Saturday 9 January 2016

Episode 23 Amaya Or Aus ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain

Episode 23                   Amaya Or Aus ki Ajeeb Chahat By Muntaha Arain


Mustafa Alam apni bivi k hamrah haveli wapas aa chuke the
shams aun k kamre me aun k pas behta tha
Bare baba shams aj sad he shams k chehre pe udasi chai hoi thi
Kiyon kiya howa hamare shams ko udasi ki wajah? Mustafa Alam ne aus k nanhe hath
apne hathon me liye
Shams ne aik nazar auneh dekha or aun k gale lag gaya Mama keh rahi thi
aj sham ko ham wapas ghar chale jae ge shams sad he kiyon k shams ap se dor nahi jana chahta
aus ki ankhein namm ho gai
shams ka lehja itna udasi bhara tha k Mustafa Alam ko aus pe mazeed piyar aane laga or
wo ause piyar karne lage beta ap jitne din chahon yahan reh sakte ho par hamesha tou
ap yahan nahi reh sakte ap ko study karni he school jana he ap k sab friends karachi me he
aese udas nahi hote mere bache auno ne shams ka gal thap'thapaya udas tou wo khud bhi the
shams ko yahin rehna he ap k sath wo aik bar phir bola
Acha ap ki mama ko kehte he yahan kuch din or ruk jaein thek he wo muskurate hoe bole
aun ki baat pe shams bhi halka sa muskuraya thek he!
Gul khan Amaya ko bula kar lao gul khan jo pas hi khadra tha hukam milne par foran amaya ko bulane chala gaya...
Amaya jo k safeed libaas me malboos dressing table k agey khadri apne gale mein khubsoorat sa necklace pehn'ne mein masroof thi jab darwaze pe dastak hoi
Amaya bibi ap ko Mustafa Saein bula rahe he?
Amaya ne hanw me sar hilaya or foran duppata sar pe liya or aus k piche piche chal di
Amaya sedriyon se niche aa rahi thi jab aus ne dekha k Aliyan niche khadra he
wo akhri sedri pe thi jab aus ka duppata pisala tou aus ne foran sar pe duppata le liya
Aliyan ne ause duppata lete dekha tou halka sa muskuraya Amaya sar pe hamesha duppata rakho karo sar pe duppata lene se orat Allah ki rehmat k sae me rehti he
aus ki baat pe Amaya muskura di or Mustafa Alam k kamre ki janib chal di...
Aus ne darwaza bajaya thak thak!
Amaya beta andar aa jao
Amaya ne andar dakhil hote hi sab se pehle salam kiya or aik nazar shams pe dali baba jan ap ne bulaya?
hanw yahan behto auno ne apne pas beht'ne ka ishara kiya
mene suna he ap log sham ko wapas ja rahe he?
jee baba jan hamein yahan aae do hafte se ziyada ho gae he Aliyan ki bhi kuch meetings hein phir shams ka school---Amaya agey kuch kehti auno ne baat kat di
kuch din or reh lo shams yahan se jane ki baat pe udas he or me bhi udas ho gaya hun
acha tou ap ko shams ne bataya? aus ne aik nazar shams pe dali jo chehre pe masomiyat sajae behta tha
Ap logon k yahan aane se haveli ko char'chand lag gae he bachon se hi tamam khushiyan he tum logon k jane k bad haveli phir soon'san si ho jae gi
Ap logon k yahan hone se kitni chehal'pehal he wo muskurate hoe bole jawab me amaya khamosh rahi
shams ap jao zain chachu dhond rahe the amaya ne ause jane ko kaha tou wo foran wahan se chala gaya
Amaya bete ap khush tou he na? Aliyan se koi shikayat tou nahi? Mustafa Alam sawaliyan nigahon se ause dekhne lage
Jee Baba Jan ALLAH ka shukar he me bohat khush hun or mujhe koi shikayat nahi bas kabhi kabhi ap k bete mein soya hoa khadros wadera jaag jata he amaya ki baat pe wo muskura diye
khadros wadera acha title he wese me tumhara bohat shukarguzar hun tumhari wajah se
Aliyan mein bohat badlaov aaya he mene kabhi socha nahi tha k
mera beta apna rishta,apne tamam faraiz,har chez itne ache se nibhae ga
Amaya me ap ko aik bat bataon? auno ne aik nazar amaya ko dekha
jee bolein Baba jan wo muskurai!
Me Aliyan ko le k hamesha se fikarmand rehta tha aus ki adatein aus ka life style sab kuch bohat different tha
bache apne bachpan me khelte he, sharartein karte he par Aliyan wo apne bachpan me khamosh hi rehta tha na koi sharart, na koi tang karna,
bas apne kam se kam rakhta tha jese jese bara hota gaya or ziyada akdru banta gaya na kahi aata jata tha, na kisi se koi dosti thi, bas shuru se hi fahad or zain se hi dosti rahi he
Mujhe fikar ziyada tab hone lagi jab Aliyan ne amer or gareeb me farq karna shuru kiya tha,
ause khud pe garoor hone laga tha, wo namaz bilkul nahi pardhta tha, zaroorat se ziyada aus
me akrd aa gai thi 
me bohat pareshan rehne laga tha k agey ja kar ye kiya kare ga kese sab kuch manage kare ga? 
pardhai ki wajah se Aliyan ziyada mere pas nahi raha wo karachi mein akela hi raha tha
mujhe ye bhi dar tha k kahin wo kisi ulti sehdi chezon me mubtala na ho jae
or bar bar me yahi ause samjhaya karta tha k kisi ulti cheezon me mubtala na ho jana izzat tou
wo shuru se hi baro ki karta he...
Aliyan k jo bhi rishte ate har larki k ghar walon ki bas dolat pe nazar hoti mujhe tou ye bhi dar lagne laga tha k ais k naseeb me koi achi larki hogi bhi ya nahi?
par jab se tum Aliyan ki zindagi me aai ho mujhe tou jese sakoon hi mil gaya he mera dil kehta tha k tum hi ho jo ause badal sakti ho or waqai tumhare ane k bad ahista ahista Aliyan badal gaya
wo namaz pardhne laga,wo masjid me azan dene laga,wo Quran Pak pardhne laga ause islam me intrest hone laga, aus ki akrd aus ka garoor sab khatam ho gaya
aus ne ghusa karna chor diya, wo sab se milne'julne laga, ause har cheez ka tarika aa gaya
Aj Aliyan bilkul wesa he jesa me hamesha se chahta tha
or ye sab tumhari wajah se hi hoa he Amaya mujhe ap par fakhar he!
ap ko pata he Mujhe aus waqt Aliyan pe bohat fakhar mehsoos hoa tha jab aus ne kal Masjid mein asar ki azan di thi or gaon k tamam log aus ki azan ki taref kar rahe the
kiya mithas bhara lehja tha bilkul aram or piyar se lafz khench khench kar aus ne azan di thi or
phir asar ki namaz k baad mene ause Quran pak pardhte dekha Amaya bete me bata nahi sakta
k aus waqt me kitna khush tha
pehli bar mene apni ankhon se ause Quranpak ki tilawat karte dekha tha aus waqt me bohat khush tha meri feelings or khushi aesi thi jese Aliyan 7saal ka chota bacha ho or wo "Amma para" mukamal hone k bad naya naya QuranPak me aaya ho
Me khamoshi se bina koi awaz kiye aus k piche beht gaya or aus ki tilawat sun'ne laga or mere dil ko itna sakoon mil raha tha meri khushi ka koi thikana hi na tha me ne pori zindagi aisi pal ka intezar kiya tha
Amaya jo k Baatein sun'ne me magan thi wo zara chonki ais pal ka intezar? aus ne lafz dohrae
Amaya me Aliyan ko Quran hafiz banana chahta tha par jis tarah ka wo tha mujhe aus se koi umed hi nahi thi agar me zabardasti bhi karta tou kiya faida
Quranpak zabardasti nahi pardhaya jata bas meri shuru se yahi khuwaish rahi he k mera beta kabhi masjid me behta QuranPak ki tilawat kar raha ho or me beht kar aus ki tilawat suno
aun ki ankhein namm hone k sath sath chehre pe halki si muskurahat thi...
Baba jan har chez ka aik waqt muqarar hota he har kam apne waqt pe hi hota he or ALLAH PAK ne Aliyan k dil me dala tabhi tou wo badle he or phir ap ki duwaein aun k sath thi ab wo muskurane lagi
or dono behte kafi der tak baatein karte rahe...!
                    ------****----****----*****-----*****-------
        
Kiya kar rahe ho chachu k tiger?
Shams jo k hath me tablet pakre game khelne me masroof tha apni nazrein tablet pe hi makroos
kiye hoe bola chachu shams game khel raha he ap khele ge?
Nahi yar last time ap k challenge ki wajah se Anaya mujh pe shak karne lag gai thi wo Chehre pe uktahat bhare tasuraat sajae bola
shams ne aik nazar aus ki janib dekha or Anaya k naam pe muskura diya
acha yar ap game khelo me zara dekho mere dono bhai kiya kar rahe he? zain ab wahan se uth kar chala gaya...
Aliyan or Fahad kuch mehmano k sath Guest'Room me behte the zain andar aaya tou Aliyan ause mehmano se introduce karwane laga
Ab mehman jane k liye uth khadre hoe tou Aliyan or fahad bhi khadre hogae or aun se milne lage..
Ab Mehman ja chuke the or wo teeno bhai soffee pe behte baatein karne me masroof the
Aliyan sky blue kurte me malboos hath me chae ka cup liye sofee k side pe behta tha fahad or zain bhi pas hi behte the
Fahad bhai ap ka mou kiyon utra hoa he? Ramsha bhabi ne phir se kuch keh diya kiya? zain shararti andaz me bola
Fahad ne samne table pe rakha magazine uthaya or magazine khol kar aliyan ki janib bardhaya yar Ramsha ko ye dress chahiye
kon sa dress idhar karein me bhi tou dekho zain ne foran nazrein magazine me makroos ki or hath ka ishara karte hoe bola ye dress?
han Ramsha ko aesa dress chahiye yar kahan phasa diya he ab kahan se lao aesa dress fahad mou latka k bola
zain apni hansi dabae bolne laga bhai jan ye dress ap ko Anaya mangwa de gi
Anaya par kese? fahad foran bola
Online internet se har waqt facebook use karti rehti he aik yahi tou kam he jo ause dhang se ata he
har dress ka ause pata hota he kon sa dress kis shop pe available he wagera wagera!
Zain ki baat pe wo dono hans diye wah wah chalo Anaya kisi kam tou aai Amaya koi social side use nahi karti kiya? fahad ne zain se sawal kiya
Bhabi ko ziyada tou mene use karte nahi dekha zain sar khujate hoe bola
zain ko kiya pata mujh se pocho Amaya bhi facebook,twitter,whatsapp use karti he par itna nahi jitna pehle karti---Aliyan wahin khamosh ho gaya
Fahad or zain ause gorne lage "pehle karti" dono ne aik sath lafz dohraya
Bhai jan ye "pehle karti" se kiya murad he? Ehm Ehm zain zara mazahiya andaz me bola
han wo shadi se pehle bas aese hi aik do bar mene auski facebook timeline dekhi thi pori timeline pictures or status se full thi Aus ki life me jo bhi chal raha hota tha wo foran status update karti thi "status Machine" ab Aliyan sar hilate hoe muskuraya
oh hoo bhai jan facebook timeline dekhte the acha ais se ap ko pata chalta rehta tha k bhabi ki life me kiya chal raha he zain ab tang khenchne laga
Aliyan chalo batao first time or last time tum ne Amaya ki timeline kab dekhi thi or aus pe status kiya tha? fahad ne ause dekhte hoe sawal kiya
choro na kiya ham facebook le kar beht gae he kuch or baat karo Aliyan ne baat talna chahi par fahad or zain sun'ne k mood me the
Aliyan hamein tou jan'na he ab sharafat se bata do Fahad ne ause kohni mari
acha batata hun mene first time aus ki timeline aus din dekhi thi jab mene university me sab k samne aus ki insult ki thi wo saalon purana scene yaad aane pe teeno ki hansi zara gayab hoi
"Today hasn't been any better but trying to ignore it & move on with the day" Aj bhi Amaya ka ye status mere dimag me chapa hoa he
or lahore jane k baad aus ne apni id deactivate kar di thi or phir fahad tumhari shadi k doran aus ne dobara facebook join ki thi or Anaya yahan nahi thi tou aus ne Anaya k liye status update kiya tha
"The absence of your silly face in my life is a tough way to live"!
haha "absence of silly face" zain kehka laga kar hansa wese ap ne last time fahad bhai ki shadi k doran timeline dekhi thi zain zara chonka
han aus k baad me ne ab tak facebook use hi nahi ki time hi nahi milta ab Aliyan ki chae bhi khatam ho gai thi...
wese mujhe bhabi k dono status ache lage yahi se andaza ho raha he wo status ache update karti hongi zain muskurane laga aus ki baat pe wo dono bhi hans diye...
tabhi tou mene ause status machine ka title diya tha Aliyan chae ka cup table pe rakhte hoe bola
                               ------*****--------*****-------*****--------

Amaya ab bhi wahin Mustafa Alam k sath behti Aliyan k bachpan ki baatein sun rahi thi wo budhe Mustafa Alam takiye se tek lagae bed pe lete the
Aun ki nazar darwaze pe gai tou foran bole Aliyan bete wahan kiyon khadre ho andar aao kuch pal apne baba k pas behto
Aliyan jo k ankhein namm kiye seene pe hath bandhe darwaze pe najane kab se khadra aun ki baatein sun raha tha wo khamoshi se chalta hoa apne baba k qareeb aaya or salam kiya
kiya hoa bete tumhari ankhein namm kiyon he? Mustafa alam k chehre pe fikarmandi k taasurat jhalke
Aliyan aun k pas behta or apne baba ka hath apne hathon me liya Baba Jan ye kuch hafte kese guzar gae pata hi nahi chala
mene kai arse bad ab pehli bar ap or mama jan k sath ziyada waqt guzara he or mujhe bohat acha mehsoos ho raha he ab aus ne apne baba k hathon ko chooma
jawab me Mustafa Alam muskurae tou Amaya bhi halka sa muskura di
Baba jan waqt kese guzar jata he pata bhi nahi chalta aik bar waqt guzar jae tou wapas nahi ata me
ais waqt bohat udas hun ab Aliyan ki ankhein mazeed namm ho gai
mere bete udas kiyon ho?
Ab Amaya ne apni nazrein Aliyan pe makroos kar li shayad wo samjh gai thi Aliyan k dimag me
kiya chal raha he?
Me Acha beta nahi hun
Amaya jo k ab Mustafa Alam k liye saib(Apple) katne me masroof thi aus k hath wahin ruk gae or herani se ause dekhne lagi or kuch pal ause dekhti rahi
Mustafa Alam ne aus ka matha chooma nahi mere bete aesa hargiz nahi he tum ne aesa kiyon socha?
Baba jan Mene kabhi ap k liye kuch nahi kiya, mene kabhi ap se pocha tak nahi k ap mujh se kiya chahte he ap ki khuwaish kiya he?
Mene hamesha apni man'mani ki mere ravaiye se ap kitna hurt hoe honge ab wo apne baba k gale lag gaya or rona shuru kar diya
Aliyan mere bache aesa hargiz nahi he tum tou mere bohat ache bete ho mujhe tum se koi shikayat nahi he tumhare past me tum jese bhi the wo tumhara apna aik andaz tha
or phir tum ne konsa kabhi mujh se badtmazi ki he ya mera kaha nahi mana he tum ne tou hamesha apne mama baba ki izzat ki he
tum ro kiyon rahe ho sharam karo aik bache k bap ho kar tum ro rahe ho?
shams dekhe ga tou kiya soche ga chup hojao wo aliyan ko khud se alag karte hoe bole
Ab Aliyan apne ansu saf karne laga bas baba porani baatein soch kar mera dil bhar aaya ap mujhe maf kar dein
bete me tum se naraz nahi hun bas kuch shikayatein thi jo ab nahi he ab mujhe fakhar he apne bete par kiya kabhi tumhein kisi ne bataya he k tum kitni khubsoorat azan dete ho
Mustafa Alam k chehre pe itni khushi thi jese kai mudaton bad wo aj khush hoe ho
Aliyan ne na me sar hilaya mene kabhi karachi me azan di hi nahi yahan gaon me hi di he
Qari Qasim kahin gae hoe the tou mene azan de di
or beta tumhein azan dene me itna maza aaya k tum pichle do roz se Masjid phunch jate ho azan dene Mustafa Alam ki baat pe ALiyan muskura diya
Aliyan tumhein pata he tumhein namaz or Quranpak pardhta dekh mujhe kitni khushi hoi he bas samjho meri sab shakiyatein dor hogai...
Baba jan ap sahi kehte the Namaz se bardh k kuch bhi nahi mujhe ye soch soch kar khud pe ghusa aata he k me kiyon namaz se dor bhagta tha? kiyon me ap k dar se namaz pardhta tha Allah k dar se nahi
Aliyan yahi wajah thi jo mene tumhein Quran hafiz ban'ne pe majbor nahi kiya me nahi chahta tha k tum mere dar se Quranpak hifz karo
Quranpak kabhi bhi zabardasti nahi pardha jata, Quranpak hamesha sache dil se or achi niyat se pardha jata he
jee Baba Jan me ab Qurapak ki ehmiyat samjh chuka hun QuranPak sirf choomne or gilaf me lapet kar kisi ounchi jaga pe rakh dene k liye nahi uatara gaya
bal'kay Quranpak kholne pardhne or samjh kar ais par amal karne or ais ki roshni dosron tak phunchane k liye utara gaya he!
Baba jan ap ko yaad he ap hamesha kaha karte the Aliyan namaz pardho or dua kiya karo!
tab me sochta tha ye dua kiya karti he?
or Ab mujhe maloom hoa he k ye rab se talluq ko jorti he,
Hamein rasta dikhati he,
Hamari taqderen badalti he,
Andhero me roshni karti he
Bechen ko sakoon deti he duniya or akhrat ko munawar karti he,
dua hi hamein yad dilati he koi he jis se hamein mangna he,
bas dua me bhi hamesha ALLAH ki raza mangni chahiye aus ki behtri mangni chahiye aisi me bhalai he...
Aliyan ki baaton pe Mustafa Alam ko aus pe piyar aane laga auno ne foran Aliyan ko gale se laga gaya or kisi chote bache ki tarah ause piyar karne lage..
Baap Bete ka piyar dekh kar Amaya bohat khush thi or dil me ALLAH ka shukar ada karne lagi..
                                  ------*****-----*****-----*****--------

Mustafa Alam k kehne pe wo log mazeed kuch din or wahin haveli me hi ruke the
Aliyan kamre me dakhil hoa Amaya packing karne me masroof thi
Anaya bhi ausi waqt kamre me aai
Amaya baag me chale mera dil chah raha he Anaya saib(apple) khate hoe table pe beht gai
nahi mera mood nahi he kal hi tou gae the Amaya ne foran jawab diya
Amu tumhare chehre pe itni bazariyat bhare taasuraat kiyon he? wo apne aik eyebrow opar chardhae boli
kuch nahi bas thak gai hun kuch der sona chahti hun wo packing bech me hi chor kar bed pe ja k let gai
Aliyan aus k qareeb aaya kiya hoa tabiyat tou thek he?
jee hanw me thek hun bas mujhe kuch der sona he please kiya ap log mujhe sone dein ge?
Ajeeb ho yar tum bhi, tum pehle wali amaya nahi rahi
wo Amaya jo har waqt adventures mood me rehti thi, Ab aus ka koi mood hi nahi banta
wo Amaya jo apni mastiyon me magan rehti thi, Ab apne bete ki mastiyon se tang he
wo Amaya jo khud se muhabbat karti thi, Ab bas Aliyan or aus ki family se muhabbat karti he
wo Amaya jo har waqt naak pe ghusa rakhti thi, Ab aus k ghuse ka kuch ata pata hi nahi he
wo Amaya jo kisi k nakhre bardasht nahi karti thi, Ab wo apne bete k nakhre utha'ti he 
wo Amaya jis ne kabhi kitchen me qadam tak na rakha tha, Ab wo har waqt kitchen me hi nazar aati he
wo Amaya jis ne kabhi kisi kam ko hath tak na lagaya tha, ab wo har kam khud karti he
wo Amaya jise baat baat pe attitude dikhana or rona ata tha, Ab wo bohat strong he
wo Amaya-- anaya ne kuch or bhi bolna chaha par amaya ne ause rok diya
Anaya agar tumhari speach khatam ho gai he tou tum yahan se ja sakti ho wo apna mou takiye me diye chilai
ok chilao tou mat ja rahi hun lagta he Aliyan bhai ka jhoota khana khane lag gai ho tikhi ho gai ho
wo bolte hoe wahan se chali gai...
Aliyan jo khamoshi se behta Anaya ki bak bak sun raha tha wo anaya k akhri jumlo pe muskura diya or amaya k qareeb hoa Amaya are you alright?
Amaya ne koi jawab na diya
Amaya me kuch poch raha hun kiya tum thek ho?
jee me thek hun wo foran uth kar beht gai
tou phir gai kiyon nahi Anaya k sath?
wese hi mera mood nahi he aus k chehre pe kuch udasi thi
tum udas kiyon ho? aesi kiya baat he jo tumhein udas kar rahi he? jahan tak me tumhein janta hun zaroor tumhare dimag me kuch chal raha he
kuch nahi porani baat he leave it...
Agar porani baat he or chorni hi he tou phir soch kiyon rahi ho? aus ne amaya ko bazu se pakara or aus ka chehra apni tarf kiya
me ye soch rahi hun k ap ne mujhe buri larki kese samjha tha i mean, hamari kabhi university me koi baat nahi hoi thi tou ap ne kese mujhe judge kiya tha?
Aa'h tou ye baat he aus ne aik lambi sans li or kuch der khamosh raha
Amaya ause musalsal dekh rahi thi ya shayad aus k jawab k intezar me thi
Amaya tum itni stylish thi har roz tumhara new dress, new bag, new watch, or tumhara wo magroori wala attitude bewajah kisi se baat na karna ghusa naak pe rakhna or har waqt Mastiyan karte nazar aana
mujhe koi aesa din yaad nahi jis din tum ne koi shararat na ki ho tumhara apni friends k sath group me ghoomna phir mastiyan karna bas aini sab baton se mene tumhein judge kiya tha
me sochta tha ye itni stylish he har waqt mastiyan karti nazar aati he or kuch log yahi kehte the tou mene socha waqai ye larki---- wo wahin khamosh ho gaya
Ais bar amaya ne gehra sans liya ause samjh nahi aaya kiya expressions de Aliyan mera andaza thek tha
ap waqai dosron ki zuban se bolte the or dosron k dimag se sochte the
stylish hone ka hargiz ye matlab nahi he k koi larki stylish he tou wo characterless he ya ause apne mazhab k bare me nahi pata ya wo achi larki nahi he
me stylish thi par me khud k liye fashion karti thi logon ko dikhane k liye nahi or stylish hone k sath sath mujhe har cheez ati thi
me study me achi thi, me har activity ache se karti thi, mujhe islam ki knowledge bhi thi,or me achi larki bhi thi
ham me se kisi ko koi haq nahi he kisi ko judge karne ka agar koi stylish he tou wo bura insan nahi he
or jahan tak baat he mastiyon ki tou its a part of life fun k bina tou zindagi me koi maza hi nahi he or me zindagi ko jeene wali larki thi mene har lamhe ko har pal ko jiya he
or magroor? magroori mene kabhi nahi ki bas ghuse me rehne ki wajah se logon ko lagta tha kiyon k me fazool dost nahi banati thi 
me kabhi kisi ko explanation nahi diya karti thi kiyon k mujhe kisi se koi farq nahi pardhta tha...
Insan jitna marzi acha ho duniya walon ko koi na koi problems rehti hi he or phir hamare bech jo kuch bhi hoa tha wo kuch galat fehmiyan thi tou kuch setup...
mere sar me dard ho raha he mujhe sona he wo dobara let gai
Amaya tumhein bura laga? par jo sach tha mene wohi bataya he par hanw tum ne thek kaha me dosron ki zuban bolta tha or dosron k dimag se sochta tha
tum ne sahi kaha stylish hone ka matlab bura nahi hota he hamare mawashre mein ham logon ki yahi soch he k jo stylish he ause kuch deen or duniya ka nahi pata
hamein apni soch badalni chahiye or waqai tum ne sab kuch thek kaha he mene tumhare bare me tumhare fashion ko dekhte hoe tumhein judge kiya tha or jesa tumhare bare mein socha tha tum aus se bilkul mukhtalif paya
Amaya ne koi jawab na diya shayad wo so chuki thi...  
 
                                 ------****------*****-------*****------
karachi wapas aae aik hafte hone ko tha Amaya tv lounge me behti peace tv pe mazhabi scholor ka program dekh rahi thi
jab Aliyan ghar aaya aus ne amaya ko dekha tou salam kiya Amaya ne muskura kar salam ka jawab diya
wo soffee pe behta tou amaya foran aus k liye aik glass pani le aai
aus ne amaya k hath se glass liya or pani peene laga
shams kahan he? wo glass dete hoe nazrein yahan wahan ghumane laga
wo fahad bhai k sath aun k ghar gaya he wo keh rahe the aik hafte se ziyada ho gaya he
Anaya shams se mili nahi he tou me le k ja raha hun zain or anaya shams ko dekh k khush ho jae ge
acha ab tou 9:00 baj gae he abhi tak zain chor k nahi gaya Aliyan ne channel check karne k liye channel change kiya cartoon network pe barbie cartoon chal rahe the
jis me asman par "Qandelein" urd rahi thi
Aliyan ne agla chennal lagaya jis pe Amaya chilai wohi lagaein piche karein piche Amaya ne foran aus k hath se remote chen'na or wapas cartoon Network laga liya or tarsi hoi nigahon se mou khole Qandelein udrte dekhne lagi
Waoo kitna khubsoorat nazara he mene kabhi real me aese Qandelein urdti nahi dekhi
Ap ko pata he hamesha se mera ye dream raha he k me kabhi real mein apni ankhon se kale
asman pe bohat sari qandelein udrti hoi dekho
Aliyan ko aus ki baat pe hansi aa gai Amaya tum or tumhare ajeeb dreams ab mou tou band kar lo
Amaya ne ankhein choti bari kiye aus ki janib dekha!
chalo ham shams ko lene chalte he ais bahane fahad se bhi mulaqat ho jae gi Aliyan tv band karte hoe bola
wo tou thek he par pehle khana tou kha lein
Nahi shams ko le aae phir sath hi kha lein ge ais pore week me itna busy raha hun k shams k sath behta tak nahi hun
ok me change kar k ati hun Amaya muskura kar wahan se chali gai...

Shams beta yahan aao..
jee chachi!
mene suna he ap ko ap k baba ne dandta tha?
jee dandta tha har waqt dandte he wo mou latkae udasi bhare lehje me bola
beta ap ko aik baat bataon promise karo ap kisi se kaho ge nahi..
jee promise!
beta ap k baba ap ko bilkul piyar nahi karte ap ko or ap ki mama ko bilkul bhi pasand nahi karte
ap ko pata he ap ki mama ne aun se zabardsti shadi ki he wo tou shadi bhi nahi karna chahte the
or jab ap apni mama k pas nahi hote tab wo ap ki mama ko bhi bohat dandte he or kuch din pehle tou ap ki mama ka hath bhi jala diya tha
shams herani se Ramsha ki batein sun'ne laga! Aliyan busy rehne ki wajah se ause time nahi de pata tha tou shams ko lagne laga tha waqai Aliyan aus se piyar nahi karta wo kahin na kahin Ramsha ki baton pe yaqeen karne laga tha
Nahi chachi shams k baba mama se bohat love karte he
beta wo bas ap k samne natac karte he ap ki mama ko bohat marte he ap ko tou wo bilkul pasand nahi karte
bahar koi khadra ain ki guftgu sun raha tha ais se pehle Ramsha mazeed kuch kehti koi achnak kamre me dakhil howa!
Ramsha bhabi ap kiya bache ko ulti paatiyan pardha rahin hen ap ko sharam nahi ati aese jhoot bolte hoe ap ko andaza bhi he ap ki aesi bakhwas baaton se shams k zehan pe kiya asar parhe ga
ap kiyon bache ko jhoot keh rahi hen Anaya zor zor se chilane lagi...
nahi anaya mera wo matlab nahi tha ramsha ghabrate howe boli,
me ache se janti hun ap ka kiya matlab tha shams beta ainki baaton me mat aana jhoot bol rahi hen anaya ause apni tarf mutwajah karne lagi
itna shor kiyon ho raha he? zain or fahad bhagte howe kamre me dakhil howe
pochein Ramsha bhabi se shams ko kiya paatiyan pardha rahi thi...
kiya matlab kesi paatiyan sab ne piche murd k dekha tou darwaze pe Aliyan or amaya khadre the ...
auneh dekh kar Ramsha k chehre ka rang urd gaya na nahi kuch nahi wo foran boli,
fahad bhai ap ki begam shams ko keh rahi thi k aliyan bhai shams or amaya ko pasand nahi karte or amaya ne zabardasti shadi ki he aliyan shadi nahi karna chahta tha
or aliyan ne amaya ka hath jalaya, marte he or bohat dandt'te he or ais se pehle haveli me bhi do teen bar mene bhabi ko suna tha shams ko aesa hi kuch kehte howe
tabi me shams ko ziyada apne sath hi rakhti thi or me khamosh rahi thi k koi hangama na ho par aj me khamosh nahi raho gi aese tou ye bache ka zehan kharab kar de gin
or shams ko kehti hen k kisi ko bataya mat karo ab wo bacha he kisi ko batae ga nahi dil me rakhe ga sab baatein or na'jane bara ho kar kese treat kare aliyan bhai ko anaya bolti chali gai...
fahad ka rang ghuse se laal ho gaya Ramsha ye kiya tamasha he?
shams mujhe batao or kiya kiya kaha he ramsha ne?
fahad chachu wo yehi kehti he jo anaya chachi ne bataya or mene aik bar mama ko bataya tha
Aliyan ghuse se amaya ko dekhne laga...
han bataya tha shams ne mujhe par mujhe laga shams ko koi galat fehmi hoi hogi Ramsha bhabi bhala aesa kyon kahe gin tabhi mene ziyada gor nahi kiya...
Aliyan ki ankhein mein betahasha ghusa tha par wo khamosh raha chalo shams yahan se ainda
yahan koi nahi aae ga mere bete ko bula kar yahan ye sab sikhaya jata he
Aliyan aik nazar pe dali or phir amaya or shams pe chalo yahan se wo aune wahan se le gaya!
zain or fahad awazein dete reh gae par Aliyan ne aun ki aik na suni..
                              --------***--------***--------****---------
Good Noon 'Mamma' Amaya ki ankhein khuli do muskurate chehre aus ki nazron k samne the
shams itni subha ap ko kis ne tayar kiya kahan jane ki tayari he tiger?
Mujhe baba ne tayar kiya wo muskuraya..
what baba ne? itni subha wo choonki
medam wo samne wall clock dekhein 1:00 baj raha he or ye dopher ka waqt he par tum so kar abhi uthi ho tou ofcourse tumhare liye morning he haha Aliyan ne kehka lagaya
oh shoot! 1:00 baj gaya mujhe uthaya kiyon nahi? or me itna der kese soi rahi?
medam kal raat ap k sar me dard tha or ap ne tablet khai thi jis wajah se ap behosh rahi aliyan k lehje me kafi narmi thi wo aese tha jese kal raat kuch hoa hi na ho
Mene socha aj tumhein rest karne dun or shams k sath me time spend karon ap ko pata he shams
ap ki mama bohat chalak hen mujhe office bhej deti he or khud ap k sath masti karti he time spend karti hen or achi ban jati hen
or baba ko bura bana deti hen or baba office se thaak kar ghar ate he ghuse me hote he tou ap ko dandt lag jati he par aj no office ham masti kare ge me apne bate ko shopping karwao ga
ap mere jese kapre loge?
yeah iloveyou baba shams khushi se chilaya or foran Aliyan k gal pe kiss kar li!
Amaya tehdri nazron se aliyan ko dekhne lagi...
kiya howa aese kyon dekh rahi ho khaao gi kiya?
nahi me ziyada charbi wala ghosht nahi khati me bas yahi soch rahi hun ye sooraj kahan se nikla he amaya maskharana andaz me boli....
kuch der mein amaya tayar ho kar niche aagai aliyan or shams pehle hi gari mein behte howe the Amaya aj mousam kitna khubsoorat he
thandi hawa halki halki barish bhi hojae tou maza aajae ga chalo pehle ice-cream khane chalte he
phir shopping kare ge phir park jae ge phir dinner par chalein ge whats say shams?
yeah baba aj bohat maza aae ga wo khushi se chilaya...
Amaya dono ko dekhne lagi ause acha lag raha tha aineh itna khush dekh kar kuch der mein barish bhi shuru hogai halki halki si barish mausam ka maza double hogaya!
Ab wo shopping mall me the jab amaya ka cell phone bajne laga phone ki screen par nazar dali anaya calling!
Amaya ye dekho mene ye cushion liye he ais par likha he Mr.Mrs hum aise lawn mein rakhe ge ache he naa?
bohat ache he ap shopping karein me anaya se baat kar lun aus ki call aa rahi he!
ASALAM WA ALAIKUM!
WA alaikum asalam amu tum kesi ho Aliyan bhai kese he? bohat ghusa kiya hoga na auno ne ghar ja kar mujhe pata he ab bhi ghuse me hi hoge or tumhari shamat aai hoi hogi Anaya non-stop boli chali ja rahi thi
uff uff Anaya sans tou lelo mujhe kuch bolne dogi tou hi me bolo gi ab aus ne phone aik kan se dosre kan pe lagaya
han bolo yar me tenshion me bas ziyada bol gai
Anaya relax sab thek he yahan Aliyan ne koi ghusa nahi kiya infect me heran hun Ramsha bhabi ne aesi harkat kiyon ki or Aliyan kese chup rahe?
wese achi baat he auno ne ghusa nahi kiya par kal raat k bare me mujh se bhi koi discusion nahi kiya
acha tum se kuch pochna tha?
han bolo anaya kiya howa?
Amaya kiya waqai tum log hamare yahan nahi aao ge kal se mujhe ajeeb feeling aa rahi he aliyan bhai ka ghusa bhi itna khatarnak he aus ki awaz me udasi thi
Nahi baba mene bataya tou he kuch nahi kaha auno ne ham shopping mall me he dono bap bete shopping kar rahe he aj ka din acha he me khush hun dono ko sath me dekh kar or
rahi baat tmhare ghar ki tou bhala aesa ho sakta he jo ye teeno dor rahe or me tum se wo kehka laga kar hansi...
oh wao amaya ais ka matlab aj k mausam ko full enjoy kiya ja raha he chalo tum enjoy karo bad me baat kare ge!
han Aliyan aj office nahi gae khudi program bana liya ghomne phirne ka acha he shams ko pata tou chale k aus k baba waqai aus se muhabbat karte he....
tum batao fahad bhai ki or bhabi ki larai tou nahi hoi? amaya ne foran sawal kiya
yr bhai jan ne bohat dandt'ta aun ko or auno ne bhi bohat zuban chalai Aliyan k nokar ho
tum log ausi ki baat mante ho aus k bete k agey piche ghomte ho
har waqt shams shams nafrat he mujhe shams or amaya se or ais baat par fahad bhai ne
ause thapar de mara
han maro maro amaya k bare me tou tum kuch sun hi nahi sakte ho na pata nahi kiya jadu kiya he
aus ne mujhe amaya se nafrat he or hamesha rahe gi suna tum ne
aus ne mujh se aliyan cheena he me ause kabhi maf nahi karogi fahad herani se ause dekhne laga kiya kaha tum ne tum se aliyan---?
han mujhe wo pasand tha or meri ami ne Aliyan ki ami se rishte ki baat bhi ki thi
par aliyan ne ye keh kar mana kar diya k ause koi or pasand he or jab mene apni shadi me
amaya ko aliyan k sath dekha mujhe shaded ghusa aaya
mere zakhm taza hogae or dil me soch liya k ab badle logi Amaya se or tum amaya ko pasand karte the mujhe shadi k bad pata chala aesi baatein chupti nahi he Mr.fahad Alam wo akkrd kar boli..
Ramsha tum itni bad'dimag itni giri hoi harkten or baatein karogi mene socha bhi nahi tha
tum apne hathon apna ghar kharab karna chah rahi ho aliyan tumhara past tha or
me tumhara present hun or
me manta ho me amaya ko pasand karta tha par wo mera past thi par ab tum meri bv ho or me tumhare sath sacha ho tumhein bhi apna mazi bhool jana chahiye wo ause samjhane laga...
Oh shoot!itna kuch hogaya ais ka matlab aliyan ko jis larki ki tasver pasand aai thi
wo Ramsha bhabi thin tou kiya aus din aliyan ne mujh se jhoot bola tha k ause koi pasand aagai he
agar ause Ramsha bhabi pasand aai hoti tou wo mujh se shadi har'giz na karte
Amaya herani bhare lehje me bolne lagi...
pata nahi amu ye to tum bhai se hi pochna chalo have fun ALLAH HAFIZ....
                          -------*******-----******-------******-----
Amaya shams k sath tv lounge mein behti aus se khana khane ki dua, pani peene ki dua, mukhtalif duwaein sun rahi thi...
Aliyan office se aaya kiya kar rahe he dono maa bete?
Baba shams mama ko duwaein suna raha he!
oh very good chalo phir baba ko bhi sunao wo muskura kar shams ko piyar karne laga
chalo shams ap ja kar so jao amaya ne piyar bhare lehje me kaha tou wo foran apni maa ki gal
pe kiss kar k wahan se chala gaya...
Aliyan aik bat pochun?
han pocho par pehle aik cup chae hojae wo muskura kar bola...
Amaya soffe se uthi apne silky ball hathon me sameet kar ounche kiye or poni bandhi
bohat ounchi si poni ais pe bohat achi lagti or kitchen ki janib chal di piche hi aliyan bhi aagaya!
pocho amaya kiya pochna he? wo muskura raha tha
ab wo gas par chae ki degchi rakhne lagi aliyan ap ko yad he ap ne mujhe kaha tha k ap k ghar wale rishta dekh rahe he or ap ko kuch tasvereen bhi di he or ap ko aik larki pasand bhi aai thi
tou wo larki kon thi?
Aliyan ne achnak herani bhari nigaho se amaya ki janib dekha, ary tumhein kaha se itni porani bat yad aagai dehan se chae banao cheeni ki jagah namak mat dal dena wo muskuraya,
baat mat talein mujhe bataein wo larki agar ap ko pasand aagai thi tou ap ne mujh se shadi kese ki
ap ko me pasand bhi nahi thi?
Amaya tum kiyon porani baat kar rahi ho choro na kuch or baat karte he wo baat talne laga
Amaya ka dil tou chah raha tha ghusa kare par wo apne ghuse ko control kiye hoe thi
Lahore se wapas aane k bad aus ne kabhi ghusa na kiya tha jab se aus ne aik ayat me pardha tha!
"Ghusa karne wala qayamat k roz ALLAH k samne janwar ki shakal me pesh kiya jae ga"
tab se aus ne ghusa karna chor diya tha....
ap mujhe bata rahe he ya nahi?
wo larki Ramsha thi Aliyan foran bola...
Amaya heran nahi hoi kiyo k ause kahin na kahin pehle hi shak tha k ramsha hi wo larki hogi...
phir jab ap ko wo pasand thi tou aun se shadi kiyo nahi ki?
wo mujhe kabhi pasand nahi thi han me zaroor ause pasand tha!
aik shadi me aus ne mujhe dekha tha or pasand karne lagi or aus ki ami ne rishta bhej diya par mene inkar kar diya tha...
kiyon ap ne inkar kiyon kiya? Amaya chae ka cup ause pakrate howe boli
dono chalte howe bahar lawn mein aa kar beht gae....
Mujhe wo ais liye pasand nahi thi kiyon k jab se aus ne mujhe dekha tha mujhe phone pe tang karne lagi thi calls messages auff!
tumhein yad he amaya shanze ki shadi k roz mene tum pe bohat ghusa kiya tha or bohat talakh lehje me bat ki thi?
han ache se yaad he mujhe wo karwi baatein wo mou bana kar boli...
aus waqt Ramsha ki calls pe calls aa rahi thi aus ne mujhe tang kar diya tha mujhe bohat ghusa aa raha tha aus pe bas wohi ghusa tum pe nikal gaya tha...
Amaya khamosh rahi koi jawab na diya kuch der sochne k bad wo boli ap resturent me waiter se kiya baat kar rahe the?
jab hum Resturent me dinner k liye ruke the aus waqt bar bar mera phone baj raha tha wo call Ramsha hi mujhe kar rahi thi or jab tak me recieve na karta wo tang karti rehti
me uth kar side me chala gaya or call recieve ki wo shayad ro rahi thi aus ki awaz me udasi thi wajah pochne lagi Aliyan tumne inkar kiyon kiya akhir wajah kiya he
jab tak wajah nahi batao ge me picha nahi choro gi wagera wagera...
acha phir kiya wajah batai ap ne Amaya aliyan ki baaten dilchasbi se sun rahi thi...
mujhe kuch samjh hi nahi aaya kiya wajah bataon phir mene aus se picha churdwane k liye jhoot keh diya k me kisi ko pasand karta ho or me ausi se shadi karo ga
wo kehne lagi nahi tum jhoot bol rahe ho agar koi he tou mujhe aus ki tasveer send karo!
ab koi pasand hoti tou hi send karta naa phir aik dum khayal aaya...
kiya khayal aaya? Amaya ne foran pocha...
bata tou raha ho bech me khud hi bolne lag jati ho mene waiter ko kaha k ye larki mujhe bohat pasand he meri or ais ki tasveer khench do me apni ami ko dikhao ga or kuch paise diye
waiter ne tasveer khench di or Qudrati wo tasveer aesi aai jise dekh kar lag raha tha waqai tumhara or mera koi scene he wo kehka laga kar hansaaa...
kiyon aesa kiya tha aus tasver mein Amaya halka sa muskurai...
aus tasveer mein tum haans rahi thi or me bhi or muskurahat tou wese hi tasveer me char'chand laga deti he wo muskura kar bola...
phir kiya ap ne wo tasver send ki Ramsha bhabi ko?
han mene send kardi or phir aus ne mera picha chora or mene tumhare sath mazaq kiya tha k mujhe koi pasand he mujhe kiya pata tha mera mazaq tumhari life pe itna effect kare ga..
ab wo tasveer kahan he?
wo tou mene ramsha ko send karne k baad delete kar di thi me rakh kar kiya karta mujhe konsa tum pasand thi...
tou kiya ap ne majbor ho kar shadi ki mujh se?  Amaya k chehre pe udasi chah gai
tumhein lagta he k koi mujhe Aliyan Mustafa ko majbor kar sakta he?
wo amaya ko dekhne laga
phir ap ne mujh se kiyon shadi ki?
agar tum chahti ho k me ye kaho k me tum se bohat muhabbat karta tha wagera wagera tou me aesa nahi kahun ga kiyon k waqai mujhe tum se koi tufani qisam ki koi muhabbat nahi thi
han tum mujhe achi lagne lagi thi tumhara ikhlaq wagera acha tha tum baqiyon se munfird lagti thi tabhi tum se shadi ki or me apne ais fesle par bohat khush bhi hon k tum jesi aik achi larki meri humsafar bani...
Aliyan ka andaz itna naram tha amaya muskura di or aus k dil pe lada boooj halka hogaya
yaani ap waqai khush hen ab wo apna sar Aliyan k seene pe rakhte hoe muskurate hoe boli
Aliyan ne apna hath aus k kandhon pe rakha ofcourse Amaya i am happy with you..
khair jo bhi howa acha hi howa mere mazaq k bad tumhare jane k bad hi tou mujhe ehsas howa tha k me tumhein pasand karne laga tha agar me mazaq na karta tum kabhi na jati na khud kuch batati na mujhe kuch pata chalta
tum sahi kehti ho ALLAH jo karta he behtar karta he!
wo dono muskura diye!
Ab khana bhi dogi ya bas pori raat batein karte guzar dogi wo shararti lehje me bola!
khana bhi mil jaega bas aik akhri sawal?
Amaya kitna bolti ho tum yar kuch hi der bad mere kanoo se khoon behne lage ga phone baja tou wo cell phone pe nazarein makroos kiye bola!
mujhe jana hoga office se call aa rahi he mujhe zarori kam he wo apna cell phone jaib me dalne laga
pehle mere sawal ka jawab dein wo foran boli or itni raat ko office?
Dekho me abhi ja raha hun kamao ga nahi tou khaae ge kahan se muhtarma!
han jaein mujhe ab koi baat hi nahi karni he mere bolne se tou ap ko problem hoti he wo barhbadane lagi....
Oh shukar ALLAH ka 'ziddi larki' ne agree tou kiya k tum bohat bolti ho wo phir se muskuraya!
jab ap ko pata tha Ramsha bhabi k bare mein tou fahad bhai ki shadi kiyon hone di auneh bataya kyon nahi ap ki wajah se aun ki tou zindagi kharab hogai na?
wo piche se chilai aliyan jate howe wahin rukk gaya meri wajah se?? aus ne lafz dohrae or murd kar amaya ko dekha
Madam meri wajah se kuch nahi howa me pakistan me nahi tha ye tumhein bhi pata he kuch business work k liye dubai gaya howa tha mujhe bas yehi pata chala tha k fahad ka rishta paka hogaya he or shadi bhi jaldi kar de ge
meri zain or fahad se baat bhi nahi hoti thi na me fahad se kuch poch saka jis din shadi thi aus din me aaya or Ramsha ko dekh kar me heran reh gaya k fahad ki shadi ais k sath par me kiya karta der hogai thi
or ramsha ka bata kar me fahad ka dil nahi kharab karna chahta tha wo ab aus ki bivi thi or pehle jesa kuch nahi raha tha...
mujhe ye samjh nahi aaya k Rasmha ne fahad se shadi kiyon ki? wo ache se janti he k fahad mera cousin he or shams ko wo kiyon ulta sikhaati rahi?
Me batati hun kiyon shadi ki aus ne? anaya ka phone aya tha aus ne bataya k hamare jane k bad fahad or ramsha ki bohat larai hoi or ghuse me ramsha ne sab kuch keh dya k me aliyan ko chahti thi
amaya ne cheen liya i hate amaya wager wagera
fahad bhai ne ghuse me thapar mar diya tou wo or ziyada chilane lag gai k mujhe pata he
tum amaya ko pasand karte the wagera wagera....
Aliyan heran reh gaya!
mujhe samjh nahi araha fahad bhai pe kiya guzar rahi hogi ain ka rishte agey chale ga bhi ya nahi Ramsha bhabi kiyon apna ghar kharab kar rahi hen?
Amaya tenshion na lo sab acha hoga fahad se bat hoi thi subha aus ne kuch bhi nahi bataya bas mazrat kar raha tha k aliyan ghar ana mat chorna me shams ko ramsha k qareeb bhi nahi jane doga
mene kaha me bhala tum logon k bina reh sakta ho kiya? mene bas ghuse me keh diya tha k hum ayinda nahi aaege or Amaya mere bina reh le gi par anaya k bina nahi wo muskuraya....
haa very funny amaya chirrd kar mau bana kar boli sab log jealous hote he meri or anaya ki dosti se wo bolti hoi kitchen ki tarf chal di...
                              --------*****-------*****--------*****-------
Ramsha shams aa raha he or khabardar jo tum aus k aas paas bhi dikhai di fahad ne do'tok bat kahi
Ramsha jo k mou banae apna bag pack karne me masroof thi aus ne koi jawab na diya
tum kahan ja rahi ho bag kiyon pack kar rahi ho?
Me ye ghar chor kar ja rahi hun aus Amaya ki wajah se tum ne mujhe thapar mara wo ghuse se chilai...
tum ne thapar apni harkton ki wajah se khaya or tum kiyon har bat mein amaya ko bech me le ati ho kiya tum nahi chahti k hamara relation acha ho
hum dono ko aik dosre ko samjhna chahiye amaya mera past thi or wese bhi me ause pasand karta tha wo tou mujhe pasand nahi karti thi
tumhara bhi to past tha kiya mene kabhi tumhein koi tana diya?
Ramsha ne koi jawab na diya or almari se kapre nikal kar bag me rakhti rahi
Ramsha mat jao tumhein kiyon samjh nahi aata Me nahi chahta k hamara ghar kharab ho fahad ause samjhane laga,
par ramsha bigri hoi bad'dimag larki thi ause kahan piyar ki zuban samjh aati...
fahad tum kisi cheez k layaq nahi ho tum ause pasand karte the jise aliyan le gaya or tumhein mili bhi wohi jise aliyan ne reject kiya
tumhare pas sab Aliyan ki chezein he khud ka tou kuch bhi nahi he infect bivi bhi nahi aus ne Ramsha ko bazu se pakra Ssssh bas bohat ho gaya khamosh aik dum khamosh
choro mera bazu aus ne fahad ko khud se dor kiya or mazeed bolne lagi ye kiya tum log har waqt shams shams lagae rakhte ho
me barbad kar don gi Amaya ko wo musalsal bole ja rahi thi fahad ka ghusa be'qabu ho gaya or aik bar phir aus ne thapar de mara
zalel orat tumhein zara sharam nahi he shohar se kese baat ki jati he me tumhein kuch kehta nahi hun ais ka matlab ye nahi k tum kuch bhi bolti jao gi
abhi or aisi waqt mere ghar se niklo...
apni shakal mujhe ainda kabhi mat dikhana fahad ki ankhon me ghusa tha, wo bechara or kitna bardsht karta akhir kabhi tou bolna hi tha...
Ramsha bag uthae wahan se chal di...
zain ka wahan se guzarna hoa tou Ramsha ko aus ne jate dekha bhai bhabi kahan ja rahi he bag le kar? aus ne foran sawal kiya..
Ais ka Dimag kharab ho gaya he mene ghar se nikal diya he mera tou naseeb hi kharab he bivi mili tou wo bhi bad'dimag or batdmez tabhi me kehta tha meri shadi na karo
agar achi tarah pehle hi aise jan liya hota tou me kabhi ais se shadi na karta thek kiya tha aliyan ne inkar kar k...
bhai ap ko aesa nahi karna chahiye tha ap log kiyon apna ghar kharab kar rahe he?
bhai zindagi koi chae ka cup thori hoti he k aik chamach shakkar mila kar zaiqe ki talkhi ko dor kar diya jae
zindagi ko tou umar k akhri lamhe tak ghont ghont peena parta he phir chahe talkhi kitni hi ziyada kiyon na ho
bhabi chahe jesi bhi he ap ko tou apna rishta nibhana hoga
fahad ne apne sar pe hath rakh liya zain hamara ghar abad hi kab howa tha pehle din se hi me ause bardsht kar raha tha har waqt wo amaya ko shams ko anaya ko tum sab ko bura bhala kehti rehti thi
me chup chap ignore karta tha k kiyon me koi larai nahi chahta tha
aus ne mujh se shadi amaya or aliyan se badla lene k liye ki thi ye alag baat he k aus ki koi bhi chaalein raang nahi lai phir aus ne shams ko apna hatheyar bana liya
me tang aa gaya hun roz roz ki laraiyon se..
mene Ramsha ko ghar se nikal diya he ais bare Aliyan ko batane ki koi zaroorat nahi he...
                                             
                                       To be continue...

No comments:

Post a Comment