Monday 21 December 2015

Episode 21 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Episode 21
                           Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain




Kamre mein khirdki k pas seene pe hath bandhe khadri Anaya kisi soch me gumm thi
oh amaya tum kahan ho?
tum kiyon hamesha achanak ham se dor ho jati ho
ALLAH PAK meri behan jahan kahin bhi ho ause apne hifz-o-aman mein rakhna
ALLAH PAK tu tou jo chahe kar sakta he hamari madad kar mere malik hamein amu tak phuncha de Aamen!
kuch hi der mein aus ka cell phone bajne laga
hello Ami! me yahin hun zain k ghar aunty bohat pareshan he amu kidnap ho gai he or har saboot fahad bhai k khilaf hein
wo jail mein hein agey se kuch sawal hone par aus ne jawab diya!
ALLAH khair kare ye kiya keh rahi ho? agey se ami ne dosra sawal kiya
jee ami me sach keh rahi hun or shayad mujhe aane me thori der ho jae ap please baba ko bata di jiye ga ALLAH HAFIZ!
kamre me kisi k ane ki ahat sunai di Anaya bibi ap ko niche medam jee bula rahi hein
tum chalo me aati hun wese tumhara nam kiya he? Anaya ne ause dekhte hoe sawal kiya
mera naam Mehak Rani he par sab piyar se mujhe Rani kehte he wo muskurai
wah mulazmi Rani! Anaya aik eyebrow opar chardhte hoe dil mein boli or aus k piche piche niche ki janib chal di!
Niche phunchi tou Mustafa Alam apni zoja k hamrah aae hoe the
Mustafa Alam ab budhe ho chuke the par aun ki awaz mein ab bhi waohi roab or dabdaba tha
Asalam wa alaikum!
Wa alaikum asalam Anaya beta kiya hal he?
me thek hun ap log kese he?
hamare bache pareshani mein he ham bhala kese thek ho sakte he Mustafa Alam ne udasi bhare lehje me jawab diya
Badar Aliyan kahan he?
pata nahi bhai jan Aj meri aus se mulaqat nahi hoi
Anaya tumhein kuch pata he? anaya jo k aun k pas hi khadri thi wo ause dekhte hoe bole
Nahi uncle bhai jan se meri kai hafton se koi mulaqat nahi hoi he
Badar phone lagao Aliyan ko or ause foran yahan bulao
Badar Alam apne cell phone pe number dial karne lage kafi der tak auno ne phone kan pe lagae rakha par agey se koi call pick nahi kar raha tha
bhai jan Aliyan phone nahi utha raha ab sab ki pareshani mein mazeed aizafa howa!
ALLAH KHAIR kare mera bacha kahan ho ga kis haal me ho ga Alam sahab hamein sehda Aliyan k ghar jana chahiye tha Mrs.Mustafa udasi bhare andaz mein boli
Badar alam zain ko call karne lage kuch der phone bajne k bad agey se call pick hoi
Zain kahan ho Aliyan tumhare sath he kiya?
Nahi baba bhai jan mere sath nahi me office me tha par ab bhai jan ki tarf ja raha hun!
acha foran jao or phir hamein khabar karna kab se ause call kar raha hun wo call recieve nahi kar raha
jee thek he! zain ne phone band kar diya
sab bohat pareshan the kisi ne dopher ka khana bhi nahi khaya tha
sab ALLAH se duwaein karne mein masroof the!
                            -----*****----*****-----******------


Dr.Anas car drive kar rahe the
Doctor please tez chalaein Aliyan k chehre pe amaya k liye fikarmandi thi
Aliyan me ziyada speed me drive nahi kar sakta you just relax hosla rakho jahan itna sabar kiya he wahan kuch pal or sahi
tumhein pata he zindagi k safar mein ane wala andhera gar ka nahi,
aik surang ka hota he
jis k agley siree pe hamesha roshni hoti he
Magar ye bat hosle k sath chalte rehne wale hi jan sakte he
mayoos ho kar beht jane wale nahi
or MASHALLAH tumhein ALLAH ne bohat Hosla or sabar diya he
Mene kabhi expect nahi kiya tha k tum itna badal jao ge
mujhe bohat khushi he k tum dono ka rishta aik acha or mazboot rishta ban gaya he
agar tum dono ka past dekha jae tou tum dono me hi kafi change aaya he!
Aliyan ne aik nazar auneh dekha or phir windscreen ki tarf dekhne laga
waqt k sath sath sab kuch badal jata he adatein bhi or log bhi aus k chehre pe udasi thi
Dr.Anas ne khamoshi se aik nazar aus ki janib dekha wo samjh gae the wo Abrar ki baat kar raha tha
wo kehte he na shohar ki kamiyabi k piche aus ki bivi ka hath hota he tou samjh lein
meri changing k piche amaya ka hath he
Mujhe badla ALLAH ne par zariya Amaya thi
Amaya thek kehti he ALLAH PAK jo karte he hamare ache k liye karte he bas hamein hi pata nahi hota k hamare sath kuch hoa he tou
aus mein hamare liye kiya bhalai he
par agar insan aitmenan se beht kar soche tou ause zaroor pata chal jae ga k aus k liye kiya bhalai thi
tou phir tum ne socha? Dr.Anas ne aus se sawal kiya
jee jab ap ne mujhe sari sachai batai or Amaya mujhe chor kar chali gai thi tab me toot gaya tha
mere dil ko sakoon nahi tha
ajeeb si becheni thi mujh par aik booj sa tha
Amaya ko galat larki samjhne ka booj,aus se bad'guman hone ka booj, aus k sath rude behave karne ka booj
or ap ko pata he me namaz nahi pardhta tha or agar kabhi village mein pardhta bhi tha tou bas baba jan k dar se
ALLAH k khof se tou mene kabhi namaz pardhi hi nahi thi
me tou kuch mangta bhi nahi tha k mere pas sab kuch he mujhe kisi cheez ki zaroorat nahi
me samjhta tha namaz tou wo log pardhte he jine kuch chahiye ho bas kahin pe pardha dil ka sakoon chahte ho tou namaz or Quran pak pardho
or bas phir dil se namaz pardhna shuru kar di or waqai bohat sakoon mila
Dr.Anas aus ki bat pe muskurae matlab tum phir Ahista Ahista raah-e-Rast pe aa hi gae
jee Amaya k jane se mere liye ye bhalai thi k me ALLAH ki tarf hogaya Mera ALLAH mujhe naik raah pe lana chahta tha or Amaya aik tarah ka zariya thi
or Beshak ALLAH jise chahe Rah-e-Rast pe laae!
Ap ko pata he Namazein pardhne se or naik aamal karne se mujhe ALLAH ne kitni izzat bakhshi he
har koi meri izzat karta he mera business successfull he me bohat pur'skoon zindagi guzar raha hun

kaho k Aey Khuda (Aey badshahi)k malik!
tu jise chahe badshahi bakhshe or jis se chahe badshahi cheen le
or jis ko chahe izzat de jise chahe zaleel kare har tarah ki bhalai tere hi hath me he
beshak tu har cheez par qadir he
(Surah AL-Imran 26)

Dr.Anas mera ye man'na he k hamein kabhi mushkilat se ghabrana nahi chahiye
Mushkilat tou ALAH ka imtehan hota he jis ka maqsad Insan ko sahi maino me
insan banne ka sabaq dena hota he!
Aliyan ki baat pe dr.anas muskura diye
                             ------*****----*****-----*****------

 
sooraj garoob hone wala tha jab wo Abrar k Apartment mein phunche...
Darwaza bajaya Abrar ne darwaza khola dr.anas ap aagae?
han me aagaya or tumhare liye aik tohfa bhi laya hun!
Achanak Aliyan aus k samne aa khadra hoa ause dekh kar abrar ki ankhein phati ki phati reh gai
aus ka rang urrd gaya...
Aliyan ne ause andar ki tarf dhaka diya or aus k apartment mein ghus gaya
ab ause gareban se pakra Amaya kahan he?
Abrar k hosh urd gae ause samjh hi nahi aa raha tha k wo kiya jawab de
Aliyan ne ause aik zor'dar thapar de mara mene pocha amaya kahan he?
wo yahan Nahi he aus ne foran jawab diya
aus k jhoot pe Aliyan ko mazeed ghusa aaya wo aus ki janib bardha or ause marne shuru kar diya
ause itna mara k abrar k naak se khoon behne laga Aliyan ause ghaset'te hoe dewar k pas le gaya or aus ka sar dewar mein de mara
teri himat bhi kese hoi Amaya ko kidnap karne ki? meri amaya par tu ne hath uthaya aj mein tere ye hath tor dunga, aus ki ankhein ghuse se laal ho gai
Dr.Anas ap foran Amaya ko hospital le kar jaein
Dr.anas kamre ki tarf bardhe abrar ne aliyan ko apne se dor dakha diya or dr.anas ko rokne ki koshish karne laga
nahi doctor tum andar nahi ja sakte tum dokhebaz ho mere sath tum ne dokha kiya aus ne doctor ko dor dakha diya
Aliyan ne bhag kar dr.anas ko uthaya or aik bar phir abrar ko geraban se pakar kar marna shuru kiya Aliyan ki ankhon me behad ghusa tha
dokha tou tu ne kiya he mere sath, Abrar mene socha bhi nahi tha k tu itna gir jae ga tu ne aik nanhi masom jan lena chahi,
teri himat bhi kese hoi meri bivi or bache ko nuqsan phunchane ki mujhe laga tha tu sudhar gaya par nahi kute ki dumm hamesha tehdri hi rehti he
wo ab bhi ause buri tarah mar raha tha jese wo abrar se gaon wale badle bhi aj hi le raha ho...
Aliyan meri bat--- Bas aik dum chup aliyan ne ankhein nikal kar ause dekha mujhe teri koi baat nahi sun'ni tujh par bharosa kar k maf kiya tha
par tu mafi k layak nahi wo ab bhi kuto ki tarah ause mar raha tha
choro aliyan mar jae ga abrar dr.anas ause churwane lage
nahi doctor chor dein mujhe me ais ko zinda nahi choron ga
Aliyan pagal mat bano ham aise police k hawale kar dete he tum qanoon hath me mat lo
doctor please ap amaya ko le kar hospital jaein
Doctor anas ause hospital le jane k liye nikal hi rahe the k ausi doran police bhi aa gai or abrar ko gariftar kar k le gai...
Amaya ko foran hospital le gae, aliyan bohat pareshan tha k abb kiya hoga?
ALLAH se duwaein karne laga kiya aj phir panch saal pehle wala waqt khud ko dohra raha tha?
aus k chehre par dar tha amaya or nanhi jan ko kho dene ka dar...

Police ko kis ne bulaya tha? wo zain ko dekhte hoe bola
Mene bulaya tha Mein office se nikal raha tha ap ki tarf aane k liye tab mujhe baba jan ki call aai wo ap ka poch rahe the
auno ne bataya k Aliyan call recieve nahi kar raha foran Aliyan ki tarf jao or khabar do!
acha mujhe call ki? Aliyan ne apni jaib se cell phone nikal k dekha
oh chachu ki panch calls wo phone mein nazrein makros kiye bola mera phone silent pe tha
Bhai jan mein jab ghar phuncha tou Gul khan ne mujhe sari baat batai mene foran police ko inform kar diya
or hanw subha Bare Baba ka phone aaya tha
Baba jan Kiya keh rahe the? wo ab chair pe beht gaya
wo poch rahe the Aliyan aj kal kahan masroof he Office kiyon nahi jata?
mene kaha bare baba ap ko kese pata k bhai jan office nahi jate?
wo kehte me rehta gaon mein hun par mujhe sab khabar hoti he tum log karachi mein kiya karte phirte ho me aik dum ghabra gaya k kahin bhabi k bare me pata tou nahi chal gaya!
Acha phir Amaya ka pocha?
Mene kaha bhai jan ki tabiyat kharab he
phir kiya kaha ab aliyan k chehre par double pareshani thi
auno ne kaha Amaya kahan he meri baat karwao
bhabi shopping pe gai hein
zain tumhein jab jhoot bolna nahi aata tou bolte kiyon ho?
Aliyan ko kehna me aj karachi aa raha hun tum logo ko kiya laga mujh se chupao ge tou mujhe pata nahi chale ga
police ne Fahad ko giraftar kiyon kiya he? mujhe sab pata he
par bare baba ap ko kese pata? Zain chonka
Mujhe badar or gul khan ne sab bataya he
ab zain bhi aus k pas wali khali chair pe beht gaya!  

Auff ye Gul khan! mene mana bhi kiya tha k baba jan ko kuch na batana par chamcha he baba jan ka...
Aliyan mou bana kar bola!
bare baba keh rahe the k Baba jan ki ais silsile me aun se baat hoi thi
or abhi kuch der pehle mene baba jan ko khabar di he Abrar ki giraftari ki
tab baba ne bataya k bare baba or bari mama subha se karachi aae hoe he wese tou sab pareshan he hi par Aliyan k call recieve na karne pe or ziyada pareshan he
kiya baba aagae?
jee aagae or kuch hi der mein sab Hospital phunch jae ge
zain ka phone bajne laga wo uth kar side me chala gaya

Nurse aati dikhai di tou Aliyan foran aus ki janib lapka
Amaya or baby--
jee dono hi ab khatre se bahar he jab hosh aae ga ap ko bata dege..
Aliyan k chehre par khushi chaa gai wo ALLAH PAK ka shukar ada karne laga  
             ----****----****-----****-----


Bhai jan police station se phone aaya tha ap ko bulaya he zain ne aliyan se kaha!
abhi ham yahan he police station kese?
Aliyan tum jao me hun yahan tum foran police station se ho k aa jao Dr.Anas ne ause jane ko kaha
thankyou Dr.Anas
kuch hi der mein wo dono police station phunche
kahiye kiyon bulaya inspector sir?

Mr.Aliyan kafi mar lagane k bad ais abrar nami larke ne apne jurm ka ehteraf kiya he or bhi kai batein samne aai he
aaein khud ais k mou se sun lein inspector auneh abrar k pas le gaya...
fahad bhi wahin tha!
bol kiya kiya jurm kiye he? police inspector ne zor dar thapar mara
Nahi bataon ga wo ankhein dikhane laga
hamein Akrd dikha raha he ause aik or thapar mara
Aliyan ko ghusa aaya tou aus ne bhi aik zordar thapar de mara jo pocha he wo batao!

police se mar tou khai hi thi par shayad aus ka asar kam ho gaya tha ab taze taze do thapar khane k bad wo kisi tootey ki tarah tar tar bolne laga!
Fahad beqasoor he jo bhi kiya me ne kiya tha amaya k juice me zehareli dawa mene milai thi ta k hamare bech koi tesra na aae or
tumhein larki ban kar messages bhi mene kiye the amaya k dil me shak paida kiya ta k amaya or tumhare bech larai hojae...
Aliyan ne ause aik bar phir thapar de mara wo messages tum ne kiye ais ka matlab amaya sachi thi par mujhe phone me koi message kyon nahi nazar aae?
tumhara phone aksar kamre me hota tha me moqa dekh kar delete kar deta tha or me message ausi waqt karta tha jab tum amaya k qareeb nahi hote the
or tumhara phone aus k aas pas hota tha or mene bas tabhi messages kiye jab me zain ki mangni me aaya hoa tha or kuch din wahin raha tha
tum logo ki baatein bhi me hi suna karta tha
mene aesa mahool kar diya k sab ilzam fahad pe lag gae kyon k
ais ki wajah se ghar walo ne mera jeena mushkil kar diya tha
fahad jese bano fahad amaya ki khushi k khatir hamesha se chup tha or chup rahe ga
Sab ko kese pata chala k fahad amaya ko pasand karta tha? Aliyan chilaya
jis din tum or amaya hamare ghar dawat pe aae the aus raat tum dono lawn me behte the tab mene tum dono ko ais bare me baat karte suna tha
ab wo inspector ki tarf dekhte hoe bolne laga ain dono k bech understanding dekh kar
mujhe jealousy hone lagi thi mera khoon kholne laga tha
jab bhi me aineh sath me khush dekhta tha mera khoon kholta tha
Aliyan or fahad ka piyar dekh k bhi mujhe jalan hoti thi bas mene teh kar liya tha k ain dono ko aik dosre ka dushman bana dunga
or phir ye bat mene hi sab ko batai par mujhe kiya pata tha yehi baat mere sar ka dard ban jae gi har waqt fahad fahad ghar me hota tha
nafrat hogai thi mujhe ais fahad se wo fahad ko dekhte hoe bola
mene fahad se apna badla lene k liye sab ilzam aus pe laga diye me har chez aus waqt karta
jab fahad amaya k aas pas hota tha
ta k sab log khas'tor pe Aliyan fahad par shak kare....

Mene kaha tha na k mein beqasoor hun par kisi ne meri na suni fahad chilaya...
fahad kuch sochte hoe bola aik second ais ka matlab zain k message bhi aisi ne pardhe the
aus raat ye mere ghar aya tha
hanw me kese bhool gaya k ye mere ghar aaya tha or me naha raha tha par jab
me naha k bahar nikla tou abrar wahan nahi tha wahan se ja chuka tha!
or mujhe laga koi kam hoga tabhi ye ruka nahi ya shayad barish k mosam ki wajah se
ye foran chala gaya hoga!
Ab apne gunah qabool karne k ilawa abrar k pas or koi rasta nahi tha wo apna har juram qabool kar raha tha
han zain ne jab fahad ko message kiya tab me wahin tha fahad nahane gaya howa tha cell phone baja tou mene message dekha
me khush ho gaya k amaya wapas aa gai
Mein dubai gaya howa tha or aus roz me dubai se lota tha ais liye mujhe aus roz pata chala tha k amaya wapas aa gai he
mene message dekh kar reply kar diya or me jane hi wala tha k ausi doran phir message tone bajji mene foran message dekha
jis me agle roz milne ka likha hoa tha mene jaldi se reply kar k messages delete kar diye or phir wahan se chala gaya...
Amaya se milne bhi me hi gaya tha wo fahad ka intezar karti rahi me chupp kar ause dekh raha tha me sahi moqe ki talash me tha
fahad k na ane par wo resturent se bahar nikli or road pe chalne lagi
or phir aik street k cornor pe ja kar khadri ho gai or apne cell phone pe number dial karne lagi aus k aas pas koi nahi tha bas ausi doran moqa dekh kar mene piche se aus k sar pe danda de mara
or wo behosh hogai phir me ause apne apartment me le aaya!
fahad ki wajah se mujhe ghar se nikal diya gaya tha...
me itna bara ghar chor kar aik apartment mein reh raha tha
Tumhein tumhari harkaton ki wajah se nikala gaya jahil admi fahad ghuse se chilaya!
Aliyan ko reh reh kar aus pe ghusa aa raha tha
Amaya ko bohat kaha mujh se shadi kar le par manti hi nahi thi na kuch khati thi mujhe ghusa aaya mene ause mara,
wo har waqt aliyan aliyan karti rehti thi wo kehti thi mujhe ALLAH ki tarf se madad ka intezar he mera ALLAH koi maujza zaroor dikhae ga wo meri madad zaroor kare ga
jis ne mujhe aliyan diya wo aik bar phir mujhe aliyan de ga!
mene phir mara ause par auski akrd khatam nahi hoi me ause hasil kar k aliyan se badla lena chahta tha
ye janta tha me amaya ko chahta hun phir bhi ais ne amaya se shadi ki mujh se cheen liya amaya ko me ain sab ko barbad karna chahta tha
Aliyan ko pareshan dekh kar mujhe bohat maza araha tha, par wo doctor aus ne dokha de diya me nahi choro ga kisi ko bhi nahi choro ga
hospital mein bhi mene hi doctor ko paise diye the k wo amaya k marne ki jhooti khabar sab ko de or me moqa dekh kar Amaya ko wahan se le jao hamesha k liye sab se dor par me nakam hogaya
mujhe pata chala kisi doctor ne amaya ko check kiya he or aus ne sab ko bata diya k amaya zinda he par mene aus doctor ko dekha nahi tha
warna ause bhi khareed leta me mar donga sab ko mar dun ga
wo kabhi hansne lag jae tou kabhi rone shayad wo pagal ho chuka tha!
aus ki jealousy hassd me tabdel hogai thi
Abrar tum tou bad'dua k qabil bhi nahi ho tum tou pehle hi hasd ki aag me jal rahe ho Aliyan ause dekhte hoe bola
Abrar ki ankhon me koi sharmndagi nahi thi
wo hassd mein itna andha ho gaya tha k sahi galat sab bhool chuka tha...

Aliyan ko hospital se call aai tou wo foran hospital phuncha....
aus ne hospital k kamre ka darwaza khola samne hi amaya ko lete hoe paya
sh'shukar he ALLAH PAK ka A'amaya t'tum thek hogai m'me tou dar hi gaya tha aus ki ankhon se ansu behne lage or lafz toot toot kar zuban pe aa rahe the,
t'tum ne itni mar bardsht ki hamare bache ki khatir tumhein kuch ho jata tou socha he mera kiya hota tumhare bina kese jeeta mein wo ab bhi ro raha tha?
Amaya ne ause rote howe apni ankhon se pehli bar dekha tha warna tou bas anaya se hi suna tha k
jab wo hospital me admit thi tab or aus k lahore jane k baad aliyan bohat roya tha
par aj rote howe dekh bhi liya or ause apni ankhon par yaqeen hi nahi araha tha k Aliyan bhi ro sakta he!
Dekha Mujhe lecture nahi shocked bhi dena aate he amaya muskurate hoe boli...
aik maro ga thapar 'ziddi larki' wo ab apne ansu saf karte hoe halka sa muskuraya..
Ap ro rahe hein mujhe yaqeen nahi aa raha ab wo aus ki tang khenchne lagi!
Ausi waqt sab ghar wale kamre mein dakhil hoe Amaya kesi ho beta?
jee behtar hun ap sab kese he?
ham thek tou nahi the par ab apne bachon ko sahi salamat dekh kar ham thek he Mustafa Alam muskurate hoe bole or ALLAH ka shukar ada karne lage
Nurse kamre me dakhil hoi Mr.Aliyan ye lein ap ka beta!
Sab aik dum choonke Beta sab k chehro pe khushi chaa gai
Aliyan ne lapak kar apne bete ko goood me liya M'mera beta Baba jan mera beta
ye dekhein Mama mera beta wo aik aik k samne apne bete ko kar raha tha
aus ki khushi ka koi thikana hi na tha
sab bohat khush the aliyan ko tou jese sari khushiyan mil gai ho
Ab anaya rote hoe kamre me dakhil hoi Amu kesi ho?
kahan thi shukar he tum thek ho Aus k chehre pe pareshani bhare tasuraat the
Amaya ause dekh kar muskura di me thek hun jab tak mera ALLAH mere sath he mujhe bhala kiya ho sakta he
Anaya ye dekho mera beta Aliyan ne ab khushi se anaya k agey kiya
Anaya bhi aik dum choonki beta Bohat bohat mubarak ho
wao baby is so cute anaya ause piyar karne lagi..
han apne baba pe gaya he cute kese nahi hoga aliyan foran muskura k bola...
kuch der me Dr.Anas aae Amaya ab kesi tabiyat he?
Me thek hun par mein yahan kese aai ap logo ko kese pata chala k mujhe abrar ne---
Dr.anas or Aliyan ne tamam bat batai k kese abrar ne apne jurm ka ehtraf kiya...
Dr.sahab amaya ko ghar kab le ja sakte he? anaya ne sawal kiya
Amaya jee me ap ko zabardasti ghar jane ki ijazat de raha hun kyon k ap k husband ne mere naak me dam kar dena he dr.anas muskurae sab hansne lage....
                                     -------****--------****-------*****--------                                

Raat k 9:00 baj rahe the sab dinner k bad tv lounge me behte chae pee rahe the...
fahad bhai kahan he? Amaya ne kuch sochte hoe pocha
bhai jan ghar hen mene bulaya tha bas ate hi honge zain chae ka cup table par rakhte howe bola,
lo aa gae fahad bhai Anaya muskurai...
Asalam wa alaikum!
Wa alaikum asalam sab ne aik zuban jawab diya
Badar Alam uth kar apne bete k gale lage Mrs.Badar ne bhi apne bete ko khoob piyar kiya
fahad i'm really sorry mene tumhare sath....fahad ne Aliyan ki baat kat di
Aliyan koi baat nahi tumhara qasoor nahi he abrar ne halat hi aese kar diye the k tumhein tou
 mujh pe definatly shak hona tha,
fahad kuch sochte sochte bolne laga me kese bhool gaya k zain or anaya ki engejment k doran
abrar yahin pe tha or jab me kitchen me gaya
tab mene wahan se abrar ko nikalte dekha tha
or' juice ka glass wahin slap pe rakha hoa tha mujhe laga zulekha ne rakha he amaya ko dene k liye tou me de ata hun,
me juice le kar tumhare kamre me aagaya
or jab tum or amaya engejment k roz kamre mein khadre kuch baat kar rahe the aus doran bhi poll k piche mene abrar ko khadre dekha tha par ziyada gor nahi kiya
mujhe kiya pata tha k aus k dimag me kiya chal raha he agar kuch bhi andaza hota tou
mera zehan ye sab baatein zaroor sochta par ju'k abrar ne mafi mangi thi aliyan se
tou ham sab ko tou yehi laga tha k wo sudhar gaya he
kisey pata tha k wo ye sab kare ga,
khair choro socho bura waqt tha taal gaya or jo howa bhool jao Abrar ne jo kiya aus ki saza ause mille gi wo pori tarah pagal hogaya he
court ne ause pagal'khane bheej diya he
Aliyan foran utha or fahad k gale lag gaya or sab gile shikwe dor hogae...
fahad bhai mujhe maf kar dein mene bhi ap ko galat samjha zain gale lagte hoe bola
ary nahi pagle koi baat nahi sab bhool jao!
wo teeno aik dosre k gale lag gae
auneh aik sath dekh kar Mrs.Badar ki ankhon se ansu behne lage
Dekha me kehti thi na mera beta beqasoor he wo aesa nahi kar sakta par Badar ap ko yaqeen na tha
bhabi halat hi aese ho gae the k sab saboot fahad k khilaf the Mrs.Mustafa foran boli
chalo ab tou sab gile'shikwe khatam ho gae he jo hoa sab bhool jao Mustafa Alam sab ko dekhte hoe bole
Mujhe kisi se koi shikiyat nahi me khush hun k Amaya thek he or Me begunah Sabit ho gaya
Amaya ALLAH ne maujza dikha diya Dr.Anas ko tumhari madad k liye bhej kar fahad muskuraya
Ap ko kese pata?
Abrar ne bataya tha k Amaya ko apne rab ki janib se madad ka intezar tha wo kehti thi mere ALLAH maujza zaroor dikhae ga Aliyan mere liye or me aliyan k liye hun
waqai tum ne sahi kaha tum dono aik dosre k liye hi ho!
fahad ne muskurate hoe aun dono ki jaib dekha
mujhe Aliyan se shikayat he Mustafa Alam ki awaz kano me pardhi
mujhe se par kiyon baba jan?
barkhudar tum itne bare ho gae ho k apne baba se ab baatein chupane lage ho
ye hamesha yaad rakhna bache chahe jitne bhi bare ho jae par apne maa bap k liye
wo hamesha bache hi rehte he
wo foran apne baba k pas ja kar behta or aun ka hath apne hathon me liya Baba jan mujhe maf kar dein me bas ap ko pareshan nahi karna chahta tha!
tum hamein pareshan nahi karna chahte the or khud hafton pareshan hote rahe beta ham sab aik family he ham apne dukh aik dosre se share nahi kare ge tou or kis se kare ge?
ab auno ne aliyan k sar pe hath rakha
jee baba jan ap sahi keh rahe he ainda aesa nahi hoga!
ab Mustafa Alam ne apne pote ko apni goood me liya or muskura kar ause piyar karne lage
Amaya hamara pota bilkul Aliyan jesa he par aise aliyan ki tarah akdru mat ban'ne dena Mustafa Alam muskurae
Baba jan kiya ap bhi ab mein itna bhi akdru nahi aus k chehre pe shararti muskurahat thi
Fahad bhi nanhe bache ko piyar karne laga
kuch hi der mein Amaya ko apne Baba saein aate dikhai diye wo bhag kar aun ki janib lapki or gale lag kar khoob roi wo kafi arse baad apne Baba se milli thi...
kiya howa bache aese kiyon ro rahi ho sab thek tou he na?
jee Baba saein sab thek he itne time baad ap se milli hun tou bas ansu aagae...
sab bohat khushi se Major Amir se mile
apne nawase ko dekh kar wo bhi bohat khush the or kai tohfe lae the!
Hamare nawase ka naam kiya rakha he? Major Amir ne sawal kiya
ye tou Aliyan hi batae ga Mustafa Alam ause dekhte hoe bole
baba jan kiya ap naam nahi rakhna chahe ge? wo narmi se bola
Nahi beta hamare pakistan mein amomann khandano mein aisi baat pe behas hoti he K baby ka naam kon rakhe ga?
dada dadi kehte he ham rakhe ge or nana nani kehte he ham rakhe ge tou mera tou yahi khayal he tumhein khud apne bete ka naam rakhna chahiye kiyon Major sahab mene sahi kaha na?
jee jee bilkul ap ne durast farmaya!
agar ap log yahi chahte he tou jesi ap ki marzi baro ki baat man'na mera farz he
ab aus ne aik nazar nanhe bache ko dekha ais ka naam "Shams Aliyan" he
wah bohat acha naam he nanhe shams k liye nanha sa naam sab kehka laga kar hanse
Mustafa sahab aik baat tou man'ni pare gi ap ne apne bete ko bohat achi tarbiyat di he
Major Amir ko Aliyan pe piyar aa raha tha
shukriya ap ne bhi apni beti ki khoob achi tarbiyat ki he ab wo muskurae
Aliyan aik bar phir Allah ka shukar ada karne laga(ALLAH PAK tera lakh lakh shukar he tu ne
meri izzat rakh li)  
Aj ghar mein khoob chehal'pehal thi pore ghar mein kehko ki sadaein sunai de rahi thi
sab bare apas mein baatein karne mein masroof the!
or anaya amaya k pas aus k kamre mein thi
Anaya chotu baby ko tang karne mein masroof thi aus ki itni galein khenchi thi k ab wo anaya se darne laga tha
ye kiya kar rahi ho Anaya kha jao gi kiya mere bete ko!
tumhara beta? Anaya aik eye-brow opar chardhae ause dekhne lagi
hanw mera beta
tumhara beta bad mein pehle mera damad he samjhi anaya bare roub se boli
kiya kaha tum ne abhi? Aliyan kamre me dakhil hote hoe bola
Anaya k chehre ka rang urd gaya k'kuch nahi mene kaha k shams kitna piyara he bilkul aliyan bhai jesa khubsoorat aus ne foran bat badli
Aliyan apni hansi dabae Amaya ko dekhne laga auf kin pagal larkiyon k bech phas gaya mein amu tumhari dost jhoot acha bolti he
ye kehte hoe wo wahan se chala gaya!
Aliyan ko dekh kar tumhara bulb kiyon fiuse ho gaya madm? amaya hanste hoe boli
toba he kitne chalak he Aliyan bhai foran jhoot pakar liya wo mou bana kar boli
Nanhe shams k ghar ane se Amaya or Aliyan ki khushi ka tou koi thikana hi nahi tha...

                    ------*****------******------*****-----

Mohtarma aa gai ser'sapate kar k Anaya k ghar me dakhil hote hi pehla sawal Rashmin phuppo ne kiya
phuppo me Amaya k ghar gai thi ser'sapate karne nahi aus ka beta hoa he
tou tum kiya aus ki khidmatein karne ruk gai thi ghar aane ka nahi pata tha subha se nikli ho or ab raat k 11:00 baje ghar louti ho
tumhari maa ko tou koi fikar hi nahi he k beti kahan jati he kab aati he?
phuppo me kahin ati jati nahi Ami ko pata he me agar kahin jati hun tou bas amaya k ghar or meri ami ko meri fikar bhi he or mujh par yaqeen bhi aus ne do'tok jawab diya
Anaya tum aa gai amaya kesi he or fahad ka kiya bana?
ami k sawal pe anaya ne ankhein band ki uff ho ab phir phuppo shuru ho jae gin
kiyon fahad ko kiya howa? phuppo ne foran sawal barsaya
Ami amaya thek he or fahad bhai beqasoor the sab kiya dhara aus abrar ka tha
shukar he ALLAH ka fahad begunah sabit ho gaya or Amaya thek he?
Ami amaya ka beta howa he wo khushi se batane lagi
MASHALLAH mujhe phone kar k amaya ka bata deti me bhi aa jati...
phuppo kabhi anaya ko dekhein tou kabhi aus ki ami ko ye kiya chal raha he koi mujhe bhi kuch batae ga ab ye abrar kon he?
tumhari dost baaz nahi ati kuch na kuch karti rehti he phupo mou bana kar boli
phuppo ap phir shuru hogai jab ap ko kuch pata nahi hota tou ap bolti kiyon hein
Amaya ne kuch nahi kiya he
ab aus ne phuppo k agey ghuse se hath jore mene ap k agey hath jore amaya ko bura bhala
bolna band karein akhir aus ne ap ka kiya bigadra he
wo ghuse se wahan se chali gai!
Dekha dekha kese zuban chalti he ais larki ki aus amaya ko kuch keh do bas foran mirchi lag jati he
Appa ap kiyon bolti hein aesa amaya ko ap aus ko janti hi kitna he?
ary bas behan rehne do ab tum aus ki wakalat mat karne lag jana jao mujhe aik glass pani pilao!
 
                                 ----****----****----****-----


Aliyan ye panch saal kese guzar gae pata hi nahi chala apko pata he aj Anaya pakistan wapas aa gai he
mene tou bohat bola tha apni shadi se aik mahina pehle hi aajana but dekho aj apni mehndi k roz aai he,
kiya zarort thi England jane ki aus ne fahad bhai ki shadi bhi miss kar di...
suhneri peeshani par mustakil pare bal or kanch si khoobsurat ankhon me chae hoi fikr...

chori'dar pajame par bareek golden kaam wali blue froak mein malboos rasi k andaz me dupata maflar ki tarha gale me lapete howe tang pe tang rakhe dresing table k agey behti
Amaya baal banate howe boli...
shukar karo khud ki shadi pe to aarahi he tumhari anaya!Aliyan book k safhe badalte howa bola hamesha ki tarha aliyan k mathey pe girtey baal bohat ache lag rahe the....
ab wo uth kar bed pe ja kar beht gai or apne pajame k chunn set karne lagi
cute sa Amaya jesi ankhein aliyan jesi uthi hoi naak aik (5)panch'saala bacha mamma mamma ki saadaein lagata bhagte howe kamre me dakhil howa...

Aram se shams bhag kyon rahe ho kiya howa Ap chila kyon rahe ho? Amaya ne aus k nanhe mulayam hath apne hath me lete howe sawal kiya...
Mamma Niche sab guest aa gae he or shams abhi tak tayar nahi howa wo mou banate hoe bola
Shams har baat mein apna naam zaroor leta tha
Beta ap ready tou hein Amaya ne muskurate hoe kaha
Nahi'Mamma' shams ko Baba jese kapre pehn'ne he...
Aaww mera bacha jab ap bare hojao ge tab baba jese kapre pehn'na ok
wo apne kapron ko hath lagate hoe bolne laga nahi shams ko ye nahi pehn'ne shams ko baba jese kapre chahiye wo zid karne laga..
Nahi baby zid nahi karte ap chotu baby ho na ap to ache bache ho ache bache zid nahi karte
par bachon ko asani se har baat kahan samjh ati he wo mazeed zid karne laga..
shams aik bar ap ko samjh nahi ata Aliyan ghuse se bola...
Aliyan ka cell phone bajne laga or wo phone kan pe lagae kamre se bahar chala gaya
Baba bohat ghande he har waqt shams ko dandte rehte he shams ko nahi karni baba se kabhi bhi baat wo mou banae seene pe hath bandhein soffee pe beht gaya
Amaya uth kar aus k pas aai nahi bache aesa nahi kehte buri baat jo ap se piyar karte he wo ap ko dandte bhi he
nahi baba ache nahi he wo mau bana kar bola...
shams idhar dekho mama ki tarf ap ko aesa kis ne kaha k baba ghande he?
Ramsha chachi ne kaha wo jawab de kar wahan se bhaag gaya!
Ramsha bhabi ne par kiyon? Amaya heran hoi
Aliyan ko shams se beloos muhabbat thi par ain dino office mein ziyada kam ki wajah se wo
shams ko thek se time nahi de pa raha tha!
or shams ko lagne laga tha aus k baba aus se piyaar nahi karte najane ye baat aus k zehan mein kese aai thi ya shayad lai gai thi...
shams aik smjhdar bacha he or ais tarah ki baat aus k zehan mein aana amaya k liye fikarmandi ki baat thi..

kuch der mein mehndi function shuru hogaya zain k chehre pe bohat khushi thi bari bari sab rasam karne lage
Samaira ne zain ko pora tel me nehla diya
Ramsha bhabi k dewar ki shadi thi tou wo khasi aagey aagey thin
Shukar he zain ALLAH ALLAH kar k tumhari shadi ka din tou aaya warna mene tou yahi suna tha jab bhi tumhari shadi hone lagti kuch na kuch ho jata tha
Ramsha ne tanziya nigahon se Amaya ki janib dekha
khushi ka mahool tha koi bhi Ramsha ki baat par apna mood kharab nahi karna chahta tha
Bhabi ALLAH PAK jo bhi karte he hamare bhale k liye karte he or hamein ALLAH ki raza
mein razi rehna chahiye jab mujhe koi problem nahi tou kisi dosre ko bhi nahi honi chahiye
zain ne do'tok jawab diya
jis pe Ramsha ka mood Kharab ho gaya!
Ramsha chup kar jao fahad ne apni bivi ko tooka
Hamas or haniya bhi dubai se aagae the aun k MASHALLAH do bache the aik beta or aik beti
Ehm aj tou bohat achi lag rahi hen medam khariyat tou he? aliyan pas khadra bola
kiya matlab aj? me tou roz hi achi lagti hun wel thank you ap bhi hamesha ki tarah bohat ache lag rahe he wo shararti andaz me boli....
wo itne naram lehje se boli thi k Aliyan k chehre pe muskurahat aagai....

Aik table pe kuch khawatein behti thi jin me se kisi aik ne kaha ye larki kon he kitni ajeeb lag rahi he khud ko pata nahi kiya samjh rahi he
foran dosri boli ary ais ko choro wo dekho wo mehroon duppate wali aus ki tou zulfein hi nahi tik rahi
Aunty mama kehti hein good peoples kisi ki mazaq nahi banate shams pas se bolta howa guzara!
aus table pe behti baqi khawatein kehka laga kar hansi or aun do larkiyon ko shams ki baat par apni bezati mehsoos hoi!
                         -----****-------****-------****-------
Agle roz sab shadi k liye tayar hone lage...
Amaya shams ko tayar karne mein masroof thi...
Mamma Anaya aunty ab shams ki kiya lage gin?
kiya matlab kiya lage gi beta wo ap ki aunty hi he...
auf ho mamma wo sar pe hath rakhte hoe bolne laga jese ap baba ki bivi mama hen mamo ki bivi mami hen to chachu ki bivi meri kiya hoi?
wo ap ki chachi hoi...
ab amaya ne ause coat pehnaya
or meri bivi jo hogi wo ap ki kiya ho gi?
meri bahu...
or ap mere bachon ki?
dadi auf shams kahan se seekhte ho ap aesi baatein?
apne ap se wo muskuraya aus ki muskurahat me aik masoomiyat si thi amaya ko bhi hansi aagai
hum kiyon ja rahe he mamma?
chachi ko lene ab wo yahin rahe gin chalo ab ap ready ho now go amaya aus ka gal thap'thapate hoe boli...
pink lehnge pe silver sitare'motiyon ka kam amaya lehnge me malboos behad khubsoorat lag rahi thi kitni achi lag rahi hun me hamesha ki tarah wo khud ko sheshe me dekhte howe boli...
ye kiya gulabi sharbat ban gai ho? aliyan ause tang karte howe bola
wo tehdri nazron se ause dekhne lagi
kiya aese kiya dekh rahi ho? kitna makeup kiya he auff koi dekhe ga to dar hi jaega me bhi sochon me itna kamata ho paise kahan jate he
abb pata chala sare paiso ki tou tum makeup ki dukan khared lati ho wo hansi dabate hoe bola! ause pata tha aus ki baat pe amaya chird jae gi
han tou ap kamate kis liye he bivi bachon k liye hi naa tou meri marzi me kuch bhi lon or mujhe pata he me achi lag rahi hun wo kano me jhumke pehn'ne lagi...
oh apne mau miyaa mithuu, yad he aik bar tum ne hina chachi ko kaha tha k log tou apne mau miya mithu he tou ab tum kiya ho bolo bolo wo muskurane laga!
ha hanw tou a'ap ki sohabat ka asar he wo ruk ruk kar bolne lagi..
acha ab meri sohabat ka asar hogaya jab koi kam ki aqal wali baat ho tab sohabbat ka asar kyon nahi hota medam?
mujhe shams bula raha he me jati hun wo wahan se jane lagi aus ne amaya ki kalai pakri ruko ruko kahan bhag rahi ho tumhara ladla ja chuka he apne chachu k pas!
ary ap kitne handsome lag rahe he ap ki shervani kitni jaaajh rahi he ap par wo muskurahat dabae boli(ab wo aliyan ko baaton mein lagane lagi ause aliyan k irade kuch thek nahi lag rahe the)
hanw me tou hamesha hi acha lagta ho thnkyou so much par me tmhari koi tareef nahi karne wala amaya aik bar phir wahan se bhagne lagi
ruko kahan bhagne lagi ho?
aus ne or mazbooti se aus ki kalai pakri mujhe baaton mein laga kar bhagne lagi thi!
wo mein wo kyon meri tareef kiyon nahi kare ge ap? wo mau bana kar boli,
kitne saal hogae hamari shadi ko or tum ne aik bar bhi mujhe apni zuban se wo 3 magic words nahi kahe wo ause apne qareeb karte howe bola...
lo ab ye koi time he aesi baaten karne ka chalen der ho rahi he sab wait kar rahe hoge
no pehle bolo aliyan ne ause apne or qareeb kiya...
Amaya tum bohat khoosurat lag rahi ho!
i know wo ab sharmate hoe muskurai...
Ab sharmana band karo or bolo..
kiya bolun?
wohi three magic words?
acha pehle ankhein band karen phir bolun gi...
ok ye lo karli ankhein band wo ankhein band karte howe bola..
'i' 'i' 'i' ..
kiya i i 'gulabi sharbat' agey bhi tou bolo wo chilaya...
i'm sorry we'r getting late ye kehte howe amaya wahan se bhaag gai..
Amaya ruko Amu wo chilate howe piche bhaga...
                   -----*****-----*****------*****-------
ab wo Marriage hall phuhanch gae the
Ghar me kafi time bad koi shadi hoi thi or Akhri shadi thi tou Badar Alam ne bohat dhoom dham se apne chote bete ki shadi ki thi
kafi saalon bad sab classfellows se mulaqat hoi...
Amaya tumhara beta kahan he bohat tarifen suni he k bohat cute bohat shararti he
Khansa muskurate hoe boli...
apne chachu k sath hoga har waqt zain k sath chipka rehta he
tum batao saim kesa he wo aya he or tumhare bache?
Nahi saim kisi business meeting k liye out of town gae hoe he or mere do bete he or dono hi nahi aae vications chal rahi he tou apne dada dadi k pas gae hoe he
samne se aik bacha aata dikhai diya Amaya wo dekho wo jo bacha bare roub se chalta aa raha he
kiya wo shams he?
khansa aus bache ki tarf ishara karte hoe boli
Amaya ne aus bache ki janib dekha or muskurai hanw yahi shams he tumhein kese andaza howa?
wo bilkul Aliyan ki tarah roub mein chalta Aa raha he tumhein yaad he university mein kis tarah Aliyan roub se phirta tha
or aus ka Ego or Attitude kitna high tha or ghusa tou har waqt naak pe rehta tha bohat proudy bhi tha or kitni hi larkiyon ko aus pe crush tha
or sab ause magroor,proudy,or egostic kehte the
khansa ki baat par amaya ko kuch yaad aaya tou wo muskura di
Aliyan ki aini baaton ki wajah se hi tou wo aus k dil mein utra tha!
tum ziyada muskurao mat tumhara bhi yahi haal tha tum dono aik jese the ALLAH ne sahi kiya tum dono ko aik dosre k gale dal diya
aik sher tou dosra sawa'ser ab wo dono kehka laga kar hansi
shams yahan aao amaya ne ause awaz di
salam karo aunty ko!
apne nanhen mulayam hath khansa k hath me dete hoe aus ne salam kiya
kese ho beta?
Mein thek hun ap Mama ki dost hen?
jee me apki mama ki dost hun ap bohat piyare ho mere sath aik photo banawao ge?
nahi Ache bache larkiyo k sath photo nahi banwate wo foran bola...
ap ko kis ne kaha?
shams ne khud ne......
haha how sweet MASHALLAH bohat piyara he tmhara beta Amaya ALLAH aise nazre bad se bachae amen or tmhare husband kahan he?
yahin kahin honge kisi kam me masroof Anaya aagai parlour se Khansa?
han bridal room me he Aao me tumhein le chalo..
Aao shams aunty ko milne chale aus k nanhe hath apne hathon me liye wo chal di...
silver kam wale surkh lehnge me malboos Anaya bohat haseen lag rahi thi MASHALLAH aj tou koi bohat qayamat dhaa raha he amaya muskura kar boli..
mujhe tum se baat nahi karni ab aa rahi ho tum mujhe laga aj mera special day he tou aj pora din tum sath rehne wali ho wo mau banate howe boli...
Anu achi dulhane mau nahi banati or tumhein tou pata he na me larke wali bhi ho itne kam the or phir ye tumhara bhanja shams ais ne alag tang kiya howa tha..
kahan he shams? anaya apne gile shikwe foran bhool gai
Anaya ne shams ki tasveerein facebook or twitter par hi dekhi thi aj 5saal bad wo shams se mil rahi thi...
ye raha mere piche shams aunty se tou milo..
ASALAM WA ALAIKUM aunty wo muskuraya..
Mama ab tou aunty shams ki chachi hoi naaw?
han me ap ki chachi hun ab anaya muskurai..
chalo chalen chachi wo hath pakar kar chalne laga
par kahan shams? anaya herani se boli
ghar Mama ne kaha tha ham apko lene ja rahe he tou chalen..
haha amaya kitna piyara he shams 5saal bad aj dekha mene jab wo shehtaniya karne laga he
Mama hum ghar kab jae ge?
beta shadi khatam hone k bad jae ge..
oh no me tou tab tak so jao ga wo mau bana k bola...
koi baat nahi beta ap thori der jag lena Khansa shams ko dekhte howe boli,
Khansa shams ne apne baba ki tarah har chez ka time table banaya howa he k kis waqt khana khana he, kis waqt juice peena he,
kis waqt study karna or khelna he, sona he janab ki har chez ki timing set he
or guards ko apne sath khel me lagae rakhta he auneh apni duty bhi nahi karne deta sara din bas sharartein....
zahir he tumhara beta he sharartein nahi kare ga tou pata kese chale ga k ye Amaya Aliyan ka beta he anaya muskurai...
hahaha achi bat he abhi se timing k hisaab se chalta he or zahir he apne baba pe hi jaega Khansa hanste howe boli...
yr fahad bhai ki bivi se mili mein mujhe Ramsha bhabi Ajeeb lagin jese koi khushi hi na ho auneh Amu sab thek tou he tum kuch chupa rahi ho?
nahi kuch nahi chupa rahi me meri ye majal jo anaya se kuch chupao wese hi tabiyat thek nhi hogi aunki tum apne khali dimag par ziyada zor na do aao tumhein stage pe le chalen
dekho tumhari barat bhi same wesi hi lae he jese meri thi amaya shararti lehje me boli!
apni shadi me tou mene enjoy nahi ki tha par tumhari shadi mein khoob enjoy kiya he wo muskurai
Amu tum aj wohi porani shararti amu lag rahi ho or tum aese hi mujhe pasand ho
shukriya medam Akhir wo din aa hi gaya ham dono ka khuwab pora howa amaya muskurai
hanw aik hi khandan me shadi ka khuwab or kitna awkward khuwab he koi suna ga tou ham pe hanse ga Anaya muskurate hoe boli
hanse do logon ko bhi tou pata chale k ham dono kitne carzy or adventures he amaya phir muskurai ab wo log stage pe the!
kuch hi der mein dulhe ko stage pe laya gaya rasmein shuru hogai zain k sath hi shams bhi behta tha sarvala jo tha dulhe k sath hi rehna tha..
yr ye rasmein kab khatam hogi thaak gaya hun me zain ahista se bola shams ne sun liya,
chachu kan idhar karein aik bat bataon shams ahista se bola
zain ne sar niche kar k kan aus k qareeb kiya,
chachu ap ko jaldi ghar jana he shams help kare?
par wo kese mere tiger? zain ahista se bola
wo aese shams achanak se utha Mama ghar kab jae ge shams k sone ka time ho gaya he chalein ham ghar chalein wo masoam sa chehra banae bola raha tha
sab ki nazrein ausi pe makros thi shams ki baat pe sab hans diye
lo tumhare tiger ko nend ane lag gai he Aliyan jo k amaya k pas hi khadra tha ahista se bola!
shams beht jao rasmein ho jaen phir chale ge Aliyan ne ankhein dikhate hoe kaha
shams mau latka k beht gaya chachu kam hojata par Baba bech me aa gae wo phir se zain k kan me mou diye bolne laga,
Tiger tum pitwao ge yar mujhe sehde ho k beht jao zara samne dekho tumhare Mama Baba kese dekh rahe he ghar ja kar ham dono ki shamat aae gi
mera tou kuch nahi par beta ap ko bohat dandt pare gi baba se zain ahista ahista bolne laga...
chachu ap bhi darte hen baba se par ap tou bare he?
yr ye pocho k tumhare baba k ghuse se kon kon nahi darta or tum kitne sawal karte ho kahan se seekhte ho aesi baaten?
Apne ap se wo halka sa muskuraya....
Aliyan stage pe ja kar zain k qareeb behta or ahista se bolne laga ab chup karo ge tum dono ya mau pe tap solution lagaon?
itne mein zaheer uncle ne awaz di Aliyan beta yahan aao
wo foran stage se utar kar niche aaya jee uncle bolein..
wo bacha tumhara beta he?
Aun k sawal pe Aliyan thora jhijka(oh shams ab kiya shararat kar di)
jee uncle khariyat koi sharart ki shams ne?
barkhudar Tumhara beta MASHALLAH bohat piyara he or bohat achi baatein karta he
abhi me khana kha raha tha tou mujhe khansi lag gai aik chote se bache ne pani ka glass mere agey kiya uncle pani pee lein thek ho jae ge
mene bohat duwaen di par pata nahi tha kis ka beta he abhi pata chala k tumhara beta he MASHALLAH se tum ne bohat achi parwaish ki he shams ki nazar utar lena
tumhare bete ne sab k sath bohat achi achi baatein ki he sabhi piyar kar rahe the Zain ki khala k husband zaheer sahab hanste hoe bata rahe the
Aun ki baat pe Aliyan Muskuraya or shukar ka kalma pardha

Rashmin phuppo tou aese sadqe wari ja rahi thin jese Anaya aun ki bohat ladli ho
Rashmin phuppo Anaya ko piyar dete hoe Ahista se bolne lagin beta tum tou bohat bholi ho
ais Amaya or Ramsha se bach k rehna mujhe Ramsha bohat tez'taraz lag rahi he
phuppo ap phir shuru hogai Aj tou aesi baatein na kare kal tak tou ap ki nazron mein
me bohat chalak thi ab achanak bholi kese ban gae?
Anaya ne dulhan bane bhi phupo ko na bakhsha!
Apa mere sath aaein Fehmida begum aune apne sath aik side mein le gain
Apa ap aj bhi shuru hogain ap ko maza aata he kiya anaya k samne amaya ko bura bhala bol kar?
Beti dulhan bani ziyada bol nahi pai tou maa aus k jaga bolne lagi he Rashmin phuppo phat padri
Apa Aj ap bata hi dein k Amaya se ap ko masla kiya he?
Me apne Azlan ka rishta le k gai thi ais amaya k liye or ais ne azlan ka rishta reject kar diya
Azlan ka rishta? Fehmida begum chonki
Akhir kami kiya he hamare azlan me achi job he shakal ka bhi acha he phir bhi reject kar diya tha
Aj Rashmin phupo apne jazbat qabo na kar sakin
Apa ap ne tou kabhi nahi bataya k ap amaya k liye rishta le k gai thin or ap ne tou bataya tha k ap ko larki pasand nahi aai thi tabhi ap ne rishta nahi kiya
Fehmida begum ki baat pe Apa zara choonki wo tou bhool hi gai thin k auno ne rishte ki reject wali asal bat tou batai hi nahi thi
Apa ap ne jhoot kiyon kaha tha?
mera Azlan itna acha larka agar logon ko pata chalta k larki ne reject kiya he tou aus ki kiya izzat rehti tabhi mene sab ko kaha tha k mujhe hi larki pasand nahi aai
Apa bas itni si baat pe ap aus se khafa hein jodiyan tou ALLAH banata he hamare bas me tou ye sab nahi he hamein wohi mita he jo qismat me likha ho
Aliyan ki qismat me Amaya thi Azlan ki nahi Azlan ki qismat mein Hiba thi or bijae ais k, k ap amaya se khafa ho ap ko tou ALLAH ka shukar karna chahiye k ap ka bacha apni bivi k sath khush he
or phir Amaya tou ap ki pasand thi Azlan ki nahi aus ne tou kabhi amaya ko dekha bhi nahi he aus ne ap ki khushi k liye hami bhari thi
par ap ne amaya ko kab dekha tha? Fehmida ne aik or sawal kiya
Anaya k sath tasveron me hi dekha tha or phir tumhare beto ki shadi mein tou mujhe bohat pasand aai thi
par Apa Amaya ne Azlan ko kabhi nahi dekha tou phir aus ne reject kese kiya?
Aus k waleden ne kaha tha ham apni beti se poch k jawab dege or phir kai dino k intezar k bad jawab mein inqar mila mujhe bohat ghusa aaya
Apa wo aus waqt shadi nahi karna chahti thi mujhe Anaya ne aik bar bataya tha k amaya k rishte ate he par wo apni mama ko tal deti he tou zahir he jab wo shadi hi nahi karna chahti thi tou
aus k ghar wale zabardasti thori na aus se hanw karwate
tou kiya larki ko ghar bitha k rakhna tha ais larki me tou bare nakhre he
Apa Nakhre kiyon na ho akhir wo apne waleden ki aiklooti beti he..
Acha acha bas ab tum wakalat mat karo mehmano ko dekho...
Apa ap amaya k liye bad'guman na ho agar ause pata lage ga tou ause kitna bura lage ga...
Aunty mujhe bura nahi lage ga kano mein awaz sunai thi
Fehmida begum ne foran murd k piche dekha
Amaya wo ham--- Aunty mene sab sun liya he
phupo ap ka ghusa jaiz he par mujhe nahi pata tha k mere liye kis k rishte ate rahe the na mene kabhi mama se pocha tha
mujhe shadi wagera karne mein koi intrest nahi tha mama jab bhi call kar k kisi rishte ki baat karti thi me auneh tal deti thi ya baat gol'mol kar deti thi
or phir Aunty ne sahi tou kaha he jodiyan ALLAH PAK banate he ap ya ham nahi agar insan k bass me ye sab hota tou sab ameron mein shadiyan karte
garebon se tou koi shadi hi nahi karta par ye nizam ALLAH k hath me he ap bhi janti hein k aesi kai gareeb larkiyan he jo shadi ho k ameron me jati hein or kai
aese gareeb larke he jine amer bivian mil jati he  
or phir log kehte he ary wah ais ki qismat tou dekho kitni achi jaga shadi hoi he
tab sab qismat ki baat karte he tou phir jab rishte reject kiye jate he ya toot jate he tab log Qismat ko bech me kiyon nahi late
tab log apas me kiyon jagarne lag jate he aik rishta thokrane k piche sage behan bhai apna aik dosre se rishta kiyon tor dete he?
insan ye kiyon nahi samjhta k ye sab hamare hath mein nahi he sab ki qismat ALLAH ne likhi he jo jis k liye he wo ausi ko hi mile ga
par phir bhi phuppo me ap se sorry karti hun mujhe maf kar dein!
Ary amaya tum kiyon mafi---Fehmida begum ko amaya ka mafi mangna acha nahi lag raha tha
Rashmin phuppo bhuuut bane khadri thin
Amaya chalo Ruksati ka waqt ho gaya Mrs.Badar aun k qareeb aain Fehmida jee ab hamein ijazat dein
kuch hi der me ruksati hoi or ghar aagae.....  
sasural me aistakbal purjosh tha najane kahan kahan ki rasmein ki ja rahi thi dulha sahab tou dulhan se bhi ziyada sharmile
mera khayal he dulhan thak gai he kisi ne note kiya
jee nahi abhi tou kuch baatein hogi masti'maza hoga amaya foran boli
bare se kamre mein sab khawateen majood thi dulhe miyaa ab uth k ja chuke the
sab bohat thak chuke the tou bari bari sab hi uth kar ja rahe the
Anaya bibi kesa raha shadi ka exprience?
auf me tou behte behte thak gai par aisi doran me ne kuch socha he
yar amaya mera ab doctor ban'ne ka program he
heeein dimag tou thek he shadi ki khushi dimag pe chard gai he kiya? tum pagal tou nahi hogai khushi se amaya herani se boli
yr dekho jab me doctor bano gi mere nam k sath doctor Anaya lage ga or phir nam se
pehle doctor lag jane se insan ki izzat kitni bard jati he
tum khud socho jab me doctor ban jao gi tou pore gaon k samne meri kitni show hogi
lanat ho agar gaon walon se hi izzat karwani he or aun k samne hi show marni he tou itni mehnat karne ki kiya zaroorat he?
gaon wale tou lady health worker ko bhi doctor hi samjhte he tou tum wohi ban jao amaya ne hansi dabate hoe parkhalos mashwara diya
apne naik mashware apne pas hi rakho or tum aj porana Aliyan kiyon ban gai ho dil jalane wali baaten karne lagi ho
haaey kiya karein bivi shohar ko dekh kar hi rang pakarti he wese mera khayal he tumhara zehni tawazun zara kharab ho gaya he
wese tum pehli larki hogi jo software engineer k sath sath doctor bhi hogi
amaya kehka laga kar hansi
anaya mou bana kar ause dekhne lagi
akhir anaya ki saas ko hi aus par tars aaya auno ne foran ause kamre me bijwa diya!



                           ------*****--------*****--------*****-------
 

  To be continue...

Tuesday 15 December 2015

Episode 20 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Episode 20
                 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain





Amaya ko hosh aa gaya wo ahista ahista apni ankhein kholne lagi ankhon k agey andhera sa tha
jab mukamal ankhein khuli aus ne khud ko kisi kamre mein paaya
kamra bohat acha decorate tha, amaya k sar pe kisi wazni cheez k lagne ki wajah se
aus k sar mein ab bhi dard tha wo sar pe hath rakhe
yahan wahan nazarein ghuma kar kamre ka jaiza lene lagi  ause samjh nahi aa raha tha
wo kahan he?
jab mukamal tor par dimag thikaane aaya tou wo heran reh gai yahan wahan har jagah
har tarf dewaron par, table par, kamre ka wallpapr har jagah aus k photos the
ye dekh kar wo heran reh gai aus ka chehra safeed pard gaya..
ye m'mere photos--ye mein kahan hun auf mera sar kiyon chakra raha he ye sab kiya he?
har jagah mere photos or me tou resturent mein thi
tou phir yahan--wo sochne lagi kuch yaad ane pe aik dum aus ki ankhein phati kiya or aus ne apne mauh pe hath rakh liya kiya mujhe yahan fahad bhai---
aa'h mera sar, ye sab kiya ho raha he me kahan hun aus ki ankhon se ansu behne lage..
kuch der bad kisi k juton ki aahat sunai di koi kamre ki janib chalta howa aa raha tha..
Amaya ka dil zor zor se dharakne laga!
YA ALLAH meri madad kar me kahan hun?fahad bhai aesa nahi kar sakte
YA ALLAH PAK ye bas mera weham ho fahad bhai itni giri hoi harkat nahi kar sakte
ALLAH PAK ye fahad bhai na ho jese jese qadmon ki awaz qareeb ate sunai dene lagi
wese wese aus k dil ki dharkane tez hoti gai  aus ne apni ankhein band kar li
kuch der me kamre ka darwaza khula....
                          -------****-------*****------****-------

wo raat bhar jagta raha tha, Allah se duwaein karta raha tha shayad ye ain ki zindagi mein
aik nae tufan ki amad thi
aik aesa tufan jis ne aik bar phir amaya ko aus se dor kar diya tha
Azan-e-fajar ki sadaein buland hone lagin Aliyan uth kar behta or dono hath apne chehre par
pheerne laga ab wo uth khadra hoa or washroom ki janib chal diya
Ab aus ne wazu k liye pani ka nal khola wazu karte waqt wo kuch duwaein
apne ALLAH se kiya karta he
ye wo Aliyan tha jo samjhta tha k aus k pas sab kuch he ause kisi chez ki kuch mangne ki zaroorat nahi par jab se wo sirat-ul-mustakeem pe chalne laga tha
tab se hi ause ehsas hoa tha k ause mangna he ause apne ALLAH se bohat kuch mangna he
ab wo har waqt ALLAH se kuch na kuch mangta hi rehta tha
wazu ki fazilat ye he k jo shaks achi tarah wazu karta he aus k tamam gunah maaf ho jate he,
or aus k hath or paon roz-e-qayamat roshan ho ge
wazu shuru karne se pehle aus ne aik baat kahi
Aey ALLAH mein ye wazu teri raza k liye kar raha hun
ab aus ne sab se pehle "Bismillah alrahman alraheem" pardhi
"Nabi pak ne farmaya: jo shaks wazu k shuru me ALLAH ka naam nahi le yani
Bismillah na pardhe aus ka wazu nahi hota"
                     Book: "Roshni Ka Safar"

Ab aus ne dono hathon ko kalai tak dhoya or dil me dua ki
(ALLAH PAK ain hathon ko naik kam karne ki tofeeq ata farmana)
Ab aus ne teen bar kuli ki
(ALLAH PAK mujhe ais mauh se hamesha sach bolne ki tofeeq ata farmana)
ab aus ne teen bar naak me pani chardhaya
(ALLAH PAK mujhe ais naak se jannat ki khushbu soongne ki tofeeq ata farmana)
ab aus ne teen bar mauh dhoya
(ALLAH PAK roz-e-qayamat mere chehre ko naik amal ki wajah se roshan karna)
ab aus ne dono hath kohniyo sameet dhoe
(ALLAH PAK mere dono hathon ko salamat rakhna)
ab wo apne dono hathon ko piche gudi tak le gaya or phir dono hathon ko gudi k piche se agey ki tarf laya yani aus ne sar ka masa kiya
or phir dono shahadat ki ungliyon se kano k andar or dono angotho se kano k bahar masa kiya
(ALLAH PAK mere sar par hamesha apni rehmat ka saya banae rakhna or ain kano ko buri batein sun'ne se bachana)
ab wo apna daya'n paon takno tak dhone laga
(ALLAH PAK mere paon ko salamat rakhna or sehde raste pe chalne ki tofeeq ata farmana)
baya'n paon takno tak dhona shuru kiya
(ALLAH PAK mere ais paon ko bhi salamat rakhna or ulte raste pe chalne se bachana)
Aamen Suma Aameen!
ALLAH PAK wazu k doran mujh se koi galti hoi ho tou mujhe maf karna dena
Beshak ap reham karne or maf karne wale he

Masjid phunch kar aus ne namaz ada ki or dua k liye hath uthae!
sab se pehle darood-e-pak pardha ALLAH PAK ap rahim ap kareem sab tarifein
ap hi k liye he ham jo mangte he ap hi se mangte he ap hi hamare dene wale or paida karne wale he
ALLAH PAK ap har cheez se waqif he ap se koi chez koi baat pooshida nahi
ye gunaho se bhare hath ap ki bargah mein uthe he mujhe dua mangne ka saliqa nahi ata
par ap dilon k halat jante he
mere malik me ais waqt bohat akela hun or bohat mushkil mein hun
mere pas ap k siwa or koi nahi meri pehli or akhri umeed ap hi hein
ALLAH pak mujhe sabar karne ki tofeeq dein me janta hun sabar ki sharrt hoti he
jo musibat me kiya jata he
sab se pehli ibadat yahi he k insan mushkilat mein sabar kare or ap ki tarf se madad ka
muntazir rahe aus ki ankhon me ansu jhalakne lage wo ALLAH se mukhatib tha
ALLAH pak ap meri madad karein mujhe amaya tak phuncha dein
agar ap madad nahi kare ge tou kon kare ga?
agar ap nahi dein ge tou kon dega? agar ap ne mujh se cheen liya tou mujhe koi nahi de sakta
or agar ap ne mujhe de diya tou koi mujh se cheen nahi sakta
hamare sath kis ne aesa kiya fahad ne kiya tou kiyon kiya agar aus ne nahi tou
kis ne amaya ko kidnap kiya?
ALLAH PAK ap har chez par qadir he ap kunn kehte he or wo chez ho jati he
mere malik mushkilaat mein mera hath pakar lein
or mere samne har mamle me haqaiq k sare pehlu khol dein aamen suma aamen!
ankhon me ansu the
aus ne aik bar phir daroord-e-pak pardha or dua k bad dono hath chehre pe phere...!
                    -----****----****-----*****------

zain kahan ho tum bahar niklo zain Aliyan chilate howe aus k ghar me dakhil hoa..
kiya howa bhai jan chila kiyon rahe hen?
zain chalo mere sath fahad k pas tum jante ho wo aj kal kahan reh raha he mujhe aus se milna he mujhe aus k pas le chalo me ause choro ga nahi..
bhai jan mene bohat contect kiya aun ka phone nahi lag raha he..
mene kaha mere sath chalo mujhe aus se milna he abhi or aisi waqt aus ne ghuse me
ause ankhein dikhain...
zain ne nazrein niche kar lein
zain please bat ko samjhne ki koshish karo amaya ki tabiyat kharab he
wo na jane kahan kis hal me hogi
fahad ne pata nahi kia kiya hoga tum samjhte kiyon nahi ho?
wo narmi se bat karta karta aik bar phir chilaya
Amaya k baba aa rahe he karachi wo amaya se milna chahte he
Amaya k wapas aane k baad wo aun se aik do bar hi mile he mein auneh kiya jawab donga
k kahan he aun ki ladli
me aune kiya kaho ga k me aun ki ladli ka khayal nahi rakh paya,
me aune kiya kaho ga k auno ne apni ladli k liye aik galat bande ka intekhab kiya he,
Batao zain mein kiya jawab dunga? agar'agar auneh pata chal gaya k Amaya mujh se rooth kar Lahore chali gai thi tou me kiya jawab dunga k Me ne kiyon sab se ye baat chupai?
ab aik bar phir aus ki ankhon mein ansu jhalakne lage
wo har haal mein amaya tak phunchna chahta tha
Zain khamoshi se aus ki baatein sunta raha Bhai jan please sabar karein
himat mat harein INSHALLAH mil jaegi ap ko ap ki Amaya...

Ap Chalein Mere sath fahad bhai jan k pas kuch hi der me wo log aus jagah phunche
jahan fahad reh raha he..
fahad'fahad bahir nikal yahan wahan ghar me ause dhondne lage wo ghar me moojod na tha
dekha zain na tou aus ka phone lag raha he or na wo ghar me he
kiya abb bhi tum yehi kaho ge k tumhara bhai beqasoor he?
mujhe kuch samjh nahi aa raha bhai jan ye sab kiya ho raha he?
kuch der me darwaza khulne ki awaz aai..
oh Aj tou bare bare log aae he fahad aune dekhte hoe bola..
zain or Aliyan aus ki tarf bhage fahad amaya kahan he?
Mujhe kiya pata kahan he tumhari bivi he tumhein behtar pata hoga
bakhwas mat karo sharafat se batao amaya kahan he aliyan ki ankhon me ghusa tha
wo fahad ka gireban pakre aus se sawal kar raha tha...
amaya bhabi kal ap se milne aai thi bataein kahan he wo zain ne bhi ghuse se sawal kiya
fahad ne aliyan ko khud se dor dakha diya or zain ki janib bardha

zain tumhara dimag tou thek he wo mujh se milne kyon aae gi?
or mene tou suna tha k amaya aliyan ko chor k chali gai he char saal bad tum log
aj amaya ko dhondne nikle ho herat ki baat he
bakhwas band karo me janta hun amaya ko tum ne kahin kidnap kar rakha he
mujhe nahi pata tha k tum ais haad tak gir jaoge
agar amaya ko kuch hogaya me tumhein zinda nahi choro ga!
Aliyan ne ghuse se ankhein nikalte hoe ause kaha
Aliyan me tumhein kuch bol nahi raha tou ais ka hargiz ye matlab nahi he k mujhe bolna nahi ata
zain aise le kar jao ais ka dimag kharab ho gaya he, amaya k gham me pagal ho gaya he...
fahad bhai baatein mat banae har bat ap k khilaaf he, ab tou mujhe bhi yaqeen hone laga he
k bhabi ko apne hi juice me zahr----- zain k lafz toot gae
Ruk kiyon gae zain bolo agey bolo, tum bhi aliyan k raang me rang gae
tumhein apne bhai pe yaqeen nahi? wo herani se zain ko dekhne laga
Agar ap ne kuch nahi kiya tou batate kiyon nahi k bhabi kahan he wo kal ap se milne aai thi
or ap abhi kahan se aa rahe he or kal se ap ka number kiyon band he?
mujhe kuch samjh nahi aa raha tum kiya keh rahe ho zain aliyan k bad tum ne bhi mujh se talluq khatam kar diya tha mujhe koi khabar nahi
tum logo k ghar me kiya chal raha he or kiya nahi or wo mujh se kiyon milne aae gi?
Aliyan herani se dono ko dekhne laga...
jhoot mat bolein bhai jan mene ap ko calls ki par ap ne recieve nahi ki
mujhe laga mere talluq khatam karne ki wajah se ap ghusa he tabhi call pick nahi kar rahe
bhabi ne mujh se pehli bar koi madad mangi thi or me har hal me aun ki madad karna chahta tha
tabhi mene ap k number par message kiya k bhabi ap se milna chahti hein
wo aus din k bare mein pochna chahti he k aus din exactly kiya howa tha?
tou ap ne reply diya k Amaya ghar wapas aagai?
mene kaha tha jee aagai wo lahore mein thi phir ap ne reply diya k han food area k pas wale
resturent mein bhej do
phir mene ap ko bataya k bhabi abhi nahi aa sakti ghar me bhai jan he wo ap se kal sham mein
miley gin tou ap ne kaha tha ok me kal sham ko phunch jao ga
Aliyan aik dum chonka ause kuch yaad aya!
parso jab amaya ka cell phone baja tha tou kiya zain wo tumhari call thi?
jee bhai jan me ne bhabi ko address batana tha par bhabi ne kaha ap ghar he tou wo nahi mil saktin
Auff amaya ki schemes aliyan ne apne sar pe hath rakh liye  

Zain dimag tou thek he tumhara mujhe tumhara koi message nahi mila fahad herani se bola...
Aliyan or zain heran reh gae ab ye sab kiya he sab kuch sulajhne k bijae ulajhta hi ja raha he
wo fahad se nahi mili tou kahan gai?

Acha koi message nahi mille tou reply ap k bhoot ne diye the bhai jan bas kar dein
ap khud ko bachane k liye or kitne jhoot bolein ge  ?
mene kabhi socha bhi nahi tha mera bhai mera ideal itna girr jae ga zain afsurda nigahon se ause dekhne laga!
zain mere bhai mera yaqeen karo me sach keh raha hun me amaya se nahi mila
mere phone ki bettery kharab hogai thi barish hone ki wajah se me market nahi ja saka or abhi mein market se new battry lene gaya tha
ye dekho mera phone check karo inbox me kuch nahi he
agar me waqai mila hota tou me bata deta..
fahad hm tumhari baaton me nahi aane wale tum aese kuch nahi batao ge
ab police hi tum se ugalwae gi wo apni jaib se phone nikal kar number dail karne laga..
Aliyan mera yaqen karo me nahi janta amaya k bare mein mujhe koi message nahi mila
kiya tumhein lagta he me aesa karon ga?
mujhe aesa kuch nahi lagta tha tabhi tumhari dil ki baat jan'ne k bad bhi mene tum pe koi pabandi nahi lagai k mere ghar na aao ya kuch bhi
mene sab jan'ne k bawajod bhi tumhein sage bhai se ziyada mana or tum ne badle me kiya diya?
mere masom bache ko mar diya, phir ab meri bivi ko kidnap kar liya kash ye sab jhoot hota
par nahi yahi sach he fahad tumhein mujh se hasd ho gaya he
par shayad tum bhool rahe ho hasd aik aesi bemari he jo insan ko jeete ji mar deti he
tum mujhe kabhi khush dekh hi nahi sakte me tumhein nahi choro ga
me bhool jaoga k mera koi fahad naam ka bhai bhi tha
mujhe mere ALLAH par pora bharosa he wo meri madad kare ga jald hi sachai mere samne hogi
or phir final round hoga or aus k bad you will finished!
Aliyan ki ankhein ghuse se surkh hogai...
        ------*******-------*******-------

Darwaza khulte hi koi shakas kamre me dakhil howa
surprise wo shaks muskurate hoe bola
Amaya ne aus ki awaz suni (Fahad bhai)
aus ka dil zoro se dharkne laga aus ne ahista se darte darte apni ankhein kholi
apne samne aus shaks ko dekh kar aus ki ankhein phati ki phati reh gai
aus ki ankhon se mazeed ansu behne lage
wo herani se aus shaks ko dekhne lagi jo grey jeans pe black shirt pehne khadra tha...
tu'tum? bohat mushkil se aus k gale se itna sa lafz nikla
han me Amaya jee aus k laboon par shetani muskurahat thi..
tum mujhe yahan kiyon le kar aae ho or meri ye sab photos tumhare pas kahan se aai?
akhir tum chahte kiya ho mujhe mere ghar jana he...
Aram se aik aik kar k sawal pochon tum ne tou sawalat ki barish kar di he!
tum hamesha yahin raho gi mere pas mere sath ab tum yahan se kabhi bhi nahi ja sakti..
Akhir mene tumhein paa hi liya bohat intezar k bad aj tum mere pass ho
wo kehka laga kar hansne laga
bohat khushi ho rahi he mujhe Aliyan ko aziyaat mein daal kar pagalon ki tarah
wo tumhein dhondta phirr raha he
me aese hi tarpa tarpa kar aus se badla lun ga..

Tum apne maqsad mein kabhi kamiyab nahi hoge Abrar, ALLAH tumhein tumhare na'pak
iarado mein kabhi kamiyab nahi hone dega
(jab aus ne abrar ki awaz suni tou ause aesa hi laga jese fahad ki awaz he)
tum tou meri soch se bhi ziyada ghatiya nikle
taras aa raha he mujhe tumhari zindagi par aliyan tumhein nahi chore ge..
hMm! Raasi jal gai par bal nahi gaya, itni akkard itna sab kuch hone k bad bhi
akard tou dekho medam ki wo ause dekhte hoe apni gardan tedhri kar k bola
han he akrdd or ye akrdd kabhi khatam nahi hogi wo chilaaa kar boli..
chilaao mat tumhein andaza bhi nahi he amaya bibi me tumhare sath kia kiya kar sakta hun
or kiya karne wala hun
kuch der bad tum mere agey hath peelao gi gird'gidao gi, or aliyan ko kabhi pata nahi chale ga
k mene tumhein kidnap kiya he tum mere pas ho wo tou fahad k piche lag gaya he har saboot
fahad k khilaf bol raha he ab fahad ko koi nahi bacha sakta
aise kehte he aik teer se do nishane mere raste se fahad bhi hat jae ga
or aliyan bhi tum mere pas raho gi haha wo aik bar phir kehka laga kar hansne laga...

ye tumhari bhool he Abrar k mein tumhare agey gird'gadaon gin
Amaya Aliyan kabhi tumhare agey nahi gird'gidae gi
Me apne ALLAH k agey gird'gadao gi Me aus pak parwardigar se mangu gi
jis ne mujhe Aliyan diya tha wohi mujhe dobara aliyan de ga wohi mujhe tum se bachae ga
Mera ALLAH kabhi tumhein tumhare na'pak iradon mein kamiyab nahi hone dega
tum mau k bal giroo ge Amaya Aliyan he or Amaya k sath hamesha Aliyan ka naam juda rahe ga
"Amaya k liye aik Aliyan or Aliyan k liye aik Amaya"!
ab aus ki ankhon se ansu bahene lage or dil me dua mangne lagi
ya ALLAH mujhe ais pagal shaks se bacha tu har cheez par qadir he
Amaya ki baat par wo ghuse mein aa gaya or ause baalon se pakar kar
har poster k aagey kharda karta gaya ye dekho ye bhi dekho
har tarf tumhari hi tumhari photos he
dekho kitna chahta hun me tumhein or tum ne meri chahat ko mazaq samjha or
Aliyan se shadi kar li
mene ausi waqt fesla kar liya tha me har haal me tumhein paa kar raho ga
tum meri zid ban gai ho or mene Aliyan ko bar'bad kar dene ka ehad kiya tha or dekho
aj tum mere pas ho kuch nahi kare ga ALLAH aus ne tumhein mere pas bheja he
ALLAH bhi yehi chahta he k tum mere pas raho Aliyan k pas nahi...
wo tumhein jaga jaga talash kar raha he ye aus ki bar'badi se kam nahi...
Abrar khuda ka khoof karo mein kisi ki bivi ho kisi ki bivi par galat nigah rakhna gunah he
khuda tumhein kabhi maaf nahi kare ga
ALLAH ne mujhe tumhare pas ais liye nahi bheja k tum aliyan se behtar ho
ALLAH ne mujhe ais liye tumhare pas bheja he ta k Aliyan k dil mein mere liye or muhabbat paida ho abhi tum ne hi kaha k wo mujhe jaga jaga taalash kar raha he tou
ais ka matlab yahi he k aus k dil mein har pal muhabbat bhard rahi he ause mujh se toot kar muhabbat ho rahi he ab Amaya ki ankhon mein ansuon k sath sath labon par muskurahat bhi thi...
mujhe kisi ka koi khof nahi wo chilaya
ALLAH se daro jesa k aus se darne ka haq he
khuda se wahi bande darte he jo aus ki azmat ka ilm rakhte he
tumhein tou koi ilam hi nahi he mujhe taras aa raha he tumhare anjam k bare mein soch kar Abrar tumhara anjam bohat bura hoga
tum ALLAH ki taqat ko nahi jante aus ki marzi k bina tou aik pata bhi nahi hilta tou aus ki marzi k bina tumhari saansein bhi nahi chal sakti
tum ya ham ALLAH ki marzi k bina kuch bhi nahi kar sakte kuch bhi nahi..
mujhe mere ALLAH ki tarf se madad ka intezar rahe ga wo koi maujza zaroor dikhae ga mere ALLAH par mujhe pora bharosa he

Apna lecture band karo aus ne zor dar thapar amaya ko de mara!
kisi ka piyar chenn lena ye gunah nahi, tumhare shohar ne aj se kuch saal pehle tumhen mujh se chen'na tha ye jante howe bhi k me tum se kitni muhabbat karta hun ause sab kuch pata tha
aus ne meri madad karne k bijae khud tum se shadi kar li...
jab tum mujhe pasand hi nahi tou me kese tumhare sath rehti mujhe hamesha se aliyan pasand the
or jodiyan ALLAH banata he mere naseeb mein aliyan the...
Mein tou tumhein abb bhi pasand nahi par dekhna ab tum kese rehti ho mere sath or jahan tak baat he naseeb ki tou abrar apne naseeb khud banata he tumhein mene apne naseeb me khud likha he...
Abrar hosh me ao tum pagal hogae ho khuda ka khoof karo me kisi ki bivi hun or bohat jald maa banne wali hun kyon tum khuda ka azab lena chahte ho?
jese pehle tumhare juice mein zehreeli dawa milai thi aese hi abb bhi kuch zehareeli cheez pila donga.....
kiya? aus k ankhein phati ki phati reh gai ab aus ki ankhon se tap tap ansu behne lage awaz
jese gale mein hi atak gai w'wo ju'juice t'tum.... amaya k Lafz wahin toot gae
wo phati nigahon se ause dekhne lagi or wahin zameen par beht gai..
Han juice me zehar mene dala tha wo niche aus k pas jhuka or ause baalon se pakar kar aus ka mauh opar kiya
han sun lo amaya bibi mene mara tha ta k tumhara bacha ais duniya me na rahe me nahi chahta tumhare or mere bech koi teesra aaae or wo bhi aliyan ki olad nahi kabhi nahi me kabhi bardsht nahi kar sakta...
Amaya ko aus ki baaton se khoof aane laga YA ALLAH ye tou nafsiyaati hogaya he ye ab
kuch bhi kar sakta he
ya ALLAH PAK meri or mere bache ki hifazat farma! mujhe ais shaks se bacha
ya ALLAH aliyan ko mujh tak phuncha de
ALLAH PAK apna koi maujza dikha wo dil me duwaen karne lagi dil zor zor se dharak raha tha
wo bachon ki tarah ro rahi thi
Musalsal wo dil mein yahi dua karne lagi YA ALLAH apna koi maujza dikha
YA ALLAH apna koi maujza dikha...
Dharakte dil se ya rote howe jisam kap'kapane ki soorat mein, adhi rat me ankh khulne pe
jo bhi dua mangi jae wo raadd nahi hoti...
or ais waqt wo kap'kapa rahi thi aus ka dil bhi zoron se dharak raha tha wo bachon ki tarah ro rahi thi wo apne ALLAH se mang rahi thi
Ause yaqeen tha aus ka ALLAH koi maujza dikhae ga wo Aliyan se alag hone k liye
aus se nahi milli thi ause tou hamesha Aliyan k sath rehna tha ause apni
akhri saans tak Aliyan k sath rehna tha
wo Aliyan or Aliyan aus k liye bane the...
                                         -------****-------*****------****-------
zain tum ne fahad se talluq khatam kar diya or mujhe bataya bhi nahi kiyon?
zain car ki front seat pe behta bahir ki janib dekhte howe bola ais me kiya batana bhai jan mujhe sharam aati he k mera saggaa bhai ais had tak ja sakta he...
oh zain tum ne meri khatir apne sagee bhai se rishta khatm kar diya tumhei aesa nahi karna chahiye tha wo tumhara saga bhai he...
me ap ko bhaiyo se bhi ziyada manta hun or amaya bhabi ne already bohat kuch saha he ap dono bohat ache he mera itna khayal rakhte he tou kiya me itna bhi nahi kar sakta...
aus ki bat pe aliyan khamosh hogaya samjh nahi aaya k kiya kahe...
do din guzar gae amaya ka kuch pata na chala sab bohat pareshan the police bhi amaya ko
dhond rahi thi....

Asar ki namaz k baad Aliyan masjid me hi behta tha
Masjid mein beht kar QURAN PAK ki tilawat kar k ause bohat sakoon milta tha
QURAN PAK ki tilawat karne k baad wo dewar se teek lagae beht gaya or kuch der ankhein band
kar li
achanak ause kuch khayal aaya or foran ankhein khol li Aj tou Amaya k baba ne karachi aana tha
abb kiya hoga jab wo amaya ka poche ge tou mein kiya jawab dun ga Aliyan ka gala khushk ho gaya chehre ka rang urd gaya
wo ais bare mein soch hi raha tha k aus ka cell phone vibarate hone laga!
aus ne jaib se cell phone nikala or bina screen pe dekhe call pick kar li
ASALAM WA ALAIKUM!
agey se jawab milne pe wo bola baba kese hein ap?
agey se jawab milne par aus ne aik lambi sans li
kiya ap waqai nahi aa rahe? mera matlab ap karachi kiyon nahi aa rahe
beta mujhe zaroori kam se islamabad jana he mein phir kabhi aaon ga amaya ko mera salam kehna ALLAH HAFIZ!
cell phone band hote hi aus ne opar ki janib dekha ALLAH PAK ap ka lakh lakh shukar he
ap ne meri izzat rakh li
Beshak ap hi izzat dene wale he
ab aus k chehre pe kuch sakoon tha..
                        ----****----****-----****-----

Amaya khana kha lo dekho mein tumhare liye khana laya hun Abrar aus k pas beht'te howe bola
mujhe nahi khana kuch bhi mujhe Aliyan k pas jana he..
tumhein me kitni bar keh chuka hun aus ka naam mat lo chup chap khana khaao!
Amaya bhi ziddi thi kuch na khaya, abrar ko ghusa aaya aus ne amaya ko baalo se pakra or ause marne laga,
aus ne itna mara k amaya k mauh se khon nikalne laga or wo behosh ho gai
Amaya amaya kiya ho gaya tumhein? abrar ghabra gaya or ause uthane laga
kuch der me amaya ko hosh aa gaya
Ab Abrar aus se mafi mangne laga amaya mujhe maf kardo pata nahi kese tum pe hath--- wo apne hathon ko dekhne laga
or apne hath jalane laga...
Abrar ye tum kiya kar rahe ho pagal hogae ho?
han han me pagal ho gaya ho ye hath tum par uthe he ain hathon ko saza milni chahiye..
tum khana khaa lo, amaya ne itni mar khane k bawajod bhi khane ko hath na lagaya wo janti thi
ab ye pagal ho chuka he kuch bhi kar sakta he...
Abrar ne aik bar phir aus k bache ko marne ki koshish ki thi par Amaya ne har haal me khud ko
aus se bachaya
abrar mujhe jane do tum kyon gunah karne pe tulle howe ho
tum aik bar qatal kar chuke ho dobara qatal kyon karna chahte ho mujhe jane do tum nikah pe nikah nahi kar sakte...
shadi tou tum se me kar k rahon ga chahe kuch bhi hojae or ye bacha ais ko bhi me mar kar raho ga,
Abrar ki baaton me junoon tha wo amaya ko pane k liye kisi bhi had tak ja sakta tha wo andha hogaya tha,
kiya sahi he kiya galat ause kuch nazar nahi aa raha tha aus ki ankhon me bas aliyan se badla lene ka junoon tha...
Mein ja raha hun or tumhein yahan me band kar k jao ga tm bohat hoshiyar ho
tumhara kiya bharosa yahan se bhaag hi na jaoo wo amaya ko band kar k chala gaya...
                   -------********--------*********------

Aliyan tv lounge mein ankhein band kar k behta tha amaya k sath guzra har lamha aus ki ankhon k samne aik film ki tarah chal raha tha
aus ka cell phone bajne laga
wo aus ki yadon mein ais qadar khoya howa tha k ause phone bajne ki awaz bhi sunai na di
ALiyan baba! kisi ne ause jhinjhodra
h'han kiya howa gul khan?
Aliyan baba! ap ka phone kab se baj rahi he ham ko bahar awaz aa gaya ap ko pas behta awaz nahi aaya
Aliyan ne phone par nazar dali
Gul khan zulekha ko kehna kisi ka bhi phone aae tou keh dena me ghar mein nahi hun
or agar Mustafa saein ka phone aae tab bhi yahi bolein?
han auneh bhi yahi kehna
WALLAH ham jhoot nahi bolta
jitna kaha he utna karo or hanw Amaya k bare mein kuch bhi mat batana agar baba k sath ziyada wafadari dikhai tou nokri se hath dhona padre ga
thek he ham samjh gaya ap fikar hi mat karo ham kisi ko kuch nahi batae ga
thek he ab jao apna kam karo
aik bar phir phone bajne laga!
ye bar bar office se phone kiyon aa raha he?
hello! agey se kisi ne sawal kiya
Nahi me office nahi aa raha sab meetings cancel kar do or kuch din mujhe koi distrub na kare!
sir ap pichle aik hafte se office nahi aa rahe Everything is alright?
han sab thek he meri kuch personal masrofiyat he khayal rakhna mujhe mazeed distrub na kiya jae
ab wo easy chair par tek lagae behta tha!
Ehm Ehm koi khansa..
Abrar tum kab aae?
Bas abhi kiya howa tabiyat kharab he?
han bas sar mein dard he
Amaya bhabi kahan hein nazar nahi aa rahi...
Abrar tum tou apne ho tum se kiya chupana aao yahan behto
Ab abrar aus k pas ja kar behta
kiya howa sab thek tou he na ap pareshan lag rahe he?
Abrar amaya pata nahi kahan chali gai he fahad ne pata nahi kiya kiya he aus k sath wo kuch nahi bata raha..
kiya amaya bhabi kidnap ho gai fahad ne kiya ye sab? wo heran hone ka natac karne laga
Aik kam karen fahad ko police k hawale kar dein khudi bol dega...
Abrar wo police ki girrft me hi he police ne bohat pucha he ause phir bhi wo kuch nahi kehta,
Abrar heran howa waqai wo kuch nahi kehta?
Nahi me bohat pareshan ho Abrar pata nahi kis haal me hogi wo kuch khaya hoga ya nhi kahan dhondo ause mein? kuch samjh nahi aaraha Aliyan apna sar pakre behta tha...
(Amaya ne sahi kaha tha ais k dil mein muhabbat bardh rahi he aus k liye
nahi me aesa nahi hone donga mujhe ais ki nazron mein Amaya ko girana hoga koi tarkeeb sochni hogi beta aliyan
ye tou kuch bhi nahi abhi tou tumhein or tarapna he
par pehle ye sochna he Amaya ko ais ki nazron mein giraon kese?) abrar dil mein tamam baatein sochne laga...
Aliyan bhai ap aesa karein police ko kahein wo fahad ki mar lagae tab shayad wo kuch bol de
Abrar tum shayad bhool rahe ho k fahad bhi aik wadera he hamare khandan ka aik naam aik status he aese kese police ause mar war sakti he
fahad k pas acha khasa shatir lawyer he aus k hote hoe police fahad ko hath bhi nahi laga sakti
wo koi na koi case police pe bana de ga
or phir inspector sir baba se milna chahte he par mene auneh nahi milne diya
shukar he inspector zaroon ka transfer ho gaya warna wo sab kuch amaya k baba ko bata dete
kiyon wo kiyon batate? kiya wo jante he major amir ko?
ofcourse jante he aun k ache dost he or phir Major amir ko kon nahi janta...
hMm kahin aesa tou nahi k amaya khud kahin chali gai ho abrar foran bola
Dimag kharab he tumhara wo kiyon kahi jae gi wo mujh se muhabbat karti he wo mujhe chor kar kahin nahi ja sakti
(wah dono ko aik dosre pe paka yaqeen he koi baat nahi me bhi abrar hun)
mujhe aliyan ki aik or kamzori mil gai ais ko amaya k parents ki nazron me girane ka acha chance mila he
wo mann hi mann khush howa acha bhai me chalta hun koi kam ho tou yaad zaroor ki jiye ga...

                        ---------********--------*********---------

hey sweety abhi abhi tumhare shohar ko tarapte hoe dekh kar aa raha hun bohat maza aa raha he mujhe sab ko pareshan dekh kar
bohat hi happy family thi na tum logon ki tor di mene ye khush'hal family mar raha he wo
tumhare liye par ye tou shuruwaat he
agey agey dekho mein kiya karta hon
oh bechara zain Amaya aik bar phir tumhari wajah se zain or anaya ki shadi ruk gai...
Oh tum tou soi hoi ho me khama'khuwa itna bol gaya khair utho ye dekho me kiya laya hun
ab uth bhi jao tumhare liye shadi ka lehnga laya hun tum kitni khubsoorat lago gi ais lehnge me aj hamari shadi hogi
Aj tum Mrs.Abrar ban jao gi tumhein andaza bhi nahi he k me kitna khush hun
Me janta hun tum meri baatein sun rahi ho natac mat karo ab uth jao
ab wo aus ka bazu hila kar ause uthane laga amaya amaya wo aus k chehre pe thapar mar k uthane laga,
par wo nahi uthi ye uth kiyon nahi rahi mar tou nahi gai?
amaya utho tumhein uthna hoga aj hamari shadi he baal bikhre hoe chehre par amaya ko kho dene ka khof wo bilkul paglo jesa lag raha tha
wo foran doctor k pas bhaga or doctor ko apne apartment mein le aaya...
wo Amaya ko bahar le jane ka risk nahi le sakta tha har tarf police amaya ko dhond rahi thi

Doctor sahab ye dekhein meri bivi ko pata nahi kiya hogaya he me aaya tou ye behosh thi
Doctor amaya ko dekh kar heran reh gaya, aus ne ahsta se doharaya amaya or ais ki bivi?
shayad aj phir khuda ne amaya ki madad karne bheja tha ya shayad amaya ki dua qabool hogai thi shayad koi maujza hone wala tha...
Doctor sahab meri bivi ki tabiyat thek nahi ap koi aesa injection dein jis se ye bacha mar jae me ap ko paise bhi dene k liye tayar hon abhi me ye sab nahi chahta...
Dr.Anas herani se Abrar ko dekhne lage thek he mujhe 50,000 do tumhara kam ho jaega
thankyou doctor sahab ap injection lagaein...
abhi Nahi jis waqt ap mujhe paise den ge me ausi waqt injection laga donga or ap ki bivi ki condition bohat kharab he jald hi hospital admit karna hoga...
Nahi doctor me apni bivi ko hospital nahi le kar jaoga jo bhi ilaj karna he yahin ghar mein karein..
thek he me apne hospital se kuch saman le ata hun..
                   -----****----****----****------

itna tayar shiyar ho kar kahan ja rahi ho? aik khatoon anaya ko gorrte hoe bolin
phuppo me zain k ghar ja rahi hun aunty ne bulaya he or me tayar kahan hun bas naya soot hi tou pehna he
zain k ghar kiyon? wo log karachi kab shift hoe?
kuch mahine pehle wo gaon se yahan shift ho gae he
acha or aus ki ami ne tumhein kiyon bulaya he?
mujhe kiya pata wo tou ja kar hi pata chale ga
Rashmin phuppo apne eye-glases niche kar k ause gorrne lagin
larki tumhari chalaki mere samne nahi chale gi khoob janti hun mein tumhein milna zain se he or bahana aus ki maa ka
anaya k chehra zard ho gaya phuppo ye kiya keh rahin hen ap ko yaqeen nahi tou ap ki abhi aunty se baat karwa deti hun
ary rehne do mujhe nahi karni kisi se baat or koi zaroorat nahi wahan jane ki tumhari maa ko tou aqal hi nahi he mauh utha kar beti ko sasural bhej deti he
Rashmin Aapa wo apne sasural nahi amaya k ghar jati he
hanw tou kiyon jane deti ho amaya k ghar wo kambakkat'mari kabhi prdhne chali jati he tou kabhi kahin or anaya ki shadi hi nahi ho k de rahi wo mauh bana k boli
phupo ki baat pe anaya ka chehra ghuse se lal ho gaya aus ne kuch kehne k liye labb khole hi the k aus ki ami hath pakar kar ause kamre me le gain
kiya he ami ap mujhe yahan kiyon lain?
beta tumhein tou pata he appa ki adat ka tum kiyon ghusa hoti ho
ami kiyon na ghusa hu wo meri best freind ko ulta kiyo keh rahi he kis ne haq diya auneh apna ghar basa nahi saki or aa gai hein hamari zidagiyan haram karne bari aain amaya ko ulta bolne wali
aynda me aun ka lehaz nahi karon gi keh di jiye ga apni ladli nan'nd ko anaya ghuse me bolti hoi chali gai
sehan me aai tou phir phuppo se ruburu hoi
aey larki kahan ja rahi ho samjh nahi aata tumhein kahin nahi jao gi tum chalo andar
me jaon gin or abhi aisi waqt jaon gin or agar ap ne dobara kabhi amaya ko kuch kaha tou acha nahi hoga wo mauh bana kar chali gai!
lo adaein tou dekho larki ki bohat lambi zuban he aj kal ki nasal ko najane kiya ho gaya he hamare zamane me tou larkiyan shadi se pehle sasural me qadam tak nahi rakhti thin
rashmin phuppo khud se baatein karne lagin..
                    ----****----****----****-----
 
Ais larke ne hamein kahin mauh dikhane k qabil nahi chora pore shehar mein har jaga itni izzat he hamari or ais larke ne hamari izzat matti me mila di
log tarah tarah ki baatein kare ge jab sab ko ye pata chale ga k fahad alam jail me he akhir kiya kami thi hamari parwarish mein
Badar alam apne kamre me behte ghuse se chila rahe the
darwaze pe dastakh hoi knok knok!
Andar aajao
Anaya kamre me dakhil hoi ASALAM WA ALAIKUM! kese he ap dono?
wa alaikum asalam kese hona he beta tenshion mein he Mrs.Badar k chehre pe udasi thi
anaya foran aun k pas ja k behti kiyon kiya howa aunty sab khariyat tou he ap ne mujhe kiyon bulaya?
beta tumhein ye batana tha k amaya kidnap ho gai he
Kiya amaya kidnap aus ne lafz dohrae aus k chehre pe herani bhare tasurat the
par kese kis ne kiya kuch pata chala Aliyan bhai kahan he?
Aliyan ko fahad pe shak he or aus ne fahad ko arrest karwa diya or har sabot fahad k khilaf bol raha he mera beta jail me he anaya wo aus k gale lag kar rone lagin
aunty ap khud ko sambhale please ALLAH sab behtar kare ga ALLAH pe bharosa rakhein
fahad alam uth khadre hoe Aus nalayaq ko zaroorat kiya thi kisi or ki bivi pe nazar rakhne ki bohat ishq sawar tha ab rahe jail me sari zindagi
Aliyan itni asani se ause jail se reha hone nahi dega badar Aalam aik bar phir ghuse me chilae!
Anaya hamare bachon ko tou jese Nazar hi lag gai he har koi kehta tha ain teeno me kitna piyar he sage bhaiyo se bhi ziyada salook he or aj wohi bhai aik dosre se nafrat karne lage he
fahad kehta he aus ne kuch nahi kiya wo beqasoor he par aus k pas apni beqasoori ka koi saboot nahi
me janti hun Aliyan phir se toot gaya he wo fahad se bohat muhabbat karta he or fahad ki ais harkat ne ause tor diya he ause fahad se nafrat ho gai he Mrs.Badar rote hoe bol rahi thin
Anaya ko kuch samjh nahi araha tha ye kiya ho raha he
aus k dimag me bas yahi chal raha tha k amaya kahan hogi kis haal me hogi?
badar alam ko lagta he ye harkat aun k apne khoon ne ki he or auneh bhi ais waqt fahad se shaded nafrat ho rahi thi..

Mrs.Badar uth kar badar alam ki tarf lapki
badar ham sab ne Amaya k lahore jane wali bat tou aus k ghar walon se chupa li thi par ab aus k kidnapping ki baat kese chupaein ge?
ap please Mustafa bhai jan ko yahan bula lein or beht kar mashwara karein koi na koi hal nikal jae ga
Mustafa Bhai jan Aliyan ko samjhae ge k wo fahad ko reha karwa de please kuch karein badar mera bacha do din se jail me he pata nahi police ka kiya raviya hoga
Auno ne apni bivi ki janib dekha Me gaya tha police ne ause kuch nahi kiya sab ham se waqif he k ham izzatdar log he
police ka kehna he wo apne tor par investigation kar rahe he filhal wo fahad se narmi se pesh aa rahe he
Mustafa bhai jan ko pata nahi Aliyan ne kuch bataya bhi he ya nahi?
tou ap pochein Aliyan se ause foran bulaein...
nahi filhal ause akela chor do me gaya tha aus ki tarf mujh se aus ki halat nahi dekhi ja rahi thi
fahad ne bohat galat kiya he ause aesa nahi karna chahiye tha mera ab bas aik hi beta he zain badar Alam...
wo kehte hoe wahan se chale gae Mrs.badar alam rone lagin
Anaya ne auneh sumbhala aunty please ap chup ho jaein uncle ghuse me he ais liye auno ne aesa kaha..
                  ----****----****----****-----    

Dr.Anas ne abrar k apartment se niklte hi apne cell phone par number dail kiya..
call ja rahi thi par agey se koi receive nahi kar raha tha!
aunoo ne aik message send kiya!
kahan ho mujhe tum se milna he foran apne ghar ka addres send karo...
wo hospital mein the jab auneh message ka reply aaya or wo foran aus address par phunchne k liye nikal gae!
kuch der bad Dr.anas Aus address par phunche..
Amaya kahan he? auno ne sawal kiya
Pata nahi Dr.anas aik hafta se ziyada hone ko he or Amaya ka kuch ata pata nahi he police bhi har jagah dhond rahi he fahad kuch bol nahi raha he police ki girft me he...
Mujhe kuch samjh nahi aa raha kiya karun kahan dhondu ALLAH se ro ro kar duwaein kar raha hun mujhe pora yaqeen he ALLAH meri madad kare ga mujhe mere sabar ka phal mile ga
me bas ALLAH ki tarf se madad ka muntazir hun
Dr.Anas aus k qareeb aae samjho tumhari dua qabool hogai madad aagai ALLAH ki tarf se
Kiya matlab me samjha nahi? aus k chehre par herani bhare tasuraat the
Mujhe pata he Amaya ais waqt kahan he or ye kiya kiya tum ne Aliyan fahad beqasor he amaya ko abhi me dekh kar aa raha hon aus ki condition bohat kharab he
aus ki halat se lag raha he ause buri tarah se mara pitaa gaya he wo Abrar naami shakhs k apartment mein he kiya tum jante ho kisi abrar ko?
Aliyan k chehre ka rang urd gaya ankhein phati ki phati reh gain
'Abrar' aliyan ne herani se lafz duhraya Amaya ko abrar ne kidnap kiya?
ab aus ki ankhon mein ghusa tha mera chachu ka beta he wo ause pasand karta tha par amaya ne kabhi ause koi response hi nahi diya tha
aus ne amaya ko mara me ause choro ga nahi abhi chalein mere sath dr.anas ab aliyan ki ankhon me khoon utar aaya jese wo bas jate hi abrar ko mar dale ga...
Dr.anas ka phone bajne laga Abrar calling!
Hello dr.sahab paiso ka intezam hogaya he ap foran aa jaein agey se wo shaks keh raha tha
thek he me ata hon ye keh kar dr.anas ne phone band kar diya!
Aliyan abrar ka phone tha aus ne mujhe koi aesa injection lagane ko kaha tha jis se amaya ka baby---mene kaha 50,000 hazar do kam ho jae ga wo bula raha he k paiso ka intezam ho gaya!
chalein foran chalein dr.anas aj me aise nahi choro ga injection tou me aise lagaon ga or aese lagaon ga k yaad rakhe ga ais shaks ki wajah se kitna tarpa hon mein
ais shaks ne meri amaya par hath uthaya me ais k hath tor dunga Aj aik bar phir wo ghuse wala poraana Aliyan ban gaya tha
ghuse se laal ankhein, ghuse mein uthi hoi naak,mathey par bikhre baal...
                                          -----****-----*****-----****-----

                                                  To be continue...

Thursday 10 December 2015

Episode 19 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain

Episode 19
                 Amaya or aus ki ajeeb chahat by Muntaha Arain




Agle Roz Amaya k saas sasur bhi karachi aagae the
Amaya se mil kar wo buhat khush hoe Anaya ko khabar mili tou wo bhi foran dordi chali aai
Amaya Mr.Mrs Mustafa k sath lawn mein behti thi jab Anaya main gate se andar dakhil hoi wo amaya ko dekhte hi bhaagti hoi aai or gale lag kar zor zor se rone lagi
par Mr.Mrs Mustafa k samne wo kuch keh nahi pai...
kuch hi pal mein ghar k barabar wali Rafia aunty bhi amaya ki khabar sun kar milne aa gai
beta kesi rahi pardhai course pora ho gaya tumhara ab kahin mat jana apne shohar k sath zindagi guzaro bechara pata nahi kese teen saal bivi k bina raha he
wo kehna chahti thi (jee narazgi ka course tha jo teen saal mein pora hogaya)
Rafia aunty mein bivi se dor thori tha me tou roz skype par baat kiya karta tha wo muskuraya...
Zain bhi amaya se milne aaya amaya k aane se sab buhat khush the
Amaya or Aliyan shadi k baad dosri bar Amaya ki haveli gae the aus k mama baba se milne
Aik hafte baad Mustafa Alam Apni bivi k hamrah gaon wapas chale gae!              
                ----****---****----****-----
Anaya se agli mulaqat Raat Daining table par hoi zain or Anaya dono hi aae hoe the
Aik hafte baad aj anaya ko Amaya se baatein karne ka moqa mila tha
Amaya tum kahan chali gai thi tumhein andaza bhi he k hum kitna pareshan the
anaya plate me khana nikalte howe boli...
Bhabi ap ko andaza nahi he bhai jan or hum kitna pareshan the ap ne aik nahi suni or bina batae
chali gai km az km aik bar tou hum sab ki baat sun letin
zain pani k glass se sip lete howe bola,
pehle sab aram se khana kha lo phir baatein kar lena Aliyan muskura kar bola...
Aliyan khush tha wo apne dukh bhool chuka tha wo khush tha k wo Amaya k sath khana kha raha he Amaya sahi salamat aus k sath aus k pas behti he...
Nahi bhai jan humhein bhabi ko batane dein k kiya kiya howa he aineh kuch bhi andaza nahi he
bhabi ko ap galat lag rahe the
par bhabi bhai jan galat nahi the ab zain tissue paper se hath saf karne laga,
Amaya chup chap aus ki baatein sunti rahi or kisi soch me mubtala hogai (kon he kis ne kiya?)
Amaya kahan gumm ho? Anaya ne apni tarf mutwaja kiya
kuch nahi ab wo uth khadri hoi or plates utha kar kitchen ki janib lapki
Aliyan or zain bahar lawn me ja kar beht gae thandi hawa chal rahi thi...

Anaya bhi aus k piche kitchen me aa gai or slap pe chard kar beht gai Amaya tumhein pata he jab doctor ne bataya tum ais duniya me nahi rahi
Aliyan bhai ye sun kar bilkul pagal se hogae the ajeeb ajeeb harkaten karne lage
bohat roe bohat khuda sa duwaein ki or aliyan bhai ka haal bohat bura tha Mujhe yaqeen nahi a raha tha k ye wohi Aliyan he jo kabhi tum se Nafrat kiya karta tha
or mene pehli bar auneh namaz pardhte dekha wo bhi hospital mein jab dua k liye hath uthae tou ankhon mein mote mote ansu the
Amaya sink k pas khadri bartan dhone mein masroof thi
Amu tum sun rahi ho na me kiya keh rahi hun? wo sawaliyan nigahon se ab amaya ko dekhne lagi
hanw me sab sun rahi hun or tum farig behti bilkul bhi achi nahi lag rahi chalo chae(tea) banao
Awww ghar aai mehman se tum chae(tea) banawao gi amu tum kitni kam chor ho gai ho wo mauh bana kar boli
amaya apni hansi dabae ause dekhne lagi acha ab agey batao phir kiya hoa?
Nahi ab me nahi bata rahi wo mauh bana k boli or chae banane k liye khadri hoi gai
amaya khamoshi se bartan dhoti rahi kuch der kitchen mein khamoshi rahi phir achnak anaya boli acha suno phir agey baat!
haha amaya keh'ka laga kar hansi ab kiyon bata rahi ho Rehne deti Mujhe pata tha tum zaroor batao gi tabhi mene zid nahi ki
Anaya jawab me muskurane lagi amu tum ab bhi wesi hi ho shararti masti'khor Egostic
ab please aesi hi rehna tum aese hi achi lagti ho
ab jawab me amaya bhi muskurai!
hanw tou me kahan thi? wo mauh opar kiye kitchen ki chaaaht ki janib dekhte hoe apna sehda hath apne gaal pe rakhe sochne lagi
hanw yaad aaya aus waqt ham sab toot chuke the ro rahe the or ALLAH ne madad k liye Dr.anas ko bheja auno ne bataya k tum zinda ho,
phir hamare chehro pe khushi aai!
Amaya Anaya ap log chae bana rahi hein ya pae? bahar se Aliyan ki awaz sunai di
Anaya foran cup me chae dalne lagi or dono tray hath me liye bahar lawn mein gain
itni der chae banane mein? Zain auneh dekhte hoe bola
Me bartan dho rahi thi or chae Anaya ne banai he Or Amaya ne kuch kehne k liye lbb khole hi the k Aliyan foran bola or ain dono ki baatein zain tumhein tou pata hi he
ab wo dono aik dosre ko dekhte hoe muskurae
kiya chae anaya ne banai he? bhabi ap ko yaqeen he k ye chae thek ho cheni ki jaga namak tou nahi dal diya na?
Anaya mauh bana k ause dekhne lagi or jawab mein khamosh rahi
Zain pee lo jesi bhi banani he ab tou sari zindagi tum ne anaya k hath ki chae hi peni he Aliyan chae ka sip lete hoe bola!
sab hansne lage Anaya ghuse wala mauh bana k behti thi amaya phir se kisi soch mein doob gai thi
wo sochte hoe boli Doctor ne aesa kyon kaha k me mar gai? amaya ne herani se bari bari teeno ko dekhte howe sawal kiya...
pata nahi bhabi wo doctor gayab hi hogaya he koi nahi janta aus ne aesa kyon kiya?
amu tumhare jane k bad aliyan bhai bohat toot gae the auno ne khana wagera chor diya tha sab se milna chor dya tha
apne ap ko kamre me band kar liya kai mahine yehi haal raha phir hum sab ne samjhaya k agey pori zindagi padri he Ap aese himat nahi haar sakte
ALLAH pe yaqeen rakhein sab thek ho jae ga bas ab ap ko khud ko prove karna hoga khud k liye nahi tou amaya k liye hi sahi...
phir Aliyan bhai ne hamari baat mani or khud ko band darwazo se bahar nikala Industry ka naam change kiya
pehle se ziyada mehnat ki or aj wo pehle se bhi ziyada kamiyab bussinesman hen...
Tumhein kahan kahan nahi dhonda par kise khabar thi k tum Lahore chali jao gi chalo ab tum aagai ho tou sab kuch thek hojae ga
ab hum chalte he ap log rest karein
Anaya wahan se uthne lagi kisi ne aus ki kalai pakri mere sath kamre me chalo kuch bat karni he amaya ause apne sath le gai...
Bolo amu kiya baat he?
tum ne shadi kiyon nahi ki?
kyon k tum nahi thi or tumhari ger'hazri me hum kese shadi karte?
par anaya ye tumhari life he amaya k chehre pe ajeeb tasuraat the
or tum bhi tou meri life ho amu wo muskura kar boli,
fahad bhai kahan he anaya wo kyon nahi aae?
Anaya kuch pal khamosh rahi,
bolo chup kiyon ho?
actually Aliyan bhai ne fahad bhai se rishta khatam kar diya he or hospital me auno ne fahad bhai
ko bohat mara tha
what mara tha--rishta khatam kar diya par kiyon? aus k chehre pe herani chah gai
Auneh lagta he k fahad bhai ne tumhare juice me zehar milaya tha..
zain ne na hi bhai ki side li na aliyan bhai ki aus ne bas haq ki baat ki k wo dono se milley ga kisi se rishta khatam nahi kare ga
wo tab tak fahad bhai se rishta khatam nahi kare ga jab tak koi saboot na mill jae k fahad bhai
mujrim he..
tou kiya waqai zehar fahad..... amaya k lafz wahin toot gae wo beht pe beht gai
pata nahi, wese fahad bhai ne kaha tha wo apne ap ko begunah sabit kar k dikhae ge
Amaya Aliyan bhai tum se bohat muhabbat karte he tumhein nahi pata tum ne kitni aziyat di he auneh bas kardo bohat saza de chuki tum auneh
jab se dr.anas ne sab kuch bataya tab se Aliyan bhai ko tum se kai ziyada muhabbat hogai he or wo buhat badal gae he..
kiya bataya dr.anas ne?
yehi k kese kiran ne aun ki nazar me tumhein giraya wagera wagera chalo me chalti ho
ALLAH HAFIZ....

fahad ne zehar---dr.anas ki baatein---Aliyan aziyat---fahad se rishta khatam--- kuch samjh nahi aa raha jese kisi ne pahad sar pe tor diya ho,
wo apna sar pakre wahin bed pe behti thi YA ALLAH ye sab kiya he akhir kis ne zehar? kiya waqai fahad.....?
nahi wo aesa kyon kare ge wo tou khush the aun k dil mein tou koi burai na thi, tou phir kis ne........??
amaya k zehan me kai sawal andhi tofan ki tarha uth rahe the...
                               ------*****------****--------****-------

Aik Roz Amaya lawn me ghaas par behti zameen pe hath pheer rahi thi jese kuch soch rahi ho Aliyan ghar aaya tou aus ki nazar ghas par behti amaya pe padri
jo dhile dhale safeed pajame pe ghutno tak halki gulabi lambi qameez me malboos kamar tak khule howe silky ball wo ab apne baal hathon me sameete judraa banane lagi
chehre par masomiyat sajae opar Asman ki janib dekhne lagi!
sham ka waqt tha Asman par kali ghataa chai howi thi!
kuch hi der me zor dar barish hone lagi wo uth kar andar ki janib bhagne lagi kisi ne aus ki kalai mazbooti se pakar li ghabra kar piche dekha tou
blue jeans par safeed shirt mein malboos hamesha ki tarah aliyan acha lag raha tha...
Andar chalein bohat tez barish ho rahi he..
Nahi aj ais barish ka maza lene do, humare dukh,narazgi,porani baatein jin se humhein dukh phuncha he aun sab ko aj ais barish me beh jane do...
barish se gelee baal mathey pe bikhre hoe the, hawa bhi khoob chal rahi thi dono kuch der aik dosre ko dekhte rahe jese aj pehli bar mille ho
jese baat karne ko kuch na ho....
Aik larki Amaya
Barasti hoi Barish si,
Masoom Adaon si,
khoobsurat shehzadi si,
Aik larka Aliyan
mangi hoi duwaon sa,
bin barsi barsat sa,
pur'kashish adaon sa!

Amaya tumhein pata he tumhari kis baat ne mujhe tumhara deewana bana diya he?
Nahi mujhe nahi pata wo halka sa muskurai
Tumhari sachai, tumhari straight'forwardness, tumhara ikhlaq, tum sirf chehre se hi nahi andar se tumhara dil bhi bohat khoobsurat he
or tum sab se munfrid ho tum khud se ziyada dosron k bare me sochti ho tum bohat achi ho...
Acha bohat jaldi khayal aagaya wese mujhe nahi lagta k me sab se munfrid hon wo muskurahat chupate howe boli, or pholon ko piyar karne lagi...
Barish ab bhi utni hi teez ho rahi thi
yar jo quaility insan mein ho ause maan lena chahiye k han ye khas baat mujh me he jo dosro
me nahi intezar nahi karna chahye k koi dosra hi tareef kare
kyon k ab log kisi ki tareef mushkil se hi karte he,
Aliyan ne ause kaaail karne ki koshish karte howe kaha
wo apni kanch si chamkeeli ankhein aliyan par markoos karte howe muskurane lagi...
filhal aus k dimag se wo sab batein gayab hogai thi jo wo soch rahi thi, or bas apne shohar ki
baaton ko enjoy karni lagi or labooon pe muskurahat sajae rakhi
ab amaya ka hath aliyan k seene par aus k hathon k niche daba howa tha
piyaar bhari nigahon se dono aik dosre ko dekhne lage barish or teez hogai

Nobody has ever made me feel the way you do!
wo ause dekhte howe muskura kar bola....!

Amar Pareem ka Agar koi Laad ka Naam hota Tou wo Amaya Aliyan hota!
                                  -------****-------*****------****-------

Aik Roz Aliyan der se ghar aaya kamre me dakhil hoa tou amaya ko sote hoe paya
amaya ko uthana musanib nahi samjha wo bohat thaaki hoi lag rahi thi!
zulekha kuch roz ki chuti le k apne ghar chali gai thi
aus ne khud kitchen me jaa kar khana liya or khaa liya, kamre mein aa kar sofee pe beht gaya or amaya ko dekhne laga
jo kambal ordeee chehre pe masoomiyat sajae bed pe so rahi thi...
wo sochne laga kiya ain teen saalo me amaya ne mujhe kabhi yaad nahi kiya hoga?
kiya ause hamara rishta kabhi yaad nahi aaya hoga?
Amaya ne mere bina kese itna waqt guzar liya kai sawalaat dimag me chal rahe the...
Aliyan ne kapre change karne k liye almari kholi tou aus ki nazar aik kitaab pe prhi purple colour k box me mehfooz wo ause utha kar dekhne laga...
or wo box hath mein liye kamre se bahar chala gaya jab box khola tou aus mein amaya ki dairy thi ause laga shayad aise pardh kar ause apne tamam sawalon k jawab mil jae
wo foran dairy khol kar safhee badalne laga...
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dear dairy, Mein sab kuch chor kar Lahore aagai hon me nahi janti mene thek kiya ya galat
par me Aliyan se bohat ghusa hon nafrat he mujhe aus se wo mere sath aesa kese kar sakte he?
Aus ne mujhe se badla lene k liye shadi ki, aus ka kisi or k sath afair-- wo mujhe dokha deta raha
wo sweet behaviour shadi sab dokha tha
Mujhe tou ye soch soch kar khud pe ghusa aa raha he mene Aliyan pe aitbar kese kar liya mein tou kabhi kisi se dokha nahi khati thi mujhe to yaqen hone laga tha k mujhe logon ki pehchan he,
zindagi me pehli bar aetraf kar rahi hon k me pagal hon bewaqof hon mujhe koi bhi
aram se bewaqof bana sakta he,
Aliyan k bare me bina kuch jane me ause pasand karne lagi mene aik bar bhi nahi socha k
aus ki apni zindagi kiya he?
mene sachai or achai k phande gale me daal rakhe the mere tou na achai kam aai na sachai
hamesha logon ne mujhe dukh hi diya he mene tou kabhi kisi ka bura nahi chaha
kabhi kisi se fareeb nahi kiya phir tum kyon meri zindagi me aae kiya bigara tha mene
tumhara mujh se shadi kar k kon sa badla liya he tum ne?
me janti ho aik hi baat se tumhein mujh se nafrat thi k social side pe tang kiya par kon samjhae tumhein k mene kabhi tumhein tang nahi kiya...
kiyaa Aliyan ne mujh se aus baat ka badla liya he....??
par mene tou aliyan ko bataya tha k mene tang nahi kiya, tou phir kiya ause meri baat pe yaqen nahi aya.....?
ya rab meri madad kar mujhe kuch samjh nahi araha ye sab kiya ho raha he...
jo dil wale hote he na dimag wale jamm k aun ka aistemal karte he
or kiran ne mere sath kuch aesa hi kiya!
oh kiran kiya mila tumhein mere sath aesa kar k tumhara kiya bigara tha mene hamesha aik achi dost ki tarah tumhein buri chezzo se bachana chaha tha
me tumhein bad'dua bhi nahi de sakti mera rab mujh se naraz hojae ga or me tou tumhein maf bhi kar chuki hon...
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ye pardhte hi aliyan ko dachka sa laga, auski himat nahi ho rahi thi k agla safhaa khol kar pardhe
amaya mujh se nafrat--- me hamesha amaya ko galat samjhta raha
ab mujhe mehsoos ho raha he kisi ka nafrat karna kitne dukh ka bahis hota he
mene hamesha tum se nafrat ki ab mehsoos ho raha he k tum par kiya guzarti hogi
sahi kaha he kisi ne! jo takleef ap khud bardasht nahi kar sakte
wo kisi dosre ko bhi na dein...
aus ki ankhon me ansu jhalakne lage wo sochne laga jab mujhe amaya ne bataya tha tab kyon mene amaya ki baat pe yaqeen na kiya?
ause khud pe ghusa aane laga or agla safhaa khol kar agey pardhne laga..
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dear dairy: khirdki k bahar barish k qatre girte dikhai de rahe he me khirdki k pass behti barasti barish ko tarsi hoi nigahon se dekh rahi hon
insan jis se bohat ziyada muhabbat karta he ALLAH ause ausi k hathon torta he kitna azaab hota he kisi ka kabhi nazar na aana kitna azaab hota he
ghar me akele rehna apno se door bohat door!
ALLAH sabar karne walo k sath he shayad ye meri koi azmaish he pichle teen saal se sabar kiya he ALLAH PAK mujhe agey bhi sabar karne ki toufeeq ata farma...
Mera ghusa shayad waqti tha mujhe ab Aliyan ki yaad ane lagi he me chah kar bhi aus se nafrat nahi kar paa rahi hun
kiya Aliyan mujhe yaad karta hoga? kiya anaya mujhe yad karti hogi? or wo juice ka glass aus me zehar!
mere dimag se ye baatein nahi ja rahi YA ALLAH tu jo karta he behtar karta he teri raza mein hi
meri khushi he
Siya ne jo mere hath ki lakiroon me dekha tha ye sab wohi tou ho raha he mere sath kiya waqai hath ki lakiren sachi hoti hen...
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Aliyan aus k likhe howe lafzon par hath pherne laga kuch lafz dhundle dikhai de rahe the shayad wo likhte waqt be'tahasha roi thi
aus k ansu aun lafzon par gire howe the jis wajah se lafz dhundle ho gae the wo mazeed
agey pardhne laga....
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Dear dairy: Aj mene Ayan sir ki party mein Aliyan ko dekha me foran wahan se bhag nikli aus ne apni Industry ka naam tabdeel kar k Shams industray rakh liya he,
aus ne aesa kyon kiya?
kiya wo apne kiyee pe sharminda he? me Aliyan k samne nahi jao gin shayad mera aus se door rehna hi behtar he
jese teen saal guzar gae baqi zindagi bhi guzar hi jaegi..
kiya Aliyan ne dosri shadi kar li hogi? aus larki se jis k messages ate the
Aliyan kafi khush dikhai de rahe the kiya mere bina wo khush hen?
itne sare sawal dimag me he par shayad aun ka jawab kabhi nahi milley ga,
shayad me aj bhi aus se muhabbat karti hon bal k me tou kabhi nafrat hi nahi kar pai hon Aus ki ankhon mein ansu the

Roti hoi andheri ankhon ka agar koi laad ka naam hota tou wo Amaya hota!

me janti hon sabar ka phaal metha hota he or khuda sabar karne walon k sath he,
mere dil me kisi k liye koi bad'gumani nahi mene sab ko maaf kiya
Aliyan ko kiran ko sab ko ALLAH kiran ki zindagi behtar kare aus k shohar ko sehdi raah pe chalne ki toufeeq de sab ko maaf kiya mene sab ko me aj pori raat ro gi aj asman bhi mere sath ro raha he ...
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tamam safhee teen saloon ki tamam baatein pardhne k bad Amaya mere dil me tumhare liye or muhabbat bardh gai he tum waqai bohat achi ho...
shukriya tum ne mujhe maaf kiya aus ki ankhein numm hogai mujhe mere sare sawalon k jawab mil gae...
par ye siya kon he? ais ne amu ka hath dekh kar kiya kaha tha?
amu ne kabhi mujhe kiyon nahi bataya? wo sochte hoe khud se batein karne laga
                             
                                -------****-------*****------****-------
               

Aese hi kuch waqt guzar gaya!
Aik bar phir zain or Anaya ki shadi ki tayarian hone lagi...
Amaya or Aliyan ko ALLAH ne aik bar phir khushi se nawaza...
ab Aliyan Amaya ka bohat khayal rakhne laga wo kuch bhi khaati pehle khud kha kar check karta phir ause khane deta sab bohat khush the shayad sari khushiyan wapas lout aai thi...

Aliyan do din se gaon gaya howa tha wo aj gaon se ghar aaya tou amaya ause kahin nazar na aai wo yahan wahan ause dhondne laga
wo dar gaya aus k chehre pe pareshani chaaa gai Amaya kahan gai?
khule taraozer pe lamba kurta garden ki gird maflar ki tarah duppata lapate ab wo apne silky ballon ko hath me samete ounchi poni karte hoe sink k pas aai or churri(knife) dhone lagi
ab wo sar jhukae khadri cutting board pe taak taak piyaas kat rahi thi ansu gaalon pe chamak rahe the!
kitchen k pas se guzarte hoe ause thak thak ki awaz sunai di wo tezi se kitchen mein dakhil hoa
Amaya ause ata dekh muskurai
halke salety colour ki cotton ki shalwar kameez mein malboos bohat acha lag raha tha...
ause sahi salamat dekh kar aus ne ALLAH ka shukar ada kiya or aik lambi sans li
Asalam wa alaikum janab aap kab ae or kitchen mein kese aana howa?
wa alaikum asalam! tum yahan kiya kar rahi ho zulekha kahan he? Aliyan thora ghuse se bola
aus ne churri wale hath ki pussht se gaal saaf kiya, khana bana rahi hun or zulekha dosre ghar k kamon me masroof he ap bataein kiya khaein ge? wo muskurai
zulekha zulekha wo sadaein lagane laga
jee sahab kiya howa? wo bhagte hoe aai
tumhein pata he k Amaya ki tabiyat thek nahi he ause mukamal rest karna he tou Amaya kitchen me kese aai?
me tumhein mana bhi kar k gaya tha aise koi kam na karne dena or ye yahan khadri khana bana rahi he
ais ka matlab meri ger'hazri mein amaya sab ghar k kam karti rahi he
ainda me amaya ko koi kam karte howe na dekho wo ghusa me chila kar bola...
Zulekha ne foran aus k hath se churi pakri
wo kabhi zulekha ko dekhti tou kabhi aliyan ko
chalo amaya kamre mein wo aus ka hath thaame kamre ki tarf chalne laga
wo chalte hoe herani se aliyan ko dekhti rahi itni care pehle tou na thi itni muhabbat pehle tou na thi
wo dil me sochne lagi or sochte howe boli aliyan phir se ghusaa?
ab wo dono kamre me bed pe behte the i'm sorry par me kiya karon mujhe ghusa aa jata he chalo choro meri baat suno!
ap ki baat bhi sunti hun pehle ye batein baba jan mama jan kese he?
wo thek hein tumhare liye kuch gifts bheje he or baba jan dandt rahe the k amaya ko ghar pe kiyon chor k aae sath le ate...
jawab mein wo muskurai
me kafi din se kuch batana chah raha tha tumhein...
jee bolein!
Mene tum se bina poche tumhari dairy pardhi thi or mujhe jan kar khushi hoi k tum ne
mujhe maf kar diya or ham sab tumhein bohat yaad karte the me ne kabhi tumhen dokha
nahi diya or juice me mene kuch nahi milaya mujhe tou fahad ne diya tha or....
amaya ne aus ki baat kat di
or ap ko lagta he k wo harkat fahad bhai ne ki tabhi apne auneh mara or rishta khatam kar diya--
hanw par tumhein ye sab kese--? zaroor anaya ne bataya hoga
jee mere pochne par anaya ne bataya tha or me ye kabhi nahi chahti thi k meri wajah se ap dono bhaiyo k darmiyan koi larai'jhagdra ho,
ap auneh maaf kar dein or ghar wapas bula lein wo apni ankhon pe aae baal kan k piche karte hoe boli...
Nahi me ause maaf nahi karon ga me janta hun ye sab ausi ne kiya he ausi ne hamare bech larai dalwai wo abb bhi tumhen pasand karta he
tabhi aus ne ye sab kiya me ause har'giz bardsht nahi kar sakta wo ghuse me bola or zahir he ghusa kyon na aae ye jante howe k koi ab bhi aus ki bivi ko pasand karta he..
ab dimag mein phir se wohi sawalaat uthne lage, fahad ne aesa kiya..... or wo larki kon
jis k messages ate the....?
kiya kabhi ais haqeeqat k bare me pata chal sake ga?
Amaya ka zehan uljha howa tha wo khamoshi se lete ye sab sochne lagi....
Amaya ab me aik bat puchun? wo kuch sochte howe bola
jee puchen...!
ye siya kon he or aus ne tumhare hathon ki lakeron me kiya dekha tha?
seerat meri class fellow thi ause hath dekhna ata tha wo sab ka hath dekhti thi or mostly wo jo bhi batati thi sach hi hota tha
aik din mene bhi hath dikhaya aus ne mere past ki kuch baatein bilkul thek batai tou mujhe
yaqeen ho gaya phir mene aus se future ka pocha...
phir aus ne kiya bataya? aliyan dilchasbi se pochne laga...!
aus ne bataya k mere sath kuch bohat hi bura hoga jis wajah se mera aus insan se bharosa uth jae ga jise me behad chahti hon
kyon k wohi insan mujhe bohat dukh de ga mujhe bohat dukh miley ge shayad aik muskurahat k liye bhi tarson gi.....
ais se pehle k wo agey kuch kehti mene foran hath piche kar liya k ye kiya bakhwas he?
seerat kehne lagi jo tumhare hathon ki lakiron me he mene wohi bataya he par meri dua he k aesa kuch na ho or meri baat jhoot hojae....

par aliyan seerat ne jo kaha tha mere sath wohi sab tou howa he ab aun sab ki wajah galat fehmi thi ya kuch or par aus ki baat sach hogai amaya udasi bhare lehje me boli..
Aliyan khamosh raha or apna hath aus k kandhe par rakhte howe ause apne qareeb kiya or aus k sar par piyaar se chooma!
Mein ab ghusa nahi karon ga wada karo ab tum mujhe chor kar kahin nahi jao gi hamesha mere sath raho gi me ab kabhi tumhein dukhi nahi hone donga ab ham khush rahe ge amaya!

Muhabbat ka agar koi laad ka naam hota tou wo Aliyan hota
Roti andheri ankhon ka agar koi laad ka naam hota tou wo Amaya hota!
                -----****------****------****-----


kamra sara bikhra howa tha, almari se adhe kapre bahar nikal rahe the
bed ki chadar pe chae giri hoi thi, dresing table pe sab saman bhikra hoa tha or aik larki hath mein lipstick pakre sheshe mein khud ko dekhte hoe muskura rahi thi
kafi der se aik khatoon darwaze pe khadri ause musalsal dekh rahi thi!
wo larki ab bhi aisi tarah khud ko sheshe mein dekh rahi thi
Wo khaton zor se chilain ye kiya ho raha he?
aun ki awaz se wo larki aik dum choonki or lipstick hothon pe lagte lagte hothon se thora
opar naak k niche lag gai
aus ne foran kamre k darwaze ki tarf dekha Ami aap?
apne mujhe dara hi daya ye dekhein meri sari lipstick kharab hogai wo ab sheshe me khud ko dekhte hoe lipstick thek karne lagi..
kiya hal banaya howa he kamre ka koi aqal koi tehzeeb he tum mein sasural ja kar maa ko badnam karna
ab wo sheshe se nazrein hata kar apne kamre ka jaiza lene lagi
oh ye kiya mene kamre ka haal kiya banaya hoa he? wo dil me sochne lagi
Ami wo me chae pee rahi thi tou cup mere hath se gir gaya tha mene socha tayar ho k chadar badal dongi ap ne hi tou shor machaya howa tha
k market jana he jaldi tayar ho jao
hanw sab kuch mujh pe dal do apni galti mat man'na k tum kam chor ho apni best friend se kuch seekho
bal'ke choro jab tum itne saalon me amaya se kuch nahi seekh saki tou ab kiya seekho gi
tumhein tou tumhari saas sehda kare gi
ami ap bhi na bas amaya ki misale dene lag jati hein shadi se pehle wo bhi aesi hi thi
wo apne hont ko dandton me liye apni ami ko dekhne lagi
me nahi manti k wo tumhari tarah apne kamre ko ghanda rakhti thi tum ne jab bhi mujhe aus ki or apni tasverein dikhai thi aus ka kamra saf'sutra hi tha
har chez apni jaga pe samjhi
ami ap tou bohat tez hein ap tasveron mein yahi note karti thi kiya?
wo kitne piyar or naram lehje se baat karti he or tum tou jese khane ko parti ho aj ami zara lecture dene k mood mein thin
aus ki mama ka bhi mere bare mein yahi khayal he wo ahsta se boli!
har maa ko apne bache nalayaq hi lagte he ab market chalein ya ap ka lecture ka mood he?
bakoo mat pehle apne kamre ki safai karo phir jae ge!
wo kehte hoe wahan se chali gain anaya piche se awazein dene lagi Ami'Ami
uff aj tou ami full to action mood mein he acha hoa apna hatheyar "belan" sath me nahi lain
warna aik do lag hi jate
chalo beta anu safai karo amaya tumhein ALLAH poche ga wo mauh bana kar safai karne lagi!  
                         ----****----****----****----

Aliyan me kab se ap ko dhond rahi thi or ap yahan behte hein wo kamre mein dakhil hote howe boli,
Aliyan bed par behta kisi soch mein gumm tha ause aata dekh foran laptop ko apne samne rakh liya or nazrein churate howe bolna laga
yr ye laptop charge kiyon nahi ho raha kharab hogaya he kiya?
Amaya khamoshi se aus k qareeb khadri thi laptop ka charging cable uthaya or switch board mein laga diya or halka sa muskurai!
Oh me tou cable switch board mein lagana bhool hi gaya tha Aliyan zabardasti ka halka sa muskuraya wo ab bhi nazrein chura raha tha or laptop mein lag gaya!
Amaya ne laptop utha kar side table par rakha or aus k pas beht gai ap upset hein?
Nahi me kiyon upset hone laga or tum kiya har waqt meri jasoosi karti rehti ho jao na apna kam karo
Acha upset nahi hein tou nazrein kiyn chura rahe he mujh se me janti ho kuch tou he par ap batae ge thori ap ka ego jo itna he
Aliyan mein ap ki bivi hun atleast mere samne tou apni ego chor dein wo khamosh tha or amaya ab bhi ausi par nazrein makros kiye behti thi...
Fahad mera bhai jisse mene sage bhai se bhi ziyada samjha or aus ne dekho kiya kiya hamare sath mujhe bohat dukh ho raha he me bohat piyar karta hon aus se
par ab mujhe aus se nafrat si hone lagi he!
Aliyan ap ko pata he jab kabhi hamare dil mein kisi k liye nafrat paida hone lage tou hamein aus ki achaiyan yaad karni chahiye
ap sab kuch bhula kar auneh maf kar dein...
Nahi amaya mera dil tumhare dil ki tarah bara nahi he
Gaaltiyan qabil-e-mafi hoti hein
Agar man li jaein tou...
par aus ne ab tak apni galti nahi mani he or mujhe bohat taklef di he fahad ne or aus ki wajah se tum mujh se door hoi
hamare darmiyan galat fehmiyan hoi me kabhi maf nahi karo ga
mujhe hamesha dukh rahe ga ab aus ki ankhein numm hogai...
Najane pichli kitni raaton se wo Fahad ko yaad karta raha tha...
Aliyan jo log ghuse ko pee jate he
or dosron k qasoor maaf kar dete he
aese naik log ALLAh ko bohat pasand hein
tou kiya ap naik logon me shamil nahi hona chahe ge?
wo khamosh raha ankhein ab bhi namm thi
Aliyan tasleem kare ya na kare par ause ghuse k sath sath ab bhi fahad se utni hi muhabbat thi
Agle roz Aliyan office chala gaya..
Amaya ne side table pe rakha cell phone uthaya or number dail karne lagi...
agey se kisi ne call recieve ki, hello zain aik kam karo ge tum mujhe batao fahad bhai kahan he tum tou milte ho na aun se?
jee bhabi me janta hon par ap kiyn poch rahi hen?
mujhe fahad bhai se milna he aun se aus din k bare me jan'na he please ais bare me Aliyan se kuch na kehna...
ok bhabi no problem me fahad bhai ko keh doga wo ap se millne aajae ge..
thank you zain ye keh kar aus ne phone band kar diya...
agley roz, Aliyan book shelf k pas khadra books set kar k rakh raha tha Amaya ka cell phone bajne laga
Aliyan phone uthane hi wala tha k amaya ne foran apna cell phone utha liya or kamre se bahar chali gai
zain calling!
foran yes ka button press kiya bhabi food Area k pas mein jo resturent he wahan ja kar bhai Jan se mil lein
zain abhi aliyan ghar pe hein me abhi nahi ja sakti tum aik kam karo auneh kal sham ka keh do
jee jesa ap kahein ALLAH HAFIZ....

Agle roz wo driver k sath jane k liye ghar se nikli
ause mehsoos howa koi aus ka peecha kar raha he wo bar bar gadri ki window se bahar ki janib dekhti....
blue jeans pe feroozi qamez kohniyo tak aasten chardhae baal khule howe wo resturent me behti fahad ka intezar karne lagi...
kafi time guzar gaya fahad nahi aaya wo apni kalai pe bandhi ghadri me bar bar time dekhne lagi
itna time hogaya ye fahad bhai kyon nahi aae or mujhe aesa kyon lag raha he jese mera koi peecha kar raha tha
kahin aesa na ho k meri ye scheme mere gale aajae wo dil me sochne lagi or ab aik bar
phir wo time dekhne lagi!
kuch der bad ause mehsoos howa k jese kisi ne aus k sar pe koi cheez de mari he or
ab aus ki ankhein band hogai...
                        ----****----****----****----
Aliyan office se late ghar aaya tha kamre me aya tou amaya ause kahin nazar na aai
Amaya kahan ho tum?
wo kamre me yahan wahan balcony me ause dekhne laga wo kahin nazar nahi aai
kahan gain medam terrace pe tou nahi chali gai aus ne samne wall clock ki janib dekha
11:00 baj rahe he ais waqt amu terrace pe kiyon jae gi
wo foran terrace ki janib lapka
wo wahan bhi nahi mili, ab ye Amu kahan chali gai?
mana bhi kiya he k koi kam na kiya karo me ab koi risk nahi lena chahta phir bhi medam
lagin hongi kisi kam mein abhi ja kar dekhta hun!
Amaya amaya wo pukarte howe sedriyon se niche aa raha tha ause amaya ki tarf se
koi jawab na mila
wo pehle kitchen me gaya, phir daining haal mein, ab aus ne pora Ghar chaan mara
par wo kahin nahi mili wo pareshan ho gaya
zulekha zulekha wo chilane laga
jee sahab kiya howa?
Amaya kahan he? wo chilaaya
sahab mujhe nahi pata me tou ghar k kam me masroof thi..
wo jaldi jaldi phone pe number dail karne laga..
hello zain Amaya tumhari tarf aai he kiya?
nahi bhabi yahan tou nahi kyon kiya howa? zain ne preshani bhare lehje me sawal kiya
yr 11:00 baj rahe he or Amaya pore ghar me kahin bhi nahi he wo kahin jati bhi nahi he har jagah pata kar liya
acha bhai me abhi aata hun sath mil kar dhond'te he ap ne Anaya se pocha?
nahi tum aao me Anaya se bhi poch leta hun ye keh kar Aliyan anaya ka number dail karne laga,
hello anaya amu tmhare ghar he?
nahi bhai wo yahan nahi kiyon kiya howa?
nahi kuch nahi ye keh kar aus ne phone band kar diya...
kuch der me zain aagaya bhai apne mulazimo or driver se pocha?
han pocha par kisi ko kuch nahi pata aliyan ne "driver" lafz par koi khas dehan na diya!
yahan wahan har jagah ause dhondne lage kuch der bad khayal aaya driver zain tum ne driver ka kaha matlab tumhein pata he k Amaya kahen gai he?
zain khamosh raha...
zain me kuch poch raha hun bolo kahan he amaya tum jante ho wo kahan gai he Aliyan ghuse se chilaya aus ki ankhein ghuse se lal hogai...
Bhai jan mene tou wese hi driver ka kaha ho sakta bhabi kahin gai ho driver k sath shopping wagera!
Aliyan ne aus ki pori baat nahi suni or bahar ki janib bhaga zain bhi aus k piche bhaga
Gull khan yahan aao gull khan car ko kapra lagane mein masroof tha
jee Aliyan baba!
Amaya bibi tumhare sath kahin gai thi? Aliyan ne aik ghuse wali nigah zain par dali
jee Amaya Bibi ko ham food area k pas wale resturent mein le k gaya tha
tou tum ause apne sath wapas kiyon nahi lae? aus ne dobara zain par nigah dali jo aliyan se nazrein chura raha tha
bibi ne kaha mujhe thora waqt lage ga jab me farig ho jao gi tou call kar k bula lon gi
acha thek he ab Aliyan zain ko bazu se pakar kar andar le gaya
Ab kuch batao ge bhi ya chup rehne ka roza rakh liya he?
Me mulazimo k samne tumhari class nahi lena chahta tha
wo bhai jan b'bhabi ko wo atak atak kar bol raha tha
kiya bhabi ko agey bhi kuch bolo ge? bhabi k farma'bardar devar
bhabi ko fahad bhai se mil kar aus din k bare me maloom karna tha auno ne mujhe kaha k me ap ko na batao wo nazrein jhukae bolne laga...
what?zain dimag kharab he tumhara tum ne amaya ko aus k pas bhej diya jo pehle bhi aus ki jaan lene ki koshish kar chuka he
mujhe tum se ye umeed nahi thi Aliyan afsurda nighaon se ause dekhne laga...
ab chalo ausi jagah ja kar maloom karte he...
kuch der me wo log aus jagah phunch gae wahan k manager se pocha har aik se maloom kiya par
kisi ko kuch pataw nahi Aliyan ki ankhon me ansu jama hone lage...
zain tum ne kis number pe fahad ko contect kiya tha pocho fahad se ais bar me ause nahi choro ga
ais bar me kuch khayal nahi karo ga na tumhara na Badar chachu ka
Aliyan ki ankhon me junoon or ghusa tha...
zain number dail karne laga par number band tha Aliyan ka shak yaqeen me badal gaya!
Amaya ka kahin kuch pata na chala wo thaak haar kar ghar aa gaya or terrace pe tehalne laga
Amaya ko fahad ne phir se koi nuqsan----wo sochne laga raat k 2:00 baj gae Amaya kahan hogi kis haal me hogi wo chalte chalte
niche apne kamre me aa gaya
Amaya tum kahan ho? me kese tum tak phunchu? ab wo zameen par behat gaya kamre mein andhera tha
bahar tez barish hone lagi or aus ki ankhon se ansu behne lage ab wo utha or chalte hoe bahar road par agaya or soon'saan sadrak par chalne laga barish or bhi teez hogai
ya ALLAH ye sab kiya ho raha he abhi tou hamare bech sab thek howa tha abhi tou khushiyan hamari zindagi me wapas aai thi or ab phir....
Aey ALLAH! Mushkilaat mein mera hath pakar le
or mere samne har mamle mein haqaiq k sare pehlu khol de..

wo ab road par beht gaya Amaya tum kahan chali gai ho tum ne mujh se wada kiya tha k tum
mujhe chor kar kahin nahi jaogi
wo ab bachon ki tarah ro raha tha wo ais tarah ab dosri baar roya tha ab wo uth khadra howa!
kahan dhondo Amaya ko har jagah dekh liya wo kahin bhi nahi par me himat nahi haaro ga
me apni amaya ko dhond kar raho ga par kahan?
kahan dhondo ause mein?
me har hal mein Amaya ko dhond kar rahun ga
ALLAH meri madad kare ga
Amaya mere liye he or me aus k liye
ALLAH ne humein aik dosre k liye banaya he
ye raat kese kaate gi ye raat bohat aziyaat bhari raat he...
mujhe kiyon bar bar saza mil rahi he me tou apni galtoyon ki mafi bhi mang chuka hun...
Ab wo apne bazu phelae Asman ki tarf dekhte howe zor se chilaya Amaya where are you?

                                   -------****-------*****------****-----

                            To be continue...