Tuesday 27 October 2015

Episode 13 Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

Episode 13
                      Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain


Ab wo karachi se haveli aa gae the Aliyan k gaon!
Amaya sedriyan utar'ti kitchen ki tarf ja rahi thi
Amaya beta kahan ja rahi ho idhar aao Mrs.Mustafa ne ause apne pas bulaya
jee mamma! Me kitchen me ja rahi thi khana banane
beta tum kiyon khana banao gi maid he na..
Nahi mama Aj me khana banana chahti hon
thek he jesi tumhari marzi ab mrs.Mustafa apne kamre ki janib chal di...
Amaya kitchen mein khadri khana banane lagi dopehr ka waqt tha july ka mahina shuru ho chuka
tha kitchen mein khasi garmi thi
dupatta kitchen me hi hang kar diya dhela sa judraa kiye howe simple sa soot pehne wo kisi
soch me doobi hoi cutting board par bhindi kat rahi thi
aus k zehan me kiran ki batein chalne lagin tum ne bd'dua tou nahi di-- tum maf kar do shayad
khuda maf karde or auski bhojal si ankhein...
hello kiya ho raha he? Kisi ne aus k samne ungliyon se chutkhi bajate hoe kaha--
jo ap ko nazar aa raha he...
mujhe tou nazar aa raha he tum kahin khoi hoi ho
han me kuch soch rahi ho!
wao tum sochti bhi ho dimag bhi he tumhare pas?
Aliyan me mazaq k mood me nahi hon...
kyon kiya ho gaya meri ziddi bv ko?
wo kiran-- abhi itna hi kaha tha k Aliyan ne ause rok diya Amaya kiran wagera ko choro tum ne theeka liya howa he kiya sab k bare mein sochne ka?
Nahi Aesa nahi he wo aus din shadi me kiran mili wo bohat dukhi lag rahi thi or ap ko pata he auski shadi hogai he..
han mujhe sab pata he or aus ki shadi kis se hoi he ye bhi janta ho...
kiya ap ko pata he ap ne mujhe bataya nahi? wo sawaliyan nazron se ause dekhne lagi
Mujhe laga tumhein pata hoga tabhi nahi bataya ab wo fridge se pani ki bottle nikalne laga mujhe laga wo tumhari kafi achi dost he
tabhi university mein tumhare sath sath rehti thi...
Aliyan ko ab bhi nahi pata tha k ause tang karne wali kiran hi thi....
kiran ka shohar shaki mizaj ka admi he wo aus se shadi nahi karna chahti thi par aus k ghar walon
ne zabardasti aus ka nikkah aik galat insan se kar diya
kai bar dono ki larai bhi hogai he wo kiran par hath bhi utha chuka he mujhe bohat afsos howa tha tumhari dost ka sun kar bechari k sath acha nahi howa...
ab wo kiya batati Aliyan ko ais bechari ki harkaton k bare mein Aliyan ko kiran se hamdardi thi
wo nahi chahti thi ye hamdardi nafrat mein tabdeel ho jae
aus ne Aliyan ko kuch nahi bataya ab batane ka faida bhi kiya tha jo hona tha wo sab tou ho chuka
ab khair se wo Aliyan ki bivi he or kiya chahiye...
kiyaa? amaya ki ankhein khuli reh gai, ab ause samjh aya k kiran ne bad'dua wali bat kyon kahi thi
par ab kiya ho sakta he me tou bas kiran k liye dua hi kar sakti hon wo dil me sochne lagi aus ka salan bhi ban chuka tha ab wo tv lounge mein beht gai
Acha Amaya ye batao kiya kiran university mein kisi ko pasand karti thi?
Aliyan bhi aus k pas ja kar beht gaya!
Amaya ne herani se aus ki janib dekha or pata nahi kiyon hanw me sar hilaya..
kise pasand karti thi wo?
ap ko pasand karti thi...
kiya waqai kiran mujhe pasand karti thi Aliyan halka sa muskuraya!
han wo pagal thi ap k liye ap ko dekhne k liye ap k department me ati thi or apne naam k sath apka naam lagati thi bas bohat pagal thi Amaya kahin khoe howe andaz mein boli...
ab bhi Aliyan ne ais baat par gor nahi kiya k ause tang karne wali ne apne ap ko amaya ka dost
bataya tha tou wo kiran bhi ho sakti he---
par Aliyan k zehan me ye baat nahi aai or aati bhi kese kiran ne badi maharat se
Amaya ko setup kiya tha!
Tum se bhi ziyada pagal---- Aliyan ne sharati lehje me sawal kiya...
Amaya ne koi jawab na diya wo abhi tak kiran k bare me hi soch rahi thi....

Aliyan ka cell phone bajne laga aus ne mobile ki screen par nazar dali or call recieve ki...
Ab Amaya uth kar apne kamre mein aa gai thi or bed par leti oper kamre ki chaaht ko dekhne lagi
oh kiran tum ne aesa kiyon kiya?
shayad tumhein bure kam ki saza mili he na tum mere liye bura sochti na tumhare sath bura hota
par mene tou koi bad'dua nahi di tumhein me bas ALLAH se dua karongi k tumhari zindagi k
dukh khatam ho jae ALLAH PAK tumhare shohar ko naik hidayat de Aameen!
ab aus ne ankhein band kar li kuch der me Aliyan aaya!
Amaya kiya howa tabiyat tou thek he na tumhari kiya tum sogai?
aus ne apni ankhein kholi nahi bas thora sar me dard he mein sona chahti hon...
han so jao me ye batane aaya tha k Abhi Badar chachu ki call aai thi kal sham ko hamein
dawat par bulaya he...
acha thek he aus ne rokhe lehje me jawab diya...
Amaya tumhein ho kiya gaya he jab se khansa ki shadi se aai ho khoi khoi si ho
na tum ne mujh se agey bat pochi k tumhare parents ko kese razi kiya mene na tum ne koi larai ki akhir baat kiya he?
kuch nahi agar ap ko batana he tou khud bata dein me nahi pochon gi...
for God sck amaya kiran k bare me itna mat socho jo aus k naseeb me tha ause mil gaya
ab mood thek karo warna mein abhi tumhare baba saein ko shikayat lagata ho k ap ki beti
mujh se bat nahi karti na kuch khaane ko deti he or apni mama jan ko bhi kehta ho k
ap k bete ko ap ki bahu ne bhooka rakh k dubla kar diya he wo Amaya ka mood dekhte hoe ause hansane ki koshish karne laga!
Amaya kehka laga kar haaansi acha tou ab aap meri shikayten bhi lagaein ge ap logon ki haveli
mein mulazim nahi he?
Madm khana ap ne banaya he tou ap hi Daining table par lagae gin kam kiya hi he tou pora karein!
Oh acha chalen fresh hojaein mein khane lagati hon...
Tumhare tou sar mein dard tha na rehne do me khudi kha longa...
nahi ab thek ho gaya sar dard wo halka sa muskurai!

Sab daining hall mein behte khana khane lage Aliyan beta tumhara karachi me ghar set karwa diya
he tum dono karachi me raho ge...
par Baba jani yahan kiyon nahi shehar me kiyon? Aliyan ne herani se sawal kiya
Baba jani hum ap logon k sath yahan rehna chahte he gaon mein hi Amaya ne foran jawab diya...
Nahi Amaya bete, ap log karachi me rahe ge Aliyan ko bussiness bhi tou dekhna he Aliyan wahan
tou kiya tum yahan akeli raho gi
agle mahine shift kar lena or phir jab dil kare ate rehna yahan tumhara hi tou he sab kuch Mustafa Alam pani pite howe bole...
Par Baba Jani yahan zameene kon dekhe ga or phir farm'house---
Aus ki fikar na karo beta mulazim he naaw wo dekh le ge or mein zameeno par chakar lagata raho ga pehle bhi konsa wahan ham roz jate he
Acha jese ap ko munasib lage Aliyan ne narmi se jawab diya...
khana tou bohat maze ka banaya he Amaya hum bohat lucky he k humen itni achi bahu mili he
Akhir pasand kis ki he Mrs.Mustafa muskura kar bolin...
Amaya tumhein pata he jab tum ne market me mama jan ki help ki thi tab se tum mama jan ko
pasand thi or ghar aa kar mujhe dandt padri thi k
mene tumhara shukriya ada kiyon nahi kiya...
sab kehka laga kar hansne lage or beta jab aliyan ne shadi ka fesla kiya achanak tou
mene ais se larki k bare me pocha or ais k jawab par
hum bohat heran howe jab ais ne ye bataya k aise wohi market wali larki se shadi karni he
par mein aus market wali larki ko kahan dhondti phir
ais ne sab baat batai tou bohat khushi hoi mujhe k der se hi sahi ais larke ne acha fesla kiya...
Ab Amaya ko khayal aaya k aus ki mama ne ause bataya tha k larke ki ami ne ause kahin dekha
tha tab bhi aus k zehan mein aliyan ki mama ka khayal nahi aya tha wo sochte howe muskurani lagi...

Hamas tum ne nahi bataya k tumhein Amaya kesi lagi Mustafa Alam ne ause dekhte howe sawal kiya...
hamas jo k chup chap behta khana kha raha tha Me kiya bataon Baba Jani wo sharmele andaz me bola
Me bhabi se pehli baar shanze api ki shadi mein mila tha
mujhe bohat masoom lagi chehre par masomiyat sajae behti thin or abrar ko aese dekh rahi thin
jese goli mar dein gin mujhe herani hoi thori
phir baad mein samaira ne bataya k abrar bhai ne tang kiya tha bhabi ko mene abrar bhai ko
samjhaya bhi tha k Amaya aik achi larki he tum tang na karo
mujhe achi lagi thi or mujhe khushi he k Amaya meri bhabi hein mere bhai ki pasand
i'm very happy for both of them....
sab hasne lage Amaya ye hamare ghar ka chota shehzada he tumhein kabhi bore nahi hone dega
or barkhudar study kesi chal rahi he?
Jee bohat achi Baba jani mene scolorship k liye apply kiya he American University of Dubai
wo pani ka glass table par rakhte howe bola
matlab tum wahan pardhna chahte ho tou scolorship ki kiya zaroorat he tum wese hi chala jao
Hamas ais bar Aliyan bola
jee bhai jan mein scolorship k zariye hi jana chahta hon...
Thek he jesi tumhari marzi..
ab sab khane se farig ho gae the Chalein baba jani mein ap ko ap k kamre tak chor don
Aliyan aun ka hath pakar kar kamre ki tarf chal diya!
                     ----****----****----****----
Agle roz: Sham mein fahad k ghar dinner par gae sab ne bohat izzat ki fahad ki family bhi achi he shadi k baad kai rishtedaron k ghar dawatein hoi or har
aik ki zuban se aliyan ki tarifen hi sun'ne ko mili fahad apne kamre ki khirdki se niche bahir lawn me behte Amaya ko dekh raha tha!
jo fahad ki ami k sath behti baatein karne me masroof thi
kisi ne aus k khande par hath raka niche kiya dekh rahe hein bhai jan?
oh Amaya ko dekha jaa raha he agey bardh kar zain khirdki se niche dekhte howe bola...
                               --------*****-------*****-------*****-------
Abrar mein bohat khush ho k tum ne apni zid chor di or tum sudhar gae, hm tou pareshan hi hogae the k tumhein ho kiya gaya he?
Amaya or Aliyan gaon aae howe he tou mama ne kal dawat par bulaya he umed he tum koi ulti harkat nahi karoge Rehan abrar k pas behte ause samjhane laga!
mene Amaya ka picha nahi chora mujhe ab bhi aus se muhabbat he Amaya meri zid he or me ause behad muhabbat karta ho me itni aasani se haar nahi mano ga
bhai me ause hasil kar k raho ga Aliyan nahi jeet sakta aus k chehre par shehtani muskurahat thi or ankhon mein amaya ko pane ka junoon!

kiya ?? Aus ki baat sun kar Rehan ghuse se khadra ho gaya!
Dimag kharab he tumhara abrar wo shadi'shuda he ab or tum ne tou khud mafi mangi thi dono se, REHAN k chehre ka rang urrd gaya tha
wo soch bhi nahi skta tha k abrar yu apni Anna ka masla bana lege...
mafi my foot! wo sab dirama tha amaya ko yaqen dilane ka k mujhe ab aus mein intrest nahi
par me ause itni aasani se nahi kho sakta me amaya ko hasil kar k raho ga meri muhabbat he wo chahey mujhe kuch bhi karna pare
kuch bhi ka matlab kuch bhi aus ki ankhon mein junoon tha...

                     ----*****-------*****-------*****----

kiya howa bhai jan udaas kiyon hein? zain ause dekhte howe bola...
Amaya aj phir bohat piyari lag rahi he or ause dekh kar phir mere dil me kuch kuch howa!
mein apni feelings khatam karna chahta ho par kar nahi paa raha me janta hon wo ab mere bhai ki bivi he or me ab amaya k bare me sochna bhi nahi chahta
par.........
Bhai jan me janta ho ap andar se dhuki hen ap ko dukh he amaya ko khone ka ap jitna marzi chupa lein par mujh se chupa nahi sakte...
Nahi zain ause khone ka kiya dukh hona jo kabhi meri thi hi nahi or mein tou kabhi Amaya ki love story me tha hi nahi aus ki love story me sirf aliyan tha...
"mene socha k ause apna bana lon
par wo tou apni hoi nahi or mein khud ka raha nahi"...
mujhe maloom tha wo kisi se muhabbat karti he magar ye dekhna tha kis trah izhar karti he!
dekho dono sath mein kitne ache lag rahe he 'fahad' ab bhi khirdki se niche dono ko dekh raha tha!
wo fahad ki family k sath bahr lawn me behte baatein kar rahe the....                                                                  
par bhai jan aliyan bhai jan tou ause nahi chahte the amaya ko pehle hi din se ap pasand karte the tou phir kiyon ap ne aliyan bhai ko nahi bataya or
apni chahat ka izhar kiyon nahi kiya amaya se kiyon chup rahe or agar chup rehna hi tha tou phir ab udas kiyon hen?                                                        
fahad khirdki se piche ho kar zain ki tarf mudraa Amaya ne kabhi bhi university k aun char salon mein mujhe sahi se dekha tak nahi tha or shayad me ause
kabhi pasand bhi nahi tha mujhe dekh kar hamesha aus k chehre par ghusa aa jata tha tou mein kese ause batata?
par bhai------ zain kuch kehne wala tha k fahad ki nazar darwaze par khadre aliyan par gai jo seene pe hath bandhe khadra tha!
fahad or zain k chehre se aik rang aa kar chala gaya...
Aliyan wahan kiyon khadre ho andar aao?
fahad mene sab sun liya he or mujhe dukh ho raha he
Aliyan jesa tum soch rahe ho wesa kuch nahi he please let me explain....
mujhe koi explanation nahi sun'na mujhe tum se ye umeed nahi thi aliyan k lehje mein bohat ghusa tha wo ghuse ka bohat kharab he ause bat bat par ghusa aajata he..
zain kiya he ye sab or tum dono ne kab se mujh se baatein chupana shuru kardi he hanw
we are more like brothers, or tum logon ne ye bat chupai mujh se akhir kiyon kiya he ye sab jawab do? wo ghuse me chilaaa kar bola....
zahir he wo ghusa kiyon na karta akhir auski bivi k bare me bat ho rahi thi...
Aliyan bhai jan ghusa mat karen aaein behten beht kar bat karte he zain ne ause bithaya,
bhai ais waqt aik shohar ki trhan nahi zara kuch pal aik bhai ki trhan bhi sochen
asal me bat ye he k fahad bhai, shuru se hi amaya bhabi ko pasand karte the!
par wo jo scene howa tha jis pe ap logo ne amaya ko sunai thi,
aus k bad amaya fahad bhai ko dekhte hi foran nazren ghuma leti thi fahad bhai ko laga k amaya aun k bare mein galat sochti he
aisi wajah se wo himat nahi kar pae ause apne dil ki bat batane ki or fahad bhai ne socha tha jab wo amaya ko purpose krege
tab ap ko batae ge par kese ye kuch saal guzar gae pata hi nahi chala!
phir jab fahad bhai ne Ap ko batana chaha tou aus din ap bohat upset the..
aap se wajah pochi ap ne amaya ki dairy hathon me thama di!
wo dairy pardhne k baad fahad bhai samjh nahi paa rahe the wo ap k liye khush ho k ap ause pasand karne lage he
ya dukhi hon k amaya ki pasand koi or he.....

Aliyan mere bhai i'm sorry me aus waqt tumhen bata kar mazed dukhi nahi karna chahta tha.
mujhe laga chup rehna hi behtar hoga me nahi chahta tha kisi bhi wajah se hmara rishta kharab ho
ya hamre bech fasle hojaen fahad aliyan k khande par hath rakhte hoe bola
par fahad aik bar tou bata dete tum meri khatir khamosh hi hogae....
Aliyan me ais baat ki wajah se hamara rishta kharab nahi karna chahta tha or wada karo ainda hm
ais bare me koi bat nahi kare ge
jo bhi howa acha howa me khush hon k amaya tumhen bohat chahti he or amaya se behtar larki tumhen koi mil hi nahi sakti thi
please tum bhi ause utni hi muhabbat karna or amaya ko ais bare me kuch na batana me nahi chahta wo mere bare mein galat soche or
i'm shure hamara rishta kharab nahi hoga fahad ause gale lagate hoe bola...
sab baatein sun'ne k bad aliyan ka ghusa khatam hogaya kiyon k ab wo aik bhai k lehaz se soch raha tha nahi hamare rishte ko kuch nahi hoga
sab ki apni pasand hoti he me kabhi tumhare bare me galat nahi soch sakta fahad hum jese the wese hi sath mein rahe ge 3no gale lage aik dosre k or bat yahin khatam kardi...
Aliyan ghar chalen kafi raat hogai he Amaya aik dum kamre me daakhil hoi
Amaya ko dekhte hi teno ka raang safeed ho gaya or sab ki nazrein apas mein takrain
kahin amaya ne batein tou nahi sun li!  
                       -----*****------*****------*****------

Wapsi mein Amaya ne phir wohi baat shuru ki Aliyan aj mujhe sari baat jan'ni he hamari shadi kese hoi mujhe koi suspence nahi chahiye!                                                                                                                                                                                                                                                                     Aliyan ap kese mujh tak phunche?
haha dekha tum se raha nahi gaya or tum ne poch hi liya acha suno! wo car drive karte hoe bola
Mujhe Anaya ne address diya mein apni Mamma jan ko le kar chala gaya tumhare ghar mene socha tumhare ghar walon ko tou pata hi hoga k tum kahan ho
or tum jahan bhi ho lout kar tou ghar ko hi aao gi wo halka sa muskuraya...
Mama ne rishte ki baat ki k mene ap ki beti ko market me dekha tha mujhe wo bohat pasand aai
or me ause apni bahu banana chahti hon
ap chahe tou hamare bare me pori malomat hasil kar sakte he koi jaldi nahi he ap aram se soch
kar jawab di jiye ga...
phir tumhare Baba saein ne meri sab information hasil ki k me kesa larka hon family background kesa he kahin mein aj k zamane ka bigdra howa larka tou nahi
wagera wagera or pore aik mahina baad auno ne ais purposal ko accept kiya...
Aus aik mahine mein jo meri halat thi mujhe hi pata he mujhe dar laga raha k kahin rishte se
mana hi na kar dein
me tumhein paglon ki tarah tou nahi chahta tha or na ab chahta hon par pata nahi kiyon
tum se shadi karna chahta tha
tum se aik bar milna chahta tha mafi mangna chahta tha phir jab mujhe pata chala k tumhare
ghar walon ne purposal accept kar liya he tab meri jan mein jan aai
phir mene tumhare baba saein ko bata diya k me amaya k sath university mein pardhta tha par
hamari kabhi university mein baat wagera nahi hoi
ais bar mene jhoot bola tha hamari aik bar bas baat hoi thi jab me rushba ka pochne aaya tha or ziyada kuch nahi bataya uncle ko me nahi chahta tha k
wo tumhein galat samjhein jis tarah me samjhta raha tha phir kuch dinoo mein pata chala k amaya shadi k liye maan nahi rahi he mera tou jese saans hi aatak gaya!

Haaey ALLAH ab kiya karon pehle baba saein nahi man rahe the ab aun ki shehzadi beti k nakhre!
Acha he Aliyan beta tera sath aesa hi hona chahiye bohat rulaya he na ause ab khud bhi becheen
raho aus Larki k liye jis ne tumhein toot kar chaha he!
han wo Aik larki he Amaya
wafa k roob si,
Mangi hoi duwaon si,
Masoom Adaon si,
Laraka si,
ghuse wali adaon si,
ab aus ki nigahon k samne university k parking Area wali wo Pehli mulaqaat kisi film ki tarah
chalne lagi or labon par halki si muskurahat!
 
Mene ye nahi bataya k tum mujhe pasand karti ho warna shayad tumhare Baba ghusa hote
tum se k meri wajah se hi tum kahin or shadi nahi karna chah rahi thi
or mein tumhein tumhare baba ki nazron mein nahi gira sakta tha mene tumhari dairy me pardha tha k tumhein kitni muhabbat he apne baba se tum aun ki kitni ladli ho
mein sab janta hon tumhein mujh se muhabbat hoi ye baat tumhare Baba ko pata lagti tou shayad
aun ka bharosa uth jata k auno ne tumhein pardhne bheja tha muhabbat karne nahi
par kiya karein amaya dil par kisi ka bass thori he achi larkiyon ko bhi muhabbat ho hi jati he ...
phir tumhari mamma ne mujh se akele mein pocha k kiya amaya tumhen pasand karti he ya tum beta?                                                                      
Me chah kar bhi aun se jhoot nahi bol saka mene sab bata diya or request ki k wo tum se ghusa na hon mene auneh mana kiya k tumhen mere bare mein kuch na bataein
or Baba ko bhi ais bare mein kuch na bataein mein tumhein surprise dena chahta tha or anaya ko shadi wale din pata chala k meri shadi tum se horahi he
wo mujhe dekhte hi heran reh gai haha ab wo kehka laga kar hansa wo tumhen batane wali thi
tum ne bechari ko dandt kar chup karwa diya
sab sun raha tha mein tumhara tou bass nahi chal raha tha k tum wahan se utho or apne dulhe ka gala hi daba do...
ye keh kar wo aik bar phir kehkaaa laga kar hansne laga...
ais bar amaya bhi kehka laga kar hansi ause tou yaqeen hi nahi aa raha tha k aliyan jesa akdru larka aesa kuch kar sakta he
ye sab bas aik khuwab sa lagne laga aik haseen khuwab..                                                                                              
ye surprise meri zindagi ka best surprise he Baba ne thek kaha tha wo mere liye kabhi bhi kisi galat larke ka intekhab nahi kare ge
thnkyou Baba thnkyou so much wo muskurane lagi or ye khushi or muskurahat pehli baar aliyan ne aus k chehre par dekhi thi...
                             -----****------****--------****-------

Ab wo log Aliyan k gaon se aik bar phir ausi gaon mein aae the jahan Hina chachi rehti hen
chachi k Ghar shadi ki dawat par aae or raat mein
Shanze k ghar dinner par gae sab bohat khush the khane k bad sab tv lounge mein behte batein
karne lage samaira or haniya bhi shanze k ghar sath mein aai thi
sari porani yadein taza hogai shanze ki shadi, aliyan k sath lardaiyan,abrar ka tang karna, sab kuch
shanze ki do piyari betiyan hein or wo Rehan k sath behad khush he...
aj raat wo yahin ruke the Raat k waqt tha Aliyan bahar lawn mein rakhe jhole mein behta tha Amaya bhi aus k pas aa kar beht gai kiya soch rahe hen
kuch khas nahi bas wese hi hawa achi chal rahi he!
jhoot mat bolein kuch tou soch rahe hen ap?
han aj sab porani baatein yaad aagai tou bas wohi soch raha hon k kese hum yahan aae the or tum hina chachi k sath baatein marna shuru hogai thi,
phir apni masi ki beti shagufta ko mere mana karne k bawajood bhi car mein bitha liya tha or oper
se ghuse wali nigahon se mujhe dekhne lagi thi
aus waqt ghusa tou aya tha mujhe par najane kiyon mein kuch keh na saka or tumhara
islamic lecture mujhe koi intrest nahi tha sun'ne mein par najane kiyon
mein dehan se sunta raha, or sab se maze ki baat adhi raat ko shaded thand mein tum akeli bus stand par behti thi tumhein dar nahi laga agar koi hadsa hojata tou?
tum bohat ajeeb ho tumhari baatein tumhari harkatein sab bohat ajeeb thi tum sab se munfird ho Amaya aik dum pagal crazy girl ab wo muskuraya!

Amaya k chehre par muskurahat aagai hadsa aus ne lafz dohraya!
Me akeli nahi thi ALLAH mere sath tha jab mera RAB mere sath tha tou kesa dar?
or ap ko pata he jane'anjane mein hi sahi par wo trip mere liye best tha!
or abrar ka tou naam hi mat lein jab jab me ap ko dekhti thi wo bech mein tapak jata tha
khair chorein ye sab or mein janti hon ap kuch or bhi soch rahe hen
aus ne nigahein utha kar Amaya ki janib dekha jesa kiya? kiya soch raha hon mein?
matlab ab bhi tumhein ilham hojata he k Aliyan kiya soch raha he? ab wo halka sa muskuraya

ab wo aus k kandhe par sar rakh kar boli Mene sab batein sun li thi ap teno bhaiyo ki
Aliyan herani se ause dekhne laga jo aus k kandhe par sar rakhe aus k pas behti thi
kuch pal wo khamosh hogaya!
Amaya jo bhi ho ab rishte tou khatam nahi kar sakte or sab ki apni pasand hoti he ais me kisi ka koi qasor nahi
tum fahad ko pata mat lagne dena k tumhein sab pata he warna wo sharminda hoga!
Aliyan mene kab kaha k ap apne bhaiyon se rishta khatam kar dein bal k mujhe tou acha laga k
ap ne ghusa chor kar aqalmandi ka muzahira kiya or fahad bhai se naraz nahi howe warna
sab yehi kehte k aate he bivi ne bhaiyon ko turwa diya ab wo ause dekhne lagi or aus k chehre par shararti muskurahat thi...
Amaya tum bhi naa ab aus ki baat par wo bhi muskura diya or amaya ka hath apne hathon me liya tumhein pata he fahad ne hi mujhe ehsaas dilaya tha k
mein tumhein pasand karne laga hon warna mujhe kabhi pata na chalta mujh mein tou bas ghusa hi bhara howa tha ya yu kaho k nafrat---- wo wahin ruk gaya!
Nafrat aus ne lafz dohraya par khamosh rahi ye koi nai baat nahi thi wo janti thi aliyan ko aus se nafrat he or ais nafrat ki wajah bhi janti thi aj aik baar phir kiran yaad aagai!
Amaya umeed he tum ne mujhe maf kar diya hoga...
Me ap ko bohat pehle hi maaf kar chuki hon...
ab wo dil mein sochne lagi jab me kiran ko maaf kar sakti hon tou ap ko kiyon nahi ap tou phir bhi meri chahat hein Amaya ki ajeeb chahat....

Abrar jhole k piche lage darakkt(tree) k piche khadra aun ki tamam baten sun raha tha...
Aliyan mere rishtedaron mein kafi dawatein he abhi tayar rahen ap wo halka sa muskurai
auf mein thaaak gaya ho yar itni dawatein mujhe pata hota k itni dawatein hoti he mein shadi hi
na karta ab wo ause cherdne laga....
Tou mat karte shadi mene minatein nahi ki thi me tou chup chap chali gai thi ap se door ap
hi piche aae wo mau bana kar boli...
han tou tum hi mar rahi thi mere liye tabhi apni dukhi dastan dairy me likhi hoi thi!
ap mujhe tana de rahe he ap apna Ego kabhi mat chorna ye kabhi mat man'na k
ap mere piche aae the aus ki naak ghuse se lal hogai
wo wahan se uth kar jane lagi!
auff ho Tum log abhi bhi larte ho mujhe laga abb larai nahi karte hoge shanze table par chae ki
taree rakhte howe muskura kar boli....
ap k ye jo bhai hen ye hi larai shuru karte he bohat thikhaa khana khilaya he shayd ap logo ne tabhi ye hamesha thikhaa hi bolte hein ye kehte howe amaya wahan se chali gai....

Bhai jan ap kiyon tang karte hen amaya ko?
yar me kahan tang karta hon mein tou bas mazaq karta hon or wo tap jati he wese mujhe maza ata he aus ki baatein sun'ne mein
Shanze kisi ka ap ko beinteha chahna kitna khubsoorat ehsaas hota he ye mujhe ab pata chal raha he wo khoe howe andaz me muskura kar bola...

Agle roz wo Haveli jane k liye nikal rahe the
Aliyan bahar car k pas khadra Amaya ka intezar kar raha tha
Amaya andar baatein karne mein masroof thi
Aliyan ne apni jeans ki jaib(pocket) se apna cell phone nikala or number dail karne laga
Hello Amaya me kab se tumhara niche wait kar raha ho ab aa bhi jao!
aj aik bar phir wo dono ausi resturent mein gae jo raste mein ata he jahan pehli bar aliyan ne ause khana khilaya tha or ausi corner wale table par behte!
Amaya mene kabhi socha bhi nahi tha k hum ais tarah kabhi dobara yahan sath aae ge
Meri bas aik choti si khuwaish he table,coffe mein or tum!
aus k andaz mein itni narmi thi k amaya muskurae bina reh na saki ab wo dono coffe peene lage...
                     ----*****------*****-----*****----

                                        To be continue....

Thursday 22 October 2015

Episode 12 Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

Episode 12
                     Amaya Or Aus Ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain




Subha subha tazee pholon ki khushbu naak ko chuune lagi ankh khuli tou aliyan ko apne pas paya good morning zoja-e-aliyan :)
mujhe mehsoos howa tum naraz ho tou ye flowers tumhare liye wese rat ko howa kiya tha?
wo shararti andaz me bola!
Aliyan ap bhi naaaw!
na chahte howe bhi aus k chehre par muskurahat aagai...                                                                                                  
tumhara kam he k tum subha subha mere pas aao mujhe uthao aik chae ka cup tumhare hath mein pakra howa ho phir piyaar se bolo
Aliyan uth jaein chae thandi horahi he par yahan tou ulta hi system he boss me tumhein utha raha
ho wo bhi hath mein nashta liye...
khuda ka khouf karo shohar k haqooq ada karo madam wo phir ause tang karne laga...

Aik din kiya utha diya haqooq yad aagae bv k bhi kuch haqooq hote he janab or kis kitab mein
likha he k bivi ko hi shohar ki qidmatein karni he or
shohar kuch kam na karein khair chorein mujhe ap se larne me koi intrest nahi chalein nashta karte
ab wo aus k pas bed par behta tha!
han bohat khoob shadi hogai tou shohar me intrest hi khatam hogaya...
mene aesa kab kaha k mujhe ap mein intrest nahi wo foran boli...
jawab me aliyan k chehre par muskurahat aagai amaya tum kitni jaldi tap jati ho wo kehka laga kar hansne laga.
han or ap ko maza araha he mujhe tang karne mein wo apne ankhein choti karte howe boli...
wese ye tou batein ap job kiya karte hen raat ko agar koi poche ga k tumhare husband kiya job
karte he tou me kiya jawab don gi?
raat ko kiyon? tum kahin ja rahi ho? wo sawaliyan nazron se ause dekhne laga
mein nahi hum ja rahe he Rat ko shadi me jana he meri dost 'khansa' ki shadi he hamare
classfellow 'saim' k sath.                            
acha to phir? ab wo dressing table k samne khadra ball banane laga...
phir kiya hm ja rahe he sham ko shadi mein aisi bahane sab se milna hojaega!
ok madm ap ka hukum sar'ankhon par or koi hukam?
Amaya ne aliyan ka ye andaz pehli bar dekha tha or wo bohat khush thi..
nahi ab ye bata dein ap job kiya karte he?
Amaya me kahin job nahi karta mera khud ka bussiness he or tumhein kisi ko meri job batane ki zaroorat nahi he
shayad tum janti nahi ho tumhare husband ko world's best multinational companies se job ki offer
aai thi but, tumhare husband ne apna khud ka bussiness karne ka socha
or ALHAMADULLILLAH thore arse mein hi mera bussiness kafi successfull raha he or INSHALLAH aik din Mustafa's industry duniya ki top successfull industries me se aik hogi or
mujhe sab stock'market k king k naam se jane ge!
ab wo kalai par ghadri bandhte hoe ause muskura kar dekhte hoe kehna laga or ais king ki
tum Queen hogi!
khair choro tum time par ready hojana..
aus ne ab meez par rakhi car ki chabi uthai or office ravana ho gaya!
                        ----***---***---***----
Raat ka waqt tha wo Sea'green frok mein malboos khule howe lambe silky ball, gale mein heart
shape ka lokit pehne, wo dresing table k samne khadri khud par aik nazar dalne lagi
Aliyan jo k aus k piche hi khadra tha!
Bohat piyari lag rahi ho har waqt mera hath pakar kar rakhna...
thankyou ap bhi ache lag rahe he hamesha ki trah or hath kiyon?
kiyon k aj phir tum ne heel or kapre ka thaan pehna he dobara kahin gir gai tou kharcha tou mera hi hoga naa behtar he hath pakar lena
mein tumhein girne nahi donga wo muskuraya!
auff ap bhi na me ne koi pehli bar heel nahi pehni or ap ko tou bas apne kharche ki lagi rehti he gareeb wadere amaya ne shararti lehje me jawab diya...
wo heran bhi thi char saal pehle ki baatein aj repeat ho rahi thi..
jawab me wo muskuraya hamesha ki trah me handsome? ye bat kuch hazam nahi hoi aliyan ause herani se dekhne laga....
Jee hamesha ki trah ap hamesha hi har dress me ache lagte the har style acha lagta he ap par..
oh really matlab tum shuru se hi mujhe note karti thi intresting ghabar khush howa aliyan
muskurane laga...

fahad kamre k darwaze par khadra auneh dekh raha tha wo shayad abhi hi aaya tha...
ary fahad andar aao tum kab aae?
bas abhi aya kahin ja rahe hen ap log?
han yr, shadi mein ja rahe he or ham kal haveli wapas ja rahe he tum chalo ge fahad?
han bas kuch kam he mujhe yahan me do din baad haveli aao ga abhi filhal karachi me hi raho ga..
acha or zain?
zain ka pata nahi aus se poch lena chalo tum log jao ab haveli mein mulaqat hogi tum se fahad muskurata howa bola..
Aliyan or amaya bhi jawab me muskura kar chal diye..
Fahad khirdki se niche auneh jata howa dekhne laga bhai mujhe thek nahi lag rahe ap kisi ne aus k kandhe par hath rakhte hoe kaha!
ab fahad piche murda or aus shaks ko dekha or phir kuch sochte hoe bola nahi zain me thek hon mujhe nennd aa rhi he me sone ja raha hon..
bhai saim ki shadi me nahi jae ge ap aus ne itni khushi se invite kiya he hamein agar hum na gae tou wo bura man jae ga or Aliyan bhai wale kahan gae he?
wo log kisi shadi me gae he acha chalo tayar hojao phir hum chalte he...
                   -----***----***----***----

Aliyan ab bataein na agey bat nakhre kiyon kar rahe he?
Amaya tum bachon ki trah aik bat ko pakar kar hi beht gai ho Aliyan staring ghumate howe bola...
acha suno! kai din guzar gae mere dil par aik booj sa tha k bas foran tum se mafi mang lon par tumhara kuch ata'pata hi nahi tha
mein aik din shopping mall gaya tou wahan mujhe anaya mili!

Aik saal char mahina pehle:

safeed pajame par gulabi lambi kameez mein malboos,ankhon par bare se glases lagae Anaya Aik shop par khadri maflar khared rahi thi!
Bhaiya koi new maflar dikhaein ye kiya sab porane prints rakhe hoe he Amaya hoti tou...--- aus ki nazrein shop me ate shaks par prdi or aus k lafz wahin gale me atak kar reh gae
wo herani se ause dekhne lagi jeans par safeed shirt mein malboos Aliyan, mathey par girte baal, wohi pur'kashish ankhein!
Ab wo bilkul aus k samne khadra tha
Ex'cause me! i'm Aliyan Mustafa ap shayad mujhe janti hi hongi?
Nahi me ap ko nahi janti wo mau bana kar boli, ary bhaiya jee wo orange wala maflar dikhaein
Anaya me janta ho ap mujhe ache se janti hein mujhe ap se kuch poch'na he?
par mujhe ap ko kuch nahi batana anaya ne do'tok jawab diya...
bibi jee ap k sath jo ap ki dost aati thi wo nahi aati ab kahan gai hein wo? shopkeepr ne maflar dikhate howe sawal kiya...
please anaya reham karen mujh par please bata dein amaya kahan he?
shadi hogai aus ki wo ab yahan nahi rehti bhaiya jee ap ko yaad he meri dost?anaya ne aliyan ko ignore karte howe shopkeepr ki baat ka jawab diya
wo bibi jee bohat achi hein auneh kese bhool sakta hon mein meri dukan k adhe maflar tou wohi khareed leti thin
jab se auno ne aana chora he mere maflar bhi auneh yaad karte he ab wo muskurate hoe bola!
aus ki baat par anaya bhi muskura di ab wo maflar le kar shop se bahar aagai or samne bag shop ki tarf chal di..
Aliyan bhi aus k piche shop se bahar nikla or aus piche piche chalne laga!

Anaya please ruken meri baat sune!
please reham karein mujh par me janta ho amaya ki shadi nahi hoi..
anaya chalte chalte wahin ruk gai or murd kar aliyan ki janib dekha ap ne reham kiya tha amaya
par jo me ap par reham karo or kiyon batao me apko amu k bare mein ab or koi takleef dena baqi he
Mr.aliyan ap ne sab kuch cheen liya aus se wo kahan he kisi ko kuch pata nahi mein ap ko kabhi
maf nahi karo gi ap ko pata bhi he k ap ki wajah se kitna roi he wo?
Dekhein anaya ap ka ghusa jaiz he par mujhe andaza nahi tha k amaya mujhe itna toot kar chahti he trust me!
please help me me janta ho jane'anjane me ause bohat dukh diya he bs aik bar mafi mangna chahta hon...
Mujhe nahi pata amaya kahan he wo bina kuch batae najane kahan chali gai he koi contect number bhi nahi he aus ka mere pas mujhe nahi pata wo kahan he
kis haal me he...
ab wo kuch sochte howe bola Ap please mujhe amaya k ghar ka adress de dein....
               ----****----****----****----

Acha phir kiya howa? Amaya excited hote howe boli...                                                                                  
ahan sab kuch aj hi bata don, tumhein bara maza araha he sun'ne mein...
han tou maza nahi aae ga Aliyan Mustafa jo k nihayat hi akdru or rude qisam ka ghamandi shaks he wo aese kisi k liye itni parwa kare
ye tou nihayat hi intersting bat he na sun'na tou banta he amaya sharart bhare lehje mein boli....
                                               
                          -------******--------******------******-------
Aliyan ne marriage hall k front gate par car khadri ki amaya tum jao me car park kar k ata hon!
Amaya marriage hall mein dakhil hoi sab classfellows ause dekhne lage wo behad khoobsurat lag rahi thi..
sab doston se milli, sab ne tarifen ki Anaya bhi shadi me majood thi
yahan majood kisi bhi classfellow ko khabar nahi thi k Amaya ki shadi ho chuki he sab kuch
itni jaldi me howa tha k kisi ko invite hi nahi kar saki.

'khansa' dulhan bani mehroon lehnge me malboos bohat pyari lag rahi thi
Amaya stage par aai or khansa se milne lagi Mashallah bohat piyari lag rahi ho khansa
wo muskurate howe aus ki tareef karne lagi
shukriya amaya tum kab kar rahi ho shadi? dulhan bani behti 'khansa' ne sawal kiya..
Anaya or Amaya ki nazrein apas me takrai meri shadi hogai he khansa..
what waqai nahi tum mazaq kar rahi ho na Amaya khansa herani se boli,
ab sab hi group photo banwane k liye stage par majood the
sorry doston sab kuch itna jaldi howa k me kisi ko bula hi nahi saki Amaya halka sa muskurai!
sab herani se ause dekhne lage nahi tum mazaq kar rahi ho anaya ye mazaq he na tumhein tou pata
hi hoga ye sach he ya mazaq? ab sab ki nazrein anaya par tehar gai
amaya ki shadi hogai he anaya ne muskurate hoe jawab diya...
acha ab ye tou batao tumhare husband ka naam kiya he kon he wo tumhare sath nahi aae?
wahan khadre tamam class fellows k chehre par herani bhare tasuraat the har kisi k laboon par aik
hi sawal tha tumhara shohar kon he?
itne me zain aus k pas aaya Bhabi ap log yahan bhai kahan hen?
ye sunte hi sab k chehre par aik rang guzra sab ne dohraya Bhabi?
zain tum logon ne yahan ana tha tou hamare sath hi aajate..
Bhabi hamein nahi pata tha k ap log bhi aisi shadi me aa rahe the..
samne se koi shaks 'sky_blue kurte par neavy_blue waistcoat mein malboos'aata howa dikhai diya
wo dekho mere husband Mr.Aliyan Mustafa....
ye sunte hi sab heran reh gae or herani se auneh dekhne lage or mubarak bad dene lage
Aliyan tum dono ne shadi kar li or humein bulana to dor ki bat aik phone kar k bataya bhi nahi kab hoi shadi? dulha bane saim ne sawal kiya
dulhe bane shervani me saim acha lag raha tha...
bas parso hi hoi he shadi kal valima tha aj subha amaya ne bataya k shadi me jana he tou bas hum aagae socha ais bahane sab se mulaqat hojae gi
wese bhi kitna time hogaya hum sab ko milley Aliyan sab ki tarf dekhte howe bola...
thankyou so much ap dono apna itna qemti waqt nikal kar hamari shadi me aae or bohat bohat mubarak ho ap dono ko khansa or saim mubarak'bad dene lage...
sab yahan wahan khadre aik dosre se baatein karne lage rasumaat shuru hogai
kiran door khadri amaya ko dekh rahi thi...
ab wo Amaya k pas aai kesi ho tum?
me thek hon tum kesi ho?
me bas tumhare samne hi hon shadi ki bohat bohat mubarak ho!
Anaya ne aun dono ko baat karte dekha tou foran aun k pas chali aai
mubarak or wo bhi tum de rahi ho kiran itna sab karne k bawajood shayad ab anaya k sabar ka pemana khatam ho chala tha...
kiran k chehre ka raang safeed pard gaya ye kiya keh rahi ho tum anaya?
wahi jo tum ne suna Mrs.kiran Faris...
Mrs.kiran Faris amaya ne herani se lafz dohraya tumhari shadi hogai kiran?
han meri shadi hamare final exams k foran bad hi hogai thi...
Anaya ais ka matlab tum ne mera email dekha tha? wo sawaliyan nazron se ause dekhne lagi
han dekha tha par jawab dene zaroori nahi samjha or kiya tumhein lagta he kiran k tumhare itna sab karne k baad bhi mein tumhein
amaya ka contact number dongi?
ab kiran sharmindagi se nazrein jhukae khadri thi ause andaza ho gaya tha k anaya ko aus ki asliyaat pata chal gai he...
wo kuch sochne k baad aik bar phir boli Mubarak ho Amaya tum ne aliyan ko jeet liya...
shayad meri kismat me aliyan the tabhi mujhe mill gae Amaya ne muskurate hoe aliyan ki tarf
dekhte howe jawab diya
jo door khadra pooze bana kar apni photographs banwa raha tha or sath hi fahad or zain bhi photographs banwane mein masroof the
ya shayad tum ne sache dil se ause manga tha tabhi wo tumhein mill gaya kiran nazrein churate
howe boli...
kiran tum ne tou koi kasar nahi chori thi mujhe aliyan ki nazron me girane ki amaya ne talakh
lehje me kaha salon porana ghusa aj bahar aaya tha!
kiran or anaya herani bhari nigahon se amaya ko dekhne lagin...
Anaya heran mat ho me sab janti hon mujhe pata he kiran tum hi Rushba anjum thi
kiran k chehre par aik raang aae or aik jae...
pehle mujhe bas shak tha kiran par achanak mujh se dosti karna---phir same colour ka scarf---
phir achanak scarf ka gumm jana---
aliyan ko dekhte hi mere sath sath ghoomna----mujh se achanak apne dil ki baat share karna----
mera six sense mujhe ishara de raha tha k kuch na kuch tou raaz ki baat he....
Amaya ko dedective ban'ne k sath sath ISI officer or undercover agent ban'ne ka bhi bohat junoon tha!
or aus din university mein auditorium mein kiran or Ayesha ko baat karte suna tou mera shak
yaqeen mein badal gaya!
par afsoos ais baat ka he k ye sab bohat deer se mujhe pata chala aus waqt pata chala jab me aliyan
 ki nazron se gir chuki thi...
Aus din Itefaq se mein wahan se guzar rahi thi tou mere kan mein kiran ki baatein sunai di aus din university aane ka mera koi irada nahi tha
par shayad ALLAH PAK ne mujhe kiran ka asli chehra dikhana tha tabhi me wahan aai...
kiran jo log dosron k dilo ko kanton se zakhmi karte he
aun k apne andar kikar auge howe hote he
wo chahe ya na chahe aun k wajood ko kanta hi ban'na hota he
wo phool nahi ban sakte...
Kiran ab nazrein jhukae khadri thi shayad ab aus ki ankhon se ansu behne lage the...

Amaya me bhi aus din wahin khadri thi dosre gate ki tarf jab mene kiran ki baatein suni tou
mujhe bohat ghusa aaya
mene foran tumhein call ki par tum ne recieve nahi ki..
mera phone aus waqt mere pas nahi tha car me tha....
           ----*****----*****----*****----

University Ka Last Day!

kiran tum ne amaya ko dost banaya tha tou ab tum amaya k sath kahin nazar nahi aati aus ki dost ayesha ne aus se sawal kiya
Ayesha mene amaya ko bas matlab k liye dost banaya tha matlab khatam dosti bhi khatam aus k chehre par shetani muskurahat thi!
kiya matlab kesa matlab? ayesha ne foran sawal kiya
Amaya hamare department ki aik khoobsurat larki he or sab aus ki tarifein karte he
wo har tarah se achi he tou mene amaya ki dost ban kar social side par Aliyan ko tang kiya mujhe laga wo kuch intrest dikhae ga
par aesa nahi howa wo tou amaya k pas hi phunch gaya aus ki dost ka pata pochne...
acha howa mene aus din ause amaya se baat karte dekh liya tha par sunai kuch nahi aaya tha k
wo log kiya baat kar rahe he?
ab mujhe amaya se pochna tha k kiya baat hoi he agar me direct pochti tou ause shak ho jata tabhi mene pehle aus se dosti ki phir ahsta ahsta
ause ehtemad me liya phir mene amaya se pocha tou aus bechari ne sab bata diya k wo ye ye poch raha tha...
Mujhe Aliyan shuru se hi pasand he mene amaya ko apne dil ki baat batai or aus se help mangi
mujhe laga wo meri koi help zaroor kare gi
par aus ne saf jawab de diya..
aus waqt mujhe aus par bohat ghusa aaya amaya ne apne Ego or Image ki wajah se meri help karne
se mana kar diya tha
bohat akard thi ais Amaya Amir mein me ne ausi din thaan li thi k me aiska ego or image ab kharab kar k hi dam longi bohat ghamand he aise apne Ego par!
mene or ziyada dosti bardhai phir same colour ka scarf pehn'ne ko kaha...
or Aliyan ko tang karte kafi time ho chala tha mene aus se milne ki khuwaish zahir ki k mujhe tum
se milna he
mene ause kaha me kal red scarf pehan kar aaon gi or ap pehle bhi mujh se baat kar chuke he mere kehne k mutabiq amaya bechari red scarf pehan kar aagai
or ause dekhte hi aliyan aag bagoola ho gaya or aus par baras pardaa!
wo bechari har baat se anjan ause tou pata bhi nahi k aus k sath howa kiya he ab wo kehka laga kar hansne lagi mujhe nafrat he amaya se!
ab tou aliyan aus ki tarf dekhe ga bhi nahi aus ki nazron me ab wo aik characterless larki he..
kiran tumhein aesa nahi karna chahiye tha ayesha k chehre par afsurda tasuraat the!
o come'on ayesha Everything is fear in love and war----
mene kai bar mehsoos kiya tha jese amaya ko wo acha lagne laga ho me nahi chahti thi k ain ka
 koi relation bane
Aliyan sirf mera he or me ause kisi ka nahi hone dongi...
kiran mukamal tor par aliyan k liye pagal ho chuki thi amaya ko aliyan ki nazron me gira kar wo khud ko bohat pur'skoon mehsoos kar rahi thi....
                  ------*****------*****------*****-----

Amaya agar tum mera phone sun leti tou acha hota tumhare achanak gayab hone ka qasoorwar me khud ko samjhti rahi...
Anaya tum pagal ho....
amaya mene kaha tha na k kiran par bharoosa mat karo ye tumhari dosti k layak nahi he mujhe
pehle hi shak tha ais par
ais ka achanak tum se dosti karna mujhe bohat khatak'ta tha or tumhein ais par shak hogaya tha or
ais ne apne dil ki baat tum se share ki
ais bare mein tum ne mujhe bataya kiyon nahi?
Sorry anaya par me nahi chahti thi k tum mujhe tane do k dekha jo mene kaha tha wahi howa wagera wagera...
uff Amaya mere samne bhi Ego bohat akdru ho tum wo mau bana kar boli...
ab bhi kiran nazrein jhukae khadri thi jese aus k chehre par kisi ne zor'dar thapar de mara ho
Amaya mujhe maaf kar do mene tumhare sath bohat bari ziyaati ki he or shayad me mafi k qabil bhi nahi ho par phir bhi tum se mafi mangna chahti hon
mene anaya se tumhara contect number mafi mangne k liye hi manga tha mujhe ehsaas ho gaya tha k mene tumhare sath bohat galat kiya he or ais baat ki saza bhi mujhe ab tak mil rahi he...
Me Aliyan ki muhabbat mein bohat khud'garz hogai thi mujhe apni zaat k ilawa or koi nazar hi nahi aata tha
me ne waqai bohat bara jurm kiya he tumhein aus ki nazron mein gira kar
Amaya ko ghusa tou bohat tha par wo bina kuch kahe wahan se jane lagi...
suno Amaya ab aus ki ankhon me udasi k sath sath ansu bhi the...
Amaya tum ne mujhe koi bad'dua tou nahi di?
Nahi mein kiyon tumhen bad'dua dene lagi mene tumhein kuch kaha nahi he ais ka matlab ye nahi he k me tumhein bad'dua di he
mujhe afsoos he k tum ne apne dil me mere liye bad'gumani rakhi mene tumhein aik achi dost
samjha or tum ne mere sath itna bara farood kiya
akhir tum bhi aik larki ho
meri izat par daag lagane se pehle aik bar khud ki izat k bare me bhi soch leti tum chahey mere sath ais se bhi ziyada ghatiya salook karti
par mein kabhi tumhen bad'dua na deti ye buri bat hoti he..
kiran bad'duwaon mein wo honar kahan jo ALLAH ne duwaon mein nawaza he!
Beshak Allah sab janta he
humhein hamesha dosro ko apni duwaon me yad rakhna chahye or ALLAH pak bad'dua dene walon ko pasand nahi karta par tum aese kiyon poch rahi ho?
kuch nahi, meri dua he tum or aliyan hamesha khush raho or mene jo kuch bhi kiya aus k liye mujhe maf kar dena,
shayad tmhare maf karne se ALLAH bhi mujh se raazi hojae kiran ki ankhon se ansu behne lage..
kiran maf karne wali zaat ALLAH ki he tum khuda se mafi mango, rahi bat meri to mere dil me tmhare liye koi burai nahi jo hona tha ho gaya
me ne tumhein maf kiya..
Mujhe ALLAH se khoof aaraha he amaya!
kiran ALLAH k khoof se girne wala ansu beshak chota hi kiyon na ho
lekin ais me itni takat hoti he k wo samandar k barabar gunah mitaaa deta he kiran tum sache
dil se mafi mango gi tou ALLAH tumhein zaroor maf kare ga
ab wo aus k qareeb aai!
shukriya amaya tum bohat achi hon waqai tum ne mujhe maf kar diya tum bohat bare dil ki malik ho....
Maaf kar dene se insan ki apni rooh pak ho jati he kiran wese ye batao tumhare husband nahi aae?
nahi wo kahin jate hi nahi he ab bhi aus k lehje me udasi thi...
             
Fahad door khadra Amaya ko dekh raha tha zain Amaya kitni khoobsurat lag rahi he
bhai ap ne university k char saalon mein aese hi door khadre Amaya ko dekhte howe yehi kaha he
or aj.-------jese wo kuch kehte howe ruk gaya!
tum log yahan kiya kar rahe ho Aaon sab k sath photographs banwao Aliyan dono ka hath pakar kar le jane laga
Aliyan banwa li he photographs ham ne ab ham ghar ja rahe he fahad apna hath churwate hoe bola
or dono bhai bahar ki janib chal diye!

Amaya kiya kiya batein hoi aliyan k sath Anaya sharart bhare lehje me sawal krne lgi...
kuch khas nhi, me ye jan'na chahti thi k hamari shadi kese hoi?
zara zara si bat itni minaten karwa k bata rahe he abhi tak pori bat nahi batai he mujhe....
oh acha tou kiya howa, bata den gen tum itna tarap kyon rahi ho?
tum batao mujhe, aliyan ko addres tum ne diya tha mere ghar ka?
Han mene diya tha address par mujhe nahi pata k aus ne kese tumhare parents ko razi kiya par aik baat man'ni pare gi Aliyan ko dil torne ka sath sath
dilon ko jordne ka bhi fun khoob ata he...
Amaya meri dua he tm hamesha khush rahoo aese hi hansti raho Aamen dono aik dosre k gale lag gai...
Amaya chalein kafi time hogaya he aliyan apni kalai par bandhi ghadri me time dekhte howe bola...  
thori der or ruk jaein na Aliyan bhai abhi tou ham baatein kar rahe he anaya foran boli!
Anaya bibi ap logon ki baatein pori raat kiya pore saal hi khatam nahi hongi Aliyan ne muskurate howe jawab diya...
Amaya bolo na apne shohar ko tumhari itni si baat nahi mange ge Aliyan bhai?
Anaya hamein kal haveli jana he or phir sham mein Baba saein se milne bhi jana he tou hamein
jana hoga
jao dafa ho jao anaya mau bana kar boli!
wo sab se mill kar ghar jane k liye nikle..
Bohat ajeeb he tumhari dost aik mint me izzat deti he or agle mint be-izzat karti he wo car start
karte howe bola!
                        --------*****-------*****-------*****-------

                                                   To be continue...

Sunday 18 October 2015

Episode 11 Amaya or Aus ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

Episode 11
                       Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain





Darwaze par 'dastakh' hoi knock knock!
jee aajaein bed par nazrein jhukae behti amaya ne nihayat hi narmi se kaha...
Aik shaks kamre me dakhil howa
wo ab bhi nazrein jhukae behti thi ause dekhne ki himmat na kar saki
ye ring ap k liye as a gift from me....                                                            
jee shukriya amaya ne darte howe ring lene k liye hath agey bardhaya!                                                                          
agar ap ki ijazt ho tou ye ring ap k nazuk hath ki ungli me pehna don(rooh'abza ki bottle)                                                                                                                                
Amaya aik dum ghabra gai "rooh'abza?                                                                                                                  
jese hi nazren utha k dekha tou wo dekhti hi reh gai wo shaks white shervani mein dulha bana
behad handsome lag raha he or wo haklate howe ghabra kar boli                                                                                          
A'aa'aliyan ap?
what are you doing here? kiya meri shadi aa'ap se---? aus k lafz wahin toot gae
what you mean? what i'm doing here hello medam "i'm your saein, sar ka Taaj your husband"
itni heran kiyon ho kiya tumhein nahi pata k tumhari shadi mujh se hoi he?
nahi mu'mujhe kese--?wo ab bhi heran thi ghabrai hoi thi
kiyon hamara nikah nahi howa kiya molvi sahab ne mera naam nahi liya?
wo khamosh behti ause herani bhari nigahon se dekh rahi thi!
kuch pocha he mene kiya howa itne sadme mein kiyon aagai Rooh'abza ki bottle wo aus ki
ankhon k samne hath hilate hoe bola!
Nahi wo m'me'Mein apne dukh me itna khoi hoi thi k mene dehan hi nahi diya halka si kan me
awaz aai thi Aliyan mustafa!
par mujhe laga shayad mere dil se awaz aa rahi he kiyon k mera dil ap k bare mein soch raha tha
me wahan hote howe bhi wahan nahi thi mujhe nahi pata
aus waqt mere aas paas kon tha kis molvi ne mera nikah pardhaya mujhe koi hosh nahi tha aus
ne bheegi palkhen utha kar aliyan ki janib dekha....
Aliyan ne bhi ause dekha dono ki nazren apas me takrai or wo kuch der khamosh raha...
kuch sochne k bad wo achanak bola wah kiya haseen aitefaq he ALLAH PAK ne mere surprise kharab nahi hone diya
meri madad ki aus k chehre par halki si muskurahat thi..
kiya matlab? aus ne aik bar nazrein utha kar herani se aliyan ki janib dekha wo ab aus k pas bed
par behta howa tha!
Mene tumhein shadi ka surprise dena tha par me ye bhool gaya tha k jab nikah hoga aus waqt tumhein pata chal jae ga k tumhari shadi mujh se ho rahi he
ye baat mujhe subha yaad aai par me kuch bhi nahi kar sakta tha mene bas ankhein band ki or ALLAH PAK se dua mangi jo bhi ho behtar ho nikkah k waqt
me tumhare face expressions dekhna chahta tha nikkah k doran dono stage k darmiyan net ka
parda tha jis se wo ba'asani amaya ka chehra dekh sakta tha!
par mera naam sun'ne k bad bhi tumhare chehre par koi khushgawar tasuraat nahi the aus waqt
me bohat dar gaya k kahin tumhare dil me mere liye
koi nafrat tou nahi mujhe laga shayad ais aik saal or char mahinoo mein tum mujhe bhool gai ho
mujh se nafrat karne lagi ho bas yehi dua karta raha k ye sab mera weham ho...

Amaya bilkul khamoshi se aus ki baatein sunti rahi!
Ab kamre me mukamal khamoshi thi wo dil me sochne lagi kismat ne kiya haseen khel'khela he
pehle aliyan zindagi me aaya--phir wo ilzam--phir hospital---phir gaon---kabhi auska talakh lehja
tou kabhi naram---
phir aliyan ka mere ghar aana---phir aus ki pasand ka pata chalna---phir mera dil tootna---
Aliyan ka meri zindagi se chale jana or aj achanak ais tarah se wapas aana ye sab qismat ka mazaq
hi tou he aik khel hi tou he aus k chehre par herani thi..
par aj mein behad khush hon aj Amaya amir bohat khush he aj mein Amaya Aliyan ban gai hon
aj mera khuwab pora hogaya!
wo Aliyan k gale lagna chahti thi ause aik bar sab kuch kehna chahti thi aus k paon zameen par
nahi tehar rahe the
Aj wo Aliyan ki zindagi mein aagai thi Aj wo ause sab kuch keh dene wali thi jo kabhi nahi kaha tha...
kiya howa khamosh kiyon ho wo aus ka mood dekhte howe bola!
Aj se ap "Mrs.aliyan" hen or ab ap ko meri bohat khidmat karni hogi tumhare hath ka
soop or biryani oh that was so delicious
aj bhi taste yad he mujhe wese kafi acha khana bana leti ho tum aliyan ause cherdtee howe bola
Aus ki baat par amaya k chehre par muskurahat aagai!
Aliyan ye sab kese i mean, meri shadi or ap se aik buri larki se shadi kiyon ki ap ne?
ause samjh hi aa raha tha k kiya react kare par dil mein ais shadi se bohat khush thi...

Aliyan k chehre par aik rang aa kar guzar gaya!
Me Batata hon kese howa aliyan utha or amaya ka hath pakar kar ause khadra kiya or (ghutnoo k bal)beht kar hath me ring liye amaya ko purpose karne laga
Amaya tumhare jane k bad mujhe ehsas howa k meri zindagi me kuch kammi si hogai he har roz mujhe tumhara khayal ata,
mujhe tum se koi tufani qisam ki muhabbat to nahi hoi he par phir bhi na jane kiyon tmhari batein yad aati thi phr, mujhe andaza howa
me tumhein pasand karne laga hon...
me tum se koi wade nahi karo ga bas itna kaho ga k tumhein meri wajah se koi pareshani nahi
hogi me jan chuka hon tum kitna chahti ho mujhe or
me tumhari chahat ki respect karta hon
meri wajah se tumhein jitna bhi dukh howa me koshish karo ga tumhein aus se ziyada khush
rakhon aus ne aik safeed ballon amaya k agey kar diya jis par likha tha will you marry me?

Marry tou hogai budhu;)thank you so much aliyan wo halka sa muskurai ye sab aik khuwab lag
raha he jese achanak koi magic ho gaya ho...
Aik larka Aliyan pur'kashish ankhon wala,
Amaya ko rulane wala,
Amaya ki chahat ki respect karne wala!
Bhale ap ko mujh se meri tarah tufani qisam ki muhabbat nahi mere liye itna hi kafi he k ap ko
me ab pasand hon
mujhe kisi wade ki zarorat nahi ap mere sath he mere liye yehi bohat he
Ap ka meri zindagi me aana mere ALLAH ki mujh par aik khas rehmat he...
Amaya ki baat sun kar aus k chehre par muskurahat aagai or aus ne dvd player par gazal play kar di
(aik din ap yuu ham ko mil jaein ge phool hi phool rahon me khil jaege mene socha na tha,
aik din zindagi itni hogi haseen jhoome ga asman gae gi ye zameen mene socha na tha)
or dono couple dance karne lage Amaya ko ye sab aik khuwab sa lag raha tha
bohat hi khoobsurat sa khuwab!
               ----****----****-----****-----                                                                      

Aliyan please bataein ye sab kese howa ap ko kese buri larki achanak achi lagne lagi?
ab amaya soffe par behti thi                                                                                                            
Amaya mujhe bar bar sharminda mat karo buri larki ka tanz kar k bata don ga
itni bhi jaldi kiya he bohat kuch he batane ko par abhi mujhe nennd aa rahi he aus ne side table
par rakha lamp off kar diya...

"Muhabbat tou achi larkiyon ko bhi ho hi jaati he
lekin jab aine ye pata chal jae k wo muhabbat aineh mill hi nahi sakti
tou wo khamosh rehti hen achi larkiyan khamosh hi achi lagti hen"....
wo dhemi awaz mein boli...

jese tum muhabbat kar k khamosh hogai
Muhabbat mein sadaq na ho tou muhabbat nahi milti par tumhari muhabbat mein sadaq tha
tum ne mujh se muhabbat ki tou poori sadaq k sath ki....
Amaya hum muhabbat k izhar mein goonge or nafrat k izhar mein mauh'phaatt log he..
Ais bar aliyan ne bhi dhemi awaz mein jawab diya...
jawab mein amaya kuch nahi boli...
kuch der kamre mein mukamal khamoshi thi...

wo kuch sochte howe boli Ap ko hamari shadi k bare mein batana he tou bataein nakhre mat
karein warna ye pehli aesi shadi hogi
jo pehli hi raat dulha dulhan me jaang hogai ab wo mau bana kar sone k liye wahin soffe par let gai
Abhi sojao kal bataon ga...  
                       -------******--------******------******-------

Agley roz shab-e-hafta!
      valima mein Amaya "white long shirt sath me plazoo" mein malboos bohat hi soobar sa
makeup, bohat haseen lag rahi thi or behad khush nazar arahi thi:)
Aliyan bhi 3piece soot mein malboos bohat handsome dikhai de raha tha...
Dono sath hi soffe par behte the or kafi khush dikhai de rahe the Amaya wese tum kafi
achi dikhai de rahi ho ais dress mein Aliyan ne ause dekhte howe kaha!
jawab me wo muskurai kuch kehne k liye lab khole....
Ary wah amu aj tou bohat khush ho kal tou bara mau bana howa tha anaya shararti lehje me
bolte howe stage par aati dikhai di...
Anaya tumhari class tou me bad me longi tum ne mujhe bataya kiyon nahi k mera dulha Aliyan he?
or kiyon na hon me khush ab tou mein zoja-e-aliyan hon wo khushi se khil'khilaa k boli...
Ary wah meri billi muji ko mi'aaOwn, me ne bohat batane ki koshish ki par tum sun rahi thi
koi bat jo me batati anaya apni ankhen choti kar
k ghuse wali shakal bana k boli....                                                                              
kuch der mein 'photosession' howa sab stage par tasveren banane lage!                                                                                        
MASHALLAH MASHALLAH bhabi bohat piyari lag rahi hen ap 'sam' stage par ate howe boli...
auneh ata dekh amaya uth khadri hoi thank you kesi ho sam? ab wo hina chachi logon k gale lag
kar milne lagi...
sab bohat khush dikhai de rahe the
Aliyan bhai ap dono ka couple bohat acha he haniya ab aliyan or amaya k sath selfie lete howe boli
shukriya Haniya aliyan ne muskurate howe jawab diya!
Aik bat kahun bhabi mein or haniya api tou shuro se hi ap dono ka couple banane k bare mein soch rahe the par ap logo ki ladaiyan auff...
hum ne to umed hi chor di thi par dekhein ALLAH ne hamari dua sun li ab sam bhi aun ki tasverein leti hoi boli!
SAM boha tez hogai ho tm tabhi tum mere samne amaya ki tarifen karti thi aliyan muskura kar bola...
han tou bhai ap kon sa meri tarifon k jawab me kuch kehte the bas chup chap sunte rehte the...

Hina bhabi ap log kal shadi me kiyon nahi aae? Mrs.Mustafa aun se gale milte hoe sawal karne lagin!
Bas bhabi kuch zaroori kam tha tou bas tabhi nahi aa sake or mene suna k ap ne kal shadi mein shirkat nahi ki ap ki tabiyat kharab ho gai thi
tou ab kesi tabiyat he ap ki?
ALLAH ka shukar he ab me behtar hon ab wo dono beht kar baatein karne lagin...


Achanak amaya ki nazar 'Abrar' par gai jo chalta howa stage ki tarf aa raha tha
ye yahan kiya kar raha he amaya ghuse se boli!                                        
mera cousin he shadi me tou aae ga hi mene kaha tha naa k abrar aesa larka nahi he, ause najane
kiya hogaya tha
wo apne kiye par sharminda he mafi mangi thi aus ne mujh se or mene hm dono ki tarf se maf bhi
kar diya tha ause aliyan muskurate hoe bola

Amaya jee shadi mubarak ho ap dono ko or sorry meri tamam harkton k liye Abrar ye keh kar
wahan se chala gaya...
Fahad stage k samne pole se tek lagae khadra Amaya ki janib dekh raha tha..
kiya howa bhai udas lag rahe ho zain aus k khandhe par hath rakh kar bola...
nahi me udas nahi hon zain me tou khush hon aliyan k liye der se hi sahi par aus ne acha fesla
kiya dekho amaya kitni khush dikhai de rahi he aus ne ankh se amaya ki tarf ishara kiya...
han khush tou he ALLAH ain dono ko khush rakhe zain bhi auneh dekhte howe bola..
waqai amaya ne sache dil se chaha tha tabhi ause aliyan mil gaya kafi ajeeb he ye zindagi...
fahad bhai Ap ne bhi tou--fahad ne aus k mau par hath rakh diya
kiya kar rahe ho khamosh hojao kisi ne sun liya tou masla ho jae ga zain sab bhool jao!

apne Baba saein ko ate dekh amaya k chehre par mazeed khushi jhalakne lagi!
Baba saein amaya khushi se gale lag kar mili..
kesi he meri ladli khush tou he naaw?
jee baba me bohat khush hon thankyou so much...
Dekha aliyan mene kaha tha na meri beti ko apne baba ki pasand achi lage gi beta tum dono aese
hi khush raho tumhein khush dekh kar
mere dil ko bohat sakoon mila he...
ALLAH tum dono ko hamesha khush rakhe Ameen Wadera saein amir dua dene lage...
'Coure car' kesi ho? zohaib ne ause cherdte hoe kaha!
ye coure car kiya he? Aliyan ne sawaliyan nazron se zohaib ki janib dekha
ku'kuch nahi bhai chup karein aap amaya ause ankhein dikhane lagi
kiyon kuch nahi Aliyan bhai me batata ho na kiya he ye coure car ab wo mazeed amaya ko tang
karne laga!
        -----****----****-----****-----

Agle roz amaya sofee par apna teddy'bear seene se lagae behti thi aliyan aa kar aus k pas behtaa,
amaya ne foran sawalon ki barish shuru kar di chalein parso ki baat continue karein mujhe batein meri shadi ap se kese hoi?
tumhari 'soii' wahin atkii hoi he abhi taak 'ziddi larki'...
acha suno! aj se aik saal char mahina dus din pehle jab tumhare apartment se apni haveli wapas
gaya tou pata nahi kiyon tumhari baatein sochne par majbor ho gaya
mujhe samjh nahi aaraha tha tum kesi larki ho? Agley din me tumhare apartment gaya mujhe nahi pata wahan me kiyon gaya
bohat door bell bajai par kisi ne darwaza na khola me jane hi wala tha k acahnak darwaza khulne
ki awaz aai mene foran khushi se piche murdd kar dekha!
jee ap kon kis se milna he darwaza khulte hi sawal howa...
wo amaya ?
jee wo ghar me nahi hen...
kahan gai he or ap kon? mene foran sawal kia...
me aunki 'Maid' hon pata nahi sahab me aj subha jab aai tou bohat door bell bajai kisi ne khola nahi
mere pas duplicate chabi he aus se mene darwaza khola andar aai tou dekha koi bhi nahi tha sab saman bhikraaa howa tha bed'room ka
shayad bibi jee ne ghuse me sab kuch toraa ho aunka ghusa bohat khtarnak he phr kitchen me
aik chit mili jis par likha tha
me ja rahi hon hamesha k liye tumhari tankhuwa baba saein se le lena or chabi bhi aune de dena...
phir me tumhare kamre me gaya tou waqai har tarf saman bikhraa howa nazar aya me preshan
hogaya k kal tak tou yahan sab thek tha tou phir ye sab?  
mene aas pas k sab nebours se pocha, dr.anas se pocha kisi ko kuch pata nahi tha k tum achnk
kahan chali gai
Dr.anas ne bas yehi jumla kaha tum ne bohat der kardi barkhudar aate aate.....      
me samjh nahi paya auno ne kiyon aesa kaha par me ne ziyada dehan na dya phr mujhe tumhari
dairy ka khyal aya shayad aus me kuch likha ho
me wapas tumhare apartment gaya or yahan wahan dairy dhondne ki koshish ki akhir dairy mil hi gai...                                                                  
mene pori dairy pardhi or phir meri ankhen num hogai me zamen pe beht gaya jese koi sannp soong gaya ho!
sach kahun tou me bhi kahin na kahin tumhen paasnd karne laga tha!
par kabhi samjh nahi paaya mene kabhi dehan hi nahi diya tha k me tumhare liye kiya mehsoos karne laga tha meri nazron k samne kuch porani batein
aik film ki tarah chalne lagi aus waqt mujhe mehsoos howa k mujhe tum aus waqt achi lagi jab tum apni masi ki tabiyat pochne aun k ghar gai,
mjhe achi lagi jab shanze k sasural mein chachi ki help ki,
mujhe achi lagi jab tum ne islamic lecture diya, s
mujhe achi lagi jab sofee par nawabon ki tarah tang par tang rakhe behti thi,
mujhe tum achi lagi jab tmne ye kaha akhri badtmizyan he phir tum kahan or me kahan,
ye line chahte howe bhi mere dimag se nahi ja rahi thi me smjh nahi paa raha tha tum ne aesa kiyon kaha me itna to tumhen samjh hi gaya tha
k tum koi bhi bat aese hi nahi kehti..
acha tou ye samjh aagay ap ko k me koi baat aese hi nahi kehti par ye nahi pata laga k me kesi larki hon?
aik bar phir kisi ne aliyan k chehre par thapar de mara tha..
aus ne ye baat nazar'andaz kar di Amaya mujhe bad mein samjh aagaya tha k tum ne aesa kiyon kaha kiyon k tumne mujh se dor jane ka fesla jo kar liya tha..
me tumhari dairy seene se laga kar khud se batein karne laga...

Aik saal char mahina pehle:
       wo apne kamre mein amaya ki dairy hath me liye behta tha
Amaya Akela tou me pehle bhi jee raha tha par najane kyon tanha sa hogaya ho tumhare jane k bad!
Mujhe bohat bura mehsoos ho raha he meri wajah se tum itna roi...
Agar tum itna hi chahti ho mujhe tou phir kiyon tum ne kabhi izhar nahi kiya tum tou har wqt larti rehti thi mujhe kabhi mehsoos hi nahi hone diya
aik bar tou keh deti shayad tumehn itna dukh na hota me tumhein pasand tou nahi karta par pata
nahi kiyon mujhe bura lag raha he mene bewajah tumhein buri larki samjha
me kiyon nahi samjh paya k tum aik achi larki ho aik hafta sath raha phir bhi samjh nahi paya
please jab tum ne mujhe tang nahi kiya tha tou kis ne kiya
tumhara red ascarf pehan kar aana phir wo sab kiya tha?
ab aus k zehan me nae sawal uthne lage aik bar phir dairy k pages palat palat kar dekhne laga
shayad ais bare mein bhi kuch likha ho
par ais bare me ziyada kuch nahi likha tha bas itna hi likha tha...
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dear dairy mene tou kabhi tang hi nahi kiya tou mujh par ilzam kiyon lagaya mujhe tou ais bare
me kuch pata bhi nahi he
aese kese koi kisi par ilzam laga sakta he mujh par ungli uthai
me bhi pata laga kar hi raho gi ye sab kis ne kiya he kis ne itni safai se mujh par ilzam lagwaya he?
yehi sab hona tha tou kiyon aliyan meri zindagi me aaya kiyon mere sath ye sab ho raha he?
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Amaya tum jab bhi mujhe milo gi tum se mafi zaroor mangu ga mene kabhi socha hi nahi tha k
kisi k dil me mere liye itni ajeeb chahat ho sakti he
come back amaya please come back...
ab aus ki ankhen naam hogai par ab kiya ho sakta tha amaya tou ja chuki thi kahin bohat dor...                                                  
ab ause aksar Amaya ki baatein yad ati aus ka khayal ata...

Present Day:
    phir mene tumhein dhondne ki koshish ki(six months)guzar gae, par tumhara kuch pata na chala mujhe laga shayad yehi saza he meri
me tou tum se aik bar mafi bhi nahi mang saka, par shayad ALLAH ko mujh par reham aagya tha...

Acha kiya waqai ap ki ankhein num hoi or ap mafi mangna chahte the or mujhe dondne ki koshish ki? amaya k chehre par herani bhare tasuraat the
kiyon meri ankhein nam nahi ho sakti me bhi aik insan ho...
acha agey bataein phir kiya howa? kese rishta bheja kese mera pata lagaya?
auff tum ne tou sawalon ki barish kar di he baqi bat aik chote se break k bad aliyan
shararti lehje me bola!
wo teddy bear seene se lagae piyar bhari nigahon se ause dekhne lagi...
acha ab ye 'teddy bear' rakho or ais teddy bear ko bhi time do kuch piyar mohabbat ki batein karo
hm bichdre howe love birds aik sal char mahine bad milley he
agar tumhein lagta he k me aesa kuch kahun ga tou aesa har'gizz nahi he me tumhari taraah filmy nahi hon 'ziddi larki'!                                              
aaaw kuch bhi! amaya ankhein nikalne lagi hanw ap ko tou bas larna ata he larai karwa lo bs insan hon kuch emotions hote he
ab ap se batein nahi karogi tou kis se karo gi?
thek he nahi karti me bat so rahi hon mein or jab tak ap mujh se bat nahi kren ge me bhi nahi karo
gin ye keh kar amaya ghuse se bed par sone k liye let gai!
ause laga shayad aliyan aae ga or ause piyar se manae ga par aesa nahi howa..
(had hoti he apna ego thori na chore ge, ye bhi khayal nahi he k new married couple hen kuch
lehaaaz hi kar lein) amaya ahsta se brd'badane lagi...
kuch kaha tum ne please jo bhi bol rahi ho ahsta bolo meri nennd kharab mat karo aliyan apni
hansi dabate howe aus ko mazeed ghusa dilane laga...
oh ap k kan tou ab bhi bajte he wo danton ko zuban mein pisa kar boli
or tum ab bhi dhemi awaz me mere liye kuch na kuch bolti ho wo halka sa muskuraya!
wo kuch keh na saki samjh hi nahi aaya k kiya kahe aus k liye itna hi kafi tha k aliyan ne pehle
bhi ais ki ye baat note ki thi
par kabhi mehsoos nahi hone diya...
          -----****-----****----****----
                                        To be continue...

Thursday 15 October 2015

Episode 10 Amaya or aus ki ajeeb chahat By Muntaha Arain

Episode 10
                      Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain




Cell phone baja screen par nazar dali Mamma calling!
ASALAM wa ALAIKUM mamma!
wa alaikum asalam beta kesi ho kiya kar rahi ho?
Me thek hon office me hon kam kar rahi hon ap ko koi kam tha mamma?
beta tumhen islamabad gae aik saal hone wala he ghar aane ka irada nahi he kiya?
tumhari buhat yaad aati he Aisi hafte tum haveli aa jao...
par kiyon mamma??
Dekho amaya beta me ghuma phiraa kar bat nahi karon gi bat sehdi he tumhari study complete
hogai he tum software engineer ban gai ho
achi khasi job kar rahi ho islambad mein or tumhare liye itne ache ache rishte aa rahe hen ab hum tumhari shadi karna chahte he...
dosri tarf mukamal khamoshi thi!
hello tum sun rahi ho na Amaya me kiya keh rahi hon?
beta bohat acha rishta aaya he larka landlord family se he achi khasi job bhi he khoobsurat he khoubsirat he or achi family se taluq rakhta he
zara ye tou batao mujhe tum kahan rulti phirti ho?
kiya matlab mene kahan jana?
larke ki ami ne tumhein kahin dekha tha tou tum auneh pasand aagai wo khud rishta lai thin...
Mamma please ab wo apna laptop band kar k chair se tek lagae beht gai mama ap phir shuru
hogain amaya zuban danton mein pisaa kar boli
dekha hoga kahin mujhe kiya pata...
beta bohat hogai tumhari man'marziyan ab hum tumhari aik nahi sune ge beti ki shadi aik ache
ghar mein kisi ache larke se hojae or kiya chahiye
tumhare 'BABA saein' ko larka or auski family dono hi buhat pasand he auno ne han bhi kardi he agley do mahine bad tumhari shadi he foran haveli aajao
tumhare BABA ka hukam he or humein umeed he jese pehle tum ne apne waldein ki izzat rakhi he har cheez mein ab bhi wese hi izzat rakho gi
humein sharminda nahi hone do gi apna khayal rakhna ALLAH HAFIZ....
aus ne kuch kehne k liye lab khole hi the k agey se phone band ho gaya aus ne apne dono hath table par rakhe phir aik hath apne baalon mein diye beht gai
or dosre hath mein pakre cell phone ko dekhte howe kisi soch me doob gai!
                   -----****-----****-----****-----
Anaya ne aik company mein job k liye apply kiya tha aj wo internet par apni emails check karne
me masroof thi
wo bohat dilchasbi se laptop ki screen par nazrein jamae touchpad par ungliyan pherti emails open karne lagi
Aus ki nazron k samne aik unknown email tha jise bohat hi dilchasbi se aus ne open kiya
Ab aus k samne wo email open thi wo ba'aasani email pardh sakti thi ab aus ne email pardhna
shuru kiya-
Hello anaya kesi ho?
amaya kesi he aus ka koi contect number ya koi email address he tou please mujhe batao
mujhe aus se zarori baat karni he university k bad tou amaya jese gayab hi hogai he aus ka
cell phone bhi band he aus ne number change kar liya he kiya?
tumhare jawab ka intezar rahe ga from: Mrs Kiran Faris...

Mrs.kiran Faris aus ne lafz dohraya matlab kiran ki shadi hogai aus k chehre par ab herani bhare tasuraat the...
Amaya ka contect number ya wo kahan he mujhe kuch bhi pata nahi he me kiya bataon ais kiran
ko k meri best friend ka mujhe hi nahi pata
wo kahan he kis haal me he?
Ab anaya k chehre par udasi thi
akhri bar ause university me dekha tha kahin khoi khoi si thi tum ne mujhe kiyon kuch nahi
bataya amaya
kiyon tum bina kuch kahe chali gai kash aus din mene jaldi phone kar diya hota tou aj tum yu
hum se dor na hoti or wo aliyan kahin milley me ause choro gi nahi
wo khud ko or aliyan ko qasoor'war man kar rone lagi!
                 -------******--------******------******-------

Ab Amaya apni haveli aagai thi or ause yahan aae howe aik mahine se ziyada hogaya tha
wo jhole par behti laptop k touchpad par taizi se ungliyan pheer rahi thi!
beta kiya kar rahi ho jab se aai ho laptop me lagi rehti ho..
Mamma me apne office ka kam kar rahi hon...
kiya office ka kam tum ne abhi tak office se resign nahi kiya?
ab Mrs.Amir aus k pas beht gain...
kiyon resign kiyon karon mein?
Amaya Shadi he tumhari or shadi mein sirf do hafte baqi hein ab koi zaroorat nahi he job ki aj hi resignation letter bhej do wo aus k kandhe par hath rakh kar bolin
or kal subha jaldi uth kar tayar ho jana kal hum lahore ja rahe he...
Lahore par wo kiyon? ab aus ne Mrs.Amir ki janib dekha!
tumhari shadi ki shopping karne k liye tum bhi kuch apni pasand ka le lo...
ap ne jo bhi shopping karni he khud kar lein wo mau bana kar boli or wahan se chalne lagi!
kahan ja rahi ho yahan behto ye kiya baat hoi bhala aj kal ki larkiyan tou apni shadi ki shopping
khud karti hein
apne waledein se nai nai farmaishey karti hein or aik tum ho jise apni shadi ki shopping mein koi intrest hi nahi he...
Mujhe tou apni shadi mein bhi koi intrest nahi he mamma!
Mujhe nahi karni shopping aap log khudi kar lein larka bhi tou khudi pasand kiya he wo khoe hoe andaz me boli...
Baba Saein ne han kar di tabhi me baba saein ki khatir ye shadi kar rahi hon warna mera shadi ka
koi irada nahi or me job se resign nahi karon gin
kabhi shadi kar lo kabhi resign kar do ghuse me kehte howe wo uth khadri hoi or wahan se jane
lagi!
tehro amaya ab Mrs.amir bhi uth khadri hoi amaya bhi wahin ruk gai
idhar meri tarf dekho auno ne bazu se pakar kar amaya ka chehra apni trf kiya beta, hum ne
tumhara bhala hi socha he
akhir kab tak kanwari raho gi aik din tou apne ghar jana hi he naa tou phir kiya masla he
kiyon nahi karni shadi?
Amaya khamosh khadri rahi Asman par andhera chaane laga halki halki barish ki boondein
zameen par girne lagi!
Chalo mein apni gudriya ko aus k 'rajkumar' ka naam batati hon wo muskurate hoe bolin..
Mujhe koi intrest nahi nam jann'ne mein agar me waqai aap ki gudriya hoti tou ap yuu zabardasti
na kartin
wo mau bana kar zameen pe 'peer' patakh'te howe wahan se chaali gai...

Agli sham!
Wadera saein Major Amir lawn mein behte chae pee rahe the sham ka waqt tha parinde
cheh'chahane lage hawa se darkhat k pattey jholne lage
Amaya ko guzarte dekha tou awaz de di beta amaya yahan aao apne baba saein k pas aa kar behto
jee baba aus k chehre par udasi thi...
beta itni udas kiyon ho? jab se aai ho bhuji bhuji si lag rahi ho
Ab amaya aun k pas wali chair par behat gai
beta tum ab pehle jesi shararti gudriya nahi lag rahi mujhe wohi meri shararti amu chahye Major Amir piyaar karte howe muskurae...
(Baba kiya bataon me ap ko k meri zindagi kitni ajeeb he mere sath kese kese mazaq karti he
mujhe azmaish me dalti he
Shehr-e-karachi ka aik larka Aliyan jise me aj bhi bhool nahi pai hon)--
Nahi Baba aesa nahi he i'm ok achanak ap ne ais tarah bulwa liya bas tabhi--- wo bolte hoe ruk gai
Acha tou meri amu ko shadi ki tenshion he?
beta waledein apne bachon ka acha hi chahte he kiya tumhen lagta he tumhare Baba kisi aare gere larke ko tumhara hath de den ge?
tumhein apne Baba ki choice par bharosa nahi he?
Major Amir nihayat hi narmi se bole aun k lehje bohat piyar bhara tha...
Baba saein kiya Amaya amir ap par bojj he?
wo herani se amaya ki janib dekhne lage
Nahi mere bache meri Ladli mujh par har'giz bojj nahi he
Betiyan maa'baap par hargiz bojj nahi hotin,
aun k aangan me chidriyon ki tarah cheh'chahati hein,
shoor machati hein,
dana chugtin hein or aik din urd jati hein,
bas itna muktasir sa padao hota he maa'baap k ghar betiyon ka!  
           
Amaya ki ankhon se ansu behne lage or apne Baba k gale lag kar rone lagi mere baba world k best baba hen mere superman wo rote howe boli...
Beta larka bohat acha he tumhein bohat khush rakhe ga me tou ais rishte se bohat khush hon agar tumhein shadi nahi karni tou me mana kar deta hon
ye kiya keh rahe hein ap?
aik awaz sunai di piche murd kar dekha tou Mrs.Amir wahan majood thin
Aese kese ap mana kar sakte he invitation cards logon ko mil chuke he pore gaon ko pata chal
chuka he
wadere saein Amir ki ladli beti ki shadi he agle jume ko ap achnak mana karein ge tou log baatein banae ge ap ne mana hi karna tha tou han kiyon ki thi
ap ne tou badre fakhar se kaha tha ap ki ladli ap k fesle se khush hogi ause ap ki choice par bharosa he auno ne mazeed kuch kehne k liye labb khole hi the
k amaya k aik jumle ne Mrs.Amir ki zuban par tala laga diya!
Mujhe apne baba ki choice par pora bharosa he me khush hon baba saein k fesle par kisi ko mana karne ki zaroorat nahi he
Amaya ki family ais rishte se bohat khush thi, wo inkar kar k sab ko udas nahi karna chahti thi or apne Baba saein ka piyar
aus k liye sab se 'bardh' kar he aus ne apne Baba ki khushi k khatir han kardi...
Amaya ki han se jese Major amir ko zamane'bhar ki khushiyaan mil gai...

Raat k khane par sab hi daining table par majood the
Zarlish hamari ladli kahan he wo khana nahi khae gi Major Amir apni wife se mukhatib the!
pata nahi abhi bulwati hon 'khan sa' jaein Amaya ko bula kar laein!
                       ----***---****----****-----

wo apne kamre ki khirdki k samne seene par hath bandhe khadri bahar ki janib kale asman par
chand ko dekh rahi thi
Asman taron se bhara howa tha aus ki ankhein namm thi aj k din jo bhi howa sab aus ki ankhon k samne aik film ki tarah chalne laga
Mein itni khud'garz kese ho sakti hon me tou aesi nahi thi mujhe apne baba saein ki apni family ki koi khushiyaan nazar hi nahi aai
me bas khud k bare mein soch rahi thi kuch waqt k liye me bhool gai thi k Me kon ho kiya hon
kiyon hon?
Me ne hamesha ma'bap ka sar fakhar se ouncha kiya he tou ab kese me aun ko logon k samne sharminda kar sakti thi
Mene tou sab ALLAH par chor diya tha tou phir me kese bhool gai k ALLAH jo karta he behtar
karta he aini sab me meri behtri he
Mamma ka wo jumla(ap ne tou badre fakhar se kaha tha ap ki ladli ap k fesle se khush hogi ause
ap ki choice par bharosa he)
Baba saein ko itna yaqeen tha apni ladli par or mein'me kiya karne ja rahi thi aun ka bharoosa torne
ja rahi thi ab aus ki ankhon se ansu behne lage!
Darwaze par dastak hoi!
Amaya ne foran apne ansu saaf kiye andar aa jaein!
aik shaks kamre mein dakhil howa bibi jee ap ko Saein bula rahe he dinner kar lein..
jee ap chalein ap aati hon
kuch der mein Amaya bhi daining haal mein aagai jee bulaya ap ne...
beta behto yahan or khana khao...
Nahi mama mujhe bhook nahi he me sone chahti hon...
beta rizq samne padra he rizq ko thukrate nahi he chalo shabash behto or khana khao!
ab wo khane ki meez par beht gai or be-dilli se khana khaane lagi...
Major Amir ki amaya par nazar padri Amu ye kiya tarika he khana khane ka thek se khao khana'khane ki dua pardhi tum ne?
nahi baba bhool gai sorry
koi pareshani he kiya aksar tum pareshani me hi cheezein bhoolti ho?
Nahi Baba Aese kuch nahi he ap bataein zohaib bhai kab aa rahe he england se?
zohaib amaya ka chota bhai he..
zohaib parso aa raha he or ab yahi rahe ga ye last year tha aus ka keh raha tha yahin pakistan me hi bussiness kare ga..
ab chup chap khana khao baatein tou hoti rahe gin Mrs.Amir pani ka glass table par rakhte howe bolin..
nahi mene bas ki mera mann nahi khane ka me sone ja rahi hon Shaba khair...
                  ----****----****----****-----                                                                                          
20 December_Friday!
       shadi ka din bhi aa hi gaya Amaya surkh lehnge mein malboos 'Dulhan' bani behad khoobsurat lag rahi thi bilkul kisi shehzadi ki tarah...
Zohaib kalai par ghardi pehnte howe kamre mein dakhil howa Amaya chalo bhi ab--aus ne jese hi samne dekha aus k lafz wahin toot gae!
wo lehnge mein malboos dulhan bane isha ki namaz pardh rahi thi!
wo khamoshi se seene par hath bandhein khadra amaya ko dekhta raha ab wo jahe'namaz rakh rahi
thi ankhon mein mote mote ansu the
Zohaib ko dekhte hi wo apne ansu saaf karne lagi bhai ap kab aae? chehre par farzi muskurahat thi
Amu tum khush tou ho na? wo fikarmandi se aus ki janib dekhne laga
jee bhai me bohat khush hon baba ne hamesha hamare liye behtar fesle hi kiye he ab zohaib k
chehre par muskurahat jhalki!
oh hoo itni badri hogai meri coure car itni bari bari baatein!
(zohaib k samne amaya ka qaad thora chota he wo ause chird'rane k liye coure car kehta he)
jee han zindagi ne bohat kuch sikha diya he aus k lehje mein udasi thi!
ab itni gehri baatein mat karo mujhe hazam nahi hongi ab chalo marriage hall phunchte bhi ghanta lag jae ga
amaya wahan se chalne lagi! suno coure car mujhe tumhari bohat yaad aae gi mere sath larne wala koi nahi hoga ab kise me coure car kahun ga?
ab zohaib k lehje mein udasi thi or amaya k liye ye udasi pehli bar thi wo herani se ause dekhne lagi!
aus ne kuch kehne k liye lab khole hi the k zohaib foran bol parda agar tumehin lagta he me aesa kuch kaho ga tou aesa har'giz nahi he
or suno apne shohar ko kuch khana wana bana kar bhi khila dena aesa na ho k wo khana mange or tum kaho ye lo 100rupee bahar se kha lena
wo ab amaya ki tang khenchne laga
Amaya ause goorne lagi!
Mujhe yaad he amu jab me chota hota tha or tum se kuch khane ko mangta tha tou tum mujhe paise de deti thi
jao zohaib bahar se kuch le kar kha lo ab wo kehka laga kar hansne laga
amaya ne cushion utha kar zohaib ko marna shuru kar diya
Mrs.Amir kamre me dakhil hoi tum dono kabhi nahi sudhro ge ye koi time he larai karne ka chalo niche der ho rahi he!
mama dekhein naa bhai ko mujhe tang kar rahe hein wo peer phatak'te howe wahan se chali gai
zohaib piche se aawazein dene laga suno coure car i'm serious me tumhein bohat miss karon ga!
               -----****----****----****-----

Pora marriage hall purple or white decorate tha Aik larki sky'blue dress me malboos bridal room mein dakhil hoi!
MASHALLAH Amaya you looks gorgious kitni pyari lag rahi ho "ALLAH PAK" nazre'bd se
bachae tumhein aamen anaya khushi se aus k gale lag gai...
Anaya ko dekh kar aus k chehre par herani bhare tasuraat the anaya tum yahan kese?

Mujhe laga tum mujhe dekh kar khush hogi par tumhein tou shayad koi khushi hi nahi hoi mere yahan aane se!
Nahi aesa nahi he anaya mein khush hon tumhare ane se...
Amaya me buhat naraz hon tum se agar aunty mujhe insist na karti tou me tumhari shadi me
hargiz na aati
tum bina batae kahan chali gai thi number kiyon change kar liya apna?
mujhe tou apna contect number de sakti thi tum mujhe tou apni khabar de sakti thi par tum bina kuch kahe gayab hogai ab aus ki ankhon mein ansu the...
Me kiya batati anaya ye batati k Aliyan ko mujh se nafrat he,
ya ye batati k mera dil toot gaya he,
ya ye batati k zindagi ne mere sath ajeeb mazaq kiya he me toot gai hon anaya aus ki kajal se
labreez ankhon se mote mote ansu behne lage...
jo bhi tha tum aik baar tou mujhe batati amu mene aus din tumhare university se jane k baad kai phone kiye tum ne aik bar bhi call recieve nahi ki
me tumhein kuch batana chahti thi...
kiya batana chahti thi wo khoe howe andaz me boli....
Anaya kuch kehne hi wali thi k bisma bridal room mein dakhil hoi Anaya api ap ko bahar bula rahe he jaldi aaein ye keh kar wo wahan se chali gai..
Amaya kiya tum ais shadi se khush nahi?
i don't know anaya me bas ye shadi Baba saein ki khatr kar rahi hon mujhe nahi pata ye thek he ya galat par aj bhi me aliyan ko bohat chahti hon
bas dukh ais baat ka he k ause me kabhi pasand hi nhi thi wo tou mujhe achi larki samjhta hi nahi he...
me bhi tou auski trha akdruu thi par phr bhi apni EGO bhulaa kar mujhe aus se 'mohabbat' hoi tou kiya wo apni EGO bhula kar mujh se muhabbat nahi kar sakta tha?
me bhoolna chahti hon ause but i can't anaya auski kajal se labreez ankhon se ansu ab bhi jari the or wo khud ko bebas mehsoos karne lagi...
kiya ALLAH PAK mujh se naraz he anaya mujhe itni azmaisho me kiyon dal raha he?
me itni mazboot tou nahi jo kuch bhi bardasht kar lon me toot gai hon anaya..

Amaya mujhe ais waqt tum par toot kar piyar araha he Allah ko jo banda pasand hota he ALLAH ause hi azmaish me dalta he
wo janta he k tum aus k test me pass hojao gi "QURAN PAK me bar bar yehi taqeed ki gai he k
sabar karo beshak ALLAH sabar karne walo k sath he"
ye jo wat'tawasul bilsabar hota he na ye insan ko insan se hi chahiye hota he
Amaya tum mein sabar he tum bohat achi ho or tum hi kehti ho na k "ALLAH apne bando k sath bura nahi karta tou phir tumhare sath kese bura kar sakta he"
anaya ne ab ause apne gale se laga liya!
Amaya porani baton ko yad karne ka koi faida nahi jo hamare haq me behtar hota he wohi hamein milta he ho skta he jo tumhara humsafar ban'ne laga he
wo aliyan se bhi ziyada behtar ho tumhein behad mohabbat kare....
sab kuch bhool jao aus shaks k bare me socho jo tumhari zindagi me araha he akhir aus k bhi tou
apni wife ko le kar apni future life ko le kar
kuch khuwab honge!
tum aik nai jaga jaa rahi ho nae logon me tumhein sab porani batein bhoolni hogi amaya aik nai zindagi ka darwaza khulne laga he aus ko enjoy karo
jo howa wo sab past tha,
Ab jo hoga wo future he or apna future acha banao kahan he wo amu jo har moment ko enjoy karna janti thi anaya ause muskura kar dekhne lagi
Amaya jo larki ALLAH ki baat manti he wo ause thokar nahi lagne deta                                  
Amaya wahin khadri rahi or anaya ki baton ko sochne lagi wo khoi khoi si thi aus ne kuch baatein dehan se suni thi kuch baatein an'suni kar di..
par akhri baat aus ne gor se suni thi or ab aus ne apne ALLAH ki baat man li thi ab wo apne ansu
saf karne lagi thi...
ary barat aagai chalo sab welcum k liye bisma aik bar phir anaya ko bulane aai ye sun kaar anaya wahan se chaali gai...  

wah amaya kiya shandar qism ki Baraat ai he guard sath mein itni badri badri bandooken pakre howe,
police ki gadri protection k liye teri barat tou pore parotocol k sath aai he "white shervani" mein malboos dulha behad handsome laag raha he
kitni lucky ho tum amaya itna lush saab kuch "ALLAH" tumhen hamesha khush rakhen amaya ki cousin Aleena ause duwaen dene lagi!
itne me anaya aagai!                  
han tou kyon nahi aae gi itni lush barat akhir hamari amu bhi kmm thori he "Major Aamir" ki beti he koi mazaq thori he anaya khushi se boli..                                                                                
Rasmein wagera shuru hoi dulhe ko la kar stage par bithaya gaya...
har kisi k mau se yahi 'lafz' nikal rahe the MASHALLAH couple bohat acha he...
par amaya ne pore event aik ankh utha kar bhi apne dulhe ko na dekha wo khoi khoi si behti thi jese kisi or soch me doobi ho
ause kuch andaza nahi tha aus k aas paas kiya horaha he?
Amaya kahin ye khuwab tou nahi i'm so happy for you or sahi ho kar behto kiya ajeeb sa mau
banaya howa he
dekhne wale log batein banae ge anaya pas khadre ahsta se boli...
Ais se pehle k wo kuch or bolti amaya ne ause chup karwa diya...

Ruksati hone k bad jab sasural aai tou bed par behti amaya kamre ka jaiza lene lagi
kamra bohat acha decorate tha har tarf red roses or candles!
dari'sehmi si amaya sochne lagi k kis se shadi hogai he kon he ye me sari zindagi kese raho gi ais
k sath?
shadi tou kar li he par kiya me ais rishte ko nibha paogi mein kabhi Aliyan ko bhool sakon gin
Akhir kiyon me ause bhool nahi paa rahi hon?
ab tou meri shadi bhi hogai he ab Aliyan k bare me sochna bhi galat he me ab kisi or k nikkah me hon..
ALLAH pak yehi sab hona tha tou kiyn aliyan meri zindagi me aaya kiyon me ause bhula nahi paa rahi
ab tou aik saal se bhi ziyada hogaya he wo tou apni zindagi me aik dum khush hoga...
Anaya ne kaha tha jo larki ALLAH ki baat manti he wo ause thokar nahi lagne deta mera ALLAH mujhe thokar nahi lagne dega
ALLAH PAK please mujhe himat dena me ain nae rishto ko sumbhal sakun kisi ko koi shikayat ka moqa na miley me ab Aliyan k bare mein nahi sochon gin...  
                            -----****----****----****----
                                                        To be continue...

Saturday 10 October 2015

Episode 9 Amaya or aus ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

Episode 9
                  Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain



wo koi or nahi Aliyan Mustafa tha!
Aik Larka Aliyan doop si chahaon sa,
Mangi hoi duwaon sa,
Bin garajti bijli sa,
Ghuse wala or thori magroor aadaon sa,
wo itni barish mein bech raste behosh pada tha
Amaya ki jese saansein hi thaam gai!
Aliyan utho Aliyan wo aus k chehre par hath pherte howe ause uthane lagi
aus ki ankhon se ansu behne lage ause samjh nahi araha wo kiya kare
kese Apartment tak le kar jae
watch man ko bulaya or auski madad se Apartment mein le aai..
ause samjh nahi araha tha wo kiya kare aliyan aus k samne zakhmi halat me para tha aus k tou
jese dimag ne kam karna hi chor diya
bahar itni barish ho rahi he itni raat ko koi doctor kahan milley ga? ab wo apne sar par hath
rakhe soffee par beht gai
achanak kuch yaad aane par amaya bhagte howe hi bahar ki janib gai barabar wale apartment
ka darwaza bajane lagi Dr.Anas darwaza kholein..
kuch der darwaza bajne k baad aik shaks ne darwaza khoola jeans par white shirt mein malboos ankhon par glases lagae howe khush'shakal...
kiya howa amaya ap itni ghabrai hoi kiyon hein?
wo Aliyan Ap chalein Dr.anas aus ka sans phoola howa tha...
Dr.anas foran amaya k sath aus k apartment mein aae!
Dr.anas bohat ache or sharef insan hen, auno ne aliyan k(bandich)ki or medicns wagera di...
Amaya jee, ap pareshan na ho mr.aliyan jald hi thek hojaege mene injection laga diya he kuch
der mein aineh hosh aajaega or ain k liye 'soooop' behtar hoga
wo di jiye ga or kisi help ki zarorat ho tou bila'jhijhk keh di jiye ga...
Thank you Dr.anas....                                                                                                    
kafi waqt guzar gaya Aliyan ko koi hosh na aaya amaya behad pareshan thi wo aus k liye duwaein karne lagi aus k pas hi chair par beht gai
bohat piyar se auski janib dekhte howe dhemi awaz mein boli,
“ab tou Jaag jao Aliyan ais qeemat par k tum ne Amaya Amir ki neendein haram kardi hain”
bas Aaj ki raat khairiyat se katt gayi toh subha INSHALLAH koi achi khabar milegi....
Raat k 2baj gae wo ab bhi wahin aus k pas chair par behti thi or aus k hosh mein ane ki duwaein
kar rahi thi..
Aa'h kahan hon mein? Aliyan ko hosh aagya wo halki si ankhein khole uthne ki koshish karne
laga, ankhon k aagey andhera sa tha!
Relax aram se lete rahein mein hon amaya ap mere ghar mein hen...                                                                
Ap ko aram ki zarort he wo letna ka ishara karte howe boli kuch der mein soop le aai ye lein soop
pee len thand bhi bohat he soop ap k liye behtar he
phir medicins bhi khani he wo soop dete howe boli...
Aliyan herani se ause dekhne laga jese wo kehna chahta ho(Amaya tumhein meri itni parwah
kiyon ho rahi he tumhare chehre par ye pareshani kiyon he
kiya ye tumhara koi natac he)    
Amaya aus k chehre k tasuraat se smjh gai k wo kiya soch raha he...                                                                                          
Mr.aliyan ap ko heran hone ki zarorat nahi ap tou jante he me sab ki help karti hon or phir,jese
mein ap k gaon me mehman thi
wese hi ap bhi mere mehman hen or hum mehmanoo ka ache se khayal rakhte he amaya apni pareshni chupate howe halka sa muskurai
wo apni udasi chehre par nahi lana chahti thi, par andar hi andar bohat pareshan thi or khuda ka shukar ada karne lagi k ause Hosh aagya auski jan bach gai.                                                                   kuch chahiye ho tou bata di jiye ga ab ap rest karen rat kafi hogai hen so jaein amaya soop ka
bowl le jate howe boli....
ab kamre me bilkul khamoshi thi Aliyan aus k kamre mein charo tarf nazren ghuma kar dekhne la
ga room bohat acha decorate he,
bed par kuch teddybears pas hi table par alarm clock or family photo,dewaron par amaya k photos,
jin me wo bohat pyari lag rahi he or kuch wallpapers
'dressing table' par pora makeup set , side table par laptop or kuch books or kuch decoration peace pore kamre mein har cheez pink Almari k pas rakhe
sendle bhi pink...
(auf ye larkiyon ka kamra itna decorated or pink kiyon hota he har chez pink pink shukar he
ye table par rakha laptop pink nahi he)                                                      
                                   ------*****--------****---------*****------

Subha Amaya ki Ankh 9:00Am khuli aus ki nazar wall clock pe gai..
oh shoot! fajar ki namaz nikal gai wo uthi hath mauh dho kar apne silky ball hathon me sameet
kar ounche kiye or poni bandhne lagi
bohat ounchi si poni ais pe bohat achi lagti wo zara sa sar hilaati tou ounchi poni sath hi garden k oper jhoolti,
ais ki ankhein kaanch si chamkili or halka sa kajal bhi ainko dehka deta sheshe me aik nazar
khud pe dali or muskurai
jeans ke opar long shirt garden ki gird lipta muflar waqai wo sab se munfird thi..
wo apne dosre kamre ki janib chal di jahan Aliyan so raha tha ab wo khirdki se parde hatane lagi
sooraj ki chamkeli roshni aus k chehre ko chune lagi wo zara sa piche hoi
wo roshni aliyan k chehre par pardi tou wo foran uth gaya!
Good morning Mr.aliyan ab kesi tabiyat he?
wo kuch kehne wala tha k door bell bajji amaya darwaze ki tarf lapki..
kuch der baad amaya or dr.anas kamre mein dakhil howe
ASALAM wa ALAIKUM ab kese ho barkhudar?
mere sar me bohat dard he or mera jisam jese toot raha he...
me injection laga deta ho INSHALLAH jald hi thek hojao ge, Amaya jee ap nashta laein aus k bad
hi medicines den ge aliyan ko...
Amaya nashta banane kitchen ki tarf chal di....
Mr.aliyan parhezi khana khaao ge tou jald hi recovery hojaegi or amaya tou ap ko ab thek kar k
hi bheje gi
she is very nice girl sab ki help karti he, par ye alg bat he k jisee bhi ais ne dil se chaha he ausi ne amaya ko hamesha dokha hi dya he
phir chahe wo koi saheli ho wo sab ki parwah karti he par auski parwah koi nahi karta koi nahi
janta k, Sakht or akdru mizaj larki k piche
kitni caring or naik dil larki he kisi ne kabhi ause samjhne ki koshish hi nahi ki or auska EGO
itna he k wo apne bare me na kisi ko kuch batati he
na show off karti he, tumhen kal dekha road pe tou ghar le aai auno ne mazeed kuch kehne k liye
lab khole hi the k amaya kamre me dakhil hoi
Dr.anas ap ka driver niche bula raha he!
chalein sham me mulaqat hogi take care both of you ALLAH HAFIZ:)

ye lein garam garam nashta cheef Amaya k hath ka...
Aliyan kahin or hi gumm tha ye Dr.Anas amaya ko itna kese jante he? aliyan k dil me aik sawal
utha par amaya se pochna munasib nahi samjha,
(kiya waqai amaya achi larki nahi tabhi aus ne dr.anas ko ghar me aane ki ijazat di kiya wo har
aik ko apne ghar me aane deti he
kiya wo har aik se aese hi friendly behave karti he?
mujhe kiya lage jo bhi ho ye doctor ya jesi bhi ho ye amaya kiya ye achi larki he
nahi ye achi larki tou nahi achi larkiyan kisi anjan shaks ko tang nahi kartin) wo ab bhi amaya k
bare mein galat soch raha tha...

Hello kahan gumm ho mene kuch kaha he cheef amaya ka nashta ap k samne he...
mujhe nahi pata ap aik buri larki k hath ka nashta khae ge ya nahi par or koi choice bhi nahi ap ko medicines khani hein tou
ap ko ais buri larki k hathon ka banaya howa nashta karna pare ga!
Amaya ki baat par Aliyan k chehre se aik rang guzra par aus ne bohat hi maharat se baat ka mozu palat diya
Are you shure ye nashta tum ne perfect banaya he i mean cooking ati he ya net se recipe dekhi...
Amaya ko aus ki baat sun kar herani hoi Aliyan ko teen saal porani gaon ki baat yad he...
wo jawab me halka sa muskurai mene ab khana banana sekh liya he ap kha lein acha na lage to
chor di jiye ga...
Actually kiya he k me thaak gaya ho mazedar khana kha kar aj Bismillah kar k tumhare hath ka bhi kha hi leta hon
me thaaaak gaya ho lete lete please kiya bahar tv lounge me aa sakta hon?
oh ya shure come amaya muskurai or dil me sochne lagi bemari me kafi acha behave kar raha he kahin dimag tou kharab nahi hogaya ais ka?
kahin ais k sar me tou nahi lagi?wo tenshion me aagai...                                                          
Tv lounge k samne hi open kitchn he, amaya coffe banane lagi or aliyan apartment ka jaiza lene
laga Amaya green colour ki long shrt me malboos ounchi pooni kiye hoe, adhe ball ankhon par
aa rahe the behad pyari lag rahi thi....
waoo amu tum aliyan k liye cofee bana rahi ho waoOo "Love God" kiya kamal ka scene kiya he
ap ne har saal asi 'situation' create kar dete ho
hm aik sath hojate he ab jaldi se kuch aesa bhi kar do k ham hamesha k liye hi aik dosre k sath
hojae amaya excitment mein bard'badai
kuch kaha tum ne? aliyan aus ki tarf mtwajah howa
Amaya aik dum chonki han wo me...mein keh rahi thi aik baat puchun?
han bolo Aliyan tv ka remote hath me pakre chanel change karne laga..
ap ka naam kiya he?
what ye kesa sawal he?
naam batein apna...
Aliyan Mustafa....
ap kis shehar me rehte hen?
Dimag kharab ho gaya he kiya tumhara kese sawal poch rahi ho ye koi baatein he pochne
wali me tou bas ye jan'ne ki koshish kar rahi thi k ap k sar me lagi tou nahi ap ka dimag kahin---
wo wahin ruk gai
acha tou tumhara matlab he k me pagal ho gaya hon?
mujhe tou tumhara dimag kharab lag raha he tumhein kese laga k tmhein mera test lena chahiye??
wo ap ne bohat politly bat ki thi naaaw tabhi....wo wahin chup hogai
amaya ne itne naram lehje me kaha k sunte hi aliyan k honthon pe muskurahat aagai                                                                                                                          
ye Lein coffee! wo coffe mug dete howe pas k sofee par beht gai..
wese amaya tumhare parents kahan he Aliyan coffe mug lete howe bola...
ary wah akdruu piyar se bat bhi karta he mujhe tou pata hi nahi tha shayd ais k dimag me waqai lag gai he tabhi ye itna narmi se bol raha he
amaya mann hi mann sochne lagi...                                                                                                                                        
jee meri family (gaon)me rehti he mere baba gaon k badre wadere he or wo pak army mein major
he Major Mohammad Amir...
me yahan karachi apni studies k liye aai hon me apni 'maid' K hamra yahan rehti hon wo aj kal
chuti pe he...
baba k rakhe howe do bodyguard the jine mene bhaga diya university mein mera mazaq ban jata
agar mere sath guard wagera jate tou
mujhe aik aam zindagi jeena hi acha lagta he!
(oh tou ye major ki beti he or opar se waderan bhi zahir he akard kese nahi hogi ais mein tabhi ye agley hi din foran new car le aai thi)
Apartment acha he tumhara aliyan tv ki tarf dekhte howe bola...
jee thnkyou :)                                                                                                                                                                  
Oh shoot! its 12:00 o'clock, me khana bana lon ap tv dekhein amaya 'wall clock' ki tarf dekhte
howe boli or kitchen ki simmmt chal pardi...
Ab wo Gas on karne lagi aik bat kahun?                  
Han bolo wo channel change karte howe bola....
wo me kafi time se ap ko kuch kehna chah rahi thi par kabhi keh na saki or aese hi '3saal' guzar
gae par socha aj keh don!
hanw bolo bhi abb wo tv band kar k auski tarf matwaja howa
wo darasal bat ye he k...                                                                                                                                        
Amaya ka cell phone bajne laga amaya khana banate howe phone ko apne (kandhoon)k sahare kan
pe lagae boli, Hello 'Mamma' kesi hen ap?
beta me thek hon tum batao kia kar rahi ho?
kuch nahi khana bana rahi hon...
kyon uzma kahan he?
wo kuch din chuti pe he 'Mamma'..
beta me ne tum se rishte k bare me baat karne k liye call ki he...
'Mamma' Please mujhe ais bare me koi baat nahi karni ap ne promise kiya tha ap aynda ais bare
me baat nahi kren gin
amaya apne chehre pe aate howe ballo ko apni kalai se piche karne lagi....
aliyan ause churai hoi nzron se dekhne laga!                                                        
par beta bat tou suno,
No mamma please i'm not intrested jab haveli aaon gin tab baat kare ge ALLAH HAFIZ..  
aus ne apna cell phone ghuse me table par de mara...                                                                                                            
kiya howa khariyat itna ghusa? wo auski trf dekhte howe bola....                                                  
kuch nahi 'Mamma' mere rishte k piche lagi hoi hen, mujhe nahi karni abhi koi shadi wadi!
ab wo khana table par lagane lagi! choro ye saab chalo khana khaOo...
WaoO kia khushbu he biryani ki aliyan dil me sochne laga,
biryani plate me dalte howe bolne laga acha batao kyon nahi karni shadi aik bar larka hi dekh lo
koi dekha tha just mama ko chup krwane k lye amaya pani ka glass apne laboon se lagate howe boli
acha phir kesa laga larka pasand aya tumhen?                                                      
Ap ko pora scene bataon gi tou haansein ge wo larka abrar tha jise kal dekhne bheja tha...                                              
Kiya Abrar wo yahan bhi aagaya aliyan heraani se palate me chamach rakhte howe bola...
jee han Abrar or kal raat ghar bhi phunch gaya aus ne aus raat ka or dreamer palace ka tamam qisaa sunaya aliyan hansnee laga
pagal ho gaya he ye larka aesa tou na tha..
tum han kar deti acha tou he tumhein pasand bhi karta he bichara itni thand me tmhare liye barish
me bheega aliyan shrarti lehje me bola!
hanw nazar arha he kitna acha he wo amaya mauh bana kar boli or plates uthane lagi...
kiya tumhein waqai abrar pasand nahi?
nahi me aus mein koi intrest nahi he wo ab plates kitchen mein rakh rahi thi..
tou phir kon pasand he? Aliyan k sawal par wo khamosh hogai
Ap baatein itni raat ko barish mein ais area mein kese phunch gae?
(ais bar amaya ne bhi maharat se baat palti)
Me kamre me leta bore horaha tha socha bahar tehal lon ghar se thora agey hi gaya tha k barish
shuro hogai or kute piche lag gae
aun se jan bachane k liye bhagne laga or pata hi nahi chala bhagte howe kab ais Area me phunch gaya kuton ne picha chora tou kuch larko ne pakar liya
paise mobile chen'ne lage mein de nahi raha tha auno ne mere sar me koi wazni cheez mari or me behosh hogaya jab ankh khuli tou yahan tha....                                                                                  
Amaya dil me sochne lagi khuda ne aise yahan bheja ais me zaror koi behtri hogi...
acha ap batein ap k ghar wale ap ko shadi ka nahi kehte?
han mere ghar me bhi yahi haal he shadi kar lo shadi kar lo....
tou phir kab kar rahe hen ap shadi ab wo kitchen ki safai karne lagi...
abhi tou kuch pata nahi bas ye semester hogaya he ab MBA khatam jab time mila tab kuch
sochon ga!
wese mama ne 2,4 tasveren di he k dekh lo jo pasand aajae bata dena!                        
acha phr ap ko koi pasand aai? amaya ankhen band kar k sink ki tarf mau kare khadri hogai
ta k aliyan aus ka chehra dekh na sake or
dil me dua karna lagi k aliyan ko koi pasand na aai ho auski dil ki dharkaane thaaam si gai....                                                                          
han mujhe pasand he aik larki kal aus se mulaqat hogi INSHALLAH wese mein pehle bhi ause
aik shadi mein mil chuka hon she is very nice....                                                                        
ye sunte hi amaya k peeron tale zameen hi khisk gai ause "jhatka" sa laga!
aus ne ankhen kholi tou aus ki ankhon me ansu the ause samjh hi nahi araha tha k apne ansu kese chupae lakh koshishon k bawajod bhi
apne ansu rok na saki, ause itna dukh pehle kabhi na howa tha...
kitchen me lage sink se mau dhone lagi taqriban 15mint tak wo wahin khadri ansu bahati gai or
mau dhoti gai...                                  
kiya howa pore saal ka MAu aj hi dho lo gi kiya aliyan aus ki janbb brhte howe bola..                                          
Nahi wo ankh me mirchi wale hath lag gae ap behten me aati hon wo bhagte howe kamre me chali gai...
wo ause jata dekhta raha...                                                                
amaya kuch der me bahr aai, blue jeans pe yellow kurta pehne aus k kapro se lag raha tha jese wo kahin jane k liye tayar hoi ho...
Aliyan samjh nahi paa raha tha achnk kiya howa he bat bech me chor kar ye tayar ho kar kahan chal di?
Me university ja rahi hon kuch important assignments submit karwane he...
acha ye tou batao tum kiya kehna chahti thi jo tmne 3saal se nahi kaha, bat tou pori bata kar jao wo ause rokte howe bola...
ap ko kuch chahiye ho tou le li jiye ga wo ye kehte howe wahan se chali gai..

              --------*****------******--------*****--------
Amaya aj tumhara 'Hero' kahin nazar nahi araha pata tou krwao kahan he?
Dear anaya pata karwane ki zarorat nahi mere ghar me he wo apni udaasi chupate howe boli....
wa what tmhare ghar kese kab kiyon anaya herani se sawal karne lagi!
amaya ne kal raat or parso raat ki tamam baat btai par apne dil toot'ne or apni udaasi ki wajah nahi batai....
ary,wah amu tere sitare ache chal rahe he;)
Abrar tujhe kitna chahta he yr itni barish or thand me khadra raha auff, or tum abrar k bare me
sochne k bijae aus akdru ko dil me liye behti ho,
tumne hmesha aus shaks ko ruswa kiya he jo tumhri qadr karte hen or khud aik aese shaks k liye
mar rahi ho jise tumhri prwah nhi,
jo shayad tumhein achi larki samjhta hi nahi tum aik hafta aus k gaon me rahi agar wo aqalmand
hota tou itne din me samjh jata k
tum buri larki nahi ho ya shayad wo apni ego nahi tootne dena chahta Mein kehti hu, abhi phone lagao uss kaminay abrar ko" or shadi k liye hanw keh do
ya aesa karo 'Khaat' likh do!
'Khaat' kyon likhun phone 'Mirchen' peesne k liye thori rakha he or mujhe koi intrest nahi Abrar wagera mein aus ne foran mauh bana kar jawab diya....                                                                                              
acha tou phr maro, meri balaa se khoob sewaaa karo apne akdruu ki ause utha kar ghar me le aai or aus ne tum pe yaqeen tou dor ki baat shukriya tak nahi kaha
agar tum ause ghar na lati tou wo wahin road pe para thand me mar jata or meri manti tou marne
deti mujhe ais waqt shaded ghusa aaraha he tum par
amaya meri mano tou abrar k bare me socho anaya ghuse me kehte howe wahn se chalne lagi....

Mera nahi he wo amaya dhemi si awaz me khoe howe andaz mein boli...
anaya chalte howe wahin ruk gai or piche murd kar amaya ki janib dekha kiyon ab kiya takleef he aese kiyon bol rahi ho or mau kyon latkaa howa he
wese tumhein aus ki itni fikar kyon he?                                                                                                      
kuch nhi “Muhabbat agar zid hoti to mein kab ki jeet gai hoti”
"Muhabbat karti hon ais liye fikar karti hon
Nafrat karogi tou zikar bhi nahi karon gi"....!

Amaya tum kab tak aus shaks k intezar mein raho gi ho kiya gaya he tumhein apne aas pas k dosre logon ko dekho
jo tumhein pasand karte he tum Abrar ko dekho jo tum se muhabbat karta he tumhein kiya hota ja raha he ab tumhari ego tumhari Akard kahan he?
Me apni akard chor kar, ab apne dil ki sun'ne lagi hon
Muhabbat ka matlab hasil karna nahi hota he or zaroori tou nahi jise hum chahe wo bhi hamein chahe...
ishq sacha wohi jis ko milti nahi manzilain...
i have to go Anaya take care wo khoe howe andaz me bolte howe wahan se chalne lagi...
Ruko amu tum Namaz pardhti ho?
hanw pardhti hon par tum ye kiyon poch rahi ho?
kiyon pardhti ho tum namaz?
har cheez apne waqt par achi lagti he
naiki kamane ka sahi waqt jawani he
hum naikiyan aus waqt karte he
jab hum buraiyan karne k qabil nahi rehte or namaz tou hum par farz he...

ab anaya khamosh thi wo kuch sochte howe boli dua karti ho Aliyan ko mangti ho dua mein?
pata nahi aus k chehre par udasi thi..
Amaya agar "ALLAH PAK se dua mango tou dua ki qabooliyat par yaqeen rakho
kiyon k ALLAH PAK gafil,la'parwah or mayus ki dua qabool nahi karta..
ab wo khamosh thi dil kar raha tha phoot phoot kar roe...
Anaya aik bar phir kuch sochte howe boli,
Amaya sabar se rehmat ka intezar karo
jo cheez tumhare liye he, wo tumhare liye hi he
or deer-e-hikmat par mabni he...

Anaya jab duwaon or koshishon se bhi baat na bane tou fesla ALLAH par chor dena chahiye
ALLAH apne bandon k bare mein behtar fesla karne wala he ab wo wahan se chali gai
ab aise kiya hogaya? ye tou bilkul hi badal gai he aliyan tera bedaaa'garak meri hansmuk dost ko
rula rula kar kamla kar diya he
dil tou kar raha he ause ja kar thapar lagaon!
anaya mau bana kar boli or wahan se chalne lagi wo auditorium ki tarf se guzar rahi thi jab aus ne kuch suna or wo wahin ruk gai
darwaze k aus paar koi do log khadre kuch baat kar rahe the!
akhir kiya suna tha anaya ne jo wo haka'baka reh gai aus k chehre ka raang urd gaya or wo foran
apne cell phone bag se nikal kar koi number dail karne lagi...
                    ------******--------******------******-------
Ghar me aliyan bore hone laga tou wo amaya k kamre ki chezen dekhne laga table par laptop k pas
hi amaya ki dairy rakhi thi wo dairy pardh kar hansneee laga
dairy k start mein hi amaya ki funny harkten, auski schemes,or apni zindagi k adventures or kuch mushkil palon k bare me likha tha!
wo dairy pardh hi raha tha achanak amaya aagai, aliyan k hath me dairy dekhte hi ause ghusa agaya mood tou aus ka pehle hi kharab tha
aus ka bas nahi chal raha tha k wo chekhein mar mar kar roe foran dairy khenchte howe wo talakh
or badtamzi bhare lehje me boli...
manners nahi he kisi ki personal chez ko aus ki ijazt k bina nahi dekha jata!
khud ki kisi chez ko dekho to foran Aag'bagola hojate ho ainda meri kisi chez ko bina poche hath
bhi mat lagana mehman ho mehman ban kar hi raho..
kiya hogaya aik dairy hi tou pardhi he tum itni badtmzi kyon kar rahi ho?
tmhare liye mamoli dairy hogi, pr mere lye ye meri sab kuch he or “Yeh akhri akhri badtameeziyan hain phir tum kahan aur mein kahan”–
wo udasi bhare lehje me boli
ause pata tha Aliyan auska nahi ho sakta wo tou kabhi aus ki zindagi me tha hi nahi wo tou bas aik khuwab tha aik haseen khuwab or me tou bhool hi gai k
khuwab sache nahi hote na ab kabhi hum milley ge or aus k ghuse ki wajah ye bhi thi k Aliyan dairy me wo sab na pardh leta jo ausne apni dil ki batein likhi he
wo ab nahi chahti thi k ause kuch pata chale...
Aliyan bina kuch kahe bahir ki janib chal diya!                                                                        
kahan ja rahe ho?

Now i feel better mera khayal he mujhe ab apne ghar chale jana chahiye...
suno, amaya ause rokte howe boli mujhe koi haq tou nahi ap ko rokne ka par agar ap jana chahte
hen tou jaein
wese bhi ye apartment kisi achi larki ka tou he nahi mere khayal se waqai ap ko jana chahiye...
Aliyan k chehre par aik raang aa kar chala gaya jese ause kisi ne thapar de mara ho wo bina kuch kahe darwaze ki simat chalne laga!
ap ja tou rahe hen par shayad hum dobara kabhi na milley final year bhi complete hogaya he par
agar kabhi 'Aitfaq' se kahin mil bhi gae
tou ye mat kehna k (ap ko kahin dekha he) apna khayal rakhna Amaya apne ansu chupate howe boli ALLAH HAFIZ!
aus ne koi jawab na diya or chote chote qadamon se bahar ki janib chalne laga
thora agey ja kar wo ruk gaya or murd kar amaya ki janib dekha chalte howe aus k pas aaya
mujhe itna bata do tum mujh se kiya kehna chahti thi?
wo kuch der khamosh rahi phir himat kar k bolne lagi!
Mein bas ye batana chahti thi k mene ap ko kabhi bhi tang nahi kiya...                                
wo jo kuch bhi howa tha 'first semester' k shuro mein wo sab galat fehmiyaan thi, or me ne yahi socha tha jab bhi moqa miley ga
ap ko ais bat se zaror 'agah' karongi koi mere bare me galat soche ye mujhe hr'giz bardsht nahi or me janti hon
ap mujhe achi larki nahi samjhte par humein kisi ko bina jane judge nahi karna chahiye aik bar kuch kehna ka moqa dena chahiye
hum dosron ki sunte nahi or apni suna kar chale jate he or phir dil me bad'gumani rakhte he
bas yahi kehna tha ap ko ab bhi meri baat pe yaqeen nahi tou jesi ap ki marzi par mujhe ap se koi
gila nahi waqti tor par bohat ghusa aya tha
par ab koi ghusa nahi he mein yahan pardhne k liye aai thi kisi ko tang karne nahi me ne ap ko
kabhi tang nahi kiya kabhi bhi nahi
ab aus ki awaz gale mein hi atak gai jese bas ab wo phoot phoot kar rona chahti ho
wo jitna khush thi ab aus se kai ziyada udaas thi jese tamam khushiyan kahen khoo gai ho...
ye baat bata kar aus k dil se booj utar gaya tha...

Aik baat to man'ni parde gi Amaya tum actress bohat achi ho tumhari baaton mein sachai ka
guman hota he
tumhein software engineer nahi aik actress hona chahiye tha
par afsoos tum ne galat peshe ka intekhab kiya or hamara mulk aik bohat achi actress se mehroom
reh gaya tum mere dil se ausi din utar gai thi jis din tum ne wo ghatiya harkat ki thi ye kehte howe
wo wahan se chalne laga..
wo wahin khadri rahi jawab mein kuch na boli wo rone lagi wo tou pehle hi bohat dukhi thi
wo ause kehna chahti thi("Aliyan tum kisi aur k zehan se sochte ho, kisi aur ki zubaan bolte ho")
par wo khamosh rahi wo ja raha tha wo ause roti hoi andheri ankhon se jata howa dekh rahi thi
Aik Larki amaya nazuq si larki jo baaton se hi toot jaya karti he!
Aliyan ka lehja itna talakh tha k wo ab roe bina reh na saki wo bachon ki tarah rone lagi
wo ause jata howa dekhne lagi...

Aliyan ne aik bar bhi piche murrd kar na dekha amaya ki ankhon se ansu behne lage wo ause apne
se dor jata howa dekh rahi thi
wo tab tak ause dekhti rahi jab tak wo aus ki nazron se gayab na howa....
wo ause rokna chahti thi wo ause kehna chahti thi (suno Aliyan mat jao mere ho jao mein tumhein batana chahti hon k me kitna toot kar chahti hon tumhein)
kash k mein kuch keh sakti kash mein tumhein bata sakti k mene apni akard chor di he mene
apne dil ki sun'na shuro kar di he ...
ab aik bar phir dil me sound bajne laga (Ek tujh ko hi bas dekh kar,Bhooli mujhko hi meri nazar,Tujhko shayad nahi hai khabar, Tujh ko jeete hain hum kis kadar Jude jo tere khawab se,
Toh toote hum neend se,Yeh kaisa tera ishq hai Saajna,Tu haathon mein toh hai mere,Hai kyun
nahi laqeeron mein,Yeh kaisa tera ishq hai Saajna)
Ause gae howe do ghante guzar gae the wo ab bhi chote bachon ki tarah ro rahi thi jitne apne ansu andar rakhe howe the sab baha diye
or ghuse mein kamre ki tor'phord karne lagi jab thora ghusaa kmm howa tou dairy likhne beht gai
       ------------------------------------------------------------------------------------------------------
         Dear Dairy, Amaya ki ajeeb chahat adhuri reh gai sab kuch khatam hogaya!
mein toot gai wo mujh se bohat dor chala gaya he aik pal k liye mujhe laga shayad aliyan bhi mujhe pasand karta he par
wo mujhe pasand nahi karta aus ne tou kabhi mere liye kuch socha hi nahi wo tou aj bhi meri tarf
se bad'guman he ause tou
meri baat par yaqeen hi nahi he ause me actress lagti hon meri baatein ause acting lagti hein koi
kese kisi k liye apne dil mein itni nafrat itni bad'gumani rakh sakta he akhir mera qasoor kiya he?
 aus ne kabhi mujhe achi larki samjha hi nahi wo ab ro rahi thi
Aliyan mujhe buri larki samjhta he Amaya amir aik buri larki!
"Roti hoi andheri ankhon ka agar koi Laad ka naam hota tou wo Amaya Amir hota"!


(kiya howa ye kab howa ye kyon howa ye,dil bhi na jane kyon roya ye dharkaane bhi bin poche thamm gai, sari hadon k parr he kuch tha nahi par laga pyar he)
kiyon mere sath aesa howa kyon me tum se milli kyon tum mujhe ache lagne lage,
mere liye muhabbat he hi nahi meri pehli chahat amaya ki ajeeb chahat adhuri reh gai mene
tumhen khooo diya aliyan me ne tmhen khooo diya, mein chah kar bhi khud ko rone se rok nahi
paa rahi hon aj mujhe rona he aj Amaya amir ko rona he aj amaya k sath asman bhi roe ga aj meri zindagi be'maine hogai...                                                                        
meri pyari dairy, humein kiyon wo log ache lagte he jineh hm ache nahi lagte,aliyan kash me
tumhen bata sakti k me tumhen kitna toot k chahti hon
amaya ankhon se ansu saf karte howe mazed agey likhne lagi, me ne thek socha tha khuda ne tumhein yahan bheja he zaror koi behtri hogi or wahi howa
tum yahan aae tabhi mujhe pata chala k tumhari pasand koi or he agar tum na ate mujhe tou kuch
pata hi na chalta or me khama'khuwa tumhari muhabbat k darmiyan aa jati
me tumhen kabhi bhool nahi paogi wo kuch waqt jo hum ne sath me guzara auneh soch k 'khush' hojao gi....
aik pal k liye wo ruk gai, or betey lamhe yad karne lagi wo sab kuch baag me jana, shadi me aliyan ka ause abrar se bachana,laraiyan,rude behaviour wo sab kuch auski ankhon k samne
aik film ki tarah chalne laga or aik bar phir ankhon se beshumar ansu behne lage aus k likhe howe lafzon par ansu girne se wo lafz dhundle pard gae...
meri pyari dairy, me janti hon jo hota he khuda acha hi karta he, auski raza me hi meri khushi he me ab dukhi nahi hongi janti hon ain sab k lye thora waqt lage ga
par INSHALLAH sumbhal jaongi ALLAH PAK kabhi apne bande k sath bura nahi karta wo humen 70maOn se zyada pyar karta he wo humein dukhi nahi kar sakta
wo hamari duwaein raad nahi karta der se hi sahi par duwaein qabool zaroor hoti he...
piyari dairy,thankyou so much tum ne mera bohat sath diya meri har aik bat suni aj mera dil toot gaya, me toot gai</3
(batao yad he tumko wo jab dil ko churaya tha)

Ab sham k 6:00 baj chuke he Bahar asman par kali ghata chah gai wo asman ko dekhte howe boli
"mujhe maloom tha tum mere ho nahi sakte,
magr dekho mujhe phir bhi mohabbat ho gai tum se"...!
 Toota dil tou sab kuch jal gaya mausm wo achnak khushiyon bhara badal gaya
khuwab the jtne sab ankhon se beh gae or karne ko yaad porane qissey reh gae...
                                                                                                                                                                                                                                               
(JANE WO KESE LOG THE JIN K PiYAR KO PiYaR MILA)

          ----******--------******------******---
                          To be continue....