or amaya ki tasveer send ki
tab mene amaya ko pehli bar dekha tha or tab se hi ais ka chehra mere dimag pe naqsh ho gaya tha
uth'te, beht'te, sote, jagte har waqt ais ka chehra mere dimag mein rehta tha har guzarte lamhe k sath mujhe ais se nafrat ho rahi thi
or jab mujhe pata chala k ain dono ki shadi hogai he
tab mene thaaan liya k me ain dono ko dor kar k raho gi aisi wajah se mene fahad se shadi ki apni shadi me jab amaya ko aliyan k sath khush dekha tou mera khoon kholne laga
mujh se aliyan ko cheen kar Amaya bohat khush dikhai de rahi thi mera dil chah raha tha me wahin ais ki jan lelo Ramsha ne nafrat bhari nigahon se amaya ki janib dekha
jo k khamosh khadri thi...
Amaya kabhi khush nahi reh sakti thi mene aise kabhi khush rehne hi nahi dena tha phir mujhe pata chala fahad amaya ko pasand karta tha par mere liye acha hi tha
mujhe aik or bat mil gai thi fahad ko har waqt tane dene k liye or ghuse me mere mou se nikal gaya k me Aliyan ko pasand karti hun tab fahad ko pata chal gaya
par aus ne kabhi tana nahi diya wo ghar basana chahta tha par mujhe bas amaya ka ghar ujardna tha tabhi mene shams ko sikhana shuru kar diya ta k wo nafrat kare
apne maa bap se or wo Aliyan ko na'pasand bhi karne laga tha par ye amaya har bar ause Aliyan k qareeb kar deti or wo anaya aus ne sab kharab kar diya wo mou banate hoe boli
Fahad par jese kisi ne pahad tor diya ho aus ki ankhon k samne andhera sa chaane laga ause aik tufan apni tarf ata dikhai de raha tha
ye bhi sach he k mene aliyan par attack karwaya agar ye mera nahi tou kisi ka bhi nahi or mujhe koi phashtawa nahi he wo bejhijhak apne jurm ka ehteraf kiye ja rahi thi...
Bhabi ap ko sharam aani chahiye ap ne aik bar bhi nahi socha k agar bhai ko kuch ho jata tou shams ka kiya hota aik bache pe hi reham kar leti aus bache ne ap ka kiya bigara tha
jo ap aus k sar se bap ka saya cheen'ne chali thi
Zain tum bech me mat bolo aus ka ye qasoor tha k wo ain dono ka beta he Ramsha chilai
Chilao mat apni awaz niche rakho Fahad ki ankhon mein tesh tha aus ki halat ajeeb si hogai thi aus k hont'kap'kapane lage the ause samjh nahi aa raha tha
Ramsha jesi orat ko wo kiya kahe ause tou koi zuban samjh hi aati thi..
Amaya ab tum bhi batao sab ko aus raat jab Ramsha ghar aai thi tab Kiya howa tha?
Ramsha tumhare ghar aai thi par kiyun kab? fahad ne sawal kiya
Amaya khamosh thi
Amaya khamosh mat raho batao aus din tum dono k bech kiya hoa tha? or tum Ramsha k ghar kiya karne gai thi? Aliyan ne chila kar sawal kiya
Aus roz jab Aliyan business trip pe gae the or shams Anaya k sath shadi me gaya tha me ghar me akeli thi
Ramsha bhabi aai me khush hoi k wo hamare yahan aai he par jab tak me guest room phunchi wo ja chuki thin or mujhe nahi pata tha k fahad bhai ne aine ghar se nikal diya tha

Amaya kitchen me khana banane me masroof thi....!
Amaya kahan he? Ramsha ghuse me dikhai de rahi thi
kiya ho gaya bibi jee? Gul'khan ne aus ka ghuse se bhara chehra dekh kar sawal kiya
Apne kam se kam rakho jo pocha he wo batao-- ais se pehle Gul'khan kuch kehta wo Ghuse se sar jhatak kar andar ki tarf lapki
Amaya Spaghetti banane k liye cutting board pe sabziyan kat rahi thi wo tamatar dhone k liye sink ki tarf murdi tou Ramsha ko achanak apne piche khadra dekh wo buri tarah chonki
wo apne kam me itna masroof thi k ause hosh hi na tha k Ramsha kab kitchen me dakhil hoi
phir apne chehre k ta'suraat normal karte hoe boli Bhabi ap achanak yahan kese?
Oh tou ab pata chala tum ne Aliyan ko apna sughad'pan dikha kar apne ye khane bana kar ause phasaya he ghuse me naak chadhae boli
Bhabi Ap ye kiya keh rahi hein? Amaya ki chehre pe jo muskurahat thi zara gayab hoi
me Bilkul thek keh rahi hun tum jesi larkiyon ko ache se janti hun amer larka dekha nahi or phasana shuru kar deti hein
Bhabi ab ap apni limits cross kar rahi hein Aus ki bat pe amaya k chehre pe ghuse k ta'suraat numaya hoe
Ramsha ka ghusa or bardh gaya limits tou tum ne cross ki he teeno bhaiyon ko apni muthi me kar k tumhari wajah se Fahad ne mujhe ghar se nikal diya
ais bar wo ghuse se chilai or pore kitchen me nazrein ghumane lagi cutting'board pe nazar gai tou foran churi utha li or aus ka mou Amaya ki janib kar diya
Bhabi y'ye kiya kar rahi hein hosh me tou he? Amaya ghabrate hoe boli
Tumhein me nahi choro gi aj me tumhein jan se mar dungi tumhari wajah se meri zindagi kharab hoi he tum ne mujh se Aliyan ko cheena apni bat kehte hoe aus ne amaya pe hamla kar diya
Amaya khud ko bachate hoe bahar ki simmt bhagne lagi Ramsha bhi aus k piche bhagi
Bhabi ap pagal ho gai hein mene ap ki zindagi kharab nahi ki wo bhagte hoe keh rahi thi
Ramsha k hath mein ab bhi wo churi thi Bhag lo bhag lo kahan tak bhago gi aj tum mujh se nahi bach sakti aus ka lehja bohat sakkt tha
Gul'khan Gul'khan amaya chilane lagi bhagte bhagte wo table se takra gai or table pe rakha guldan zameen pe ja gira
Ramsha ab aus k bilkul qareeb thi wo aus pe aik bar phir hamla karne wali thi k Gul'khan ne ause Amaya se dor dakha diya
WALLAH bibi kuch tou khuda ka khoof karo ye tum kiya gazab karne wala tha?
wo zameen pe giri pari thi sare baal aus k chehre pe aa gae the wo apne baal kano k piche karte hoe bolne lagi tumhari itni himat k tum ne mujhe dakha diya nokar ho nokar ban kar raho
warna mujhe tumhari oqat yad dilane me aik pal bhi nahi lage ga Ramsha gul'khan pe chilai
Bibi hamara oqat ka tou pata nahi par Ap ka oqat police ap ko batae ga
Police k naam pe Ramsha ghabra si gai or uth kar wahan se bhagne lagi
bibi tum Bhagta kahan he tum ne hamari bibi pe hamla kia he ham tum ko nahi chore ga o bibi tum apna oqat sune bina kahan bhag raha he Gul'khan bolte hoe aus k piche bhaga
Amaya ka dil ab bhi zoron se dharak raha tha ye sab itna achanak hoa k ause kuch samjh hi nahi aa raha tha wo gum'sum behti ye samjhne ki koshish kar rahi thi
kuch'der pehle jo howa kiya wo waqai sach tha ya aus ka koi wahem?
phir ause kuch hi pal lage ye samjhne me k wo sab aus ka wahem nahi tha wo foran uth kar bahar ki janib lapki
Gul'khan lawn me khadra cell'phone pe laga hoa tha aus ne amaya ko apni tarf ate dekha tou khud aus ki tarf bardh kar aus ka hal pochne laga
Bibi ap thek tou he? wo ham bhaga par wo bhaag gaya bohat tez bhagta he Ramsha bibi hamara tou sans hi phool gaya
Me thek hun kiya ap police ko call kar rahe the?
jee ham pehle Aliyan baba ko batae ga phir police ko WALLAH Ramsha bibi kitna shatir'Orat he wo apne kano ko hath lagae touba kar raha tha
Nahi Gul'khan ap kisi ko kuch nahi batae ge
par bibi wo ap ko marne--ham thek waqt pe na aata tou najane kiya ho gaya hota ham tou batae ga
Gul'khan please agar Ap meri izzat karte he tou ap kisi ko nahi batae ge
par kiyun?
Aliyan ghuse k bohat tez he wo Ramsha bhabi k sath na'jane kesa behave kare ge or agar bat police tak jae gi hamare khandan ki badnami hogi
pehle fahad bhai abrar ki wajah se jail gae the ab aun ki bivi bhi jail jae gin tou hamare khandan ki izzat mati me mil jae gi ap kisi ko kuch nahi batae ge
thek he ham nahi batae ga Amaya bibi ap bohat acha he kitna sab ka khayal rakhta he ap ne kabhi ham ko nokar nahi samjha or na ais khandan k kisi shaks ne kabhi nokar samjha he
hamesha ham ko izzat di he par Ramsha bibi ham ko haveli me har waqt ais bat ka ehsas dilata tha k ham nokar he or ham se bohat bura bartao karta tha
par ham ne kabhi kisi ko nahi bataya ham nahi chahta tha hamari wajah se ghar me koi larai ho
ALLAH PAK ap ko lambi umar de ap andar jaein aram karein...


Amaya tum ne kiya socha tum mujh se chupao gi tou kiya mujhe pata nahi chale ga Aliyan ause dekhte hoe bola
Amaya jawab me kuch na boli khamosh rahi
Me janta hun Amaya tum nahi chahti thi hamare ghar ka sakoon barbad ho par ye bohat bari baat thi tumhein mujhe batana chahiye tha
agar Gul'khan aus roz waqt pe na aata tou amaya aj hamare sath na hoti wo sab ko dekhte hoe bola
ab aik nazar Ramsha pe dali or agar amaya ko kuch ho jata tou Ramsha me tumhein nahi chorta!
choron ga tou me ab bhi nahi Akhri jumla aus ne zara tez lehje me bola aus ka lehja bohat sakkt tha
Ab Agey bhi Batao amaya tum aus roz jab Ramsha k ghar gai thi wahan kiya howa tha?
Amaya kuch sochte hoe bolne lagi
aus roz jab me Ramsha bhabi k ghar gai!
jab mujhe pata chala k Aliyan ka excident suddenly nahi bal'kay kisi planning se howa he tab se mein sochon me ghum thi
Ramsha Ramsha wo chilate hoe Ramsha k ghar me dakhil hoi
Aao Aao Amaya kesa laga mout ka jhatka?
kiya dobara marne chali aai ho wo sedriyan utarti niche aa rahi thi
Amaya ka chehra ghuse se lal tha Ramsha akhri sedri pe thi jab Amaya ne agey bard kar aik zor'dar thapar aus k mou pe de mara
wo aj aik porani ghuse wali amaya lag rahi thi wo amaya jo pehle kabhi Ramsha ne nahi dekhi thi
Tumhari himat bhi kese hoi Aliyan ko nuqsan phunchane ki?
kesa nuqsan?
Anjan ban'ne ki koshish mat karo me janti hun Aliyan ka excident tum ne hi karwaya he par jis din ye bat sabit hogai aus din me tumhein nahi choro gi
me tumhein kuch kehti nahi tou tumhein lagta he tum jo chaho kar sakti ho
tumhein laga tum meri jan le sakti ho tou Aliyan ko bhi mar sakti ho
Nahi tum kuch bhi nahi kar sakti Ramsha Fahad Alam ye sab tumhari bhool he k tum jo chaho kar sakti ho
wo khamosh khadri amaya ki baatein sun rahi thi aus k chehre pe kuch heerani'bhare ta'suraat the wo jis amaya ko dekhti aai thi aus amaya me or ais amaya me farq tha
hamara ALLAH hamare sath he or hamare Allah k hote hoe tum hamara kuch bhi nahi bigar sakti samjhi tum Amaya bohat roub se ause baatein suna kar wahan se chali gai
Ramsha heran'pareshan ause jate hoe dekhti rahi ...
     
                   ----****----****----****------

Sab k chehre ghuse se lal ho rahe the
Fahad Ramsha ki janib bardha or zor'dar thapar ause de mara Ramsha me kabhi soch bhi nahi sakta tha k tum itni giri hoi harkat bhi kar sakti ho
sharam ati he mujhe tumhein apni bivi kehte hoe fahad ki awaz me udasi or bebasi thi
Ramsha ause ankhein nikale dekh rahi thi
Apni ankhein niche karo warna dosra thapar lagate mujhe aik second bhi nahi lage ga
jab amaya mujhe chor k chali gai thi tab bhi Ramsha ne mujhe kai messages kiye calls ki k me Ramsha se shadi kar lon agar mujhe pata hota k mere dubai jane k bad ye fahad k sath aesa game khele gi
ya ais ki shadi fahad se hogi me kabhi aesa na hone deta tum jesi oratein kisi bhi achi cheez k layak nahi hoti he tum aik pagal orat ho jo kisi bhi had tak ja sakti he aliyan ghuse me bole ja raha tha
Amaya or zain chup'chap khadre the....
or han yad aaya tum ne apne aus ghatiya cousin se call karwai k ye sab Amaya ne karwaya he kiyun k wo meri dolat lena chahti he
mene aus phone call pe zara bhi yaqeen nahi kiya kiyon k mujhe apni bivi pe pora yaqeen he wo kabhi bhi mere sath kuch bura nahi kar sakti
ause kisi dolat ki bhook nahi he meri bivi k liye paisa koi maine nahi rakhta aus k liye sab kuch mein or meri family hen
Amaya ki mujh se aik ajeeb chahat he aik aesi chahat jo mene pehle kabhi nahi dekhi Amaya kabhi kisi ko nuqsan nahi phuncha sakti or mujhe tou har'giz nahi
mene aik bar kisi ki baaton mein aa kar amaya ko bura samjh tha aus se nafrat ki thi or beinteha ki thi or wo mene bohat galat kiya tha par wohi galti me dobara kabhi nahi duhra sakta
meri amaya bohat achi he sab se munfrid or mujhe apni bivi par khud se bhi ziyada bharosa he Aliyan apni bivi ko dekhte howe bol raha tha...
Amaya ko ye sun kar bohat khushi mehsoos hoi ye soch kar k ye wohi Aliyan he jis ne aik bar ause zor ka dakha diya tha
jise ye parwah nahi thi k ause or ziyada lag sakti thi
ye wohi Aliyan he jis ne ye kaha tha k tumhare or mere bech kabhi kuch thek nahi ho sakta na tum mujhe pasand ho na kabhi pasand aao gi,
ye wohi Aliyan he jise me actress lagti thi jise meri baatein jhoot lagti thi or aj wohi Aliyan ye keh raha he k mujhe apni bivi pe khud se ziyada bharosa he
bas aus k liye yehi kafi tha k aus ka shohar aus pe yaqeen karta he aus ki ankhon me khushi k ansu jhalakne lage...

Aliyan bhai ap ko attack k bare mein kese pata chala? ais bar zain ne apni khamoshi tor di
Zain mujhe ais bare me kuch pata na chalta agar me aus roz caffe Area ki tarf se na guzarta
Zain ko ab wo caffe yad aaya---
Aus Roz traffic bohat ziyada tha tou me caffe Area ki tarf se guzra acahanak samne hi caffe me mujhe aik shaks dikhai diya wo mujhe kahin dekha dekha sa lag raha tha
mere bohat sochne par mujhe yad aaya ye wohi shaks tha jo mujh pe pistol'tane khadra tha
me trip khatam hone se pehle hi karachi aa gaya tha
me ghar ja kar amaya or shams ko surprise dena chahta tha hafte k roz jab me karachi aaya tou Dr.Anas mujhe Airport pe recieve karne aae
Aliyan kesa raha Bussiness trip? Dr.Anas driving karte hoe bole
ALLAH ka shukar he bohat acha raha ap kese he?
Me thek hun Dr.Anas ne ghadri ka ruk Hospital ki janib modraa
ye ham Hospital kiyun ja rahe he?
Mujhe hospital phunch'na he emergency he tum aesa karo meri ghadri le jao
Ab Car Hospital k bahar ruki
Thankyou so much but me taxi se chala jaon ga ya Gul'khan ko bula lon ga wo muskurate hoe bola
Ais waqt kahan tum kisi ko bulao ge raat bhi kafi ho gai he or Shayad tum bhool gae agar Gul'khan ghadri nikale ga tou Amaya aus se kai tarah k sawal kare gi
or Gul'khan ka tou tumhein pata hi he wo sab ause bata de ga or tumhara surprise kharab ho jae ga agey tumhari marzi wo muskurate hoe bole..
Dr.Anas ki bat pe Aliyan bhi halka sa muskuraya chalein thek hein...
Ab wo Driving seat pe behta or car start ki wo bohat khush tha ye soch kar k Amaya or shams ause achnak dekh kar bohat khush honge
wo becheen tha Amaya or shams k chehre k ta'suraat dekhne k liye
ause ghar phunchne ki bohat jaldi thi wo khushi or excitment bhare lehje se khud se baatein karne laga Amaya me janta hun tum ne mujhe bohat miss kiya hoga
mene bhi tumhein miss kiya par ye alag bat he k me tumhein bataon ga nahi
tumhein tang karne mein mujhe bohat maza aata he wo jo tum mou bana kar koi tana marti ho tab mujhe bohat achi lagti ho
wo chehre pe muskurahat sajae apne ap se baatein karne mein masroof tha ausi doran aus ki ghadri aik soon'san sark pe chalne lagi  
abhi ghadri ko ais sark pe aae kuch hi pal guzre the jab bike pe sawar kuch larke achanak aus ki ghadri k samne aagae
aus ne foran wahin break laga di
wo teen'log jin k chehre romal se dhake hoe the aun ki sirf ankhein hi nazar aa rahi thi
Ghadri se bahar niklo aik shaks ne zor'dar awaz lagai or zabardasti ause ghadri se bahar nikalne lage
Kon ho tum log or kiya chahte ho? Aliyan chonkte hoe bola
Auno ne Aliyan ki baat ka koi jawab na diya or ause marna shuru kar diya Aliyan ne khud ko bachane ki bharpoor koshish ki par wo nakam raha wo teen log the or wo akela
kuch mar khane k bad Aliyan ne bhi aune mara wo aik ko marta tou piche se dosra aus pe hamla kar deta
Aliyan khoon me lat'pat ho gaya phir bhi aus ne himat na hari or aun se muqabla karta raha hatha'pai k doran Aliyan ne aik lambe qad wale shaks k mou pe bandha romal khench liya or aus ka chehra aus ki ankhon k samne aa gaya
ausi doran aus lambe qad wale shaks ne apni kamar ki tarf se jeans me lagi 9MM pistol nikali
or Aliyan k sar pe rakh di sehda khadra ho ja warna goli mar dunga wo larka chilaya
kon ho tum log or kiya chahte ho aus ne aik bar phir wohi sawal kiya
tumhari mout... piche se aik shaks ne tanda aus k sar pe de mara Aliyan ki halat ab kharab hone lagi wo log bari bari ause mar rahe the wo khoon me lat'pat tha
or bar bar yahi sawal kar raha tha k tum log kon ho?
ausi lambe qad wale shaks ne pistol ka pichla hissa aus k sar pe zor se de mara or wo neend ki wadiyon me khoo gaya...
aun larko ko wahan se bhagne ki bohat jaldi thi har'bardahat me auneh laga Aliyan mar gaya police se bachne k liye auno ne apni hosheyari dikhai
Car pe auno ne khoob dandein barsae or aus pe dent dal diye windscreen ka shesha bhi tor diya or
Aliyan ko Driving seat pe bitaa kar car ko dhaka de diya or car aik deewar se ja takrai
wo aise excident dikhana chahte the par Na'layaq ye bhool gae k police aun se bhi ziyada shatir he...    

Kuch hafton bad jab Aliyan Caffe Area se guzra aus ki nazar samne behte aik shaks pe gai jo ause kahin dekha howa lag raha tha
ye chehra kahan dekha he? wo yaad karne ki koshish karne laga
Aliyan aik bar jis ka chehra dekh le aus ka chehra wo kabhi nahi bhoolta par aus raat andhera hone ki wajah se wo aus ka chehra thek se nahi dekh paya tha ais liye ause yad karne me kuch waqt laga
jab ause yaad aaya k ye tou wohi Larka he jo pistol'tane khadra tha tab Aliyan kuch uljhan ka shikar howa...
Aus ne apni car parking Area me khadri ki or dor se hi aus pe nazar rakhne laga kuch der bad wo larka wahan se uth kar chala gaya
aus k caffe se nikalte hi Aliyan foran aus caffe me dakhil hoa or wahan k manager se aus k bare me pochne laga
Excause me! ye jo black jacket wala larka abhi bahar gaya he ye roz yahan aata he ya aj pehli bar aaya he?
Aliyan k sawal pe Manager kuch der khamosh raha or ause ghoorne laga
Ap aese ghorr rahe he jese me koi cirminal hun Aliyan ne apni jaib se apna visiting card nikala or ause dikhane laga ye mera card he me aik businessman hun or mujhe ais larke k bare me jan'na he
Sorry sir ham aese apne customers ki information kisi ko nahi dete
Aus k jawab pe Aliyan ne aik lambi sans li thek he jesi ap ki marzi ab police hi ap se poche gi aus ne apni jaib se cell phone niakla
Po'police kiyun? Manager zara ghabraya
Ap ka customer aik gangester he or police ko ais ki talash he or agar ap ne mujhe ais ki info na di tou me police ko keh do ga k
ap log yahan gangester logon ko panah dete he or phir ap ka caffe hamesha k liye band ho jae ga Aliyan ause apni baton me lene laga
Aus ka naam umar hashim he Wo Larka yahan roz sham ko 5:00pm aata he kuch der apne doston k sath beht'ta he or phir chala jata he ais se ziyada mujhe aus k bare me kuch nahi pata
Mujhe Umeed he ap ne jo bhi kaha sach kaha he Aliyan cell phone jaib me rakhte hoe bola
Jee bilkul mene sab kuch sach sach ap ko bataya he Manager foran bola
Thek he ab Me bhi yahan roz aaya karun ga aus pe nazar rakhne or ause pata nahi chalna chahiye k mene ap se aus k bare me pocha tha..
jee jee sir ap fikar na karein ab Manager k chehre pe kuch ronaq aai
ALLAH HAFIZ...
Aliyan wahan se chala gaya or ausi raat Gul'khan ne Ramsha k bare me bataya
Na'jane kiyun par mujhe aesa lag raha he jese Ramsha ka ais me hath ho Par wo kiyun aesa kare gi wo jesi bhi ho par ais had tak wo nahi gir sakti k meri jan hi leli gi wo kuch uljhan ka shikar hoa
agle din phir wo ais caffe me aaya or kafi der umar ka intezar karta raha par wo aj caffe nahi aaya tha
Aliyan jab wahan se nikla tou aus ki mulaqat zain se hoi zain k sawal karne pe wo ause ulte sehde jawab dete hoe wahan se chala gaya
aisi tarah Aliyan roz sham ko ais caffe me aane laga do din bad aj wo shaks caffee me aaya tha or corner table pe behta pizza kha raha tha
Aliyan jeans pe shirt me malboos Aasteene kohniyon tak chardhae ankhon pe glases lagae akhri table pe behta tha Aliyan ki phusst aus ki janib thi
kuch hi der me umar wahan se nikla tou Aliyan bhi foran aus k piche nikla par aik bar phir aus ka samna zain se howa
Aa'h Not again ye zain roz yahan kiya karne aa jata he wo dil me sochne laga
Zain ne aik bar phir apne sawalon ki barish kar di or Aliyan ne ause talne k liye ghuse se ulte jawab diya or foran wahan se nikal gaya jab tak Aliyan road pe phuncha wo larka kahin gayab ho gaya tha
agle roz jab umar caffe aaya tou Aliyan ne sham se raat tak ause follow kiya ause observe kiya k wo kahan kahan jata he or kis se milta he
Aik roz Fajar ki namaz k bad Aliyan daras sun'ne beht gaya Masjid me fajar ki namaz k bad roz bari bari sab daras dete he ALLAH ki baatein karte he
Aliyan Masjid se nikla tou 7:30Am ho rahe the wo walk pe nikal gaya ausi doran Aliyan ko umar dikhai diya
Aliyan ne phir aus ka picha karna shuru kar diya or sara din ause observe karta raha aus ki activities se wo koi gangester ya chor'lutera nahi lag raha tha
umar aik aam sa larka lag raha tha jo subha walk k bad university jata tha or pardhne k bijae yahan wahan ghoomta rehta tha
phir kuch der doston k pas jata or drink karta tha kuch der internet par larkiyon se chating or phir shams ko caffe me doston k sath gappe marna
ause observe karte kai roz guzar chuke the ab Aliyan ne ause pakarne ka irada kiya or roz walk karne laga k kabhi walk k doran koi acha moqa mile tou wo ause ba'asani dabooch le par aesa koi moqa na mila
aik roz walk k doran aus ka cell phone baja wo kisi se kahin milne ki bat kar raha tha Aliyan ne aik darkht(tree) k piche khadre aus ki baatein sun li thi
Aus ne aj raat k andhere me kisi se milna tha Aliyan ne apna aik khabri aus k piche laga diya jo aus pe nazar rakhe hoe tha or ALiyan ko pal pal ki khabar de raha tha
Amaya meri tabiyat kuch thek nahi he me so raha hun please mujhe distrub mat karna wo ankhein band kiye let gaya
wo sone ka natac karne laga Amaya k sone k bad aus ne aus jagah pe phunchna tha jahan umar kisi se milne wala tha wo bas apne khabri ki call ka intezar kar raha tha
Raat ka 1:00Am baj chuka tha par wo shaks abhi tak apne ghar se bahar nahi nikla tha or na koi aus k ghar me aaya tha
Aliyan ankhein band kiye leta tha jab Amaya ka cell phone baja or wo zain se bat karne lagi aus ne amaya ki baatein sun li thi
amaya ko laga wo so raha he or aus ki tabiyat bhi thek nahi tou ause jagana munasib nahi...
wo khud hospital k liye nikal gai aus k jane k 5minute bad hi Aliyan ka cell phone bajne laga or foran uth kar jacket pehna or ghar se nikal gaya
police ko aus ne pehle hi itlaw kar di thi Aliyan k aus jagah phunchte hi police bhi wahan phunch gai thi
umar k sath teen log or bhi the jo hath me aik bag liye khadre kuch discus kar rahe the ausi doran police ne chapa mara or aune pakar liya
aun k chehre ka rang urd gaya jab auno ne apne samne Aliyan ko khadre dekha
Umar tou pehle hi janta tha k wo mara nahi he
Tum--- aun ki ankhein phati reh gai
hanw me tum logon ko kiya laga me mar gaya? jab tak Mera Allah mere sath he mujhe koi nuqsan nahi phunch sakta
Bashir check karo ais bag me kiya he Police officer ne constable ko hukam diya aus ne foran aus k hath se bag cheena or zip kholne laga
Sir ais me tou drugs he
Drugs ais ka matlab ye log drugs ki supply karte he le chalo aine police station ain ki hoshyari tou me nikalta hun
kuch hi der me sab police station phunche Aliyan bhi aun k sath hi tha
Batao tum log kis k kehne pe Aliyan ko marne aae the?
Aun larko ne koi jawab na diya--- ye aese nahi batae ge Bashir ainki zara khatir'dari karo
kuch der police ne khoob aun ki khatir'khadari ki police ki mar khane k bad charo Nidh'hal pare the Aik bar phir police officer ne sawalon ki barish ki
Ab batao kis ne bheja tha? officer ghuraya
Meri cousion ne--- Umar Hashim atak'te hoe bola
Tumhari cousion? nam kiya he aus ka?
Aliyan ko apna shak ab yaqeen me badalta howa dikhai dene laga
Ramsha! Ramsha k naam pe Aliyan k chehre pe ghusa chaa gaya
me or ramsha shuru se hi bohat ache dost he aus ne mujh se request ki k Aliyan ko darao damkao ya mar do jo marzi karo par kuch aesa karo jis se Amaya toot jae
wo har hal me amaya ko torna chahti thi wo ause pal pal marte hoe dekhna chahta thi
ais liye mein or mere doston ne mil kar Aliyan ko marna chaha par hamein police ka bhi dar tha ais liye ham ne aise shoot nahi kiya bas dande or hathon se hi mara
ais ki halat itni kharab ho gai thi hamein laga ye mar gaya
ham ne socha aise excident show karte he ta'kay police ko lage k ye bas aik suddenly excident tha ais liye ham ne ghadri k sheshe wagera tor kar aise aus me bitha kar ghadri ko dakhaa de diya...
Or tumhein laga police bewaqoof he pagal ban jae gi par shayad tum log bhool gae k police ko har cheez ka tajurba hota he tum se shatir mujram pakre he ham ne aese hi nahi ham officer ban gae wo ghuraya
Ramsha ko jab pata chala Aliyan zinda he ause dar lagne laga k kahin ye raz khul na jae aus ne apna rasta saf karne k liye mujhe kaha k me Aliyan ko call karun or sab ilzam Aus ki bivi pe laga dun k amaya ne dolat ki khatir ye sab kiya he
or aus k kehne pe mene aesa hi kiya umar ne sar jhuki hoi gardan utha kar Aliyan ki tarf dekha ais se pehle k ye mujhe koi jawab deta mene call kat di or cell phone se sim nikal li...
ye drugs ka kiya mawmla he? Police officer ne agla sawal kiya
sir ham koi chor ya daku nahi he bas mene apni dost k kehne pe Aliyan ko mara tha or ye drugs ka bag hamein road se mila ham nahi janta ais bare me kuch bhi
Nahi sir ye log jhoot bol rahe he me ais shaks pe nazar rakhe hoe tha jab ye teen larke umar se milne aae tou ain k hath me ye bag bhi tha Aliyan ka khabri foran bola
Hmm ye log drugs supply karte he tabhi tou raat k andhere me milne aae ye log aese nahi mane ge Bashir zara aik bar phir khatir'dari karo...!
Ab Aliyan or police officer baatein karte hoe police station se bahar nikle aae
Mr.Aliyan Ab hamein Ramsha ko giraftar karna hoga
ye larke proof he aus k gunah k or ham qanoon nahi tor sakte ab ye ap k ghar ka mawmla nahi he ab baat police tak phunchi he tou police hi handle kare gi
Aliyan khamosh raha or wahan se chala gaya...!

kuch hi der mein wo hospital phunch gaya Fahad ki beti ka sun kar wo bohat khush tha
wo sab porani batein bhoola kar khushi khushi fahad ko mubarkbad dene aaya tha aus ki nanhi pari dekhne aaya tha
wo hospital k kamre k darwaze pe phuncha hi tha jab Ramsha ki baatein aus k kan se takrai or wo jo ghusa aus k chehre se gayab howa tha
wo aik bar phir aus k chehre pe aa gaya
wo jo tamam baatein hospital ane se pehle bhula kar aaya tha aik bar phir ause wo baatein yad aa gai...      

                             -------****-----*****-----*****-------

sab k chehron se rang urd chuke the sab aik dosre ko herani bhari nigahon se dekh rahe the
Fahad ka sabar ab khatam ho chala tha aus ne aik bar phir Ramsha ko thapar de mara
tum jesi ghatiya orat me ne aj tak nahi dekhi tum kiyun ham sab ki zindagi barbad karne aa gai?
tum hasd or badle ki agg me itna gir jao gi mene kabhi socha bhi nahi tha
Ary Miya bivi ka rishta tou duniya ka wo wahid rishta hota he jis me aik hi insan se kai bar nafrat or bar bar muhabbat hoti he
par mene jab bhi tumhari galtiyan bhula kar tum se muhabbat karne chahi tum ne hamesha mujhe galat sabit kiya he
Fahad ki ankhon me shaded ghusa tha aus ka lehja sakkkt tha or wo ais waqt toot raha tha
aus ki halat kharab hone lagi thi aus ne kabhi socha bhi nahi tha k aus ki bivi aus k bhai ki jan lena chahe gi,
aus ki bivi ki wajah se kabhi ghar me masle'masail bhi honge,
aus ki bivi ki wajah se koi aziat me bhi aae ga,
ause ais waqt apni bivi se shaded nafrat ho rahi thi
Me or Aliyan hamesha aik dosre se har baat share karte he par itefaq dekho Ramsha k bare mein mene kabhi ais se kuch share hi nahi kiya na mujhe ais k bare mein kuch pata tha
agar mujhe pata hota tou aj meri zindagi yuu kharab na hoti me phashta raha hun tum se shadi kar k tumhein tou apni harkaton pe koi afsos koi sharmindagi bhi nahi he
me tumhein kabhi maf nahi karo ga Ramsha ab me aik pal bhi tumhare sath nahi reh sakta me abhi or aisi waqt tumhein talaq----
Fahad bhai---Amaya ne ause rokna chaha
Amaya please aus ne gardan mord kar amaya ki janib dekha ye ham miya bivi ka mawmla he tum bech me mat bolo
tum jis ki himayat me bolna chahti ho wo tumhari himayat k layaq hi nahi he
ab dobara aus ne Ramsha ki janib dekha ainda mujhe apna chehra kabhi mat dikhana
dafa hojao meri zindagi se nafrat he mujhe tum se tumhare wajood se....
par fahad meri bat tou suno.....
ab kiya reh gaya he sun'ne ko? ye dekho tumhare agey hath joodre mene chali jao meri zindagi se ham sab ko akela chor do
fahad bhai ap ais waqt ghuse me he talaq ka zikar karna ais waqt thek nahi Amaya aik bar phir boli
Amaya mene kaha na tum bech me nahi bolo gi agar tum ne pehle hi din se aise jawab diye hote tou ye aj yu tumhare character k bare ulta na bolti ye khud aik characterless orat he
ab wo aus k qareeb aaya or zor se aus k dono bazu pakre tumhein kiya mila ye sab kar k? sirf badnami or ruswai
Ramsha bibi jo dosron k liye bura sochte he aun k khud k sath bhi bura hi hota he or ab tumhare sath bhi aesa hi ho ga
kuch hi der me tumhein police arrest kar k le jae gi or mujh koi farq nahi pare ga mujh se ab koi umed bhi mat rakhna kiyun k ab tumhara or mera koi rishta nahi
tum jail jao ya kahin or ab mujhe ya mere khandan ko koi farq nahi padre ga... wo sakkkt lehje se bola
me apni bachi bhi tumhein nahi dunga tum tarso gi apni olad ko dekhne k liye ab aus ne aus ka bazu piche ki tarf jhatka
Nahi fahad tum mere sath aesa nahi kar sakte tum mujhe jail nahi bhej sakte--- aus k chehre ka rang safeed pardh gaya par chehre pe koi sharmindagi nahi thi
apni bachi ko khoo dene ka ause koi khoof ya koi dukh na tha wo tou bas jail jane se bachna chahti thi ause tou bas apni zaat se muhabbat thi
Me aesa hi karun ga wo sakkt lehje se bola i hate you Ramsha i hate you...
Me tumhein talaq deta hun, talaq deta hun, talaq deta hun...
Amaya ki ankhon se ansu behne lage wo khud ko ain sab ka qasoorwar samjhne lagi
Amaya tum kiyun ro rahi ho tumhein rone ki zaroorat nahi he Ramsha ne jo kiya ause aus ki saza mili he Aliyan ne aus k kandhe pe hath rakha
Aus ne kabhi nahi chaha tha k aus ki wajah se kisi ka ghar kharab ho wo tou bas sab ko khush dekhna chahti thi
zain ne fahad ko dilasa dene k liye aus k kandhe pe hath rakha
ais se pehle zain kuch kehta fahad ne apne kandhe se aus ka hath hatate hoe aik nazar aus pe dali
mere dil k itmenan k liye itna hi kafi he k jo bhi hota he ALLAH ki raza se hota he
bando ki raza se nahi...
mere yaqeen k liye itna kafi he k meri beti ki taqder me ALLAH ne kuch acha hi likha hoga
mere bharose k liye itna kafi he k mene apni beti ki zindagi ALLAH k hawale ki he
meri umeed k liye itna kafi he k mere rab ko haya aati he apne dar se bando ko khali hath lutane me ab aus ne jate hoe zahreli nigahon se
aik nazar Ramsha ki janib dekha or apni beti aus k hathon se cheen kar wahan se chala gaya...
bhabi agar ap sache dil se Allah se mafi mang le tou ALLAH PAK ap ko maf kar dein ge Beshak wo har cheez par qadir he Amaya kehte hoe wahan se chali gai
par Ramsha ki ankhon me na koi ansu tha na koi phashtawa na koi fikar wo tou aese aram se behti thi jese kuch howa hi na ho...
Kuch dino me jab aus ki tabiyat kuch thek hoi foran police ause arrest kar k le gai
aik rishta tha
man ka,
bharose ka,
ehtram ka,
tash k paton k ghar jesa,
hawa ka aik jhonka sab bikher k chala gaya...              
                 ------*****-----*****------*****-------*****-------

Aese hi kuch saal guzar gae Ramsha ko talaq dene k bad fahad England chala gaya or fahad ki beti Hoorain ko Aliyan or Amaya ne apne pas rakh liya
Auno ne Hoorain ki parwarish apne zimme leli,
zain or Anaya bhi apni beti Mahanoor k sath khush hein...
Aliyan Shams k kamre ki tarf se guzar raha tha jab aus ki nazar kamre me khadri amaya pe padri
ause dekh kar wo kamre me chala aaya aus ki nazar sehda table pe padri tou wo bola ye tum kiya kar rahi ho?
Amaya jo black dress pe hijab me malboos aik table pe khadri thi aus ne gardan mord kar aik nigah Aliyan pe dali
Shams keh raha tha k Mama mujhe wallpaper acha nahi lag raha ap wall pe kuch paint kar dein tou mein Bismillah Al'Rehman Al'Raheem likh rahi hun
Ab Aliyan ne aik Nazar dewar pe dekha wo bohat hi Khubsoorat Bismillah Al'Rehman likh chuki thi or ab Al'Raheem likh rahi thi
Amaya ka paon zara lard'khadaya zara table pakriye ga me gir na jaon
Amaya tum nahi giro gi me tumhein kabhi girne nahi dunga wo khoe hoe andaz me bola...!
jis pe Amaya ka hath wahin ruk gaya or wo uljhi hoi nigahon se ause dekhne lagi!

Samaira k hone wale sasur k inteqal hone ki wajah se aus k Nikkah ki date kuch saal agey bardha di thi
Amaya tum abhi tak ready nahi hoi shams kahan he hamein chachu ki haveli phunch'na he Hina chachi pichle adhe ghante me kai bar call kar chuki hein
Aliyan apna coat pehn'te hoe bola
Amaya ne muskurate hoe apna hath aus k agey kiya
ye kiya he? Aliyan ne aik nazar aus ki hatheli pe rakhe box pe dali
khudi dekh lein wo muskurai Aliyan ne foran aus ki hatheli se wo box uthaya or ause kholne laga
Box khulte hi wo madham sa muskuraya Oh Cufflinks wo bhi red pearl!
jee hanw Cufflinks ap k liye me ne kabhi ap ko koi tohfa nahi diya tou mene socha aj de dun kesa laga? aus k chehre pe khushiyon bhare taa'surat the
Bohat acha laga meri kanjoos bivi ne pori zindagi me aj pehli bar mujhe koi tohfa diya he tou pasand kese nahi aae ga aise me museum me saja kar rakhun ga
wo ause tang karne laga jis pe amaya ka mou sa ban gaya
Aus k chehre ki khushi aik pal me gayab hogai Wo mou banae ause dekhne lagi ap mera mazaq bana rahe he?
Ary tum tou bura hi man gai me tou mazaq kar raha tha Ab itne piyar se lai ho tou mere cuffs mein laga bhi do aus ne apna bazu aus ki tarf bardhaya
bas ausi pal aus k chehre ki khushi wapas lout aai or wo muskurate hoe aus ki shirt pe cufflink lagane lagi...
Amaya tum ne mujhe hamari pori zindagi me kai tohfe diye he tum ne mujhe badal kar mere baba ko sab se haseen tohfa diya he
or mere liye kiya kuch nahi kiya tum ne university se le kar ab tak har mord pe mujhe tohfe hi diye he...
Mama Baba dekhein shams kesa lag raha he? jeans pe blue shirt mein malboos wo darwaze pe khadra tha abhi wo aik dosre ko bohat piyar se dekh hi rahe the jab shams ne aune apni tarf mutwajah kiya
Shams ab ap dus'saal k ho gae ho ab tou har bat me apna naam lena chor do Aliyan muskurate hoe bola
MASHALLAH mera beta bohat piyara lag raha he wo muskurai
Ap ka nahi Hamara beta Aliyan foran bola---
Thankyou Mama wo bhag kar apni maa k pas aaya or aus ka hath chomne laga
Ye kiya Kar rahe ho? wo uljhi hoi nigahon se ause dekhne lagi
Ap k hath choom raha hun ap ne aini hathon se mujhe chalna sikhaya,
Mujhe sipara pardhati hein,
Mera har kam karti hen tou kiya me ap ka hath nahi choom sakta wo muskurate hoe keh raha tha
Ab agar maa bete ka piyar khatam ho gaya ho tou kiya ham ab haveli jane k liye nikle? wo naak sakodre bola

Anaya tum ab tak tayar nahi hoi? zain zara tez awaz se bola
Anaya jo apne cell phone me whatsapp pe masrof thi aus ne nazar utha kar zain ko dekha
Pehle tumhari beti ko tou tayar kar dun bilkul amaya jese nakhre he ais me koi dress aise pasand hi nahi aata
Anaya cell phone table pe rakh kar foran Almari ki janib lapki or Mahanoor k kapre nikalne lagi
Wao ab tum ne apne ilzam Mahanoor pe lagana shuru kar diye he aus ne aik nazar anaya k cell phone pe dali
ye jo phone he na tumhara me aise tor dunga jab dekho tumhara whatsapp khatam hi nahi hota he
pichle kai ghanton se tum ais me lagi hoi thi ais k ilawa or kisi cheez me dehan hi nahi he tumhara wo ghuse se bola
Anaya ko bhi ghusa aa gaya wo bhi larne medan me utar padri aaese kese mera phone tor doge? tumhein tou har waqt mujhe se koi na koi problem hi rehti he
pata nahi kiyun mene tum se shadi kar li kabhi meri kisi bat pe khush bhi ho jaya karo
Auff ho! ye phir shuru ho gae Mahanoor bechari kabhi apni maa ko dekhe tou kabhi bap ko
Anaya me tum se koi behas nahi karna chahta Aliyan bhai wale kab k wahan phunch gae he Baba ki calls aa rahi hein he ab tak aae kiyn nahi
ab me aune kiya bataon k meri bivi ko larne se fursat ho tou hi ham aaein
Larai tum ne shuru ki thi tum ne mere phone k bare me ulta kaha mujhe kahi nahi jana tumhare sath apni beti ko le kar jao yahan se wo chilai
uff ALLAH mama kitna bolti hein baba bechare kese handle karte he wo mou banate hoe sochne lagi...
Mama cool down Bari mama kehti hein larai karna buri bat hoti he good peoples kabhi bhi larai nahi karte Mahanoor masomana andaz me boli
zain ne aik nazar apni beti pe dali Ye Dekho kuch seekho apni beti se choti si bachi ne kitni piyari baat kahi he tum aise kuch sikha tou sakti nahi ho tou kam az kam aisi se hi kuch seekh lo
Baba ap bhi cool ho jaein or mama se friendship kar lein Bari mama kehti hein jab bhi kisi ko fight karta dekho tou aun ka patchup karwa do sawab milta he
Aus ne itne naram lehje se kaha k zain or Anaya hans diye zain aus ki tarf bardha or ause piyar karne laga...!
Thanks to Amaya bhabi jo meri beti ko achi baatein sikhati hein--- wo tanziya nigahon se anaya ki janib dekhte hoe bola
                              ----****------****-----****-----******-------


Aj haveli aae auneh do din guzar chuke the sab bohat khush the!
Hamas or Haniya bhi dubai se aa chuke the aun k bache MASHALLAH bare ho chuke the
pichle do din me Amaya ko kai porani baatein yad aai thi jab wo Aliyan k sath pehli bar ais haveli me aai thi or pehli mulaqat me hi Hina chachi se bohat free ho gai thi
wo blue dress pe red hijab me malboos hath me kitab liye sham k waqt bahar lawn me darkht(tree) se tek lagae behti thi jab Aliyan ki awaz aus k kano se takrai
Amaya tum kiya kar rahi ho? wo samne se chalta howa aa raha tha jab aus ki nazar aus k hath me pakri kitab pe padri
Oh Mushaf pardh rahi ho tum pichle kai salon me ais Novel ko kai bar pardh chuki ho kiya ye tumhein itna pasand he?
Ab aus ne apne chehre se kitab hatai
Aliyan ye mera Favourite Novel he or ap ko pata he ye mera favourite kiyon he?
wo nafi me sar hilate aus k pas beht gaya
Ais me Quran'pak ki baatein likhi he wo halka sa muskurai
Acha phir tou me bhi pardun ga Hoorain or shams kahan he? wo nazar yahan wahan ghumate hoe bola
sab bache khel rahe honge Mashallah Hoorain or Mahanoor kab 7saal ki ho gain pata bhi nahi chala amaya muskurai
Hanw par tum ab bhi budhi nahi hoi ho Aliyan maskharana andaz me bola
Aliyan Ramsha bhabi--- wo bolte hoe hichkicha rahi thi
Amaya tumhein pata he Ek Kante Ka Darkht Kisi K Ghar k samne paida hogaya parosiyo ne kaha ais ko ukhad dete he
aun k ghar k aik shaks ne kaha kal ukhad lege or kal kal karte karte darkht ne apni jagah mazboot bana li or ukhadrne wala budha ho gaya tou
hum sab ko bhi chahiye k buri adaton ko nazar andaz na karein
hamare nazar'andaz karne se yeh dil mein aase jam jati he k hamein hosh hi nahi rehta or aese hal me ham ALLAH ko bhool jate he or apni man'marziyan karne lagte he
or phir hamara hal bohat bura hota he or aisi hal me ham ALLAH k pas chale jae ge
ham me jo buraiyan he hamein aune ahista ahista khatam karne ki koshish karni chahiye or koi bhi kam bina koshish k mumkin nahi hota
ham koshish karte rahe ge tou aik din ALLAH ko zaroor Paa lein ge!
Amaya bina palk chaphke ause dekh rahi thi Kiya howa aese kiyun dekh rahi ho?
kuch nahi aus ne sar jhatka...!
Asar ki azan ka waqt hone wala he me masjid ja raha hun mujhe azan deni he wo jane k liye uth khadra howa
Khushnaseeb he wo jawani jo ALLAH pe fida ki jae burhape mein tou har koi ALLAH k pass jata he ALLAH itna kareem he phir bhi rad nahi karta
lekin jawani ki ALLAH qeemat ziada lagata he
hamare Nabi pak S.A.W ne farmaya!
"Jis Ki Jawani ALLAH Pe Fida Hogi Us Ko Hashar Kay Roz Arsh Ka Saya Milega"...!

kuch hi der me Asar ki azan hone lagi bohat hi khubsoorat awaz logon k kano se takrane lagi
Aliyan Mustafa jo logon ko jute ki nok pe rakhne wala shaks tha,
jis me ghamand kot kot kar bhara tha,
jo bohat proudy sa tha,
jise apne mazhab k bare me kuch bhi nahi pata tha
jise sirf logon ko hurt karna aata tha,
Agar ause kisi ne control kiya tou ALLAH ne kiya
Aus k gale me mohabbat ki rasi dal di
kabhi na khatam hone Muhabbat
Aliyan ki apne Rab se Be-inteha Muhabbat....!

Aj samaira k nikkah k aik roz pehle Mustafa Alam apni zoja k hamrah haveli aa rahe the wo pehle se ziyada zaheef ho gae the abhi wo gaon me dakhil hi hoe the jab auneh azan sunai di
Aliyan mera beta Azan de raha he aun k chehre pe aik alag hi khushi thi Mrs.Mustafa k chehre pe bhi khushi numaya hoi
Mashallah hamara beta kitni khubsoorat azan deta he wo muskurai...
Driver Masjid ki tarf ghadri ghuma lo me asar ki namaz pardh kar Aliyan k sath hi haveli aa jaon ga...
Thek he janab Driver ne masjid ki tarf ghadri ghuma li..
Masjid mein koi nae Molvi sahab aae he kiya? kuch log khadre apas me baatein kar rahe the
Pata nahi Molvi Asadullah sahab tou kisi kam se dosre gaon(village) gae hoe he shayad auno ne apni jagah kisi dosre molvi ko bhej diya hoga aun me se aik shaks bola
Mashallah Molvi sahab bohat hi sakoon or naram lehje se bohat hi khubsoorat azan de rahe he ais bar aun me se koi dosra shaks bola
Shams bhi Aliyan k sath Masjid me namaz pardhne aaya tha apne dada ko aate dekh wo khushi se bhagta howa aun k pas aaya
Asalam wa alaikum Dada jan chehre pe wohi masomana muskurahat wo bohat piyar se apne dada ko dekh raha tha
Wa alaikum asalam mere bete! auno ne bhi bohat khushi or josh se jawab diya or ause piyar karne lage
Aliyan ko apni tarf ata dekh wo muskurae jawab me aliyan bhi muskura diya or khushi se salam karte hoe apne baba k gale laga!
ap kese hein?
me thek ho ALLAH ka shukar he or tum dono ko dekh liya ab or behtar ho gaya hun chalo aao namaz pardhen phir bad me baatein karte he
Shams ap ko namaz pardhna aati he? auno ne muskurate hoe sawal kiya
jee baba ne sikhai he or ap ko pata he shams roz baba k sath namaz pardhne jata he or baba or mama shams ko sipara bhi pardhate he..
very good ais ka matlab shams ab bara ho gaya he auno ne muskurate hoe aus ka gal thap'thapaya...
ab wo teeno ba'jamat namaz aada karne lage...!    
                        -----****----****----****-------


Mahanoor blue froak me malboos aik table pe tang pe tang rakhe behti thi wahan se guzarte hoe amaya ki nigah aus pe padri tou wo aus k pas aa kar beht gai
kiya howa Mahi ap aese kiyun behte ho?
kuch nahi bari mama wo madham si awaz me boli
Kuch tou hoa he chalo ab jaldi se bari mama ko bata do good peoples baatein nahi chupate ab amaya ne apna hath apni gardan k piche rakha
Bari mama meri mama itna kiyun bolti hein? Wo uljhi hoi nazron se dekhte hoe boli
Mahanoor ap ki mama shuru se hi bohat bolti hein me bhi bohat bolti thi wo muskurai
ap ab ziyada kiyun nahi bolti?
Amaya kuch der khamosh rahi phir kuch sochte hoe boli bas wese hi waqt k sath sath hamari sab adatein change ho jati hein...
Mahanoor thi tou Anaya ki copy par bolne k mawmle mein wo apne bap pe gai thi zara kam hi bolti thi...!


Aj Samaira k nikkah ki taqreeb thi taqrebann sab mehman aa chuke the or sab tayar hone me Masroof the!
Amaya light peach fraok me malboos tayar hone k liye Dresing table k agey khadri hi hoi thi jab Aliyan kamre me dakhil hoa Aus ki nazar Dresing table pe rakhe makeup pe padri
Amaya makeup mat kiya karo wo almari se kapre nikalte hoe bol raha tha tum makeup k bina hi MASHALLAH piyari lagti ho
Amaya jo face'powder uthane k liye dressing table ki tarf hath bardha rahi thi aus ne apne hath wahin rok liye or apni nazar Aliyan pe dali jo hath me apne kapre liye khadra ause dekh raha tha
par ye churiyan aus ne ankhon se churiyon ki tarf ishara kiya ye churiyan zaroor pehna karo tumhari kalai me achi lagti hein---
or tumhara ye hijab tum hijab me bohat khubsoorat lagti ho wo muskurate hoe wahan se chala gaya
or wo ab bhi herani se ause jata howa dekh rahi thi...
Aliyan ne kabhi khul'kar aus ki tareef nahi ki thi
kuch der me Sab tayar ho kar main hall me aa gae!
Amaya hoorain ko dekhne Anaya k kamre me aai tou Wahan Aliyan or shams maujood the
Surprise..............! wo dono aik sath bole
aune dekh kar Amaya ki ankhein khuli ki khuli reh gain
Kiya howa aj se pehle koi handsome larke nahi dekhe kiya? Aliyan aus ki ankhon k agey hath hilate hoe maskharana andaz me bola
kon se larke? wo hansi dabate hoe boli
Ehm Ehm ausi doran koi khansta howa kamre me dakhil howa
Baba jan-- Aliyan k mou se chand Alfaz nikle wo jo amaya ki tang khenchne k liye tayar khadra tha apne baba ko ata dekh ab wo sehda khadra ho gaya
Mustafa Alam ne jab aun bap bete ko dekha tou wo bhi kuch pal dono ko dekhte hi reh gae
Aliyan or shams aik jesi cotton ShalwarKameez mein malboos behad handsome lag rahe the
Mashallah Mashallah Amaya ye dekho shams bilkul Aliyan ki copy lag raha he Aliyan jab dus'saal ka tha tab bilkul aesa hi tha
Amaya dono ko aik jese kapro me malboos dekh kar bohat khush hoi wo dono waqai bohat ache lag rahe the Akhir shams ne apne baba jese kapre pehan hi liye...!
Mama shams Baba se ziyada acha lag raha he na? wo apne bap ko dekhte hoe muskuraya
jee bilkul ap ho hi itne piyare bilkul apne baba jese wo madham sa muskurai
apne baba k nam pe wo bhi halka sa muskura diya ap ko pata he baba ne shams ko ye dress gift kiya he aus k chehre pe khushi or excitment se mile'jule taa'surat the
Amaya Light peach froak pe hijab me malboos bohat khubsoorat lag rahi thi Mama you looks pretty wo muskurate hoe bola
Amaya hoorain kahan he? Aliyan ko yad aane pe aus ne sawal kiya
Me ause hi dekhne aai thi wo hamas k pas thi ap log niche chalein me hoorain ko le kar aati hun...
aus ne har jaga dekh liya par hoorain ause kahin nazar na aai Amaya tou jese sans lena hi bhool gai aus ki ankhon me ab ansu jama hone lage Lawn ka khayal aate hi wo foran bahar lawn ki janib lapki
wo lawn me phunchi Hoorain Amaya jesi light peach froak me malboos wahan khadri thi...
Ause sahi salamat dekh kar amaya ne ALLAH ka shukar ada kiya or foran aus ki janib lapki Hoorain ap yahan kiya kar rahi ho?
kiyun kiya howa mama?
Beta mama ne ap ko har jagah dhonda ap k nazar na aane pe mama bohat dar gai thi ab wo ause choomne lagi
Mama ap mujh se itna piyar karti hein? wo muskurate hoe boli
hanw bohat Amaya ne ause aik bar phir chooma
Mama me ap ki piyari beti hun na?
Hoorain ap sab se piyari hein maa ki bat pe wo muskurai
Mama Hoorain ka matlab kiya he?
Hoorain jannat ki hoor...!

jis waqt Amaya or Hoorain main haal me dakhil hoi Aitfaq se ausi doran Aliyan or shams bhi sedriyan utar'te niche aa rahe the sab ki nazar aik tarf maa beti pe padri or dosri tarf bap bete par
Mashallah Aj tou sab hi bohat piyare lag rahe he Hina chachi ki awaz kano se takrai
Ami dekhein zara dono maa beti ne aik jesi froak pehni he or bap bete ne aik jesi shalwarkameez MASHALLAH kitne piyare lag rahe he Haniya khushi se boli
Anaya tum ne or Mahanoor ne aik jese kapre kiyn nahi pehne? ais bar Shanze ne sawal kiya
Mujhe aik jese kapro ka khayal hi nahi aaya Anaya ne foran jawab diya
Hanw whatsapp se bahar nikle gi tabhi koi khayal aae ga pas khadra zain Ahista se bola jis pe anaya ka mou sa ban gaya
Hoorain you looks pretty like mama shams ne bhi amaya k andaz mein aus ki taref ki jis pe sab hans diye...!
Hoorain tum ne mama jesa hijab kiyun nahi pehn'na? shams ne aus se sawal kiya
Bhai me abhi choti hun na mujh se hijab carry nahi hota...
Aww meri piyari beti Aliyan ne ause goooodh me utha liya or ause piyar karne laga...
Nikkah ki rasmein shuru hogai Samaira ka nikkah Mustafa Alam k qareebi dost k bete k sath kiya ja raha tha...
Hina chachi bohat khush dikhai de rahi thi Mashallah se aun ki do betiyan apne ghar khush thi or ab tesri beti k farz se bhi wo azad ho chali thi...!
Amaya samaira se baatein karne me masroof thi
Bhabi Ap ko yad he jab ap pehli bar hamare yahan aai thi me kese ap k kamre me chipak hi gai thi or haniya baji mujhe zabardasti wahan se le kar gai thi
ap ko pata he ap mujhe waqai bohat khubsoorat lagi thi ap ki attractive personality he jo logon ko khud apni tarf attract karti he
ap ko pata he mene ap ko dekh kar dil me socha tha k ALLAH PAK kash mera koi bhai hota tou me Amaya ko apni bhabi banati or dekhein Allah ne ap ko meri bhabi bana hi diya
Aliyan bhai jan saggee bhaiyon se kam thori he wo bohat ache he samaira porani baatein yad karne lagi jis pe amaya ki hansi band nahi ho rahi thi
Bhabi ap ko tou chae bhi banane nahi aati thi phir ap ab achi cooking kese kar leti hein?
samaira ap ais waqt dulhan hein or achi dulhane itna bolti nahi he Amaya ne ause qail kiya
O cum'on bhabi ye 90's ki shadi thori he jo me sharmaon,ghabraon, khamosh behti rahun mujh se nahi behta jata chup chap wo mou banae boli
jis pe amaya ko hansi aa gai acha medam!
Bhabi kiya kabhi Ramsha bhabi ne hoorain se milne ki koshish nahi ki?
Nahi-- or Aliyan nahi chahte k Ramsha ka saya bhi hoorain pe padre...
Touba he Sam tum kitna bolti ho kab se me tumhein note kar rahi hun tumhari zuban chup hi nahi ho rahi he ab khamosh ho jao ais se pehle k tumhare sasural wale batein banane lage Shanze ause khamosh rehne ka hukam dene lagi
Mere bolne pe sab ko itni takleef kiyun hoti he thek he nahi bolti mein or sasural ja kar bhi nahi bolun gi phir sab kahe ge gongi bahu le aae he wo nak sakodre boli
hanw reh hi na lo tum chup Shanze ne ause tokaaa...
Acha shanze api ab bas bhi karein aj tou sam dulhan he aj tou sam ki chalne dein ais bar amaya boli
Amu idhar aao Anaya ne ause awaz di tou wo uth kar chali gai...
Shanze api amaya bhabi bhi tou bohat bolti thin or ab dekhein shadi k bad wo kitna badal gai hein me bhi badal jaon gi wo foran boli
Sam tum amaya jesi nahi ban sakti---wo agey bhi kuch kehne wali thi par ause kisi ne awaz de li


Amaya pole k pas khadri thi jab Aliyan aus k pas aaya!
yahan akeli kiya kar rahi ho?
Anaya tumhein dhond rahi thi
jee aus se bat ho gai he ab wo apne gale se heart shape ka lokit utarne lagi
ye lokit kiyun utar rahi ho?
aus ne apna lokit Aliyan ki janib bardhaya Aliyan me apna dil ap ko de rahi hun sunmbhal k rakhiye ga
Amaya tum apna dil mujhe 15saal'6mahine'20din pehle hi de chuki thi wo hath agey bardhate hoe itni naram or piyar bhare lehje se bola amaya k chehre pe muskurahat aa gai
or aus ka chehra glow karne laga...
Nikkah ki taqreeb ache se ho gai sab ne khoob mehfil lagai gappe'mare sab kuch ache se ho gaya...!

                   ------****----****----****------*****-------  
 

Ab wo wapas karachi aa gae the...!  
Raat k waqt dinner karne k bad Aliyan or zain tv lounge me beht gae or tv par match dekhne me masroof ho gae
Hoorain apna school ka home'work kar rahi thi or shams mahanoor ko tang karne me masroof tha
jis pe mahanoor naraz hogai or rone lagi anaya aun ki sulah karwane lagi,
Aun ki sulah karwate karwate Anaya bachon ko apni or amaya ki dosti k qisse sunane lagi
jis pe dono bachon ka mou se ban gaya oh no chachi phir shuru ho gain shams mou banae dil me sochne laga
Anaya aksar bachon ko porani baatein bataya karti thi or wo baatein ab bachon ko hifz ho chuki thi
Auf ap kitna bolti hein?
Anaya ki patar patar baton pe dono bachon ne apni ankhon or kano pe hath rakh liye or kuch hi der mein wahan se uth kar bhag gae...

kuch hi der me amaya sab k liye coffe le aai aik bar phir sardiyan shuru ho gai thi thand bohat thi hawa bhi kafi thandi chalne lagi...
Amaya or Anaya ko andar ata dekh wo dono muskura diye jawab me aun dono ne bhi muskura kar dekha!
Garam garam coffe ready he amaya ne coffe mug aliyan k agey kiya or anaya ne zain k..
par dono ka dehan match me aese tha jese ain k aas paas koi he hi nahi amaya ko ais harkat par bohat ghusa aya or anaya ka to mau hi latak gaya aus ne zain se remote cheena or garam garam coffe mug aus k hath me thama diya
jis pe wo Cccc karta reh gaya par kuch bol na saka aun dono ne apni biviyo k mood ko samjhte howe samjhdari se tv band kar diya or coffe peene lage..
wao amaya kiya coffe banai he tum ne tumhein yaad he tum ne jab first time mujhe coffe pilai thi apne ghar bilkul wesi hi coffe he bas farq sirf itna he k tab me taref na kar saka or aj kar raha hun wo muskuraya aus k lehje me itni narmi thi k amaya bhi muskura di...
Aliyan bhai ap ko pata he Amaya jab bhi ap ko dekhti thi ais k dil me koi na koi sound chalne lagta tha ye itni pagal thi
specially ap ka ghusa ap k ghuse or ego ne hi ais k dil me jagah banai thi ap pehle aese shaks the jo amaya par yuu bewajah chilae wo bhi full ghuse or roab mein haha sab keh'ka laga kar haaanse...
Really Amaya tab tumhein mujh par ghusa nahi aaya tha?
aaya tha par bad mein mujhe pata nahi kyon ache lagne lage ap ka ego or roub mein phirna acha lagta tha or zain tumhein pata he university mein anaya tumhein dekh kar bure bure mou banati thi
aise tou samjh hi nahi ata tha k fahad kon he or zain kon hahaha ab bolo beta anaya bohat bolna aaraha tha tumhein Amaya aus ki tang khenchne lagi....
porani baatein yad karte coffe ka mug kab khali ho gaya pata hi nahi chala...
zain ab soffee se uth khadra howa fahad bhai bhi hote tou kitna maza aata pata nahi kiyn aun k sath aesa howa wo akele aun ka tou dil bhi nahi lagta hoga wahan zain k chehre pe udasi thi...
ab aliyan bhi khadra ho gaya bas jo hona tha hogaya ab kiya kar sakte he zain tum dil chota na karo chalo so jao ja kar aliyan ause gale laga kar tasali dene laga!

kuch der bad zain aliyan ko kitchen me nazar aaya yahan kiya kar rahe ho anaya kahan he?
pani peene aaya tha wo tou kamre me gadhe ghoodre bech kar so rahi he kiyn koi kam he?
nahi amaya kamre me nahi he mujhe laga shayad dono bichdri hoi saheliyan gapee mar rahi hogin aik tou ham bhai ain saheliyon me phaas gae he kitna bolti hein ye dono auff
sssh ahista bolein bhai sun liya na tou class lag jae gi wese i think bhabi bachon k kamre me hongi hamesha ki tarah aun ki adat jo he sone se pehle bachon k kamre me jaa kar check karna k teeno bache so rahe he ya nahi...
hanw ye tou he khair tum jao me dekhta hun ye keh kar aliyan bachon k kamre ki janib chal diya..
fahad ki beti jo k aram se so rahi thi amaya aus k side me behti bohat piyar se aus k sar pe hath pheer rahi thi..
Aliyan darwaze par seene pe hath bandhein khadra amaya ko bohat piyaar se dekh raha tha wo ahista ahista dabe paon aus k qareeb aaya or bed pe beht gaya
Amaya k dono hath apne hathon me liye amaya tum ne apne ap se ziyada hamesha dosro ko ehmiyat di he meri bematlab zindagi ko itna acha banaya mujhe sikhaya k zindagi kiya hoti he
kese khush raha jata he tumhare liye hamesha dosron ki khushiyan pehle rahi hein...
Aliyan ka lehja itna naram tha k aus k chehre par muskurahat jhalakne lagi zindagi ki asal khoobsurati ye nahi k hum kitne khush hein
bal k zindagi ki asal khoobsurati tou ye he k dosre hum se kitna khush hein..

Amaya me bohat khush hun tumhein apna hamsafar bana kar tum ne hamesha mera sar fakhar se ounchaa kiya he kabhi kisi k samne jhukne nahi diya
tum ne mere liye khud ko badal kar kitna bara compromize kiya he tum bhi tou meri tarah Egostic roab'dar attitude wali howa karti thi but tum ne mere liye ye sab kuch chor diya
yahan tak k tum ne Ramsha ko bhi kabhi koi jawab nahi diya ramsha k galat ravaiye k bawajood aus ki beti ko apnaya tumhein kabhi bhi hum bhaiyo se koi problem nahi hoi
jab k ramsha ko hamesha hum bhaiyo se bhi problem hoti thi Amaya tum itni achi kiyon ho?
ALLAH ne banaya he or ramsha ki galtiyo me Hoorain ka kiya qasoor wo tou masoom bachi he or hum ab kabhi bhi ais topic pe baat nahi kare ge amaya ne narmi se jawab diya....
Amaya aj me fakhar se ye kehta hun k mujhe tum se ab toofani qisam ki muhabbat he and i really proud of you..
Amaya ab bhi chehre par muskurahat sajae khamoshi se ause sun rahi thi..
Amu pata bhi nahi chala or ye saal kese guzar gae hamare bache kab bare ho gae pata bhi nahi chala or tum ne Hoorain ka khayal shams se bhi ziyada rakha he
mujhe umeed he Hoorain tum jesi hogi kiyon k aus ki parwarish tum kar rahi ho me nahi chahta k wo apni maa pe jae bas tum hi aus ki mama or me Baba hun wo hamari beti he...
or me ap ka beta...
aik awaz aun k kan se takrai Aliyan or amaya ne yahan wahan nazar ghumai
shams ne ankhon se hath hataya naughty boy soe nahi ap abhi tak? buri baat he na kisi ki baatein sun'na..
sorry Mama mein tou so raha tha par ap ki baaton se ankh khul gai or mujhe khushi ho rahi he Baba ko itna piyaar se baatein karte dekh kar shams shararti lehje me bola...
badmash bohat baatein aagai he ap ko kahan se seekte ho ye sab?
internet se...
Amaya k chehre par herani bhare tasuraat the Aaaw aliyan dekhein pehle kehta tha khud se or ab kuch bara ho gaya he tou keh raha he internet se
aj se ap ka tv net sab band
amaya ki bat pe aus ka mou sa ban gaya shams chalo ab jaldi se sojao subha school bhi jana he Aliyan ne ause sone ka ishara kiya
Baba dekhein naa mama ko shams ne mazaq kiya tha me tou bas cartoons dekhta hun or games khelta hun wo mou latkae bola
Me kiya dekhon beta me tou roz hi dekhta hun ab ap ki mama ne kaha he net band tou band chalo aj baba sulae ge apne tiger ko...
wo kehna chahta tha(Baba ab me bara hogaya hun khud sojao ga par ause ais waqt apne baba par toot kar piyar araha tha)
agar wo ais waqt 18saal ka bhi hota tou apne baba ko ye na kehta k me bara hogaya hun khud sojao ga
ab Aliyan aus k bed par behta ause sulane laga i love you baba jani shams ne muskurate hoe ab ankhein band kar li...
i love you too beta Aliyan ne aus k gal pe chooma Aliyan k chehre par madham si muskurahat thi!
Amaya wahan se jaane lagi tou Aliyan ne aus ki kalai tham li or wo wahin ruk gai!
Amaya "AhBak" wo bohat naram lehje se bola
jis pe amaya kuch uljhan ka shikar hoi (Ahbak)?
hanw Ahbak "i love you"...!
ab wo halka sa muskurai "Ahbak to you" Aliyan....!
ab wo uth khadra howa Amaya tum ne mere liye bohat kuch kiya mene kabhi socha bhi nahi tha koi mujhe itna chah sakta he ab aus ne amaya ko gale se laga liya...
ye sab mene apni ajeeb chahat k liye kiya wo muskurate hoe boli...
Ajeeb chahat?? Aliyan ne herani par piyaar se aus ki janib dekha
hanw "Amaya ki ajeeb chahat Aliyan" wo aus ki nazar se nazar milae muskura kar boli....
Thankyou so much aliyan mujhe samjhne k liye me bhi bohat khush hun k mujhe ap jesa hamsafar mila
dono aik dosre ko piyar bhari nigahon se dekh hi rahe the k achanak light chali gai
Oh shoot! Ups kiyun nahi chala? Amaya ki awaz aus k kano se takrai
Shayad battry kharab ho gai hogi subha check karun ga Ab wo table ki janib bardha or table pe rakhi mombati(candle) jalane laga
Amaya bhi aus k pas aai or wo bhi table pe rakhi mombati(candle) jalane lagi
ab wo mombati(candle)utha kar soffe ki janib badri Aliyan bhi hath me mombati(candle) liye
aus k piche chal dia or dono apne hath mein mombati(candle) pakre soffee pe beht gae...

wo bohat piyar se aik dosre ko dekh rahe the
Amaya tumhari ankhein bohat khubsoorat he wo muskurate hoe aus ki ankhon ki taref karne laga jis pe Amaya muskura di
wo aj bohat khush thi Aj shayad pehli bar Aliyan aus ki sache dil se taref kar raha tha warna tou hamesha mazaq hi banata raha tha
tumhein pata he tum hijab me bohat achi lagti ho bilkul masoam or behad khubsoorat wo muskuraya
ais bar aus ne bhi apne dil ki bat ause batana chahi
Aliyan jab mene pehli bar ap ko bohat hi dehan se dekha tha tab mere dil me sound bajne lage the
Wo mathey pe bikhre baal,
Purkashish ankhein,
Ghuse se uthi hoi naak,
Chehre pe roub,
wo sab bohat hi khubsoorat sa tha wo bohat naram or piyar bhare lehje mein apni bat keh rahi thi jis pe Aliyan Madham sa muskuraya...!  
Amaya aik baat kahun agar tum sunti ho
Tum Mujhe bohat achi lagti ho ....! <3 <3 <3


Ajeeb chahat k laad ka naam Amaya Aliyan he...!
Jeene k liye ab bas Apne rab k bad "Amaya k liye aik Aliyan
or Aliyan k liye aik Amaya"...!
Amaya ki Ajeeb chahat apne rab se,
Ajeeb chahat apne nabi se,
Ajeeb chahat apne mazhab se,
Ajeeb chahat Apne waledein se,
Ajeeb chahat apne shohar se,
Ajeeb chahat apne Bachon se,
Bas yehi he Amaya or auski ajeeb chahat....!
Phir howa kuch yuu k dastan-e-ajeeb chahat pori hoi Amaya ki....



                                         Writer: Muntaha Arain